AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DIMPLE AUR ROUNAK KO RASHID REZA KE DEATH KI NEWS MILTI HAI,DUSRI TARAF SANVY ADYA NAAM KI LADKI KO DOOBNE SE BACHATA HAI WAHIN TEESRI TARAF EK ANJAAN SHAKSH MAA AUR BETI DONO KO MAAR DETA HAI.
AB AAGE:-
CHAPTER-1
(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)
UPDATE-43
1ST JUNE
CITY-DEHRADUN
PLACE-THANO FOREST AREA
INTERESTING....
NOT BAD.....
THANO range naam ke village ko piche chhod jab VERONICA finally ussi gaanv ke naam par bane forest ke halke dense area me pahunchi toh apne se 3 feet aage kuch dekh pehle uski aankhein sikudi aur phir VERONICA ke face par smile naach uthi thi...
ghaans ki tarah zameen par ugne waale patton ke ghane jhurmut ke beech halka gap dekha tha usne jo natural nahi feel hua tha usse..
apni paini nazaron ko jab thoda aur tez kar saamne focus kiya VERONICA ne toh agle hi pal usse us gap me aadhe chaand ki shakal liye moti lakdi ke deedar ho gaye the.
12th century me use karne waala foot lock tha woh jispar pair padte hi woh lakdi ek faans ki shakal leti hui turant shrink hoti hai..
natija,pair usme turant fas jaata hai...par ye lock sadharan nahi hota..
12th century based ye trap lock aajke daur ke scientific maharath ke namune se lais hota hai..
us half moon shaped wood me chaaron taraf behadh chote chote blocks bane hote hain jinke andar hota hai HALOTHANE aur INFLURANE ka ek combined unconscious karne waala gas...
jaise hi wood lock pair ko jakadta hai,ussi foot ke pressure se woh fainting gas release ho jaata hai jiske agle hi pal khudko us trap lock se nikaalne me focused banda gas inhale karte hue behosh ho jaata hai...
par VERONICA ne dekh liya tha us trap lock ko par impress woh lock se nahi balki uske saath kiye modification se hui thi..
darasal ye trap lock zamin ke roots ko khod kar kiya jaata hai taaki jab usme fasne waala shaksh khudko chhudaane ke liye taakat lagaye toh lock khudko kuch seconds hold kar paaye par yahan kuch aur kiya gaya tha...
us trap lock se do sire nikaal unme DYNEEMA (strongest string)fasa zameen se hi usse chuppa lete hue kuch door dono taraf ke pedon me fasaya gaya tha...
jaise maalum ho us trap lock lagaane waale ko ki jisse fasaane ke liye woh trap lock rakha gaya hai usse hold karkar rakhna asaan nahi..
joki sach bhi tha... VERONICA ke liye hi tha woh lock jisme usse fasaana toh door,trap ko uski tez aakhon se chuppa bhi nahi paaya tha trapper...
TANNGGGGGGG....
SOOBHHHH...SOOOBHHHHH...
us DYNEEMA string ke saamne baith usse guitar strings ki tarah apni ungli se push kar chhod diya VERONICA ne aur uske waisa karte hi woh string tezi se ghanghana utha..
abhi ye hua hi tha ki ki tabhi ek taraf se bada sa spear aur dusri taraf se ek ke baad ek 3 electronic arrows VERONICA ki taraf badh chuke the par tabhi..
us DYNEEMA string ko tightly hold kar kheench diya VERONICA ne jisse trap ke saath saath woh string bhi bahar aa gaya...
dono taraf se bandhi us string ko badi tezi se ghumaya VERONICA ne aur uske waisa karte hi dono taraf se uski taraf badh rahe arrows aur spear string se takra neeche gir gaye.
split of the second se bhi kam waqt me us double sided deadly attack ko block kar diya tha VERONICA ne par reaction uska aisa tha maano kuch hua hi nahi.
haath jhada woh araam se apni jagah par khadi ho chuki thi...
"WRONG IS NOT WRONG IF THE RESULT IS RIGHT"...
VERONICA ke theek piche apne ghutno par kul 4 log baithe hue the...
VERONICA ke respect me haath un sabke apne heart ke upar the..
un sabke mooh se ek saath nikla tha ye quote jisse sun..
VERONICA-at ease...
VERONICA ke permission par haath neeche kar khade ho gaye the woh sab.
beech ki shakshiyat ko chhod baaki ke 3 joki first time saamne se dekh rahe the VERONICA ko,usse dekh unki aankhon me admiration saaf jhalak rahi thi..
nervous bhi the woh VERONICA ke presence se aur uski personality joki calm hone ke baawjud us samandar ki tarah thi jo bade se bade tairak ko bhi apne roop se dara deti hai,woh ghabrahat woh teeno mehsoos kar rahe the apne andar..
khair,un teeno ke beech khadi chowthi shakshiyat jo VERONICA se anjaan na thi,woh kuch kehne ko hui par tabhi...
VERONICA-maafi maangne ki zaroorat nahi hai...
meri sharpness jaanchni thi tumhe,i get it..
UNKNOWN-itna hi nahi.jinki combat techniques ke video, planning outlets ke charts joki humanly impossible se kam nahi, read kar ye teeno yahan tak pahunche hain,us shakshiyat ki khubi live dekhne ki iccha thi inki...
COEFF'S.. introduce yourself...
1ST-hello ***... it's an huge honour to meet you in person..mera naam..
VERONICA-MELBIN SAMUEL... Gujarat ke Jamnagar me paida hue the aap..
lower middle class family se the aap..lbs hindi medium school se 12th pass out kiya tha aapne..
minimum facilities ke baawjud district top kiya tha aapne aur phir apne batch ke IIT topper bhi reh chuke hain aap...
hindi medium me padhne ke baawjud apne 18th birthday se pehle English ke saath german, french aur Chinese bhi fluently bolne lage the aap...
ab toh aur 10 international languages me pakad bohot smooth ho chuki hai aapki..
hamare saath judne ke liye microsoft,quolcomm aur google se bhi hefty pakages job offers ko reject kiya tha aapne aur mahaz teen saal me **** tak promote ho chuke hain aap...
aap hain MIA BROWN... father indian the aapke aur mom British..waise toh acadamics aur sports, dono me hi school times se champ rahin hain aap but aapki sabse zyada ruchi shuru se hi computers me rahi hai..
