• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

Naik

Well-Known Member
21,452
77,294
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SHILPA RAWAT SANVY KO APNE LIFE KA SABSE DARK SECRET BATATI HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY KHANAK SE KUCH
KUBOOLNAAME LETA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-24

DATE-1ST JULY





SIR,I WAS THINKING,INTEREST PER ANNUM APF KE MUKAABLE ULIP AUR PPF KA ZYADA FLEXIBLE HONA CHAHIYE...BUT USME BHI INTEREST EK IMPORTANT CRITERIA KE BASE PAR DIFFER KARNA CHAHIYE JISSE RETURN MARGINE PERCENTAGE TOH ALAG ALAG AAYEGI PAR 100 PERCENT RETURN OF LOAN AMOUNT KE CHANCES KAAFI BADH JAAYENGE..


kaafi der se teeno hi national level loan schemes ke layout ko checkout karti VERONICA ne us layout par nazar gadaye rakh kuch sochte hue ye saari baatein kahi par jab kuch seconds baad bhi HARISH se koi response nahi mila toh saamne uski taraf dekha unhone jo unhe hi dekh raha tha..


VERONICA-kya hua sir..???

HARISH-dekh raha hun ki itni brilliant minded hone ke baad bhi cheezen bhul rahi hain aap..!!!

VERONICA-bhul rahi hun..!!!kya...???

HARISH-yahi ki aapke saamne baitha saksh pehle ki tarah sirf B.O.B manager nahi balki ab aapka dost bhi hai aur doston ko sir nahi kaha karte...

yaa ab tak dost nahi maana aapne mujhe...???

pichle do hafte se saath kaam kar rahe the un teeno loan projects par HARISH aur VERONICA...

is dauran halke open bhi ho chuke the dono ek dusre se.. offical aur formal connection ke saath HARISH ki badhayi friendship ki request ko bade saadgi se haan kaha tha VERONICA ne par ab bhi woh usse sir kehkar hi bulati aayi thi aur isiliye ye shikayat ki thi HARISH ne jispar halki smile ki VERONICA ne jiske baad...


VERONICA-friendship apni jagah hai aur profession apni jagah..yahan bank me mai ek field officer hun aur aap bank manager...

ohda aapka bada hai mujhse isiliye sir hi suitable word hai mera aapke liye..

HARISH-field officer ka aapka ye post aapki pehchan nahi balki aapki choice hai..

ye mai aur aap dono hi jaante hain ki agar aap chahti toh abhi us post par hoti jahan aapse milne ke liye mujhe bhi appointment lena padta...

toh is tarah se we are even...mai post me aapse senior hun toh aap experience aur expertise me mujhse kahin aage hain..

aur is lihaz se we are equals aur equals ek dusre ko sir aur ma'am kehkar nahi,friends ke hisaab se baat karte hain..

VERONICA-ek simple se call out gesture ke liye itna bada explanation...

fine HARISH...aise hi naam se bulaungi ab tumhe..khush...!!!

HARISH-very...


VERONICA ka pehli baar yun informal ho usse naam se pukaarne se HARISH ke face par ek victory smile naach uthi thi...

HARISH-toh ab batao VERONICA,kya suggest kar rahi thi tum teeno plans ke baare me..

VERONICA-arre haan...toh mai ye keh rahi thi ki ULIP aur PPF hamari tarah civilians ke liye hain..

both job aur business sectors ke liye..

but as we know kyunki ab business sectors me G.S.T ne excise,sales,payroll,in sabhi taxes ko take over karke one tax kar diya hai jisse business sector ko faayda bhi diya hai par nuksaan bhi..

small scale me 20 lakhs ki limit set ki hai government ne par digital transaction itna karte hi nahi factory owners...

A.T,B.T tax ko bhi G.S.T ne ek tarah se over shadow kar diya hai...

wahin dusri taraf job oriented logon ko kyunki zyadatar salary payslip ke through hoti hai isiliye tax deduction process me ye sector business waalon se zyada authentic hote hain...

isiliye mai soch rahi hun ki ULIP aur PPF dono me job sectors waalon ko 1 percent ka extra advantage mile...

HARISH-hmm...ULIP toh thik hai par is deduction plan se PPF plan ka profit ratio bigad sakta hai..

VERONICA-nahi bigdega...kyunki jis A.T,B.T tax ka faayda ab business guyz nahi utha paa rahe hain,hum ussi tax idea ko is plan me add karenge..

jitne bhi small scale industries ke owners pehle hi ek marginal amount bank me jama karenge,unka interest percentage bhi job waalon ki taraf kam kar diya jaayega...

and to make it more flexible,APF fundings jinme goverment koi extra tax add karegi hi nahi,usme hum 1 percent tak ka interest extra add kar sakte hain..

aur emi har mahine ka nahi balki quarterly banayenge taaki extra percentage ka load army ke logon ko naa ho...

aur is extra suvidha ko dekh naa sirf government khush hogi balki kuch waqt baad i am sure ki woh APF schemes ko temporary se permanent bhi kar degi...

national level loan schemes ke upar baat ho rahi thi is waqt..

aur is pure layout plan ke rough sketch ko sun face se toh normal hi raha HARISH par VERONICA ki doordarshita aur khaaskar uska is billions of rupees ke plan structure ko banate aur bataate waqt khud ke upar confidence ko sun man man hi man kaafi zyada impressed ho gaya tha HARISH...


HARISH-sounds good..ek kaam karte hain,ek specific amount ke saath is plan ka annual turnover check karte hain..

returns agar to the expected mark rahe,toh issi layout ko final kar denge..

VERONICA-mail check kar lena..annual returns bheje hain maine..

teeno hi schemes ke... figures matchable aur trustworthy lage toh send it to the divisional office...

ab is baar apni hairangi ko face me laane se nahi rok paaya tha HARISH..

billions of rupees ke in plans ko jiske baare me do hafte pehle hi bataya tha usne VERONICA ko, unke total layouts ke saath complete figures tak itni jaldi aur woh bhi akele ready kar dena,it was a huge thing..

upar se bhale hi teeno plans ke baare me abhi bataya tha usne HARISH ko par apne banaye plans par confidence itna zyada tha usse ki pehle hi unhe mail kar chuki thi woh usse...

matlab VERONICA ko ye pata tha ki koi loophole tha hi nahi uske banaye structure me aur HARISH isse ittafaq rakhega hi..

khair,jahan ek taraf apne laptop par kuch extra emails check kar rahi thi VERONICA wahin dusri taraf kuch seconds ussi hairangi se bhare face ko liye dekhta HARISH usse par phir khudko normal kar...


HARISH-ok then..annual chart hai toh waqt lagega mujhe proper calculations aur margines check out karne me..

i will do it in my home..

VERONICA-cool...

HARISH-coffee..

VERONICA-sorry par is time mai nahi peeti coffee...

HARISH-isme sorry bolne ki kya zaroorat hai..woh aadat hi kya jo yunhi badal diya jaaye..


HARISH ki baat sun ek friendly smile kediya VERONICA ne aur uththe hue apne cabin ki taraf nikal gayi..

wahin uske back ko check out kar rahe HARISH ne ek thandi saans li aur..


