AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF KHANAK AUR RASHI PEHLI BAAR SANVY KI MAA SE MILTI HAIN WAHIN DUSRI TARAF VERONICA NAISHA KO BATATI HAI KI BOHOT JALD ANJALI AUR SANVY KE BEECH CHEEZEN RESOLVE HO JAAYENGI.
AB AAGE:-
CHAPTER-1
(ETIOLOGY OF BEING GALATH)
UPDATE-30
DATE-15TH SEPTEMBER
CITY-DEHRADUN
PLACE-B.O.B
UMMMMM...... AMAZING......KYA TASTE HAI YAAR...
parathe me matar paneer ko lapeththe hue jaise hi woh tukda mooh me daala HARISH ne,toh aankhen band kar mooh me ghule us swad ka maza lene laga woh...
aur VERONICA uske aise reaction par bas halke se muskurane lagi...
lunch hour chal raha tha abhi B.O.B me..waise toh paas ke hi bhojanalay se tiffin daily hi aata hai HARISH ka par kyunki aaj lunch duration shuru hone ke waqt woh VERONICA ke hi cabin me tha isiliye apna lunch offer kiya usne jiska pehla hi bite liya tha usne..
HARISH-waise hamare yahan riwaz hai ek ki agar khaana hadh se zyada lazzatdaar lage toh usse banane waale ka haath chum liya jaata hai...
VERONICA-kuch bhi naa...
sir halka neeche kar houle se smile karte hue kaha ye VERONICA ne..
in kuch dino me kaafi achi bonding ho gayi thi un dono ki..
lagbhagh daily hi baaju ke coffee shop me jaate the dono..
official aur uske saath non offical bhi dheron baatein karte the VERONICA aur HARISH...
beech beech me bilkul abhi ki tarah ek healthy flirting dialogue chipkaate rehta tha HARISH jisse yaa toh dhyan hi nahi deti thi VERONICA ya phir bas muskura deti thi aur isiliye himmat dheere dheere hi sahi,kaafi badhne lagi thi HARISH ki...
HARISH-arre sach me... kehte hain ki khaana banane waale ka haath agar chuma jaaye toh agli baar uske haathon ke bane khaane ka zayka aur badh jaata hai...
VERONICA-par hamare yahan toh ye maana jaata hai ki agar khaana banane waale ko akela chhod diya jaaye toh agle khaane ka zayka aur badh jaata hai...
HARISH-hmm..well played...mujhe meri hi baat par lapet liya..not bad...
waise tum intelligent bhi ho,smart bhi, beautiful toh ab kya hi kahun,aur ab pata chala ki awesome cook bhi ho...kuch aisa bhi hai jo tum nahi kar sakti...!!!
MAI-saamne waale ki tumhari tarah har baat par taarif karna nahi aata mujhe..
HARISH-tum jisse taarif karna keh rahi ho,mai usse sach bolna kehta hun...
aur sach toh bolna hi chahiye,naa...
apna mobile pocket se nikaalte hue kahi thi ye baat HARISH ne jiske baad kuch seconds scroll ke baad aakhein brightly chamakne lagi uski aur...
HARISH-lo ji..ek aur saboot mere sach ka...
mobile VERONICA ki taraf karte hue kahi thi ye baat HARISH ne jispar jaise jaise VERONICA display me dikh rahe mail ko padhti gayi,ek baar phir uske face par smile badhti gayi...
VERONICA-congrats...
HARISH-ye mera dialogue hai madam... congratulations... pehle dono plans ki tarah tumhara banaya third plan APF bhi next month se pure country ne laagu ho jaayega...
kisi ek division ya state se nahi balki puri country se B.O.B head office me thousands of layouts bheje gaye the lekin sirf tumhara plan hi chuna gaya hai...
woh bhi ek ya do nahi balki pure teeno hi plans ke layout...
ab supreme intelligence ka isse bada saboot toh na mil sakta koi...
VERONICA-theek hai naa.ab ho gaya toh ho gaya.. it's not that a big deal...!!!
HARISH-yeh, it's not a big deal... it's a gigantic deal..banking me isse badi uplabdhi ho hi nahi sakti...
kamsekam maine toh naa dekhi na suni...you are just brilliant VERONICA and you know that...
batati aur jatati nahi,ye alag baat hai.par sach kahun toh tumhare issi selfless ATTITUDE ke murid ho gaye hain hum...
i wish ki meri beti tumse mil paati....!!!
VERONICA-CHHAYA, right...!!!toh usme kaun si badi baat hai...vacations ya holiday par bula lena usse...
mumbai se idhar tak ki flight bas 2 ghante ki toh hai...
HARISH-haan diwali me toh aayegi hi... matlab 3 mahine baad..
VERONICA-you are missing her...
HARISH-ofcourse...after all,beti hai meri...transfers toh pehle bhi kayi baar hue hain mere par ye pehli baar hai jo woh saath nahi aayi mere..
VERONICA-tumne bataya tha ki board chal rahe hain uske...
HARISH-isiliye toh nahi aayi...par dar bane rehta hai har waqt..
itne bade sheher me akele chhodna pada usse mujhe...phone par toh bohot araam se,woh kya kehte hain aaj kal,haan,chilled out hokar baat karti hai but i am not sure..
pata nahi kaise manage karti hogi...
