• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

Rohit1988

Well-Known Member
2,265
7,205
158
AB TAK AAPNE PADHA KI NITS AUR SANVY KI SHAANDAR BALLEBAAZI KI MADAD SE SAM KI TEAM ROHAN KI TEAM KO HARA DETI HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-15

30TH APRIL 2019

CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE

MY,MY...AAJ TOH MERE DONO BACCHE KUCH ZYADA HI HANDSOME LAG RAHE HAIN..

WHAT'S THE OCCASION...!!!DOUBLE DATES PAR JAA RAHE HO KYA...???

SONU aur NITS ke ghar me aate hi puchi ye baat MAA ne..

BLACK SHIRT jisse kaafi ache se tuck in kiya tha apke wrangler blue JEANS me SONU ne aur kuch waise hi WHITE SHIRT ke saath blue jeans me tha NITS..

baal bhi dono ke aaj kuch zyada hi kareene se saje the maano jel ka lep lagaya ho unpar..

deo ke saath apni apni shirt par halka halka perfume bhi chhidka tha dono mahanubhavon ne..

shoes bhi brown aur black pointed pehne the aur jo kabhi nahi karte the dono, haath me watch bhi baandhi thi loundo ne..

ab unhe aisa chakachak ready hokar toh kahin jaate rare hi dekha tha kabhi MAA ne isiliye date waali baat par chedha unhone dono ko jispar..

SONU-isska ttoh ppata nnahi aunty ppar mmera aur ddate ka kkoi rrelation nnahi bban ssakta kkabhi...

NITS-hau,,aur kabhi banana bhi mat..kyunki tere chaar sentence bolne tak toh date ki timing hi khatm ho jaayegi..

MAA-NITTU.. GALATH baat...kabhi bhi kisike genuine problems ka mazak nahi udaate..

maana besty ho tum dono par phir bhi, it's not good...

SONU-itts ok aunty...mmujhe iskke aur SANVY kke mmazak ppar tthoda bbhi bbura nnahi llagta...

wwaise bbhi,inkki jjagah kkoi aur mmere sttamering kka mmazak uddaye ttoh ye ddono hhi uskki haallath kkharab kkar ddete hhain..

MAA ki baat dun sorry bolne jaa raha tha NITS par SONU ne jo kaha,joki sach bhi tha,usse sun bas muskura utha woh..

wahin smile toh MAA ke face par bhi thi jiske baad..

MAA-aisa hona bhi chahiye..agar kabhi teri problem me tere saath,infact tere aage nahi khade hue ye toh mujhe batana..

taange tod dungi in dono ke...waise ab bataoge ki itna ready hokar jaa kahan rahe ho..???

SONU-SANVY nne nnahi bbataya aapko..??? humare ppure ggroup kko KKHANAK nne apne gghar ppar ddinner mme bbulaya hai...

MAA-really.. that's good...

NITS-kya good aunty.. dinner timing 7 pm ki rakhi hai usne..batao bhala,itni jaldi koi dinner karta hai kya..??

mujhe toh aisa feel ho raha hai jaise snacks khaane jaa rahe hain...

MAA-hahaha..ye KHANAK ke dad army man hain..??

NITS-jee aunty.. aur woh bhi LIEUTENANT GENERAL...

MAA-toh beta,unki dinner timing toh aisi hi hoti hai..

and they are very very punctual too..time se pehle pahunch jaana warna first impression hi bigaad jaana hai..

NITS-isiliye toh 6 baje hi ready ho gaye hum.. waise woh kumbhkaran kidhar hai..

soya toh nahi hua ab tak hamesha ki tarah..

SANVY din me 10 ghante se zyada sota tha..ek saath nahi,gaps le lekar..

jaante the ye baat SONU aur NITS isiliye pucha unhone ye sawal jispar..

MAA-piche dekho.. sir araam se baithe hamari baatein sun rahe hain..

NITS-tu...abbe yahan kya hum koi performance de rahe hain jisse tu judge kar raha hai jo pair par pair rakh chupchap baitha hua hai..

aur ye kya kapde pehne hain tune...??

MAA ki baat sun jab NITS palte toh mujhe half red t-shirt aur black jeans me araam se baitha paaya jispar kahin NITS ne apni baat..

MAI-6.30 hi hue hai abhi..KHANAK ka ghar yahan se bas 10 minute ki doori par hai phir kaahe ki hadbadi..

isiliye apan baithe chill kar rahe the..aur kya kapde pehne hain matlab...???

abbe nayi khareedi hai ye t-shirt.isse better aur kya hoga sirf ek dinner ke liye..

NITS-bhai..army walon ke yahan jaa rahe hain..aur woh log appearance par kaafi dhyan dete hain..

MAI-bhai kapde chaahe GALATH ho,banda sahi hona chahiye jo hum hain...

aur saccha army man saamne waale ke badan ke ache bure kapde nahi,uski aankhon me saaf aur gandi niyat dekhta hai...

chale ab ki aur gyan chahiye...

apni baat bol mai aage badh gaya aur mere piche piche SONU aur NITS bhi ho liye..

wahin hamare ghar se bahar nikal NITS ki car me baiththe tak MAA hume darwaze se dekhti rahi aur car ke aage badhte hi man me chal rahe thought ke saath door band kar diya unhone..

MAA-kabhi 10 saal ka ziddi baccha hai toh kabhi 60 ka anubhavi buzurg...

woh waqt bhi bas kuch waqt ka hi mohtaj hai jab chaand ki sheetalta se lekar suraj ki ugrata ka ek vilakshan udaharan banega mera SANVY....

PLACE-THE RAWAT'S RESIDENCE

ABBE TUMLOG ANDAR NAHI GAYE...

SAM, EKPREET, RAJAT, NAISHA, ANJALI aur RASHI se puchi thi ye baat NITS ne...

KHANAK ke us military duplex bunglow ke bahar hi khade the sabhi jinke paas humne bhi apni car roki thi...

SAM-ab bhai hume laga saath hi chalna chahiye isiliye yahi wait kar rahe the tum teeno ka..

NITS-sidhe sidhe bol naa, KHANAK ke baap ke saamne jaane me phat rahi hai teri..

EKPREET-ye kya hum sabhi nervous hain bhai..

morning jab KHANAK ne kaha ki uske dad ne hum sabko aaj dinner ke liye invite kiya hai,tab tak sab normal tha par jab uske baapuji ka sahi intro pata chala toh suk puk suk puk chaalu ho gayi apni...

RAJAT-ab bhai,apne state aur idhar ki military academy ke senior most commandant officer hain woh...

kinhi royalty se milne jaa rahe hain,aisi feeling aa rahi hai...

MAI-abbe commandant officer, LIEUTENANT GENERAL,ye sab ohde unki work line ke liye hain,apne liye woh bas KHANAK ke baapu ji hain..

chill karo aur chalo andar.. dinner jaldi hoga,is chakkar me lunch bhi kam hi kiya tha aaj maine..

bhook lagi hai zor ki...

ANJALI-ye beda garg karega aaj hum sabka...yahan hum is baat se nervous aur excited hain ki itne respectable personality se milenge aur ye idhar bas khaana khaane aaya hai..bhukkad..

MAI-haan,mai hi khaana khaane aaya hun...tu toh paani peekar nikal legi..

aur kare bhi kyun naa,ghar par teen chaar logon ka khana aur phir lagatar sabka dimag jo khaati rehti hai,bhook kahan se lagegi tujhe..

ee SAM..leke jaa re isko...

ANJALI-tu toh rook.. batati hun tujhe aaj...

MAI-mujhe pehle se hi pata hai..naak dhaari surpnakha hai tu...

ANJALI lapki mujhe maarne par SAM ne usse pakadte hue rok liya aur..

SAM-oh stop it yaar..jab dekho shuru ho jaate ho..jagah toh dekh liya karo kamsekam..

ANJALI-tum chhodo mujhe...iska toh mooh tod dungi aaj mai..mujhe surpnakha bolta hai..

MAI-pura bol..naak dhaari surpnakha... aur bura tujhe kyun lag raha hai..

bura toh original surpnakha ko lagna chahiye jo tere saath comparison ho gaya uska...

ANJALI-teri toh...

kisi tarah chhuda liya ANJALI ne SAM se khudko aur pahunchi mere paas woh...

aur bas..

kameeni ne pakad liye mere baal aur kheenchne lagi..wahin maine pakda uska gala aur dabane laga..

zor se nahi, bas itna ki woh mujhe chhod de par isse pehle ki aisa ho paata...

GUYZZZ..WHAT THE HELL ARE YOU TWO DOING...???

KHANAK thi ye jo apne ghar ke main door se paas khadi aankhen faade hume dekh rahi thi..

wahin uski awaaz sun maine ANJALI ko aur usne mujhe turant chhoda jiske baad..

MAI-hey KHANAK.. looking good...isse bhi thode tips de dena, achi toh tab bhi nahi lagegi par haan,ladki toh ban jaayegi kamsekam...

GREEN POLY RAYON PARTY GOWN pehna hua tha KHANAK ne jisme woh kisi princess se kam nahi lag rahi thi..

waise toh dinner party ke liye suitable dresses sabhi girls ne pehna tha par un sabhi taare numa ladkiyon ke beech akeli KHANAK chaand nazar aa rahi thi..

wahin usse complete contrast outfit me tha mai..

KHANAK ki awaaz sun maine aur ANJALI ne chhod diya tha ek dusre ko par uska mujhe ghurna band nahi hua tha..

kabhi mere bikhre baalon ko toh kabhi mere college going outfit ko dekh rahi thi KHANAK aur mai kisi gadhe ki tarah bas usse tukur tukur dekh raha tha jispar kuch seconds baad halke se muskurayi woh aur..

KHANAK-bahar kya kar rahe ho tum sab...??? anyways,chalo andar, dinner aur mom dad,teeno hi tum sabse milne ke liye ready hain...

SAM-ok..just one second...

ye bol SAM apni car ki taraf badha.woh hi kya,ANJALI,RASHI,RAJAT,NAISHA bhi uske saath gaye aur agle hi kuch hi palon me un sabke haathon ne kuch na kuch wrapped gift boxes the..

par gazab toh tab hua jab un paanchon ki tarah SONU aur NITS bhi do gift wraps lete hue mere baaju me khade ho gaye jispar kai kabhi un boxes ko dekhta toh kabhi un dono chutiyon ko jinhone mujhe is baare me bataya bhi nahi.

mere un dono ke taraf dekhte hi dono ne apne apne kandhe uchka diye the..

anyways,sabke haathon me gift wraps dekh..

KHANAK-ye sab kya lekar aa gaye ho guyzz..???

EKPREET-arre pehli baar tere ghar aaye hain woh bhi tere mom dad ke invitation par toh itna toh banta hi hai..

RAJAT-aur chill kar tu,kuch khaas nahi laaye hum..

mai, EKPREET, RASHI aur NAISHA toh kuch home decor sculptures laaye hain...

aur SONU,NNITS SSWEETS aur FFRUITS laaye hain...

KHANAK-wow, great..aur SANVY, tum kya laaye ho...??

MAI-arre hum toh khud hi tohfa hain...

ANJALI-gift aur tu..bhangaar me bhi naa le tujhe koi...

MAI-kahan se lega..bhangar me waste materials lete hain, matlab teri jaisi chizen..mera kya kaam udhar..

aur EKPREET,SONU aur NITS kya laaye hain,tujhe kaise pata..???

EKPREET-mujhe kya,sabhi ko pata hai.. conference me hum sabne milkar hi toh tay kiya tha ki kaun kya laayega..

ANJALI-aur conference ke liye mobile ki zaroorat hoti hai jo tere paas hai nahi, isiliye tu reh gaya...

EKPREET-wait,tu sach me kuch nahi laaya...SAM ne toh bola tha ki woh tujhe ghar par call karkar bata dega..

EKPREET ki baat sun maine SAM ko dekha jisne mujhe dekh aankh maar di..

MAI man me-oh beta ji .khel gaya lounda...

KHANAK thi hamare beech isiliye kamine ne mujhe lapet liya tha is baar..

not bad...

KHANAK-ye kya discussion liye khade ho guyz..ab ye gift puraan chhodo aur chalo jaldi andar..

KHANAK ki baat sun hum sabko andaza hua ki 7 toh ab se 7 minute pehle hi baj chuke the aur isiliye sabhi turant ghar andar jaane ke liye lapke.

KHANAK-occasion ke hisaab se dress tumhari thodi alag nahi hai..

jab mai aage badha toh mere saath hi ho li thi KHANAK aur pucha mujhse usne ye sawal jispar..

MAI-ab invite bhi toh tumne mujhe sabse alag kiya tha.. toh socha,dress bhi sabse alag pehnu...

kyun,tumhare dad kuch kahenge kya..??

KHANAK-kahenge toh nahi par observe zaroor karenge..

MAI-karne do..mai kaun sa unki beti ka haath maange aaya hun..

KHANAK-kuch bhi bol dete ho naa..!!!

meri baat sun usne sharam se laal hote hue kahi apni baat jiske baad ek sahi mezbaan ki tarah hum sabse aage nikal entrace door par khade hote hue hume andar lekar aayi KHANAK....

KHANAK-mom, these are my friends...he is EKPREET, that's RAJAT,NAISHA,ANJALI,SAM,RASHI,SONU,NITS and he is SANVY...

