• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

SameerK

Active Member
826
4,539
138
CITY:-DEHRADUN:-



PLACE-SIRIUS SCHOOL & COLLEGE....



PLACE INFO----


(SIRIUS SCHOOL & COLLEGE)...

SLOGAN..."THE PLACE WHERE CHAMPIONS ARE ELEVATED TO BECOME LEGENDS"....




1921 me DEHRADUN aur MASOORI ke beech mountain outskirts ke beech kareeb 50 acre ke dimension me bana SIRIUS SCHOOL & COLLEGE apne aap me ek misaal hai...

I.C.S.E syllabus and pattern ke antargath aane waala THE SIRUIS dehradun hi kya,pure india ke top 20 schools and colleges me darj karata hai apna naam....

india ke har state se aate hain bacche is dignified school aur college me padhne joki apne aap me hi ek nayi duniya se kam nahi hai....

kareeb 3000 students padhte hain SIRIUS ke SCHOOL me aur college me students ki sankhya 4000 se bhi zyada hai...

har class me 100 se zyada bacche hain aur isiliye hi har class ko 2 ya phir 3 section me convert kiya gaya hai..

ACADEMICS,SPORTS & STUDY...school me hone waale in teeno he departments ka hadh se zyada craze hai SIRIUS me....

yahi reason hai ki jitne bhi students in teeno departments me sabse upar hote hain,they are treated like celebrities in THE SIRIUS...

SCHOLARS aur SUPER RICH bacchon ka sangam hai SIRIUS jiske teachers bhi apne aap me super efficient, talented aur interestingly ajeeb bhi hain...

toh ye tha hamari is nayi kahani ke first chapter ka sabse important BASE...THE SIRIUS SCHOOL & COLLEGE jiska info ab aap sabke paas hai aur isiliye chaliye ab shuru karte hain ek super thrill, competence aur excitement se bhare hue "GALATH" ka first chapter....



CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-1


" APRIL 1/2019 "


PLACE-THE SIRIUS...

FIRST DAY OF THE NEW SESSION.....





WAKEY WAKEY,EGGS AND BAKEYYYY.....SIRIUS......(slang words to say goodmorning)



TEACHERS,STUDENTS, GUYS,GALS OF ALL AGES..

PEOPLE WHO LIVE NEAR BY AND FROM DIFFERENT PLACES...

PUT ON YOUR SHOES & TIGHT UP YOUR LACES...

SMILE AND POP IN,ITS SIRIUS AFTERALL,IT ALWAYS EMBRACES......

FELLAS, IT'S TIME FOR THE FIRST ASSEMBLY..SO ASSEMBLEEEEEEE....
IN THE GREAT HALL....



school me chaaron taraf lage bade bade speakers me SIRIUS school ki arts department ke personal radio jokey KELVIN MICHAEL ke welcome words the ye jo gunj uthe the pure SIRIUS me jisse sun jahan ek taraf purane sabhi students ke faces par smile naach uthi thi wahin jitne bhi naye students the,unke kadam is nayi gigantic,total happening aur super modern school me rakhne ke baad nervousness ki wajah se aur zyada kaampne lage the...

but, with all the mixed feelings, assembly me toh jaana hi tha, isiliye sabhi students fouran the great hall ki taraf chal pade...


ASSEMBLY:-

GOOD MORNING STUDENTS AND I WELCOME ALL THE NEW AND OLD STUDENTS TO THIS FRESH CALENDAR YEAR IN SIRIUS...


GOD'S PRAYER, HYMNS, COUNTRY PLEDGE and finally NATIONAL ANTHEM ke baad gunji thi ye awaaz saare students ke saamne khadi SIRIUS SCHOOL'S principal ki...


(INTRO:-RANJANA MATTHEWS..the principal of SIRIUS,SCHOOL DIVISION...ab inke baare me kya bolun..mid forties ki ek beautiful women hain ye.. saath hi saath super inteligent bhi..after all oxford return jo hain ye..

aur woh bhi ek nahi,do do MASTER'S DEGREE ke saath..she has a master degree on LITERATURE as well as a MASTER'S DEGREE on SOCIAL PSYCHOLOGY...human behaviour,unke hidden secrets ko guess karne ka hunar hai inke paas......)




BACK TO THE STORY:-



RANJANA-kya aapko pata hai the meaning of SIRIUS...???!!!

STUDENTS-THE BRIGHTEST STAR IN THE NIGHT SKY....


purane students jinhe apne principal ke is sawal ka jawab pata tha,un sabki awaaz ek saath gunji jiske baad..


