• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

The king

Well-Known Member
4,239
15,467
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY KHANAK KO BOWLING SIKHATA HAI WAHIN DUSRI TARAF VERONICA PEHLE HARISH KO USKI WIFE AUR BETI KE SAAMNE EXPOSE KARTI HAI AUR PHIR DEVANG MALHOTRA KO BHI SABAK SIKHATI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-33

DATE-4TH OCTOBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS





KYA LAGTA HAI TERE KO..YE KHICHDI PURI PAK CHUKI HAI YAA PROCESS ABHI BHI CHAALU HAI...!!!!


upar neeche ke daaton ke beech pen fasaye ek disha ki taraf dekhte hue EKPREET ne apne baaju me pen paper lekar baithe RAJAT se pucha tha ye sawal jisse suna bhi nahi usne..

4 din hi bache the is saal ke annual sport meet me aur participants ne jin jin sports me hissa liya tha,ussike list par kaam kar raha tha RAJAT...

boys indoor games ke sabhi challenges set kar raha tha woh isiliye dhyan uska pura ussi list me tha...


EKPREET-abbe sun bhi raha hai tu...!!!


halka dhakka sa diya EKPREET ne RAJAT ko jispar pehle toh hadbada sa gaya woh par phir ek mukka EKPREET ke kandhe par jamate hue..


RAJAT-kya hai be...!!!aur ye khaali kyun baitha hai tu.. tereko SAM ne outdoor group matches ke schedule banaane ko bola tha naa...!!!

EKPREET-mere akele ko bola tha kya..!!! SONU,NITS aur SANVY ko bhi toh lagaya tha usne kaam pe..

RAJAT-beta SONU ko football ke liye aur NITS ko CRICKET ke liye bola tha jiska schedule thodi der pehle hi complete kar li hai dono ne...

EKPREET-aur SANVY...!!!

RAJAT-usse toh girls indoor games schedule me help karne ko bola tha SAM ne..

wahi kar raha hoga...

EKPREET-ghanta kar raha hai... dekh udhar, RASHI, NAISHA aur RASHI hi bas baithe hain participants ki list pakad, SANVY aur KHANAK toh apni alag hi list banaane me lage hain..


EKPREET ki baat sun jab SANVEER aur KHANAK ki taraf joki baaki girls ke hi side me baithe the par nazarein un dono ki participants ke parchiyon par nahi balki yunhi idhar udhar ka safar tay karte hue baar baar ek dusre par hi khatm ho rahi thi,ye sab dekha toh aakhein thodi badi ho gayi RAJAT ki..


RAJAT-abbe ye dono...!!!!list banaana chhod kar kya rahe hain ye...!!!batata hun inhe...!!!


ye bol awaaz dene waala tha RAJAT SANVEER aur KHANAK ko par tabhi...


EKPREET-abbe paagal ho gaya hai kya..!!! romantic angle ke beech kaam ghusana chahta hai tu...

saale pataya kaise tune NAISHA ko..pehli baar toh SANVY haath pair se nahi balki aakhon se ladh raha hai aur tu chutiya usme bhi ungli karna chahta hai...

RAJAT-haan,ye toh hai yaar..us din bowling lounge me bhi ye dono kitne close the par saala pucha humne toh dodge de diya hume...

EKPREET-abbe toh ho sakta hai ussi din se closeness badhi ho dono ki...

RAJAT-may be....chal,illi karte hain...

EKPREET-chup be...beta maamla SANVY ka hai..usse lapetne niklenge toh hume hi lapet lega kamina...

mai toh phir bhi single hun par tu toh relationship me hai..uska status committed banwaane nikla toh woh tera status single waala bana dega...

shaanti se apna kaam karte hain,kuch confirmation mil jaaye, phir dharenge saale ko..

RAJAT-toh bhosdoke abhi tak kya kar raha tha mai...chutiya saala..khud idhar udhar taanka jhaanki karte rehta hai aur mera kaam bhi rukwaata hai..

EKPREET-haan laude, schedule banaane ka bhi medal rakhe hain naa school waale jo ghusa pada hai ek dum se..

abhi teen din aur hain....7 ko evening tak bhi saare given list jama karwayenge tab bhi theek hai...

waise hum sab ko kaam par lagakar woh kamina SAM kidhar nikal gaya..

RAJAT-haan yaar..ispar toh mera dhyan bhi nahi gaya...kaafi time se gayab hai woh...

EKPREET-last time NITS ko cricket list pakda usse kuch bata raha tha woh.

abbe NITS,sun toh..

NITS-bhaag be...kal aaiyo...


NITS door ke paas khada corridor se aati jaati female students ko taad raha tha..

left stairs se upar aati ladkiyon ko apne nazaron ke sahare right tak chhod raha tha woh aur right taraf ki ladkiyon ko badi izzat se aakhein uski left taraf drop kar rahi thi..

DHAKKK....

NITS-maad......huri........


apne is free pick up and drop service ko badi tanmayata se nibha hi raha tha woh ki tabhi padi uske gaand par EKPREET ki laath jispar turant palath usse gaali dene ke beech jab jagah ka dhyan aaya usse toh gaali ko naam me badal apni gaand jispar EKPREET ke boot padne se dirt jam gaya tha,usse saaf karne laga woh aur..


NITS-hafte bhar ki loundry karwaunga tujhse harami..kyun maara be...!!!!

EKPREET-abbe jab awaaz de rahe hain toh baat sunani chahiye naa..saale jab dekho ladkiyan taadte rahiyo bas tu...!!!

NITS-sex change operation karwa le.. phir tujhe hi taadunga bas..ab bhonkon be kya kaam padh gaya...!!!??

RAJAT-SAM kidhar hai,jaanta hai tu...!!!

NITS-ye tha important kaam..!!! chutiyon..aur mai kya lugayi hun uski jo uske where abouts maalum honge mujhe..!!!

EKPREET-abbe cricket list banaane usne tujhe boli thi..

baaki saare schedule jaise bane hote hain,waise hi matches set kiya jaata hai but cricket ka final schedule SAM aur ROHAN saath me hi ok karte hain..

isiliye pucha tujhse...!!!

NITS-arre haan...B section me us chutiye ROHAN ke saath hi hai woh...bataya tha usne...

EKPREET-aur tu chutiya ladkiyan taadne ke chakkar me bhul gaya...

RAJAT- abbe woh chhod..B section me hai SAM..i am sure ki aise akela dekh woh saale sab negetive baaton se indirectly khunnas nikaal rahe honge uspar..

NITS-chill be... MAANIKPURI sir bhi hain udhar..unke saamne bakwas karenge toh khub pelayi hogi sabki...

EKPREET-MAANIKPURI SIR B me hain...toh woh kaun unka sibling khada hai kya udhar..!!!!

NITS-abbe ye kidhar se prakat ho gaye...!!!


left corridor waale stairs par ek student ko kuch samjhaate khade the MAANIKPURI sir..


NITS-class ke andar chalo be..idhar corridor me khade dekhne par bohot pelta hain sir..

RAJAT-tu jaa andar..hum thoda B section se aate hain...

NITS-abbe SAM hai woh..aise hi thodi kuch kar denge un log usko..

teachers toh pelenge hi,baad me hum bhi pelenge, jaante hain woh sab...

RAJAT-isiliye haath pair nahi,mooh chalayenge B waale..

woh bhi ghuma phiraake aur gherke...ab SANVY toh hai nahi apna SAM jo un sabko jhel bhi lega aur akela sirf mooh se pel bhi dega...




10 MINUTE PEHLE...

SECTION B:-




WAISE SAM BHAI,IS BAAR KAUN KAUN SE SPORTS ME PARTICIPATE KARNE WAALE HO...!!!!


BHAVESH ne pucha tha ye sawal..wahi B section aur school cricket team ka wicket keeper...

NEERAJ aur unka senior ALOK TRIPATHI bhi SAM ke aas paas hi baithe the..

har sports ke participants list ko saath me check out karne ka kaam diya tha MAANIKPURI SIR ne SAM aur ROHAN ko aur ussi kaam me help kar rahe the woh sab un dono ki par filhal kisi kaam se class ke bahar gaya tha ROHAN...

uske class se jaate hi pucha tha ye sawal BHAVESH ne jispar halka sa smile kiya SAM ne aur..


SAM-kyun puch raha hai..???tu bhi unhi sports me participate karega kya..!!!

BHAVESH-kahan bhai...!!!tumhare saath competition sirf apna ROHAN hi kar sakta hai,humme itna dum kahan...!!!


BHAVESH ki baat sun ek halki par proud smile naach uthi thi SAM ke face par..


SAM-waise competition mera ROHAN ke saath bhi nahi hai..agar yaad ho toh pata hoga tujhe ki woh sirf unhi competitions me winner banta hai jinme mai participate nahi karta...!!!

NEERAJ-kya baat kar raha hai SAM...!!!last time 400 metre ne tum dono ne participate kiya tha jisse ROHAN ne jeeta tha...


sach thi ye baat lekin ek sach ye bhi tha ki SAM aur ROHAN ne finishing line itni closely cross ki thi ki winner decide karna next to impossible tha..

naked eyes ke liye toh naamumkin hi tha aur unfortunately close camaras ussi event me blocked the isiliye referees ke ek math faisle ke kaaran ROHAN ko winner ghoshit kiya gaya tha...

khair, NEERAJ ki baat sun woh haar yaad aa gayi thi SAM ko isiliye jabde halke sakht ho gaye the uske par phir khudko shaant kar..


SAM-tu bhi jaanta hai ki woh win debatable thi, clear nahi aur clearly mujhse jeetne ka dum ROHAN me nahi hai...

ALOK-jeet jeet hoti, phir bhale hi kaisi hi kyun naa mile...!!!aur rahi dum ki baat toh bhul mat SAM ki ROHAN hamare school ke cricket team ka best batsman hai,tu nahi..

aur usse beat karne ka dum tujhme kahin se bhi nahi hai..

infact,yaad ho agar tujhe toh aaj tak kul 4 house matches khela hai tune ROHAN ke against jisme se 3 matches ussiki team ne jeeti hai aur teeno hi baar man of the match ROHAN hi raha hai.

aur jo ek match haari thi uski team,woh loss marginal se bhi kam tha aur usme bhi usne runs tujhse zyada hi banaye the...

SAM-purani baat yaad hai, fresh event bhool gaya tu...

issi season haari hai tum logon ki team meri team se..

HAHAHAHA....


has diye the ALOK, NEERAJ aur BHAVESH SAM ki baat sun jispar hairani hui usko...


BHAVESH-bhai SAM bura mat maaniyo par haare hum teri team se nahi the,sirf do logon se the...

NITS aur SANVY joki officially teri team ka hissa the hi nahi..

un dono ke bina tujhe bhi pata hai,kya buri gath hone waali thi tumhari aur tumhare puri team ki..

bas ek hi galti ho gayi humse jo us SONU ko taunt kiya humne..

dosti nibhaane aur us taunt ka badla lene ke chakkar me un dono ne hum sabko lapeth liya tha..

ALOK-ab ye toh har jagah ki baat hai yaar..NITS toh phir bhi bas us din rescue me aaya tha inke par har baar us SANVY ne hi patloon bachayi hai in sabki aur khaas kar teri SAM...

bhai SAM, negetively mat liyo because i am gonna tell you a fact...

rivalry har school me champions aur unke groups ke beech hoti hi hai..

aur us rivalry ko, planning plotting ko handle un groups ke CHAMPIONS karte hain..

par tere group ke maamle me aaj tak aisa kuch nahi hua hai...woh SANVY hi hai jisne hamare har plan ko fail kiya hai aur tujhe safe karta aaya hai..

haan tu CHAMPION hai bhai par is baat se bhi inkaar nahi kiya jaa sakta ki school me jo teri respect kaayam hai,uske peeche tera apna nahi balki SANVY ka haath hai..

dont get us wrong kyunki as a rival bol raha hun mai ye ki ab tak toh pure school ke aage najaane kitni hi baar teri fazzihat udaa chuke hote hum par sirf SANVY ki wajah se tu aur tere pure group ka upper hand raha hai humpar..

ab tu bata, kaahe ka champion hua tu aur agar dum ROHAN me kam hai toh dheela tu bhi toh kam nahi...


