• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Faraar (COMPLETED)

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,599
259
Update 32

Vicky ne apni aakhri chaal chali MLA ko faansne ke liye aur Jugdish se badla lene ke liye. Aakhri plan tayyaar kiya.

Magar uss se ek din pehle Vicky Rita ko phone karke uss se milne gaya, magar ussi Hippie ke roop mein. Rita ko pata bhi nahin chala ke woh Vicky hai. Vicky ne Rita ko 5 lakh rupaye diye usske achche kaam se khush hokar. Aur Rita se kaha ke woh usske ghar dekhna chahta hai. Khushi khushi Rita Vicky ko apne ghar legayi.

Jo Vicky ne socha tha wohi hua. Rita ek gharib ladki thi aur ek tooti phooti choti si jhompre jeise makaan mein rehti thi lakdi aur tin se bana hua, jhopar patti ke ek kone mein. Ghar mein ek budhi maa thi jissko koyi rog tha. Pooch taaj ke baad Vicky ko pata chala ke Rita ki maa ke pheinpron mein problems hai aur operation ki zaroorat hai. Rita ki haalat dekh kar Vicky ka mann bhar aaya aur usske ke enkhen nam ho gaye. Vicky turant uss jhompre se baahar nikla aur ek phone kiya kissi ko. Kuch der baad wahan ek van aya aur uss mein se kuch aadmiyon ne Vicky ke ishaare par Rita ki maa ko kissi bade hospital lekar gaye. Vicky ne sab intezaam kar diye operation ke kharche ke liye apne office mein Mathur sahab ko phone karke sab samjha diya.

Vicky Rita ko bank lekar gaya Mathur sahab ke saath aur usske liye ek account open karwaya aur 10 laakh rupay add kiya usske account mein. Mathur sahab sab kar raha tha Vicky hippie ke bhes mein tha iss liye sab kaagzaat lekar Vicky se sirf sign karwa rahe the; phir ne Rita ko sab samjhaya ke keise paise nikala jaye etc. Sab hone ke baad Rita Vicky ke seene se lag kar phoot phoot kar rone lagi sab ke saamne bank mein hi. Vicky ussko chhup karate hue sambhaal raha tha. Rita ensoowon ke dhaar mein boli,

“Aap kaun ho main nahin jaanti, magar aap ek farishta ban kar meri zindagi mein aaye aur itna kuch kiya mujh gharib ke liye… apne jism ka sauda karna meri majboori hai, main eisi nahin thi bilkool, meri maa ki bimaari ki vajah se sab karna pada, main ziada padhi likhi nahin aur kahin naukri nahin mil rahi thi, maa kaam karti thi aur main ghar par rehti thi….magar jab woh beemaar ho gayi to ghar mein khaane ko kuch nahin tha, phir maa ki dawaai ke liye paise chahiye the…. aur main kaam ki talaash mein gayi to sab meri majboori ka faeda uthana chahte the, sab ki nazar sirf mere jism par the….. aur koyi chaara nahin bacha tha ke ek call girl ne khud mujhe sahara diya aur dhanda seekhaya yeh kehte hue ke bahot paisa milega jism bech kar…. Phir main majbooran uss line mein aagayi…… Main har roz yeh praathna karti thi ke uss gandagi se nikal sakun, Bhagwaaan se har roz yeh praathna karti thi ke mujhe koyi raasta dikhaaye ke main uss mahaul se nikal sakun…aur Bhagwaan ne aap ko bhej diya mere liye aap mere liye uss Bhagwaan se badhkar ho sahab!!”

Rita itna ro rahi thi ke khud Vicky ke ensoo chalak pade usski daastan sunkar aur Rita ke sar par apne haath pherte hue Vicky ne kaha,

“Chalo ab tumko woh sab nahin karna padega. Tumko jitney paise diye hai main ne tum araam se jee sakti ho….. Aur zaroorat padne par main aur dunga, mere aadmi mujhko khabar deta rahega tumhara, tumhare liye ek makaan dekh liya hai main ne ab tum wahan rahogi. Tumhari mummy ke operation ke baad tum ussko uss ghar mein lejana. Main baad mein tumko ek naukri dilwaunga ek achchi company mein, magar tumhari maa ke ghar wapas lautne ke baad….. Jao, khush raho aur Bhagwaan ka shukriya ada karo sab ussi ne kiya hai. Woh tumse khush hai ke tumne keise bhi karke apni maa ki dekh bhaal kiya… shayad issi liye mujhko tumse milwaya.”

Rita bahot royi uss roz, apne tamaam dil ke gham dho dale apni khud ke ensoowon se ussne.

Aaakhir mein Rita ko usski naye makaan mein lejaya gaya jo Vicky ne usske liye kharida tha. Aur wahan Rita ki part khatam hui.

