AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ROHAN NE JO PLAN SANVY,SAM KE LIYE BANAYA HAI,USKE EXECUTION KA WAQT AA CHUKA HAI WAHIN DUSRI TARAF KHANAK SANVY KO CLOSE NAA AA PAANE KE LIYE TAUNT KARTI HAI.
AB AAGE:-
CHAPTER-1
(ETIOLOGY OF BEING GALATH)
MEGA UPDATE-35(PART-1)
DATE-7TH OCTOBER
CITY-DEHRADUN
PLACE-SIRIUS
FINALLY, JUST ONE DAY LEFT FOR THE FUN TO BEGIN....
apne hatheliyon ko rub kar chaaron taraf nazar ghumate hue bane hue thrilling mahoul ko dekh kahi thi ye baat ALOK ne joki bilkul sahi thi..
SIRIUS ka main gate joki sirf students aur unke parents ke liye hi hamesha khulta hai,aaj se sports weak end hone tak saarvjanik tour par khul chuka tha...
REASON....
MEDIA HOUSES aur har naami school ke associates, teachers, sport coaches jo aate the SIRIUS is sports naam ke mele ko dekhne,cover karne aur most importantly,admire karne ke liye..
sports kal se tha par local media houses ke kayi pratinidhi aaj hi school campus me pahunch chuke the aur jitne bhi school official aur teachers unki nazar me aate,woh un sabko pakadkar inside info lene ki koshish kar rahe the..
dusre schools se aaye officials different sports ke grounds,unke diameters checkout kar rahe the taaki apne school me bhi woh sab copy kar saken...
in sabke beech ROHAN aur SAM ko PRINCI ki taraf se media interaction naa karne ki strict warning mili hui thi...
SAM toh indoor stadium me busy tha par ROHAN uske group ke ladko ke saath canteen ke paas baitha school me chal rahe scenerio ko dekh raha tha...
ALOK ki kahi baat sun woh muskuraya aur...
ROHAN-GALATH....!!!
ALOK-kya GALATH...!!!!
ROHAN-maza kal se nahi aaj se shuru hone waala hai infact asli maza aaj hi aane waala hai...
AJAY-aaj..!!!aaj kya hai..!!!kal pata chal jaayega, tera ussi dialogue ke baare me toh baat nahi kar raha tu...!!!
haan me sir hilaya ROHAN ne jispar koi kuch kehta ki tabhi...
phone bajne laga uska jiske display me call karne waale ke naam ki jagah "trump card"ye likha hua tha..
ROHAN-hey...!!!
call utha bas itna bola ROHAN ne jispar kuch kaha gaya saamne se jisse sun....
ROHAN-nervous...!!!
SAAMNE SE-.........
ROHAN-don't be...kuch nahi hoga...
SAAMNE SE-..........
ROHAN-i know.......aaj ke baad zaroorat nahi padegi...rakhta hun..all the best....
BEEP...
cal cut kar jab dekha apne sabhi friend's ki taraf ROHAN ne toh paaya ki sab usse hi ghoor rahe the..
ROHAN-what...!!!!
BHAVESH-ye trump card kaisa naam hai..!!!aur dude, right time par bata dunga,ye mat boliye kyunki as per your own words,jo bhi socha hai tune,today itself is your endgame...
ROHAN-hahahaha... you are right... today, infact NOW is the time my endgame is gonna unfold...
suno...
jo bhi plan tha ROHAN ka,usse apne doston ki batata chala gaya ROHAN jisse sunte sunte aankhein apni hadh tak faile chuki thi uske doston ki...
aur jaise hi ROHAN ne bolna band kiya,woh sab ek line me apne dono haathon ko continously jhukate hue respect dene lage usse jispar ek smile naach uthi ROHAN ke face par...
AMIT-maa kasam bhai..jab tune bola tha ki kuch plan banaya hai tune un A section waalon aur khaaskar us SANVY ke khilaf..
i was very doubtful...mai bilkul sure nahi tha ki SANVY ke khilaaf koi plan,kou mind game kaam kar sakta hai..
kyunki kaafi kareeb se feel kiya hai maine us behenchod ke dimag ko..
par bhai,tune toh maiya hi chod di hai sabki dimaag lagaane ke maamle me...
matlab,kya hi socha hai yaar tune..mind blowing...