HAHAHAHA...

jahan ALOK ki baat sun baaki sabhi has diye the wahin SAM man hi man hadh se zyada embarrassed bhi ho chuka tha aur bhadak bhi chuka tha..

par non logical, unethical ya abusive baat toh ki thi nahi B waalon ne ki kuch kar paata woh..

haan mooh chala sakta tha woh par kahin na kahin, maalum SAM ko bhi tha ki baatein GALATH nahi boli thi B waalon ne aur jab aapke dil ko maalum hota hai ki kadwe vachan satya hain toh mooh apne aap sil se jaate hain...


KYA BUDDY...ALL SET...CHECK KAR LIYA SAARE LIST...


ALOK aur uske doston ke pinching lines par SAM kuch react karta ki tabhi class me enter hue RAJAT aur EKPREET jinhe dekh ek pal me hi shaant padta chala gaya SAM...


SAM-yup. almost done...tum logon ka hua...!!!

RAJAT-mera ho gaya..isne toh ab tak shuru bhi nahi kiya...


apni list SAM ko pakdaate hue kahi thi ye baat RAJAT ne jispar ghurne laga woh EKPREET ko..


EKPREET-arre relax yaar..before deadline de dunga tujhe list...

par tu akela kya kar raha hai idhar...!!! ROHAN kahan hai...???tujhe aur usse saath me saare schedule mark karne the naa..

SAM-haan woh thodi der pehle hi nikla class se...

BHAVESH-par apne schedule waali list complete kar di hai usne..


ek paper wave karte hue kahi thi ye baat BHAVESH ne jisse dekha bhar EKPREET aur RAJAT ne,kaha kuch nahi..


ALOK-waise SANVY nahi aaya tum dono ke saath...!!!

RAJAT-kya baat hai...SANVY ki inquiry..phir maar khaana hai kya..!!!

itni baar pelaane ke baad ummid hai itna toh samajh aa hi gaya hoga ab tak ki uske khilaaf planning koi kaam aayegi nahi...

NEERAJ-pata hai bhai,pata hai..tu jo yahan hamari class me bhi chowda hokar khada hai,iska reason bhi woh SANVY hi toh hai..

warna tu,tere baaki dost,tera ye so called champion moot naa dete hamare saamne...

HAHAHAHA..

kuch aur B section ke students aas paas aa chuke the in sabke jinki khilli udaane waali zordar hasi ko sun jahan ek taraf EKPREET aur RAJAT bas us kahi baat par naraaz hue wahin SAM jisse us taunt ki asliyat pata thi,uske jabde ek baar phirse sakht ho chale the..


EKPREET-tu moot nikaalega behenc...

SAM-no EKPREET.. camaras hain upar... abuse record hoga toh problem hume hogi...

waise bhi class inhi ki hai..abhi chalte hain,baad me dekhenge in sabko..


ek baar B waalon ki taraf ghum unhe warning dene waale expressions ke saath ghurte hue kahi thi ye baat SAM ne aur EKPREET, RAJAT ke saath class se nikalne ko hua par tabhi...


ALOK-bilkul dekh lena baad me bhai but make sure ki SANVY saath ho tere..

akele dekhne aaya toh pela kar hi jaayega waapas...

HAHAHA...


ek baar phir has padi thi B section jiske beech class se nikal chuke the EKPREET,RAJAT aur SAM..


RAJAT-ye saale baar baar SANVY ka naam kaahe le rahe the...!!!

SAM-kuch nahi be..woh SANVY hamesha lad jaata hai na inse, isiliye mock kar rahe the hume uske naam se..


baat ghuma di thi SAM ne jispar..


EKPREET-waise ab apna SANVY bhi sudharne waala hai..!!!

SAM-matlab...!!!

EKPREET-arre aaj class me full eye staring chal rahi thi apne lounde ki KHANAK se..

SAM-really...!!!

RAJAT-haan yaar..dekha maine bhi..baaki sab apne apne list banaane me lage the,aur SANVY,KHANAK ek dusre se eye contact banaane me lage hue the..

EKPREET-bhai mai toh kuch dino se continuously dekh raha hun SANVY ko KHANAK me interest dikhaate hue...

lagta hai tere ANJALI aur is RAJAT ke saath ab ek aur couple in the making hai apne group me...

SANVY,KHANAK...

RAJAT-mujhe bhi lagta hai...

SAM-ye MAANIKPURI SIR apni class ke bahar kya kar rahe hain..!!!??


A section ke saamne khade hokar ek student ko kuch bol rahe the MANIKPURI SIR..


EKPREET-aur kya kaam hoga..!!!B me kaam ho chuka hoga tera ye soch kar puchne aaye honge tujhse final schedule listing kahan tak pahunchi..!!!

SAM-yes sir...!!!


us student se baat kar class andar ghusne ko hue hi the SIR ki tabhi SAM unke saamne aakar khada ho gaya jisse dekh..


MANIKPURI SIR-haan SAMEER bolo..!!!

SAM-sir mujhe laga shayad aapko kuch kaam hoga mera...!!!

MANIKPURI SIR-kaam toh hai... indoor stadium me practice start ho chuki hai par students are behaving like amateurs..

badminton field, tennis field,t.t table,carrom rooms, volleyball aur basketball fields,sab jagah pulling pushing chaalu hai..

teachers hain udhar par students maan nahi rahe..

kaam teachers ko bhi bohot hain isiliye dhyan woh bhi nahi de paa rahe theek se..

SAM-ok sir.. I'll go and check...


ye bol SAM indoor stadium joki school ke west zone me bana tha,us taraf badhne ko hua par tabhi..


MANIKPURI SIR-tumhara schedule listing ka kaam pura ho gaya...!!!

SAM-no sir but on time ho jaayega..

MANIKPURI SIR-haan toh dhyan tum bas ussi par do,ye student handling ke liye SANVEER ko bhejta hun mai....

EKPREET-haan SANVY best hai is kaam ke liye..waise bhi sabhi students darte...i mean respect karte hain uski..

nahi taalenge uski baat koi bhi..

MANIKPURI-apne vishesh input ke liye shukriya beta..

aur teacher hain hum tumhare..dar ko respect me convert na karo tum hamare saamne..

waise ye mujhe bhi maalum hai ki students sunte hain SANVEER ki isiliye hi idhar aaya hun mai...

ye sab bol class me enter hue sir aur...


MANIKPURI SIR-SANVEER...

MAI-yes sir...


girls row ke just peeche baith apni harkaton se ANJALI ko irritate kar raha tha mai ki tabhi sir ko class ke bahar khada hua dekh apni masti band kar bilkul ek sincere student ki tarah baith chuka tha mai..

mere is achanak waale transformation ko dekh ANJALI aur baaki sab girls hairan hue hi the ki tabhi sir ki awaaz sun woh sab meri sudden sharafat ka reason samajh gaye..

ghurne lage the woh sab mujhe par mai bas sir ko dekhta apni jagah par khada ho chuka tha...


MANIKPURI SIR-indoor chale jaao tum..

saare court yards,in fields me jitne bhi students hain,number wise make them to fall in proper que and tell them to calmly wait for thier chance..

MAI-sir courtyards,in fields aur baaki tables milaakar bhi 10 se zyada areas hain aur students kamsekam 300 honge..

mai akela kaise....!!!

MANIKPURI-beta SANVEER..unse zyada numbers tumne sirf caos paida karne ke liye uksaaye hain aur woh bhi 2 minute me..

ab jo shor machwa sakta hai woh chup bhi kara hi sakta hai..

isiliye lame excuses dena band karo and just do as told..


sir ki baat sun ab mera indoor stadium jaana fix tha jahan mujhe time toh lag hi jaana tha...

jaante the mere sabhi friends ye baat isiliye saale mooh dabaye has rahe the..


MAI-sir,sirf chup toh karwana hai nahi..jaisa aapne bola, que arrange kar number wise un sabko practice bhi karwani hai,ye sab akele se hoga nahi mere..

toh mai NITENDRA,SONU, EKPREET aur RAJAT ko saath le jaaun...

kaam asaan ho jaayega...

MANIKPURI SIR-sure... but make it quick.. jaldi niklo...


jahan apni baat bol sir class se nikal gaye wahin NITS, SONU, RAJAT aur EKPREET jo kuch seconds pehle tak has rahe the,ab ghusse se ghurne lag gaye the mujhe..

volunteering ka kaam hectic aur boring jo hota hai...

NITS-saale teri toh..

MAI-jis jis ko bhi objection hai,sir ke saamne jaakar apni apni khujli dikhaaye....

SAM-guyz,apni apni list de do mujhe...


meri baat sun kuch seconds mujhe ghurte rehne ke baad apni apni list joki ready kar di thi un sabne,SAM ko pakdaane lage woh sab aur is beech NAISHA ko lagatar pinch kar mujhe kuch bolne ke liye force kar rahi ANJALI ke shoulder par ek halka sa punch jama ghumi meri taraf NAISHA aur..


NAISHA-SANVYYYY...

MAI-2nd number hoga tum dono ka...10 minute... don't be late..

NAISHA-thanks SANVY...


issike liye hi toh pinch kar rahi thi ANJALI NAISHA ko jo jaanta tha mai..

ab students ki itni bheed me without help pehle practice karna toh possible tha nahi..

meri baat sun khush ho gayi NAISHA aur ANJALI bhi sir halka neeche kar smile karne lagi thi...


RASHI-what about me..!!!mai...

MAI-tennis khelti ho tum..same as them..10 minute me courtyard aa jaana.. don't be late..

RASHI-aww..so sweet.. thanks...

MAI-aur aap madam...!!!kis list me hai naam aapka...!!!


KHANAK se pucha tha ye sawal maine jispar...


RASHI-spectator list me...uski bhi numbering hai toh likhwa do iska naam...

MAI- bina spectator ke participants ka kya role..!!! aur wahan number likhwane ki zaroorat nahi jahan mai bhi baithne waala hun...

waise har baar baaju ki seat khaali hoti thi meri, kamsekam is baar koi toh hai us void ko fill karne ke liye..


halka wink karte hue kahi thi ye baat maine jispar halki blush karne lagi thi KHANAK...

NITS-haan,tu idhar khade khade dialogue chipka bas.. yahi kaam diya hai tujhe sir ne...!!!

MAI-beta contractor ko kaam ka theka milta hai..kaam karte uske under rehne waale mazdoor hain..

toh mazdoor union, apna apna pichwada uthaao aur niklo stadium turant..

SAB-teri toh..arre bhaagte kahan hain contractor sahab... rukiye toh sahi...


chutki baja nikalne ka ishara karte hue kahi thi ye aakhri baat maine jispar mujhe maarne aage badhne ko hue the woh chaaron kamine jisse bhaamp class se stadium jaane ke liye bhaag nikla mai aur ye dekh woh chaaron bhi bhaage mere piche...





AFTER 20 MINUTES:-



KHANAK-here we go...!!!ho gaya mera..first attempt hai,i hope minimum galti hui hogi...!!!!


saare lists ke participants matches ko checkout kar rahe SAM se kahi thi ye baat KHANAK ne....

ANJALI,RASHI aur NAISHA pehle hi unke list SAM ko pakda apni badminton aur lawn tennis practice ke liye nikal chuki thi...

par KHANAK jiska aise kisi kaam me pehli baari thi, dheere dheere list banaane ke baad apna paper SAM ki taraf kar diya tha usne jispar smile karte hue..


