ayush01111
Active Member
- 1,510
- 1,627
- 143
N
Nic oneAB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY APNE DAD KI BAAT APNE DOSTON SE DODGE KAR DETA HAI WAHIN DUSRI TARAF USKI CLASS ME EK NAYI LADKI KHANAK ENTRY KARTI HAI JISSE PATANE KE LIYE SANVY SAM KO CHALLENGE KARTA HAI.
AB AAGE:-
CHAPTER-1
(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)
UPDATE-6
CITY-DEHRADUN
PLACE-SIRIUS
TRRRRRRRRRRRRRRR......
class off hone ki bell bajte hi hamari feku RENUKA GURUNG MISS chalti bani...
waise aaj ka topic woh kuch der pehle hi clear kar chuki thi isiliye baaki ka waqt humara free hi tha jo ab extend ho chuka tha...
is beech jahan mai SONU aur NITS ke saath masti kar raha tha, dusri taraf SAM,EKPREET, RAJAT, NAISHA aur ANJALI RASHI ke saath baat kar rahe the joki kisi reason se kal absent thi aur isiliye uska section change aaj hi hua tha wahin teesri taraf mid portion waali benches bar baith KHANAK uske ab tak ke chhute hue notes ko ANJALI ki notes se copy kar cover kar rahi thi..
ye chiz baaki sabke saath saamne khada SAM dekh chuka tha aur isiliye ek baar mujhe dekh mere diye challenge ko yaad kar woh badh chala KHANAK ki taraf aur uske paas pahunch...
SAM-hey beautiful.. what's up...???
KHANAK-hey SAM.... nothing yaar...incomplete notes complete kar rahi hun...
SAM-you know,kal mai bhi kuch hindi me likh raha tha but ek aisa word beech me aa gaya ki meri pen us word ko cross hi nahi kar paayi aur jo likhna tha,woh bhi incomplete reh gaya...
jahan bade maayus hokar kahi ye baat SAM ne wahin KHANAK,joki tezi se apne notes likh rahi thi,SAM ki ajeebogarib baat sun uska pen achanak hi rook gaya aur face par hairangi liye woh SAM ko dekhne lagi jiske baad..
KHANAK-what nonsense..???!!!
SAM-its true..
KHANAK-you are saying ki kisi shabd par pahunchte hi tumhara pen aage nahi likh paaya...!!!
SAM-that's what i said...
KHANAK-acha..mai bhi sunu,aisa kaun sa shabd tha woh bhala..!!
SAM-tumhara naam... KHANAK...ab itne beautiful naam se aage badhne ki gustaakhi bhala meri pen kaise kar sakti thi...??
KHANAK-kuch bhi haan...
SAM ki baat sun KHANAK sharmate hue neeche dekhne lagi wahin mai,SONU aur NITS jinki aankhein aur kaan, dono hi is waqt SAM aur KHANAK par lage hue the,KHANAK ki nazarein neeche hote hi SAM ne dekha hume aur wink kiya jispar..
NITS-laga liye loude bhosdike..ajeeb kism ka chodu hai be tu SANVY...billi ke saamne dudh ka patila paros diya..kya socha tha be..???woh toh pura doodh chaat hi jaayegi naa...
SONU-ssach mme SANVY...SSAM ko ttere CCHHHUT ne ekk nnayi CHUT dillwa di...
NITS-waah,kya line boli bhai..waise is line se ek thought aaya hai..
kya lagta hai guys..jis bande ne CHHUT shabd banaya hoga,kya ussine CHUT shabd ka bhi ijaad kiya hoga..
issi match making bokloul talent ki baat kar raha tha mai jiska taaza namuna abhi abhi pesh kiya hamare NITS ne jiske baad baari baari hum dono ko aise dekhne laga woh jaise bohot gambhir mudda uthaya hai usne par humari usse ghoorti nigahon ko dekh chehra sidha ho gaya uska aur...
NITS-theek hai.. baad me discuss kar lenge...
HEY GUYZ...BURGER KHAANE CHALEN..TREATS ON ME...
hamare taraf aate hue kahi ye baat SAM ne..kahi toh ye baat usne hum teeno se hi thi par uska smiling face mujhpar hi tika tha maano mujhse keh raha ho ki"THE GAME IS GONE"....
anyways,uski baat sun..
MAI-i am good man..in dono ko lejaa...
NITS-tu khila raha hai..hum toh jaayenge bhai...waise SAM..bhai line toh badi sahi boli thi tune KHANAK se..
SAM-so you all heard... matlab nazarein aur kaan hum par hi tha aap teeno ka..
i hope bura nahi laga kisiko...
aakhri line mujhe dekh kahi SAM ne jiske baad NITS aur SONU ke saath woh palathne ko hua par tabhi...