HELLO MAM,NAMASTE MAM...

lagbhagh 5.7 inchi lambi ek georgette saari pehne hue behadh khubsoorat mahila,MRS SHILPA RAWAT as in KHANAK ki mom joki hall me hi sofe par baithi thi, unhe hum sabka intro diya KHANAK ne aur humne bhi apne apne tarike se wish kiya unhe jispar..

SHILPA RAWAT-hello baccho..so finally,we met... KHANAK bohot baatein karti hai aap sabke baare me..

and please,no MAM..aunty kahoge aap sab mujhe..

SHILPA aunty ki baat par hum sab bas muskura diye jiske baad..

EKPREET-aunty,some gifts..

AUNTY-itne gifts..itni formality ki zaroorat nahi thi beta..

EKPREET ke saath baaki sabne bhi apne apne gifts aunty ki taraf badhaye jisse dekh kahi ye baat unhone jispar koi kuch kehta ki tabhi..

KIS FORMALITY KI ZAROORAT NAHI THI BHAI...

andar ek room se bahar aate KHANAK ke dad MR PRABAL RAWAT ne apne dumdaar awaaz me pucha ye sawal jispar hum sab jo ab tak casually khade the, achanak hi kisi army man ki tarah saawdhaan ki mudra me khade ho gaye...

(INFO:-LIEUTENANT GENERAL MR PRABAL RAWAT..1989 tha inka first service year jo ab tak continued hai..waise toh 52 ke hain ye par dikhne me 45 ke bhi nahi lagte..kadh,6.2,saaf rang aur chehre par kisi proud Indian ka tej saaf jhalakta tha..muchen kisi typical army man ki tarah dono kinaro se hamare raashtra dwaj ke hi tarah hamesha upar uthi hui jo apne shaan ki gaatha bina bole hi bata rahi thi)

KHANAK-now that's my dad...dad,my friends..

SAB-hello sir..

hamare greetings ke baad aunty ki tarah hamara intro uske dad ke aage bhi diya KHANAK ne jispar..

UNCLE-hello bacchon...how are you all doing..??

SAB-fine sir, thanks...

UNCLE-you all can call me uncle..arre ye kya,itne gifts..??

AUNTY-issi formality ki baat kar rahi thi mai...

UNCLE-true...

SAM-uncle, this is for you...

baaki sabke haathon me gift wraps the par SAM ne ek patla aur lamba open gift bag sa pakda tha jisse uncle ke paas jaate hue aage kiya usne..

wahin uncle ne ek nazar daali SAM par jisne baakiyon ki tarah sirf formal shirt aur trousers nahi balki shirt ke upar ek bohot hi khubsoorat aur latest blazer bhi pehna hua tha..

impress hue the uncle SAM ke apperance se aur ye impression tab aur badh gaya jab uske laaye bag ke andar rakhi chiz nikali uncle ne..

UNCLE-"DOM PERIGNON,2008...

nice but beta,itna mehenge champagne laane ki zaroorat nahi thi tumhe..

DOM PERIGNON..one of the finest modern vintage champagne aur jo 750 ml ki bottle SAM laaya tha,keemat uski 25k se zyada thi jo uske manufacturing year ko dekh jaan chuki thi uncle ki paarkhi aankhein...

SAM-zaroorat nahi thi uncle,but because it's an honour to meet a personality like you,mujhe laga ki gift bhi aisa hona chahiye jo aapki glittering aur shining personality ko suit kare...

UNCLE-hahaha...if that's the case,i humbly accept your gift son..

come..aap sab bhi aayiye bacchon..

SAM ko apni side se lagate hue aage badhe uncle jiske baad hum sab bhi unke piche ho liye...

NITS-loundi pate na pate,loundi ka baap zaroor pat chuka hai is SAM se..

mere kaan me dheere se kahi ye baat NITS ne jispar mai bas smile kar gaya..

khair,hall kaafi bada tha is duplex bunglow ka aur jahan hum jaa rahe the, dining table par usse thoda pehle wall par ek bada sa board bana hua tha jisme tange the LIEUTENANT GENERAL PRABAL RAWAT ki shourya gaatha..

unke achieve liye hue medals ke square prints...

PVSM
ATI VISHISHT SEVA MEDAL
VISHISHT SEVA MEDAL
YUDH SEVA MEDAL
SENA MEDAL.

SAM-wow uncle... that's an incredible board of honour...

UNCLE-army pasand hai aapko...!!

SAM-pasand..!!!uncle ARMY is the backbone of our country.. pasand naapasand ka toh option hi nahi hai..

we are bound to respect them..i mean you...

SAM ka jawab bohot bhaaya tha uncle ko jo unke face par saaf dikh raha tha..

khair,us board of honour ke paas kuch der rook hum sab dinner table ki taraf badh chale..

is beech ek servent ne sabhi ke gift wraps collect kar liye the..

kuch dishes jo abhi just complete hui thi,unhe plates me sajane ke liye kitchen ki taraf badh chuki thi..

wahin dusra servent salads aur paani wagairah saleeke se saja raha tha...

is beech uncle hum sabhi ke saath dining table par baith chuke the jiske baad..

UNCLE-toh bacchon, how's your study going on..??

SAB-good uncle..

UNCLE-aur SAM...kya karte hain aapke parents..??

SAM-uncle mom dad toh divorced hain..mai apni mom ke saath rehta hun..

SMRITI CHANDER... that's my mom..she runs a diamond manufacturing company called GLITTERS...

UNCLE-GLITTERS...woh toh uttarakhand ki sabse badi diamond manufacturing company hai.. right..??

SAM-jee uncle..

UNCLE-toh aage chalkar mom ki company sambhalne ka iraada hai..!!!

SAM-abhi us baare me socha nahi hai uncle..par mai apne dum par mom ki tarah naam earn karna chahta hun...

UNCLE-thats good..par son, uske liye bohot hardwork karna padega...

tumhari mom ne ek bohot bade mukaam par hain..

unke aas paas bhi apne dum par agar pahunchna hai toh you got to be the very best..

EKPREET-that he already is uncle..SAM SIRIUS ka champion hai..study,sports, acadamics..

har chiz me number 1 hai ye..infact pichle saal interschool championship bhi issine jeeti thi..

he is the best of dehradun..

EKPREET ki baat sun uncle joki pehle se hi SAM se kaafi impressed the, us impression ka level aur badh gaya..

UNCLE-really.. that's very very good SAM...toh acadamics me bhi ache ho tum..kaun kaun se skills me knowledge rakhte ho...

EKPREET-pattern stuffs,unki note taking, acadamic thinking as in journalistic styles,communicating, collaborating skills..

aise hi kuch chizon ke baare me padhna aur janana acha lagta hai uncle..

UNCLE-what about the theoratical knowledge of your country's army..

SAM-oh i love to know as much as i can uncle..

UNCLE-toh kuch puchun hamari army ke baare me..???

ab ye pata tha mujhe.. students hain hum aur is waqt army man ke saamne hai toh ye topic toh uthega hi..

kyunki har reputative military man jisne apni zindagi ki kayi sadi di ho apne desh ko,woh ye zaroor janana chahega ki yuva pidhi apne desh ke sabse mahatpurn stambh "ARMY" ke baare kitna jaanti hai...

SAM-sure uncle.. puchiye..

UNCLE-dehradun me rehte ho tum sab aur is waqt apne sheher ke hi MILITARY ACADAMY ki boundry ke andar ho...

toh yahi batao, DEHRADUN MILITARY ACADAMY ka motto kya hai...???

SAM-VEERTA AUR VIVEK...

UNCLE-very good..acha ye batao,INDIAN ARMY kul teen bhaagon me baati gayi hai..

un teen bhagon ka naam kya hai..??

SAM-thal sena as indian army..
nou sena as in indian navy aur vaayu sena as in indian air force...

UNCLE-impressive..aur baccho,aap me se koi batao ki hamari thal sena ka motto kya hai..??

SAM se nahi,baaki sab se pucha tha ye sawal uncle ne jispar mujhe chhod baaki sab sochne waale thobde ke saath busy ho gaye jiske baad..

RAJAT-haan,yaad aaya, service before self.. khud se pehle seva..

UNCLE- right...

aur nou sena ka motto..???

SONU/EKPREET-SSHARNO VVARRUN

jal ke devta humari raksha karo.....

EKPREET ne saaf aur SONU ne halka atakte hue ek hi jawab diya joki sahi tha..

UNCLE-bilkul sahi aur vaayu sena ka dhyaye vaakya..!!!

NITS-ye mujhe pata hai..garv se aakash ko chhuo...

UNCLE-well jawab toh sahi hai par proper nahi..jo aapne kaha, woh exact moto ka hindi anuvaad hai..asal shabd nahi..

ANJALI-nabhsparsham diptam..

UNCLE-bilkul sahi..bohot acche beta..

jahan ek taraf ye dekh ki sirf SAM hi nahi,unki beti ke baaki dost bhi army ko lekar knowledgeable hain,khush the uncle wahin dusri in sab ke douran mujhpar bhi dhyan jaa chuka tha unka..

pehle toh meri dress joki college going look waali thi,dusri uncle ne notice kiya tha ki baaki sabke haathon me gifts the siway mere and at the end, uncle ne ye bhi dekha ki unke puche gaye sawalon par maine jawab dene ki koshish karna toh chhod, interest bhi nahi dikhaya hai..

UNCLE-kya baat hai beta..??aapko dekh kar lagta hai jaise apne desh ki army me bilkul interest nahi hai aapko..

mujhe pucha tha uncle ne ye sawal jispar..

MAI-bilkul hai uncle..waise puch sakta hun ki kyun laga aapko aisa...???

jahan baaki sab ab bhi uncle se koi bhi baat karne me halke hichak rahe the,wahin maine bindaas unki aankhon me dekh pucha tha ye sawal jispar mere sabhi dost hairan bhi hue aur mere mooh fath hone ki wajah se uncle ko bura na lag jaaye,iska dar bhi satane laga tha un sabko..

aur KHANAK...woh toh sabse zyada ghabra uthi thi..par saamne hi baithe the uske dad aur mai usse thoda door..

kuch keh ya ishara kar sakti thi nahi woh isiliye bas pray karti hui chupchaap baithi thi..

khair,mere sawal ko sun..

UNCLE-aapne mere puche kisi bhi sawal me interest nahi dikhaya..jawab dene ki koshish bhi nahi ki..

MAI-common sawal the uncle jinka jawab bhi utna hi aam tha..ye sabhi jaante the unka jawab phir ek extra awaaz ki bhala kya zaroorat..

UNCLE-really..toh aap kehna chahte hain ki army se related woh sawal jo normally zyada logon ko pata nahi hote,unke jawab aap de sakte hain..

MAI-uncle,mere according army par sawal jawab nahi hote.informations hoti hai jinhe jaanana bhi ek gourav ki baat hai..

for example,hamari army ke vaayu sena ka dhyaya vaakya hai,nabhsparsh diptam jo ANJALI ne bataya aur ussika hindi anuvaad,garv se aakash ko chhuo,jo NITS ne bataya,asal me ye moto geeta ke gyarve adhyay se liya gaya hai..

mahabharat ke mahayudh ke dauran kurukshetra me BHAGWAAN SHRI KRISHNA ARJUN ko updesh de rahe the..

hamari vaayu sena ka dhyaya vaakya ussi updesh se liya gaya hai...

meri baat sun joki sahi thi, uncle toh man hi man hairan hue the par mere sabhi dost mooh faade mujhe hi dekh rahe the...

khair,kuch seconds mujhe dekhte rehne ke baad..

UNCLE-info bilkul sahi hai son but the thing is ki agar MOTTO pata hai toh usse related ye jaankari nikalna jo aapne abhi batayi,ye common baat hai..

agar mai aapse inhi army mottos se related ek aisa sawal puchun jo out of the box hai aur zyadatar logon ko nahi pata toh doge jawab aap...??

MAI-jawab de hi dunga,ye kaise bata sakta hun mai uncle..ho sakta hai ki zyadatar logon ki tarah jawab mujhe bhi nahi pata ho.

but i will try..agar nahi bhi pata hua,toh aapke through kuch naya jaan jaaunga mai..

UNCLE ko laga ki ab unhe pampering kar raha hun mai taaki unke puche sawal ke jawab naa pata hone par bhi embarrassment naa face karni pade mujhe..

khair,sawal toh puchna hi tha unhe aur isiliye...

UNCLE-ok then..geeta ke through ek motto ki detailing di aapne toh ussise milta julta ek sawal hai par thoda tricky hai..

dhyan se sunana..

"yadi tum maare jaate ho toh swarg prapt karoge..yadi vijayi hote ho toh prithvi ko bhogoge.isiliye hey kunti putr arjun,yudh karne ka nishchay karkar khade ho jaao..."

ye wordings bhi GEETA se hi li gayi hai...kya aap bata sakte ho ki kis army regiment me in wordings se bana MOTTO use hota hai aur woh exact MOTO hai kya..???

MAI-gadhwal riffles...aur unka exact MOTO hai YUDHAYA KRUTH NISHCHAY...

matlab yudh ka nishchay karo..