HARISH-well,you are a tough bitch...par apni kutiya toh bana kar hi rahunga mai tujhe...

dosti toh ho hi gayi hai,bas is kareebi ko itna badhana hai ki sirf sate naa balki chipak hi jaayen hum dono...

and i hope ki dimag jitna acha hai,bed par bhi utni hi achi hogi tu...




SAME DAY:-




YE SMART BOARDS ME AANE SE DUSTER KI PRATHA KYA CHALI GAYI,TEACHERS HUME HI GHISNE LAG GAYE...


jaise hi seventh period khatm hone ki bell baji aur teacher class se bahar gaye toh marathon bhaage khiladi ki tarah thakaan se choor awaaz me kahi thi ye baat NITS ne..

Monday to friday kul 8 classes lagti thi har roz SIRIUS me..aur 17th matlab jab se ye new session shuru hua tha,tabse hi classes sirf ek dukka hi free mile the..

baaki sabhi classes naa sirf continously chaalu the balki syllabus complete karne ki speed bhi kaafi zyada rakhi thi teachers ne...


SONU-abbe nnext yyear bboard hhai appna...ttab ttoh cchristmas vvacations ttak ppura ccourse hi ppura hho cchukka hogga..

ussikke according iss ssaal kki ssyllabus ccompletion sspeed bhi cchal rrahi hhai ttaaki rrevision kke lliye exxtra ttime mmil ssake hume..

NITS-abbe revision toh tab karenge na jab first hand me kuch magaj me ghusega...

saala aisa tez bhaga rahe hain saare chapters ki heading chhod kuch samajh hi nahi aa raha mujhe...

is saal ye haal hai toh pata nahi next year kya hoga...!!!???

MAI-tution kar le jhaantu warna next year bhul jaa..ye saal hi nahi nikaal paayega tu...

NITS-loudu tere se 1 percent zyada aaya tha mera pichle saal..

agar mai latkunga toh tu bhi latkega...

SONU-bbadhiya hhoga pphir ttoh..ssenior hho jjaunga mmai ttum ddono kka...

aggle sssaal sse bbhaiya bbolna ttum ddono mmujhe..

NITS-lund ka bhaiya... beta final exam ke kisi paper me lag bhar jaaye ki nipatne waala hun mai,tujhe bhi nahi dene dunga agla paper..

fail saath honge teeno.. phir agle saal jaayenge sarkari school teeno apna apna lund aur jhola hilaate hue...


GOOD AFTERNOON STUDENTS...


NITS ki baat ke jawab me awaaz class me enter ho rahi is rare awaaz ne di thi..

rare isiliye kyunki ye awaaz normally kisi class me sunayi nahi deti thi..

RANJANA MATTHEWS... hamari PRINCI thi ye jo do aur logon ke saath enter hui thi class me aur unhe dekh sabhi students itni tezi se apni apni jagah par khade hue jaise pichwade me achanak spring lag gayi ho..

grey work pants jinhe pearl white colour ki shirt ke saath tuk in kiya gaya tha..aur shirt ke upar grey colour ki cardigan jaisi dikhne waali coat me thi hamari princi RANJANA MATTHEWS jinme unka pehle se hi bright personality aur zyada nikhar kar saamne aa raha tha...

unke saath aaye dono male officials bhi formal dresses me the aur ek smile carry karte hue hum sabko dekh rahe the..

wahin PRINCI ke greet ke baad jab humne reply kiya toh..


PRINCI-students..meet MR SHADAB HUSSAIN & MR KARTIK KUKREJA...

Uttarakhand's I.C.S.E state department officials...

SHADAB/KARTIK-hello students...

SAB-hello sir...

PRINCI-jaisa ki aap sabko pata hai ki har saal I.C.S.E BOARD,NATIONAL LEVEL BEST I.Q HUNT competition arrange karti hai jisme hamare desh ke top schools ke sabse talented bacche participate karte hain...

aur har saal ki tarah i are very proud to say that hamare state uttrakhand ko represent karne ke liye jin do schools ko chuna gaya hai,SIRIUS is one of them....


CLAP,CLAP,CLAP.....


princi ki baat sun khush aur proud dono feel karte hue hum sabhi ne clapping ki jiske baad...


SHADAB-ye I.Q competition pairs me hota hai.. hamare state ko represent karne ke liye us pair ka ek part matlab ek student aapke school se hoga...

waise toh woh student kaun hoga, ye decision out and out school authority or to be specific,aapki PRINCIPAL MA'AM ka hoga aur isiliye hi taaki competition participant form par applicant details collect kar hum le jaa saken,hum yahan aaye hain but ek aur reason bhi hai hamare yahan ke visit ka..

NATIONAL LEVEL IQ TEST COMPETITION me hissa lena sirf aapke school ke liye hi nahi balki pure state ke liye bohot important hai...

isiliye wahan us competition me kya hoga,uska ek live demo bhi hum aap sabko dena chahte hain...

isse aapki PRINCIPAL MA'AM ko asaani bhi hogi us participant ko select karne me aur hum bhi satisfied honge us choosed participants ke IQ calibre par....

KARTIK-so,demo bada simple hai..hum aapse kul teen sawal puchenge...logical and tricky questions honge woh questions jinme se kamsekam 2 ke jawab aapme se kisiko bhi dene hai...

is waqt humari hi tarah kuch aur officials aapke class ke B section me aapke VICE PRINCIPAL ke saath moujud hain aur wahan bhi same questions ya toh puche jaa chuke honge ya phir puche jaane waale honge...

toh ye maan kar chaliye ki abhi bhi ek competition on hai jisme aap sabka mukaabla aapke hi class ke B section se hai...

so are you guys ready..???

SAB-yes sir..


kaafi excited yes nikli thi sabhi ke mooh se joki obvio thi..

aakhir B section se competition ke liye har second ready jo rehte the hamare class waale...


SHADAB-so, here's the first question... it's kind of a story...dhyan se sunana...

"do bohot hi gareeb bande hain...dono ke paas milakar kul 50 rs hain...us 50 rs se woh dono chillhar me aata lene kirana shop me jaate hain...

us shop ka maalik unhe jaanta hai aur daam ke badle zyada aate ki ummid liye hi woh us shop me gaye hote hain..

par us waqt shop ka maalik dukaan me nahi hota hai isiliye wahan kaam karne waala ek noukar un dono ko utna hi aata deta hai jitna 50 rs me diya jaata hai...

aata lekar jab woh dono shop se jaane lagte hain toh ussi waqt dukaan ka maalik wahan pahunchta hai aur un dono ko jaate hue piche se dekh leta hai...

jab noukar se puchne par unhe un dono ke shop me aane ka kaaran pata chalta hai toh woh apne noukar ko 5 rs dekar un dono gareebo ko lautane ko kehta hai...

par noukar thoda laachli rehta hai..woh pure 5 rs naa loutakar un dono ko sirf 3 rs loutata hai aur bache 2 rs woh khud rakh leta hai...

are you with me students...???

SAB-yes sir...

SHADAB-good...toh yaad hai shuruat me combiningly kitna amount tha un dono ke paas...

SAB-50 rs..

SHADAB-yes... matlab agar us paise ko individually divide karen toh dono ke paas 25 rs each tha.. correct....!!!

SAB-yes...

SHADAB-aur last me us noukar ne un dono ko kitne rupees wapas kiye..???

