AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY HARSHALDAN SIR KO APNI BAATON ME ULJHA DETA HAI WAHIN DUSRI TARAF DIMPLE KO PATA CHAL JAATA HAI KI USSE BACHANE WAALI VERONICA HI THI.
AB AAGE:-
CHAPTER-1
(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)
UPDATE-63
DATE-14TH SEPTEMBER
CITY-DEHRADUN
PLACE-SIRIUS INDOOR STADIUM
KYA LAGTA HAI GUYZZZ...!!!APNE DESH ME JISKO PEHLI BAAR PILES HUA HOGA,WOH KOI BABA HOGA KYA...!!!
FOOOOOHHH..
WHAT THE FUCKK
SORRY YAAR.....
PRINCI ke order par hum sab as in senior three classes abhi indoor stadium me enter karne ke baad settle hue hi the ki tabhi bohot der se man ke pitaare me band apne weird matchmaking sawalon me se ek ko finally puch hi liya NITS ne....
aur uske aisa karte hi diet coke pee rahe SAM ko jaise ulti si aayi aur mooh me jama coke ko ulat diya usne baaju me khade RAJAT ke coat par...
jahan turant apna hanki nikaal apne coat ko saaf karne lag gaya tha RAJAT wahin apne mooh ko saaf kar ghoorne laga tha NITS ko SAM...
SAM-bhosdike, tereko kahin bhi hagna zaroori hai kya...??? apne weird imaginative questions ko puchne se pehle aaju baaju dekh toh liya kar...
NITS-waah loudu...mooh se drink tune tukha bahar..
kaahe...cold drink ki jagah tatti imagine kiya na tune...toh bata ab,kaun imaginative hua...!!!
SAM-teri toh gaandu...
NITS ki gardan dobochne ke liye uski taraf sarka hi tha SAM par aisa hone se pehle NITS mere dusri taraf badh liya tha...
maalum jo tha saale ko ki mujhe yun sabke saamne cross nahi karega SAM...
SAM-teri gaand toh mai baad me laal karke hi rahunga jhaantu...
NITS-dekha,dekha,dekha...abhi bhi harami gaand hi imagine kiye hue hai...
EKPREET-par tune imagine kyun kiya,ye toh bata...!!!
NITS-matlab...!!!
EKPREET-abbe chaman,tera sawal...!!! apne desh me pehle piles patient ka naam baba hoga,aisa kyun laga tujhe...!!!
SANVY-abbe naam se..babasir bolte hain na piles ko idhar... isiliye pucha hai isne...
HAHAHAHA.....
NITS-suna re topper...tere na padta palle kuch,par bhai mera sab ek baar me samajh jaata hai...
jahan meri baat par sab has diye the wahin NITS ne phir sulgayi thi SAM ki..
SAM-topper mai aise ul julul bina sir pair waale sawalon ke jawab dekar bana hun kya be...!!?gaandu...
NITS-bol na sidhe loude ki jawab nahi maalum...!!!
MAI-abbe jawab hai hi nahi iska... kuch naam sirf naam hi hote hain...
NITS-phir bhi bhai...kuch toh hoga hi..acha baba chhod,ye sir kaahe jodte hain piche...
MAI-PRINCI se puch le....
GOOD MORNING MA'AM...
abhi hum sab baat kar hi rahe the ki PRINCI apne chir parichit speed walk ke saath hall me enter hui aur stage stairs par chhadhne lagi..
lagbhag sabki nazar padh chuki thi unpar...yahi wajah thi ki convos ke beech bane chote chote groups turant disperse ho chuke the...
NITS bhi apna sawal aur SAM apna ghussa bhul sidhe tan kar khade ho gaye the..
sirf entrance ne hi ek civil school gathering ko jaise kisi army training drill me badal diya tha...
PRINCI-GOOD MORNING STUDENTS...
THE PRE-PROM....
"THE PRE PROM"...PRINCI ko dekh jo seriousness sabhi students ke face par aayi thi,is two and a half words ko sun delightfulness me badal chuki thi...
aur students hi kya..har waqt ek straight aur strict face rakhne waali hamari PRINCI bhi smile karne lagi thi...