VERONICA-hamare bacche sirf hamare liye hi chote hote hain..
but real me they are way mature then us...aur khaaskar ladkiyan..
jab responsibilities ki baat aati hai toh apne umr se zyada samjhdaar ho jaati hain woh..
waise bhi tumne bataya tha ki hostel me hai tumhari beti..
and that it's a good one..toh phir zyada sochne ki zaroorat hi nahi hai...
HARISH-kuch bhi bolo yaar par chinta toh hoti hi hai naa...
VERONICA-mere kuch pehchaan ke log hain mumbai me...agar tum kaho toh woh har hafte checkout kar lenge CHHAYA ko...
HARISH-arre nahi nahi...uski zaroorat nahi hai...
hadbada gaya tha HARISH VERONICA ki baat par lekin phir turant khud ko sayyamit kar...
HARISH-actually CHHAYA ko pasand nahi ki koi uski zyada khair khabar le...
mai bhi zyada phone laga lun toh irritate ho jaati hai woh...
VERONICA-ab ye toh normal hi hai...uski umar me freedom kisse pasand nahi...!!!
HARISH-haan,par pehle aisa nahi tha...lekin jab se NEETA(WIFE) guzri hai,tab se ek shell jaise situation me chali gayi hai meri beti...
zyadatar apne aap me hi rehti hai..pehle kaafi baatuni thi woh par ab uski woh non stop baatein,chanchalta sab jaise kho si gayi hai...
kaafi sensetive tone me baat kar raha tha HARISH abhi jisse sun VERONICA uthi aur apna left hand uske kandhe par rakha usne...
VERONICA-waqt ke saath sab theek jo jaayega...khoya uske saath tumne bhi toh hai...
abhi choti hai woh..
par agar tumhe apni beti ka pain dikh raha hai toh ek din usse bhi tumhara dard dikhega...
aur jab aisa hoga toh apne dad ke liye uski woh kho chuki chanchalta wapas aa jaayegi...
VERONICA ke baat par apne kandhe par rakhe uske us haath ke upar apna ek haath rakh diya HARISH ne aur halka press karte hue..
HARISH-thanks VERONICA..itni achi dost hone ke liye..NEETA ke baad kisi se baat karna,apne feelings share karna pasand nahi tha mujhe...
bas apni beti ke liye jiye jaa raha tha..
par ab...jabse friendship hui hai tumse...i feel good...
acha lagta hai tumhara saath...
VERONICA ki aankhon me jhaankte hue kahi thi ye baat HARISH ne jispar woh bhi usse dekhne lagi thi..
gehri saanson ke beech thoda kareeb jaane laga tha HARISH uske par tabhi halka hadbadakar thodi piche hue woh aur..
VERONICA-hand wash karkar aati hun...
right hand jisse lunch ke baad ho rahi baaton ki wajah se abhi tak wash nahi kiya tha VERONICA ne..jahan unhe indicate karte hue turant cabin ke bahar nikal gayi woh wahin uske jaate hi ek kamingi bhari smile ke beech shirt ke upar se hi apne seene ko masalte hue..
HARISH-well played HARISH...sharif auraton par bhaavnaatmak baatein hamesha kaam karti hai...
haaye,aaj toh lapet hi lena tha saali ko maine...khair,koi nahi...waise bhi us shikaar ka kya hi maza jo asaani se giraft me aa jaaye...
ye hichak,sayyam,gairat... dheere dheere toote tabhi toh sharir nichodne ka maza aayega....
SAME EVENING:-
PLACE-THE CHANDER VILLA
BHAI,MAI PHIR BOL RAHA HUN,WAPAS CHALTE HAIN...NAA ANDAR SAAF PAANI BEHNE WAALA HAI AUR NAAHI TERE MOOH ME FILTAR HAI...
KAHIN PANGA NAA HO JAAYE...
SAM ke teen manzila mahal numa ghar ke bahar lage cars ki lambi kataar me apni bhi car ko jod usse utarte hue mujhse kahi thi ye baat NITS ne...
SAM ki mom MRS SMRITI CHANDER...
aaj birthday tha unka..ek shaandar party rakhi thi apne is khaas din ko celebrate karne ke liye unhone aur SAM ne hum sabhi ko is auspicious occasion me sharik hone ke liye invite kiya hua tha...
but the thing was ki unlike the other members of our school group,meri,NITS aur SONU ki SAM ke mom se nahi banti thi ya phir ye kehna zyada sahi hoga ki hum teeno ka middle class status SAM ke mom ki aankhon ko khatakta tha..
jitni baar bhi humara aamna saamna hua tha unse,SAM ki wajah se directly toh kuch keh nahi paayi thi woh par unke haav bhaav hamesha nakaratmak hi rahe the..
SAM ke idhar udhar hone par kayi baar indirect taunts bhi kiya tha unhone jiska like always,jawab rehta tha mere paas isiliye mere prati unki naapasandgi kuch zyada hi thi...
NITS bohot ache se jaanta tha is baat ko isiliye ek aakhri baar koshish ki usne is party ko avoid karne ki jisse sun...
MAI-abbe minaral water peeke bade hone waalon ki tabiyat mousam ke badalne ke saath bigadti hai..
apan toh municipality ke paani waale hain,naa hota asaani se asar humpar kisi virus ka...