RANJANA-exactly..the brightest star in the night sky.. aur kyunki aap sab is integral aur respected school ka hissa hain, isiliye you all are also that shining star..

aur yahi hamare school ka logo aur moto bhi hai..

SIRIUS is the place where champions are elevated to become legends"....

but to be that,the most important thing is discipline...and i expect each and everyone of you to be very disciplined.


students ke us mele ke beech bhi kuch khaas notorious students par eye roll karte hue kahi ye baat PRINCIPAL RANJANA ne jiske baad assembly dissolve ho gayi aur saare students line barkarar rakhte hue apni apni classes ki taraf badh chale par is beech...


ROHAN,WE NEED TO TALK...THE GAME HALL... RIGHT NOW....


ye thi SAMEER CHANDER ki awaaz jisne apne hi class par dusre section ke ek ladke ROHAN JAIN se kahi ye baat aur aisa bol woh ussi GAME HALL ki taraf badh gaya..


INTRO:-SAMEER CHANDER urf SAM... a very handsome guy..but more importantly,the heart throb of SIRIUS.... academics ho,study ho yaa phir the most important thing of SIRIUS, SPORTS, SAMEER CHANDER is the best of SIRIUS....

saath hi saath kaafi dabang bhi hai ye, apne group ka jisme 50 se zyada ladke aur ladkiyan thi,uska leader hai SAM...

SIRIUS school division ke lagbhag sabhi students yaa toh SAM ki respect karte hain yaa phir usse darte hain ya phir teesra option chunte the...


ROHAN MALHOTRA.....

again a very good looking guy and at the same time,SAM ka direct rival... academics me, study me aur sports me agar SIRIUS me SAMEER ko koi challenge kar sakta hai,toh woh hai ROHAN MALHOTRA urf RO....

haan, winning percentage SAMEER ka ROHAN se zyada hai but woh margin bohot kam hai..

aur isiliye jitne friends, followers aur fans SAM ke hain, lagbhag utne hi ROHAN ke bhi hain...


BACK TO THE STORY:-


ROHAN-well,well,well..yahan toh puri gang moujud hai...brawl ke liye ye GAME HALL chota nahi pad jaayega....


ANJALI UDAASI,SAMS GF,EK PREET SINGH BAL,RAJAT AGRAWAL,NAISHA SINGHANIA,RAJAT'S GF...

in sabhi ko ek saath game hall me dekhte hue kahi thi ye baat ROHAN ne jispar..


SAM-just cut the crap ROHAN...pehle bhi bol chuka hun,phir bol raha hun, zabardasti mera raasta kaatna band kar de...


apni ungli saamne khade ROHAN ki taraf karte hue kahi thi ye baat SAMEER ne jispar..


ROHAN-raasta kaatna...??? abbe mai koi billi hun jo tera raasta kaatunga..

SAM-stop playing ROHAN...pure holidays me tune aur tere bandon ne jaan bujh kar mere bandon ko continously poke kiya hai,toh stop doing it or..

ROHAN-or what..haan...kar kya lega tu...???beta,teri hoshiyari aur dhouns sirf school gate ke andar tak hai,par meri pure dehradun me...

jo chaahe karunga mai,ukhaad le jo ukhaadna hai..

SAM-teri toh saale...

EKPREET-SAM,see around...


ROHAN ko punch karne ke liye SAMEER aage badhne hi waala tha ki tabhi piche se EKPREET ki awaaz padi uske kaano me jiske baad jab usne nazar ghumayi toh paaya ki GAME ZONE ke kul 6 entries se 7 log nikalkar uski hi taraf aa rahe the..

ye saathon ROHAN ke group ke ladke the aur kaafi tagde bhi...

un saathon ko dekh jahan SAMEER ne apne kadam halke piche liye wahin ek devilish smile ke saath ROHAN SAMEER ki taraf badha aur theek uske saamne pahunch...


ROHAN-beta,ucchalna kam kar de...warna itna pelunga ki naa toh dhang se khade ho paayega aur naahi thik se baith paayega...


TOH PEL KE DIKHA NA BHOSDIKE...AUR TU KYA ISKI DIALOGUE BAAZI JHEL RAHA HAI...