"hatoh waa praapsyasi swarg jiswah waa bhokshyase mahim!

tasmadutisht kountyaya yudhyaya kruth nishchaya.

geeta ke issi shlok ke aakhri teen shabdon se liya gaya hai woh motto...

kehte hain ki kabhi kabhi soch badalne me waqt nahi lagta..aisa hi kuch abhi mere aur uncle ke beech hua tha..

jahan kuch seconds pehle tak woh mujhe ek carefree nonsense youth samajh rahe the,wahin mere is ek jawab ne joki completely deep aur accurate tha,unka mere prati percpective pura hi badal diya tha..

behadh khushi aur proudly dekh rahe the uncle is waqt mujhe par isse pehle ki woh mujhse kuch kehte..

DINNERS READY....

ye aunty thi jo ghar ke dono servents ke saath milkar pura dinner lekar aa rahi thi aur ye dekh KHANAK aur baaki teeno girls turant lapakne ko hue unki taraf par tabhi..

AUNTY-arre baitho beta.. it's not that much..

apni baat bolte hue aunty aur woh dono servents table par saari dishes sajane lage..

butter roti se lekar naan,zeera rice se lekar daal makhni,chicken tandoori se lekar paneer do pyaza,sab bana tha aaj is dinner me..

koi mini dawat se kam nahi lag raha tha ye dinner occasion..

saare dishes serve hue jiske baad hum sabka khaana shuru hua..

khaane ke beech baat karne ki pratha idhar bhi banned thi isiliye dinner badi shaanti se beeta par is beech uncle lagatar mujhe dekhe jaa rahe the..

waise pata toh mujhe bhi thi ye baat par khaana itna sahi tha ki meri nazar apni plate ko chhod kahin aur gayi hi nahi..

saala iska 10 percent focus bhi padhayi me nahi kiya tha maine kabhi...

anyways,kuch der me hamara dinner khatm hua jiske baad desert ke naam par servents ne vanilla aur black current ice-cream ke bade bade bowls hamare beech rakh diye the jinhe aunty ne hamari pasand ke flavour ke according hume serve kiya..

aur is dauran...

UNCLE-waise kya naam bataya tha aapne apna son..??

MAI-SANVEER uncle...SANVEER AHARYA..

mera naam sunte hi uncle ko man hi man laga halka sa jhatka aur..

UNCLE-your parents...???

MAI-mere dad kuch saalon pehle guzar chuke hain...i live with my mom..

woh yahin B.O.B main branch me FIELD OFFICER hain..her name is VERONICA PAUL AHARYA...

and my father's was...

UNCLE-MR SANEEL AHARYA...

meri jagah uncle ne naam liya mere dad ka jispar bas haan me sir hilaya maine par is douran kuch feel kiya tha maine..

mere dad ka naam lete waqt pehli baar halke nervous dikhe the uncle..

khair, uncle ke mere dad ka naam lete hi..

AUNTY-you knew him..???kya woh bhi army me the...

UNCLE-nahi,bas suna tha unka naam maine..sorry for your loss son...

uncle ki baat par bas halke se muskura bhar diya mai jiske baad..

AUNTY-so bacchon,ummid hai ki khaana pasand aaya hoga aap sabko...

MAI-it was yummy aunty...and thanks for inviting us..

UNCLE-pleasure was completely ours son..

ice cream khatm ho chuki thi hum sabki isiliye apni jagah par khade hote hue kahi apni baat maine jispar uncle aur aur aunty bhi khade ho chuke the..

mere sabhi dost, girls bhi uth chuke the aur uncle aunty ko farewell thanks kehne hi waale the ki tabhi..

MAI-uncle,a small gift..mehengi toh nahi hai par shayad aapko achi lage..

apne back pocket me se ek chota sa wooden box nikala maine aur uncle ki taraf badha diya jisse pakadte pakadte hi unki aankhon me hairani dikhne lagi thi..

DALBERGIA...wood joki sheesham ki tarah hi hota hai ya fir te kahun ki seesham hi hai bas ek aur swaroop bhi hota hai is lakdi ka jo thoda aur gehra rehta hai..

kaafi rare lakdi ka swaroop hai ye aur issi lakdi se bana tha woh chota sa box jo maine uncle ko diya tha aur unki anubhavi aankhon ne us lakdi ki vilakshanta ko pehchaan bhi liya tha..

par kotuhal unke man me us box ke andar rakhi chiz ke liye zyada ho chala tha aur isiliye unhone turant us box ko khola aur aisa karte hi jo chiz unke saamne aayi,pehle toh usse dekh woh zyada samjhe nahi par jab haath aage badha unhone us CHIZ ko chhua toh aankhein badi ho gayi unki...

ek chamkile peetal rang ki ring jiski chamikili rangat halki halki udi hui thi,woh thi us box ke andar..

us ring ke chaaron taraf "VANDE MATARAM"ye shabd gude hue the..

par uncle ki hairani ka kaaran na woh shabd tha aur naa woh ring balki us ring ko chhute hi uske nirman kriya ka abhaas ho chuka tha unhe aur isiliye aankhon me sawal liye woh mujhe dekh rahe the jispar..

MAI-jee haan uncle..you guessed it right.. used bullets se bani hai ye ring..

aur koi aisi waisi bullets se nahi balki hamare desh ki freedom fight ke one of the most important movement,THE NON COOPERATION MOVEMENT ke waqt hamare freedom fighters ke istemal kiye gaye bandhook ki goli se bani hai ye ring...

one of my dad's prized possession..maine socha isse unke paas hona chahiye jo isse sabse zyada deserve karte hain..

aap..toh mai yahi le aaya..i hope aapko acha laga..

meri baat toh shayad aadhi hi suni thi uncle ne..unka sara dhyan toh bas us ring ko chunne aur usse sach maanane me laga hua tha..

par meri aakhri baad sun unhone meri taraf dekha aur..

UNCLE-sach kaha tha tumne son..ye wakayi mehengi nahi hai.kyunki iski keemat lagayi hi nahi jaa sakti..

jung me bohot se medals jeete hain maine par ye ring,isse bada samman kabhi kisine nahi rakha mere haathon me..

thankyou beta, thankyou very very much...

aage badh kar gale hi laga liya tha uncle ne mujhe..army man the toh rona dhona toh hone se raha unse par us ring ko paakar kitne khush aur bhaavuk the woh,ye unki mujhpar pakad se saaf zaahir ho raha tha...

khair,kuch seconds baad jab uncle mujhse alag hue toh...

MAI-ok uncle,we will take your leave now..

aunty,thanks for the dinner..khana wakayi bohot tasty tha..

AUNTY-beta tumhara hi ghar hai..jab dil kare,aa jaana...

mere sir par haath ferte hue kahi ye baat aunty ne.

uncle ki khushi dekh woh bhi bohot khush thi..

khair,aunty ki baat sun mai aur baaki sab palat bahar jaane ko hue par tabhi..

mujhe apne kandhe par ek strong haath mehsoos hua..

ye uncle the jo mujhe saath liye mere saath hi baahar chal diye the aur ye dekh..

NITS-maan gaye bhai SANVY...100 rang birangi paintings bhi itne colours nahi dikhati jitne ek baar me tu dikha deta hai...

impression jhaadne ka jo dour SAM ne apni puri taakat dikhate hue shuru kiya tha,saale tune bina mehnet ke hi us dour ko apne waqt me badal diya..

maan gaye prabhu aapko..

khudse hi muskurakar ye budbudate hue mere piche piche ho liya tha NITS..

wahin uncle ke saath chalte hue meri nazar apne right par gayi jahan KHANAK thi aur usse dekh aankh maar di maine jispar sir shake karte hue bas muskura uthi woh..

khair,main door ke bahar aa chuke the hum jiske baad uncle,aunty aur KHANAK teeno rook gaye..

wahin hum sab bahar nikalte hue ek baar palte aur..

SAB-good night uncle,good aunty.. night KHANAK..

KHANAK-good night..

UNCLE/AUNTY-good night bacchon.. araam se jaana..

un teeno ko greet karne ke baad apni apni car ne baith hum sab nikal chuke the jiske baad..

KHANAK-kaise lage dad mere friends...???

DAD-jaise friends ko hona chahiye...they all are good..very good actually...

KHANAK-really..thanks dad..

apne dad ki baat ya phir ye kahun ki remark ko sun khush ho gayi KHANAK aur unhe aur apni mom ko baari baari hug kar apne room ki taraf chal padi jiske baad...

AUNTY-so...!!!

UNCLE-so what...!!??

AUNTY-pehli baar aapko kisise itna zyada impressed hote hue dekha hai...the kid must me special...???

UNCLE-special...!!!aap andaza bhi nahi laga sakti..

AUNTY-aur kahin iska ek kaaran SANVEER ke dad,what was his name,haan,SANEEL AHARYA toh nahi hain..

UNCLE-aur aisa kyun laga aapko...???

AUNTY- SANVEER ke dad ka naam lete waqt shock aur nervousness,dono ke bhaav jaage the aapke face par..

ab ye coincidence toh ho nahi sakta ki LIEUTENANT GENERAL PRABAL RAWAT yunhi nervous ho jaaye..

pehle toh nahi hua kabhi aisa...??

UNCLE-sharp observations,haan...!!!

AUNTY-aakhir biwi kiski hun..??

UNCLE-hahahaha..haan,ek kaaran woh bhi hai..

AUNTY-aap jaante the unhe..??

UNCLE-haan bhi aur nahi bhi...

AUNTY-iska kya matlab hua..???

UNCLE-pehli baar aur iske baad kayi baar MR SANEEL ko apne hi acadamy me kuch cadets ke saath yunhi baat chit karte hue dekha tha maine..

haste muskurate mazak karte hue hi notice kiya tha maine har baar unhe...

tab laga tha ki kisi cadet, officer ke rishtedar ya friend honge..

par ye galatfehmi thi meri jo bohot jald door ho gayi...

yaad hai,8 saal pehle FIELD MARSHAL AMAR DEEP SINGH BHINDER yahan aaye hue the...

tab kisi kaam se unke stay par gaya tha mai...

lekin hall me kadam rakhne se pehle hi jo dekha maine, woh kabhi nahi bhul paaya mai..

maine dekha ki SANEEL AHARYA hamare FIELD MARSHAL ke saath khade kuch baat kar rahe hain..

AUNTY-par isme hairan hone waali kaun si baat thi...???

UNCLE-jab army ke sabse bade ohde par kaabiz FIELD MARSHAL
AMAR DEEP SINGH BHINDER ek civilian SANEEL AHARYA ke saamne saavdhaan position me khada ho aur baat aise kar raha ho jaise koi student apne sabse senior teacher se karta hai,toh hairani hoti hi hai...

uncle ki baat sun aunty kuch bol hi nahi paayi..woh bas aankhein faade uncle ki baat ko sun khadi hui thi jisse dekh..

UNCLE-haan, aisa hi kuch reaction tha mera...

AUNTY-aapne kabhi jaanane ki koshish nahi ki MR SANEEL AHARYA ke baare me..

UNCLE-tumhe lagta hai nahi ki hogi..ki,bohot ki par kuch pata nahi chala..

aur jiske aage puri ARMY ka number one designated officer bhi saavdhaan position me khada ho,usse directly toh confront nahi kar sakta naa mai..

isiliye kuch waqt baad jab mujhe kuch bhi pata nahi chala toh jaane diya maine..

AUNTY-strange..

UNCLE-hmm,par utna hi strange ye ladka hai.. SANVEER..

AUNTY-strange..woh kaise...!!!

UNCLE-KHANAK ka ek friend bata raha tha ki SAM unki school ka champ hai..

but SANVEER ke hote koi aur kaise champ ho sakta hai...!!!

AUNTY-oh common,ye kya baat hui..???zaroori thodi naa hai ki agar dad khaas hon toh unka beta bhi waisa hi hoga...!!!!

UNCLE-khaas..!!!woh ladka kitna khaas hai,ye feel kar liya tha maine dining table par..

uski baatein, confidence ek alag level ki hain...

usse andaza nahi hai ki woh sahi hai,woh jaanta hai ki woh sahi hai...

ek aisa sitara jo apni chamak se 100 surya ki roshni bhi dhak de..par surprisingly, woh khudki chamak ko hi chhupaye hue hai...

AUNTY-mujhe toh WOH bas ek jolly,full of life aur open book ki tarah ladka laga..

suspicious toh bilkul nahi thi uski identity..

UNCLE-yahi toh sabse alag baat hai...jolly,full of life aur open bhi hai woh magar phir bhi usme kuch toh alag hai,kahin na kahin GALATH hai..kyunki...

jab zamin khudko udhede hi nahi,toh koi GADE TOH GADE KAISE...???

jab dushman dikhe hi naa toh koi LADE TOH LADE KAISE...???

khuli kitaab hai WOH par panne chipke hue...

aur jab woh panne alag hi naa ho toh koi kitaab PADHE TOH PADHE KAISE...???

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...

Fantastic update bhai ji
 
mashish

BHARAT
8,032
25,908
218

awesome update
 
King Lucifer

👑 Rσყαʅ Kιɳɠ 👑
Banned
185
651
94
Jo Pehly Aay Wo kuch Na Pay ( SAM )
JO Baad main aay Paneer wohi pay ( SANVY )

BOHAT SHAANDAAR UPDATE BRO BE WAITING FOR NEXT 😍😍😍
 
23n24

Member
433
1,544
138
AB TAK AAPNE PADHA KI A AUR B SECTION WAALO KE BEECH MATCH CHAL RAHA HAI JISME AB CREEZE PAR NITS KE SAATH SANVY AA CHUKA HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-14

CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS

THE MATCH CONTINOUS:-

ALOK-bhai mai karta hun...

mujhe creeze par dekh turant pahuncha ALOK ROHAN ke paas agli over daalne ki request lekar jispar..