AJAY-haan bhai..itna kuch kar gaya bina kuch kiye...gazab...
ALOK-i mean seriously,woh SANVY jo aaj tak SAM ka dhaal bankar raha,aaj wahi maarega usse...
saala soch kar hi goosebumps aane lage hain mujhe toh...
NEERAJ-sirf tujhe nahi be hum sabko...aur us SANVY ka ghussa toh jaante hi hain sab...
bhosdika aage piche sochkar maarta nahi hai woh..
ROHAN-exactly..yahi toh chahiye.. bohot ganda maarega SANVY SAM ko...
aur jab gath bigaad raha hoga SANVY SAM ki tab hum kisi teacher ko lekar pahunchnge unki location par..
result...
excessive violence ke chakkar me ek taraf SANVY suspend ho jaayega aur dusri taraf kutte ki tarah maar khaane ki wajah se SAM us haalath me hi nahi rahega ki sports me participate bhi kar paaye...
SAB-you are a genius dude....
ROHAN-i know..toh chalo phir,plan ke ek PART apni position ki taraf badh gaye honge,ab dusre PART ko pehle PART ki taraf toh hume hi bhejna hai...
BHAVESH-par yahi toh sabse mushkil part hai yaar..us SANVY ko bheje kaise...!!!
hum aur hamari class ke kisi student ki baat toh sunane se raha woh,infact agar humare yahan se koi gaya uske paas toh 2 aur 2 ka ganit araam se laga lega woh...
ROHAN-correction...!!!ek hai humare beech bhi jispar aankhein band kar bharosa karte hain A waale..
SAB-SATISH...
achanak click hua ye naam un sabke dimag me jispar muskura utha ROHAN aur..
ROHAN-exactly..SATISH... hamari class ka bhedi aur A section waalon ka well-wisher..
us khabrilal ki baat toh sunega bhi aur maanega bhi SANVY..
ALOK-arre 100 percent yaar...
ROHAN-i know..so finally it's time guyz for ek teer,do shikaar....
INDOOR STADIUM:-
MAZA AA GAYA BHAI BADMINTON KHELKAR...I THINK HUME YE GAME SIRF OCCASIONALLY HI NAHI BALKI HAR SEASON ME KHELTE REHNA CHAHIYE...
NITS tha ye jo kuch senior girls ke saath badminton ka ek game khelne ke baad group ke saath aakar baitha tha...
SONU-ppehle ttoh kkabhi ittna innterest nnahi ddikhaya ttune badminton me...
pphir aaj kkaun sse pplayer kki aattma gghus ggayi ttere anndar..
RAJAT-mahan tharkichand ki.. pehle kabhi mixed doubles nahi khela hai na lounda apna..
par aaj mouka mila toh game acha lagega hi...
NITS-abbe reason kuch bhi ho, important hota hai participation jo kiya maine..
tum saale manhoosiyat ki poundo, achi chizon ke beech bhi apne thobde jaisi wahiyad logics hi lagaaoge..
BEEP...BEEP...
msg tone baja NITS ka jisse padh ek lambi saans chhodi usne aur..
NITS-abbe sach sach batao,ye volunteers ke whatsapp group banane ka idea kiska tha..
saala naye naye kaam ke msgs aate hi rehte hain isme...
nahi gaya toh ek ki jagah chaar kaam mil jaayega...chalo,baari baari marao ek dusre se tum velle log..
apun chala..
SONU-mmai bbhi ssaath cchalne kka ssoch rraha ttha,ssocha ttha mmadad ho jjayegi tteri..
ppar tthik hhai..jjaa ttu...
NITS-mai jaanta tha..bhale bhai bolne me ek ghanta lagata hai tu par sahi maayno me bhai tu hi hai mera..chal bhao chal..kaam jaldi nipat jaayega..
SONU-ppar hhume ttoh mmarana ttha kkya...!!!
NITS-abbe maarna maraana jodiyon me hota hai...ye dono ek dusre ki le lenge par tera kya..!!!