MAI-"ae kalam zara rook rook ke chal, dekh kitna haseen MUKAAM AAYA HAI...
ae kalam zara theher jaa,teri nok ke neeche mere mehboob ka NAAM AAYA HAI"...
issi shayri se lines banakar dialogue chipkaya naa tune KHANAK par...
meri baat sun jahan SAM turant palta wahin uski aankhon me hairani thi..usse andaza nahi tha ki mai uske dialogue ka secret jaanta tha...
wahin apni baat bol SAM ke saamne khada hua mai aur..
MAI-beta bura unhe lagta hai jo GALATH hon aur SANVY ka toh GALATH bhi SAHI hota hai..
jahan ye bol mai wapas apni jagah baith gaya wahin SAM ka mooh jo halka chota sa ho gaya tha,usse dekh NITS aur SONU ki hasi chhut gayi jiske baad..
NITS-SAM..maana ki tu champ hai..par tu ye kaise bhul jaata hai ki mooh chodi me tu bhi isse nahi jeet sakta...
chal bhai,aaj mai hi tujhe burger khilata hun...
ye bol jahan SAM ko liye NITS, SONU aur unke saath ANJALI and group ke saath khade EKPREET aur RAJAT bhi nikal pade,wahin mai bhi sir ko shake kar muskurata hua apni ek note book nikal kuch likhne laga...
TRRRRRRRRRRR....
HEY SAM..CAN I SIT HERE...???
recess off hone ki bell baji hi thi ki mere kaano me padi KHANAK ki awaaz jo mere saamne khadi smile kar rahi thi...
environmental science jiski class thi abhi,uske teacher filhal aaye nahi the aur naahi NITS,SONU aur mere baaki friends loute the aur isiliye meri side ki seat khaali thi jisse dekh mere paas aakar ye sawal pucha tha KHANAK ne jispar...
MAI-nahi bola toh nahi baithogi...???
KHANAK-nahi,baithungi toh tab bhi par tum smile karkar haan keh do toh khushi khushi baithungi....
MAI-ssss...ab ye toh mat kar dena yaar...???tumhare akeli ki smile itni bhaari hai ki uske upar aur muskurana,kahin kuch GALATH na ho jaaye..
KHANAK-my my....somebody has charm...
MAI-nopes...khuda ki bemisal kaarigari ko dekhkar bhi agar zubaan se kuch acha naa nikle toh woh khuda ki touhin hogi naa...
aur aisi himakat bhala mai kaise kar sakta hun...!!!
ab meri is baat par kuch bolte hi nahi bana KHANAK se aur woh blush karti hui bas chupchap mere side par aakar baith gayi..
kuch pal beete par jab woh bas khamosh baith beech beech me kankhiyon se mujhe dekhti bhar rahi toh uski taraf ghuma mai aur..
MAI-matlab mujhe gunahgaar thehrana hi hai aapko..???
KHANAK-what..??nahi..kyun bol rahe ho aise...???
MAI-jiska naam hi KHANAK ho,uspar khamoshi achi nahi lagti..
aur mujhe lagta hai ki is gunah ka zimmedar mai hun...
meri is baat par sir neeche kiye aur zyada blush karne lag gayi KHANAK aur...
KHANAK-please SANVY...!!!
MAI-chup ho jaaun..!!!
KHANAK-kuch aisa mat bolo ki mai chup ho jaaun...
MAI-yaar hum toh aapki taarif kar rahe the..ab aapko apna hi aks hamari nazaron se nahi dekhna toh koi baat nahi...
zubaan aur aakhein,dono hi band kar leta hun mai....
meri is baat par KHANAK ka chehra tezi aise meri taraf ghuma maano mai wakayi apni aankhein band karne waala hun..
kaha usne kuch nahi, bas kuch pal mujhe yunhi dekhti rahi par tabhi...
JISKO JO KARNA HAI KARO,BAS AWAAZ NAHI AANI CHAHIYE....
ye thi hamare environment science ke teacher shri RAJESH CHAUHAN ki awaaz jinhone apne parso waala dialogue repeat kiya aur apni badi si tond dikhate hue chair par pasar gaye..
waise bhi kal sir ne pehla chapter ek class me hi khatm kar diya tha isiliye aaj toh unhe class free chhodna hi tha jo unhone kiya..
wahin sir ki baat sun mai dobara KHANAK ki taraf mudne ko hua par tabhi meri nazar padi class ke entrance par khade SATISH VERMA urf SATTU par jo mujhe hi dekh kuch ishara kar raha tha..
aur ye dekh mera dimag thanka...
recess off hue 10 minute se zyada ho chuka tha par strangely abhi tak SAM, EKPREET, RAJAT,NITS aur SONU wapas nahi loute the..
KHANAK se baatein karte waqt is baat par dhyan nahi gaya tha mera par ab achanak SATTU ko apne saamne dekh joki normally mujhse bachne ke bahane dhundta hai,kuch gadbad feel hone lagi mujhe...
KHANAK-who's that...???
KHANAK ne bhi SATTU ko dekh liya tha jiske baad pucha usne ye sawal jispar...
MAI-B secton ka banda hai..kuch kaam hoga..aata hun..
ye bol bina KHANAK ki taraf dekh aage badh sidhe sir ke saamne khada hua mai aur..