SONU-abbe tteri issi ddailogebbazi kke cchakkar mme hhi cchudenge hhum...
jjinki pparty hhai aur jjo unnke ssabse kkareeb hhain,wwoh ddono ffamilies ppasand nnahi kkarti ttujhe..
NITS-abbe haan, ANJALI ke parents...uske mom dad toh aise dekhte hain tujhe jaise nazar se hi murder kar denge tera..
aur tu saale batata bhi nahi ki unki kaun si lanka me aag lagayi thi tune...
MAI-abbe oh environmental analytic experts..band karo apni bakwas...
SAM ke bulane par,uske constant dhamkiyon waale request par aaye hain hum idhar..
party me nahi gaye toh bura lagega usse...ab woh saath hoga apne toh tention kaisa..
par phir bhi dost ke liye thodi insult sehni padi toh seh lenge..
bottom line, yaa toh andar chalo chupchap nahi toh yahin se kalti maar lo...party ke baad lene aa jaayiyo mujhe..
NITS-haan yahi bacha hai ab life me.. driver ko tarah sahab ko pick karenge hum..
chal bhosdike,jo hoga dekha jaayega... par bhai,apni woh sehne waali baat repeat mode me khudko yaad dilwate rahiyo...
SONU-hhaan bbhai,kkisi bbaat ppar bbhadak kkar haath mmat cchhod dena kkisi par..ssaale ssabhi V.I.P'S hhain..
bbodyguards kke saath cchalte hain... bbohot kutenge bbaad mme..
MAI-baap ko sikhana band karo be aur chalo ab...
NITS-mercidez,b.m.w, jaguar, bentley, maserati, porsche, mitsubishi...saala sabse sasti gaadi toh volkswagen khadi hai yahan..par woh bhi 25 se upar ki hai..
apni honda city toh cycle hai in sabke aage...
line se parked saari gaadiyon ko dekh aage badhte hue kahi thi ye baat NITS ne...
SONU-bbhai,jjab bbhi SAM kke gghar kke iss enntrance kko ddekhta hhun ttoh aisse llagta hhai kkisi ffive sstar hhotel mme enter kkar rraha hhun..
us gigantic main gate se enter hote hi saamne porch se pehle bane bade se fuhaare aur uske ird gird bane kareeb 2000 sq.feet bade garden ko dekhte hue kahi thi ye baat SONU ne..
YOUR NAMES SIR...
maine entrance gate se thoda andar khade invite attendent ne pucha tha humse ye sawal..
guest ko unki pehle se hi register me darj naam ke adhaar par hi entry allowed thi...
MAI-SANVEER AHARYA..SONU SHRIVASTAV...NITENDRA BHATNAGAR....
hum teeno ke hi naam bata diye usse maine jisse apne guest register se match karne me lag gaya woh...
ATTENDENT-sorry for the inconvenience sir.. welcome to CHANDER'S VILLA...
ek formal smile ke saath hume andar jaane ki permission si di thi usne jiske baad SAM ke ghar ki taraf badh chale hum...
kareeb ek minute ka waqt laga tha hume entrance gate se entrance door ka safar pura karne me..
pehle bhi 3,4 baar aa chuke hain hum yahan par har baar is mehel numa ghar ki khubsoorati nihaarne se nahi chukte the hum..
wakayi khubsoorat tha SAM ka pura ghar..is waqt saamne bane porch me kul 6 vilaayti gaadiyan khadi thi jinka total estimate 10 crores se bhi zyada tha...
bunglow ke saare walls ke beechon beech kareeb 10 lamps bane the jo un diwaron ko andar se light up kiye hue the..
ghar ke just right ki taraf ek bada sa pool bana tha..
jahan se chalte hue enter hue the hum, theek hamare side me hi kareeb 30 metre door line se servent quarters the jinki ginti 10 se bhi zyada thi...
kareeb 9000 square feet me faile sirf is 3 manzile is imaarat me kul 20 rooms,2 hall aur 2 gym the...
ground floor par sirf ek hall, kitchen, store room aur 2 bed rooms the..baaki ke saare bedrooms first aur second floor par bane the...
stairs zigzag pattern me bane the jo is bunglow ke interior ko ek alag hi royal touch de raha tha...
waise toh aisi grand parties bahar lawn me hoti hain par SAM ke ghar ka hall kaafi bada tha..
model kuch yun bana tha is ghar ka ki 6000 square feet sirf hall me use hue the...
NITS-woh rahi mandli apni...SAM bhi udhar hi hai..
entrance door se hote hue jab andar aaye hum toh left side bane bar me jahan sharab ke saath mocktails bhi available the aaj,khade the hamare sabhi group waale...
waise aaj ke is party occasion ki wajah se kul 3 temporary bar counters aur bhi lage hue the.
ek toh hamare friends ke just opposite direction me hi bana hua tha..
aur wahan thode thode gap me kul do aise group khade the jinme se zyadatar logon ko jaante the hum..
ek group toh B section se hamare sabse ghanisht mitr ROHAN aur uske kuch friends ka tha and second group me apne kuch work competitors aur friends ke saath khade the DEVANSH MALHOTRA... ROHAN'S dad...
ROHAN ki nazar humpar padh chuki thi par unlike his behavior,hume completely avoid kar apne doston me busy ho gaya tha woh..
anyways, apne group ki taraf chal pade hum teeno..
haathon me orange juice se bhara glass pakde hue maroon colour ki wrap style midi party dresses me khadi thi KHANAK..