SAM-galtiyan toh honi hi chahiye warna room for improvement kaise hogi...

waise timing match kar gayi hamari,mera bhi kaam just complete hue hai..


KHANAK ke haathon se uska paper le apne schedule chart me daal jisse abhi abhi complete kiya tha SAM ne,file me kram wise sahi position me rakhte hue usse band kiya SAM ne...


SAM-yaar aaj toh pura sir hi baj raha hai..

KHANAK-hoga hi..bas 50 participants ki proper pairing karte hue dukhne laga tha mera sir aur tum toh subah se hi har class ki chart ready kar rahe ho..

SAM-so,kaun kaun se sports me participate kar rahi ho tum...???

KHANAK-socha nahi hai..!!!may be 100 metres...

SAM-are you a good sprinter...!!!

KHANAK-kind of..!!

SAM-cool...so track chali jaao... practice a bit.. timing calculation ka arrangement mai kar deta hun..

KHANAK-abhi..!!hell no man...sir itna bhaari ho rakha hai ki agar doudne gayi toh aur heavy ho jaayega...

SAM-ye bhi hai..so coffee...!!!i toh definately need one..

KHANAK-sure.. baakiyon ko bhi call kar lun...!!!

SAM-un sabko time lagega... indoor gaye hain,abhi toh kuch sessions khelenge woh sab..ANJALI toh atleast 5 games se pehle badminton court se hategi nahi..

haan boys aajayenge thodi der me..aur woh sab yahan nahi, canteen me hi jaayenge..

KHANAK-cool..chalo phir...




IN CANTEEN:-



KHANAK-wow...canteen ko itna khaali kabhi nahi dekha tha pehle kabhi maine....


canteen jinme bas kuch ikka dukka students hi the,un sabko dekh ek khaali table ko occupy karte hue kahi thi ye baat KHANAK ne..

wahin counter me baithe bande ko do coffee ka order dene ke baad KHANAK ke saamne aakar baitha SAM aur...


SAM-pure saal bas sports time hi aise khaali rehti hai puri canteen..

par bharpaayi sports ke aakhri din ho jaati hai...

saare winners apne apne groups ko party dete hain idhar isiliye jam packed hoti hai us din ye jagah...

KHANAK-nice...


coffee aa chuki thi jiska ek ek sip liya dono ne jiske baad...


SAM-waise agar wakayi 100 mtrs doudna hai tumhe toh i can help you with the preps..

OYE CHOTU...2 FRENCH FRIES,3 BURGER AUR 3 COKE LAA FATAFAT...


SAM ke prastav par kuch kehti KHANAK ki tabhi canteen me enter hue B section ke BHAVESH,NEERAJ aur senior ALOK TRIPATHI....

apni dhun me magan shor sa karte hue aaye the woh teeno CANTEEN me par tabhi unki nazar ghumi SAM aur KHANAK ki taraf jinhe dekh smile naach uthi un teeno ke faces par..

SAM bhi un teeno ko hi dekh,dekh kya ghoor raha tha.

kuch der pehle un teeno ki kahi baatein nahi gayi thi SAM ke dimag se.

un saari baaton ko yaad karte hue hi is intazar me ki kuch bolen ye teeno toh lapete woh inhe, baitha hua tha SAM...

par aisa kuch hua nahi...bas SAM ko smile kar dekhte hue woh teeno uske aur KHANAK ke row me rakhe last second table waali chairs par baith gaye...

is beech SAM ne bhi ek lambi saans chhodte hue cool kar liya tha khudko..


SAM-what was i saying..!!!??haan, agar help chahiye tumhe sprint technique me toh i can help...

KHANAK-ofcourse you will..but mai khud participation ke liye sure nahi hun abhi..

ek baar ho jaaun, phir koi bhi kaam rahe tumhe,but first you have to guide me...

SAM-hahaha..sure....

BHAVESH-jab ek khubsoorat ladki hakh ke saath kuch maange toh jaan bhi haste haste de dete hain log, phir waqt kya chiz hai...


piche baithe BHAVESH ke is indirect taunt par ek baar phirse ghurne laga tha SAM un sabko jispar...


NEERAJ-waise guyz,maanana padega..champion hone ke perks toh hote hi hain..

ek hot rich G.F hone ke baawjud bina kisi inconvenience dusri saath lekar ghumna sirf ek champ hi kar sakta hai..


jahan NEERAJ ke is taunt ko sun KHANAK ka sir jhuk gaya tha wahin KHANAK ki udaas aankhon ko dekh khud se control chhut gaya SAM ka.

ek jhatke me utha woh apni jagah se aur...


SAM-beta inconvenience toh tum logon ke liye create karunga mai..

aur ye bhi ek perk hai champion hone ki..


KHANAK-please,no SAM...!!!

SAM-they have to pay KHANAK..mujhtak theek tha,how dare they pass comment on you..


apni blazer utaar tezi se badha tha SAM un teeno ki taraf.. wahin apni apni jagah se uth woh sab bhi gaye the aur SAM ke un tak pahunchne se pehle woh teeno khudhi uski taraf badh chuke the..

DHAKKK....

ek trained fighter banane ki raah me tha SAM.reflexes bhi kaafi ache the uske..yahi wajah thi ki jaise hi woh teeno uske paas pahunche aur sabse pehle jab BHAVESH ne ghumaya apna mukka uski taraf toh uske haath ko beech me hi hold karte hue NEERAJ ke chest par laath jama si usne..

js beech ALOK pet se block kar SAM ko patakne ke iraade se jhuk kar aage badha tha par SAM jo jaanta tha ye baat,ALOK ke paas aate hi apni knee tezi se upar ki usne jo padi ALOK ke forehead par..

sir ghum sa gaya uska aur woh ladkhadate hue piche ki taraf gira.

is beech BHAVESH jiska haath block kar usse ab bhi pakda hua tha SAM ne,us haath se ghumate hue patak diya usne BHAVESH ko jispar ek dard bhari aah nikal gayi uske mooh se...

teeno ke teeno neeche zamin par pade the jinhe apna aastin palat ghurte hue...


SAM-tum saalon ki puri charbi mitaata hun aaj mai...

KHANAK-SAM,watch out...

DHAKKK..


KHANAK ki baat par palatne ko hua hi tha SAM ki tabhi uske peeth par padi ek laath..

ye AJAY tha jisne maari thi ye laath...

saath uske AMIT bhi tha...

anyways laath ke asar se aage ki taraf girne ko hua SAM..


lekin girne se pehle hi balance bana liya tha SAM ne par tabhi neeche zamin par gire NEERAJ ne apne pair se uske pair par maari laath jisse completely disbalanced ho gaya woh aur gira neeche..

acchi opening thi ye jisse gawana nahi chahte the B waale...

SAM ek flip maarkar utha hi tha ki tabhi SAM ke dono haathon ko jakad sa liya NEERAJ aur BHAVESH ne..

jispar ussi hold ke pressure ka faayda utha ek back flip maarne ko hua tha SAM par tabhi ALOK ne apne right hand ki kainchi banate hue uski gardan ko hold kar liya tha..


KHANAK-stop it guyzz...or else abhi jaakar PRINCIPAL MA'AM se complaint kar dungi mai..

NEERAJ-nayi aayi ho,you donot know tha rules babes..hamare aur tumhare section ke beech ki koi bhi ladhayi hum khud handle karte hain,teachers aur PRINCI ko involve nahi karte..

haan agar tumhare is so called champ ki fat gayi hai aur ek girl ke through complaint kar bachana hai isse khudko toh theek hai phir...


NAZAR GHUMA AUR KHUD BATA KI BACHNE KI ZAROORAT KISKO HAI...!!!


dusri direction me bane ek pillar se tik khada tha mai...

meri awaaz sun jab palte B section waale toh ek jhatke me mooh aur lund murja gaya tha un sabka...

INDOOR STADIUM ke just piche hi bana hai CANTEEN.

aur jaise hi ladhayi shuru hui,CHOTU ne NITS ko call kar bata diya aur isiliye turant pahuncha tha mai..

aa toh puri group bhi sakti thi par kuch chhilton ke liye jhund laata toh jhand thi phir zindagi meri...

khair,mujhe dekh NEERAJ, BHAVESH aur ALOK ne chhod diya tha SAM ko aur chaar kadam piche hath gaye the aur bache AJAY, AMIT...

woh toh sidhe counter waale area ki taraf khisak kar khade ho chuke the...

aur in sabke beech ab tak dar kar khadi KHANAK ke face par ek relaxed smile naach uthi thi...


MAI-akele dekhkar gherne ka shouk hai naa tum logon ko...

aao jaao phir..akela hi hun mai..bhido aur karlo shouk pura...


haath jhatakte hue unki taraf badhne laga mai jispar ek ek kadam piche hatne lage the woh teeno...


KHANAK-SANVY, MANIKPURI SIR...


pelna shuru karne ki waala tha mai un sabko ki tabhi KHANAK ki baat sun rook gaya mai...

thode door se hamari hi taraf ROHAN ke saath MAANIKPURI SIR aa rahe the jinhe dekh jahan ek taraf lambi saans chhodi maine wahin B waalon ne bhi ek sukoon ki saans li..

bach jo gaye the saale....


NEERAJ-nikal lo be turant...


CANTEEN ki dusri taraf sports room bhi tha jiske just bahar rook kuch samjha rahe the MAANIKPURI SIR ROHAN ko..

isse pehle ki sir sports room ke andar jaayen saare B section waale ek ek kar nikalne lage the canteen se..


ALOK-aadhar card me apne baap waale coloumn par SANVY likhwa le...

ab jo har baar gaand bachata ho,woh baap hi toh hua naa....


SAM ke baaju se nikalte waqt is baat ko uske kaano me sargoshi sa karta hua aage badh gaya ALOK jisse sun physically koi reaction toh diya nahi SAM par taklif toh andruni thi jo uske face par saaf dikh rahi thi...


MAI-theek hai tu...

SAM-hmm,haan,i am good...


meri baat sun apne thoughts se jaise ek jhatke me bahar aaya SAM...


MAI-hua kya tha...!!???

SAM-same old.. provoke kar rahe the saale...

MAI-aur tu ho gaya...

SAM-kuch baatein taklif deti hain bhai...aur waise bhi, KHANAK ko bhi involve kiya tha unhone...

MAI-really... iski maa ka... school ke baad baat karta hun in sabse mai..

KHANAK-baat..!!!tumhari baat mooh se nahi haath pair se hoti hai.. rehne do,koi zaroorat nahi hai un sabse ulajhne ki..

MAI-ok ma'am..chalen...

KHANAK-chalo...

MAI-tereko alag se bolna padega..


hum dono ke aage badhne ke baad bhi jab SAM khada hi raha toh palat kar pucha maine jispar...


SAM-indoor jaa rahe ho tum dono...!!!

MAI-yo...

SAM-jaao phir..sports room me thoda kaam hai mujhe..i will join you guys later...


jahan SAM ki baat par kandhe uchka KHANAK ke saath masti karta hua aage badh gaya mai wahin hum dono ko peeche se jaata dekh man hi man kuch sochne laga tha SAM..




B SECTION:-




NEERAJ-bhai,dobara aise scenes create mat karwaiyo..us behenchod SANVY ko dekh haalath kharab ho gayi thi meri...


canteen se nikal sidhe apne class pahunche the woh paanchon jiske kuch der baad jaise hi ROHAN enter hue class me toh usse kahi ye baat NEERAJ ne jispar smile karne laga ROHAN aur...


ROHAN-hua kya kuch be jo dar raha hai itna..sahi time me MAANIKPURI SIR ko le aaya tha na tum sabki sight me...