MAI-sir,can i go to the bathroom...???
meri baat par bina meri taraf dekhe mujhe jaane ka haathon se aise ishara kiya sir ne maano mai lund khole unke mooh me hi mootne ke liye khada tha..
MAI-kya hua be...?
class se nikalte hi pucha maine SATTU ko jispar..
SATTU-bhai,SAM aur tere baaki dost problem ne hain...
MAI-puri baat ek baar me bata...
SATTU-bhai,recess me SAM aur baaki sab school se bahar jo burger joint hain,wahan khade the..
mai bhi tha udhar ki tabhi SAMRAT ke dushyant aur uske kuch bandon ne unke saath gaali galoch ki aur apni bikes par nikal gaye..
(NOTE:-SAMRAT SCHOOL & COLLEGE..PRINCE ke baad SIRIUS ki sabse badi rival par saale humse school division me pichle 3 saal se lagatar har competition,har championship me haar rahe hain.. isiliye khunnas khaakar lagatar kisi na kisi baat par SIRIUS ke students se bhidte rehte hain..)
SATTU-ab tujhe toh pata hai,apni school ka aur SAMRAT waalon ko chhatis ka aankda hai...
aur khaaskar SAM aur wahan ke students ke beech school se bahar takkar hoti hi rehti hai...
isiliye unki gaali sunte hi SAM aur baaki sab bhi unke piche nikal pade...
SAMRAT me apne bhi kuch trusted bande hain,mere paas unka kuch der pehle messege aaya ki SAM aur uske friends ko gherne ke liye bohot se students nikle hain...
ab bhai,apne toh bas 4,5 hi bande nikle hain aur woh toh definately zyada honge..hume bhi bando ko lekar turant jaana chahiye bhai...
MAI-dushyant bole toh woh jo SAMRAT ki taraf se 100 metre ke liye represent karta hai....
SATTU-haan bhai,wahi.. DUSHYANT PATEL...tere ko toh pata hai naa ki SAM se sabse zyada khaar wahi khaata hai...
MAI-mujhe ye bhi pata hai ki SIRIUS ke complete dimensions ke aas paas,infact outer skirts me bhi kisi outsider ka aana allowed nahi hai unless uske saath koi SIRIUS ka student ya authority ho...
ROHAN....
turant man hi man nikla ye naam mere mooh se kyunki ek ROHAN hi tha jisse us dushyant ki thodi bohot yaari thi...
infact,maine kayi baar is dushyant aur uske doston ko ROHAN ke saath apne area me bane cafe me jam karte dekha hai...
kuch seconds chizon ko process kiya maine aur phir...
MAINE-class me kaun hai tere...???
SATTU-free period hai bhai...apne sports teacher MAANIKPURI SIR baithe hain...
MAI-badhiya..ek pen paper lekar aa, turant...
SATTU-pen,paper,kyun bhai...??
MAI-bhosdike...
SATTU-laata hun bhai...
hadbadakar ye bol turant lapka ek room ko taraf SATTU.. pen toh uski poket me hi tha,bas paper chahiye tha usse jo woh kuch hi seconds me lekar haazir ho gaya.
plain paper mil gaya tha lounde ko..gazab...wakayi jugadu tha saala...
MAI-jo bol raha hun,likh..
meri baat bol likhne ki position me aaya SATTU jiske baad maine bolna shuru kiya jisse sun ek pal hairat se dekha usne mujhe par bina kuch puche woh bas likhta gaya..
ab essay toh likhana tha nahi mujhe..kuch words the jo jald hi likh liye SATTU ne jiske baad...
MAI-chal,tu class nikal..dekh lunga mai...
SATTU-thik hai bhai....aur haan, bhai mere bande ne bataya hai ki woh lounde SAM aur apne baaki doston ko unki school ke just opposite jo mandir ke aage waali ground hai naa,wahin gherenge...
woh jagah is time khaali rehti hai...
ye bol SATTU nikla apni class ki taraf aur kuch seconds baad mai bhi ussiki class ki taraf badh chala...
MAI-may i come in sir...
class ki entrance par pahunch kaha maine ye jisse sun hamare SPORTS TEACHER,MR KUSHAAL MAANIKPURI SIR ne dekha mujhe aur...
MAANIKPURI SIR-yes..come in...
MAI-sir,ye letter recess me ek banda bahar chhod kar gaya tha...bol raha tha,ROHAN ko de dena..
MAANIKPURI SIR- letter.. seriously...what year is it...???2000...
aur letter jab ROHAN ke liye hai toh tu mujhe kyun de raha hai..???
MAI-SAMRAT waale ek bande ka letter hai sir ye..i think ki aap padhen toh zyada sahi hoga...
SAMRAT waale bande..bas itna sunte hi kaan khade hi gaye MAANIKPURI SIR ke..