RASHI, NAISHA aur ANJALI bhi alag alag colour me hi sahi magar KHANAK ki tarah midi dress me hi the...
wahin RAJAT aur EKPREET hamari tarah hi casual party wear as in party jacket,jiske andar shirt aur neeche trousers pehne hue the..
appearance SAM ka sabse alag tha..ab ek tarah se woh bhi host hi tha is party ka isiliye black tuxedo pehna hua tha lounde ne..
baaki sab toh chit chat me busy the par KHANAK jiske liye aisa mahoul zara naya tha,woh chup chaap apne orange juice ka sip lete hue khadi thi...
RAJAT-ye dekho.. finally aa gaye teeno kamine..
hum par nazar padte hi wave kiya tha RAJAT ne jiske beech hum teeno un sabke paas pahunch chuke the...
SAM-kahan ruk gaye the be tum teeno..!!!
MAI-khana check karwa rahe the..ab tu toh host hone ke baad bhi irresponsible ban yahan vellon ke type khada hai.
toh tera kaam hum kar rahe the...
EKPREET-kya khaa kar paida kiya tha be tujhe aunty ne..har sawal par kuch na kuch tedha jawab dena hi rehta ha tujhe..
MAI-tedhe jawabon se balance bane rehta hai..
aur beta,upwas rakhna padta hai SANVEER jaise sapoot ko janm dene ke liye...
NITS-correction sir.sapoot nahi,kapoot...
HAHAHAHAHA...
has diye the sab khaaskar girls NITS ki baat par jisse dekh..
MAI-aaj pata chala.. muskurahat agar dil-e-sukun dene waali ho toh beizattai bhi be-asar si lagti hai..
KHANAK, RASHI aur NAISHA ko dekh kahi thi ye baat maine jispar woh teeno hi halki blush karne lagi thi..
RAJAT-abbe oye...isse toh chhod de..booked hai ye..
NAISHA ko side se hold karte hue kahi thi ye baat RAJAT ne jisse dekh...
MAI-abbe train ki ticket hai jo booked hai NAISHA..waise bhi kisi maha tharki vidhwaan ne kaha tha and i quote"khaali kursi par toh koi bhi baith sakta hai..himmatwar woh jo dusre ki kursi hathiya le"...
KHANAK-chii...how tacky...
MAI-fursat mil gayi aapko...ab tak kahan khoyi hui thi aap..!!!
KHANAK-sun rahi thi maha pandit shri shri shri SANVEER AHARYA ji ki baatein...
MAI-bolna sikh gayi hai ladki...
KHANAK-sangati ka asar hai...
LADIES AND GENTLE.. FINALLY,THE WAIT IS OVER.. HERE'S PRESENTING,THE PERSON OF THE MOMENT...THE BIRTHDAY GIRL,MRS SMRITI CHANDER...
announcement ke beech upar ke last stairs se blue shining long gown pehne utarne lagi thi MRS SMRITI CHANDER jinhe dekh pashchatya sanskriti ka namuna dikhate hue sabhi mehmaan apne apne haathon me pakde drink ko samaan me upar utha unka swagat karne lage the...
halki halki dhun jo pure mahoul ko ab tak ek sukoon ki chaanv odhaye hue thi,usse bhi is announcement ke dauran band karwa diya gaya tha...
is dauran SMRITI CHANDER ki secretary cum aaj ke liye niyukt unki anouncer bhi apna kaam kar side hath chuki thi..
SAM-excuse me guys....
apne tuxedo ka button lagate hue SAM bhi apni mom ki taraf badh chala tha..
RASHI-wow yaar..SAM'S mom ki personality bhi kaafi awesome hai...
KHANAK-yup..and look at the dress...it looks quite expensive...
MAI-its HERMIS..very expensive...
pineapple juice jiske liye pehle hi bol chuka tha mai,serve hote hi uska sip lete hue kahi apni baat maine jispar sab hairani se mujhe hi dekhne lage the...
NITS-tujhe kaise maalum be..tu hi sila hai kya woh dress..???
MAI-beta agar HERMIS brand ka taylor hota mai toh mujhse milne ke liye appointment lena padta tujhe...
RASHI-par tumhe kaise...???
MAI-oh simple...but first things first..SAM ki mom ne apne birthday ke liye dress liya hai toh obvio woh international brand ka hi hoga..
ab har international brand ki apni ek alag khaasiyat hoti hai...
dekho dress ko dhyan se...
purest silk joki kaafi rare hota hai,usse crafted hai woh dress aur normal blue colour se imprinted nahi hai woh balki turquoise blue tone ka shade use hua hai us kapde me..
aise event ke liye perfect... anyways,cape detail jo scarf like borders ke saath continuation me gale tak gaya hai which is v-neck...
ussi V-neck ke pure silhouette me joki har jagah se draped hai as in lipta hua sa dikh raha hai,uspar ek empire line bana hua hai..
woh line asal me ek tarah ka logo hai that's designed and patented by HERMIS...
hence,HERMIS it is...
saari detailing dene ke baad jab mai apne doston ke taraf palta toh unhe khudko mooh faade dekhte paaya..
halke smile ke saath juice ka sip lete hue mai wapas saamne dekhne laga jispar...