PRINCI-purane students ko toh pata hi hoga but for all the new students jo abhi mere bole gaye made up words ko sun confuse feel kar rahe hain,let me clear their confusion...
promonede jiska short form hota hai prom, iske baare me toh aap sab jaante hi honge...
an american get together jo SIRIUS ka bhi shuru se hi ek prominent part raha hai but college division me...
but here,in school division also, students is celebration night ka ek chota aur alag but very interesting event celebrate karte hain...
alag isiliye kyunki jahan actual prom night ke liye a guy has to come with a girl and vice versa, wahin PRE-PROM night me aisa kuch nahi hota..
you all will come and gather in this very indoor stadium...
haan,ek similarity bhi hai.. woh ye ki actual prom night ki tarah pre-prom me bhi dress code hota hai, woh bhi exactly as a prom night...
boys ka code hota hai tuxedo or any three-piece and girls will wear long gowns...
now for the interesting part, unlike prom night,pre-prom ka main attraction couple dancing nahi hota balki usse ulat boys and girls ke beech interesting challenges throw kiye jaate hain...
and at last,the last four remaining boys and girls ke beech ek couple dance off hota hai..
aur jo couple us dance off ko jeetata hai,they are declared the PRE-PROM KING and QUEEN of the year...
excited...
SAB-YES MA'AM...
excitement kitni thi,ye students ke loud shout se hi saaf ho chuka tha...
PRINCI-30th september...date of the PRE-PROM NIGHT...timings aap sabke respective class teachers 29th ko bata denge...
desperse....
final period chal raha tha ye...apni announcement kar PRINCI jaa chuki thi aur unke exit cross karte hi sabhi students apne apne groups me mil chuke the...
hamara group bhi ek saath jama ho chuka tha...
ANJALI-class fourth me thi mai jab SIRIUS ke prom tradition ke baare me pata chala tha mujhe...
tab se hi wait kar rahi thi mai is event me apne eligible hone ka..
NAISHA-mai nahi hum bol stupid...mujhe toh abhi se hi chills aa rahe hain...
KHANAK-and finally the wait is over...last year se hun mai yahan but i didn't knew about this pre-prom ritual...
i am too very excited...
RASHI-me too...30th september.. it's gonna be a rocking night..
what about you guyzz...tum sab excited nahi ho kya...!!!
SONU-excitted..!!!!yye ssab ssaale ttoh hhar ssaal ppre pprom sse pehle aur usske bbaad kkamsekam ekk mmahine ke bbad bbhi ussikke bbaare mme baat kkarte hhain...
KHANAK-really...!!!tum bhi SAM...!!!
EKPREET-ye..!!?har saal pre-prom winners ko tropy milti hai...
ye mahashay toh har saal us trophy ke saath khudko pre-prom king imagine karta aaya hai...
RASHI-well, there's high chance ki is baar ye imagination truth me badal jaaye..
i mean pre-prom ke liye SAM ke chances sabse zyada hi honge...
RASHI ke compliment par bas halka sa smile kar diya tha SAM ne..
KHANAK-waise girls me DIMPLE ke chances bhi sabse bright hain..
but madam ke is chal rahe pre prom topic par ab tak ke dikhaye interest ko dekh joki 0 se zyada nahi lag raha,mujhe nahi lagta ki aisa kuch hoga...
KHANAK ki baat par sabke saath new girl bhi has di thi...
KRRRR....
ye discussion aur chalta,usse pehle hi final bell baj utha aur aisa hote hi topic off ho chuka tha...
ek dusre ko bye bol class se apne apne bags lene chal pade the hum sab...
DIMPLE-so, excited for the pre-prom...!!!
mere saath hi ho li thi new girl aur uske sawal par halka smile kar dekha maine usse aur...
MAI-tumhe kya lagta hai...???
DIMPLE-no chance...
MAI-satya vachan...but as KHANAK said, tumhare chances wakayi bright hain,you know,for the pre-prom queen...
DIMPLE-honge but in sab me interest nahi hai mujhe...
MAI-toh kisme hain...!!!
DIMPLE(man me)-tumme..
MAI-kuch kaha kya...???
DIMPLE-nahi toh,kuch suna kya...???
MAI-shayad...!!!
DIMPLE-kya..???
MAI-andaaze bayan karkar kya faayda...!!!
DIMPLE-ye bhi hai...waise as for your question,mujhe aunty se milna,unse baatein karna acha lagta hai...
MAI-that i know.. it's quite visible...
DIMPLE-aur...!!!