"MAAR MADARCHOD KO".....


ek tez awaaz ya phir ye kahun ki KISIKI PERSONAL TAKIYA KALAM gunji HALL ke door ki taraf se jisse sun jahan ek taraf SAMEER, EKPREET aur RAJAT ke tensed faces par smile naach uthi, dusri taraf ANJALI aur NAISHA ne apne sir par haath maar diya wahin teesri taraf ROHAN aur uske saaton bande jo ab tak super confident dikh rahe the,achanak se hi un sabke chehre par baaja baj chuke the...

darte hue woh sab piche mude aur aisa hote hi saamne khade saksh ko dekh unke chehre par jo 12 baje the,woh 24 me badal chuke the..


REASON...

un sabke piche khada tha,SANVEER AHARYA....

aur "MAAR MAARADCHOD KO" hai in bhai sahab ka woh personal takiyakalaam jo kisi ko maarne se pehle ye chillakar bolte hain...

scene aage badhane se pehle, chaliye,is kahani ke nayak ka intro ho jaaye,toh bada hai,par zaroori bhi hai...


naam toh aap jaante hi hain...SANVEER AHARYA...son of THE LATE SANEEL AHARYA and mother VERONICA PAUL AHARYA...

inke first board exam me abhi 2 saal baaki hai but phir bhi janab ki height 5.8 cross kar chuki hai..

dubla patla above average look waala banda hai apna SANVEER AHARYA....but jawline jis tarah se develop ho raha hai iska,agar janab ka sharir bhar jaaye aur face par halka fat aa jaaye toh he will be transformed into a super hot guy who's looks would be something to die for..

anyways, SANVEER bhi SAMEER ke class me hi hai aur uska best friend bhi..

but most importantly,SANVEER SIRIUS ka woh eklouta aisa banda hai jo sabke saamne bhi SAMEER ka mazak udaa sakta hai..

but unlike SAMEER, ACADEMICS, SPORTS aur even STUDY me apna SANVEER average student hi hai...

agar sab chizon ko summerize karkar bolun toh SANVEER ek zindadil,life ko enjoy karne waala,on the scale 100,90 percent perfect banda hai who's quite perfect to hangout with...

haan,mooh chod bada tagda hai ye...behes me in mahashay se jeetna mushkil hi nahi naamumkin hai...

acche accho ke kaan se bas apne zubaan se hi khoon nikal sakte hain ye...

par ye hunar bhi iske 90 percent "SAHI" hone ka hi hissa hai..

par bacha 10 percent...woooo... that's something no one should mess with..

kyunki us 10 percent me aata hain SANVEER ka GHUSSA...wahi expression jiski wajah se abhi chal rahe scene me RONIT and party ki fati hui hai...

aisa nahi hai ki SANVEER koi trained martial artist yaa koi strong fighter hai..

ek behadh hi simple banda hai apna SANVEER..but iska ghussa utna hi complicated aur negetive hai...

aur woh isiliye kyunki SANVEER ke ghusse ki koi HADH nahi...aar ya paar waale tarj par apna ghussa nikalta hai ye...

fark nahi padta ki saamne ladka hai ya ladki.. bhidne waala ek banda hai ya phir 10 ki toli...

ye janab sabse akele hi bhid jaate hai aur tab tak bhide hi rehte hain jab tak yaa toh saamne waala ya waale rahen yaa phir ye...

luckily aaj tak kisiko jaan se nahi maara isne par ye sirf isiliye possible ho paaya kyunki har baar koi na koi geniune banda aur zyadatar iski mom ne aakar beech bachav kiya hai us ladhayi ka..

but sabse important baat jo ghusse me iska sabse bada hathiyar bhi hai..woh ye hai ki jab ye bhai sahab ghussa hote hain toh us waqt inka dimag saamne waale ko nuksaan pahunchane ke liye itna zyada focused rehta hai ki inki body par aaye har chot aur us chot se hone waale dard ka ehsaas tak nahi hota inhe..

aur yahi main reason hai ROHAN aur uske doston ka SANVEER se darne ka..aaj se do saal pehle in saare mahanubhavon se bhid chuka hai SANVEER woh bhi akele..

infact akela paakar hi ghera tha in sabne isse..

us ladhayi me SANVEER ka left haath fracture ho gaya tha, sir par,pair par,chest aur back par bhi bohot se chot aur ghaaw aaye the but us waqt ladhayi ke beech isse kuch pata hi nahi chala..

lagbhagh 30 minute se bhi zyada in sabhi se akele ladhte raha SANVEER aur aadhe ghante baad kisi ke through pata chalne par jab SANVEER ki mom us ladhayi waale spot par pahunchi toh tab tak ROHAN aur uske saaton saathi zamin par gire pade the...