ALOK-perfect timing bhai...30 second bhi late hota toh lapeth chuka hota woh hum sabko..

AMIT-par bhai ab toh bata de ki aakhir plan hai kya tera jiske liye subah se scenes creat kiye jaa raha hai tu...

AJAY-haan bhai.pehle teeno sports teachers ko convince kiya tune ki schedule ka final list tu aur SAM saath me banaoge...

uska hamari class me aana,tera class se nikal jaan,hamara SAM ko provoke karna,tera indoor me caos create karwana jisse niptaane ke liye sir ko SANVY ka naam khud suggest karna aur phir aakhir me SAM jab akela hoga toh phir usse provoke karna jispar hamari aur uski ladhayi ke beech SANVY ka aana..

hume bachane ke liye tera SIR ko us scene ke beech laana.. tera itna sab tigdam lagaane ke peeche asli plan hai kya aakhir...

aur karna kya chahta hai tu...???

ROHAN-sab pata chal jaayega....

abhi ke liye bas itna jaan lo ki...





apne daaman me lage kichad ko kisine aise POCHA NAA HOGA...

apne shikaar ko kabhi kisine aise DABOCHA NAA HOGA...

bade sayyam se saha maine sab sirf isiliye kyunki...

bohot jald woh hoga,woh kisine bhi SOCHA NAA HOGA...












AAJ KE LIYE ITNA HI...










AAPKA APNA V...J...
Nice update bhai waiting for next update
 

The king

Well-Known Member
4,239
15,467
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF B SECTION WAALE SAM KO LAGATAR PROVOKE KARTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF ROHAN NE A SECTION WAALON KO SABAK SIKHAANE KE LIYE KOI PLAN BANA RAKHA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-34

DATE-6TH OCTOBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS





ARRE BAS KARO RE....!!!!! STADIUM HAI YE, MACCHLI MARKET NAHI HAI...

KAAHE KA SOPHISTICATION HAI RE TUM SAB ME...!!!

HAR SAAL KA NAATAK HAI TUM SABKA..SPORTS WEEKEND SE PEHLE SIRIUS KE NAHI AANGAN BAADI KE STUDENTS LAGNE LAGTE HO SAARE KE SAARE...


ye NITS tha jo indoor stadium ke har corner me ho rahi chillam chilli se thak aur chidh bhadak utha tha...

waise sach hi kaha tha usne..har saal sports weekend se pehle ka time hi aisa waqt hota hai jab stadium ka har corner,har field,saarvjanaik as in sabhi students ke liye open kar diya jaata hai.

aur kyunki jitne bhi indoor games hain,unme participate karne ki entry fees hoti hai joki 1000 se 2000 ke beech rakhi jaati hai isiliye sabhi participants ko pehle aur zyada time tak practice karne ki chul rehti hai..

yahan SIRIUS me sabhi students lakhpati ya crorepati hain phir bhi us 1000,2000 ki entry fee dete hi woh sab aise react karne lagte hain jaise apne baap ki puri property hi us participation me laga di ho...

abhi bhi,abhi kya jab se indoor stadium open hua hai,tab se same uncontrollable situation chaalu tha....

har field,track aur room me "mai pehle,mai pehle"ki chillahat continously chaalu thi jisse manage karte karte thak chuke the saare volunteers...

apna NITS bhi unhime se ek tha jiske chillaane se jahan woh abhi khada tha, badminton court ke paas,wahan ke pure students shaant ho gaye the...


NITS-saale chaar din ki practice se SAYNA NEHWAL aur PULLELA GOPICHAND nahi ban jaaoge tum sab..

itna hi keeda hai khelne ka toh interschool level ke liye saal bhar practice kaahe nahi karte be...

bas school me roll maarne ke liye sports me bhaag lena hai sabko aur ek baat batao...jeetne bhi log idhar extra time ke liye mare jaa rahe ho,aaj tak kabhi jeeta hai competition..

jeetna chhodo, quater final tak bhi apna apna thobda lekar pahunche ho kabhi...

kabhi nahi, phir ye bogus aur fake excitement kaahe ke liye...


pichle 3 din se jitni bhi frustration build up hui thi andar,sab nikaal di thi NITS ne jisse chupchap suna saare students ne..

kyunki ek toh woh sabhi jaante the ki jo baatein NITS ne kahi thi,woh sach hi thi par most importantly,agar koi revolt karte hue kuch ulta bol deta toh pakka maar khata..

even girls ko bhi achi khaasi suna deta NITS,iska realisation tha unhe isiliye shaant hi rahe the woh sab...

khair, ek pal sabko ghurte rehne ke baad...


NITS-ab chuchaap ek ek kar aur doubles khelna hai toh jodiyon me bina faaltu ka shor kare ghuso court me...

baaki sab spectator ki tarah court ke bahar raho..

cheer bindaas karo par agar beech game me taang ada khud khelne ke liye lada koi toh band karwa dunga practice..sidhe competition me hi kheliyo phir...

sabko warn karne ke baad NITS hamari taraf joki edges par bane stands par baithe the,badh gaya NITS...


MAI-dekh rahe ho be lounde ko mere...kitna responsible ho gaya hai.. kitne dedication ke saath volunteering kar raha hai...

maine toh soch liya hai,SAM se bolkar interschool sports championship me bhi iska naam head volunteering ke liye dunga..


DHABBBBB...


meri baat puri hui hi thi ki tabhi mere peeth par ek zor ka mukka jamaya NITS ne...


NITS-saale harami,jab se aaya hai, idhar pichwada tikakar baitha hua hai..

MAANIKPURI SIR ne ye chutiyapa waala kaam tujhe diya tha par kar hum rahe hain..

SONU-ttoh yye ppehli bbaar tthodi nna hho rraha hhai..hhar ssaal aissa hhi ttoh kkarta aaya hhai ye..

jjo bbhi kkaam isse mmilta hhai,wwoh hhum ssab sse hhi ttoh kkarwata hhai yye...

RAJAT-woh bhi aise ki kaam pura hote tak pata hi nahi chalta ki woh kaam apna tha hi nahi...

parso se hume idhar volunteering ke chutiyape ma fasaakar khud kabhi SAM ke bahaane se,kabhi SIR bula rahe hain bolkar gayab ho jaata hai ye kamina aur wapas theek tab aata hai jab yahan sab under control rehta hai...

ANJALI-ulte kaamo me hi toh buddhi chalti hai iski...

MAI-wahi mai bolun ki jo apni bakwas se baaki bakwaason ka hamesha aaghas karti hai woh pehle se chal rahi bakwas ke beech bhi chup kaise hai..!!!

udhar hai badminton court... idhar baith kar apna sadha mooh chalaane se acha hai court me jaakar badminton chala...

ANJALI-acha...gyan de hi raha hai toh kaise khelte hain badminton,uske bhi tips de de..


girls me badminton champ thi ANJALI isiliye ye taana diya tha usne mujhe...


MAI-khelne se bhi zyada important chiz ki tip de sakta hun tujhe mai...

NAISHA-matlab...!!

MAI-matlab doodh me bournvita ki woh exact maatra bata sakta hun mai isse jisse is batwi ki lambayi kamsekam net height jitni toh ho hi jaayegi...

abhi toh net ki dusri taraf se bas haath hi dikhta ha iska, chehra toh net ki jaali ke beech gayab ho jaata hai...

HAHAHA...

ANJALI-you.... bhaagta kidhar hai,rook...


jahan ek taraf meri baat sun baaki sab jo ab tak bas ghussa the mere se,woh has pade wahin dusri taraf ANJALI apne haath me pakdi racket se mujhe maarne aage badhi jispar turant stand se ucchal neeche kudate hue nikal liya mai...

pure indoor stadium me alag alag sports ki practice chal rahi thi abhi par nazar ab sabki mere aur ANJALI ke beech chal rahi chor police waale khel par tik gayi thi..


EKPREET-abbe ye KHANAK aur RASHI kahan hai...!!!???

NAISHA-sprint practice..SAM un dono aur baaki jitne bhi girls short races me participate kar rahe hain,unhe track me speed gain karne aur sahi tarah run karne ki tips de raha hai...

NITS-aila...matlab asli hariyaali udhar hai aur hum idhar jhak mara rahe hain...

NAISHA-kya bad bad karne laga tu...

NITS-arre mai soch raha tha ki idhar toh abhi ke liye sab control me hai phir apna yahan kya kaam..

bahar tracks ki taraf hi chala jaaye..

EKPREET-samajh raha hun lounde.. hariyali dekhni hai naa tujhe...

NITS-dekhni nahi,taadni hai..tujhe nahi taadni toh idhar hi reh aur dekh sabko..

EKPREET-ghanta rahega idhar mera...nazarein-sukoon-e-talab hume bhi hai..

NITS-ohho..laaya baapu...

NAISHA-ajeeb hai..pehle ye akela badbada raha tha,ab tu bhi shuru ho gaya..

kya koi planning wanning kar rahe ho kya...!!!?

NITS-kar rahe hain naa...plan hai tracks ki taraf jaane ka..aur jo sabse last pahunchega,woh baaki sabko treat dega...

MAI-aakhri ka toh pata nahi par sabse pehle hum hi pahunchenge...


un sabke baaju se hote hue stadium se bahar jaane waale raaste ki taraf doudte hue kahi thi ye baat maine..


RAJAT-is saale ke kaan insaano ke hi hain ya kisi BAT ke.. motion me doudte hue bhi saari baat clearly sun leta hai ye...

NITS-us kamine ki taarif baad me karna pehle bhaago be aur jo aakhri aaye, chupchap apna wallet khaali kar dena...


apni baat bolte bolte hi bhaag pada tha NITS jiske saath saath hi baaki sab bhi doud pade...

aur bechari ANJALI jisne itni der se SANVY ke piche doudte rehne ke kaaran thak kar just abhi abhi un sabke baaju me khade hokar apni ukhdi saanson ki durust karna shuru hi kiya tha,woh bhi hadbadate hue wapas turant doud padi...




THE TRACK FIELD:-




OH COMMON GIRLS...KHANAK..RASHI....YE KYA HAI,BAS 5 SPRINTS ME HI THAK GAYE TUM LOG...!!!!


panchwe sprint ke baad end line cross karte hi side me bicchi ghaans ki chaadar par flat hokar so chuke the KHANAK,RASHI aur unke saath sprint kar rahe baaki girls...

sprint me puri jaan lagani padti hai...400 mtr race me jitni shakti ek runner lagata hai,utni taakat usse 100 mtr ki sprint me lagani padti hai aur wahi kiya tha saare girls ne pichle paanch rounds me...

upar se take off karne ke kuch techniques bataye the un sabko SAM ne jo tabhi easily aur perfectly execute hote the jab unhe use me laane ka tarika 100 percent authentic ho..

naye naye runners ke liye woh techniques extra pressure aur thakaan ka kaam karte the aur yahi wajah thi ki lambi lambi saansein lene ke alawa aur kuch nahi nikal raha tha girls ke mooh se....


SAM-girls,stand....5 rounds hi hue hain.. atleast 10 sprint toh maaro tabhi naa speed aur displacement ke fark ka pata chalega...

KHANAK-baakiyon ke paanch hue hain par mere toh 8 ho chuke hain and it's enough for today...

i am completely exausted...

RASHI-we bol yaar...aur naa ho paayega mujhse bhi..aaj ke liye i am done too....


RASHI ke saath baaki girls ne bhi haath hi jod liye the SAM ke aage jispar hasne laga woh...


WOW.. ADVISING FOR SPRINTS...LIKE A PERFECT MENTOR....NICE...


SAM ke piche se aayi thi ye awaaz joki aur kisiki nahi ROHAN ki thi...

AJAY,AMIT, BHAVESH,NEERAJ aur ALOK bhi the uske saath...

pa jahan ROHAN ko dekh wahan moujud bohot si girls excited ho gayi wahin SAM straight face liye bas dekhta raha us B section ke group ko aur phir...


