Update 14
Jab Mathur sahab ne Rathod se baat karne ke baad Vicky ko phone kiya to ussko bataya ke Rathod ko sick leave par ghar bheja gaya aur woh duty par 25 dinon tak nahin jaega. Yeh sunkar Vicky ko jhatka laga aur uss ne socha ke sab usski vajah se huwa, ussko Rathod ke liye afsos tha aur soch raha tha ke ussko contact kare ke nahin. Kuch der baad wahan ke nazare ko charon taraf nihaarne ke baad ussne Rathod ko phone kiya number Math
Rathod usski awaaz sunkar bahot khush huwa. Usski jaan mein jaan aayi jaankar ke Vicky zinda hai. Donon ne koyi 20 minute tak baat kiye. Rathod pooch pooch kar thak gaya ke kinn logon ne Sanjana ka woh haal kiya magar Vicky ne nahin bataaya aur kaha ke waqt anepar sab pata chal jaega. Rathod ne kaha,
“Tum weise khatarnaaak jagah se kude kyun the? Tum mar bhi sakte the pata bhi hai tumko? Kia tumko pata tha ke saamne niche nadi beh rahi thi?”
Vicky ne kaaha,
“Uss samaye mujhe kuch pata nahin tha ke saamne kia hai aur kahan kud raha hoon magar mujhe yakeen tha main marunga nahin kyun ke Sanjana ke liye mujhe zinda rehna padega, mujhe pura yakeen tha ke main nahin marunga, iss liye main ne challang laga di uss waqt aur dekho main zinda hoon in one piece.”
Rathod ne uss se nahin poocha ke uss waqt Vicky kahan se phone kar raha tha. Aur Khan aur apne bare mein Rathod ne Vicky ko sab kuch detail mein bata diya. To Vicky ko sab pata chal gaya ke Khan ko ab pata hai ke Rathod ne ussko bhaagne mein mada kiya tha. Aur Vicky yeh bhi samajh gaya ke ab Khan ziada chawkana rahega aur ussko lekar. Vicky ne phir se Mathur uncle ko phone kiya aur phone par koyi bhi baat karne se pehle honshiyaar rehne ko aur company ke mulazimon ko uss ke bare mein kissi se bhi koyi bhi baat karne ko rokne ko kaha. Aur Vicky ne Rafiq Hayat ka phone number bhi liya Mathur sahab se.
Media wale shor karte jaa rahe the ke kia ho raha hai ab tak Vicky ki kyun koyi khabar nahin, police kia kar rahi hai etc. Aur ACP raghuveer ne Khan aur usske aadmiyon se meeting kiya case ke bare mein aur Khan ko tarah tarah ki baatein sunaayi ke who naakaabil inspector hein aur usske sabhi aadmi bewakoof hai aur kissi kaam ke layak nahin. Phir khan ko 15 din ke andar Vicky ko dhundne ke liye kaha aur agar 15 dinon ke andar Vicky nahin mile to uss case ko band kar diya jaye ya case ko pending chorr diya jae. Raghuveer ne yeh bhi kaha ke kissi ka encounter karke unn jangalon mein public ko yeh bataya jaye ke unhein Vicky ki laash mili.Magar Khan ko woh manzoor nahin tha.
Udhar Rathod soch raha tha ke kia Khan ko bata dein ke Vicky ne ussko phone kiya tha aur woh zinda hai ke nahin! Woh ek taraf Khan ka aabhaari tha aur dusre taraf Vicky ko bachana chahta tha…. Khan shayad Rathod ka yakeen nahin karega aur Vicky ko pakarna chahega iss liye Rathod ne socha kuch aur din khamosh rahe.
Aur Khan apne taraf se dimaagh par zor dete huwe soch raha tha aur saboot ekatha karna chahta tha ke Rathod ne jo kuch uss se kaha Vicky ke bare mein uss se zaahir hota hai ke Vicky ke ghar mein koyi aur tha uss waqt, magar kaun? Khan ke finger print experts ko ek baar aur leke gaya mawka e waardaat par aur khud apne soch se kayi jagaon par finger prints liye, jeise ghar ke main entrance par, gate par uss kamre mein jahan Vicky aur uss ke behen the….. Aur Khan ne unn figer prints ko kisi private section mein check karwaya apne paison se. Results yeh huwa ke unn mein do ghair logon ke finger prints mila. Aur weh prints bed ke bagal wale furniture par pae gaye.