SANVEER ki haalath beshak kharab thi par un sabki condition khudse zyada buri kar chuka tha SANVEER..

aur jab uski mom wahan pahunchi aur unhone SANVEER ko rukne ke liye kaha tab jaakar kahin woh rooka aur aisa karte hi woh saara zabt kiya hua dard ek jhatke me bahar aaya aur woh behosh ho gaya...

bottom line..jab SANVEER ghussa hota hai toh naa woh paagal hota hai aur naahi sanki,woh in dono bhi bhaavo se ek kadam aur upar uth ban jaata hai "GALATH"...



BACK TO THE STORY:-



ROHAN-abbe bhosdike tune toh bola tha ki SANVY school nahi aaya hai...

JIMMY-mother swear bhai..school bus me nahi tha ye aur naahi assembly me dikha tha..


CHATTAKH..CHATTAKKHHH.
CHATAKKKKHH..BHAKKKK..BHAKKKK...


jimmy ke apni baat bolte tak MAI ROHAN ke paas pahunch chuka tha jispar woh hadbada gaya aur mujhse kuch bolne ko hua par tabhi continously chala mera haath..

ek ke baad ek teen tamache jade maine usse aur ye dekh uska chamcha jimmy beech bachav ke liye aage badha par tabhi maine uske chaati par maara apna pair jispar woh piche ki taraf gir pada..


ROHAN-dekh SANVY..hum yahan ladhne nahi aaye the...ye SAM ne hi mujhe..

MAI-chup laude...mootna aata nahi, chodna sikhayega tu...bhosadchodi ke..

maana, mujhe aane me thodi deri hui par itna late toh nahi hua tha mai ki tu bete se baap hi ban jaaye...

jhaantu,rook...aaj tera pura hisaab ek saath pura karta hun mai...


ye bol pool table par rakhi CUE uthayi maine par tabhi...

ROHAN aur uske saathon dost exit ki taraf bhaage aur ye dekh..


MAI-bhaag madarchod bhaag..aaj tujhe teri class me hi nibtaunga mai..


ye bol mai bhi bhaaga par pehle se hi exit me khade teachers ki position check karte EKPREET ne pakda mujhe aur..


EKPREET-shaant ho jaa bhai..school me hain hum..yahan kisi ko khule me maarega toh suspend nahi sidha resticate hoga tu...

MAI-ghante ka resticate..khudko bachana aata hai mujhe..tu hat loude..

SAM-haan bhai SANVY..tune pehle bhi kisi tarah khudko safe kiya hai aur i am sure ki ab bhi kar lega...

but think bro..in sabke beech aunty ko firse yahan aana padega aur princi se sunani padegi...

and i don't think you want that..isiliye cool it buddy..

in saalon ko phir kabhi dekh lenge...


mom ka naam sunte hi shaant ho chuka tha mai..

aage kuch kaha nahi maine aur EKPREET jo ab bhi mujhe kisi tarah pakde khada tha,usse alag ho class ki taraf badh gaya aur ye dekh..


SAMEER-abbe ek hi class me hain hum sab.. hamare liye toh rook...

MAI-toh raasta bhi pata hoga naa..aa jaaiyo...


jahan ye bol mai tezi se aage badh chuka tha wahin meri baat sun muskurate hue SAM aur baaki chaaron bhi uske saath class ki taraf chal pade aur is beech...


ANJALI-baby...mujhe samajh nahi aata ki ye looser SANVY tumhe itna kuch bol jaata hai and why you never react..??

you are the heart throb of SIRIUS.. everybody respects you but ye SANVY...

ye tumhe kabhi bhi,kisi ke bhi saamne ulta sidha kuch bhi bol deta hai aur tum bas smile karte rehte ho..

is middle class average looser me dikhta kya hai tumhe jo isse apna best friend maante ho...???

aur tu EKPREET..kya zaroorat thi usse rokne ki...jaane deta usse ROHAN ke piche...acha hi hota,is baar toh pakka resticate hota woh....

SAM-babes.. first of all, friendship me paise nahi dekhe jaate..

and yes,SANVY is my best buddy aur isiliye woh kuch bhi bol sakta hai mujhe...

EKPREET-aur rahi baat uske resticate hone ki toh mat bhul ANJU ki SANVY ne pehle bhi kayi kaand kiya hain aur woh bhi openly..

but har baar he escapes...aur woh bhi bina kisiki madad ke..