REASON..
waise toh sir kaafi disciplined aur sharif bande hain,par agar baat sports ki ho toh ye dimag se nahi,dil se sochte hain aur jab baat SIRIUS ki ho toh is sharif aadmi se bada koi gunda nahi..
aur sir jaante the ki SAMRAT waale SIRIUS ke champions se kitna jalte the aur unhe pysically harm karne ke liye hamesha planning karte rehte the..
aur hamare school ka ek champion ROHAN bhi tha.. isiliye meri baat sun jhat se paper liya sir ne mere haath se aur usse kholkar padhne lage..
"OYE ROHAN MAADARCHOD"..TERE PARTNER SAMEER KO AAJ TARIKE SE BAJANE WAALE HAIN HUM...GAAND ME DUM HO TOH HUME ROK KAR DIKHAO SIRIUS WAALO...
ye lines likhi thi us letter me jisse padh kar MAANIKPURI SIR ka B.P ek dum se badh chuka tha.
maana ki ROHAN aur SAM school me ek dusre ke competitor the par jab inter school competition ki baat ho toh woh dono hi team mates the.
unki beech ki outside rivalry ki bhanak tak nahi thi MAANIKPURI SIR ko aur woh isiliye kyunki ROHAN aur SAM, dono hi hamesha sir ki GOOD BOOKS me rehna chahte the...
issi baat ka hi faayda uthaya tha maine kyunki mai jaanta tha ki is letter se jo aag MAANIKPURI SIR ke andar bhadakne waali hai,usme jalega ROHAN bhi aur woh kuch kar bhi nahi paayega...
aur hua bhi yahi..
kuch seconds nathune fulaane ke baad...
MAANIKPURI SIR-ROHAN,idhar aa..
ROHAN joki pehle hi mujhe yahan dekh boukhlaye hue tha,jab sir ne usse bulaya toh woh samajh gaya ki maine usse kisi jaal me lapeth liya hai..
par kar woh kuch sakta tha nahi isiliye sir ke bulaane par woh chupchaap sir ke paas aakar khada ho gaya jiske baad sir ne usse woh letter pakda gaya jisse padhne ke baad ROHAN ki boukhlahat aur badh gayi aur..
ROHAN-sir,i dont think ki aisa kuch bhi hua hoga...sir mujhe lagta hai ye is SANVEER ki koi planning hai mujhe fasane ki..
SIR/MAI-what...!!!!
maine aur sir ne ek saath kaha ye jispar sir mujhe dekhne lage aur tab..
MAI-sorry to cut you sir..par ye ROHAN baat hi itni ghatiya kar raha hai..
mai bhala kyun koi planning karun iske khilaaf..
sir,you can check for yourself..meri class se SAM, EKPREET, RAJAT, NITS aur SONU gayab hain...
ROHAN-sir,ye in sabki combined planning hai... infact,i am sure ki ye letter bhi isne hi likha hoga..
MAI-arre yaar..one second sir..
ye bol maine sir ke saamne rakhi hi pen uthayi aur...
"ROHAN MAADARCHOD"..
MAANIKPURI SIR-abbe ye kya likh raha hai...???
MAI-sorry sir..but prove karne ke liye ki maine ye letter nahi likha,isme jo likha hai,usse hi copy kiya maine..
but you can se here sir...is letter me likhi hand writing meri nahi hai aur naahi mere kisi friend ki..
aap chaahe toh cross check karwa lijiyega but sir, right now,the time is running out..
agar humne zyada late kiya toh aapke school ke champ ki bohot buri condition ho jaayegi...
MAANIKPURI SIR-theek hai..mai SAMRAT ke PRINCIPAL se baat karkar kehta hun to look into the matter immediately...
MAI-sorry sir but isse koi faayda nahi hoga..i am sure ki wahan ke ladke jinhone SAM aur mere baaki doston ko maarne ki planning ki hogi,woh unhone apne school premises ke andar toh karne ki sochi bhi nahi hogi..
infact,culprit students toh school gaye bhi nahi honge..
and i think,i know ki woh sab SIRIUS waalon ko school ke bahar waale ground me gherenge...
ROHAN-tujhe kaise pata...???
MAI-obvio hai mere champ..bas wahi ek aisi jagah hai jo abhi khaali bhi hogi aur SIRIUS ki student body ke reach se bahar bhi...
MAANIKPURI-theek hai..they want fight..we will give it to them... senior bando ko lo aur niklo us ground ki taraf...
PURAN ko bol dena ki maine permission di hai.. PRINCIPAL MA'AM ko mai manage kar lunga..
MAI-kisi senior ki zaroorat nahi hai sir..kisine dekh liya toh hamare school ka naam kharab hoga...
mere kuch friends hain jo abhi school ke bahar khade hain..utne kaafi honge..
MAANIKPURI-are you sure...???
MAI-dont worry sir...i got this..but sir,kya mai ROHAN ko saath le jaaun...???
MAANIKPURI-ofcourse...ye toh jaayega hi..he is one the champ of SIRIUS..aaj uske school friend's khatre me hain,like a true champion,he will rescue them..
right ROHAN....!!!.