ROHAN-relax ALOK...jaanta hun ki tu iska sir todna chahta hai..tod lena...

par pehle match completely apne haathon me aa jaane de.. phir khel lena in dono ke saath...

ALOK-tujhe ab bhi lagta hai ki match kheench sakte hain ye loosers..

score dekh inka...4 over me 36 bane hain..87 chahiye inhe bache 4 me..

ROHAN-jaanta hun.. isiliye dusre se karwa raha hun.. dekh,agar ye over araam se nikal gaya toh hamari jeet fix ho jaayegi..

par agar galti se ye bowler pit gaya toh cover karne ke liye tera aur NEERAJ ka ek ek over rehna zaroori hai..

ALOK-hmm..cool then... dekhle..waise mujhe toh nahi lagta ki run bana paayenge ye dono is over me...

ROHAN-hope so..

ek baar phirse kisi fresh bowler ko ball pakdwa di thi ROHAN ne jisse dekh...

NITS-saale,sabhi tez fekte hain kya inki team me...???

MAI-acha hai naa.tujhe toh tez ball par khelna hi pasand hai..

NITS-tu chup lawde..pehle batting par aa gaya hota toh itni gat buri nahi hui hoti..

MAI-haan, tum sab bas gaand marwane ke liye ho,haina..ab bakwaas chhod aur sun..

tere khelne ka tarika dekha hai in sabne... creeze se bahar hi khela hai tu ab tak har ball...

isiliye us ALOK ki ball middle na kar paaya tu..

NITS-saale matlab tu dekh raha tha sab...

MAI-nahi,sapne me aaya mujhe sab nazar.. chutiya...itna samajh ki tere aage badhne ke hissab se fekega ye..

khade khade khelega toh mast over pitch ya short pitch aayegi..no half measures.lapet dene ka...

apni baat bol gloves se gloves takrate hue palat gaya mai..

bowler toh pehle hi apne run-up edge par pahunch chuka tha aur NITS ke ready hote hi daud pada woh..

KHATTTTT.....

wakayi ek rasmalai maafik normal speed par overpitch ball aayi NITS ki taraf jispar long on ki taraf loft kar diya usne bat aur...

SIX.....

MAI-badhiya shot lounde...

boundry se 10 metre piche giri ball jispar idhar mai aur udhar apni puri team clap karne lage...

par NITS naa kuch bola naa koi reaction di usne..

bas dobara ball khelne ke liye ready ho gaya..

BHAVESH-koi naa,koi naa..lucky shot tha bas... agli me jaayega ye...

BHAVESH ke confidence boost ke beech bowler apni agli gend phekne ke liye doud pada tha jispar..

THAKKKK..

half good length ball thi ye jispar pure stumps ko cover karte hue ek behatarin high sweep shot maara NITS ne..

FINE LEG ke baad LONG LEG ko paar karti hui ball aage badh gayi jo sidhe giri stands par..

SIX....

do ball me do baar dono haath utha chuke the umpire aur itni hi baar gaand jal chuki thi B waalon ki...

ROHAN turant pahuncha apne bowler ke paas aur uska manobal badhane laga par faayda kuch hua nahi...

do baar apni jagah par khade hokar khela tha NITS isiliye ROHAN ne apne bowler ko is baar perfect good length par daalne ke liye boli ball par aisa hoga, ye mai pehle hi bata chuka tha NITS ko..

ball pitch hone se just pehle hi aage badh chuka tha NITS aur..

KHATTT...

SIX....

EKPREET-je baat...pel diya lounde ne..

long off ke upar se ek lamba chakka jad diya tha NITS ne..

bowling ke time hatrik wicket aur ab batting karte hue hattrick six..chha gaya tha apna lounda.

aur utni hi gandi shakal ban chuki thi unke bowler ki jisse aur kharab banaya ALOK ne..

ALOK-kya baccho waali ball fek raha hai be..aise aaye gaye log maar rahe hain tujhe..

zor se boli ye baat ALOK ne jispar mai aur NITS, dono bas muskura uthe the..

khair,kuch seconds ka break lene ke baad wapas feka bowler ne ball par is baar ball sahi jagah par thi...

naa zyada aage aur naahi piche aur isiliye halka flick bas kiya us ball ko NITS ne aur humne bhaag kar single le li...

strike par ab mai tha jisse dekh kuch zyada hi josh me bhar utha tha ROHAN...

long on aur third man chhod baaki sabko 30 yard ke andar bula liya tha usne.

ek taraf mai tha jo apna guard set kar raha tha aur dusri taraf sabhi fielders the jo zor zor se comment kiye jaa rahe the aur unhe lead kar raha tha BHAVESH..

BHAVESH-chal chal bhai..naya murga hai, fadfadayega bhi zyada aur katega bhi araam se...

BHAVESH ki baat sun bas halka sa muskura bhar diya mai aur apni pehli ball khelne ke liye ready ho gaya..

mere sabhi team mates aur khaas kar ke CHARLIE aur DAS sir ki bhi aakhein bade interest ke saath mere upar hi tiki hui thi..

is beech bowler doud pada tha apne run-up par aur phir..

.........

in swinging par at the same time easy speed se ball daali bowler ne jo mere kamar ki height par aayi meri taraf jisse jaane diya maine...

chunne ki koshish bhi nahi ki thi maine us ball ko jispar...

BHAVESH-ye test khelne aaya hai guyz... passanger train hai,araam se baith jaao,kahin nahi jaa rahi ye ek ghante..

HAHAHA....

has pade B waale BHAVESH ke comment par lekin hamari taraf se bhi do log the,jo un sabke saath smile kar rahe the..

SONU aur NITS...

is beech...

CHARLIE-ye SANVEER slow starter hai kya...???

SONU-nahi sir.. actually SANVY kabhi bhi apni first ball chhedta nahi,par uske baad chhodta nahi...

THAKKKK......

SONU ki baat puri hui thi ki tabhi bowler ne apne over ki aakhri ball daal di thi..

slightest of the margine se short thi ye ball..mere kamar ki height tak hi uthi thi jisse deep square leg aur deep mid wicket ke beech lapet diya tha maine..

behadh solid awaaz aayi thi ball se bat ke connect hone ki jiska result bhi utna hi sahi tha..

hawa me udti woh ball sidhe land hui KHANAK,ANJALI, RASHI aur NAISHA waale stand ke top stair par...

kaafi lamba chakka tha ye jispar bowler mooh faade mujhe dekhne laga..

wahi kya sabhi ka yahi haal tha aur reason bhi obvio tha...

6 pade, aisi ball nahi thi ye jispar maine ab tak ke match ka sabse lamba chakka jad diya tha...

ball wapas ground me fekte hue RASHI aur uske saath baaki sabhi ANJALI ko dekhne lage jispar mooh banate hue chup chaap baithi rahi woh..

wahin dugout me..

DAS SIR-outstanding..just stand and deliver...dekha aapne CHARLIE SIR...ladke ne bas hand eye coordination ke sahare khela tha ye short..

no feet movement..no backing up.. nothing..just confidence.. brilliant...

DAS SIR ki baat par bas haan me sir hilaya CHARLIE SIR ne..ab ek shot se toh impress hone se rahe the woh..

khair,over ho chuka tha aur ab 5 overs ki samapti ke baad A waalon ka score 61 ho chuka tha..

teen overs bache the aur runs chahiye the 62...

aur aise me sixth over lekar aaya NEERAJ...strike par NITS tha...

KHATTT...

pehli hi ball ek tez yorker daali usne jispar behadh eligence dikhate hui bas apne bat ko 180 degree me ada diya NITS ne joki kaafi tha..

third man thoda square rakha tha ROHAN ne jiska faayda mila NITS ko..

ball kaafi fine nikli uske bat se..slips ab the nahi isiliye keeper ke thode door se kaafi speedily nikli ball aur boundry...

pehli hi ball par boundry maar di thi NITS ne par woh yahin nahi rooka..second ball ko point ki disha dete hue gap me maara shot usne jisse deep point ka fielder pakad paata,usse pehle hi ball boundary touch kar chuki thi...

SAM-badhiya,badhiya,badhiya... behetarin shot buddy...

RAJAT-2 aur banta hai over me...

BHAVESH-jitna padna tha pad gaya bhai..kota ho gaya iska pura...ravana karo isse...

dugout se apni team NITS ko cheer karne lage aur ground se BHAVESH NEERAJ ko jo apni pehli dono balls par chownke lagne par boukhla sa gaya tha, confidence dene laga..

THAKKK...

agli ball ek lower full toss thi jispar tezi se ghumaya tha NITS ne bat lekin bat ke toe end me lagne ki wajah se ball sidhe long on ke fielder ke paas gayi..

single le chuke the hum aur ab mai strike par tha..

BHAVESH-nipta bhai isko..

NITS-same SANVY...nipta iski ball ko..

BHAVESH ki baat uspar hi ghumate hue kahi mujhse NITS ne jiske baad..

KHATTT...

NITS-oh teri....

NEERAJ ne bouncer maara tha mujhe..thik mere helmet ki height par aayi thi ball meri taraf jisse badi tezi se hook maar diya maine.

middle kiya tha maine ball joki sidhe stands paar kar gayi thi..

CLAP, CLAP, CLAP...WOOOOO....

shot dekh hamare dugout se continuous clapping aur hooting hone lagi aur ye silsila tab tak chala jab tak ball wapas bowler ke haath me nahi aayi..

pehle chaar balls par kul 15 runs aa chuke the aur isiliye kaafi nervous ho chuka tha NEERAJ..

par ball toh daalni hi thi jo daali usne ek baar phir apne favourite good length area par jispar halka sa aage badha mai aur bat ke face ko pura open karte hue extra cover ke just baaju se nikal di maine ball..

kaafi powerful ground shot tha ye jo ki within no time, boundry touch kar chuka tha par mai jaisa ROHAN ne apne time kiya tha,pose hold karte hue khada raha.

tab tak jab tak ROHAN ki nazar mujhpar nahi padi..usse dekh bat uski taraf hi halka point karte hue neeche kiya maine jisse dekh jhaante sulag gayi uski par kare bhi toh kya..!!!

khair,aakhri ball par deep mid wicket ki taraf ground shot maarte hue single le liya maine..

chahta toh is ball par bhi glory shot ke liye jaa sakta tha mai par mujhe maalum tha ki agla over ALOK se hi karwayega ROHAN isiliye strike sustain kar li thi maine..

6 overs ho chuke the aur ab hamara score tha 81...

jeetne ke liye 2 overs me 42 chahiye the..matlab 21 per over...

ALOK-single nahi lena tha tujhe SANVY...ab mujhe jhelna padega tujhe..free advice deta hun,ya toh wicket bacha lena yaa lund.. dono me se ek toh ukhaadna hi hai mujhe...

umpire ko apni bowling side batane ke baad apne starting stance ki taraf jaane ke bajaye mere paas aa kahi ye baat ALOK ne jispar...

MAI-abbe, wicket ka toh samajh me aata hai,mere lund me kya interest hai tereko..???

gaandu waandu toh nahi hai tu..

NITS-hoga bhi kya pata..???ROHAN ke aage apna pichwada ragadte toh rehta hai hamesha..

meri aur NITS ki baat sun hume jalti nazaron se dekh chal pada woh apne bowling end ki taraf..

wahin mai bhi taiyar tha usse khelne ke liye...

apne end se kuch pal mujhe ghoorne ke baad doud pada ALOK aur...

KHATTT....

ek baar phir bouncer aayi mere taraf par ye waali pichli dono baar se bohot zyada tez thi par fark ghanta na pada us extra speed ka.

infact faayda hi hua mujhe..bat ke middle me padne ke baad ball ne khudko stands ke piche jaise chuppa sa liya tha..

meri last six se bhi kuch zyada door gayi thi ball is baar..

EKPREET-kya baat hai bhai..dil khush kar diya ladke...

RAJAT-dheere maar le bhai..warna ye B waalon ko bahana mil jaayega match draw karwane ka..

bolenge ball ghum gayi,hum nahi khelte..

HAHAHAHAHA....

RAJAT ki baat sun zor se has pade the sabhi A waale.in fact un sabke paas me baithe CHARLIE aur DAS SIR bhi halka muskura uthe the..

is beech..

ROHAN-dude.. bouncers achi khelta hai ye.. line change kar..yaa toh good length me in swinger daal nahi toh full rakh.. yorker maar saale ko..

ROHAN ki advice par haan me sir hilaya ALOK ne..

ball aa chuki thi jisse liye ek baar phir doud pada tha woh meri taraf..

KHATTT....

yorker try kiya tha ALOK ne jo 90 percent sahi bhi padh gayi thi par kaam 1 percent bhi nahi aayi.

kyunki uske ball deliver karte hi creeze ki depth me pahunch chuka tha mai..

exact off stump par aayi thi ball jisse room banate hue maine mid off ke upar se utha diya tha..

result...

ek aur SIX....