COW.,INTERCAL,MALBOLGE jaisi complexed codings bhi school time me hi asaani se crack kar leti thi aap..
and now,high level polymorphism features se bane metamorphic pc viruses ko bhi C++ ke average coding ke through bhi decode kar leti hain aap..
world ki one of the best whitehat hacker hain aap aur **** ke digital security ki backbone bhi...
and for you, VIJENDRA SINGH...duniya ke lagbhag sabhi combat techniques ke last level expert hain aap...
aur jahan tak mujhe andaza hai,ye trap lock ka idea bhi aapka hi hoga...
intro se pehle hi un teeno ka pura kaccha chittha khol kar rakh diya tha VERONICA ne jispar ek pal ko hairan hue the woh sab par phir un teeno ke hi brain me strike hui unke saamne khadi shakshiyat ki pehchan jiske baad bas smile hi bachi thi unke faces par show hone ke liye...
VERONICA-so, mujhe bulaya hai yahan matlab...
UNKNOWN-yes,we have located G.O.D...
VERONICA-GALATH...
pichle 8 saalon se duniya ke har desh ke har city me 24/7 monitering ki hai tum sabne..
just to get a hold on HIM...kar paaye kya..???nahi..
par agar ab nazar aaya hai woh iska matlab hai ki he himself has surfaced taaki tum usse locate kar sako..
face covered tha...!!!
MIA-yes ****...aur image enhancing ke baad bhi we can't get his face...
VERONICA-phir mujhe kyun bulaya...!!!
UNKNOWN-to show this...
apna tablet aage kar diya tha us unknown shaksh ne jisse dekhte hi aankhen band ho chuki thi VERONICA ki...
tablet me do blocks bane the..ek me kisi anjaane shaksh ki pic thi jo kisike ghar se nikal raha tha..
paas me hi lage C.C.T.V se li gayi thi woh image.. dusre block me ek chota sa video tha jisme wahi shaksh apne ek haath ke index finger ko alag alag tarah se hawa me wave kar raha tha...
UNKNOWN-jis ghar se nikal raha hai WO,there he killed two people.
anyways,tumhare bete ki B.M.X ka exact model ride kar raha hai woh..iska matlab..
VERONICA-he knows...jaanta hai woh hamari location...
UNKNOWN-aur isiliye i think it's time ki you and SANVY move on from here..
VERONICA-you cant hide from G.O.D.usse maalum hai aur mai ab bhi zinda hun,iska matlab hai it's not his time...his chosen time..
taklif bas is baat ki hai ki us waqt ko bataane ke liye khel khel me woh najaane kitne maasumo ki jaan le lega..
just try and avoid that damage...
UNKNOWN-tumhe kuch nahi hoga...i am doubling yours and SANVY'S security...
VERONICA-oh common on..you think sidhe sidhe anybody can harm me or my son..
itni haisiyat kisiki bhi nahi...G.O.D apne organization ke best bunch ko bhi bheje toh un sabke aankhein jhapkaane se pehle hi unke sir dhad se alag kar dungi mai..
achanak hi ek ghussa dikhne laga tha VERONICA ki aankhon me..
ek paagalpan jisse us unknown ne toh behadh kareeb se mehsoos kiya tha but VERONICA ke cold look ko dekh uske saath aaye teeno ki haalath hi kharab ho chuki thi...
MIA-mmmaam,ye jo haath wave kar raha hai woh shaksh,ye random nahi hai..
it's actually a sentence jo woh hawa me likh raha hai.. it's says..
VERONICA-"YOU CAN NEVER HIDE FROM GOD'S EYES....
pehle yunhi dekhna,phir dhyan se watch karna,tedhe medhe aur behadh tezi se ghum rahe haathon ke movement ko computer se slow karna aur phir us ungli ki harkat ka meaning nikaalna..
jahan is procedure me time laga tha MIA jaisi talented ladki ko bhi wahin bas ek second bhar dekh un movements ka matlab samajh liya tha VERONICA ne...
MIA,VIJENDRA,MELBIN...suna toh bohot tha but aaj live us chote se demo par woh teeno hi shockingly super impressed hue the VERONICA se..
VERONICA-anything else...
UNKNOWN-no..
VERONICA-keep up the good work guyz...and never stop learning...
TEENO-thanks **** and we will...
palath kar nikal gayi thi VERONICA...aur usse piche se jaate dekh..
MIA-wow...she definitely is something else..
UNKNOWN-she's VERONICA PAUL AHARYA...the best...
but hopefully,ye tag bohot jald hath jaayega uske sir se..
VIJENDRA-matlab...!!!!
UNKNOWN-ek nuclear bomb in the making hai inke paas..inka beta...
SANVEER AHARYA..
PLACE-MINDROLLING MONASTERY
WOW... IT'S SO BEAUTIFUL....DUSRA SAAL HAI MERA DEHRADUN ME AUR YAHAN IS MONASTERY KI KHABAR TAK NAHI THI MUJHE..
MINDROLLING MONASTERY ke gigantic premise ke bahar se hi andar monastery ke first temple ki khubsoorati ko nihaar rahi thi RASHI..
RASHI hi kya, baaki sabki nazar-e-samajh bhi kuch aisi hi thi...
DEHRADUN ke north edge me clement town ke outskirts par 1965 me KHOCHHEN RINPOCHE dwara banaye gaye 6 NYINGMA SCHOOL OF BUDDHISM me se ek thi MINDROLLING MONASTERY...
waise toh RASHI ko chhod hum sabhi yahan kabhi na kabhi aaye hi hain but as a whole group ye hum sabka is monastery me first visit hai,thanks to NEW GIRL...
vacations ke last 2 hafte hi bache hain.kal mile the hum sab jahan ussine aaj yahan aane ki iccha jatayi jisse sabhi girls ne back kiya.
natija...here we are...