RASHI-who are you SANVY...!!!i mean literally,rarest chizon ka knowledge bhi tum aise define karte ho jaise bohot common hai woh sab aur sabhi jaante hain uske baare me...
ANJALI-duniya bhar ka faaltu gyan hai isme bas khudki class me kya padhayi ho rahi hai,ussiki khabar nahi...
MAI-arre..wahi bolun mai ki abhi tak acha acha kyun feel kar raha tha mujhe...
tune jo mooh nahi khola tha ab tak...par ab jo mooh faad hi diya hai tune,beda garg hone ka time shuru...
EKPREET-guyzz...SAM bula raha hai...
meri baat par ANJALI kuch kehti ki tabhi EKPREET ki baat sun sab saamne dekhne lage jahan is waqt cake cutting ceremony start hone waali thi...
apni mom ke saath hi SAM khada tha jo hume bhi apne paas aane ka ishara kar raha tha..
waise toh ab tak lagbhag sabhi guests ne gher liya tha us area ko isiliye hum bhi un sabke saath jaakar khade ho gaye...
HAPPY BIRTHDAY hymn ke beech MRS CHANDER ne woh 20 kg ka 7 rounds waala pineapple cake cut kiya par is beech..
NITS-abbe ANJALI ki mom ko toh dekh... kaise dekh rahi hai tujhe...!!!
mere kaan me dheere se kahi thi ye baat NITS ne jispar bina apne right ko taraf dekh jahan kuch hi doori par SHRAVYA UDAASI,ANJALI'S MOM khadi mujhe hi ghur rahi thi,smile karne lag gaya mai...
waise dekh woh sirf mujhe hi nahi balki apni beti ko jo mere dusri taraf khadi thi,usse bhi rahi thi..
MAI-ab kisi ki nazar par toh kaabu nahi hai apna..dekhne de jitna dekhna hai...
NITS-saale kuch toh gadbad hui hai tere aur unke beech.
nahi toh pehle jab bhi aamna saamna hota tha toh mujhe aur SONU ko bhi ghurti thi woh par kuch time se tu hi rehta hai unke nishaane pe...
MAI-tu saale faaltu chizon par hi dhyan de bas..udhar dekh,cake cut chuka hai..
NITS-dekhne se pet me chala jaayega kya...!!!
MAI-PANKAJ UDAAS ko bhi bulwaya hai kya be...!!!
SAM jo uski mom ke unke well wishers ke saath indulge hote hi humare paas aa gaya tha,usse bola tha maine ye jispar..
SAM-PANKAJ UDAAS!!?ab ye kahan se aaya be...!!!???
MAI-jab se aaye hain,bas slow instrumental hi baj raha hai..
toh laga mahoul ko aur boring banane ke liye unhe bhi bulaya hoga....
SAM-romantic retro bolte hain usse..aur dhyan se sun..bollywood nahi, international vintage tracks hain..rare to find...
isse acha aur kya hoga is type ki parties me...!!!
ANJALI-vintage tracks...tailor miya ko kapdo se bahar ka knowledge thodi naa hoga aur woh bhi romantic...!!!no chance...
bas woh local chhaap bhaangra kar apne saath baaki sabko bhi fasana aata hai isse..
ANJALI ke taunt ke beech baaki sab bhi aa chuke the humare paas..ab ANJALI aur meri tu tu mai mai toh unke liye world famous thi isiliye has bhar diye the sab..
MAI-kamal hai.. bhaangra aur free style alag hokar bhi ek sa hi dance form hai kyunki haath faila khul kar naachne ki azaadi dono me hi milti hai..
par agar koi free style dancing try kare toh cool aur bhaangra kare toh local..
sirf isiliye kyunki ek dance form U.S.A me originate hua tha aur dusra hamara apna banaya hua hai...
param sththi vishleshak(analyzer) ANJALI UDAASI ji...pata hai aapko hamare local bhaangre me kul kitne movement hote hain..
near about 300...and what about free style or any other international dance form...
10 se zyada variations nahi hai kisime jinhe alag alag tarah se bas modification karke show off kiya jaata hai...
puri energy se agar bhangra ke un 300 movements ko try karo naa toh kamsekam 4 international dance form ki mili hui energy lagti hai...
EKPREET-arre bas kar bhai.. punjabi mai hun par bhaangre ko local bolne par class tu le raha hai iski..
MAI-class nahi balak,sach ka aayna bolte hain isse... waise ek aur aayna bhi hai..
mere aane ke baad abhi tak kul 4 vintage tracks sune hai maine..
pehli thi 1927 se OLD BROAD WAY joki ek street side jazz piece hai..
dusri thi BLUE MOON track joki same naam ki movie se li gayi thi.. year,1934...
phir baji CHEEK TO CHEEK joki russian track hai..aired on 1935...
aur finally disney classic pinocchio ki 1940 me released ki gayi WHEN YOU WISH UPON A STAR...
ye the aapke woh so called vintage collection ke song jo purane zaroor hain par impressive bilkul nahi...
par kya karen..mahoul ko western touch dene ke liye unki hi parampara ko copy karna toh banta hi hai phir bhale lag ye sab khudko bhi bakwas hi raha ho...
jo baatein maine kahi,woh mere doston ke liye shocking toh thi hi par saath hi saath woh sach bhi tha jo jaante hue bhi anjaan bane hue the woh sab aur khaas kar yahan aaye saare mehmaan...
yahi wajah thi ki reaction kaise de,ye samajh nahi aa raha tha un sab ko..