RAJAT-true...saale ke paas har baar kuch na kuch jugaad hota hai bachne ka...

NAISHA-jugaad nahi babes,loop holes...SANVY loopholes dhundne me master hai...

woh loopholes dhundh araam se bach jaata hai...

aur sabse important baat.. mat bhulo ki he is the favourite student of our respected PRINCIPAL MRS RANJANA MATTHEWS..

ANJALI-ab ye ek aur baat hai jo mai kabhi samajh nahi paayi...why the hell does our PRINCIPAL likes an average student like SANVY...

for god sake,he is good for nothing...

SAM-oh,just cut the crap yaar..baaki sab chhodo,bas itna yaad rakho ki aaj,he saved our bloody asses...

baaki saari baaton ko chaar line me lapeto toh...



koi bhi yahan doodh ka dhula NAHI HAI......

par aaj usne hume bachaya hai,sach bas YAHI HAI....

haan,kahin kahin zaroor GALATH hai mera yaar magar...

SANVY ke thode se GALATH hone se zyada kuch bhi SAHI NAHI HAI.....













AAJ KE LIYE ITNA HI....











AAPKA APNA V...J....
Behtarin update bhai
 
9,985
41,782
218
बहुत ही गलत हुआ लगता है बेचारे सनवीर आहार्य और उसके फेमिली के साथ । एक नाबालिग लड़के को किसी इल्जाम में फंसाया गया और उसकी मां को शायद मार दिया गया या मरने के लिए मजबूर किया गया ।
ऐसा क्या किया था सनवीर आहार्य ने जो कोर्ट ने उसे जुबेनाइल कस्टडी में भेज दिया था । लेकिन जो भी किया हो , उसके साथ पुलिस ने जो व्यवहार किया वो सरासर " गलत " था । एक छोटे उम्र के बच्चे के साथ इतना जघन्य टार्चर ! बिल्कुल " गलत " था ।

वकील अनुपम घोस ने उसके लिए पैरवी तो की पर उसके पीछे कोई पावरफुल आदमी है । कौन है वो ?

ये भी समझ में आ रहा है कि इस सारे बखेड़े का सूत्रधार जयदेन चौधरी नाम का कोई शख्स है । कौन है वो और ऐसा क्या किया है उसके खिलाफ ?

कहानी की शुरुआत बहुत ही बेहतरीन रही । मौसम , वर्षा , बिजली का डिस्क्रिप्शन देते हुए अलंकार का भी लाजवाब समावेश किया गया है ।
सनवीर आहार्य के मौजूदा हालात का जो वर्णन किया गया है वो भी गजब का लिखा गया है । अपनी मां के समाधी पर जाते वक्त और असलियत का भान होने के बाद जो उसकी अवस्था हुई थी वो पढ़कर आपके लेखनी के स्तर का पता चलता है । अमेजिंग ।
डायलॉग छोटे पर बेहतरीन थे ।

इसके पहले जो कविता लिखा था वो बहुत सारे लव वर्ड के इमोशन को आंदोलित करने वाला था ।

बहुत ही अव्वल दर्जे की लेखनी है आपकी भाई ।
आउटस्टैंडिंग अपडेट ।
 

Vipul

Well-Known Member
2,242
7,300
158
PROLOGUE UPDATE:-



DATE-APRIL 1/2021....





TANNN...TANNN...TANNNNN.....



CHAL RE LADKE.. KISMAT WAKAYI ACCHI HAI TERI...KAAFI SASTE ME CHHUT RAHA HAI TU....


police station ke piche bane before hearing TEMPORARY JUVENILE HOME joki kisi normal adult jail se kam nahi thi,uske ek cell ki salakhon par pehle apne ruler se maarne ke baad lock kholte hue kahi thi ye baat ek hawaldar ne jispar cell ke andar diwal se tik kar baitha ladka bina koi pratikriya diye bas dheere dheere apni jagah se uthne laga but tabhi...