RASHI-wow.. that's some art...!!! kitna huge hai..
monasteries gate ke andar aate hi LORD BUDDHA ki 35 gilded statue ko awe struck hokar dekh rahi thi RASHI...
ANJALI-babes, it's also a home to 2nd largest statue of Padsambhava..
ANJALI ke baat ke beech apne hand bag se apna DSLR nikaal chuki thi RASHI jisse us bade se statue ko woh capture karne hi waali thi ki...
YAHAN PHOTOS LENE KI IJAAZAT NAHI HAI...
LIGHT SAFFRON DYED ROBE pehne hamare piche khade the ek middle aged person jinki baat sun RASHI ne turant DSLR wapas apne hand bag me daal diya tha..
wahin pics ke rule ko bata woh shaksh aage badh chuke the...
RASHI-arre yaar,itni sundar jagah hai aur pics lena allowed nahi..shit...
ek taraf bade se fountain ke beech artifact bana hua tha..dusri taraf bohot saare varieties ke flowers ko khudme samete ek behadh khubsoorat garden tha..
aise hi bohot se eye catchy scenes the pure monastery me jisse apne camera me capture na kar paane ki sadness dikhne lagi thi RASHI ke face par..
MAI-gaur se dekho in saare nazaaron ko..apne andar mehsoos karo inki khubsoorati ko...
is jagah ko jeete hue jab palke jhapkaaogi,toh aankhein tumhare zehen me is pure drishya ko hamesha ke liye kaid kar dengi...
boli maine ye saari baat RASHI se thi,par aisa karte hue mai khud nazar ghumate hue yun dekh raha tha monastery ko maano apni baat ka khud live demonstration bhi de raha hun...
wahin RASHI bhi meri baaton ko sunte hue jaise mere demonstration ko samajh rahi thi..
baaton ki aakhir me ghuma mera sir RASHI ki taraf aur...
MAI-camara se li hui har click,photo delete hoti hai,par aankhon ke zariye dil aur dimaag me utre tasviren umr bhar zehen me zinda rehte hain...
koshish karke dekh lo..
jahan RASHI ko wink kar fountain ki taraf badh gaya tha mai wahin meri baat sun RASHI toh impress hui hi thi par usse zyada impressed aur usse bhi zyada shocked new girl hui thi..
mujhse itni zyada deep baaton ki ummid jo na thi chhori ko..
khair,mujhe fountain ki taraf jaata dekh baaki sab bhi ussi taraf ho liye the..
NAISHA-yaar,woh jin monk ne RASHI ko pics click karne ke liye mana kiya tha,unke robe light saffron ke the but ye saamne meditation me baithe monks ke clothes dark saffron ke hain... aisa kyun..!!!
fountain ke aage bane shed me kuch monks meditation kar rahe the jinhe dekh pucha tha apna sawal NAISHA ne..
DIMPLE-ye jo saamne meditation me baithe hain,woh MONKS hain but jinhone RASHI se baat ki woh LAITY the,MONK nahi..
KHANAK-LAITY...!!!woh alag hote hain kya..!!!
DIMPLE-LAITY is the first step...MONKS ki tarah woh ordained nahi hote...
khaane peene aur baaki chizon ke liye MONKS LAITY par hi nirbhar karte hain...
un meditation kar rahe monks ko dekhte hue baaki sab aage badh rahe the..
wahin mai bhi fountain ke aage bane ek hold par baitha un monks ko ek tak dekh raha tha..
aakhein meri un sab par sthir thi.. meditation karte hue un sabke faces par dikh rahi shaanti mujhe sukoon de rahi thi...
fountain se ho rahi paani ki kalkal us shaant mahoul ko badi shararat se houle houle todne ki koshish kar rahi thi par asar pura ulta hi padh raha tha..
ek anthin shaanti se bhara hua tha yahan ka mahoul jisme un monks ke saath mai bhi doob sa chuka tha..
NITS-abbe mar gaya kya...!!!!
teen chaar baar mujhe awaaz dene ke baad bhi jab koi faayda nahi hua toh mere paas aakar mere kandhe ko zor se hilaya NITS ne jispar hadbadte hue toota mera dhyan..
MAI-kya hai be...kitni baar bola hai tereko,bina nahaye dhoye chhua mat kar mujhe...
ashudh kar diya mujhe...
CHATAKKKHH...
NITS-maaaaaddhhhhuri.....
NIT ke sir ke piche chetul me ek zor ka tamacha bajaate hue un meditation me baithe monks ke baaju se hota hua aage ki taraf bhaag gaya mai.
wahin apna chetul pakad gaali bakne ke beech hi jagah ko dekh shabd change karte hue NITS bhi bhaaga tha mere piche...
DHAPPP...
bhaagne ke dauran piche NITS ko dekhne ke chakkar me saamne se aa rahe ek MONK se takra gaya mai...
impact uske liye thoda zyada tha isiliye neeche gir gaya woh...
kuch aur bhi MONKS the uske saath jo is achanak hue takraav se thoda hadbada gaye the...
MAI-oops..sorry uncle..waise mai toh peeche dekh raha tha par aapki nazarein toh saamne ki taraf hi thi...hath sakte the aap...
maana ahinsa waadi hain aap par itne slow reflexes hona achi baat nahi..
jahan masti me apni baat bol aage badh chuka tha mai wahin pehle mujhse hui takkar aur phir meri baatein achi nahi lagi thi us monk ko..
same negetive vibe uske saathi monks ke faces par bhi saaf dikh rahi thi jo mujhe aage jaata dekhte hue apne saathi monk ko utha rahe the..
is beech monk se meri takkar ko dekh NITS ne bhi bhaagna chhod diya tha..
woh bhi baaki sab ke saath chupchaap un monks ki toli ke baaju se aage jidhar mai gaya tha,badh chuka tha..
un sabme sabse aakhir me thi DIMPLE jisse mera monk se hue takkar ke baad ka behaviour acha nahi laga tha...