MAI-chalo bhai...khaane me toh time hai abhi..juice hi gatakte hain tab tak...
NITS aur SONU ko saath lekar wapas beverage counter ki taraf badhne ko hua mai par tabhi..
SAM-abbe bhukkad starters bhijwa deta hun..
par saale,baaki sab chizon ka knowledge rakha hua hai par ye kaise bhul gaya ki MOM ke birthday par aaya hai tu, wish nahi karega unhe...
MAI-abbe bhid dekh aunty ke aaju baaju...ab itni bheed me kya chillakar wish kare hum..
aisa lagega union se hain hum aur apni maange puri karne ke liye naare laga rahe hain...
SAM-chup be.. birthday meri mom ki hai..baaki sabki line alag se lagegi aur apni alag...
MAI-ab ye ki naa pate ki baat lounde... chal bhai jaldi chal.waise bhi chicken tikke bhi mehek aane lagi hai mere naak me..
jaldi se wish kar dete hain phir 4,4 plate each manga liyo...
meri baat par sabhi has diye the....
SAM-saala bhukkad...
MAI-abbe,bukeys kidhar hai..
NITS-woh kya lene gaya hai SONU...
beverage counter ke just piche sabhi ne apne apne laaye bukeys rakhe the jinhe SONU ke piche piche woh sab bhi lene chal diye the...
MAI-happy birthday aunty...
baaki sabke baad maine bhi apna bukey SAM'S mom ki taraf badha diya jispar ek pal ki naagwaari bhare expression ke baad apne bete ke chalte jo humse thoda piche hi khada tha,le liya aunty ne...
mujhse pehle SONU aur NITS se bookey lete waqt bhi same expressions aaye the aunty ke face par..
reason..
wahi typical..hum teeno ka middle class status jo pasand nahi tha aunty ko..
unhe lagta tha ki SAM ke rich hone ka faayda uthate hain hum teeno...
indirectly kayi dafa toka bhi tha unhone SAM ko hamare saath naa rehne ko par maana nahi tha SAM...
AUNTY-nice flower......
MAI-SANVEER aunty..
AUNTY-ya SANVEER..."BLOSSOMS" se liya hai...
(BLOSSOMS DEHRADUN ka sabse bada florist shop hai..wahan ek gulaab ki keemat bhi 200 rs hoti hai)
MAI-nahi aunty.. dusre florist se liya hai...
AUNTY-standerd!!!
MAI-jee...
AUNTY-i thought so..
MAI-ab aunty,bookey toh bookey hi hota hai..
waise bhi,you are looking so beautiful ki phool kahin ke bhi ho,feeke hi lagenge aapke saamne...
AUNTY-hmm.charming...aise hi mithi baaton se ab tak dost bane hue ho SAM ke...
SAM,EKPREET,RAJAT,NITS,SONU aur girls ke saath thoda piche khada tha jisse ek baar dekh kahi thi ye baat aunty ne jispar smile kiya mai aur...
MAI-yahan moujud itne saare guests me aapke kitne dost hain aunty...???
AUNTY-excuse me...
MAI-friends aunty...
AUNTY-friends banane ka naa waqt hai mere paas aur naahi koi zaroorat...
MAI-zaroorat toh 2 roti se bhi zyada ki nahi hoti hai aunty par yahan toh laakhon ka khaana banwaya hua hai aapne...
you are a successful business enterprenaur aunty aur mai kuch bhi nahi, phir bhi apne chote mote experience se ek baat kehta hun...
friends zaroorat ke liye nahi balki isiliye banaye jaate hain taaki is zaroorat shabd ki zaroorat kabhi pade hi naa.
waisa hone ke pehle hi dost dhaal bankar saamne khade ho jaayen sur zaroorat puri kar den..
financially aap beshak stable kar sakti hain SAM ko par mentally aur emotionally sirf aap tak hi simit nahi hai uske daayra...
us daayre me uske dost bhi aate hain joki hum hain..
aur baat hum meethi karen ya kadwi,asar dawayi ka hi karenge aapke bete par woh bhi ayurvedic..
faayda ho naa ho, nuksaan nahi hoga...have a good evening aunty and again,a very happy birthday...
jahan muskurate hue apni baat bol palath gaya mai wahin mujhe piche se jaate dekh...
SMRITI-nuksaan naa ho toh hi acha hai ladke kyunki agar waisa hua toh kabhi exist bhi karte the tum aur tumhari family,iska suboot tumhare pehchaan waalon ke paas bhi nahi milega...
NITS-beta, phir se SANVYGIRI dikha raha tha na tu...!!
MAI-SANVYGIRI..ye naya laya lounde tu..
NITS-bakwas band kar be..kya baat kar raha tha SAM ki mom se..!!!
MAI-abbe itni behetarin party me invite karne ke liye thanks bol raha tha aur thodi bohot unki taarif..bas...
SONU-bbeta chodu kkisi aur kko bbanana...bbulaya ttujhe SAM nne hhai,auunnty nne nnahi..
yye ssab ddikhawa ttujhe ppasand nnahi, mmaalum hhai hhume..auur jjhuti ttarif ttu nna iss pparty kki kkarega aur nnahi aunty kki..