CHARLIE SIR-now that's outstanding.. brilliant...

bowler ke mind ke saath khelte hue ek bohot achi ball ko kharab ball me convert kar diya tha maine.

ye sab clearly dekha tha CHARLIE SIR ne aur isiliye clap karte hue meri shot ki taarif ki thi unhone...

khair,apne one of the best balls ki aisi durgati ke baad naa toh ALOK ke paas tha kuch samajhne ke liye aur naahi ROHAN ke paas tha kuch samjhaane ke liye.

phir bhi as a captain,apne bowler ka housla toh badhana hi tha usse jo woh kar raha tha par is beech BHAVESH pura chup ho chuka tha...

tark nahi tha naa lounde ke paas dene ke liye...

apne bowling end par pahunch ek lambi saans chhod ek baar phirse doud pada tha ALOK aur..

KHAATTTT...

same ball feki thi usne par is baar mid off ki jagah mid on ki taraf utha diya maine uski ball ko par natija same tha..

SIX...

SIRIUS ke sabse khatarnaak bowler ko hatrik pel diya tha maine..

apni apni jaga par khade hokar aakhon me khushi aur hairani dono liye dekh rahe the mere team members mujhe..

aur itni tez gendo par bhi mere shots ki versatility ko dekh CHARLIE aur DAS SIR sabse zyada hairan aur khush the..

NITS toh wapas apne bowling stride par jaate ALOK ke saamne hie halka bhangda karta hua meri taraf aaya jispar mooh koyla ho gaya tha uska but kuch keh bhi toh nahi sakta tha woh...

ROHAN bhi frustrate se hota hua bas apni jagah par khada tha...

khair,ek dusre se punch hit kiya maine aur NITS ne jiske baad agli ball khelne ke liye ready ho chuka tha mai...

aur jaise hi ball daalne ko hua ALOK,aage badhne ka bas upkram kiya maine jisse dekh turant apni sochi line badli usne aur apne kandhe ki puri taakat lagate hue bouncer maar di ALOK ne..

BHAVESH-oh shit..

bouncer nahi,tripple bouncer maar di thi ALOK ne..ball mere sir ke kareeb 2 metre upar se aur keeper ke ek metre upar se guzarti hui sidhi piche boundary line ke bahar jaa chuki thi...

turant umpire ke dono haath faile chuke the..wide thi ye ball jispar hume 4 run alag se mile the...

frustration ki hadh chhu chuki thi ALOK ki jispar khud hi par ghussa utarta hua woh palath chuka tha..

par life me pehli baar jo uski gend par teen lagatar chakke pade the,usse uthi man me jhunjhlahat kuch zyada hi thi jisne ALOK ka pura focus bigaad diya tha..

yahi reason tha ki agli do balls lagatar wides feki thi usne jisme se dusri wide keeper bhi theek se collect nahi kar paaya aur humne ek run doud liya..

ab tak kul teen balls hi feke the ALOK ne jispar hamare 26 runs ban chuke the...

par the most satisfying part was ki jaisa SONU ki line bigadi thi ROHAN ne,waisa maine uske is so called champion bowler ki bigaad di thi..

khair,NITS ko ball sahi feki thi ALOK ne..sahi in the sense wide nahi hui ball.. wide off stump par full length ball thi jispar point ki disha me ek square drive maara NITS ne..

ball badi tezi se ROHAN ke taraf jaa chuki thi par tabhi..

uske dono haathon me ragdati hui si ball usse chhut si gayi..

MAI-bhaag be...

us miss fielding ka faayda uthate hue turant doud pade hum dono..

one of the best fielder tha ROHAN SIRIUS ka par pressure ache accho se ball chhudwa deta hai phir ROHAN kya chiz thi bhala..

boundry toh nahi gayi par jab tak ROHAN ball collect kar wapas fekta,do run le liye the humne...

ALOK-kya ROHAN yaar..sidhi ball nahi pakdati tere se...

ROHAN-abbe pehle khud dhang ki ball fek le tu...4 ball me 28 khaa chuka hai...

lund ka bowler hai tu...

CHARLIE SIR-language ROHAN...

ek dusre par frustrate ho gaye the ROHAN aur ALOK jispar jahan ek taraf ROHAN ke abusive word ko joki kuch zyada ho zor se bol diya tha usne,sun piche se chillaye CHARLIE SIR wahin dugout me baithe sabhi A section waale pet pakadkar hasne lage the..

EKPREET-koi na,koi na,koi naa..2 ball bache hai tere ALOK..abhi pelana aur baaki hai..

BHAVESH ki tarah comment kiya EKPREET ne jisse sun ek baar usse ghusse se ghoor ball daalne apne run up ki taraf badh chuka tha ALOK..

khudko shaant karne ki koshish karte hue agli ball daali ALOK ne par line uski wakayi uske focus ki hi tarah bigad chuki thi..

paanchwi ball pairon par low full toss daali usne jisse deep mid wicket aur cow corner ke beech chip sa kar diya NITS ne..

natija,one bounce for four..

next aur over ki aakhri short feki ALOK ne jisse puri taakat se pull kar diya tha NITS ne..

yahi reason tha ki jitni speed se ball uske bat par padi,uska double speed ikhtiyar karte hue woh ball boundary line ke paar chali gayi..

OVER...

umpire ke ghoshna ke baad ALOK ka woh lamba over jisme kul 36 runs bane the,khatm hua...

itni pelayi aaj tak naa hui thi uski jisse woh ek lambe samay tak yaad rakhne waala tha..

khair,ab kul 7 overs pure ho chuke the aur hamara score pahunch chuka tha 117 runs par..

agli 6 balls me hume sirf 6 runs hi chahiye the aur aise me balling karne aaye B section ke captain shri shri shri akhand chodu mahodaya ROHAN MALHOTRA JI...

ROHAN bhi ek medium pace bowler tha par bowling sirf bohot zyada zaroorat padne par hi karta tha...

aur kyunki khud ek behetarin batsman tha woh isiliye batsman ke game ko achi tarah jaanta tha..

aur issi soch ke saath ki humare stance, approach,game ko samajh hume bache runs banane se rok dega woh, bowling karne aaya tha ROHAN...

RIGHT ARM, MEDIUM...

apni bowling technique bata apne delivery stance par khada ho chuka tha ROHAN...

strike par mai tha aur apne haathon me lagatar bowl ucchalte hue woh mujhe hi jaise apni aankhon se toul raha tha..

wahin dugout me mere team ke sabhi players excitement me khade ho chuke the..

jis tarah runs banaye the maine,uske hisaab se toh ye 6 runs araam se bana dunga mai,ye jaante the woh sab par saath hi saath ROHAN ki tricky bowling ki wajah se halke nervous bhi the woh sab..

same haalath stands par baithe girls ki bhi thi..woh sab apni apni aankhon me nervousness aur excitement ke mile jule bhaav liye mujhe aur ROHAN ko dekh rahi thi...

par SONU aur NITS bilkul bindaas the..NITS toh aise khada tha maano creeze par nahi garden me khada ho..

ekdum chilled out...

aur in sabke beech tha mai jo chehre par bina kisi bhaav liye ekdum shaant khada tha..

third man,long on,long off,deep mid wicket,deep square leg..ye woh areas the jahan out field lagayi thi ROHAN ne..

baaki sab 30 yard ke andar the jinhe ek baar check out kar mai ball face karne ke liye ready ho chuka tha.

wahin mere ready hone ke baad bhi kuch seconds tak mujhe toulta raha ROHAN aur phir woh apne run up par doud pada..

run up chota hi tha uska...

ROHAN ko apni taraf aata dekh aankhein bilkul sthir thi meri aur tabhi...

kuch dekha maine...

wrist position chhupaya nahi tha ROHAN ne.par seem par puri ungli ki grip nahi thi uski..

yahi dekha tha maine jiske baad ek behadh halki smile naach uthi mere face par aur..

KHATTTT.....

CATCH IT....

knuckle ball.. wahi ball jiski madad se NITS ne ROHAN ki wicket li thi..

same delivery ROHAN ne mujhpar aazmayi thi..par seem par uske knuckles judge kar liye the maine aur isiliye uske ball fekne se just pehle apne haathon ka grip pura change kiya maine aur turant ek reverse switch hit ki position le li..

ball halki si good length aur halki over pitch thi jispar neeche baiththe hue reverse sweep shot ghuma diya maine..

ball bat ke middle me toh puri nahi aayi par jitni aayi,woh ball ko third man area ke boundry tak udaa kar le jaane ke liye kaafi thi...

aur kismat se third man par khada tha hamara ALOK jiski hight 6 feet thi...

ball bhi uske radar ke aas paas hi thi..haath upar uthate hue woh ball lapakne ke liye kood sa gaya lekin...

uske finger ko bas halka sa touch karti hui ball boundary line ke bahar jaakar giri...

ek taraf jahan umpire ke dono haath uth gaye wahin dusri taraf apna sir pakade hue ROHAN aur uske baaki sabhi saathi neeche baith chuke the..

wahin dusri taraf jaise hi ball 6 ke liye gayi toh..

NITS-woh maara paapad waale ko...

doud pada NITS meri taraf aur saala kood hi pada mere upar...

HOOOOOOOOOOOO...

mere sabhi team mates bhi doude meri taraf aur woh sab bhi kood pade mere aur already mere upar chaddhe NITS ne upar..

neeche gir chuka tha mai jispar..

MAI-hato be bhosdoke log...saalo, swimming pool samjhe ho kya mereko jo dubki lagane ke liye ek saath kud diye mere upar kamino..

mai un sabki bakta gaya par ghanta fark nahi pada un sabko..

kaafi der tak mere upar kudam kudayi karne ke baad alag hue woh sab jiske baad...

SONU-ekk nnumbber sshot ttha bbhai...

MAI-saale ab toh doubt nahi hai naa khudpar..dekh le,jitna tune khaya,utna hi woh ALOK bhi khaa gaya...

SONU-nnahi bbhai..kkoi ddoubt nnahi hai ab...

CHARLIE SIR-SANVEER AHARYA... brilliant batting..chase karte hue itne cool head aur confidence ke saath khelna,its damn tough..

par tumne aur NITENDRA ne bade araam se kar diya ye..i hope ki tum school team se bhi kheloge ab..

MAI-i can't promise sir..team mere bina bhi yahan number one hi hai..par haan, agar kabhi aisa hua ki the team needs me,i will be there..

meri baat sun kuch pal dekha sir ne mujhe aur phir woh palte B waalon ki taraf jo hum sabse kuch door sir jhukaye khade the aur..

CHARLIE SIR-maine dekha,kya ho raha tha aa yahan par...ek normal class match ko kisi old rivals ki tarah khel rahe the tum..

woh log jo school ki taraf se tumhare saath khelte hain,unhe hi bitch kar rahe the tum sab..

SONU is one the main pillar of your school teams bowling aur aaj uske ek kharab over par uska mazak udaya tum sabne..

specially you ALOK TRIPATHI.. uski stammering tak ka mazak udaya tumne.. disgusting...

DAS SIR-par dekh lo beta,hissab tumhara yahin ho gaya..

SONU ko toh ROHAN ne hit kiya tha jo school ke liye opening karta hai par tumhe..

tumhe toh us ladke ne hit kiya jisne kabhi school level par khela hi nahi...

how's that for karma...

ab bhi waqt hai,sudhar jaao..warna tum sabke ye internal problems tumhare school team me problem create karenge..

common, shake hands and rub off your differences...

dono SIR'S ki baat sun hum sab aur B waale ek dusre ke paas aaye aur baari baari haath milane lage..

B ke baaki sab toh genuinely haath mila rahe the humse par ALOK aur ROHAN ki aankhon me ab bhi nafrat thi humare liye aur jab mai aur ALOK ek dusre ke paas aaye aur haath milaya toh..

ALOK-this isn't over SANVEER... sabak tujhe aur tere group ko sikha kar hi rahenge hum...

ALOK ki baat ya phir ye kahun dhamki par jahan ek taraf mere sabhi dost hum dono ke paas aakar usse ghurne lage wahin ROHAN ne uske kandhon par haath rakh usse shaant rehne ka ishara kiya...

CHARLIE sir bhi paas hi the isiliye mai bhi bina kuch bole apna haath alag karne laga par kehte hain naa,kuch kutte khaana ugal dete hain aur tatti araam se pacha lete hain..

aisa hi kuch tha ALOK..

jaise hi mai apna haath uske haath se hatane ko hua, strongly pakad liya usne mere haathon ko aur dheere dheere pressure badhate hue mere hatheli ko squeeze karne laga..

ek kutil muskaan thi uske chehre par aisa karte hue par aisa bas kuch palon tak hi reh paaya tha..

ab tak dheela chhode mere haathon ke grip ko maine bhi strong kiya ALOK ke hatheli par..

ab the thing is ki ALOK tha mujhse bada.. umr me bhi aur taakat me bhi..

par junoon aur paagalpan mere aage jhaant barabar bhi nahi tha uska...

yahi reason tha ki uske haathon ke grip se ho rahe pain ko toh araam se jhel gaya mai par mere grip se constantly badh rahe dard ki wajah se facial expressions change hone laga uska...

kuch seconds aur jiske baad pain saaf jhalakne laga ALOK ke face par jiske baad..