SAM-abbe,udhar kidhar jaa raha hai..!!! PROHIBITED AREA likha hua itna bada board nahi dikh raha kya tujhe...
aage badhte hue jab mai ek newly bane block ke andar jaane laga tha toh piche se bol utha SAM jisse sun...
MAI-suna hai LORD BUDDHA ke bohot se rare 3d artifacts, murtiyan rakhe hain idhar jinhe is sunday publically show karne waali hai monastery.. let's peep it a bit..
NAISHA-haa suna toh maine bhi hai ki aise buddha artifacts aur idols pehle kahin bhi dekhe nahi gaye honge..
KHANAK-agar itne hi ache aur rare hain woh artifacts toh is block ko secure kyun nahi rakha gaya hai..!!
SAM-web cams lage toh hain..aur waise bhi,ye ek buddhist monastery hai,yahan security,over hyped protocols nahi rakhe jaate..
DIMPLE-bharosa karte hain monastery ke incharges yahan aane waale logon par..
they believe ki unki baat maanenge log.. isiliye hi sirf ek board rakha hai unhone..
hume bhi unki soch ki respect karna chahiye...
RASHI-hey,ye SANVY aur ANJALI kahan gaye...???
hum dono hi nadarad the jisse dekh ladkiyan toh idhar udhar dekhne lagi par ladke has diye aur..
EKPREET-yahan moral ethics par discussion chaalu tha aur udhar woh dono block ke andar chale bhi gaye...
woh restricted block jo ek stairway ke roop me us bade se hall ki taraf jaata tha jahan exibition waale artifacts rakhe hue the,badh gaya EKPREET jiske piche baaki sab bhi ho liye the..
DIMPLE bhi meri ek aur nayi bachkani harkat par sir shake karte hue un sabke saath ho li thi...
WOW......!!!!
sabhi ke mooh se ek saath nikli thi ye taarif joki sahi bhi thi...
LORD BUDDHA aur unhiki tarah kuch ancient artifacts aur idols se saja tha woh bada sa hall jahan hum sab us stairway se hokar pahunche the...
samandar ke beech baithe LORD BUDDHA ki murti jo dikhne me itni original lag rahi thi maano abhi apni aankhein khol degi...
aluminum silver metal artifact, meditative thai buddha mid height statue,46 gorevision's indian god idol aur aise hi bohot se behatarin kala ke namune rakhe hue the hall me...
RAJAT-holy cow...what a master piece man...!!!saala banaya kaise hoga banane waale ne isse...
un saare murtiyon aur artifacts ke beech rakhi ek 10 feet badi si lord buddha ki murti...
dark colour ki thi woh statue par phir bhi usse ek whitish colour bahar nikal raha tha jo us murti ko hadh se zyada eye catchy bana raha tha..
par us statue me sabse zyada akarshak thi woh clay se bani aag jo LORD BUDDHA ke dono haath jo dhyan mudra me aage ki taraf jude hue the,uske beeecho beech jal rahi ho, waise dikh rahi thi...
maatra ek illusion ki tarah tha woh aag par dikh natural raha tha..
us aag ko kuch aise banaya gaya tha ki uski lou se LORD BUDDHA ke face me bhi halki halki light padh rahi thi..
LORD BUDDHA ki aankhein band thi par phir bhi dikh aise rahi thi maano halki khuli hui ho...
murti ke theek piche ek shadow bhi banaya gaya tha jo second buddha ki tarah lag raha tha...
yahi reason us artificial fire ko aur zyada live bana raha tha...
unbelievable art work..
mai toh pehle hi us murti ke paas aakar khada ho chuka tha aur ab baaki sab bhi mere ird gird khade ho chuke the...
KHANAK-magnificent..wakayi yaar,kaise banaya hoga isse..!!!
DIMPLE-ancient greek method se bana hai IDOL...BELL KRATER,SKYPHOS aur KANTHAROS..
in teen ancient clays se banaya gaya hai ye statue...
EKPREET-tumhe kaise maalum..!!
SAM-are you serious...sawal toh ye hai ki yahan uttarakhand me this statue is the most talk about thing right now..
sunday ko jo exibition hai,uska kendra bindu yahi statue toh hai..
C.M aur naa jaane kitne hi V.V.I.P'S aa rahe hain in saare idols aur specifically is "THE THREE ASPECTS" ko dekhne ke liye..
SONU-tthe tthree assppects...!!!
DIMPLE-is idol ka yahi naam hai..
NITS-hain.!!!kaahe...!!!
DIMPLE-ye toh mujhe bhi jaanana hai...
MAI-abbe aspect code word hai...code for rokda...
aur saamne laga teen isiliye taaki koi agar iski boli lagana chaahe toh teen guna payment dena pade usse...
"KUCH CHIZEN ITNI ANMOL HOTI HAIN KI UNKE AAGE PAISA BHI APNI HAISIYAT KHO DETA HAI"...
meri baat par koi kuch kehta ki tabhi hum sabke piche se aayi thi ye nayi awaaz jispar jab hum sab palte toh humse thode door khade shaksh ko dekh ek second ke liye aankhein badi ho gayi sabki aur saath hi saath hum sab turant hi attention position me aa chuke the...
VAJRA BODHI...
one of India's most famous and most respectable BHIKKHU..(fully ordained,last level of MONKS)
THE LAST ASIAN SOHEI ke naam se bhi mashoor the VAJRA BODHI...
(SOHEI-THE WARRIOR MONK..MEDIVEAL JAPAN KE ANCIENT COMBAT TECHNIQUES ME MAAHIR)
isiliye hi india hi kya,pure asia ke har renowned monastery me jaana maana naam the VAJRA BODHI...
pitah indian aur maa Chinese thi inki...
kisi bhi state ke C.M ko bhi inse milne ke liye waqt lena padta tha..