SONU-abbe ddekhne mme ttoh mmaza aayega nnaa..
EKPREET-bhosdoke log..abbe bhaagte kaha hon,rookon saalo..
SONU ke saath EKPREET bhaagte hue nikal liya tha jispar kuch seconds un dono ke peeche bhaagne ke baad haste hue wapas RAJAT ke paas aa gaya EKPREET..
RAJAT-abbe ye baaki sa kahan hain aaj..koi dikh hi nahi raha..!!!
EKPREET-preps ka aakhri din hai aaj..sab lage hue hain apne apne taiyariyon me.. girls bhi aaj alag thalag ghum rahi hain..
aur SAM ko toh PRINCI ki taraf se strict warning hai for no media interaction...
woh bhi kisi building ke andar pending kaam nipta raha hoga...
RAJAT-aur SANVY...!!!
EKPREET-woh toh khada haiMAANIKPURI sir ke saath..
stadium ke dusri edge par MAANIKPURI sir kuch bata rahe the mujhe jisse dekh..
RAJAT-chal phir..aur koi toh dikh nahi raha,apan bhi ussike pas hi chalte hain..
EKPREET-tera dimah kharab hai..beta SAM bohot si jagah jaane se restricted hai aaj isiliye un jagahon ke pending kaam bhi sir SANVY se hi karwayenge..
agar hum bhi gaye the uske saath hume bhi kaam par laga dena hau sir ko..
RAJAT-ye bhi hai bhai.. chal phir, canteen hi chalte hain...
EKPREET-cool... waise bhi hot dog khaane ki badi talab lagi hai..
ab teri taraf se hai toh 2 khaaunga mai..
RAJAT-ghanta meri taraf se...bill tu dega aaj..
EKPREET-let's see..jo second pahuncha,bill ka will uska..
RAJAT-abbe rook...
apni baat bol bhaag pada tha EKPREET jiske piche piche RAJAT ne bhi doud laga di thi...
ON TO SANVY:-
ARRE BETA,HAR BAAR HAATH PAIR CHALANA BHI SAHI NAHI HOTA...
PYAAR SE SAMJHA BHI TOH SAKTA THA INHE TU...!!!
ye MAANIKPURI SIR the jo waise toh naraaz mere baaju me khade students se the par daantthe hue samjha mujhe rahe the..
REASON...
subah subah hi nonstop thappad khaa chuke the ye students mujhse..
tennis players the ye students par practice ke naam par sirf bakchodi pelte hue apna duration badha rahe the...
baaki students jo apni baari ka wait kar rahe the,unhe bhi dhamkaate hue court par kabza kiye hue the..
dekha maine ye sab aur pel diya chutiyon ko...ab saamne se toh kuch bol sakte the nahi ye sab mujhe isiliye MAANIKPURI SIR se complaint ki unhone...
mere un sabko maarne ke reason jaante the sir aur unhe pata tha ki kuch GALATH nahi kiya tha maine but as a teacher, violence par kuch toh bolna hi tha unhe isiliye samjha rahe the mujhe woh..
MAI-sir situation hi aisi create kar di thi in sabne ki aur koi option bacha nahi mere paas..
lagbhagh 20 students ko aadhe ghante se hold par rakha hua tha in sabne aur unke oppose karne par unhe dhamka bhi rahe the ye sab...
1ST STUDENT-he is lying sir..hum toh bas apna..
MAANIKPURI SIR-beta sach nahi bol sakta toh kamsekam jhooth bhi mat bol tu..
pure indoor stadium me cctv monitoring ho rahi hai.check karun...???
agar sach nikli SANVEER ki baat toh pure school ke saamne gadha bana dunga,chalega naa...!!!
ab kya bolte woh sir ki baat par.. jhooth toh bola nahi tha maine aur us sach ko agar khud dekh lete sir toh rail laga deni thi un sabki unhone..
isiliye chup khade reh gaye woh sab aur ye dekh head shake karte hue...
SIR-aaj ke liye ho gayi tum sabki practice.. tum mese koi kisi court me nahi dikhna chahiye mujhe warna participation cancel karwa dunga..
and SANVEER,no hitting...