ALOK-haath chhod SANVY..sir ko bata dunga mai..

MAI-bata dena toh maadarchod...

kori dhamki thi uski jispar amal nahi kar paaya ALOK..kya batata sir ko ki haath daba diya SANVEER ne uska..

chutiya kat jaata uska sabke saamne...

ROHAN-please SANVY..chhod se yaar..

ALOK-haan, chhod de, please bhai..

gidgida sa gaya ALOK jiske baad chhod diya maine haath uska aur...

MAI-kab samjhoge be tum chodu log...

dhun koi bhi baja lo,gaana hum apne hissab se GAATE HAIN...

maarte hum baad me hain,tum jaiso ko hum pehle BHAGAATE HAIN...

taalab me tairte ho tum aur hum samandar me,yaad rahe...

talaab ke tairak aksar SAMANDAR me DOOB JAATE HAIN...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
Fantabulous extraordinary awesome update VJbhai
 
Shani khan

Vj4u Big Fan
282
957
93
hahahah..bhai kahani thriller prefix me likh raha hun toh suspense toh rahega hi.

aur hero SANVY hi hai bhai par baaki kirdaar bhi kam toh honge nai..abhi toh villain se rubaru nahi hue aap..dimag alag level par fatega uske baare me jaankar..

Bhai villian videous ho ya asmodeus blky asmodeus tha toh nae pr bna kmal tha

Or ap ka villian hmesha sa kmal hota h

Waiting 4 new GaLaTH
VilLiAn
 
Ayush2017

Natural beauty is real beauty
6,132
17,036
189
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VERONICA KO YE PATA HOTA HAI KI SANVY,NITS AUR SONU RAAT KO KEYS CHORI KAR CAR CHALATE THE WAHIN DUSRI TARAF SANVY SE RASHI KI MOM KAAFI IMPRESSED HO JAATI HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-12

CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS

BAS ITNE ME HI FAT GAYI.....2 AUR LAGA BE...

ground ke 5 chakkar maarne ke baad mere stand ke saamne ruk sir halka neeche kar haanfte hue apni saanson ko control karne me laga tha SAM aur yahi dekh taunt maara maine usse..

saturday tha aaj..new session ka 13th day...

aur isiliye P.T classes ke baad cricket trial ki practice shuru ho chuki thi..

cricket se pehle warm up ka daur chal raha tha but luckily, CHARLIE sir kuch kaam se school premises ke andar the abhi..

sirf DAS SIR the idhar jinhe bottle me utaar mai aur NITS stands par baith araam farma rahe the...

KHANAK,ANJALI, RASHI aur NAISHA bhi the stands par lekin woh agle stand par baithe apni girls gossip me lage hue the..

us dauran beech beech me meri aur KHANAK ki nazar bhi aapas me takra jaati thi jispar woh blush karne lagti thi...

NITS bhi ye sab dekh raha tha par apni aadat ke khilaaf bina kuch kahe bas saamne dekh muskura raha tha...

SAM ko taunt karne ke baad bhi ek baar meri aur KHANAK ki nazarein mili thi jinhe dekh liya tha SAM ne aur isiliye...

SAM-SANVY,a word...!!!

SAM jo mujhe hi dekh raha tha,apne paas bulaya usne mujhe apne paas...

MAI-aisa kya bolna hai be jo sabke saamne nahi bol sakta...

uske paas pahunch puchi maine ye baat jispar...

SAM-mujhe lagta hai hume apna challenge off kar dena chahiye...

you know,me impressing KHANAK...

MAI-kya baat hai..SIRIUS ka champ SAMEER CHANDER challenge se back out karne ki baat kar raha hai..

suit nahi karta tere repo ko ye..

SAM-common man..i can see..

mai dekh raha hun tera interest uspar aur KHANAK bhi,she is quite into you man...

phir ye sab sahi nahi lagta...mai toh shuru se hi nahi chahta tha aisa kuch...

MAI-really...??? isiliye pichle saturday jaan bujh kar ball maari thi tune KHANAK sur meri taraf...

meri baat sun halka sa hadbadaya SAM par phir..

SAM-kuch bhi haan...chest height par ball aayi thi,pull maarna pada tha mujhe aur ball ki direction tum dono ki taraf thi...

aur bhai, yaad hoga tujhe ki ball tumme se kisiko lage,usse pehle maine hi awaaz lagakar warn kiya tha tum dono ko..

MAI-mai kuch nahi bhulta SAM...

anyways, shuruat se shuru karte hain..

CHARLIE SIR ne tujhe sabko fielding practice karwane aur saath me,tere loose areas,jinme se ek quick short length bowl ko properly hit karna hai,usse theek karne ko kaha tha..

koi bowler bowl nahi kar raha tha tujhe..IBOT(bowling machine)se bowl aa rahe the teri taraf jisse tu saare fielders ki taraf hit kar raha tha..

kuch ground toh kuch air..par beech beech me sudden short pitch ball bhi aa rahi thi teri taraf jisse tu khudke liye practice kar raha tha..

in sab ke dauran do cheezen hui..pehli,teri nazar boundry ke just bahar baithe KHANAK aur mujhpar padi..

aur dusri..

tujhe andaza ho chuka tha ki IBOT se nikalne waali kaun si bowl short pitch hone waali hai...

aur jab aisa hua toh tu taiyar tha..tere chest ki taraf ball aate hi tune usse hamari taraf khela..

but thodi chuk ho gayi thi..ball tere mid chest par nahi,balki neck ke just neeche, tere upar chest ki taraf thi aur isiliye short neeche ground ki taraf naa jaakar upar hawa me lag gaya..

matlab pull nahi,hook lag gaya tha galti se tujhse jo sidhe KHANAK ke face me padne waala tha par maine rok diya..

bina reverse mode ke hi flashback dikha diya tha maine SAM ko jispar aankhein faade woh mujhe dekhne laga tha jispar...

MAI-hairan mat ho..jab mai bina dekhe ball pakad sakta hun toh obvio hi hoga naa ki dhyan mera sirf KHANAK se baat karne par hi nahi, ground par bhi tha...

ye saari baatein maine boli hi nahi hoti agar tune ye nahi bola hota ki tujhe interest nahi hai..

ofcourse tujhe interest hai but the thing is ki tujhe lagta hai ki kyunki in kuch dino me maine kayi baar teri gaand tootne se bachayi hai isiliye you owe me..

dude,logic simple rakhte hain..friendship apni jagah, sharth apni jagah...

back off kiya toh pure school ke saamne kaan pakadwa utthak baithak karwa dunga mai..

ab bata,acha lagega school ke champ ko waisa karte hue..???

SAM-saale...tere liye murga bhi banana pada toh ban jaayenge bhai...

mujhe side se hug karte hue kahi ye baat SAM ne jispar..

MAI-hath be gay saale...

haste hue ye bola hi tha maine ki tabhi meri nazar gayi saamne aur aisa hote hi face halka serious ho gaya mera aur sir halka shake kiya maine..

mere is changed reaction ko dekh SAM ki nazar bhi saamne gayi jiske baad..

SAM-ye chutiya yahan kya karne aa raha hai...???

ROHAN jiska 2 din pehle hi suspension off hua tha,apne class ke kuch ladke joki uske chele hi the,unke saath hamari taraf aa raha tha jisse ground ke ek taraf stretching karte SONU, EKPREET aur RAJAT ne bhi dekh liya tha isiliye woh teeno bhi turant hamari taraf lapke...

NITS toh already mere aur SAM ke paas aakar khada ho chuka tha..

wahin in sabke beech jab ROHAN bas kuch metres hi door tha humse,apni aastin upar karne laga mai aur ye dekh..

ROHAN-wowowo..relax SANVY...mai jhagda karne nahi aaya hun...

MAI-abbe aastin upar karne ka hamesha yahi matlab nahi hota ki tujhe pelunga mai...

ek baat aur,hamare beech jhagda nahi hota..tu gaand illi karta hai aur mai tujhe pelta hun..

ye bol mai badha ROHAN ki taraf aur mere aisa karte hi woh aur uske dost piche hatne lage par tabhi..

KHANAK-common guyz.school me hain hum..kisi teacher ne dekh liya toh fasna pakka hai..

waise bhi last baar jo bhi hua,uski wajah se pehle hi red spot me ho tum sab..

ROHAN aur mujhe dekh,KHANAK joki ANJALI,RASHI aur NAISHA ke saath hamare paas aakar khadi ho chuki thi, rakhi apni baat saamne joki sahi bhi thi..

MAI-aankhon me dar aur ghussa ek saath nahi reh sakte ALOK...ya toh dar ke sir jhuka le ya phir ghussa dikha maar kha le..

ALOK TRIPATHI.... ROHAN ka best friend..waise humse 2 saal senior hai ye par ROHAN ki wajah se uske class fellows ke saath ghumta hai..

but sabse important baat...SIRIUS ka sabse tez bowler hai ye banda.. height lagbhag 6 feet unchi hai iski aur abhi se 140 ki speed touch karti hai iski bowl..

filhal mujhe khundak aur ghabrahat, dono hi bhaaw liye dekh raha tha woh...

par meri baat sun ROHAN ne ek baar dekha usse jiske baad chehra aur aankhein dono hi shaant ho gayi uski..

SAM-what do you want ROHAN..???

ROHAN-i just wanna apologize...haan, nahi jamti meri tujhse aur tere group se par tum logon se badla lene ke chakkar me maine apne rival school ke bando se haath mila liya tha jo kahin se bhi sahi nahi tha..

so,sorry for that..i promise ki dobara aisa kabhi nahi hoga...

ROHAN ki baat sun ek baar mujhe dekha SAM ne jispar...

MAI-mujhe kya dekh raha hai..maafi tujhse maang raha hai,marzi teri..jo karna hai kar..

ROHAN-mai maafi tum sabse maang raha hun SANVY..

MAI-hamara hisaab barabar hai be..bataya naa,mujhe jitni baar ungli ki hai tune,utni baar us ungli ko toda hai maine..

mera naa tu pehle kuch bigaad saka hai aur naa aage kuch bigaad paayega...

tera competitor tere saamne khada hai jisse maafi maang li hai tune...

ab iski marzi..

SAM-ok..we are cool then...

ROHAN-really...!!!

SAM-yaa.. paperwork chahiye kya...?? bas itna yaad rakhna ROHAN..champion wahi jo saamne se bhide aur jeet kar dikhaye...

mujhe harana hai toh saamne se hara.. competition jeet ke dikha..yakin maan,pehli taali mere haathon se hi bajegi..

par ye backyard tantrums..

ROHAN-i said,that wont happen again...so we are cool right..???

haath aage badhate hue pucha ye sawal ROHAN ne jispar hand shake kar haan me sir hilaya SAM ne jiske baad..

ROHAN-great.. toh new beginning ke sake par ek friendly match ho jaaye...

SAM-what, cricket..???

ROHAN-yup...

SAM-sure...anytime...

ROHAN-now..

SAM-wait,what..??now..par abhi kaise...??i mean, CHARLIE SIR ne pehle hi aaj ka schedule bana diya hai...sirf fielding practice karwani hai aaj sabhi se...

ROHAN-baat ho gayi hai meri CHARLIE SIR se..aa rahe hain woh bhi..unhe bhi ek friendly match ka idea acha laga hai..

you know,isse unhe tere aur mere form ka andaza ho jaayega...

so what say,zyada nahi,bas 8 overs ka tere aur mere section ke beech ho jaaye ek match...

SAM-sir ne bola hai toh theek hai phir...

ROHAN-now that's like a true champ..10 minutes...apni team ikattha kar le..toss karte hain phir...aur haan, SANVY,aaj tu bhi khelna yaar...maza aayega..

ye bol aur indirectly mujhe challenge kar apne doston ke saath palath gaya woh..

MAI-sir ne bola hai toh theek hai phir... sir maraane bole toh bhi haan bol diyo tu...saale, dekh toh leta apni condition pehle...

team kahan hai tere paas...sirf tu,SONU, EKPREET aur RAJATH hi ho idhar.. apni class se baaki ke cricket players toh aaye hi nahi aaj school..

sirf 4 ke dum par haan bol diya tu..aur i am sure ki us ROHAN ne pehle hi apni taraf se sab set karke rakh liya hoga..

har player hoga available uska..aur baakiyon ko chhod,woh akela ROHAN hi bhaari hai tum sab par...

KHANAK-really.. par CHAMP toh SAM hai naa yahan ka..!!!!

EKPREET-haan kyunki overall har sports me acha hai ye..par ROHAN ki speciality hai CRICKET..

apna SAM allrounder hai par ROHAN is a very good batsman... actually the best of SIRIUS...

kuch zyada hi acha khelta hai woh...aur performance percentage bhi kaafi high hai uska...

isiliye CRICKET ke maamle me CHARLIE SIR ka jhukaav uski taraf zyada hai...

run machine bolte hain usko..aur aaj apne paas bowlers nahi hain..akele hi itne run bana dega woh ki ghanta na banta woh run humse..

MAI-sahi khel gaya lounda...sidhe tarike se nahi bheed sakta humse isiliye ye tarika apnaya usne.. timing bhi perfect hai..

SONU-abbe ittni ggandi ttarah haarenge nnaa kki ffazihat hi ho jjaani hai aaj...