SAM-kuch kaam tha..!!!

ROHAN-sorry bolna tha...

SAM-excuse me...!!!

ROHAN-yup....mujhe bataya in sabne ki kal kya hua tha..ye sab bina wajah continously taunt kar rahe the tujhe which ain't right...

so,i apologize on these guyz behalf...

SAM-hmm.. it's okay..


kuch der ROHAN ko checkout karne ke baad sir hila uski apology grant karte hue palatne laga SAM..


ROHAN-what say SAM..800 ka ek ho jaaye...

SAM-now...!!!

ROHAN-yup... any problem...!!!!


800 mtrs ke liye ek friendly challenge diya tha ROHAN ne SAM ko jispar thoda hairan toh hua tha woh par zyada nahi.

aur woh isiliye kyunki SAM ka stamina acha tha, infact bohot acha but ROHAN bhi is maamle me usse zyada piche nahi tha.

kaafi der tak bhaagne ki shamata thi usme but the thing was ki sports se bas 2 din pehle school champs aise race lagate nahi the..

kyunki jo is friendly race me haarega,school ke competitive race me uska confidence utna hi kam hoga but ab jab ROHAN ne saamne se challenge de diya tha toh SAM ke liye piche hatna uski reputation ke liye GALATH hota..


SAM-fine...gear up ho jaate hain phir..sneakers pehenkar milte hain yahin phir...


ROHAN-cool...


running sneakers ke pair SPORTS ROOM me available the..waise toh sports room ke kisi bhi chiz ko lena without teachers permission allowed nahi tha but SAM aur ROHAN is catagory me nahi aate the..

they were the champions of SIRIUS aur jaisa har champion ke maamlon me hota tha,in dono ke bhi kuch perks the...

woh har department ke kisi bhi chiz ko use kar sakte the...

anyways,agle dus minute me apne apne size ke sneakers pehen wapas track par pahunch chuke the SAM aur ROHAN par ab yahan ka mahoul kaafi alag tha..

bohot se students ko is friendly race ke baare me pata chal chuka tha aur isiliye is waqt track ke ird gird kareeb 300 students ki bheed moujud thi aur jaise hi SAM aur ROHAN wahan pahunche, shouting, howling ke beech swagat hua tha un dono ka...


ROHAN-ready...!!!

SAM-always....

ROHAN-hahahaha..track kaun sa....

SAM-tu le le pehle...


ROHAN jaanta tha ki champ hone ka show off zaroor karega SAM taaki naa sirf woh usse haraye balki wahan moujud students ko ye dikha sake ki first track advantage dene ke baad bhi he was the better than ROHAN..

tracks par pahunch chuke the dono jiske baad SAM ki baat sun bina kuch kahe first track par khada ho gaya ROHAN..


ALL THE BEST BUDDY... SHOW HIM WHO THE REAL CHAMP IS...!!!!


jahan ek taraf ROHAN ke classmates aur supporters uska support kar rahe the wahin dusri taraf SAM ke samarthakon ki bhi kami nahi thi jo zor se shor karte hue uska housla badha rahe the..

ROHAN aur SAM ka track ke aamne saamne hona was BIG for SIRIUS... actually huge...

ye aisa hi tha jaise international cricket me INDIA ki taraf se SACHIN TENDULKAR aur WEST INDIES ki taraf se BRIAN LARA aamne saamne khade hon..

students idolize karte the in dono ko..


RASHI-all the best SAM..

KHANAK-just go for it...


RASHI aur KHANAK ke cheer par thumbs up kiya SAM ne jiske baad ALOK joki race trigger karne ke liye count karne waala tha,woh pahuncha un dono ke paas aur..


ALOK-on your mark,get set,go....


waise toh 800 metre ke race me start itni important nahi hoti par phir bhi GO sunte hi turant doud pade the ROHAN aur SAM...

aur unke race start karte hi students ki howling, shouting bhi next level par badh gayi thi...

race track kuch aise bane the ki ek complete round exact 200 mtr ka tha jiska matlab hai ki SAM aur ROHAN ko kul 4 rounds maarne the...

ab tak ek round pura kar liya tha un dono ne..

average se thodi tez thi un dono ki speed joki jaisa 800 me hota hai,2nd round tak constant hi rehni thi..

gear change hona tha 3rd round me jiske khatm hone ke baad jitni taakat pairon me and most importantly,jigar me bachi hogi, woh apply karne waale the dono 4th aur aakhri round me...

saanson ko niyantran me rakh SAM aur ROHAN ne second round bhi pura kar liya tha jiske baad speed badha thi dono ne hi apni par aisa karne ke chand seconds baad hi halka shock laga tha SAM ko kyunki uske speed badhane ke baad bhi ROHAN ek inch bhi peeche nahi hua tha uske...

kadam se kadam milaakar doud raha tha woh SAM ke jo SAM ke halke speed aur badhane ke baad bhi kaayam hi rahi..

chaahe hazar bakchod, manipulative aur negetive kyun ho ROHAN but in sabke baawjud woh bohot hi hardworking tha aur woh mehnet is race me saaf mehsoos kar paa raha tha SAM...

aage badhne ki houdh me tessra round bhi khatm ho gaya aur aisa hote hi apni puri jaan lagaakar doudna shuru kar diya SAM ne par is baar bhi khudko hairan hone se rok nahi paaya tha woh..

ROHAN was still keeping up with him jo sirf hairan hone waali hi nahi balki chinta ki baat bhi thi..

aur woh isiliye kyunki first track ROHAN ka tha aur agar aakhri cross se just pehle jiske baad bas 50 mtr ka hi race bacha hoga,thoda bhi extra effort laga gaya ROHAN toh 1st track me hone ke kaaran jeet ussiki honi thi..

yahi wajah thi ki sharir aur head, dono ke jaise aakhri aounce power ko bhi apne pairon me transfer karte hue doudne laga tha SAM par jiska dar tha usse,wahi hone laga tha..

last turn se pehle halka aage hone laga tha ROHAN aur ye dekh thoda panick karne lag gaya tha ROHAN...

apni puri jaan lagaane ke baad bhi apni haar dikhne lagi thi SAM ko aur yahi wajah thi ki jis technique se doud raha tha woh ab tak,usse bhulne laga tha SAM..

track turns par ek tarike se cut hote hain racers taaki ek toh apni track par hi rahen aur dusra aisa kar moodte waqt bhi unki speed barkarar rahe par is

technique malfunction ke kaaran turn hote waqt halka disbalance ho gaya SAM par same chiz ROHAN ke saath bhi hui...

is aakhri turn par constant speed rakhne ke chakkar me moodte waqt apne left lane ki jagah right lane ko taraf pair ghum sa gaya uska..

aur ye wahi time the jab usse bas 3 inch peeche doud rahe SAM ka left foot disbalance hote hue thoda aur left chala gaya tha..

RESULT...

ROHAN ka right foot SAM ke left foot se bhhid gaya aur..

DHAKKKK....

dono ke dono track par hi mooh ke bal gir chuke the...

waise toh ye jumbleup coincidental tha par jis tarah un dono ka pair fasa aur woh gire the,dekhne waalon ko yahi lagta ki SAM jo last turn me halka sa piche ho gaya tha ROHAN se,usne jaan bujh kar apna pair adaya tha aage..

aur hua bhi yahi..


ALOK-what the fuck SAM...jeet nahi sakta toh aisi occhi harkat par utar gaya tu...


doudkar paas aa ROHAN ko uthathe hue bhadka tha ALOK SAM par jisse sun hadbada gaya SAM..


SAM-what do you mean..maine jaanbujh kar..

NEERAJ-oh just cut the crap SAM.. jaanbujh kar hi kiya hai tune..hum sabne dekha hai...

ROHAN was a clear winner here..par hazam nahi hua tha tujhse, CHAMPION LOSSER.....


CHAMPION ke baad looser ka taunt tha jisne dimaag ghuma diya tha SAM ka..

turant aage badha woh aur collar pakad liya usne NEERAJ ka jispar..


ROHAN-hey,hey,hey, relax...guyz,ho sakta hai wakayi SAM se anjaane me hi hua ho ye sab..

and as per the race,jaisa ki kaha tumne ki jeet meri ho rahi thi,toh consider me as winner.. simple...


SAM-ghanta..race over nahi hua tha and no result can be finalized till it's actually over..

AJAY-bohot rota hai be SAM tu..haar raha tha tu,just admit it..

MAI-rewind maar thoda..kaun rota hai,yaad aa jaayega tujhe...


EKPREET,RAJAT,NITS, SONU,NAISHA aur ANJALI ke saath ab tak chupchap khada sab dekh aur sun raha tha mai par AJAY ki baat sun jab un sabki taraf badhte hue bola mai toh hadbada gaye woh sab..

ROHAN ho ya AMIT aur AJAY.. meri maar par un sabka rona, gidgidaana yaad aane laga tha unhe...


ROHAN-SANVY...we don't want trouble here...jhagda nahi kar rahe hum yahan...

MAI-mai kar raha hun jhagda.. ukhaad lega...

ROHAN-SANVY..

MAI-chup be..niklo yahan se...


chutki bajaate hue nikalne ka ishara kiya tha maine ROHAN and group ko jispar jahan ek taraf yahan moujud sabhi students dabi hasi hasne lage the wahin dusri taraf ek pal mujhe ghura ROHAN ne aur phir ek lambi saans chhod apne doston ke saath nikal gaya..



ON TH WAY:-



ALOK-what the hell ROHAN..usne bola aur tu nikal gaya..i mean common yaar.uske baap ka school hai kya..???aur aaj toh hum fault par bhi nahi the.. phir dar kaisa..!!!

SAM-taakat me usse nahi jeet sakte hum..itni baar ki bhindat ke baad bhi samajh nahi aaya kya tujhe...

NEERAJ-woh sab toh theek hai but tell me something..race se pehle ZOLOL liya tha ki nahi tune..???(STANOZOLOL.. steroids used for long running)


smile karte hue haan me sir hilaya ROHAN ne jisse dekh..


BHAVESH-abbe..toh race itna lamba kheencha hi kyun toh...!!!

ZOLOL ki ek capsule bhi 1500 mtr 100 mtr ki speed ke saath douda deti hai..

SAM ke 3 round pure hone se pehle hi tera chowtha pura ho jaana chahiye tha..

ALOK-aur nahi toh kya...!!!sports weak se do din pehle haar ka tamacha bardasht nahi kar paata woh...

ROHAN-hahaha.. tum sab baazi jeetne ki baat kar rahe ho par meri khawahish puri jung jeetne ki hai...

SAB-matlab...!!!

BEEP..BEEP...


theek tabhi msg tone baj utha ROHAN ka jisse open karte ek smile naach uthi uske face par aur...


ROHAN-KAL PATA CHAL JAAYEGA...




BACK TO SANVY:-



KHANAK-toh gunde bhi hain aap...!!!

jis tone se baat ki thi maine B section waalon se,ussika taana diya tha KHANAK ne mujhe..


MAI-gundo ke aage gundayi gundagardi nahi kehlaati..

KHANAK-par un logon ne abhi toh koi gundagardi nahi ki thi...!!!

MAI-saanp agar dase na toh iska ye matlab toh nahi ki zeher nahi hai usme...

fun dabaye rakhna zaroori hai...

NITS-satyavachan...yaar mai toh soch raha tha ki jaise mooh ke bal gira tha woh chutiya ROHAN,mooh vooh foot gaya hoga uska..

par bach gaya harami...

KRRRRRRR..


final bej baj chuki thi jisse sun saare students nikalne lage..


RASHI-ok guyzzz.see yaa then...


RASHI ke saath baaki boys aur NAISHA, ANJALI bhi nikalne lage aur is beech..