MAI-sure sir..
sir nikal chuke the aur ye dekh mujhse bachne ke liye woh sabhi students bhi turant nou do gyarah ho gaye..
SANVY BHAI...
SATISH tha ye jo kuch der pehle hi yahan pahuncha tha aur sir ke jaane ka wait kar raha tha..
sir ke jaate hi turant lapka tha woh meri taraf...
MAI-kya hua SATISH...!!!itne restless kaahe...???koi panga hua hai kya...!!!
SATISH-hone hi waala hai bhai...!!!aur panga nahi kutayi,SAM ki...
MAI-SAM ki..!!!really...!!!kisko chul machi hai..???tere class waale..!!!
SATISH-aur kaun....??? mujhe pata chala hai ki woh sab SAM ko lapetne waale hain taaki kal sports me woh participate naa kar sake...
aur ye sab woh abhi karenge...purane library me...
(old library...school main building ke piche bani ek alag department hai ye jo as a library toh band ho chuki hai but next year se wahan k.g classes shuru hone waali hai..waise toh renovation ka kaam chaalu hai udhar lekin sports weekend shuru hone ke kaaran kal se kaam band kar diya gaya hai)
MAI-purane library me..!!abbe pura school jam packed hai.udhar tak kaise lekar jaayenge woh sab SAM ko...!!!
SATISH-woh sab lekar nahi jaayenge..SAM khud jaayega wahan kisike saath..yahi bol rahe the ROHAN ke friends..
plan bhi yahi hai kamino ka ki SAM ke library me jaate hi lapet lenge usko..
MAI-kitne der pehle hui thi ye convo..???
SATISH-yahi kuch 10 minute..aur bhai, mujhe lagta hai ab tak toh SAM shayad library ke liye nikal bhi chuka hoga..
hume jaldi karni chahiye..mai baakiyon ko bolta hun..
MAI-zaroorat nahi hai..mai dekh lunga..!!
SATISH-par bhai,woh log zyada bhi ho sakte hain..
MAI-abbe media houses ki bheed jama hai pure school ke..
group fight agar lime light hui toh apne school ka naam kharab hoga..
isiliye kisiko bataane ki zaroorat nahi hai..mai dekh lunga..
SATISH-par bhai tu akela..!!!mai bhi chalta hun...
MAI-abbe bhale hamesha hamari taraf rehta hai tu par hai toh unhi ke class ka banda..
direct saamne aaya unke toh pure saal halaath bigaadenge teri..
tu chill kar..kuch nahi hoga..aise chutiye bhi bhidkar jeetne lage mujhse toh khud ke banaye moot samandar me doob jaaunga mai...
thanks for the info and help buddy...
SATISH ke kandhe ko thapthapaate hue aage badh chuka tha mai us band library ki taraf jahan ek bada suspense open hone waala tha...
THE OLD LIBRARY:-
MAI-saala, library ka itna bhayankar shape sirf SIRIUS me hi ho sakta hai..
agar school campus ka hissa nahi hoti ye building toh ab tak BHAT CAMP waale isse horror shoot ke liye book kar chuke hote..
us gigantic X library building ke bahar khada tha mai...shape kisi bhutiya haveli sa tha is library ka aur reason bhi obvious tha..
angrezon ke zamaane se chala aa raha tha apna school aur unke hi tradition ke hisaab se library sabse bada aur mukhya kendra bindu lage,us hisaab se banaya gaya tha...
MAI-wakayi idhar kisi ko akale me dobocha jaaye toh ghanta pata naa chale kisiko bhi..
sir shake karte hue us library building ki taraf kadam badha diye the maine..
kareeb 100 compartments the is library me jinke walls tod space bada karte hue revovate kiya jaa raha tha taaki K.G sections ke saath saath ek bohot bada kinder garden banaya jaa sake..
aadhe se zyada compartment toh tode bhi jaa chuke the...
un sabhi toote compartments ko dekhte hue aage badhta chala jaa raha tha mai par tabhi...