6 feet se bhi halka upar nikal rahe kadh waale kareeb 50 ki umar ke VAJRA BODHI jinke sapat lalaath se unke andar ka tej saaf jhalak raha tha,khade the hamare saamne.
woh MONK jo bahar mujhse takrakar neeche gira tha, apne kuch saathiyon ke saath unke peeche khada tha...
ye saare artifacts,idols VAJRA BODHI ke dekh rekh me hi laaya gaya tha yahan aur sunday ko hone waale exibition jiski charcha har taraf thi, uska mukhya kaaran bhi VAJRA BODHI hi the..
unke darshan ke liye hi hazaron ki tadad me bheed ikattha hone waali thi yahan..waise toh DEHRADUN woh kal aane waale the par unke swagat me umadne waali bheed ko avoid karne ke liye hi woh aaj subah hi yahan monastery me aa gaye the..
khair,hamare saamne khade BHIKKHU VAJRA BODHI ka chehra bilkul shaant par aankhon me halki narazgi thi jisse aur kisine toh nahi par meri aankhon ne dekh aur samajh liya tha..
unhe dekh jahan mere sabhi dost including new girl kaafi nervous ho gaye wahin meri aankhon me ek chamak thi jisse halke jhuke hone ke kaaran koi dekh nahi saka tha...
VAJRA BODHI-vesh bhusha se ache gharon ke padhe likhe bachche lag rahe hain aap sab...
aisa toh ho nahi sakta ki bahar saaf aksharo me PROHIBITED AREA nahi padha hoga aapne...
dheere dheere hamare paas aate hue theek hum sabke saamne khade ho gaye the VAJRA BODHI jispar jahan baaki sabke chehre neeche ho gaye the wahin mera chehra toh neeche nahi tha par nazarein halki neechi thi..
ANJALI-sorry sir...woh hume in artifacts,idols ko dekhne ki iccha thi isiliye yahan aa gaye...
VAJRA BODHI-icchayen jab raah bhatka den toh manushya GALATH ban jaata hai..
jis umar me hain aap sab,man ka vichlit hona,niyamo ko naa maanana aam baat lagti hai,par hai nahi..
sayyamit kijiye apne ugr man me panapne waale nakaratmak aur uddand khayalon ko,taaki soch aadatein aur aadatein vyaktitv na ban jaaye...
MAI-soch,aadat, vyaktitv...bhram hain ye shabd jinhe paida bhi dimaag ne kiya hai aur agar chaahe toh khatm bhi dimaag bade araam se kar sakta hai...
par uske liye bhi ek dridh aur sakaratmak soch ki zaroorat hai..aisi sakaratmak soch jo aadat ban jaaye aur phir woh aadat,vyaktitv...
itni der me pehli baar aankhein upar kar VAJRA BODHI ko sidhe dekhte hue kahi thi maine ye baat jisse sun jahan ek taraf mere baaki doston ko lagne laga tha ki maine GALATH panga le liya tha,dusri taraf new girl meri kahi baat ka matlab samajhne ki koshish kar rahi thi wahin teesri taraf VAJRA BODHI, jinki aankhon me ab tak halki narazgi thi,mere tark ko sun unme hairangi dikhne lagi thi par ye bhaav bhi shanik hi the..
jaise hi meri aankhon se mili unki aankhein toh agle hi pal kuch mehsoos kar chamak uthi thi VAJRA BODHI ki eyes.
woh meri taraf badhne ko hue hi the ke tabhi..
ANJALI-sorry sir..he didn't mean anything wrong...
we will be leaving now..yahan bina permission aane jaisi galti dobara nahi karenge hum..
ANJALI jaanti thi ki jab mai kisi baat par, logic par apna point rakta hun toh i never back off from my words..
aise me VAJRA BODHI jaisi great aur world renowned shaksh ke saath behes ho jaati meri jo bohot GALATH hota isiliye beech me apna paksh rakh woh mera haath pakad aage badh gayi..
baaki sabne bhi VAJRA BODHI se sorry kaha aur hamare saath ho liye the..
wahin is beech VAJRA BODHI ki nazar mujhse hati nahi thi aur jab hum sab unke aaju baaju se hokar aage nikal gaye toh..
VAJRA BODHI-"THE THREE ASPECTS"..LORD BUDDHA ke is idol ke naam ka reason jaanana nahi chaahenge aap...
VAJRA BODHI ke aane se pehle waali hamari convo sun li thi unhone isiliye ye sawal kiya tha unhone jispar sabse pehle kadam ruke the new girl ke..
DIMPLE-mai jaanana chahti hun..!!!
new girl ke saath hum sab bhi rook kar VAJRA BODHI ki taraf mood chuke the...
VAJRA BODHI-teen sawal hain mere jinke jawab aapko dene honge.
unhi jawabon me woh teen aspects chuppe hain joki is idol ke madhyam se sansaar ka sach bhi hai..
taiyar hain aap..!!!
DIMPLE-bilkul...
ek tarah se challenge kiya tha VAJRA BODHI ne hum sabko ya phir ye kahun ki mujhe aur challenge se piche hatna hamari new girl ke life dictionary me toh tha hi nahi..
khaaskar tab toh bilkul bhi nahi jab sawal VAJRA BODHI jaisi personality kar rahe the..
unke sawalon ke jawab dekar unhe impress karna kaun nahi chaahega bhala..
VAJRA BODHI-maansik aur bhaavnatmak duniya ke aise 8 DAR aur NUKSAAN hain jo asal zindagi ke liye nakaratmak hain...
galath vichar,ghamand,jalan, nafrat,swah-judaav,shak,laalach,agyanata...
in 8 dar me se ek dar aisa hai jo baaki 7 dar ko janm deta hai..kaun hai woh...!!!???
Buddhist psychology se juda sawal tha ye jisse sun DIMPLE ke chaand jaise rukhsaar par suraj ki roshni bikherne waali muskurahat naach uthi..
DIMPLE-attachment,khudse judav....
apne dum par koi bhi insaan apna ek baal tak nahi paida kar sakta phir bhi dikhata aise hai jaise puri shrishti ussise kaayam hai...