SAB-3 rs...

SHADAB-exactly...matlab ab unke 3 rs kam lage...ek baar phir agar hum un teen rupees ko individually divide karen toh un dono ko dedh rupees each kam pade...

25 rupees each se agar dedh rupees minus kar diya jaaye toh kitne bachte hain...???

SAB-23.50 rs...

SHADAB-yes...matlab dono ke 23.50 rs use hue...

ab agar ek baar phirse unke us used amount as in 23.50 ko combined amount ke hisaab se dekha jaaye..

matlab 23.50+23.50 toh kitne rupees hue...???

SAB-47 rs...

SHADAB-aur us noukar ne kitne rupay apne paas rakh liye the...???

SAB-2 rs...

SHADAB-matlab 47+2...jiska total hota hai 49...1 rs kahan gaya..???


ab tak kisi story ki tarah sun rahe the sabhi sir ki batayi theoratical equation ko par unki aakhri baat jo ki asal me main sawal tha,usse sun jaise neend se jaage sab..

ek hi second me us story ka har pehlu dobara rewind hone laga jiska mukhya bindu ek hi tha...

1 rs gaya toh gaya kahan..???

NITS-behenchod..ye ek rupaiya kiski gaand me ghus gaya be..


mere aur SONU se dheere se phusphusaya NITS jispar..


SONU-hhaan bbhai...yye acchanak ek rrupay kkaise kkam hho ggaya...

MAI-chutiya hi rahoge be dono ke dono...

NITS-haan louda tu hi ek gyani baitha hai idhar...toh bata phir,kahan gaya ek rupaiya...

MAI-udhar hi hai jidhar pehle tha...bas 50 ke note ko aise ghuma ke pakdaya hai sir ne ki saamne hokar bhi ek rupaiya dikh nahi raha...

NITS/SONU-mmatlab...

MAI-matlab saamne dekho..jawab milne hi waala hai..


jahan baaki sab us ghume hue ek rupees ko dhundne me apna apna dimag laga rahe the,wahin SAM ne apna haath upar kar diya tha jisse dekh..


KARTIK-yes...

SAM-sir ek rs kahin gaya hi nahi...len den pure 50 rs ka hi hua hai...

KARTIK-elaborate your answer..

SAM-sure sir.. ye ek linear equation question hai...jaise linear equation me hum x ya a lagate hue question solve karte hain,waise hi puche gaye sawal me A ya X wahi 5 rs hain jinhe dukaan ke owner ne un dono ko waapis karne ke liye bola par woh whole amount unhe mila hi nahi..

paise loutane ke process ko use me laane ki jagah jo paise unhe milne waale the,unhe use me laana hoga...

as said, dono ke individually 25 rs each use hue the aur agar ye maan liya jaaye ki dukaan ke maalik ne unhe paanch rupees loutaye the toh us surat me un dono ke combiningly 5 rs aur individually 2 and a half rupees kam lage the..

25-2.50 hota hai 22.50 rs...

22.50 rupees pade the un dono ko individually jinhe jodne par bante hain 45 rs..

ab exact proportion values par wapas aayen toh 3 rs us noukar ne un do logon ko loutaya tha jiski wajah se already unke paas moujud 45 rs ke saath milkar woh amount 48 ho jaata hai aur bacha woh 2 rs jo usne apni jeb me daala tha..

48rs me usse bhi add kar diya jaaye toh value ek baar phir 50 rs ki hi jaati hai...

toh aise woh ek rupee kahin gaya hi nahi tha..baat bas samajhne aur nazariye ki thi...

SHADAB-you are SAMEER CHANDER right...!!!

SAM-yes sir..

SHADAB-right answer SAMEER...very good...

SAM-thank you sir...

NITS-iski maa ka..saala ek rupay ke liye itna dimaag lagaya..mere se le leta woh ek rs chutiya...

aur tu...saale jab tujhe bhi anwer pata tha toh haath kaahe nahi uthaya...

MAI-same reason..ek rupay ke liye itna explain kaun kare...!!

NITS-ye baat bhi hai...


yahan hum dono apni bakchodi pel rahe the aur wahan...


KARTIK-so here's the second question...???

fifteen lakhs thirty five thousand one hundred and fourteen...

is shabdon ka naapa nahi jaa sakta...kyun...???


smart board par alphabetically un numbers ko likh ye sawal kiya tha sir ne...


NITS-ab ye kaisa sawal hua..?? chutiya toh nahi kaat rahe ye dono hum sabka...

MAI-har sawal ki apni gehrayi hoti hai aur kuch gehrayi naa samajh me aati hai aur naa naapi jaa sakti hai...

NITS-udhar un sir logon ke sawal samajh nahi aa rahe aur idhar teri ul julool bakchod baatein..


idhar NITS aur mai apne me lage hue the aur udhar puri class sir ke puche question ko samajhne aur crack karne me lagi thi...


SHADAB-sirf 2 minute ka hi waqt milega..ek minute already pass ho chuke hain that means you all have just 1 minute to crack the answer...

SAM-sir..


kuch aur seconds beete jiske baad ek baar phirse SAM ne hi haath halka upar kiya jispar smile karte hue...


KARTIK-yes..

SAM-aapne numbers ko alphabetically likha hai par hain toh woh numbers hi jinhe agar numbers me hi sidha likha jaaye toh woh aisa hoga..1535114...

par question me aapne numbers nahi balki shabd ka use kiya hai..

aur agar english alphabet chart ke hisaab se in numbers ko dekha jaaye toh...

15 hoga 0..
3 me hota hai C..
5 ka matlab E..
1 as in A..
aur lastly 14 joki alphabetically hota hai N...

OCEAN...jisse naapa nahi jaa sakta...

KARTIK-right answer..brilliant...

clap,clap,clap...


SAM ke jawab se sirf woh dono officials hi nahi puri class impressed hui thi...

par jahan ek taraf baaki sab SAM ke liye clap kar rahe the wahin dusri taraf SONU mujhe hairat se dekh raha tha..

REASON...

HAR SAWAL KI APNI GEHRAYI HOTI HAI AUR KUCH GEHRAYI NAA SAMAJH ME AATI HAI AUR NAA NAAPI JAA SAKTI HAI...

mere bole is paheli jaise jawab ka matlab ab jo samajh aaya tha usse..

meri us baat se ab jaakar SONU ko samajh me aa raha tha ki is second question ka answer mujhe pata tha..

par saath hi saath zyada hairan woh isiliye bhi tha kyunki us second question ko crack karne me jahan SAM ko lagbhag 2 minute lag gaye the wahin maine us paheli ke through jawab kuch seconds me hi de diya tha..

first question ka jawab bhi maine sahi diya tha par baad me masti me kahi meri baat ko sun zyada gour nahi kiya tha SONU ne par ab woh sure tha ki tab bhi tukka nahi lagaya tha maine...

anyways, kuch seconds mujhe yunhi hairangi se dekhne ke baad saamne dekha hi tha SONU ne ke tabhi...


SHADAB-so with this answer,best of three me se pehle hi dono sawalon ke sahi jawab dekar SAMEER aur inke saath apki puri class is demo test me qualify kar chuke hain but just for the sake of fun,aakhri sawal bhi hum puch hi lete hain aap sabse..