DDHHDHDHHHHH..
thode aage se kisi metalic chiz par jab kisika pair lagta hai toh jo sound create hoti hai,waisi awaaz aayi aage taraf se mujhe jiske baad halki phusphusahat bhi sunayi padi mujhe...
ye awaaz jahan ee aayi thi, renovation ka kaam wahan tak nahi pahuncha tha..
compartment waala area abhi bhu intact the us part par...awaaz jhagde ki nahi balki baat karne ki thi isiliye halke dabe paanv aage badhaye maine apne kadam...
dheere dheere chalta hua mai finally pahuch chuka tha us ubhri awaaz waale compartment ke paas jiske baad jab apna sir halka aage kar jhaanka maine compartment me toh chal rage drishya ko dekh nazarein ek dum atak hi gayi meri...
SAM & KHANAK.....is waqt diwaar ki ot se sate dono kiss kar rahe the ek dusre ko...
SAM ki peeth meri taraf taraf thi aur KHANAK jiski aankhen band thi,uske dono haath SAM ke peeth par kase hue the...
MAI-SAMMMMMMM....
kuch pal ki chuppi ke baad dahada maine SAM ka naam jispar naa sirf ek jhatke me ek dusre se alag hue woh dono balki jaise hi un dono ki nazarein padi mujhpar,chehra safed padta chala gaya dono ka....
kuch bolne ki haalath me nahi the woh dono..KHANAK toh phir bhi kisi tarah beech beech me dekh rahi thi mujhe par SAM ki aankhein zamin me dhas si chuki thi..
aur jab un dono ko kuch pal dekhte rehne ke baad unki taraf badha mai toh isse feel kar pair kaampne lag gaye the SAM ke..
MAI-bhosdike..
SAM--khhokkkkhhhh.....
gala pakad diwaar se laga diya tha maine SAM ko jispar saans lene ki koshish karte hue haath pair hilaane laga woh...
judo,karaate sab mai training thi uski par mind aisi panick situation me chala gaya tha SAM ka ki mere haathon ki giraft se khudko chhudaane ki koshish bhi karne ke laayak nahu raha tha woh..
KHANAK-SANVY, realise him...
KHOKKHHHHH.....
SAM ke gale ko mere haath ki giraft se chhudaane ke liye aage aayi thi KHANAK par tabhi apne left hand se uska bhi gala pakad usse SAM ke baaju me hi chipka diya tha maine...
MAI-saale,dost bolta tha tu mujhe...!!!!dost..!!!! behenchod tu toh dushmani ke laayak bhi nahi hai bhosdike...
aur tu, aankhein mujhse ladayi aur honth isse... sharafat ki odhni aur chehra neechta se bhara...
SAM-bhai SANVY,KHANAK ki koi galti nahi hai aur yaar tune hi toh shart lagayi thi mujhse ki mai isse pata kar dikhaun..
ab jab pata liya toh...
KHANAK-maine bhi kitni koshish ki,tumhe hint diye par tumne koi sahi response hi nahi diya.. isiliye...AKKKHHH...
atak atak kar mushkil se itna bola hi tha SAM ne jiske baad KHANAK ne bhi apna excuse badi mushkil se confess kiya par uski baat sun thoda aur zor se daba diya tha maine uska gala jispar mooh band aur aakhein badi hone lagi thi KHANAK ki...
MAI-pataane ka matlab sexual hona kab se ho gaya be....aur tu,12 ghante me mujhme interest kam aur isme itna zyada ho gaya ki chumne lagi tu isse...
KHANAK ka mooh ab kuch zyada hi laal hone laga tha isiliye uske gale ko chhod diya tha maine...
khaanste hue woh bas apni saanson ko durust karne me lag gayi thi...
MAI-tera pichwada toh bohot baar bachaya hai maine SAM..par aaj usse aur tujhe todunga bhi mai...
behenchod...
ye bol mukka bana SAM ke face ki taraf ghuma diya tha maine jispar HIT ke impact karne se pehle hi apni aankhen band kar li thi SAM ne..
HAHAHAHAHAHAHAHA.......CLAP,CLAP,CLAP....
kuch seconds baad bhi jab SAM ne punch feel nahi kiya toh hairani hui usse par phir gunji is compartment me meri hasi ki awaaz jisse sun ek jhatke me apni aankhein khol aur badi kar dekhne laga woh mujhe..