RAJAT-upar se woh ALOK..saale,waise hi tufaan hai uski bowling aur aaj toh apna saara ghussa nikalega hum par woh...

SAM-relax guyzz.maana, apni taraf se khelne waale kam hai par 11 toh ho hi jaayenge..match 8 overs ka hi hai toh batting ki zyada tention nahi hai..

top order hi khel lenge itna toh..neeche waalo ki tention hi nahi hogi..

bas toss jeet jaayen toh pehle batting kar itna score khada kar denge ki bowling ke time 1,2 loose overs se zyada fark naa pade...

EKPREET-sounds good par uske liye toss wakayi jeetna padega..

SAM-ab bhai,utna optimistic toh rehna padega naa..

RAJAT-SANVY,tu khel raha hai.. koi bahana nahi..

NITS-khelo khelo,man lagakar khelo..apan chale class..match ke baad milte hain...

ye bol chupchaap katne ko hua NITS jispar piche se uski collar pakad...

MAI-khel raha hai tu bhi...jeetna hai hume,aur koi behes nahi..

meri baat aur jis tarah se bola tha maine,usse sun bas mujhe ghoor chupchaap khada reh gaya NITS..

EKPREET-mai baaki lounde dekhta hun...tu jaa,toss karwa le..

SAM-cool..

RASHI-all the best guyzz..give it your best..

ANJALI-aur SANVY,koshish karna ki contribution de na de,nuksaan naa kar baithna team ka...

MAI-mere har game ka penalty card toh tu hai..ab jab nuksaan hi ground se bahar hai toh andar sirf faayda hoga naa...!!!

meri baat par mujhe ghoor mooh banati hui RASHI aur NAISHA ke saath wapas stands ki taraf chal padi ANJALI jiske baad...

KHANAK-all the best.cheer karungi mai tumhe..

MAI-usse acha mere kaan ke paas aakar dheere se ek baar mera naam pukaar lo.. confidence 20 times badh jaayega mera..

meri baat sun smile karte hue mere kareeb aayi KHANAK aur..

KHANAK-all the best SANVY...

mere kaano me sargoshi sa kar meri aankhon me jhaank palatne ko hui woh jispar..

MAI-aayna rakh lijiye madam..

"meri aankhon me hi khud ke aks ko dekhti rahi toh zyada khubsurat hone ka gumaan naa ho jaaye.."

meri baat ya phir ye kahun ki khudke liye taarif sun ek behadh haseen sharm ko apne chehre par odhe baaki girls ki taraf chal padi KHANAK...

is beech door se mujhe SAM aata hua dikhayi diya aur uske murjhaye chehre ko dekh mai samajh gaya ki toss haar chuke hai hum aur pakka fielding naseeb hui hai hume..

MAI-lag gaye beta..baaton ka waqt toh khatam hua..ab hilane aur maraane ka time shuru hota hai..

THE MATCH:-

jab ye kaha jaata hai ki SIRIUS school international standards ka hai toh iska matlab hota hai ki iska har department us level par aata hai.

jaisa ki hamara cricket ground jo kahin se bhi kisi international erena se kam naa hai...

60,65,72,74 metres ke main dimension me bana ye ground wakayi dekhne layak hai...

lush green outfield jiske centre me bana hai ek behtarin peech.. normal schools ki tarah mat nahi lagta hamare ground ki pitch par..

dehradun me hone ki wajah se kaafi hard pitch banti hai yahan aur saath hi GREEN bhi..

season abhi shuru hua hai aur isiliye roll over karne ke baad bhi pitch ki ghaans puri tarah hati nahi hai..

matlab khelne ke liye 50 percent indian toh 50 percent english condition hai..

seem bowlers se zyada swing bowlers ko suit karta hai ye ground par haan,agar speed zyada ho,seem position perfect ho,aur normal se zyada hawa chalne waali case ho joki aaj ha toh ball swing bhi achi khaasi karti hai..

khair, section B ke dono openers jinme se ek ROHAN tha, dusre ka naam nahi rakha maine kyunki role nahi hai zyada saale ka,woh creeze ki taraf badh chuke the..

CHARLIE SIR bhi ab tak aa chuke the.. par woh aur DAS SIR umpiring karna chhod apna apna tika kar ground edge me baith chuke the.

pitch end par unki jagah umpiring me is waqt unhi ke do assistants coach teachers khade the.

SAM aadhi se zyada fielding position jama chuka tha jiske baad woh aaya mere aur NITS ki taraf...

SAM-haan sir,apni tashrif ka tokra kidhar tikayenge aap dono...???

30 yards ke andar ya out field me...

MAI-8 over ke match me bhi powerplay ka chutiyapa hai kya..??

SAM-naa..B waale kamsekam ek over ka bol rahe the,maine mana kar diya..

NITS-toh phir louda andar rahega mera...ye saale B section waale jaanbujh kar pelenge hume...

naa,mai toh bahar rahunga...

MAI-same...

SAM-abbe chomuon,andar bowl chhod bhi doge toh outfield waale rok lenge..

par bahar rahe aur ball chhuti toh boundary hi jaayegi...high shot me 6 ke bhi chance banenge...

MAI-haan toh phir rakh le kisi aur ko hamari jagah.. hum toh bahar rahenge yaa phir nahi rahenge..

SAM-saale rotlu... thik hai bhai,ab tum dono hi bata do,kahan rahoge..

MAI-deep square leg..

NITS-long leg...

SAM-jaao phir..aur bhai,catch bhale hi chhod diyo,par kamsekam boundry mat jaane dena..

NITS-arre fikar not..so jaayenge lauda par ball ko nikalne nahi denge...

SAM-alright than...

hamare apni position ki taraf badhne ke baad SAM turant bowling end ki taraf badha jahan is waqt SONU umpire ko khudka bowling info"right hand over the wicket, medium fast" dene ke baad apna run up naap raha tha..

SONU hamari team ka sabse sahi bowler tha...pace express nahi thi uski but line length ke maamle me MCGRATH tha saala..

6 me kamsekam 4 ball perfect good length me daal leta tha apna lounda...

strike me wahi gumnaam banda tha... ROHAN non striker end me khada strech kar raha tha...

SONU ko kuch samjhane ki zaroorat padti nahi thi isiliye umpire se ball le bas usse pakda diya SAM ne aur apni usual point position sambhal li thi usne..

EKPREET aur RAJAT, dono hi kaafi ache slip fielders the aur is waqt dono hi first aur second slip me khade ho chuke the...

PLAY....

batsman ke guard check karne ke turant baad haath neeche kar diya UMPIRE ne jiske baad apne sadhe aur naape hue kadmo se ek perfect lay bana doud pada SONU aur..

THAKKK...

CHARLIE SIR-good line SONU...keep it up..speed par dhyan de bas thoda...seem wobble nahi hui toh swing hogi ball...

pehli hi ball jisse kaafi respect se defend kiya tha batsman ne,usse dekh door baithe CHARLIE sir ne apni pratikriya di..

ROHAN-zyada defend karne ka nahi...andar,bahar dono nikal leta hai ye...

saale ne agar 3,4 ball ek hi point par daal di toh line set ho jaayegi iski aur gilli udaa dega ye...

line shuru se hi bigaadna hai iska..aage piche hokar khel...

wicket ke beech mil advice diya ROHAN ne jispar naa sirf haan me sir hilaya uske partner ne par saath hi saath us advice par turant amal bhi kiya...

SONU ke agle hi ball par creeeze se aage nikal ghumaya bat usne aur...

KHATTT...

deep extra cover ke upar se uthane ke liye lofted shot khela tha usne par ball bat ke beecho beech nahi lagi..

edge laga par healthy aur isiliye EKPREET joki first slip par khada tha,uske kaafi upar se nikal gayi ball..

natija..pehli boundry....

BADHIYA,BADHIYA..JAISE BHI AAYE,AANA CHAHIYE BAS...

ye awaaz thi B section ke wicket keeper ki joki hamare school ka bhi second keeper tha...

boundry par puri B section taali maarne lagi aur ye silsila aage bhi chala...

4th ball par third man ki taraf boundry aur 6th ball par deep mid on ki taraf double liya tha us bande ne...

pehle hi over me 10 aa chuke the joki acha hi score tha...

par run toh ab banane the aur shikar hone waala tha RAJAT..

ball ussike haathon me di thi SAM ne jiske baad apna balling nature bata delivery stride lene ke baad daud pada RAJAT par hua wahi jiska dar tha...

ROHAN tha ab strike par jisse ek ball bhi checkout karne ki zaroorat nahi padi...

pehli hi ball par ek behadh hi khubsurat cover drive maari usne jo badi tezi se boundry ropes ko touch kar gayi..

bat ki position hold me rakh ek baar RAJAT ko dekh aise muskuraya ROHAN jaise woh baccha hai uske saamne joki sach bhi tha...

kyunki agli paanch balls ki gath bhi buri hi ki ROHAN ne..

dusri par ek khubsoorat leg glance,teesri par square cut,chowthi jo ki chest area me aayi thi uske,usme pull joki mere aur NITS ke thik se hilne se pehle hi boundry touch kar chuki thi aur paanchwi me straight cover drive maara ROHAN ne...

paanch balls par paanch fours maara tha usne aur last ball par behadh araam se single le liya usne...

uske upar ek wide bhi daali thi RAJAT ne jo extra run add karwa gaya B waalon ke liye..kul 22 run aaye the is over se...

jahan ek taraf hamari team ka aur khaaskar RAJAT ka mood bigad chuka tha wahin dusri taraf ROHAN ki batting dekh CHARLIE SIR aur DAS SIR behadh khush dikh rahe the..

ALOK-arre ROHAN BHAI..araam se khel lo yaar..bache hain saamne...

HAHAHA...

ALOK ki baat par uske sabhi saathi has diye the..dono coaches ne bhi kuch nahi kaha tha kyunki matches ki beech itna comments normal hi tha...

khair,8 over ka match tha ye jisme 3 bowlers ko 2,2 aur do bowlers ko ek,ek over allowed tha...

repeat nahi karwa sakta tha SAM SONU se isiliye woh khud gaya bowling karne...

par koi khass faayda hua nahi...naa SAM ne warm up kiya tha aur naahi kaafi dino se bowling practice aur isiliye shuruat se line sahi rakhna mushkil tha uske liye aur issika faayda uthaya ROHAN ne...

pehle 4 ball ussine khele SAM ke jinme se 2 par boundry lagayi usne, ek par double liya aur chowthi ball par single le li usne...

paanchwi par beat hua dusra batsman aur aakhri me single hi bana...

ab tak ROHAN ke mukaabla dheere tha dusra batsman par ye dheemapan usne agli over me change kar diya...

pehle do ball toh beat hua woh lekin uske baad agle 4 balls me 2 chownke aur 2 chakke jad diye saale ne...

NITS-iski maa ka..4 over me 64 khaa gaye be...louda jeetenge ab...

MAI-abbe tera mooh hai ki frenchie,jab bhi khulta hai,louda nikalta hai...confidence rakh bhai.. jeetenge apan...

NITS-lou..matlab ghanta jitenge hum...

NITS ne apne bolne waale word ko change kar liya jispar has pada tha mai..

khair,is beech hamare sardaarji, EKPREET SINGH BAL bowling end me pahunch chuke the..

fast medium bowler tha EKPREET..speed achi thi uski par uska ROHAN ne waisa hi kuch kiya jo RAJAT ka kiya tha...

pehla ball toh beat hua ROHAN aur dusri par flick maar double liya usne..

par agli chaar me se do par chakke jade usne aur aakhri par single le liya..

15 aaye the is over se bhi aur score 79 pahunch chuka tha...

47 par toh akela ROHAN hi khel raha tha...

runs kuch zyada hi ho chuke the aur wicket saare intact the..

isiliye SAM ne SONU ko laaya wapas lekin strike me is baar ROHAN tha..

school team me saath khelte the ye sab aur har bowler ki kami read karna,ye pehla kaam hota hai ROHAN ka..

aur SONU ki ek hi kami thi jisee jaanta tha ROHAN...agar uske over ki feki pehli ball par boundry ya six lag jaaye toh line length stable nahi rehta hai uska...

aur issi kamzori ka faayda uthana tha ROHAN ko jo usne utha bhi liya...

THAKKK...

pehli ball off stump par good line hi fekega SONU,ye andaza lagaya tha ROHAN ne jo sahi baitha..

average speed par kamar se thode neeche ball aayi uske off stump par jispar room banata hua thoda aur hata ROHAN aur ek behatarin lofted shot khela usne..

long off aur deep extra cover ke beech gayi ball..waise toh wahan ek lamba gap tha par koi fielder hota toh bhi fark naa padna tha kyunki ball hawa me udti hui si boundry se 10 metre piche jaakar giri thi...

dikhne me bhi behatarin tha ye shot jisne ROHAN ki half century puri kar di thi...

uski puri team aur unke saath CHARLIE SIR aur DAS SIR bhi ROHAN ke liye clap kar rahe the..

wahin SAM SONU ko chill out rehne bol raha tha par mai aur NITS, dono hi jaante the ki uska focus hil chuka hai aur ab sutayi pakki hai..

aur hua bhi wahi..

agle 5 balls me se 4 balls par six maare ROHAN ne aur ek ball boundary gayi...