MAI-aur kya...???
DIMPLE-visibility ki feeling.. matlab mai apni practice se alag bhi aunty se milne tumhare ghar aati rehti hun, that to quite constantly, tumhe bura toh nahi lagta...!!!
new girl ke is sawal par rook gaye mere kadam...!!!ghuma mai uski taraf aur...
MAI-jo mujhe bura lage,aisa shaksh mere ghar toh door ki baat hai,mere colony me bhi lagatar ghus nahi sakta...
rahi baat tumhari toh meri MAA ko pasand ho tum...!!!aur jo meri MAA ko pasand ho usse maiiii...
DIMPLE-usse tum...!!!?tum kya....!!!!!????
phir chalne lage the mai aur new girl par meri adhuri baat par rook gaye the uske kadam..
wahin uske sawal par halka sa muskurate hue wapas palta mai new girl ki taraf aur...
MAI-usse mai........
pasand........karne jitna jhel toh sakta hi hun...
bye...
halki shararat waali smile ke saath apni baat puri kar wapas palaththe hue class ki taraf badh gaya mai..
wahin meri baat sun ek pal ghura mujhe piche se new girl ne par phir uske face par bhi smile naach uthi aur mooh se nikla sirf ek shabd...
DIMPLE-"JHALLA"....
PLACE-SANEEL'S RESIDENCE
DHABBB....
AND THERE YOU FALL,AGAIN....
SHIT....
aaj 5 din ho chuke the... mere ghar ke piche ek open space tha jahan mai daily shaam new girl ko kareeb ek ghanta MIXED MARTIAL ARTS ki training dete aa raha tha...
mixed martial arts isiliye kyunki judo aur karaate,in dono hi techniques me kaafi achi thi new girl...
par saath hi saath ye dono techniques aur inke moves thode predictable hote hain aur issi predictability ko unpredictability me badalta hai mixed martial arts..
aur kyunki martial arts ke is form me naye outer moves ke addition me rok tok nahi hoti aur naahi hands aur legs swing me koi fixed pattern hota hai isiliye this form is way more impactful...
khair,in paanch dino me new girl ka ek hi motto tha...
duel me ek minute tak apne pairon par khadi rehna..
she shouldn't fall par aisa ek baar bhi nahi ho paaya tha...
uska highest survival time 40 seconds tak hi pahuncha tha joki usne abhi abhi achieve kiya tha...
frustrate hona laazmi tha aur zamin par pair jode baithi new girl ke face par woh frustration saaf dikh rahi thi...
MAI-time up for today...kal phirse try karte hain...
jahan apne gale par aaye sweat ko towel se pochte hue mai ghar ke andar chala gaya wahin new girl thodi der waise bi baithi rahi par phir ek lambi saans chhod woh uth khadi hui...
training bag se apna towel nikaal liya usne...is ek ghante me pasine se tar batar ho chuki thi woh jisse apne towel se pochne ke baad water bottle se paani peeti hui woh bhi ghar andar chal padi..
FRUSTRATION, ALTHOUGH QUITE PAINFUL AT TIMES, IS A VERY POSITIVE AND ESSENTIAL PART OF SUCCESS...
DIMPLE-BO BENNET...
hall me enter kiya hi tha DIMPLE n ki tabhi uske facial expressions koe according sofe par baithi VERONICA ne ek quote ki jispar muskurate hue us quote ke janmdata ka naam bataya DIMPLE ne...
VERONICA-very good...jab quote pata hai toh phir usse implement bhi karo apni life me...
ek bada sa mug jisme dark brown rang ka kadha tha,usse DIMPLE ki taraf badha diya the VERONICA ne jisse hold kar ussike baaju me baith gayi DIMPLE...
kadwepan ke saath saath vicks vapourub jaisa taste the us kaadhe ka par kyunki pichle paanch dino se is kaadhe ka sewan kar rahi thi DIMPLE isiliye usse pura gatakne me joki usse ek baar me hi karna tha,zyada problem nahi hui thi usse...
ayurved ka ek bejod namuna tha woh kadha..."HORSETAIL,MULAITHI, BRAMHI and most importantly DAROGANJ ke saath kuch aur jadi butiyon ke mishran se bana tha woh kaadha...
pehle din us kaadhe ke disastrous taste se dimag bhanna sa gaya tha DIMPLE ka..
kaadhe me use hui recipe puchi thi usne VERONICA se jispar"it's good for your health"...
bas itna hi jawab mila tha DIMPLE ko..
but kyunki VERONICA aur uske har faisle par khudse zyada yakin hone laga tha DIMPLE ko isiliye aur kisi explanation ki zaroorat mehsoos bhi nahi hui usse...
khair,jaisa ki instruction the VERONICA ke,ek jhatke me pura pee liya us kaadhe ko DIMPLE ne..