KHANAK-ok then.. I'll see you tomorrow...

MAI-aap kal dekh lena.humari aapke didaar-e-ruksaar ka waqt shaam ka nikla hai..

KHANAK-matlab...!!!

MAI-shaam ko..jo honge aamne saamne toh khudbakhud pata chal jaayega..


apni baat kehte hue NITS aur SONU ke saath aage badh chuka tha mai.

waise chal toh KHANAK bhi padi thi par confused face ke saath..



IN EVENING:-


SANEEL'S RESIDENCE




DING DONG...


WELCOME MRS RAWAT...AAO BETA KHANAK...


main door kholte hue apne sadabahar muskaan se swagat kiya tha VERONICA ne KHANAK aur uski mom ka par us gesture ka jawab dene ke bajaye SHILPA RAWAT bas ek tak dekhti hi reh gayi VERONICA ko..

reason...

ek toh SANVY jitne bade ladke ki mom kahin se nahi lagti thi VERONICA aur dusra unke vyaktitv ka chumbakiya aakarshan jisse mantramugdh hona jaise ek prachalan sa tha unhe dekhne waalo ke liye jisse SHILPA RAWAT bhi bach nahi paayi thi...


KHANAK-mom...


haathon me guldasta pakde pakde bas alpak VERONICA ko dekhti unki aankhein najaane aur kitni der tak waise hi sthir rehti par KHANAK ne jab halka sa hilaya unhe toh jaise neend se jaagi woh..


SHILPA-hello...ye aapke liye...

VERONICA-formality ki zaroorat nahi thi MRS RAWAT..KHANAK gair nahi aur us lihaz se bhale mil hum pehli baar rahe hain par hui toh tab bhi aap apni hi..


ek haath se guldasta pakad dusre haath se KHANAK ko apne saath lagaate hue andar chal padi thi VERONICA jispar SHILPA aunty bhi muskurati hui andar aa gayi..

aur jaisa ki sabke saath hota hai,SHILPA aunty ke saath bhi hua..

hall me enter karte hi wahan ki saaj sajja ko dekh kaafi prabhavit hui hon...


SHILPA-wow..bohot ache se sajaya hai aapne apne hall ko..

VERONICA-thanks MRS RAWAT.par jaisa description SANVY ne aapke ghar ka diya ha,us ke mukaable toh ye sab ordinary hi hai...

SHILPA-ab formal kaun ho raha hai...!!!SHILPA kahiye..acha lagega mujhe aur agar ye sab ordinary hai toh mera ghar phir dekhne laayak kya,rehne laayak bhi nahi hai..

your place is way more beautiful..

MAI-not as beautiful as you aunty...


apne room se nikal aunty ke paas aate hue kahi thi ye baat maine jiske baad unhe side se hug kiya maine..

aunty ne bhi maatha chum liya tha mera..


MAI-dekh lo apni beti ko aunty...aise ghur rahi hai jaise maar hi daalegi mujhe...


KHANAK jo mujhe ghoor ghoor kar dekh rahi thi,usse chidhate hue kahi thi ye baat maine jispar apne dono haath kamar par tika liye usne aur...


KHANAK-hmmp...mom ko kal market me mile the tum aur apne ghar aane ke liye invite kiya..school me sidhe sidhe nahi bata sakte the ye baat..

"shaam ko mulaakaat hogi"..bas itna bol nikal gaye..

MAI-arre surprise naam ki bhi koi chiz hoti hai ki nahi...

SHILPA-waise ye surprise pehle hi ho jaata..mai bhi aapse milna chahti thi MRS AHARYA par socha,KHANAK ke dad jab saath hon,tab aaungi par unka schedule hi aajkal aisa bana hua hai ki 3,4 din se zyada rukte hi nahi yahan...

MAA-ab informal hone ki baari aapki hai SHILPA...call me VERONICA...


MAA ki baat par has di thi SHILPA AUNTY...


VERONICA-aayiye baithiye... SANVY...

MAI-right away...


jahan SHILPA AUNTY aur KHANAK sofe par baith gaye the wahin mai kitchen ki taraf badh gaya aur ye dekh..


SHILPA AUNTY-tum kidhar chale...???

MAI-mehmaan aayen toh khaatirdaari bolke ek chiz hoti hai aunty..ussi chiz ka intazam lene jaa raha hun...

SHILPA AUNTY-takkaluf ki koi zaroorat nahi hai beta....

KHANAK-i'll go and help him...

VERONICA-nahi nahi,baitho aap aur zaroorat kyun nahi hai..!!jab mera beta aapke ghar jaata hai toh kya yunhi chhod deti hain aap isse..

dinner ke liye pehle hi mana kiya tha aapne SANVY se isiliye kuch keh nahi rahi mai.verna raat ka khaana khaaye bagair jaane nahi deti aapko mai...

SHILPA AUNTY-mera bas chale toh SANVY ko apne ghar se aane hi naa dun mai..mai kya, KHANAK ke dad ko itna lagaav hai isse ki wahi nahi chhodenge isse..

aur rahi dinner ki baat toh aaj ke liye ek dusri jagah ka plan pehle hi bana liya tha maine warna dinner ke liye mai mana nahi karti.

waise bhi bohot taarif suni hai maine KHANAK ke mooh se aapke kisi CHET....

MAA-chettinad chicken curry..

SHILPA AUNTY-right.. chettinad chicken curry ke baare me...i would love to taste that one day..

MAA-anytime...

MAI-here we go...


ek badi si tray jiske edges me paani ke glasses,unke just aage juice ke glasses aur beech ke section me teen,chaar kism ke snacks aur sweets rakhe the,lekar pahuncha tha mai aur usse sofa set ke beecho beech bane glass table ke upar rakh diya..


SHILPA AUNTY-ye sab kya hai..!!!8,10 logon ka snack sirf humare liye le aaye tum..!!!

MAI-slight correction aunty.. snacks ka kota bhale hi 8,10 logon ke liye hoga but paani aur juice ke glass gin ke laaya hun mai..

SHILPA AUNTY-badmash..chal,shuru tu hi kar...

KHANAK-nanana...mom, unhygienic baaki sabko khilayega ye par khud zyadatar healthy hi khaata hai...

SHILPA AUNTY-toh phir tu sikhti kyun nahi kuch...din bhar kurkure aur chips chabaati rehti hai bas..


aunty ki baat par mooh ban gaya KHANAK ka..

juice ka glass utha liya maine aur halke halke sip ke beech jab MAA aur AUNTY ki typical auraton waali baatein shuru hui toh jamhai aa gayi mujhe aur..


MAI-dont get me wrong but kya aap dono ki itni interesting topics waale discussion se sign off kar sakta hun mai...

HAHAHAHA..


sir shake karte hue aunty aur mom dono hi has pade the meri baat sun..


SHILPA AUNTY-in madam ko bhi le jaao saath me phir...i am sure ki bhale hi chehra straight rakha hua hai isne par man hi man bohot bore ho rahi hai ye..


ek innocent smile naach uthi thi KHANAK ke face par jisse dekh mai hasa is baar aur..


MAI-come...and dont forget the juice..badi mehnat lagti hai barabar quantity bana glasses ke andar daalne me..

SHILPA AUNTY-ye shuru se hi utna witty hai kya...!!!

VERONICA-haan...aur har din level badhta hi jaa raha hai..


mujhe apne room ki taraf badhta dekh pucha tha aunty ne sawal jispar KHANAK ko bhi mere piche jaata dekh muskurate hue jawab diya tha MAA ne...




IN MY ROOM:-



KHANAK-cool....last time bhi itna hi neat and clean tha ye room aur aaj bhi utna hi saaf suthra hai..

wakayi itne tidy ho tum ya phir mujhe impress karne ke tactics hain ye sab...


pure room par ek gehri nazar maarte hue bed par baith gayi thi KHANAK..


MAI-room service waalon se zyada saaf kamre ko koi nahi rakhta..woh kisse impress karne ke liye karte honge waisa..???


KHANAK ke hi baaju me baiththe hue pucha tha ye sawal maine..


KHANAK-what rubbish..woh toh kaam hai unka...

MAI-jo unka kaam hai,woh meri hobby hai..aur impress se zyada mai express karne me believe karta hun..

results behtar milte hain..

KHANAK-jawab dene ki p.h.d hai kya tumhare paas..!!!

har baar last words tumhare hi hote hain...

MAI-as i said..i love to express...jo jazbaat dil me hai,woh alfaaz bankar zubaan par apne aap hi aa jaate hain..

KHANAK-mujhe toh nahi lagta..ab tak aisa kuch toh suna hi nahi maine jo wakayi tumhare dil ka haal batata ho..


is aakhri baat ko kehte waqt halki shararat, khawahish aur talash thi KHANAK ki aankhon me jinhe dekh halka sa muskuraya mai..


MAI-shayad bataya ho par tumne sunane ki koshish hi nahi ki...

KHANAK-really...toh phirse suna do...is baar pakka sun lungi...


halka aur kareeb aa gayi thi KHANAK mere.saansein uski halka halka feel kar raha tha mai..


fan thoda tez tha mere room ka jis wajah se uski ek lath lehrate hue uske aankhon ke kinaare ko lagatar chhuti chali jaa rahi thi..

haath aage badha us lath ko uske kaan ke piche kar diya maine jispar aankhein band ho gayi KHANAK ki..

chehra kuch zyada hi kareeb tha hum dono ka...

KHANAK ke band aankhon ke beech idhar udhar machal rahi putliyon ko dekh muskura utha mai aur halka sa foonk diya maine uske face par...

us foonk se bane hawa ke dabaw ko mehsoos kar turant aankhein kholi KHANAK ne par mai uske kareeb tha hi nahi..

paas hi pade table par rakhe books ko ek ke upar rakhte hue muskura raha tha mai aur ye dekh ek second ke liye mujhe ghoora KHANAK ne aur phir...


KHANAK-you...

MAI-arre.....


mujhe push karte hue piche diwaar se sata diya tha KHANAK ne..


KHANAK-bas haath pair hi chalana aata hai, kyun...???baaki ho tum bhi ek number ke fattu hi..koi naa,raho aise hi...


jo aaj PAAS HAI...
dil-e-KHAAS HAI...
door ho jaaye agar toh...
ye naa kehna ki kismat NARAAZ HAI...

AHHHHH...


KHANAK ki baat puri hui hi thi ki usse uske dono baazuon se pakad ek jhatke me ghum gaya mai..

itni tezi se kiya tha maine ye ki diwaar se sati apni maasum aur halki sehmi aankhon se dekhne lagi thi mujhe KHANAK jispar...


MAI-



chehre par ISHQ ka,mere ISHQ ka NOOR HOGA...

haathon me kabhi naa mitne waali mohobbat-e-mehendi ka GUROOR HOGA...

har waqt har lamha saikdon log kareeb honge magar....

meri jaan-a-sheen ki aankhon me mera,sirf mera intazar ZAROOR HOGA...











AAJ KE LIYE ITNA HI...









AAPKA APNA V...J...
Nice update bhai
 

The king

Well-Known Member
4,239
15,467
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ROHAN NE JO PLAN SANVY,SAM KE LIYE BANAYA HAI,USKE EXECUTION KA WAQT AA CHUKA HAI WAHIN DUSRI TARAF KHANAK SANVY KO CLOSE NAA AA PAANE KE LIYE TAUNT KARTI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


MEGA UPDATE-35(PART-1)

DATE-7TH OCTOBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS




FINALLY, JUST ONE DAY LEFT FOR THE FUN TO BEGIN....

apne hatheliyon ko rub kar chaaron taraf nazar ghumate hue bane hue thrilling mahoul ko dekh kahi thi ye baat ALOK ne joki bilkul sahi thi..