I,ME,MY....ye saare shabd,unse jude bhaav insaan ko akela kar deti hai..
akelapan paida karta tha insecurity aur insecurity janm deti hai baaki 7 daron ko...
VAJRA BODHI-sahi jawab...agar dhyan se dekho toh paaoge ki LORD BUDDHA ke dono haathon ke beech jal rahi ye agni issi judaav ko paribhashit kar rahi hai...
LORD BUDDHA ke is idol ko BELL KRATER,SKYPHOS aur KANTHAROS,in teen clay's ke mishran se banaya gaya hai aur jo agni is idol ke dono haathon ke beech hai,woh bhi in teen clay's ko acacia gum ke saath milakar joda gaya hai..
ye agni sirf ek pradarshani nahi hai balki woh jod hai jisse IDOL ke dono bhaag ek dusre ke saath jude hue hain...
is idol ka pehla aspect yahi sandesh deta hai ki akele hokar bhi aap kabhi akele nahi hote..
any and everytime,in different forms of nature,we all are surrounded by a life support...zaroorat hai toh bas us sakaratmak nazariye ki jisse ye judaav dekha jaa sake..
DUSRA SAWAL....
DHYAN aur PRARTHNA me kya fark hai...???
ye ek aisa sawal tha jo sunane me bada easy lagta tha par jab is question ko evaluate kar sentences me differentiate karte hue jawab dena ho toh woh kaam bada mushkil ho jaata tha..
same confused feelings baaki sabke faces par saaf dikhayi de rahi thi siway DIMPLE ke.
haan,puche gaye sawal ke jawab ko sahi se dimag me arrange karne me thoda waqt laga usse par ye duration sahi result ke saath saamne bhi aaya..
DIMPLE-prayer...praarthana...ye ek ucch shakti yaachika ke baare me hai,aam tour par us shakti, us bhagwan ki puja karna...
log alag alag reasons se praarthana karte hain,kabhi bhagwan ki seva karne ke liye, kabhi apne vishwaas ko express karane ke liye aur kabhi ishwar se madad maangane ke liye...
wahin dhyaan apne swayam ke efforts ke through abhyaas me nirdeshit parivartan ke baare mein hai..dhyaan me baitha shaksh apne khudke dimaag se apne sharir aur dimaag par focus karta hai...
is mudra me na koi maang hoti hai,na khwahish,na ummid... bas sharir aur chith hota hai jo ek waqt ke baad do naa hokar ek ho jaata hai..
new girl ka jawab pura ho chuka tha jiske baad VAJRA BODHI ke face par ubhri behadh halki si smile ye saaf bata rahi thi ki woh DIMPLE ke answer se kitne khush the...
VAJRA BODHI-dusra aspect yahi hai..
the importance of MEDITATION and PRAYER...
LORD BUDDHA ke is idol ki aankhein dekhiye..band hone ke baawjud khuli hui si dikh rahi hai...
aisa hokar ye PRAYER aur MEDITATION ka human life me importance bata rahi hai...
agar ek manushya har din usse mile 24 ghanton me se 1 ghanta in dono cheezon me lagaye toh aaj ke ativyast jeeven shaili ke bache 23 ghante uske behadh saral ho jaayenge..
TEESRA SAWAL ke liye mere piche aayiye..
apni baat bol VAJRA BODHI us bade se hall ke east end ki taraf badh chuke the...
hum sab bhi chupchap unke piche ho liye the...
wahan end par parde se dhaki koi cheez thi jiske paas pahunch VAJRA BODHI ne us parde ko kheench kar nikaal diya..
ek kaafi bada aur chowda sa aayna tha hum sabke saamne...
VAJRA BODHI-aayne ke saamne khade ho jaaiye...
VAJRA BODHI ki baat par hum aas paas hote hue aayne ke sidh me khade ho chuke the...
aur kyunki hum us aayne se thodi doori par the isiliye hum sab ka reflection ek saath us aayne me saaf dikhayi padh raha tha..
VAJRA BODHI-kya dikh raha hai aayne me...
SAB-hum...
VAJRA BODHI-aur ab...!!!
us aayne ke piche shayad koi button jaisa kuch tha jisse push kiya VAJRA BODHI ne..
unke aisa karte hi us gigantic aayne me gaps aate chale gaye ar dekhte hi dekhte woh pura aayna pieces me divide hote hue kaafi tukdo me bath gaya..
jab aisa hua toh hum sabke faces bhi alag alag angles me un chote chote mirror pieces me dikhne lage the..
VAJRA BODHI-aayne ke do alag swaroopon me dekha aap sabne khudko...
teesra sawal hai ki kya maayne hain un do roopon ke...!!!!
ab science se jude logical views ke hisaab ka toh sawal pucha hoga nahi BHIKKHU VAJRA BODHI ne.
zindagi ka koi kadwa sach hi chuppa hoga unke sawal me par woh sach kya tha,iska jawab kisike paas nahi tha.
DIMPLE ke paas bhi nahi..
sabke facial expressions se is baat ka idea ho chuka tha VAJRA BODHI ko isiliye...
VAJRA BODHI-jaa sakte hain aap sab...
VAJRA BODHI ki baat par baaki kisi par toh koi khaas asar nahi hua par DIMPLE kaafi upset ho chuki thi..
ek toh challenge haarne ke dukh upar se bina is aakhri sawal ka jawab mile hi usse loutna padh raha tha...is baat ki taklif...
dull face liye baakiyon ke saath mudne lagi woh par aisa kaise hone de sakta tha mai..
uski khwahish meri zimmedari lagti thi mujhe aur isiliye...
MAI-PHOTO aur IMAGE...TASVIR AUR VYAKTITV....
jahan mere jawab ko sun mere sabhi dost mud gaye,new girl aankhon me hairangi ki putliyon ke saath mujhe dekhne lagi wahin VAJRA BODHI...
ek baar phir unke face par smile naach uthi thi aur is baar woh smile gehri thi...
VAJRA BODHI-vitstrut karen...