DIMPLE-kisi bhi tarah ki training ya new learning venture ke waqt i have always been super calm aunty..
par aise fail bhi kabhi nahi hui mai... khud ko nurture karne ke liye SANVY ke bataye super weird but asardaar tarikon ko use me laane ke liye waqt lagta hai mujhe lekin jaise hi uske saamne khadi hoti hai mai, it's like back to square one for me...
he literally toys with me...mere har move ke baare me jaide pehle se hi pata hota hai usse..
aisa feel hota hai mujhe jaise he even without uttering a word,even directing my moves...
its five days now...ek minute tak apni standing position hold karna toh door ki baat hai,ab tak meri ek ungli bhi uske body ko touch bhi nahi kar paayi hai...
ab aisa me frustration toh hona hi hai jab ye lagne lage ki your opponent is bloody invinsible...
VERONICA-beta nobody is invinsible...
VERONICA ki baat par ek halki si disbelief waali smile di DIMPLE ne jo chhup naa paayi VERONICA ki aankhon se..
VERONICA-let me prove it to you...SANVY...!!!
SANVY-haan MAA.....
kuch samajh paati DIMPLE,usse pehle hi mai joki apne room me pankhe ke neeche baith paseena gayab sukhne ka wait kar raha tha taaki shower le sakun,MAA ki awaaz sun turant bahar aaya jispar...
MAA-paseena thoda aur baha le,phir shower le lena..aaja,back yard...come beta...
mujhe aur new girl, dono ko bol MAA khud jahan kuch der pehle hum dono practice kar rahe the,wahan ke liye badh gayi..
wahin hum dono bhi halke confused state me unke piche ho liye the...
kuch hi der me hum teeno backyard pahunch chuke the..
jahan mai aur new girl aamne saamne the wahin MAA new girl ke halka piche uske right me khadi thi...
MAA-so,ek minute,haan...!!! let's begin then...one more round... SANVY, give it your best and DIMPLE... focus..."jo karo usme bhi,aur jo ghate,usme bhi"...
toh ye chahti thi MAA... lagataar fail hone ki wajah se down ho rahe new girl ke confidence ko boost karna chahti thi woh...
ye jaan jahan kaafi waqt ke baad mai man hi man excited tha wahin new girl ab bhi confused thi..
is last moment extra training ke liye bhi aur MAA ke usse kahe aakhri words ke liye bhi...
par dimag jhatak dono hatheliyon ko muthi ki shakal de fighting stance me khud ko strech karte hue khadi ho chuki thi woh...
wahin mai hamesha ki tarah apne dono haath piche ki taraf baandh araam se usse dekh raha tha aur tabhi...
HMMMPPPP.....
forward push slide hit ke tahat apne right fist ko badi speedily mere heart position par chala diya tha new girl ne par isse pehle ki woh fist mere chest ko touch bhi karta,apne left hand ko chest area par oval shaped ghuma diya maine..
ye wahi pal tha jab apne haath me bandhe smart watch ka one minute timer on kar liya tha MAA ne...
khair, mere move se new girl ke left hand's wrist ko laga ek jhatka aur woh side hota chala gaya..
par ye new girl ka half move hi tha....agle half move ke tahat right fist move ke nano seconds baad apne left hand ko bhi mere shoulder joint par aim kar chala diya tha usne par jaisa ki MAA ko bataya tha maine,i was reading her moves before their start..
yahi wajah thi ki left hand se uske right fist ko block karne ke beech hi meri body bhi halki left moodti chali gayi thi aur isse pehle ki new girl ka left hand mujhe hit karta,panje ko shakal liye mera right hand halka aage ki taraf gaya aur..