SIRIUS ka main gate joki sirf students aur unke parents ke liye hi hamesha khulta hai,aaj se sports weak end hone tak saarvjanik tour par khul chuka tha...

REASON....

MEDIA HOUSES aur har naami school ke associates, teachers, sport coaches jo aate the SIRIUS is sports naam ke mele ko dekhne,cover karne aur most importantly,admire karne ke liye..

sports kal se tha par local media houses ke kayi pratinidhi aaj hi school campus me pahunch chuke the aur jitne bhi school official aur teachers unki nazar me aate,woh un sabko pakadkar inside info lene ki koshish kar rahe the..

dusre schools se aaye officials different sports ke grounds,unke diameters checkout kar rahe the taaki apne school me bhi woh sab copy kar saken...

in sabke beech ROHAN aur SAM ko PRINCI ki taraf se media interaction naa karne ki strict warning mili hui thi...

SAM toh indoor stadium me busy tha par ROHAN uske group ke ladko ke saath canteen ke paas baitha school me chal rahe scenerio ko dekh raha tha...

ALOK ki kahi baat sun woh muskuraya aur...

ROHAN-GALATH....!!!

ALOK-kya GALATH...!!!!

ROHAN-maza kal se nahi aaj se shuru hone waala hai infact asli maza aaj hi aane waala hai...

AJAY-aaj..!!!aaj kya hai..!!!kal pata chal jaayega, tera ussi dialogue ke baare me toh baat nahi kar raha tu...!!!

haan me sir hilaya ROHAN ne jispar koi kuch kehta ki tabhi...

phone bajne laga uska jiske display me call karne waale ke naam ki jagah "trump card"ye likha hua tha..

ROHAN-hey...!!!

call utha bas itna bola ROHAN ne jispar kuch kaha gaya saamne se jisse sun....

ROHAN-nervous...!!!


SAAMNE SE-.........

ROHAN-don't be...kuch nahi hoga...

SAAMNE SE-..........

ROHAN-i know.......aaj ke baad zaroorat nahi padegi...rakhta hun..all the best....

BEEP...

cal cut kar jab dekha apne sabhi friend's ki taraf ROHAN ne toh paaya ki sab usse hi ghoor rahe the..

ROHAN-what...!!!!

BHAVESH-ye trump card kaisa naam hai..!!!aur dude, right time par bata dunga,ye mat boliye kyunki as per your own words,jo bhi socha hai tune,today itself is your endgame...

ROHAN-hahahaha... you are right... today, infact NOW is the time my endgame is gonna unfold...

suno...

jo bhi plan tha ROHAN ka,usse apne doston ki batata chala gaya ROHAN jisse sunte sunte aankhein apni hadh tak faile chuki thi uske doston ki...

aur jaise hi ROHAN ne bolna band kiya,woh sab ek line me apne dono haathon ko continously jhukate hue respect dene lage usse jispar ek smile naach uthi ROHAN ke face par...

AMIT-maa kasam bhai..jab tune bola tha ki kuch plan banaya hai tune un A section waalon aur khaaskar us SANVY ke khilaf..

i was very doubtful...mai bilkul sure nahi tha ki SANVY ke khilaaf koi plan,kou mind game kaam kar sakta hai..

kyunki kaafi kareeb se feel kiya hai maine us behenchod ke dimag ko..

par bhai,tune toh maiya hi chod di hai sabki dimaag lagaane ke maamle me...

matlab,kya hi socha hai yaar tune..mind blowing...

AJAY-haan bhai..itna kuch kar gaya bina kuch kiye...gazab...

ALOK-i mean seriously,woh SANVY jo aaj tak SAM ka dhaal bankar raha,aaj wahi maarega usse...

saala soch kar hi goosebumps aane lage hain mujhe toh...

NEERAJ-sirf tujhe nahi be hum sabko...aur us SANVY ka ghussa toh jaante hi hain sab...

bhosdika aage piche sochkar maarta nahi hai woh..

ROHAN-exactly..yahi toh chahiye.. bohot ganda maarega SANVY SAM ko...

aur jab gath bigaad raha hoga SANVY SAM ki tab hum kisi teacher ko lekar pahunchnge unki location par..

result...

excessive violence ke chakkar me ek taraf SANVY suspend ho jaayega aur dusri taraf kutte ki tarah maar khaane ki wajah se SAM us haalath me hi nahi rahega ki sports me participate bhi kar paaye...

SAB-you are a genius dude....

ROHAN-i know..toh chalo phir,plan ke ek PART apni position ki taraf badh gaye honge,ab dusre PART ko pehle PART ki taraf toh hume hi bhejna hai...

BHAVESH-par yahi toh sabse mushkil part hai yaar..us SANVY ko bheje kaise...!!!

hum aur hamari class ke kisi student ki baat toh sunane se raha woh,infact agar humare yahan se koi gaya uske paas toh 2 aur 2 ka ganit araam se laga lega woh...

ROHAN-correction...!!!ek hai humare beech bhi jispar aankhein band kar bharosa karte hain A waale..

SAB-SATISH...

achanak click hua ye naam un sabke dimag me jispar muskura utha ROHAN aur..

ROHAN-exactly..SATISH... hamari class ka bhedi aur A section waalon ka well-wisher..

us khabrilal ki baat toh sunega bhi aur maanega bhi SANVY..

ALOK-arre 100 percent yaar...

ROHAN-i know..so finally it's time guyz for ek teer,do shikaar....


INDOOR STADIUM:-



MAZA AA GAYA BHAI BADMINTON KHELKAR...I THINK HUME YE GAME SIRF OCCASIONALLY HI NAHI BALKI HAR SEASON ME KHELTE REHNA CHAHIYE...

NITS tha ye jo kuch senior girls ke saath badminton ka ek game khelne ke baad group ke saath aakar baitha tha...

SONU-ppehle ttoh kkabhi ittna innterest nnahi ddikhaya ttune badminton me...

pphir aaj kkaun sse pplayer kki aattma gghus ggayi ttere anndar..

RAJAT-mahan tharkichand ki.. pehle kabhi mixed doubles nahi khela hai na lounda apna..

par aaj mouka mila toh game acha lagega hi...

NITS-abbe reason kuch bhi ho, important hota hai participation jo kiya maine..

tum saale manhoosiyat ki poundo, achi chizon ke beech bhi apne thobde jaisi wahiyad logics hi lagaaoge..

BEEP...BEEP...

msg tone baja NITS ka jisse padh ek lambi saans chhodi usne aur..

NITS-abbe sach sach batao,ye volunteers ke whatsapp group banane ka idea kiska tha..

saala naye naye kaam ke msgs aate hi rehte hain isme...

nahi gaya toh ek ki jagah chaar kaam mil jaayega...chalo,baari baari marao ek dusre se tum velle log..

apun chala..

SONU-mmai bbhi ssaath cchalne kka ssoch rraha ttha,ssocha ttha mmadad ho jjayegi tteri..

ppar tthik hhai..jjaa ttu...

NITS-mai jaanta tha..bhale bhai bolne me ek ghanta lagata hai tu par sahi maayno me bhai tu hi hai mera..chal bhao chal..kaam jaldi nipat jaayega..

SONU-ppar hhume ttoh mmarana ttha kkya...!!!

NITS-abbe maarna maraana jodiyon me hota hai...ye dono ek dusre ki le lenge par tera kya..!!!

SONU-abbe ddekhne mme ttoh mmaza aayega nnaa..

EKPREET-bhosdoke log..abbe bhaagte kaha hon,rookon saalo..

SONU ke saath EKPREET bhaagte hue nikal liya tha jispar kuch seconds un dono ke peeche bhaagne ke baad haste hue wapas RAJAT ke paas aa gaya EKPREET..

RAJAT-abbe ye baaki sa kahan hain aaj..koi dikh hi nahi raha..!!!

EKPREET-preps ka aakhri din hai aaj..sab lage hue hain apne apne taiyariyon me.. girls bhi aaj alag thalag ghum rahi hain..

aur SAM ko toh PRINCI ki taraf se strict warning hai for no media interaction...

woh bhi kisi building ke andar pending kaam nipta raha hoga...

RAJAT-aur SANVY...!!!

EKPREET-woh toh khada haiMAANIKPURI sir ke saath..

stadium ke dusri edge par MAANIKPURI sir kuch bata rahe the mujhe jisse dekh..

RAJAT-chal phir..aur koi toh dikh nahi raha,apan bhi ussike pas hi chalte hain..

EKPREET-tera dimah kharab hai..beta SAM bohot si jagah jaane se restricted hai aaj isiliye un jagahon ke pending kaam bhi sir SANVY se hi karwayenge..

agar hum bhi gaye the uske saath hume bhi kaam par laga dena hau sir ko..

RAJAT-ye bhi hai bhai.. chal phir, canteen hi chalte hain...

EKPREET-cool... waise bhi hot dog khaane ki badi talab lagi hai..

ab teri taraf se hai toh 2 khaaunga mai..

RAJAT-ghanta meri taraf se...bill tu dega aaj..

EKPREET-let's see..jo second pahuncha,bill ka will uska..

RAJAT-abbe rook...

apni baat bol bhaag pada tha EKPREET jiske piche piche RAJAT ne bhi doud laga di thi...


ON TO SANVY:-



ARRE BETA,HAR BAAR HAATH PAIR CHALANA BHI SAHI NAHI HOTA...

PYAAR SE SAMJHA BHI TOH SAKTA THA INHE TU...!!!

ye MAANIKPURI SIR the jo waise toh naraaz mere baaju me khade students se the par daantthe hue samjha mujhe rahe the..

REASON...

subah subah hi nonstop thappad khaa chuke the ye students mujhse..

tennis players the ye students par practice ke naam par sirf bakchodi pelte hue apna duration badha rahe the...

baaki students jo apni baari ka wait kar rahe the,unhe bhi dhamkaate hue court par kabza kiye hue the..

dekha maine ye sab aur pel diya chutiyon ko...ab saamne se toh kuch bol sakte the nahi ye sab mujhe isiliye MAANIKPURI SIR se complaint ki unhone...

mere un sabko maarne ke reason jaante the sir aur unhe pata tha ki kuch GALATH nahi kiya tha maine but as a teacher, violence par kuch toh bolna hi tha unhe isiliye samjha rahe the mujhe woh..

MAI-sir situation hi aisi create kar di thi in sabne ki aur koi option bacha nahi mere paas..

lagbhagh 20 students ko aadhe ghante se hold par rakha hua tha in sabne aur unke oppose karne par unhe dhamka bhi rahe the ye sab...

1ST STUDENT-he is lying sir..hum toh bas apna..

MAANIKPURI SIR-beta sach nahi bol sakta toh kamsekam jhooth bhi mat bol tu..

pure indoor stadium me cctv monitoring ho rahi hai.check karun...???

agar sach nikli SANVEER ki baat toh pure school ke saamne gadha bana dunga,chalega naa...!!!

ab kya bolte woh sir ki baat par.. jhooth toh bola nahi tha maine aur us sach ko agar khud dekh lete sir toh rail laga deni thi un sabki unhone..

isiliye chup khade reh gaye woh sab aur ye dekh head shake karte hue...

SIR-aaj ke liye ho gayi tum sabki practice.. tum mese koi kisi court me nahi dikhna chahiye mujhe warna participation cancel karwa dunga..

and SANVEER,no hitting...

MAI-sure sir..

sir nikal chuke the aur ye dekh mujhse bachne ke liye woh sabhi students bhi turant nou do gyarah ho gaye..

SANVY BHAI...

SATISH tha ye jo kuch der pehle hi yahan pahuncha tha aur sir ke jaane ka wait kar raha tha..

sir ke jaate hi turant lapka tha woh meri taraf...

MAI-kya hua SATISH...!!!itne restless kaahe...???koi panga hua hai kya...!!!