KARTIK-aur ye sawal kaafi important bhi hai..jaante hain kyun..???kyunki ye sawal humari taraf se nahi balki hum sabke beech moujud aap sabki respected principal ma'am ka hai..


KARTIK sir ki baat sun aakhein badi ho gayi sabki aur saath hi saath excitement level bhi badh gaya sabka..

aur bhala aisa hota bhi kyun nahi...??? RANJANA MATTHEWS ke sawal ka jawab dekar unke good books me aana,unse khudki taarif karwana joki next to impossible hi tha, kaun nahi chahega bhala..

SAM pure dehradun ka sabse honhar student tha..har criteria me number one par aaj tak uske liye bhi GOOD se zyada kuch nahi nikla tha ma'am ke mooh se...

khair,next question ke liye khudko mentally prepare kar chuke the sabke sab jiske baad..


PRINCI-how do you beat "GOD"...??

SAB-what...!!!!


PRINCI ke sawal par achanak hi WHAT nikal gaya tha sabke mooh se jisse sun..


PRINCI-english ki understanding kam ho gayi hai kya aap sabki...???

answer the asked question...is baar 2 nahi 5 minute hain aap sabke paas...

chaahiye toh group discussion bhi kar sakte hain aap sab...


5 minute...50 minute bhi kam the puche gaye sawal ko crack karne me..

ek dusre ka mooh dekhte hue hi 4 minute cross ho chuke the..

is beech kyunki ma'am ki paini nazar hum sabko ghur rahi thi isiliye NITS aur SONU bhi chupchaap bas sidhe dekh rahe the..


PRINCI-times up...

KRRRRR......

ma'am ke bolte hi final bell bhi baj chuki thi jiske baad..


PRINCI-college division jaaiye aap dono..in a hour,i will meat you their...

KARTIK-alright ma'am...

SHABAB-once again..very good SAMEER...now we will see you in DELHI...

SAM-sure sir..


hum sabhi students aur PRINCI ko ek formal smile dete hue KARTIK aur SHADAB sir class se nikal gaye..


MA'AM-SAMEER...kal first period se pehle office aakar apna participant form le jaaiyega..

SAM-yes ma'am...

PRINCI-SANVEER...aapke kuch re-ad docs mere office me rakhe hain.. come and collect it...

MAI-sure ma'am...


SIRIUS ka re-admission process thoda alag tha..

kyunki ye ek kaafi high expensive school tha jisse har saal efford kar paana sabke liye kaafi mushkil hota tha, isiliye re-admission ke waqt saare admission forms har baar repeat kiye jaate the jinpar PRINCIPAL MA'AM ke sign bhi hote the..

mere is baar ke woh saare form aur docs fill kar thoda late jama kiye the mom ne isiliye baaki sabko toh school ke pehle din hi unke docs mil gaye the,siway mere aur ussiko collect karne ke liye PRINCI ne kaha tha mujhe...


MAI-may i come in ma'am...


ma'am ke jaane ke kuch der baad pahuncha tha mai unke cabin me...

PRINCI apne office me hi baithi thi aur mere request par halka sa sir hilaya unhone jiske baad unki taraf badh chala mai..


PRINCI-here you go...


kuch docs jo pehle se hi ek file me apne table par nikaal kar rakha hua tha unhone,usse meri taraf sarka diya ma'am ne jisse collect kar liya maine..


PRINCI-so,tell me SANVEER AHARYA...how do you beat GOD...???

i think jawab tumhari pant ke left pocket me hai...


PRINCI ma'am ki baat par halka smile dete hue apne pant ki left pocket me haath gaya mera jo jab bahar aaya toh usme ek folded paper tha jisse aage badh ma'am ke table par jahan kuch seconds pehle tak mere docs the,rakh diye maine...

darasal jab PRINCI ne class me apna sawal pucha tha toh puri class including SONU and NITS,sahi jawab ki talash me apne dimag ke ghode douda rahe the,us waqt apne jawab ko rough book ki page par jo mere saamne open padi thi,usme likh raha tha mai..

woh sawal aur uska jo jawab maine likha tha, interesting laga tha mujhe isiliye jawab likhne ke baad us page ko faad apne pant ki left pocket me rakh liya tha maine jisse PRINCI ki tez nazron ne saaf dekh liya tha..

saath hi saath us pure waqt ke douran sirf mera hi face aisa tha jahan jawab pata hone ka confidence jhalak raha tha jisse human physiology ki expert RANJANA MATTHEWS ne asaani se samajh liya tha...

anyways,table par rakhe us paper ke tukde ko uthaya unhone aur usse unfold kiya..


QUES-HOW DO YOU BEAT GOD...???

ANSWER-MY KILLING HUMANITY...

PRINCI man me-perfect answer...


page ke upar likhe unke sawal ke just neeche likhe jawab ko padh man hi man ye kaha PRINCI ne...


PRINCI-can you elaborate your answer...???

MAI-file ke andar me reason rakha hai ma'am...


ussi file ko point karte hue jisme kuch der pehle tak mere docs the,kahi ye baat maine jispar aankhon me hairani liye khola unhone woh file jahan is waqt ek aur paper rakha hua tha..

apne docs lete waqt woh paper maine hi rakh diya tha wahan jisse PRINCI ki paini nazar bhi dekh nahi paayi thi..

yahi wajah thi ki us paper ko haathon me lete waqt mujhe dekh ek prashansaniya bhaav dikhne lage the PRINCI ke face par..


MAI-can i take your leave ma'am...

PHYSIOLOGICAL IMPRESSION OF UNDOUBTED CONFIDENCE...

medically, scientifically,yahi term use kiya jaata hai aise waqt par meri boli baat ka...

maine jaane ki permission maangi thi woh bhi bina ye jaane ki kya mere jawab ka elaboration sahi tha..!!!

apne jawab ke defination par atoot bharose ka sign tha ye jisse samajh muskurate hue haan me sir hilaya PRINCI ne jiske baad mai unke office se nikal gaya...

aur mere jaane ke baad us elaboration ko jo maine us paper me likha tha,padhne lagi ma'am..

chaar line ke us answer elaboration ko padhte waqt har guzarte pal ke saath PRINCI ke face par badh rahi smile ye saaf darsha rahi thi ki kitna sahi tha SANVEER...

woh chaar lines jo kuch yun thi...




"USKE" liye bhala kya koi saza isse bhi BADA HOGA...???

jab bas maze ke liye ek insaan dusre insaan se LADA HOGA...

USKA sabse bada daav,sabse khubsurat rachna hain HUM...jo kho di apni insaniyat humne toh...

apni hi adalat me HAAR ke katghare par KHUDA khud KHADA HOGA...












AAJ KE LIYE ITNA HI...










AAPKA APNA V...J...
Bahot behtareen zaberdast shaandaar lajawab update bhai
 

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,061
188
Waiting bhai
 

Naik

Well-Known Member
21,452
77,294
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VERONICA AUR HARISH TEENO INVESTMENT PLANS KE UPAR KAAM KARNA SHURU KAR CHUKE HAN WAHIN DUSRI TARAF PRINCIPAL RANJANA MATTHEWS UNKE SAWAL PAR RAAZ KE NOTE DOWN KIYE JAWAB SE KAAFI IMPRESS HO JAATI HAI...