DHAKKK...
ek jhakta sa diya mere palm ne uske wrist ko..aisa hote hi naa sirf uska woh haath turant neeche aaya balki saath hi saath us pure hand me ek jhunjhuni bhi bhar uthi thi..
jahan apne left hand ko jhatka dete hue new girl mujhe dekh rahi thi wahin mai bhi halke muskurat ke saath usse dekh raha tha par tabhi...
ek jhatka sa diya tha maine apne sharir ko aur the very next second meri upper body new girl ke face ke behadh kareeb pahunch chuki thi...
par ye ek distraction move tha.. jahan new girl mere head ko apne behadh paas dekh hadbada gayi aur aisa hote waqt uska pura dhyan mere sir par fix ho chuka tha...
theek ussi pal mere dono haathon ne new girl ke dono hatheliyon ko chhu liye the..
aur jab tak is baat ka realization usse hota, meri grip tight hoti chali gayi thi...
anti gravitational back pull...hawa me piche ki taraf ucchal apne opponent ko uske dono hatheliyon ke through khudke saath hawa me drag sa karte hue kheenchne waala move tha ye...
is move ke succesfully apply hone par kyunki opponent ka khud ki body par koi control nahi reh jaata isiliye woh saamne waale ke rehemokaram par hota hai...
apne move ko complete success banane ka hard part maine kar liya tha..
i was holding new girl's wrist strongly..
ab mujhe bas new girl ko apne saath piche ki taraf hawa me drag karna tha aur aisa karne ke liye jis knee dwara base strength ki zaroorat hoti hai,apne ghutno me woh rush mai bhar bhi chuka tha...
CHATTT....DHAKK....
new girl ko liye mai piche ki taraf ucchalne hi waala tha ki tabhi kuch hua..
kuch aisa jiski mujhe ummid toh thi par us harkat ke speed ko calculate nahi kar paaya tha mera brain..
isse pehle ki mai apne piche ki taraf ucchalta,MAA jo new girl ke just baaju me aa chuki thi,unka left hand badi tezi se move hua...
speed ka andaza issi baat de lagaya jaa sakta tha ki meri aankhon ne bhi us movement ko uske ho jaane ke baad hi feel kiya tha..
khair,MAA left hand fist ka roop lete hue kuch aise hit hua tha new girl ke wrist me ki uska woh part ek jhatke me mere haath ke grip se alag ho gaya...
par itne speed hit ke baawjud MAA ka waar itna napa tula tha ki new girl ko zara bhi pain nahi hua tha...
par new girl ka hand sirf azaad hi nahi hua balki woh sidhe jaakar uske left wrist ke neeche takraya...
aur exact wrist ke neeche exact mid part se jo nas nikalti hai,usse hit hua.
aisa hote hi us vein ke through ek rush feel hua new girl ke pure paln me resulting an unknown super speed vibration...
ye vibration itna effective tha ki mera woh grip bhi new girl ke right wrist se dheela hota chala gaya...
new girl was free from my grip and most importantly,my move...
ek second se bhi kam samay me hua tha ye sab...par new girl ke super tez dimag me jaise jo hua,woh rewind hokar chalne sa laga tha jisse re-live kar woh hairan,khush aur thrilled, teeno hone lagi thi..
MAA-time is ticking beta which means it's time for your moves...
DIMPLE-my move...!!!!
SWABBBB....DHAKK.DHAKKKK..DHAKKKK..DHAKKKK...DHAKKKK...DHAKKKK...DHAKKK.....DHAKKKK....
new girl ke theek piche aa chuki thi MAA jiske baad ek baar phir uske left hand ko jhatka diya unhone..
par is baar aisa karte waqt uske wrist ko halka pakadane ke baad push kiya tha unhone..
but unke is move se new girl ka left hand forward circle shape lekar badha mere head ki taraf..
ye movement bhi kaafi tez tha par dekh liya tha maine isiliye halka piche hote hue us side hand hit se bacha mai par tabhi...
aisa laga new girl ko jaise uske dono haath aur pair se uska control chhut chuka ho jaise..
new girl ke dono hands ko hold aur uske legs ko apne cross legs se fasate hue MAA slow,smooth and fro movement me aage badhne lagi...
kisi super trained puncher ki tarah mere chest ko hit karne ke liye new girl ke dono haath jinhe meri mom ne hold kiya hua tha,chalne lage...
ye movement itni tez thi ki khud new girl ko apne dono haath bairly dikh rahe the...
wahin same time me apne cross legs se new girl ke pairon ko control kar rahi MAA ne leg snake circles hits use karna bhi shuru kar diye the...