AHHHHH....

uthne ki koshish me pair ladhkhada gaye us ladke ke jiski wajah se woh neeche girne laga par tabhi us Hawaldar ne uske ek haath ko thaamte hue usse support sa diya aur fir ussi haath ko apne kandhe ki taraf ghumakar rakhte hue us ladke ko pakad usse sahara dekar aage badhne laga but ye chota sa safar bhi asaan na tha..

kapde jagah se phate hue us ladke ke jinke andar jhaanke se sharir par pade asankhya chot aur ghaav saaf dekhe jaa sakte the...

maasum chehre ke kayi hisson par khoon se sukhe dhabbe saaf bata rahe the ki us ladke ke face par bhi bohot se tez tamaache aur mukke padh chuke the..

dando ki asankhya maar ki wajah se dono pair aur khaaskar ghutne bhi kaafi suje hue the aur issi wajah se woh ladka thik se chal nahi paa raha tha...

sahara milne ke baad bhi us ladke ke face par dikh rahe pain ko dekh us hawaldar ko bhi us bacche par kaafi taras aa raha tha..

aur ye bhaavna sirf abhi hi nahi jaagi thi balki parso se jab se us ladke ko JUVENILE CUSTODY ke naam par is cell me bharti kiya gaya tha aur uske baad jo kayi ghanton tak lagatar usse kisi rapist ya maas murderer ki tarah maara gaya tha,woh sab dekh kar hi is hawaldar ko behadh taklif hui thi par apne chote ohde ki wajah se woh kuch kar nahi paaya tha...

khair, kisi tarah sahara dete hue woh hawaldar us ladke ko liye us JUVENILE HOME ke front hall me bane chamber ki taraf badha hi tha ki tabhi....


ARE YOU EVEN LISTENING TO ME INSPECTOR....2005,JUVENILE JUSTICE CARE & PROTECTION ACT KE ACCORDING KISI BACHE KI UMR AGAR 18 SAAL SE KAM HO TOH USSE POLICE REMAND PAR NAHI LE SAKTI AUR RAKH TOH BILKUL NAHI SAKTI..

AND DON'T EVEN DARE TO TRICK ME BY SAYING KI YE EK TEMPORARY JUVENILE HOME HAI KYUNKI YE JAGAH BHI BY LAW "GALATH"....


CHRRRRR....

chamber ke dono darwaze khulne ki wajah se chamber me khade us aadmi ka sentence pura nahi ho paaya aur woh turant palta aur aisa karte hi jab uski nazar door se enter hue hawaldar ka sahara lekar khade us half consciousness waale ladke par padi toh uski aankhein hairani aur ghusse se badi ho gayi aur..


AADMI-is this "SANVEER AHARYA"....


ye bolte hue woh turant us ladke ki taraf lapka jisne shayad us aadmi ki awaaz theek se suni bhi nahi thi ya phir ye kahun ki uski tooti phuti haalath aur dono hi kaano ke piche dikh raha sookh chuka khoon usse kuch bhi sunanane ke liye filhal temporarily non compitant kar chuka tha..

us ladke ke paas pahunch hawaldar ko side hata us aadmi ne khud us ladke ko sahara diya aur aisa karne ke baad jab uski ghusse se bhari aankhen saamne chair par baithe inspector ki taraf gayi jo ab bhi ghaagh ki tarah muskura raha tha toh woh kuch bolne ko hua par tabhi..


INSPECTOR-MR ANUPAM GHOSH....mai jaanta hun ki aap kaun hain..yahan ke sabse bade lawyer hain aap...

is JUVENILE HOME ke bahar aapke assistants ki lambi line aapke powerful hone ki baat par bhi bina bole mohor laga rahe hain but the thing is ki aap kuch nahi kar sakte...

jaante hain kyun....???

JAIDEN CHOWDHARY....

muskurate hue bhar ye ek naam hi liya us inspector ne par shayad itna hi kaafi tha...

naam sun ek pal ke liye LAWYER ANUPAM GHOSH ke chehre par shikan aaya but phir sakhti se bhar utha unka bhi face...

BEEP...BEEP...

ANUPAM GHOSH kuch kehte ki tabhi unke mobile ki message tone baji...

"JUST BRING THE CHILD"....

yahi likha tha us messege me jisse padh khudko shaant kiya ANUPAM GHOSH ne aur inspector ki taraf dekh...


ANUPAM-naam toh ek mere paas bhi hai,jisse agar le lun toh tumhari khudko safe samajhne ki galatfehmi abhi ke abhi door ho jaayegi but mai aisa karunga nahi..

sahi waqt aane tak tumhara ye over confidence barkarar rehna zaroori hai...


jahan ye bol half conscious mode me khade SANVEER AHARYA ko sahara dete hue ANUPAM GHOSH wapas moodte hue us chamber se bahar nikal gaya wahin uski baat sun woh inspector bas pehle ki hi tarah ghaagh ki tarah muskurate hue apne revolving chair me baith chuka tha...