Khan ne unn reports ko Raghuveer ko dikhaya, aur uss se darkhwast kiya ke forensic wale sabhi reports ko cross check karwaya jae. Magar Raghuveer sakht khilaaf tha aur uss ne kaha ke forensic department par ungli uthana police department par ungli uthana hoga aur uss mein khud Khan ki badnaami hogi agar reports wohi aaye to! Khan laachaar tha aur samajh mein nahin araha tha ke kia karein. Bahot ghussa kar raha tha aur ghusse mein uss ne achanak Rathod ko phone kiya batanane ke liye ke ussko do ajnabiyon ke finger prints mile Sanjana ke bed par. Rathod ne uss se poochaa ke finger prints criminal records mein kissi se milta hai ke nahin to Khan ne kaha ke nahin bilkool naye finger prints hein. Aur Rathod ko batana para ke Vicky zinda hai aur ussne ussko contact kiya. Turant Khan Rathod se milne gaya.
Donon mile ussi samundar ke kinare. Kuch der faaltu ke batein karne ke baad khan ne kaha,
“Yaar koyi hai iss sab ke piche. Someone is playing a game somewhere! Raghuveer sala thik se kaam nahin karne deta. Kabhi kabhi to mujhko shak ho raha hai ke kahin uss kutte ko kuch ziada pata to nahin? Kahin woh jaan bujh kar mere kaam mein rok to nahin paida kar raha hai?”
- “Nahin yaar ussko keise iss case mein kuch pata ho sakta hai. Woh to outsider hai bilkool. Yeh sirf tum jaante ho ke main related hoon iss case se Raghuveer ko keise kuch pata hoga? Han tumse jalta hai aur tumhare kaam ko hamesha niche karke khud credit leta hai yeh sahi hai, magar pehle tum iss case ko aguey badhao tab nah woh kuch karega, tab nah woh yeh kahega woh kahega aur credit lega? Abhi to woh khud hum se bhi ziada ullo bana huwa hai. Ab hum donon ko pata hai ke Vicky zinda hai woh to keh raha tha ke ussko dead declare kiya jaye kissi ki encounter karke Vicky bataya jaye aur case ko close kiya jaye.”
- “Wohi to Rathod! Woh to yehi chahega ke main case ko solve nahin kar sakun, woh chahta hi nahin ke main asli mujhrim ko pakrun aur begunah ko azaad karun, mera izat jo badh jaega agar main ne weisa kiya to aur mujhko izat aur samaan mile ussko gawara nahin. Woh chahta hai main ek mamooli police officer rahun hamesha. Tumko pata hai mujhe inspector promote hone se pehle ussne kitna hungama kiya tha police force mein? Comissioner se lekar Politicians ko bharkaya tha mere khilaaf…yaad hai?....... Khair chorro aur batao Vicky kahan hai kia plan kar raha hai?
- “Mujhe kia pata Vicky kaha hai yaar? Unregistered sim se phone kiya tha, kaha ke thik hai, aur phir phone karega zaroorat padne par. Kaash uss ne kum se kum yeh bataya hota ke kaun the uss ke ghar mein uss raat ko….. Kaun uss ke ghar mein ghuss sakta hai?”
- “Uss ke watchman se pata chala ke ussko chuthi diya gaya tha Vicky ke janam din ke khushi mein uss raat ko…. Yeh taqdeer ka khel bhi hai, thik ussi roz watchman ko bhi nahin hona tha, tabhi kisssi ko ghar mein ghussna tha……..” ( Khan achaanak ruk gaya baaat karte karte aur kuch sochne ke baad khilte chehre se kaha…) Rathod hum ek jagah nahin gaye…uss restaurant mein jahan se Vicky aur Sanjana wapas ghar aaye the? Kiss restaurant mein gaye the donon?”
Rathod ne detail diya aur Khan gaya uss restaurant mein chaan bin karne. Khan ne wahan ke manager se poocha ke kia koyi aur unn donon ke saath the uss birthday celebration mein. Jawab negative mila. Waiters aur baaki ke sab kaam karne walon ne bataya ke sirf bhai behen ne party kiya tha aur koyi bhi nahin the unnke saath. Khan niraash hokar wapas lauta.