2 wides bhi fekhe the SONU ne aur isiliye bina 6 sixes ke baawjud over se kul 36 runs nikle..

aakhri ball par lage shot par sir neeche kar khada ho chuka tha SONU aur SAM, EKPREET aur RAJAT uska manobal badha rahe the par tabhi...

ALOK-kkya kkarte hho RROHAN BBHAI...ittna mmarogge ttoh rro ddega bbecchara..

HAHAHAHA...

SONU ki tarah haklate hue inact sa kiya ALOK ne jispar jahan ek taraf has pade uske team mates,dusri taraf sharmindagi badh gayi SONU ki aur teesri taraf SAM, EKPREET aur RAJAT ne ghoor kar dekha ALOK ko jiske face par abhi ek khilli udaane waali hasi thi...

stands par baithi hamare class ki girls ko bhi SONU ke liye bura lag raha tha..

par un sabke beech ek chowtha taraf bhi tha..mera aur NITS waala taraf...

dimag ghum chuka tha hum dono ka..ek baar ek dusre ko dekh kadam badh chale the hamare SONU ki taraf..

aise me jab ROHAN ki nazar hum dono par padi toh ek second ke liye hadbadaya woh par phir kuch GALATH kiya nahi tha usne,ye soch relaxed bhi ho gaya...

MAI-SAM.. bowling NITS karega...

SAM-what..???

meri baat sun hadbada sa gaya tha SAM par mere face par dikh rahi seriousness ko dekh bina aage kuch kahe ball fekh di usne NITS ki taraf...

MAI-kaisa set karna hai...???

NITS-7/2...

MAI-SAM.. koi bhi do bande bahar rakh..ek long on aur dusra third man..

baaki 7 andar rahenge...1slip,1 backward point,1 point,ek cover,ek extra cover ek mid off aur mai square leg me rahunga...

SAM-kya daalega tu...???SPIN...!!!

MAI-SPIN me ye field rehti hai kya..???tez daalega...

SAM-tu pace daalta hai..!!!saale,bataya nahi kabhi..aur SANVY,are you sure.!!!run waise bhi bohot ban chuke hain..

MAI-ab nahi banenge..chill kar.

oye keeper.. casually naa liyo..ball chhuti toh bohot pelunga...

chalo,move it...

sabko hairani me chhod apni baat puri ki maine jispar SAM mere kahe according fielding sajane laga aur is beech SONU jhat se pehle mere aur phir NITS ke gale lag gaya aur..

SONU-tthanks..

NITS-chup loude...mid off me tu rahega...

SONU-yes sir...

jahan SONU usse batayi fielding position me chal diya tha wahin ye sab dekh rahe B section ke ladke has rahe the humpar..

CHARLIE SIR aur DAS SIR bhi ye sab dekh hairan the..unhe toh ye samajh nahi aa raha tha ki SAM aisa allow bhi kaise kar raha hai...

hairan toh meri team ke bande sabse zyada the jo GALATH bhi nahi tha..aaj se pehle mujhe aur NITS ko fielding karte hue bhi fail hote dekha tha un sabne..

humse bhala kya ummid rakhta koi..

par NITS ki first ball se hi gaand fath jaane waali thi in sabki..

ek number bowler cum batsman tha apna NITS.. moholle me khub khelte the hum aur NITS ki bowling ke saamne khade rehne se bhi faththi thi kayi loundo ki..

fatte tez fekta tha NITS...aur ye baat yahan mere alawa sirf SONU ko pata thi..

school me naa khelne ka reason tha woh extra drill jo hamare SPORTS TEACHERS humse karwate the..

khair, apni bowling technique aur side bata line up ki taraf badh chuka tha NITS...

strike par is waqt woh gumnaam banda tha jisse ROHAN har ball par hit karne hi hidayat de chuka tha.

aakhir,uske hisaab se kamzor bowler jo tha NITS...

khair,batsman ke guard lete hi apni bowling run up par daud pada NITS aur phir..

THAPPPP..........

SILENCE.........

room banate hue hit karna chahta tha batsman par isse pehle ki uska bat theek se ball ke radar me bhi aata,middle stump ud chuki thi uski...

NITS-nikal laude....

zor se chillaya NITS aur uske us dahad se jaise pura ground shock se bahar aaya...

kisi ko kuch samajh me hi nahi aaya ki abhi hua kya... CHARLIE aur DAS SIR toh aankhein faade apni jagah par khade ho chuke the...

SAM-what the fuck... that was deadly dude...

doudkar aaya SAM aur kood hi pada woh NITS par jiske baad EKPREET,RAJAT aur baaki saare fielders bhi lapke NITS ke upar...

mai aur SONU hi aise the jo apni jagah par khade the..ab hume toh pata hi tha ki aage kya hoga...!!!

EKPREET-saale, itni khatarnaak ball fekta hai aur ab tak gaand tikaye baithe rehta tha.

RAJAT-bhai mujhe toh ball ALOK se tez lagi..

SAM-lagi kya thi, wakayi thi.. NITS,ab se tu team me hai...

NITS-bakwas na karo be..nahi kar sakta mai drill training...

RAJAT-acha..saale isiliye nahi khelta hai tu...

UMPIRE-baatein baad me karna boys...next batsman aa chuka hai..continue with the game...

UMPIRE ki baat sun sabhi turant apni apni fielding position me jaa chuke the jiske baad NITS ne daali apni dusri ball aur...

HOW'Z THAT......!!!

ball line par thi aur sidhe pad par lagi thi,woh bhi below knee roll aur isiliye ungli uth gayi umpire ki...

2 ball me 2 bande nipta diye the NITS ne jispar jahan ek taraf hum sab khushi se ucchal rahe the wahin dusri taraf B section waalon ke kheme me maatam chaa chuka tha...

ROHAN ka toh mooh chuse hue aam ki guthli jaisa chota ho gaya tha..

aur woh guthli tab aur patli ho gayi jab NITS ki agli ball joki good length area par thi,uspar new batsman ne bat ada diya aur uske aisa karte hi laga ek healthy edge aur ball gayi sidhe first slip ki taraf jahan EKPREET mustaidi ke saath khada tha..

lapak liya catch usne aur uske aisa karte hi khushi se cheekh hi pada NITS..

NITS kya,hamari puri team,stands par baithi girls bhi clap karne lage jo karna hi tha..

lounde ne hatrick jo le liya tha...

CHARLIE aur DAS SIR bhi hairangi ke saath behadh khush bhi the...

khair,is celebration ke beech maine kuch ishara kiya NITS ko jisse samajh gaya NITS..

uski agli ball middle stump ki taraf thodi full thi jisse aaye hue new batsman ne long on ki taraf maara..

finally ek run score hue NITS ki ball par jiske baad aaya strike par ROHAN...

yahi toh chahta tha mai..saanp ko poonch se nahi,mooh se jo kuchalna tha hume..

khair,ab tak ROHAN non striker end se NITS ki har ball ko behadh baariki se samajhne ki koshish kar raha tha..

NITS ki pehli ball ek in swinger thi,dusri sidhi thi aur teesri out swinger thi..

last ball jo usne feki thi woh sidhi thi aur is hisaab se abhi in swinger fekega woh,aisa anumaan lagaya tha ROHAN ne aur hua bhi wahi...

behadh tez in swinger feka tha NITS ne joki ROHAN ke knee level ki height par aaya tha...

par kyunki ROHAN ka anuman sahi tha, isiliye dono pairon ko saath laate hue defend kar liya usne lekin tappa padne ke baad ball itni andar aayi thi ki woh middle nahi kar paaya tha usse.

halki side me lagi ball bat ke aur square leg,jahan mai khada tha, udhar aayi ball jispar tezi se aage badha mai...

agle hi second ball mere haath me thi jisse wapas speedily feka maine ROHAN ki taraf..

hadbada sa gaya tha ROHAN par uske theek piche aaye keeper ne jab ball apne dastane me lapke toh shaant hua woh par is scene ko dekh door baithe CHARLIE SIR muskura uthe the..

CHARLIE-mind game..very good...

DAS-kya ball daal raha hai ye NITS toh...line length bhi badhiya hai iski...

CHARLIE-hmm..par bowling ye akela nahi, do log saath me kar rahe hain..

DAS-matlab...!!

CHARLIE-wait and watch..jahan tak mujhe andaza hai,abhi kuch alag hone waala hai...

pehli ball se dekh rahe the NITS ko CHARLIE SIR..aur unki anubhavi aankhon se kuch chuppa nahi tha..

woh dekh rahe the ki har baar ball fekne se pehle sir halka twist hota hai NITS ka..woh mujhe dekhta hai aur phir mere ishare ke baad aage badhta hai..

abhi tak 2ri aur 4thi ball sidhi daali thi NITS ne jiska matlab tha ki 6th ball bhi straight line hone waali thi..

logic toh yahi kehta tha aur ussi logic ko guess kar ROHAN bhi batting kar raha tha..

par sir ko lagne laga tha ki abhi kuch aur hoga...NIKON ki behadh portable binoculars nikaal chuke the woh aur ussise is waqt up and close hokar dekh rahe the chal raha scene ki tabhi kuch dekh aankhein choti ho gayi unki..

NITS doud chuka tha ROHAN ko apni aakhri gend daalne...seem presentation bilkul upright thi uski...

tezi se doudta hua aaya woh par isse pehle ki woh apni ball daalta,mai aage aate hue halka right ki taraf badh chuka tha..

puri taakat se ghumayi apni shoulder NITS ne maano ball fekne ke liye puri jaan laga di ho usne..

wahin pichli ball ke speed ko dhyan me rakh apne regular stance se thoda pehle hi bat utha liya tha ROHAN ne aur jaise hi ball chhuti NITS ke haath se,toh utni hi tezi se apne left pad ko saamne rakh bat neeche le aaya woh...

apna favourite leg glance maarne ka iraada tha uska aur jis length par ball aa rahi thi, perfect short maarne waala tha ROHAN par tabhi..

bat neeche laate laate hi hadbada gaya ROHAN...

REASON..

ball aayi toh ussi jagah thi jahan expect kiya tha usne par ball ki speed aadhi thi..

knuckle ball feki thi NITS ne jo zaroorat se bohot kam speed se aayi ROHAN ke bat par..

yahi reason tha ki bat ke middle me naa padh ball front edge me padi aur square leg ki left se pierce hone ke bajaye ball backward square leg ki taraf ucchal si gayi...

wahi disha jidhar ball ke bat me lagne se pehle mai badha tha...

par phir bhi ball thodi door ucchli thi mujhse...

par naa pair ki raftar kam hui meri aur naa meri aankhon ne ek pal bhi chhoda ball ki sight ko aur agle hi pal...

meri body kisi spring lage khiloune ki tarah 180 degree stretch hote hue aage ki taraf ucchal si gayi aur apni aakhri hadh ko chhute hue usne meri dono hatheliyon ke beech ball ko chuppa diya tha...

DHAKKK....

fisalta hua sa aage ki taraf slide ho gaya mai par aisa hote hue hi ball jo ab puri tarah control me thi meri,usse hawa me ucchal diya maine...

waise toh ROHAN ke liye beech waali ungli uthana hi sahi hota par umpire ne apni index finger upar utha di thi jiska matlab tha ROHAN out ho chuka tha...

ye sab dekh jahan ek taraf ROHAN jadh sa hokar khada ho gaya,dusri taraf B section waale the,jinke mooh aur gaand ek saath khul gaye the,wahin in sabke beech mere sabhi team mates ucchal hi pade aur bhaage meri taraf..

DAS-did you see what i saw...???ye SANVEER..

CHARLIE-yup... SANVEER...ball bhale hi NITS ke haath me thi,par us ball ki kismat is ladke ne tay ki...

aur sirf ye ball nahi,pura over plan kiya tha usne..

har ball kahan fekni hai, ishare se wahi bata raha tha NITS ko.. woh jaanta tha ki ROHAN bowler ke patterns follow karta hai...

unke thinking process ko khudke benifit ke liye use karta hai...

par aaj SANVEER ne wahi daav ROHAN par palath diya...

ROHAN cricket khel raha tha aur SANVEER uske dimag ke saath..

absolutely brilliant...

wahan sir NITS aur meri taarif kar rahe the aur yahan jo hua,woh pura game ab jaakar samjha tha ROHAN..

kaafi acha khela tha woh par jaise lapeta tha NITS aur maine usse,ego hurt ho gayi thi lounde ki..

mooh neeche kar kuch seconds khada raha woh aur phir jaane ko hua par tabhi....

NITS-ROHAN lounde...mazak udaya tha tere doston ne mere dost ka aur hasa tha tu...ab has...

NITS ki baat sun piche palta ROHAN par face abhi bhi dalle waala banaya hua tha usne jisse dekh..

NITS-kya hua,nahi aa rahi hasi naa..

saale itni pelayi ke baad bhi ab tak nahi samjha tu ki....

utaarna nahi padta hume agar tum chane ke jhaadh par CHADHE NAHI HOTE...

izzat utri nahi hoti tumhari jo apni hadh se aage BADHE NAHI HOTE...

khud ke kad par gumaan karna band kar do B waalon...

tum unche sirf tab tak ho jab tak hum tumhare saamne KHADE NAHI HOTE...

TO BE CONTINUED:-

AAJ KE LIYE ITNA HI....

AAPKA APNA V...J...
Awesome update bro
 
Top