MAI-aayne me dikhne waala hum sabka pehla roop bas humara woh odha aavaran dikhata hai jo duniya dekhti ya jo hum duniya ko apne baare me dikhaate hain..
par dusra roop jisme hamare ek nahi aneko roop the,hamari woh sacchayi hai,woh vyaktitv jiska raaz sirf hum jaante hain..
woh satya jo hum duniya ke saamne laane se ghabrate hain...
aur jisse saamne laana bohot mushkil hai.. isiliye hi toh kaha jaata hai ki banani hai toh IMAGE banao,PHOTO toh koi bhi bana leta hai...
if i am not wrong,teesra aspect bhi yahi hai...idol ka woh roop jo hum sab dekh rahe hain,admire kar rahe hain, sirf ek tasvir hai par uske piche bana shadow woh image hai jo saamne aane se katra raha hai...
aakhir manushya ka vyaktitv jo chuppa hai us shadow ke andhere me..
VAJRA BODHI-atti uttam..
mere jawab par halka budbudaye the taarif ke ye do shabd VAJRA BODHI ne jinhe padh liya tha maine..
wahin mere baaki dost jinke saamne der saver aisa mind aur body stunt me dikhate hi rehta tha, isiliye woh sab toh itne hairan nahi hue the par new girl ka face dekhne layak tha...
ek saath kayi bhaav aur reaction uske man aur face, dono me aane aur dikhne lage the..
VAJRA BODHI-sunday ko hone waale exibition me agar aap sab chaahen toh yahan aa sakte hain...
VAJRA BODHI ke commanding voice me new girl ko wapas present le aaya tha..
SAM-it will be our honour sir...
sunday ko hone waale exibition me DEHRADUN aur aas paas ke kayi jaane maane logon tak ko paas nahi mila tha..
aise me khud VAJRA BODHI se hum sabko invite milna behadh badi baat thi...
sabne baari baari se thanks kaha tha unhe aur wapas palatne ko hue par tabhi..
VAJRA BODHI-aap rukiye..
mujhe dekh kahi thi baat unhone jispar ek baar phir hairan hui thi DIMPLE...
DIMPLE hi kya, is baar mere baaki dost bhi hairan hue the par jab maine aankhon se un sabko bahar jaane ke ishara kiya tha chupchap nikal gaye woh sab..
new girl ne toh hall gate se bahar nikalne ke beech 5 se 6 baar palath kar dekha tha mujhe.aur VAJRA BODHI ko...
is beech woh MONKS jo VAJRA BODHI ke saath yahan aaye the,woh bhi mere doston ke saath saath hall se nikal chuke the..
khair,finally jaise hi mere sabhi dost bahar nikle aur MONKS ne woh gate band kar diya toh VAJRA BODHI ne bhi apne kadam meri taraf badha diye..
kuch hi palon me woh theek mere saamne khade the..
kuch pal meri aankhon me dekhte rahe woh aur phir...
VAJRA BODHI-naam kya hai aapka...???
MAI-SANVEER...
VAJRA BODHI-aur pehchaan...!!!
MAI-AHARYA...
VAJRA BODHI-AHARYA...
ek bright smile naach uthi thi mera surname bolte waqt VAJRA BODHI ke face par..
kitne khush the woh mujhe dekh,is baat ka andaza agle hi pal lag gaya jab maine jhuk kar pair chhue unke jiske baad mujhe turant utha ek baar sneh se mere gale lag mere sir par bade prem se haath fera tha unhone..
VAJRA BODHI-bahar SHENZU(MONK)ko girana,is pratibandhit jagah par shor machate hue aana, itna kuch isiliye taaki mere dhyan pade tumpar..
apni pehchaan bata dete toh itna kuch karne ki zaroorat nahi padti tumhe...
VAJRA BODHI ki baat par halka sa smile kiya maine aur..
MAI-pehchaan bataane se sahi dikhaana laga mujhe..aap bhi toh shayad wahi parakh rahe the..
is baar muskurane ki baari VAJRA BODHI ki thi..
VAJRA BODHI-haan,aur jo dekhna tha woh dekh liya maine...
apne maata pita ka mishran hai tumhare vyaktitv me..
jawab pehle 2 sawalon ke bhi pata the tumhe par kaha kuch nahi tumne..
aur teesre sawal ka jawab bhi sirf isiliye diya kyunki us ladki ka chehra murjha gaya tha..
pasand karte ho usse par shayad usse khabar bhi nahi is baat ki..!!!
VAJRA BODHI ke andaaze par joki sach bhi tha,bas aankhon se hi sehmati di thi maine jispar..
VAJRA BODHI-yahan aane ka kaaran...!!!!
VAJRA BODHI ki baat sun kaha kuch nahi maine bas unke dono hatheliyon ko dekhne laga..
meri ye nazar hi unke sawal ka jawab tha..
alag alag tarah ke cuts se bane ghaav ke jaate jaate bhi chhod jaane waale halke nishan ab bhi the unke dono hi haathon me jispar meri nazar ko dekh aur meri mansha jaan thode hairan hue woh..
VAJRA BODHI-SANEEL aur VERONICA PAUL AHARYA ke bete hone ke baad bhi tum mujhse "THE EIGHTEEN HANDS OF BUDDHA" sikhna chahte ho..!!!
MAI-un dono ko bhi toh aapne hi sikhaya tha...
VAJRA BODHI-bilkul..aur mujhe ye kehne me bilkul bhi sharm nahi hai ki mujhse sikh mujhse bhi behtar EIGHTEEN LOHAN HANDS(other name for EIGHTEEN HANDS OF BUDDHA)ko istemal me laana sikh liya tha tumhare maata pitah ne..
mujhse kuch hi saal chote the tumhare mom dad par sikhne ki lalak aur tezi itni zyada thi un dono me ki 3 mahine ke andar apne guru se behtar ban chuke the woh dono...
phir tum yahan..!!!