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-25


CITY-DEHRADUN

PLACE-B.O.B BRANCH

DATE-1ST AUGUST




SANVEER AHARYA....WOW, IT'S A STRONG NAME...


apni coffee ka sip lete hue di thi apni raay HARISH ne VERONICA ko..

morning se lagatar un teen plans par continously work karte rehne ke baad mind fresh karne HARISH aur VERONICA bank ke baaju me hi bane coffee house me coffee peene pahunche the..

ab woh dono sirf job associates hi nahi balki dost bhi the isiliye informal baatein bhi common thi unke beech..

par is ek mahine me indirectly ghuma phirakar bas VERONICA ke likes aur dislikes hi pata kiye the HARISH ne...

waise toh VERONICA ab bhi thodi reserved hi rehti thi par phir bhi thoda bohot hi sahi,uske baare me jaanane laga tha HARISH...

aur zyadatar VERONICA ki har pasand aur napasand waali baaton me kahin na kahin woh apne bete SANVY ka zikr kar hi deti thi..

ab SANVY toh pet name hi ho sakta hai isiliye abhi jab HARISH ne SANVY ke full name ka pucha toh bataya VERONICA ne jispar uski pratikriya par muskurate hue...


VERONICA-with an even stronger character...

HARISH-woh toh hoga hi..aakhir tumhara jo beta hai...waise kaun se school me padhta hai tumhara beta...???

VERONICA-SIRIUS INTERNATIONAL SCHOOL...

HARISH-really.. wow..jahan tak mujhe pata hai,SIRIUS toh yahan dehradun ka, infact pure uttarakhand ka sabse bada school hai aur utna hi reputative bhi..

VERONICA-haan...

HARISH-study aur acadamics me toh kaafi strong hoga tumhara beta ya phir he is into sports...!!!

VERONICA-aisa kuch nahi hai..he is an average student...

HARISH-what..!!!par ye kaise possible hai...??i mean mom itni talented aur beta average...


HARISH ki baat par bas smile karte hue kandhe uchka diye VERONICA ne jispar..


HARISH-phir toh kaafi strict rehti hongi aap uspar...!!!

VERONICA-kisliye..kyunki woh ek average student hai..mujhe fark nahi padhta is baat se..

percentage acha ho naa ho, character acha hona chahiye jo mere bete ka hai..he is one of a kind...

naa koi GALATH sangati hai uski aur naa aaj kal ke teenagers ki tarah GALATH shouk..aur mere liye itna hi kaafi hai..

HARISH-ye bhi hai..but uska acha character bhi tumhari hi toh den hain...

VERONICA-zyada taarif nahi kar rahe aaj kal tum meri...

HARISH-arre...ab jo hai so hai...your son is lucky to have a mother like you...

but ek problem khud hi khadi kar di hai tumne apne bete ke saamne...!!!

VERONICA-problem khadi kar di...maine..!!!woh kya...???

HARISH-ab jab bada hoga tumhara beta aur shadi ke liye ladki dekhega toh mujhe nahi lagta ki koi bhi girl pasand aayegi usse..??

VERONICA-kyun nahi aayegi..???

HARISH-tumhari wajah se..i mean woh daily tum jaisi khubsoorat shaksiyat ko saamne se dekhta hai toh aise me khubsoorati ka jo parameter uske dimag me hoga, woh toh shuru hi tumse hota hoga..

aise me tumse kam beautiful face toh pasand aayegi nahi usse par tumse zyada chhodo, tumhare aas paas ki bhi koi ladki milne se rahi usse..

HAHAHAHAHA.....


HARISH ke is indirect complement ko sun halke zor se hasi VERONICA jiske baad...


VERONICA-kuch bhi matlab...mere jaisi kya,mujhse behtar milegi mere bete ko..

aur woh sab chhodiye,MR HARISH,bhul rahe hain aap ki friends hain hum..aur friends se yun flirt nahi kiya jaata..

HARISH-GALATH... agar flirt healthy ho toh sabse zyada friends se hi karna chahiye...

VERONICA-baatein banana chhodiye aur coffee complete kijiye... thandi ho rahi hai...nikalna bhi hai phir..waise bhi thoda late ho gaya hai aaj..

SANVY wait kar raha hoga..

HARISH-arre itni jaldi bhi kya hai..!!5.30 hi toh hue hain...and your son is a grown up boy...aur badhte bacche apni hi duniya me mast rehte hain...

VERONICA-mere bacche ka defination nahi hai ye statement...

HARISH-really...

VERONICA-really...chalen...


baaton baaton ne HARISH ne bhi apni coffee khatm kar ki thi isiliye table par coffees ka bill with tip rakhte hue VERONICA uth khadi hui thi aur ye dekh..


HARISH-zaroor jaayenge par pehle ye rakh lo wapas...bill mai de raha hun...


VERONICA ke table par rakhe paise wapas uske haathon me thamate aur issi bahane uske haathon ko halka press ke saath touch karte hue kahi ye baat HARISH ne jispar...


VERONICA-arre,ye kya....

HARISH-relax..out of courtesy nahi balki out of better investment de raha hun mai bill...

VERONICA-aur woh kaise...???

HARISH-simple...coffee bill bhi koi bill hota hai.. isiliye isse mai de raha hun..

aur tum,agar kabhi mujhe lunch ya dinner karwane ka man ho toh us waqt bill tum de dena...


indirectly lunch aur dinner ka puch liya tha HARISH ne VERONICA ko jispar halke se hasi woh aur..


VERONICA-waah,200 ko coffee hai aur lunch 2000 ka hoga..

1800 ka interest kuch zyada nahi hai...

HARISH-ab dosti ki hai toh itna toh karna hi padega par tention na lo tum..

B.M hun toh easy installments service de hi sakta hun..

e.m.i karwa lenge..ab toh khush...

HAHAHAHAHA..


jahan HARISH ke sense of humour par haste hue sir ki shake kar aage badh gayi VERONICA wahin usse piche se checkout karte hue HARISH bhi uske piche ho liya...

bank ki bike parking aage thi aur car ki piche...coffee shop se nikal bank parameters ke andar jaane ke baad ek dusre ko bye bol VERONICA bike parking me apni scooty ki taraf aur HARISH pichli parking me apne car ki taraf badh chale the...


VERONICA-shit...ab ye kya ho gaya...???


apne hand bag ko seat ke andar rakhne ke baad jab scooty par baithne ko hui VERONICA tab unki nazar padi saamne ke tyre par joki puncture hua pada tha..

HARISH-kya hua,abhi tak gayi nahi tum...???


kahin phone laga hi rahi thi VERONICA ki tabhi unke baaju me aakar ruki swift dzire ke kaanch ko neeche kar pucha ye sawal HARISH ne aur phir turant apni car se utar VERONICA ke paas chal pada...


VERONICA-ye tyre puncture ho gayi...

HARISH-oh,bad luck.. commercial zone hai ye..puncture shop toh yahan aas paas hai hi nahi...

VERONICA-i know...mai SANVY ko bol deti hun..woh le aayega kisiko isse banane..

HARISH-arre kahan bacche ko pareshan kar rahi ho...mai guard ko bol deta hun..

woh ye puncture theek kar scooty tumhare ghar chhod dega...and for you, driver toh aapke saamne hi hai..

mai drop kar deta hun tumhe tumhare ghar..