ROHAN jo mera uska naam lete hi mana karne waala tha,sir ki baat sun uska woh inkaar uske andar hi dum tod gaya aur usne bas haan me apna sir hilaya jiske baad uske kandhe ko pakad usse apne saath paltaate hue mai ghum chuka tha par tabhi...
MAANIKPURI SIR-ek second SANVEER...ye le jaao and remember,not a scratch...
apni CBR 250 ki key meri taraf badhate hue kahi ye baat sir ne jisse unse le liya maine jispar mere ekdum paas aakar...
MAANIKPURI-this us unofficial..make that basterds understand ki SIRIUS waale sirf sports aur kisi bhi competition me hi nahi balki agar zaroorat pade toh ladhayi me bhi number one hai..
in one straight sentence,maiya chod dena saalon ki..
MAI-maiya kya sir,maiya ki maiya, unki naani bhi nahi bachegi aaj..
chale champ...
ye bol ROHAN ke saath palath school campus se hota hua TEACHERS parking lot ki taraf chal pada mai...
ROHAN-ye tu theek nahi kar raha hai SANVY..
MAI-aur jo tune kiya,woh theek tha.... behanchod,champ woh jo competition se bhaage nahi,uska saamne kare aur tu..
bhosdike, apne competitor ko hi raaste se hatane me laga hua hai gaandu..
CHATTTTTTTTT...
apni baat bolte hue hi tezi se ghuma mera haath aur pada sidhe ROHAN ke piche gardan par jispar uska pura gale waala area jhanjhana gaya...
apni gardan ko masalte hue usne dekha mujhe par aisa karte hi uski fath kar haath me aaa chuki thi..
is waqt aankh meri puri laal ho rakhi thi aur chehra halka halka shake kar raha tha..
mere is roop ko dekh jisse pehle bhi dekh aur jhel chuka tha ROHAN,kuch bolne ko hua woh par tabhi...
MAI-ek shabd nahi gaand ke jane... chupchap chal..warna dobara kabhi chalne ke laayak nahi rahega...
ye bol mai aage badha aur MAANIKPURI SIR ki bike stand se nikal usse ghumate hue ROHAN ke saamne lakar khada kar diya..
ROHAN jo ab bhi dara hua sa tha,chupchaap piche baith gaya jiske baad maine dheere se bike aage badha di...
MAANIKPURI SIR ki bike me the hum isiliye bina zyada explanation ke hi STAFF GATE khol diya gate keeper ne jiske baad hum school premises se bahar nikal aaye aur tab idhar udhar dekhte hue...
ROHAN-woh bande kahan hai jinke baare me bol raha tha tu...???
MAI-meri jhaant me..aaja..ghus ke dhund le...
beta jhund me gherna tere aur us DUSHYANT jaise gidadon ki bhesh me naamardon ka kaam hai...
"hum toh BHAGAT SINGH ke BHAKHT hain...
laava bhi thanda lage, itna garm hamara RAKHT HAI"....
ye bol second gear me daali maine bike jiske baad...20,40,60,80 aur kuch hi palon me 100 ki speed touch kar chuki thi bike..
ye dekh bike ke piche bane bending stand ko pakad liya tha ROHAN ne par asal me uski tab fati jab bhid waale raaste ki shuruat ke baad bhi maine bike ki speed kam nahi ki..
badi swiftly road ki saari cars,bikes,trams ko kaaththe hue mai aage badhne laga tha..
aur phir aaya ek 180 degree turning chowk jispar aadhe se zyada tilt karte hue ghumayi maine gaadi par aisa karte hue bhi speed ka kaanta thoda bhi kam nahi hua aur ye dekh...
ROHAN-MAADARCHOOOOODDFDFDDDDD....
gaand faad zor se chilaaya ROHAN jo tez hawa jo itni speed se bike chalane ke kaaran mere kaano me baj si rahi thi,theek se sunayi bhi nahi di mujhe...
jis ground me hume jaana tha,woh hamare school se kareeb 8 km door thi jisse maine afternoon traffic ke baawjud 5 minute ke andar cover kar liya tha..
sixth minute hote hote hum us ground ki badi si gate ke andar enter kar chuke the aur aisa hote hi ground ke dusre kone me mujhe,joki kareeb 400 metre door thi,dikhe kaafi saare bande jinme se kuch neeche zamin par gire pade the..
ye scene dekh mai samajh gaya ki sahi jagah pahunche hain hum..
agle 200 metre me gaadi ka ignition off kar chuka tha mai par speed zyada hone ki wajah se agle 150 metre badi jaldi cross kar gayi bike jiske baad brake maar rohan ke saath utar chuka tha mai..