MAI-sikhne ke beech jo khamiyan saamne aati hain,unhe aapse behter koi nahi samjha aur door nahi sakta..
mere mom dad isiliye hi behter hue kyunki unki galtiyon ko naa sirf door kiya aapne balki un galtiyon ko bhi ek nayi disha dete hue sahi bana diya..
mujhe bhi wahi disha chahiye...
jo maine abhi kaha tha,woh barso pehle meri mom ne bola tha VAJRA BODHI ko.
woh samajh gaye the meri mom ka mujhe yahan bhejne ka kaaran..
VAJRA BODHI-kitna jaante ho tum EIGHTEEN HANDS OF BUDDHA ke baare me..
MAI-9,9 ke hisaab se do bhaagon me bata hai ye combat technique...
9 offensive aur 9 defensive..
1-Lifting the Sky
2-Shooting Arrows
3-Plucking Stars
4-Turning Head
5-Thrust Punch
6-Merry-go-Round
7-Carrying the Moon
8-Nourishing Kidneys
9-Three Levels to Ground
10-Dancing Crane
11-Carrying Mountains
12-Drawing Knife
13-Presenting Claws
14-Pushing Mountains
15-Separating Water
16-Big Windmill
17-Deep Knee Bending
18-Rotating Knees
defense theek hai mera but offense ka base bhi shuru nahi kiya hai maine..
VAJRA BODHI-kitna theek...
THABBB....
apni baat bolte hue hi itna tez aaya VAJRA BODHI ka haath mere chest ki taraf ki dekh bhi nahi paaya mai.
ek gentle push tha mai but EIGHTEEN HANDS OF BUDDHA ke PUSHING MOUNTAINS ka hit tha ye isiliye chest ke andar ka core tak hil gaya tha mera.
halka udta hua sa piche gira tha mai halaki turant khada bhi ho gaya but ek tez pain ka sensation feel hone laga tha mere chest par..
dheere se VAJRA BODHI ki taraf badha mai jisse dekh woh smile kar uthe..
never back up.. yahi messege tha mere unki taraf badhne ka..
DHABBB..DHABBBB..DHABBB...
mere unke kareeb aate hi PRESENTING CLAWS, THRUST PUNCH aur SHOOTING ARROWS ke halke par behadh powerful impact se bhare hits kiye VAJRA BODHI ne mujhpar joki ithe zyada speed the ki mere theek se move karne se pehle hi woh teeno hits lag chuke the mujhe..
peeche toh nahi gaya mai par aakhri hit ke baad wahin neeche gir gaya mai jispar halka nirash ho gaye VAJRA BODHI...
VAJRA BODHI-LOHAN HANDS ka defense offence se zyada stable hota hai par tum toh...
MAI-bilkul theek hun...
turant apne pairon me khade ho chuka tha mai.. chehra bhi sapat tha mera jiska matlab tha ki un teen moves ke hit hone ke baad bhi koi fark nahi pada tha mujhe joki ek impossible baat thi..
kyunki un teen lohan hits ke lagne ke baad hafte bhar tak hilna dulna bhi mushkil hota tha..
mujhe yun araam se apne saamne khada dekh VAJRA BODHI samajh gaye ki unke saare hits bas shrug off hi hue the meri body se jiska matlab tha ki EIGHTEEN HANDS OF BUDDHA ke defence art me advance level tak train ho chuka tha mai...
ek pal mujhe dekha unhone aur..
SAAYYY..SAAYYY..SAAYYYY....CHTTTT...
ek ke baad ek kayi hand hits kiye unhone..itni speed thi unki hand movement ki beech ki hawa tak shor karne lagi thi par is baar koi trick use nahi ki maine..
unke saare OFFENSIVE hand hits par badi furti se apne DEFENCE arts ke through bachta chala gaya mai but finally jab VAJRA BODHI ke tezi se chalte dono haathon ke wrists ko hold kar liya maine toh ek second ke liye hairan ho gaye the woh..
aur hona bhi tha..ye aisa tha jaise kisine bullet ko apni ungliyon se rok liya ho...
wahin wrist hold karne ke agle hi pal usse chhod halka piche hat gaya tha mai..
kuch pal mujhe dekhte rahe VAJRA BODHI aur phir dheere se chalte hue mere theek saamne aakar khade ho gaye..
VAJRA BODHI-subah kitne baje uththe ho..???
MAI-4.30 am..
VAJRA BODHI-monday se 3.30 am uthoge tum..4.00 am sharp monastery me hona chahiye tumhe...
MAI-i will be here SHIFU...(MASTER)
yahi bulate the mere mom dad VAJRA BODHI ko jisse mere mooh se sun ek bright smile naach uthi unke face par...
VAJRA BODHI-tumhare mom dad ko 2 mahina laga tha LOHAN OFFENSIVE HANDS sikhne me..
par tumhare paas itna waqt nahi hoga...monday se exact 14 din hun mai yahan..
in 14 dino me apne mom dad ko surpass karna hoga tumhe..
MAI-i will try SHIFU...
VAJRA BODHI-tumhare friends wait kar rahe honge tumhara..
jaana chahiye tumhe...
ek baar apne naye MASTER ko dekh mud gaya mai aur mujhe jaata hua dekhte rahe VAJRA BODHI..
aur jaise hi mai unki aankhon se ojhal hua toh..
VAJRA BODHI-tumhara beta tumhari tarah hi hai SANEEL par fark bhi utna hi hai..
tumhari aankhon me sirf maasumiyat thi par iski aankhon me maasumiyat ke saath saath chalaki bhi hai..
aur ye hona zaroori bhi tha..ek shaktishali sandesh chhalakta hai tumhare bete ke vyaktitv se ki....
paapiyon ka naash karne ke baad hi ye BUDHA SANTH BANEGA...
sabki karni likhi hogi jisme,sabke hisabon se bhara ye GRANTH BANEGA...
tum naa paar paaye par koi baat nahi...
naabhi ko bhedh us 100-MUKHI RAAVAN ka tumhara beta hi ANTH BANEGA....
AAJ KE LIYE ITNA HI...
AAPKA APNA V...J...