VERONICA-arre nahi nahi..iski zaroorat nahi hai..i will manage...tumhe bhi toh ghar ke liye late ho raha hoga...

HARISH-mujhe koi late nahi ho raha..aur manage kyun karogi tum..mai hun naa..after all..what are friends for...

guard.... idhar aao...


bank main entrance ka bada sa shutter girane ke baad apne manager aur field officer ko door se dekh wahin khada tha ek gaurd jo HARISH ki awaaz sunte hi lapka uski taraf..


GUARD-jee sir...!!!

HARISH-madam ka ghar dekha hai...!!!

GUARD-jee..

HARISH-ye inki scooty ka tyre puncture ho gaya hai..isse banwa kar inke ghar chhod doge..!!!baaki bacha rakh lena..


500 ka ek note nikaal us guard ke haath me thamate hue kahi ye baat HARISH ne...


VERONICA-arre itna zyada dene ki kya zaroorat hai...???


50 ke andar puncture ban jaana tha..450 alag se dena sahi nahi laga tha VERONICA ko..


HARISH-bilkuk zaroorat hai...out of bank, hamare employee nahi hain ye..aise me itna benefit toh milna hi chahiye...

ab ye sab chhodo aur bina if aur but ke baithiye is gareeb ki car me...


passenger door ko kholte hue bade adab se sir halka jhukakar kahi ye baat HARISH ne jispar smile karte hue apni scooty ki chaabi us guard ko dekar car me baith gayi VERONICA...

DHABBBB...

VERONICA ke baithne ke baad door band kar ek vijayi smile face par odhte hue dekha HARISH ne us guard ko jisne bhi muskurate hue halka sa thumps up kiya usse..

REASON...

lunch hours ke baad VERONICA ki scooty ko puncture ussi guard se karwaya tha HARISH ne taaki bank hours ke baad lift dene ke bahane kuch der aur woh uske saath reh sake aur saath hi saath bina bulaye hi sahi,VERONICA ke ghar pahunch jaaye woh...


IN CAR:-


VERONICA-hello..haan theek hai..de do...

RADHASWAMI NAGAR me ghar hai mera...GLOBE CHOWK se right...

HARISH-aur right ke baad central venue building waale round about se left...

akashwaani tower ke baaju se phir right aur aa gaya tumhara RADHASWAMI NAGAR...

jaanta hun mai us colony ke baare me...


kisi ko phone me apni sanshipt baat bol call hangup karne ke baad jab VERONICA ne apna adress batana chaha toh us baat ko beech me hi kaat usse khud pura karte hue apni car right ki taraf turn ki HARISH ne jispar....


VERONICA-arre,yahan kahan mod rahe ho...GLOBE CHOWK toh straight aage tha...

HARISH-pata hai..par shayad tumhe ye nahi pata ki aaj dopahar se hi kisi demand ko pura karne ke liye logon ne us chowk ko pura block kar diya hai aur dharne me baithe hain...

ab udhar se bike nahi nikal sakti toh meri car kahan se niklegi...!!!

VERONICA-oh....

HARISH-fikr mat karo..ek reputated bank manager ke saath ho tum..kidnap nahi karunga tumhe mai...

VERONICA-hahahaha...pata hai..par agar tum kidnapper hote bhi toh fark nahi padta mujhe...

HARISH-acha.. aisa kyun...???

VERONICA-kyunki kidnapping ka matlab hota hai kisi ko chupke se agwa karke le jaana par mere maamle me aisa hoga hi nahi...

HARISH-kyun nahi hoga...???

VERONICA-SANVY...

HARISH-SANVY.. tumhara beta..uska kya lena dena is baat se...

VERONICA-pura ghar hi drop kar rahe ho tum mujhe yaa chowk par hi chhod doge..??

HARISH-ye kya baat hui..?? ofcourse ghar hi drop karunga...

VERONICA-toh khud dekh lena...


ek smile ke saath kahi VERONICA ne ye baat jisse dekh man me..


HARISH-ye toh aise react kar rahi hai jaise koi top hai iska ladka..school going student hi toh hai..

haan,nayi nayi jawani ka khoon hoga toh garam hona laazmi hai par agar zyada ubaal maara toh kar denge usse bhi thanda...


man man hi khudse ye sab bolne ke baad ek aur right liya HARISH ne par is baar VERONICA ne usse toka nahi..

darasal globe chowk se hokar hi bina ghume jaaya ja sakta tha RADHA SWAMI NAGAR..

par agar koi bhi aur route pakda jaaye toh GLOBE CHOWK ke peeche se pura ghumte hue nikalna padta tha jisme waqt kaafi lagta tha..

VERONICA ko pata tha woh pura ghumavdaar route isiliye kuch kaha nahi usne..


HARISH-so, normally sundays ko kya karti ho tum..???apne bete ke saath hi time spend karti ho ya kuch friends bhi hain jinke saath hang out karti ho...

VERONICA-friends hain hi nahi yahan mere...haan kuch pehchaan ke log hain jinke ghar kabhi kabhar aana jaana hota rehta hai..

aur rahi sundays as in holiday ki baat toh woh mujhe bas apne bete ke saath spend karna hi acha lagta hai...

work load aur uske upar continous site tours ki wajah se waqt zyada milta nahi mujhe uske saath isiliye jitna bhi spare time milta hai,usme i like to be with my son..


HARISH-matlab social life zero hai tumhari..

phir itni beautiful hone ka kya matlab hua bhala...!!!

VERONICA-hahahaha..tumhe maalum hai naa ki ye beautiful waala compliment aaj do baar de chuke ho tum...

HARISH-ab jo sach hai so hai..usse ek baar kya hazar baar bolne me bhi kaisi burayi basharte tumhe bura naa laga ho..laga kya..???


VERONICA ki taraf dekhte hue puchi ye baat HARISH ne jispar muskurate hue..


VERONICA-khubsoort shabd koi gaali toh hai nahi ki buri lage.. anyways,ek baat batao,is duniya me sabse khubsurat kya hai...???

HARISH-ye kaisa sawal hua..??itni saari beautiful chizen hain duniya me aise me kisi ek cheez ko sabse upar kaise rakhen..???