Vicky ne Rafiq Haayat se contact kiya aur milne bhi gaya. Uss ne sab baat samjhaya Rafiq ko aur uss ne kaha ke yeh usske bayein haath ka khel hai Vicky ke roop badalne ka. Vicky ne do roop select kiya ek hippie ka aur ek budhe aadmi ka. Hippie wala roop woh raat ko istemaal karne ke liye aur budhe wala roop din mein agar sheher mein mawjood rehna ho to. Jiss hulya mein woh budhe bane uss mein uss ne apna ek tang ko tedha kar liya aur jhuk gaya taake usske kad se koyi ussko nahin pehchaane. Nakli Safed daadhi, chehre par goal chasma, ek kala maassa dayein enkh ke niche, safed nakli baal. Chalte waqt woh ek laathi liye bilkool jhukh gaya aur uss ka kad bilkool nahin nazar ata jhukne ki vaajah se. Aaine mein khud ko dekh kar Vicky heyraan reh gaya ke woh woh nahin tha…… Aur hippie wale roop mein, lambe sunehre baal jo usske kaandhon ko chhuwe, kala chasma, phoolon wale rangeen shirt, laal patloon, sar par American hat aur gaal par el kaala masaa, aur munchein itne lambe ke latakte nazar aate. Donon bhess mein bilkool Vicky ko pehchaana nanmumkin tha. Rafiq ne awaaz bhi badalne ko seekhaya Vicky ko aur do ghanton tak train bhi kiya badle huwe awaaz mein baat karne ko, ek budhe ki awaaz aur ek hippie ke style mein bolna…. Vicky bilkool kaamyaab raha donon roop mein. Hipie wale roop wale samaaan ko ko bag mein bhar ke, Vicky sheher ke unn galion mein budhe ke roop mein gaya jahan black mein samaan milte the ek ek kar ke kayi logon se poocha ke kahan ussko ek zabardast revolver milega…kayi dallon se mila aur aakhir mein ek ne ussko ek aadmi se milaya jissne Vicky ko ek eise aadmi ke paas lekar gaya jisske paas kayi tarah ke hatyaar the. Vicky ne ek Magnun revolver kharida aur 500 se ziada .44 golian.
Revolver eisa tha: aur golian eise:
Usske baad Vicky ne Mathur sahab ko phone karke milne ke liye bulaaya aur kaha ke ek company ka use karta huwa Laptop wireless connection ke saath usske liye laaye, jiss mein company ka network bhi paya jae, saath saath kuch blank DVD’s aur kuch pendrives bhi. Tab tak ussi budhe ke bhess mein Vicky ne ek high resolution wala digital camera kharida tripod ke saath. Sab kuch bag ke andar dala, payment kiya aur gaya Mathur sahab ka wait karne.
Jab Mathur sahab uss jagah par ponche jahan Vicky ne ane ko kaha tha, to Mathur sahab ki Mercedes thik wahin ruka jahan budhe ke bhess mein Vicky khada tha laathi ke saath jhuka huwa. Vicky dekhna chahta tha ke Mathur sahab ussko pehchanega ya nahin. Jab Mathur sahab car se nikle aur Vicky ko talaash kar raha tha to ek budhe ne Mathhur sahab se time poocha, Mathur sahab ne ussko time bataya. Phir Vicky ne Mathur sahab se kaha, “ab to laptop dedo uncle…..” Phir bhi Mathur sahab ne nahin pehchana Vicky ko aur socha ke kissi police ka aadmi hai woh aur ussne call ko kissi tarah se tap kar liya hoga, tap karke pata laga liya… Tab tak Vicky ne apni asli awaaz mein muskurate huwe kaha, “Uncle main hoon chalo car ke andar …..”
Badi khushi huwi Vicky ko ke ussko pehchaana namumkin tha. Khud Mathur sahab ne kaha ke koyi police ka baap bhi ussko uss bhess mein nahin pehchanega kabhi. Mathur sahab ne poocha ke laptop ko charge keise karega to Vicky ne kaha ke Mototcycle charging kit kharida hai ussne aur zaroorat padne par charge karlega. “Magar Laptop ki kia zaroorat hai?” Mathur sahab ne poocha, to Vicky ne bus itna kaha, “Waqt ane par aap ko pata chal jaega uncle, fikar mat karo aap.”
Aur Vicky aakhir mein langdate huwe uss sunsaan kone mein gaya jahan apne motorcycle chupata hai, aur wahan Vicky ke bhess mein phir aya, nakli bhess ko bag mein rakha aur motorcycle phir se hawa se batein karne lagi highway par jangal ke taraf jaate huwe…..
To be continued………….