SAM hi kya,KHANAK bhi apni saanson ko durust karne ke beech mujhe,meri ia loud hasi ko hairangi se dekhe jaa rahi thi..
wahin haste hue pure compartment ek chakkar laga diya tha maine jiske baad..
MAI-jab aashiqon ka dil tooththa hai,unhe dokha milta hai toh jaisa reaction hota hai unka,waisa hi tha mera ya performance thodi weak thi...
SAM-mmatlab..
situation aur mera reaction SAM ke samajh se bilkul bahar thi aur aise moukon par aksar zubaan ladhkhada jaati hai aur wahi hua SAM ke saath..
SONU ki tarah haklaate hue picha tha apna ek shabd ka sawal usne jispar KHANAK ko dekh jiske face par sawaal hi sawaal dikh rahe the, muskuraya mai aur..
MAI-so you like SAM...!!
KHANAK-what..!!!
ye simple sawal bhi is moment me unexpected hi tha KHANAK ke liye..
MAI-simple question..!!!do you like SAM...!!!
KHANAK-yyyaaaa...yes....
MAI-i don't think so...
KHANAK-excuse me...!!!
MAI-yup..and i can prove it...
SAM-bhai bol kya raha hai tu...!!!
MAI-tujhse toh kuch bol hi nahi raha hun be.. chup reh..
halka ghurra kar boli thi maine ye baat jispar mooh sil hi gaya SAM ka...
MAI-so,ready for the proof...!!! feko be andar...
DHABBBB..DHABBBB...DHABBBB...DHABBBB....
meri kahi baat ka matlab toh samajh nahi aaya tha KHANAK ko par itna toh woh ab mere baare me andaza laga hi chuki thi ki meri baatein illogical nahi hoti balki to the point hoti hai...
aur jab agle hi pal kuch bodies giri ussike pairon ke paas toh naa sirf KHANAK ko meri baat ka matlab pata chal chuka tha balki ek hi second me uska confusing face safed padh chuka tha...
chehra toh straight hi tha uska par aankhein tezi se bheegne lagi thi KHANAK ki..
aur ye sab dekh ab SAM ke face par hairangi dikhne lagi thi..
waise uski hairangi ke kaaran aur bhi the..
pehli wajah toh B section ke hamare rivals, ROHAN,AJAY,AMIT, BHAVESH,NEERAJ aur unke senior friend aur supporters ALOK aur KAMAL the.. AJAY'S brother...
mooh suje pade the un sabke aur ye seva ki thi un bando ne jo is waqt mere paas aakar khade ho chuke the aur SAM ki hairangi ke dusre reason bhi the..
RIZWAN ASHRAFI aur uske dost..
(NOTE:-update 27 me bataya gaya hai rizwan ashrafi ke baare me..kamal ka classmate aur don type banda hai ye jo SANVY ko bohot maanta hai)
MAI-thanks brother..i owe you one..
RIZWAN-paagal hai kya..!!!mujhe dusre school ke ladko se save kiya tha tune woh bhi do,do baar...par most importantly,meri ammi ka accident hone se bachaya tha tu...
saale karzdaar zindagi bhar ka mai tera hun..
MAI-i will take it from here...
muskurate hue gale lag mujhse apne friend's ke saath nikal gaya RIZWAN...
SAM-ye sab...!!!
MAI-chill kar chodu... gunahgar apne gunaah ka bakhaan khud karega...
aaj meri awaaz me SAM ke liye wahi tone tha jo ROHAN aur uske jaise ladko ke liye hota tha..
feel kar liya tha is change ko SAM ne isiliye sir ek baar phir jhuk gaya tha uska..
AHHHH...
ROHAN ko ek zor ki laath maari maine jispar karahaate hue mooh halka upar kiya usne..
aisa hote hi uske baal piche se pakad kheenche maine aur mere aisa karte hi bilbila utha woh...
KHANAK-please,chhod do usse...
MAI-kyun...!!!
KHANAK-PYAAR KARTI HUN MAI ROHAN SE....HE IS MY BOYFRIEND...
ABHI KE LIYE ITNA HI...
AAPKA APNA V...J...