Vicky ne apne plan ke motabik MLA ko faansne ke liye ek drug dealer se kayi kilos brown sugar aur kaafi hathyaar kharide, bandook aur box bhare hue golion ke saath. Aur 2 time bomb bhi. Assal mein 3 time bomb kharida tha Vicky ne, ek ka istemaal kahan karna hai woh baad mein chalega. Ussko sab samaaan MLA ke ghar ke andar rakhna tha problem yeh thi ke keise rakha jaaye! Security sakht thi MLA ke ghar mein.

Vicky ne Khan aur Rathod ke saath milkar plan samjhaya aur unn logon se kaha tarika dhundne ka samaan ko MLA ke ghar ke andar daakhil karne ke liye. Plan yeh tha ke jeise hi maal ghar ke andar jaega, Khan ko phone aega ke MLA hathyaar aur drugs ki business mein mubtela hai mafia ke saath milkar…. Aur Khan aur Rathod ussko giraftaar karne jaenge. Problem tha MLA ke ghar ke andar ghussna.

Vicky ne uss problem ko Khan aur Rathod ke liye chorr diya aur apne office ke kuch kaamon mein busy hogaya.

Phir Vicky ne khud se yeh kehte hue apne aap ko paaya,

“Main ameer hoon, maaldaar hoon to sab badla le paa raha hoon, meri tarah pata nahin kitne begunah eise kissi saazish ka shikaar hokar ghut ghut kar mare honge Raghuveer aur MLA jeise kutton ki vajah se!! Pata nahin dunya mein kitne eise bequsoor log eise haalaat se guzren honge!! Mujhe unn sab bekasoor logon ka badla lena hai…koyi baat nahin kitna bhi maal khatam ho jaye Sanjana ki jaan se se ziada to nahin hein yeh maal o dawlat, uss gharib bekasoor ki jaan se ziada to nahin hein mere paise! Paise kissi tarah business mein wapas ajaenge….. magar inn kutton ko chorrna nahin hai kissi bhi keemat par…main apne tamaam dawlat luta sakta hon inn darindon ko sazaa dene ke liye…han bilkool kitna bhi kharch ho jaye koyi parwa nahin mujhe bus inn kutton ko marna hai ya jail mein sadhna hai ab…..”

Phir achanak Vicky ka cell phone baja,

“Hello kaun?”

“Aap batao! Meri awaaz pehchani aap ne?”

“Nahin to, yeh number bhi kabhi nahin dekha kaun ho aap?”

“Are Vicky ji, main Farheen aap ki di hui mobile se phone kar rahi hoon, thank you so very very much its so kind of you, I love you heeyyyyyy!!”

Yeh sunkar Vicky hakbaka gaya aur muskurate hue kaha,

“Farheen, stop being childish, eise nahin bolte!”

Farheen ne bachpane andaaz mein kaha,

“Kyun ji? Kyun eise nahin bolte main to bolungi aur baar baar bolungi,ke I LOVE YOU, I LOVE YOU AND I WILL ALWAYS LOVE YOU MUUUUUUUAAAAAH!!”

Aur Farheen ne phone kaat diya. Aur mudhkar dekha ke Khan aur usski biwi usske peeche khade usske baton ko sun rahe the…..

To be continued………………..
 
Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,599
259

bondjamesbond09

Active Member
1,613
4,380
159

very good
 
  • Like
Reactions: Casinar

Ng_TheViper

Member
336
706
93
Hmm nice update..
Rita ki help karna sabse jyada jaruri tha.. wo ye sav majburi m Kar rahi thi aur agar aaj help na kia jata to ek din wo b galat raste o Jake kho chuki hoti..kher ab rita ar uski MAA ki jindgi sanwar gai h..

Vicky n MLA ki setting b kardi h but ab lag Raha h ki Vicky ka Dil abtk bhara ni h..insab haadso k vaad ek Naya hi Vicky samne aaya h Jo ek businessman k aath ek khatarnak aur berahem killer b h..

Ab social service b ki jaegi aur saza b de jaegi ..agar ye kaam Vicky Inspector Khan ar Rathod k sath milkr karte h to acha rahega.. kyuki agar Vicky n akele kia to pakka is bar Khan n chodenge aur ye kanoon ki nazaro m b galat hoga kyuki saza Dena kanoon ka kaam h..

Let's see Kya hotah h...
 
  • Like
Reactions: RAAZ and Casinar

Axba

Active Member
1,422
1,532
143
bahot bada kaam kiya vicky ne Rita ko uss daldal se nikaal kar, rita ki kahani jaan kar dukh hua magar khushi hui ke Vicky ne ussko aur usski maa ki help kiya.
 
  • Like
Reactions: Casinar

Rahul

Kingkong
60,514
70,679
354
bahot mazaa aya padhke ke Vicky ne keise Rita ki madad kara
lovely update Casi
 
  • Like
Reactions: Casinar

Rahul

Kingkong
60,514
70,679
354
waiting next update chachu
 
  • Like
Reactions: Casinar

Thakur

असला हम भी रखते है पहलवान 😼
Prime
3,250
6,781
159
Re chachu idhar :ecs:
Kya baat he Casi chicha :D: maja ayega ab
 
  • Like
Reactions: Casinar
Top