MAI-naa tu awaaz karega,naa toh bhaagega...dhamki aage dunga nahi kyunki meri koi baat bhi kati toh kuch bhi samajhne ki haalath me tu bachega nahi..
uske kandhe ko thapthapate hue paidal hi aage badh gaya mai...
apne blazer ko nikalte hue mai dekh raha tha ki SAMRAT ke kul 16 ladke the yahan jinme se paanch bandon ne SAM ko pakda hua tha aur 5 bande milkar NITS,SONU, RAJAT aur EKPREET se ladh rahe the..
bacche 6 neeche pade hue the jiska matlab tha ki in paanchon ne un sabko samet diya tha..
gazab...jo 5 ladh rahe the,unki haalath bhi buri thi par EKPREET, RAJAT, NITS aur SONU ki haalath zyada kharab thi..
chaaron ke blazers gayab the,shirts kaafi zyada fath chuke the par shirt se zyada choten un sabke faces par dikh rahi thi...
aankhien halki halki band hone lagi thi unki jiske do matlab the..
ek toh ye ki kaafi der tak ladha tha un sabne aur isiliye exaust ho chuke the aur dusra ki sir par bhi chot lagi thi unke isiliye consciousness kamzor padh chuki thi...
yahi wajah thi ki kuch hi palon ke baad woh chaaron bhi neeche gir pade par tab tak un paanch logon ko bhi joki unse ladh rahe the,haalath kharab kar chuke the woh chaaron...
lambi lambi saansein lete hue woh paanchon bhi ghutne ke bal neeche baith chuke the aur ye sab dekh...
MANANA PADEGA YAAR SAM TERE DOSTON KO..JIGRA TOH HAI BHAI INKA...MERE 6 BANDE PEHLE HI LITA DIYE THE IN SABNE AUR GIRTE HUE BHI 5 KI HAALATH KHARAB KAR GAYE...
ye tha wahi dushyant jo is ladhayi ka jadh tha... muskurate hue ye sab bol woh SAM ke saamne aakar khada ho chuka tha..
is pure douran sab wahan ke maahoul me is kadar involved the ki kisiki bhi nazar piche meri taraf nahi ghumi thi..
anyways, DUSHYANT ki baat sun..
SAM-hum sab kya hai DUSHYANT ye toh issi baat se pata chata hai ki hum 5 ke liye tum 16 ko aana pada...
dum hai toh bol in sabko, chhode mujhe aur tu bhid mujhse akele..agar jeet gaya tu toh maa kasam agle interschool competition me hissa nahi lunga mai...
DUSHYANT-agle..beta,tu ab kisi competition me kabhi hissa nahi le paayega...
ye bol ek lohe ka rod apni bike ke side se nikala DUSHYANT ne jisse dekh pehli baar SAM ke face par nervousness dikhne lagi thi aur...
SAM-DUSHYANT....ye sahi nahi kar raha tu... beta,agar mere saath kuch bhi GALATH hua toh tera anjaam kya hoga,ye soch bhi nahi sakta tu...
DUSHYANT-zyada door ki mai sochta bhi nahi hun...apne liye toh jo hota hai,on the spot hota hai..
MAI-kitni baat karta hai re gaandu tu..maarna hai toh maar aur khtam kar...
aur tu bhosdike SAM...loude,haath pakde hain in sabne,pair toh khaali hai...
MAAR MAARADCHODON KO....
zor se chillaya maine apna takiyakalaam jisse sun jahan ek taraf woh DUSHYANT aur uske 5 bando ke sir turant meri taraf ghume wahin bas meri awaaz sunkar hi SAM ke face par dikhne waali tention gayab ho chuki thi..
SAM-bhaag lo be naadarchodon...baad me doudne ke liye naa pair salamat rahenge aur naa saansein barabar chalengi...
bade confidently kahi ye baat SAM ne jisse sun..
DUSHYANT-louda bhagega humara..hai kaun ye maadarchod...upar se bahubali ki tarah akela aaya hai gandu..
tere saath isse bhi nipta dete hain...
meri taraf badhte hue kahi thi ye baat DUSHYANT ne wahin mujhe jo bolna tha,jitna bolna tha,woh bol chuka tha mai..
ab tak DUSHYANT ke paas pahunch chuka tha mai aur tabhi..
mere mooh me punch maarne ke liye apna haath tezi se ghumaya DUSHYANT ne lekin...
badi tezi se naa sirf mai neeche jhuka balki apne ek haath ko uske ghume hue haath ke andar se lete hue uske dusri taraf ke shoulders ko jakad sa chuka tha mai..
aisa karte hi DUSHYANT ke ussi shoulder se energy create karte hue turant maine force apply kiya jiske baad apne kandhe ko upar ki taraf ek jhatka sa diya maine jisse uske ghume haath ke tricep me ek tez sensation hua aur woh haath sunn padh gaya..
yahi toh chahta tha mai...
thoda side hath uske ussi haath ko pakad apni taraf jhatka diya maine jisse DUSHYANT lehrate aur disbalanced hokar meri taraf ladhkhadaya...
aur agle hi second ek uppar punch diya maine usse jisse woh theek se jhel bhi paata,usse pehle hi woh mere kandho par tha jisse liye mai aage badh chuka tha..
ye sab itni jaldi hua tha ki naa SAM aur naahi usse pakde paanchon ko kuch samajh me aa paaya tha par jab un sabne apne leader ko mere kandhon par tika paaya toh ekdum se hadbadaye woh sab..
jo punch maine DUSHYANT ko maara tha,usse uska nichla nose portion fath chuka tha aur wahan se speedily bleeding ho rahi thi aur pain itna zyada tha ki sir uska bhaari ho chuka tha..
wahin hadbadane ke baad SAM ko turant chhod woh chaaron meri taraf lapke par tabhi...