MAI-abbe chaabo mat be..kuch GALATH bola hota toh party se bahar naa phikwa deti woh...
NITS-yahi toh tera game hota hai saale.. GALATH baat bhi itne SAHI tarah bolta hai ki usse samajhne me hi saamne waale ka aadha time nikal jaata hai..
MAI-laa bhai laa...aur aan de lagatar...
NITS-hari chutney thodi zyada laayiyo agli baar...
baat karte hue pehle se hi ek corner me bade se round table ke ird gird baithe hamare baaki paltan ke paas pahunche hi the hum teeno ki tabhi ek waiter chicken tikke se bhari plate girls ke aage rakhne ko hua par us plate ke safar ko aadhe me hi rok uski disha ghumate hue pakad liya maine aur waiter ko repeat mode ke instruction dete hue khaali chair par baith gaya mai...
NITS bhi chutney waali baat bol baith chuka tha mere baaju me..
wahin is beech sabhi girls mujhe ghurne lagi thi par faayda kuch tha nahi, isiliye kuch seconds baad khudke hi dimag ko jhatak baaton me lag gaye the woh sab..
SAM-hey,kahan thi tum...!!!
saamne se aati KHANAK se pucha tha ye sawal SAM ne jispar ANJALI ke baaju me baiththe hue...
KHANAK-wash room..
SAM-akele..kisi ko bol deti saath chalne..
KHANAK-why bother any one..ANJALI se direction puch liya tha maine..
waise kyun bola aisa..!!!safe nahi hai kya tumhara ghar...!!!
MAI-bataya tha naa,bolna sikh gayi hai ladki...
KHANAK-haha..very funny...
"SONI DE NAKHRE SONE LAGDE MENU,SONI DE NAKHRE SONE LAGDE"...
MAI-ye hota hai gaana...
halke kam awaaz me play kiya NITS ne apne mobile me ye song jispar apne apne kandhe uchkaate hue baithe baithe hi naachne lage mai aur woh..
jahan EKPREET, RAJAT SAM aur KHANAK ye dekh turant hasne lage the wahin RASHI aur NAISHA ne kuch seconds ghura hume par phir woh bhi hasne lage..
aur aakhirkaar ANJALI bhi jo bohot koshish kar rahi thi khud ko control me rakhne ki,woh bhi sir neeche kar hasne lagi thi...
SAM-aur kuch guyzz...
6 plate chicken tikka,2 roast,1 full saiga chicken,3 chicken muglayi,2 fish curry,7 zeera rice,5 daal fry, uncounted rotiyan,2 paneer butter masala gatak liya tha hum sabne milkar jiske baad ye sawal pucha tha SAM ne jispar...
ANJALI-isse puch...hum sabne toh iske hisse ka bhi khaa liya hai..kam pad gaya hoga isse...
MAI-thanks for the concern yaar...par nahi,abhi ke liye pet ful ho gaya mera....
taana maara tha ANJALI ne mujhe jo jaayaz bhi tha kyunki sabse zyada maine hi khaya tha.
infact jab jab ANJALI kisi bhi dish ki taraf haath badhati toh usse pehle hi maine us dish ki item apni taraf kheenchi thi...
anyways,mere jawab ko sun baaki sab toh has diye par ANJALI ne ghura mujhe jiske baad hum sab ne apne saamne lemon hot water bowls me apni apni ungliyan dubo di...
tissues bhi kaafi maatra me holders ki tah me rakhe hue the jinse apne apne haath saaf karte hue uth gaye hum sab apni chairs se..
SAM-what now.ghar mat bolna koi..9 hi baje hain abhi.. kamsekam ek ghanta aur rookna padega sabko..
ANJALI-arre yaar RASHI aur KHANAK pehli baar aaye hain yahan,show them around...
RAJAT-good idea...
NITS-arre mai nahi aara bhai..tum log niklo...waise bhi mujhe zor ki lagi hai...
SONU-mmujhe bbhi...
NITS-theek hai phir..hum jaa rahe bathroom,uske baad billiards room me rahenge hum.. wahin aa jaana tum sab..
SAM-cool.. SANVY,tu saath aa raha hai...!!!
MAI-hao..taj mahal hai ye...baar baar dekhne ka man karega...
SAM-matlab nahi aa raha...
MAI-naa...waise bhi kuch zyada hi khaa liya hai..soda ya masala cold drink ka andar jaana zaroori ho gaya hai..
ANJALI-iska kuch na kuch thusna kabhi khatm hi nahi hota...
MAI-tera sir khaana kabhi khatm hua hai..jab mai kuch nahi bolta tu tu kaahe chonch chalate rehti hai...
EKPREET-arre chalo guyzz..inka chalu ho gaya toh subah tak chup nahi honge ye dono...
SONU-cchal bbhai...ttera ssoda ppeekar bbilliards room aa jjaana..
jahan EKPREET,RAJAT, SAM, ANJALI,NAISHA, RASHI aur KHANAK ke jaate hi ye bol SONU aur NITS bhi wash room ki taraf badh gaye wahin mai bhi wapas beverage counter ki taraf chal pada...
MAI-one masala coldrink brother...
COUNTER GUY-which one sir..!!!
MAI-sprite..
order de wahin lage long stool me baith gaya mai..