NNNNNNNNNNNN.....


15 minute ke car drive ke baad ANUPAM GHOSH ki car ek bade se half opened gate ke saamne ruki jiske baad usne us maasum se teenager "SANVEER" ko wapas sahara dete hue car se utara...

is 15 minute ke safar ke dauran SANVEER bas apni aankhen band kiye chup chaap baitha hua tha..

but jab car rooki toh itne waqt me pehli baar naa sirf SANVEER ki aankhein khuli but saath hi saath uski sthir aur emotion less aankhon me ek halki si hi sahi,khushi dikhne lagi thi..

lekin usse ulat jab ANUPAM ne SANVEER ki aankhon me khushi dekhi toh uske face par dukh ke bhaav aa chuke the...

ANUPAM jaanta tha SANVEER ke aankhon me dikh rahi khushi ka reason...

but woh ye bhi jaanta tha ki woh reason,woh khushi ka shroth ab SANVEER ko kabhi nahi milne waala...

khair, jab ANUPAM ka sahara lete hue SANVEER car se utra toh uske kaano me padi gate ke khulne ki awaaz joki ANUPAM ke assistant ne kholi thi aur woh sun uski aankhein jhat se upar uthi aur aisa hote hi jo nazara uske saamne aaya,usse dekh SANVEER ki aankhein badi ho gayi...

"GOD'S ACRE"....

jahan SANVEER rehta tha,us sheher ke GRAVEYARD ka naam tha ye jisse dekh dil dhakk sa kar gaya tha uska..

graveyard ko dekh SANVEER ki nazarein turant ANUPAM ki taraf ghumi jiske face me is waqt negetive bhaav the jinhe naa sirf padh gaya SANVEER balki agle hi pal uske kadam ladhkhada gaye aur woh girne laga par ek baar phir ANUPAM ne usse sambhala aur bina kuch kahe usse apna saath liye GRAVEYARD ke andar daakhil ho gaya...

DHAKKK..DHAKKKK.DHAAKKKK..

tezi se dhadakte dil ke saath SANVEER khamosh zubaan liye aage badh raha tha..

pairon ke jodon me multiple fractures the uske but abhi jaise usse kuch feel hi nahi ho raha tha...

april ka pehla din tha aaj..garmi ki shuruat ho chuki thi but kaale baadal aur tez hawayein aaj fizaon me kuch aisi ghuli hui thi maano aaj ke din ko manhoos ghoshit kar rahi hon...

aur jaise jaise SANVEER ke kadam apne us anchaahe manzil ki taraf badh rahe the,waise waise woh tez chalti hawayein apne saath paani ke bauchaaron ko bhi kuch yun tezi se fekne lagi thi maano aisa kar woh SANVEER ke view ko block karna chah rahi hon taaki jo woh dekhne waala hai,usse waisa karne se rokna chah rahi hon...


khair,in saare odds ke beech SANVEER ko saath liye ANUPAM GRAVEYARD ke ek taraf kaafi aage badh chuka tha but tabhi...

DHAKKKK....

ek dhakka sa diya ANUPAM ko SANVEER ne jiske asar se woh piche ki taraf gir gaya..

wahin SANVEER jisne ye harkat saamne ke nazare ko dekh kar ki thi, pairon me multiple fractures hone ke baawjud badi tezi se aage badh chala woh aur lambi lambi saans lete hue ek fresh grave ke theek aage pahunch ruka...

HHHHH...HHHHHHH...HHHHHH....HHHHHH.....

SANVEER ki already tez chal rahi sansein aur tez ho chali thi par jaise hi uski nazar us grave ke piche gade gravestone me likhe naam par padi,woh naam jiske dhundle andeshe ki wajah se hi usne ANUPAM GHOSH ko dhakka diya tha,but ab woh dhundla andesha saaf hone ke baad bhi SANVEER ki zindagi ko kaali kar chuka tha,naa sirf uski tez chalti saansein ek jhatke me uske dil ki dhadkan ke saath tham si gayi par saath hi saath uski aankhein bhi badi hote hote apni aakhri hadh tak pahunchte pahunchte pathra si gayi....


VERONICA PAUL AHARYA....


yahi likha tha us gravestone par...

pathrayi aankhon se us naam ko lagatar padhne laga tha SANVEER maano usse ummid ho ki padhte padhte achanak se hi woh naam apne aap badal jaayega....

par kuch seconds baad jab uski pathrayi aankhon ke beech panap raha paani chalka toh uska ye bhram bhi us paani ki tarah uska saath chhodta chala gaya aur...