DHABBBB.....
woh chaaron meri taraf pahunchte,usse just pehle hi maine DUSHYANT ko un sabki taraf ucchal diya..
teen bande DUSHYANT ki body ke hadh me aa chuke the jiske baad woh sab neeche gir gaye par jo chowtha banda side hokar khudko bacha chuka tha,woh tezi se badha meri taraf aur punch bana mere face ki taraf apna mukka ghuma diya usne par tabhi..
THAKKKK..AHHHHH..
apne right elbow ko pointed position me kar upar kiya maine jispar sidha pada woh mukka..
tez pain hua us ladke ke haath me jiske baad woh apna haath piche karne hi waala tha ki tabhi..
beech raaste hi pakad liya maine uska haath jiske baad..
KHATTT...
SAM-CHUDAN HIJI ATE.(ELBOW HIT ON THE MID BISCEPS)
DHABBB...
SAM-AGE HIJI ATE.(TWISTING THE HAND CHOKING BLOOD FLOW)
DHAKKK....
SAM-USHIRO HIJI ATE..(DOUBLE FIST HIT TO THE CHEST)
BHAKKK...
SAM-OROSHI HIJI ATE.(UPAR CUT PUNCH FROM ELBOW TO CHIN)
GREEN BELT HODLER WITH DASH ke jitne bhi strong hits hote hain,ek second me hi woh saare strokes perfectly hit kar diye the maine us ladke ki upper body par jiske baad kisi taash ke paate ki tarah gir kar behosh ho chuka tha woh..
wahin mere un hits aur unki perfection ko dekh un shots ka naam repeat karte hue aankh faade dekh raha tha mujhe SAM aur jab woh ladka neeche gira toh...
SAM-unbelieveable....
hairat se mujhe dekh khudse hi kahi ye baat usne jispar maine uski taraf dekh aankh maar diya....
par tabhi...
DUSHYANT ko chhod baaki gire pade teeno bande khade ho chuke the aur woh sab ek saath meri taraf badhe par mai taiyar tha..
tezi se swing hua mera right pair jo sidha pada ek ke mooh par lekin ye attack itna hi nahi tha..
kuch zyada hi speedily ghumaya tha maine woh pair isiliye us bande ko hit karne ke baad bhi mera pair badi tezi se dobara ghumne ko hua jisse ek naya shape diya maine..
taang ko liye mai bhi badi tezi se ghum chuka tha aur is baar jab meri body sidhi hui toh mai zamin par nahi balki kareeb 5 feet hawa me tha..
mera right pair ek bande ki naak ke paas aur left dusre ke maathe par padh chuka tha...
jahan in double hits se woh dono piche ki taraf ladhkhadate hue gir pade wahin mai bhi disbalanced hone ki wajah se peeth ke bal neeche gir chuka tha aur issi ka faayda uthathe hue ek maatra bacha hua banda tezi se mere paas aaya aur mere ando ko nishana banate hue usne apne pair chala diya par tabhi...
apne dono pairon ko kainchi bana rok liya maine uska woh pair aur saath hi saath us block ke baad uske pair ka sahara lete hue khudko thoda aage ki taraf kheencha maine jiske baad...
BHAKKKKK...AHHHHHHH..
jo woh mere saath karna chahta tha,woh maine uske saath kar diya..
mera ek pair sidhe uththe hue uske aand kosh se takraya jispar gaand faad zor se chillate hue zamin par gir pada woh aur chattpatane laga..
DHADDHHHH...DHADHHHHH....DHADHHHHH.....
mere kaano me ye tez maar ki awaazein padi jisse sun jab maine saamne dekha toh paaya ki SAM aur uske saath EKPREET joki ab uth chuka tha,dono milkar hokey sticks se baaki ke un paanch bandon ko jo mujhse bhidne meri taraf badhne lage the,un sabko tezi se baja rahe the...
EKPREET-tumhari maa ka chodu...gaand ki paidaawaron..saalo,suwar ke lund jaisa mooh rakh humse bhidoge be burchodike log..
ye sab bakte hue badi tezi se apna hockey ghuma raha tha EKPREET....
wahin DUSHYANT jiske naak ke raaste hadh se zyada blood nikal chuka tha,woh ek haath se sir aur dusra apni naak par rakhe ab bhi leta hua tha...
is beech mai ghuma piche ROHAN ki taraf jo aankhon me khauf liye mujhe hi dekh raha tha...
par isse pehle ki mai uski taraf badhta,woh khud meri taraf badha aur apne haath jod diye jiske baad..