SATISH-hone hi waala hai bhai...!!!aur panga nahi kutayi,SAM ki...

MAI-SAM ki..!!!really...!!!kisko chul machi hai..???tere class waale..!!!

SATISH-aur kaun....??? mujhe pata chala hai ki woh sab SAM ko lapetne waale hain taaki kal sports me woh participate naa kar sake...

aur ye sab woh abhi karenge...purane library me...

(old library...school main building ke piche bani ek alag department hai ye jo as a library toh band ho chuki hai but next year se wahan k.g classes shuru hone waali hai..waise toh renovation ka kaam chaalu hai udhar lekin sports weekend shuru hone ke kaaran kal se kaam band kar diya gaya hai)

MAI-purane library me..!!abbe pura school jam packed hai.udhar tak kaise lekar jaayenge woh sab SAM ko...!!!

SATISH-woh sab lekar nahi jaayenge..SAM khud jaayega wahan kisike saath..yahi bol rahe the ROHAN ke friends..

plan bhi yahi hai kamino ka ki SAM ke library me jaate hi lapet lenge usko..

MAI-kitne der pehle hui thi ye convo..???

SATISH-yahi kuch 10 minute..aur bhai, mujhe lagta hai ab tak toh SAM shayad library ke liye nikal bhi chuka hoga..

hume jaldi karni chahiye..mai baakiyon ko bolta hun..

MAI-zaroorat nahi hai..mai dekh lunga..!!

SATISH-par bhai,woh log zyada bhi ho sakte hain..

MAI-abbe media houses ki bheed jama hai pure school ke..

group fight agar lime light hui toh apne school ka naam kharab hoga..

isiliye kisiko bataane ki zaroorat nahi hai..mai dekh lunga..

SATISH-par bhai tu akela..!!!mai bhi chalta hun...

MAI-abbe bhale hamesha hamari taraf rehta hai tu par hai toh unhi ke class ka banda..

direct saamne aaya unke toh pure saal halaath bigaadenge teri..

tu chill kar..kuch nahi hoga..aise chutiye bhi bhidkar jeetne lage mujhse toh khud ke banaye moot samandar me doob jaaunga mai...

thanks for the info and help buddy...

SATISH ke kandhe ko thapthapaate hue aage badh chuka tha mai us band library ki taraf jahan ek bada suspense open hone waala tha...



THE OLD LIBRARY:-




MAI-saala, library ka itna bhayankar shape sirf SIRIUS me hi ho sakta hai..

agar school campus ka hissa nahi hoti ye building toh ab tak BHAT CAMP waale isse horror shoot ke liye book kar chuke hote..

us gigantic X library building ke bahar khada tha mai...shape kisi bhutiya haveli sa tha is library ka aur reason bhi obvious tha..

angrezon ke zamaane se chala aa raha tha apna school aur unke hi tradition ke hisaab se library sabse bada aur mukhya kendra bindu lage,us hisaab se banaya gaya tha...

MAI-wakayi idhar kisi ko akale me dobocha jaaye toh ghanta pata naa chale kisiko bhi..

sir shake karte hue us library building ki taraf kadam badha diye the maine..

kareeb 100 compartments the is library me jinke walls tod space bada karte hue revovate kiya jaa raha tha taaki K.G sections ke saath saath ek bohot bada kinder garden banaya jaa sake..

aadhe se zyada compartment toh tode bhi jaa chuke the...

un sabhi toote compartments ko dekhte hue aage badhta chala jaa raha tha mai par tabhi...

DDHHDHDHHHHH..

thode aage se kisi metalic chiz par jab kisika pair lagta hai toh jo sound create hoti hai,waisi awaaz aayi aage taraf se mujhe jiske baad halki phusphusahat bhi sunayi padi mujhe...

ye awaaz jahan ee aayi thi, renovation ka kaam wahan tak nahi pahuncha tha..

compartment waala area abhi bhu intact the us part par...awaaz jhagde ki nahi balki baat karne ki thi isiliye halke dabe paanv aage badhaye maine apne kadam...

dheere dheere chalta hua mai finally pahuch chuka tha us ubhri awaaz waale compartment ke paas jiske baad jab apna sir halka aage kar jhaanka maine compartment me toh chal rage drishya ko dekh nazarein ek dum atak hi gayi meri...

SAM & KHANAK.....is waqt diwaar ki ot se sate dono kiss kar rahe the ek dusre ko...

SAM ki peeth meri taraf taraf thi aur KHANAK jiski aankhen band thi,uske dono haath SAM ke peeth par kase hue the...

MAI-SAMMMMMMM....

kuch pal ki chuppi ke baad dahada maine SAM ka naam jispar naa sirf ek jhatke me ek dusre se alag hue woh dono balki jaise hi un dono ki nazarein padi mujhpar,chehra safed padta chala gaya dono ka....

kuch bolne ki haalath me nahi the woh dono..KHANAK toh phir bhi kisi tarah beech beech me dekh rahi thi mujhe par SAM ki aankhein zamin me dhas si chuki thi..

aur jab un dono ko kuch pal dekhte rehne ke baad unki taraf badha mai toh isse feel kar pair kaampne lag gaye the SAM ke..

MAI-bhosdike..

SAM--khhokkkkhhhh.....

gala pakad diwaar se laga diya tha maine SAM ko jispar saans lene ki koshish karte hue haath pair hilaane laga woh...

judo,karaate sab mai training thi uski par mind aisi panick situation me chala gaya tha SAM ka ki mere haathon ki giraft se khudko chhudaane ki koshish bhi karne ke laayak nahu raha tha woh..

KHANAK-SANVY, realise him...

KHOKKHHHHH.....

SAM ke gale ko mere haath ki giraft se chhudaane ke liye aage aayi thi KHANAK par tabhi apne left hand se uska bhi gala pakad usse SAM ke baaju me hi chipka diya tha maine...

MAI-saale,dost bolta tha tu mujhe...!!!!dost..!!!! behenchod tu toh dushmani ke laayak bhi nahi hai bhosdike...

aur tu, aankhein mujhse ladayi aur honth isse... sharafat ki odhni aur chehra neechta se bhara...

SAM-bhai SANVY,KHANAK ki koi galti nahi hai aur yaar tune hi toh shart lagayi thi mujhse ki mai isse pata kar dikhaun..

ab jab pata liya toh...

KHANAK-maine bhi kitni koshish ki,tumhe hint diye par tumne koi sahi response hi nahi diya.. isiliye...AKKKHHH...

atak atak kar mushkil se itna bola hi tha SAM ne jiske baad KHANAK ne bhi apna excuse badi mushkil se confess kiya par uski baat sun thoda aur zor se daba diya tha maine uska gala jispar mooh band aur aakhein badi hone lagi thi KHANAK ki...

MAI-pataane ka matlab sexual hona kab se ho gaya be....aur tu,12 ghante me mujhme interest kam aur isme itna zyada ho gaya ki chumne lagi tu isse...

KHANAK ka mooh ab kuch zyada hi laal hone laga tha isiliye uske gale ko chhod diya tha maine...

khaanste hue woh bas apni saanson ko durust karne me lag gayi thi...

MAI-tera pichwada toh bohot baar bachaya hai maine SAM..par aaj usse aur tujhe todunga bhi mai...

behenchod...

ye bol mukka bana SAM ke face ki taraf ghuma diya tha maine jispar HIT ke impact karne se pehle hi apni aankhen band kar li thi SAM ne..

HAHAHAHAHAHAHAHA.......CLAP,CLAP,CLAP....


kuch seconds baad bhi jab SAM ne punch feel nahi kiya toh hairani hui usse par phir gunji is compartment me meri hasi ki awaaz jisse sun ek jhatke me apni aankhein khol aur badi kar dekhne laga woh mujhe..

SAM hi kya,KHANAK bhi apni saanson ko durust karne ke beech mujhe,meri ia loud hasi ko hairangi se dekhe jaa rahi thi..

wahin haste hue pure compartment ek chakkar laga diya tha maine jiske baad..

MAI-jab aashiqon ka dil tooththa hai,unhe dokha milta hai toh jaisa reaction hota hai unka,waisa hi tha mera ya performance thodi weak thi...

SAM-mmatlab..

situation aur mera reaction SAM ke samajh se bilkul bahar thi aur aise moukon par aksar zubaan ladhkhada jaati hai aur wahi hua SAM ke saath..

SONU ki tarah haklaate hue picha tha apna ek shabd ka sawal usne jispar KHANAK ko dekh jiske face par sawaal hi sawaal dikh rahe the, muskuraya mai aur..

MAI-so you like SAM...!!

KHANAK-what..!!!

ye simple sawal bhi is moment me unexpected hi tha KHANAK ke liye..

MAI-simple question..!!!do you like SAM...!!!

KHANAK-yyyaaaa...yes....

MAI-i don't think so...

KHANAK-excuse me...!!!

MAI-yup..and i can prove it...

SAM-bhai bol kya raha hai tu...!!!

MAI-tujhse toh kuch bol hi nahi raha hun be.. chup reh..

halka ghurra kar boli thi maine ye baat jispar mooh sil hi gaya SAM ka...

MAI-so,ready for the proof...!!! feko be andar...

DHABBBB..DHABBBB...DHABBBB...DHABBBB....

meri kahi baat ka matlab toh samajh nahi aaya tha KHANAK ko par itna toh woh ab mere baare me andaza laga hi chuki thi ki meri baatein illogical nahi hoti balki to the point hoti hai...

aur jab agle hi pal kuch bodies giri ussike pairon ke paas toh naa sirf KHANAK ko meri baat ka matlab pata chal chuka tha balki ek hi second me uska confusing face safed padh chuka tha...

chehra toh straight hi tha uska par aankhein tezi se bheegne lagi thi KHANAK ki..

aur ye sab dekh ab SAM ke face par hairangi dikhne lagi thi..

waise uski hairangi ke kaaran aur bhi the..

pehli wajah toh B section ke hamare rivals, ROHAN,AJAY,AMIT, BHAVESH,NEERAJ aur unke senior friend aur supporters ALOK aur KAMAL the.. AJAY'S brother...

mooh suje pade the un sabke aur ye seva ki thi un bando ne jo is waqt mere paas aakar khade ho chuke the aur SAM ki hairangi ke dusre reason bhi the..

RIZWAN ASHRAFI aur uske dost..

(NOTE:-update 27 me bataya gaya hai rizwan ashrafi ke baare me..kamal ka classmate aur don type banda hai ye jo SANVY ko bohot maanta hai)

MAI-thanks brother..i owe you one..

RIZWAN-paagal hai kya..!!!mujhe dusre school ke ladko se save kiya tha tune woh bhi do,do baar...par most importantly,meri ammi ka accident hone se bachaya tha tu...

saale karzdaar zindagi bhar ka mai tera hun..

MAI-i will take it from here...

muskurate hue gale lag mujhse apne friend's ke saath nikal gaya RIZWAN...

SAM-ye sab...!!!

MAI-chill kar chodu... gunahgar apne gunaah ka bakhaan khud karega...

aaj meri awaaz me SAM ke liye wahi tone tha jo ROHAN aur uske jaise ladko ke liye hota tha..

feel kar liya tha is change ko SAM ne isiliye sir ek baar phir jhuk gaya tha uska..

AHHHH...


ROHAN ko ek zor ki laath maari maine jispar karahaate hue mooh halka upar kiya usne..

aisa hote hi uske baal piche se pakad kheenche maine aur mere aisa karte hi bilbila utha woh...

KHANAK-please,chhod do usse...

MAI-kyun...!!!

KHANAK-PYAAR KARTI HUN MAI ROHAN SE....HE IS MY BOYFRIEND...










ABHI KE LIYE ITNA HI...










AAPKA APNA V...J...
Khatarnak twist bhai
 
Top