MAAAAAAAAAAA............


dil ko asaani se cheer de,aisi cheekh nikli SANVEER ke mooh se jisne zaahir kar diya us grave ke andar nirjeev pade shaksh ka SANVEER ke saath rishta aur ye bhi bata diya ki jo bhi hua hai,aise hi haadson ko toh kehte hain....


"GALATH"........












AAJ KE LIYE ITNA HI....













AAPKA APNA V....J....
Bohot hi jyada sad starting hui hain bhai magar update mazedar tha bhai
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,756
40,214
189
Bada sakht lounda he hero to

entry marte he
Sidha pelna shuru kardiya


Or aj ke update me
Vj bhai ne jo Vani ka pradarshan
Kiya he kamal he

ek sharif admi bhi
Itni khub surat
Gali ki lekhan sheli
Maza agaya

muje to lagta he vj bhai ye
Gali vala scen likh te vakt khud muskura rahe hoge ke

Unke jo readers he wo kese reaction dege

such kahu to
Vj
Bhai
Bhot maza aya ye padh kar
Or
Lagta he bhot kuch dhamal hone wala
He is story me

Waiting for next








gaali waali baat sahi hai bhai..par reason kuch aur hai.. school ke dino me mera kirdaar kuch kuch SANVEER ki tarah tha..najaane kitni baar mujhpar complaint hone ki wajah se meri mom ko school aana pada tha..

aaj SANVEER ke bare me likhte waqt woh sab bachpana yaad aa gaya..

kahani me aise air bhi kirdaar aayenge jo mere life se prerit hain..jaise ki sonu shrivastav jiske baare me agle update me padhenge aap..
 
Last edited:

Vipul

Well-Known Member
2,242
7,300
158
guyzzz..meri pichli dono kahaniyon me abusive language ka use naa ke barabar hua tha but is baar case alag hai...

story jis point se aage badhne waali hai,usme aane waale scenes me abusive words, gaaliyan zyada hongi toh spare me for that...

UPDATE RAAT TAK...
Bhai apaki story sex aur galiyo ke mohataz nahi hain Attitude main bhi kam sex aur galiya thi magar fir bhi hit rahi maine jitani bhi story padhi hain muje unke story pasand aayi hain naki unaka gali dena halaki thodi bohot gali thik hain magar sex agar jyada ho to maja kharab ho jata hain aage apaki marji bhai
 

Jamesleon

“Failure is not a person, it’s an event.”
541
2,129
139
Bhai apaki story sex aur galiyo ke mohataz nahi hain Attitude main bhi kam sex aur galiya thi magar fir bhi hit rahi maine jitani bhi story padhi hain muje unke story pasand aayi hain naki unaka gali dena halaki thodi bohot gali thik hain magar sex agar jyada ho to maja kharab ho jata hain aage apaki marji bhai

vipul bhai
Ap jesa soch rahe he Wesa kuch nahi hoga
Is story me

romance or sex me fark hota he
Bus hamre dekh ne or soch ne me
Yani nazariye me fark hota he


Jaha tak muje pata he vj bhai ki dono story me sex na ke bara bar tha
Me to kehta hu tha hi nahi sex scen

or rahi bat is story me sex scen ki
To muje esa lagta he
Vj bhai ko sex scen likh ne me koi dilchaspi nahi he
Ha kising scen sayd is story me padh ne ko mil sakte he
Lekin sex scen sayd hi padh ne mile

baki hamro vj bhai
Man moji lo manas che

sayd kisi ko bura lage lekin log sex scen is liye creat karte he jise unko views or readers jada mile

or vj bhai ek genuine admi he
Or unke reders bhi






 
Last edited:

Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Moderator
33,323
150,078
304
Started with school and college life, so here I want to say that these moments are the best of life which never come back, well there is a slight difference here that the level is very high.
Rohan and Sameer are the two new characters mentioned, it seems they also have an important role in the story and the two groups are pitted against each other, Well as usual our hero entered dangerously and beat him up...:lotpot:
koi bhi yahan doodh ka dhula NAHI HAI......
par aaj usne hume bachaya hai,sach bas YAHI HAI....
haan,kahin kahin zaroor GALATH hai mera yaar magar...
SANVY ke thode se GALATH hone se zyada kuch bhi SAHI NAHI HAI.....

Nice...

As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story.

Thank You...
🖤🖤🖤
 
Top