ROHAN-bhai maa kasam..ye saale ye sab karenge,ye nahi pata tha mujhe.. maine toh bas ye bola tha ki thoda bohot maarte hue insult karkar chhod dena...
CHATAKHHHH..CHATAKHHHH...
MAI-kitna thoda.. hain maadarchod.. quantity bata loude...
ye bol mai lagatar tamache maarne laga ROHAN ko jispar jab kuch der baad woh mere thappad seh nahi paaya,toh pair pakad liye usne mere aur..
ROHAN-bhai maaf karde..dobara aisa kuch nahi karunga..
MAI-tu karna maadarchod..jitni gaand illi karni hai kar..roka maine..
CHATAKHHHH...
bol na bhosdoke..roka maine.
CHATAKHHHH...
lagatar kayi baar bajata raha mai uske gaalon par thappad jiske baad usse gale se pakad sidha kiya maine aur tezi se apne haathon ko ghumate hue uski gardan jakad li par tabhi..
EKPREET-abbe chhod bhai SANVY,kya kar raha hai...!!!abbe gardan toot jaayegi uski...
tezi se meri taraf bhaagte hue kahi ye baat EKPREET ne jispar...
MAI-toh...
ye bol ROHAN ki gardan par apni baanh ki giraft tight kar di maine jiske asar se uska mooh laal hone laga...
mooh halka khul gaya uska jisse uski laar nikalne lagi aur ye dekh kaafi dar gaya EKPREET aur..
EKPREET-bhai SANVY,mar jaayega woh yaar... please chhod de... SANVYYYY, tujhe aunty ki kasam...
BHAKKKKK...
EKPREET ki aakhri baat sunte hi ek tez laath di maine uske chest me jispar woh piche ki taraf lehrata hua gir pada..
par kaam uska ho chuka tha..gardan cchhod di maine ROHAN ki jiske baad woh bhi dhamm se niche gir pada..
wahin ghussa shaant hua nahi tha mera aur isiliye meri nazar padi SAM ke paas khade DUSHYANT par jisse SAM kuch mukke jadh chuka tha par uski fath mujhe dekh kar rahi thi..
aankhein waise hi laal thi meri jinhe apni taraf ghurta dekh uski halakh hi sukh gayi.
aur jab tezi se badha mai uski taraf toh woh bhaagne ko hua par SAM ne usse pakad liya..
SAM bhi jaanta tha ki mera ghussa, frustration abhi baaki hai jiska nikalna bohot zaroori hai..
anyways,mai pahunch chuka tha us DUSHYANT ke paas jiske baad apne ek haath me pakde hockey ko meri taraf ucchal DUSHYANT ko chhod diya SAM ne jiske baad piche haththe hue kuch kehne ko hua DUSHYANT par tabhi...
SOOBBBBHHH..DHAADHHHH..SOOOBHHHHH...DHAADDHHHHH..
ek ke baad ek kayi baar chali meri hockey jispar neeche zamin par gir chhatpaane laga DUSHYANT aur..
DUSHYANT-bhai,bhai maaf kar de bhai..bhai,maa kasam aayinda aisa kuch nahi karunga...
bhai, please bhai...SAM bhai,roko naa isse bhai...
MAI-tum saale maadarchod log...DHADHHH...samajhte hi nahi ho...DHADHHH...SIRIUS.... seriously lo loudo is naam ko....DHADHHHH.....
kyunki,ye koi...DHAADDHHHH...sirf naam nahi hai... DHAADDHHHHH...sirf ek institution nahi hai...DHADHHHH.... SIRIUS is a bloody emotion...DHADHHHH...
and no one,and i repeat,no one plays with it...DHADHHHH...DHADHHHH...DHADHHHH....
jab tak cheekh nikalti rahi us DUSHYANT ki tab tak usse maarta raha hai mai par phir jab uska consciousness level kam hone laga aur uski cheekh kamzor hone lagi toh phek diya maine woh hockey stick..
ab tak SONU,NITS aur RAJAT bhi sense me aa chuke the aur is waqt theek mere piche EKPREET aur SAM ke saath khade the..
waise toh hosh un SAMRAT ke bando ko bhi aa chuka tha par uththe hi woh sab nou do gyarah ho chuke the..
anyways,mere hockey stick fekte hi mere sabhi dost mere saath aakar khade ho gaye aur zamin par aadhe behosh ho chuke the DUSHYANT ko dekhne lage jiske baad mai jhuka aur uski aadhi khuli aankhein jinme ab bhi mujhe apne paas dekhne bhar se dar jhalakne laga the,unme jhaanka maine aur...
MAI-
socha bhi kaise tune ki tu mere doston ko KOOT DEGA...!!!!
SAMRAT utne hi kadam badhayega,jitne ki SIRIUS usse CHHUT DEGA...
jo hua woh zehen me zinda rakhna apne,warna...
agli baar itna maarunga ki lund tera khoon uglega aur mooh se tu MOOTH DEGA....
AAJ KE LIYE ITNA HI....
AAPKA APNA V...J...