VERONICA-bilkul rakh sakte hain...!!!!agar woh chiz nature ho..

nature se khubsurat kuch nahi.. par kya kabhi nature ko apni khubsoorati ka bakhaan karne ke liye shor ke beech khudko adjust karte dekha hai..!!!

nahi naa..kyunki jahan shor hota hai,wahan sabkuch mil sakta hai bas nature nahi...

nazaare wahi sukoon deh aur khubsoorat hote hain jahan shaanti ho,sukoon ho,akelapan hone ke baawjud santushti ho...

apne bete ke saath mujhe wahi sukoon milta hai...chhutiyon me jab saath hote hain toh zyada baatein nahi karte hum..

camping karne hill side ya lake point par jaate hain hum dono..

aur woh bhi meri scooty me...

charcoal waali sigdi le jaate hain saath hum jisme woh wahan mere liye lunch bana deta hai aur mai jab woh ektak nature ko dekhte baitha rehta hai,uske sir ki maalish kar deti hun...

baal halke bade rakhta hai woh jispar alag alag tarah ke hair styles try karti hun mai aur mere waisa karne me mooh ban jaata hai uska..

chidhne ki acting bhi karta hai.. acting isiliye kyunki mana nahi karta kabhi..

aise hi ul julool par shaant aur sukoon bhare palon me kab woh holiday khatm ho jaata hai,pata hi nahi chalta..

prakriti ki us khaamosh khubsoorat godh me hum maa bete khud me magan apni life ka best day enjoy karte hain...

ab isse meri khubsoorati zaaya hoti hai ya nahi,ye toh nahi jaanti mai par haan,woh pura din mera zaroor khubsoorat ban jaata hai aur mere liye wahi kaafi hai...


dhyan se sun rahe VERONICA ki baaton se ab kahin na kahin HARISH SANVY se bina mile hi jalne laga tha..

maa aur bete ke is unheard bonding se usse man hi man taklif hone lagi thi..

uska plan VERONICA ko apne rang me rangna tha par uski duniya me uske bete ki ehmiyat itni zyada thi jo khatak rahi thi usse...

khair,in sabke baawjud dheeth toh tha hi HARISH isiliye indirectly alag alag tarah se healthy flirt karte hue gaadi ausat gati se bhi behadh dheeme chala is drive ko jitna ho sake lamba karne me laga hua tha woh...





OUTSIDE SANEEL'S RESIDENCE:-




HARISH-so,this is your house..nice....


lagbhag aadhe dehradun ka gol chakkar lagate hue lagbhag aadhe ghante baad HARISH ki car finally VERONICA ke ghar ke saamne khadi hui..


VERONICA-yes.. that's my house and more importantly, that's my son...aaiye,milwati hun...


bahar chabutare par hi baitha tha mai jispar muskurakar kahi thi ye baat MAA ne..

wahin apni taraf ka door khol mujhe dekhte hue HARISH bhi badha meri taraf...

ek dubla patla sa aur bhola sa dikhne waala ladka..aakarshak chehra par patle hone ki wajah se woh aakarshan khul ke saamne nahi aa raha...

mujhe dekh mere personality ka aakalan nikalte hue man hi man..


HARISH-ye hai VERONICA ka angrakshak...!!!!chaar thappad me hi behosh ho jaana hai isse toh...


man hi man hasta hua MAA ke piche piche mere pass pahunch chuka tha HARISH jiske baad...


VERONICA-HARISH,meet my son..SANVY...aur SANVY ye hain...

HARISH-mera intro mai hi de deta hun...hie SANVY,myself HARISH KHATRI...


haath meri taraf badhate hue apna intro diya tha HARISH ne jispar halki si smile naach uthi thi mere face par..


REASON..


woh tarika jisse haath aage badhaya tha usne.. sidha nahi tha uske haathon ka line balki usse tedha kar jis wajah se hatheli neeche ki taraf ho gayi thi,rakha tha usne apna haath...

jiska matlab tha ki mujhe usse haath milane ke liye apna haath uske haath ke neeche rakhna padega..

darasal aise haath milana asal me saamne waale ke liye ek message hota hai....message saamne waale par apni superiority dikhane ka...

apni dhaak samjhane ka..isiliye hi smile di thi maine par phir jaisa HARISH chahta tha waisa hi kiya maine..


MAI-SANVEER AHARYA...


neeche se uske hatheli ko pakad apna pura naam bata hand shake kiya maine jispar smile karte hue garmjoshi se mere haath ko apni hatheli me grab sa kar halka zor laga hilate hue...


HARISH-kaafi suna hai tumhari mom se tumhare baare me maine...

bohot lucky ho tum..you have a very loving and caring mother..

MAI-i know...

HARISH-waise tumhari mom bata rahi thi ki bete ke saath saath bodyguard bhi ho tum inke...

VERONICA-woh toh hai ye..aur woh bhi without salary...


hamesha ki tarah mere gaal ko bigaad haste hue kahi thi ye baat MAA ne jispar..


HARISH-well i can feel that.. kaafi strong grip hai tumhare bete ka...

par ek chuk ho gayi aaj...


mera haath jisse abhi bhi waise hi neech rakh thaama hua tha,usse ek baar phirse shake kar usse chhodte hue kahi thi ye baat HARISH ne jisse sun..


VERONICA-kaisi chuk...???

HARISH-arre wahi.. puncture ho gayi thi tumhari scooty aur akeli hi thi tum.. woh toh acha hua ki...

MAI-ye scooty...


us HARISH ki baat beech me kaat apne dusre haath se ghar ki taraf ishara kiya maine jahan dekh mom toh normal hi rahi par HARISH ki aankhein badi ho gayi..

hamari hi scooty rakhi thi ghar ke side me jispar ab se pehle dhyan nahi gaya tha HARISH ka..

OM THAKUR..issi colony se mera ek friend jo laaya tha scooty bank se,mom ko smile de aur mujhe bye bol woh apne ghar ki taraf badh chuka tha..

khair,kuch seconds shock se scooty ko dekh...


HARISH-ye yahan kaise...???ye toh bank ke saamne puncture hokar khadi thi...

MAI-puncture nahi thi ye..bas hawa nikal gaya tha.. puncture hoti toh puri hawa nikal chuki hoti par kuch air points baaki the isme...

HARISH-aur ye tumhe kaise maalum...???

MAI-aapne hi toh kaha naa ki bodyguard hoon mai MAA ka..ab bodyguard toh apni duty karega hi...

HAHAHAHA...


meri baat par mom toh has di par aakhon me sawal liye HARISH mujhe hi dekh raha tha isiliye...


VERONICA-arre daily 5.15 tak ghar pahunch jaati hun mai...par agar 5 minute bhi upar hua toh ye nikal jaata hai bank ki taraf..

MAI-coffee house me baithe the aap dono isiliye MAA ki scooty ke paas hi khada ho gaya tha mai apne friend ke saath..

VERONICA-tune dekha jab mujhe coffee shop me toh andar kyun nahi aaya...???

MAI-relaxed mood me aakhri baar kab gayi thi aap coffee shop..???3 saal pehle...

isiliye socha scooty ke paas hi wait kar leta hun...


meri baat sun sir shake kiya MAA ne wahin apni baat ko aage badhate hue...


MAI-scooty ke pass pahunchte pahunchte nazar gayi meri uske front tyre par jiski hawa nikli hui thi toh mai aur OM gaye air filling machine lene...

wapas loute toh aap dono car se nikal hi rahe the...

air fill kiya aur guard se call karwa confirmation liya ki scooty le jaa raha hun mai aur nikal gaya...

(NOTE:-ussi guard se baat kar rahi thi VERONICA car me baiththe ke just baad)


VERONICA-aage ki baat mai batati hun...OM ko bol scooty uske haath hi bhijwa di tune yahan aur khud uski bike par hamare piche aane laga...

HARISH-really...???


MAA ki baat sun hairangi se bhar mujhe dekhne laga HARISH..

"kyunki kidnapping ka matlab hota hai kisi ko chupke se agwa karke le jaana par mere maamle me aisa hoga hi nahi..

REASON...SANVY"...


man me HARISH ke is waqt MAA ki kahi mere baare me ye baat ghum rahi thi...