MRS SMRITI CHANDER abhi bhi apne kayi work colleagues aur apni company ke share holders ke beech ghiri hui thi..
SANVEER....ABHI TAK SIRIUS ME PADH PAA RAHE HO TUM.. MUJHE TOH LAGA KI AFFORD KARNA MUSHKIL BAN GAYA HOGA TUMHARI MOM KE LIYE...
mai saamne SMRITI CHANDER ko hi dekh raha tha ki tabhi mere baaju se aayi ye awaaz jisse sun muskura utha mai...
SHRAVYA UDAASI...ANJALI ki mom thi ye jo na jaane kabse mere saamne aane ke, mujhse baat karne ki taak me thi..
jaanta tha mai ye baat isiliye hi naa mai SAM ke saath gaya aur naahi SONU,NITS ke saath..
SHRAVYA UDAASI ki khwahish jo puri karni thi mujhe jo finally ho chuki thi...
MAI-umm.its good.you want some aunty..
unki baat sunane ke dauran mere masala coldrink aa chuka tha jiska sip lete hue kahi ye baat maine jispar...
SHRAVYA-tum hi peeyo..free me hi toh pee sakte ho ye sab..khudse afford toh kar paaoge nahi...
MAI-naa..bahar bhi 30 ki hi milti hai ye..itna toh kharch kar hi sakta hun...
provoke karne ki koshish kar rahi thi mujhe aunty taaki kuch GALATH bolun mai jiske aadhar par sabke saamne insult kar sake woh meri par mere in shaant jawabon ko sun man hi man jhunjhla gayi thi woh...
SHRAVYA-maine toh suna tha ki tumhari aur meri beti ki friendship toot chuki hai.. phir aaj chit chat ki wajah...!!!
MAI-hmmmnnnmm..
SHRAVYA-whats so funny...!!!
unki baat par halka muskura diya mai jisse dekh ghura unhone mujhe..
MAI-your statement aunty..apni hi beti ki baat suni aapne.. matlab kisi aur se pata chala aapko...
meri friendship ki tarah kahin aapka bhi toh kuch toot nahi gaya apni beti ke saath...
SHRAVYA-you...
meri baat se paara bohot chadh gaya tha aunty ka par kisi tarah se khudko control kiya unhone aur..
SHRAVYA-mere husband ko thappad maara tha tumne...sirf meri beti ke interference ki wajah se aaj bhi zinda ho tum..
par agar dobara ghusne ki koshish ki tumne meri beti ki life me toh...
MAI-wo wo wo..relax aunty....mai kahin se bhi ghus nahi raha hun aapke beti ki life me..
aur jab uski life ka part tha mai,tab bhi sirf dosti hi thi hamare beech,aur kuch nahi...
rahi baat MR SANDEEP UDASI as in aapke husband ki toh haath mera unpar sirf isiliye utha tha kyunki meri MAA ke baare me GALATH shabdon ka istemal kiya tha unhone...
you should be toh happy ki sirf ek thappad me account close kar diya tha unka maine...
meri baat sun jisme unke husband ko maamuli sa feel diya tha maine, aankhein dehek uthi thi SHRAVYA UDASI ki..
party ke beech the hum..zor se kuch bol sakti thi nahi woh isiliye dabi par ek grunting awaaz ke saath...
SHRAVYA-you..!!!who the hell do you think you are..!!
MAI-SANVEER AHARYA...son of VERONICA PAUL AHARYA...
jaan lene ki dhamki ek baar de chuki hain aap,dobara bhi dene waali hain toh koshish bekar hai..
kabhi dusre ke zariye nahi,agar aamne saamne hokar baat hui aapki apni beti se toh puch lijiyega mere baare me...
SANVEER kisi dhamki se darta nahi aur meri dhamki action se pehle nahi balki uske saath saath nikalti hai..
example aapke pati ka gaal hi hai jispar unke 2 bodyguards ke saamne apna panja chhapa tha maine..
aage badhe the apne maalik ka badla lene ke liye woh dono par agle 2 second me zamin par gire pade the unke sharir...
kaali thi meri aankhen par ek bhurapan bhi aane lagta tha andar ke pupil part me aise waqt par jab mera confidence aur ghussa ek saath meri aankhon me chaata tha...
aise time me mere aankhon ka glimpse, sight unhe dekhne waale ke liye halka darawana hota tha..
thoda aage badh SHRAVYA ke kareeb jaakar boli thi maine ab tak ki baat jispar unke face par bhi woh halki ghabrahat saaf dekhi jaa sakti thi...
par kisi tarah khud ko normal kiya unhone aur....
AUNTY-tum do kaudi ke...
MAI-izzat karta tha aapki jo shayad abhi bhi thodi bohot bachi hai mere andar isiliye....
kuch bhi aisa mat bol jaiyega jisse woh bachi khuchi izzat khatm ho jaaye..
aur jo mai bolne waala hun,usse yaad rakhiye...
maana ki mere jaiso ki aapke zindagi me koi KEEMAT NAHI HAI...
par meri nazaron me bhi aapke paison ki koi EHMIYAT NAHI HAI...
jeb ke maamle me beshak do koudi ka hun mai magar...
SANVEER ki gairat itni mehengi hai, kharidne ki jisse aapki HAISIYAT NAHI HAI....
AAJ KE LIYE ITNA HI...
AAPKA APNA V...J...