MAI-waise itna ghum kar kyun aaye aap dono...???

VERONICA-woh GLOBE CHOWK me koi dharna tha kya jisse pura raasta jaam ho gaya tha.. isiliye pura ghum kar aana pada hume...

MAI-really..par GLOBE CHOWK toh khaali tha...

HARISH-wwoh dopahar me tha wahan dharna toh mujhe laga abhi bhi chaalu hoga..

ab aise me us taraf se jaane ka risk nahi liya maine...

halka hadbada gaya tha HARISH par kisi tarah khudko normal rakh apni baat boli usne jispar..


MAI-anyways thanks sir MAA ko drop karne ke liye...

HARISH-ahh...don't mention it...ok then,chalta hun mai...see you tomorrow in bank...

VERONICA-ok..bye...


ek formal smile MAA ko dene ke baad HARISH apni car ki taraf mood gaya..

mai bhi ek sea off gesture ke liye uske saath ho liya..

car ke paas pahunch driving door khol meri taraf mooda HARISH jispar...


MAI-waise GLOBE CHOWK me dharna dopahar ko bhi nahi tha..mai nikla tha us waqt wahan se...

kisi ne GALATH info di thi aapko...


meri baat sun man hi man kuch zyada hi hadbada gaya tha HARISH jispar baad smile karte hue..


MAI-anyways,it was nice to meet you sir..


haath aage badhate hue kahi ye baat maine jisse nervousness me turant hold kiya HARISH ne par tabhi meri smile jo thodi aur badh gayi thi,usse dekh nazar uski hamare mile hue haathon par gayi jiske baad man hi man jhunjhla gaya woh...


REASON...

is baar mera haath upar tha aur uska neeche...

power se twist kar apne hatheli ko ghumate hue straight karne ki koshish ki usne par kar nahi paaya woh...


MAI-bye sir...


muskurate hue sea off kiya maine usse aur uska haath chhod apne ghar ki taraf badh gaya mai.

wahin apni kalayi ko ghumate hue mujhe jaata hue dekhta raha HARISH aur...


HARISH-saala hai kya ye chiz...!!! behenchod,tez bhi hai aur dum bhi hai.. beta HARISH,jo bhi karna hai,is saale se bach ke karna hoga verna...





pata nahi saala kab, kahan, kaun sa ganith LAGAYEGA....

us baadal ki tarah laga ye jo bin mousam hi mere upar CHAAYEGA....

isse door rehkar hi kareeb lana hoga iski MAA ko apne warna...

tamasha banaane nikle hain, apna hi tamasha ban JAAYEGA...












AAJ KE LIYE ITNA HI...











AAPKA APNA V...J...
Bahot zaberdast shaandaar lajawab update bhai
Harish ki hawa tight ho gayi itne m hi kahi ager kuch gad bad kia tab kia karega SANVAY woh ooper wala hi jaane
Shaandaar update
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,758
40,382
189
bhale hi flirt karne ke lihaj se kahee ho harish ne yeh baat lekin ek bete ke liye uski maa jab khoobshoorati ka paimana ban jaati hain tab koi doosri larki kahan bhaati hain... jahir hain pehle wo maa waale goon jaroor dhoondhta hain... kehte hain kee larki apna pati mein apne pita jaise goon dekhna pasand karti hai aur kuchh larke maa jaise...

yeh badalti duniya ne maa kee kadra hi kam kar dee hain... lekin yehan kahani alag hain... akhir itni pyari maa ho toh jahir hain khoobshoorat kee moorat toh wahee hongi ankho mein jab bhi koi khoobshoorati kee baat kare toh...

jis prakar se veronica jee apne bete ka bakhan karti hain ya un dono ke beech ke riste ko anyone would envy such beautiful relationship... sukoon sun ke hi achha lagta hain yeh shabd... jis insan ke sir pe hawas bhari ho bhala usse in baato ka arth kahan samajh aayega... jinhone pyar kiya ho kisi se bhi wahee samjh payenge uska mol...

another hidden habit... maa ko itni care karta hain kee unke liye pure bodyguard kee tarah adha dehradoon ghumte aaya... and veronica jee ko iska pata tha... kahir yeh dono hee toh hain ek doosre ke liye... no one else but themselves...

aksar single mom pe mard gidhh kee tarah jhapatte hain... ek khuli tijori kee tarah hoti hain wo... lootne par koi sawal bhi nahin.. wahee soch ke aaya hain harish but he doesnt know the story is different here.. even the mom is herself a hunter rather than a prey... akhir husband ka kuchh toh prabhaw parega hee...

and vernoica jee issi sahar mein rahti aa rahi hain i guess toh phir unke friends kyun nahin hain koi iss sahar mein... were they just the tree of them all along...
thanks...saath bane rahiye
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,758
40,382
189
Ye hramkhor to tgda laundiyabaaz nikla...hramimanus bahut deemag lga rha h veronica ko ptane me har aurat ko uski tariffo se pasand napasand ko jaankr use kuchh surprising gifts dekr aur jaisi harkatein aaaj usne ki scooty me puncture krna lift ke bahane aur tym spend krne ki koshish krna jhuth bol short route ko long bnana...aise kaamo se kisi ordinary aurat ya ldki ko jaldi pataya ja skta h wo veronica h koi ordinary mahila nhi uska husband khud genius tha uska beta bhi genius h aur wo khud bhi genius hi h...wo relaxed rehti insab cheezo me bhi kyuki use khud pr aur sanvy pr usse khud se bhi jyada bharosha h to ye harish jaise tattuoo se use kya hi dikkat aayegi pr ye hrami harish bhi pura hawasi h aise kaise pichha chhod dega agr aise hi pichha chhoda to jo kaam use krna h usko anjaam kaise dega ab dekhte h wo kitna kamyab hota h kyuki aaj sanvy se mulaqat ke baad jo uski hawa tight hui h jisko wo uhi normal sa ldka smjh rha tha wo uska baap kya dada pardada hi nikla bss ek chhoti si normal mulaqat ne uski achhe se faad di h .ab use sanvy ka dhyan rkhkr hi planning krni pdegi veronica ko fasane ke liye dekhte h kya aisa ho pata h ya jute chappalo se pitega wo to waqt hi btayega...waiting for next update brother
👏👏👏
hahahaha..abhi toh aur chalega....saath bane rahiye
 

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,758
40,382
189
nice update ..veronica se ab dosti bhi kar li hai harish ne aur uske ghatiya mansube bhi pata chal gaye hai ,,wo kamina insaan hai aur sharafat ka nakab pehne huye hai ..
veronica ko apne kiye kaam par itna vishwas hai ki usne mail bhi banake de diya harish ko ..

IQ test honewala hai national level par aur uske liye sirius school ka naam bhi recomended hai ..
principal ke saath aaye huye 2 logo ne sawal puchhe jiske jawab sirf sam ne diye ,sanvy har baar ki tarah jawab pata hone par bhi apne talent ko kisiko dikhata nahi hai ..
principal ka teesra sawal ka jawab koi nahi de paya par sanvy ko uska jawab pata tha ,isliye sanvy ko apne office me bulake jawab le liya 😍..
har baar ki tarah sanvy se impress ho gayi principal 😍..
thanks for the review brother..be along
 
Top