kisi saanp ki tarah MAA ke legs se attach new girl ke pair bhi mere pairon ko jaise dasne ke liye zig zag movement ke saath badi speedily aage badh rahe the..
wahin mai is waqt double defence mode me tha...new girl ke extremely fast hands ko apne dono haathon se continously block karte hue pairon ko bhi exact time me uthakar uske leg movement se bach raha tha..
but there was no stopping from MAA...
unke through new girl ke hand aur legs hit naa sirf lagatar jaari the balki har guzarte pal ke saath unki speed bhi aur badhti chali jaa rahi thi..
speed hadh se zyada fast thi..yahi wajah thi ki mera complete focus bhi new girl ke hand aur legs par hi tika hua tha...
waise bhi mere liye kul do achi baatein thi.. pehli toh ye ki itni fast movement ke beech koi alag daav MAA khel nahi sakti thi aur dusri,1 minute khatm hone ke liye bas 10 second hi reh gaye the aur tabhi...
SOOBHHHH..DHABBBBBB...
sirf ek extra move tha jo MAA use kar sakti thi...new girl ke dono haathon ko jod palm open kar straight chest hit...
par aise kisi hit ko pehle hi guess kiya hua tha maine aur uske liye mai ready bhi tha...
aur last three seconds ke darmiyan hua bhi kuch aise hi...
fast movements le beech hi MAA new girl ke dono hands ko saath laayi aur unhe jod joint palm shape dene ke baad halka piche kar aage ki taraf ek tez jhatka diya...
par issi anticipation me toh tha mai... turant apne dono haathon se ek barricade bana block move ready kar liya tha maine jo hua,that was unbelievable,for me too...
new ke dono palms ne naa sirf mere hand barricade ko ek jhatke me tod diya balki agle hi pal uske palms mere chest ko hit kar gaye the...
aisa hote hi chest me uthi jalan ke beech piche hawa me tair si gayi meri body...
face par hairangi aur dimag me do shabdon ko samuh ek saath utha mere...
"BIG WINDMILL"....
18 HANDS OF BUDDHA techniques ka sabse jaaduyi art jiska perfect execution mujhse ab tak nahi ho paaya tha...
par MAA expert thi is move me par demonstration unhone mujhe right time aane par hi dikhane ki baat kahi thi..
and i guess,this was the right time..
the time for WINDMILL technique...
ek aisi technique jiska base ready karne ke liye pehle apne dono haathon se ird gird beh rahe hawa ko jaise palm ke beech ikkatha karna hota hai...
it's done by excessive hand movements jo abhi abhi MAA ne new girl ke through kiya tha aur phir jab ye lage ki hands ke beech air pressure sahi maatra me jam sa chuka ho toh ussi pressure ke saath ek tez front hit...
perfect execution hone par sabse pehle woh invisible air balloon opponent ke block ko hit karta hai with such intensity ki barricade turant dismantle ho jaata hai..
giving space to the palm jisme us released air pressure ka thoda bhaag chipka hua sa hota hai aur isiliye impact ka asar bhi more than normal hota hai jo hua abhi...
hawa me tairti meri body agle hi pal zameen par hit ho gayi aur tabhi...
BEEP...BEEP....
1 minute ka countdown off ho gaya...
MAA-see,just like i said,no one is invincible....
ghutne mod khudki haar par smile kar baitha hua tha mai ki tabhi apni baat bol mere baal bigaadte hue aage badh gayi MAA...
itne magical session ke baad koi aur extra gyan diye bina hum dono ko bohot hi valuable inputs fe gayi thi woh...
new girl ko wahi seekh jo bolne ke baad woh gayi thi ki "no one is invincible" aur mujhe ki bhale hi new girl ko sikha raha hun mai, teacher hun mai uska but at the same time, mai bhi ek student hun aur abhi bohot kuch sikhna baaki hai...
DIMPLE-need a hand...
apna haath aage badhaya new girl ne jisse hold kar khada ho gaya mai...
DIMPLE-that was something else..practically khudpar hi hote nahi dekhti, sirf suna hota toh i would have said it impossible...
new girl ki baat par bas smile kar diya maine...
DIMPLE-shit...you should apply ice and rub some balm.... gale ke veins tak reddish scars dikhne lage hain,chest ka toh haal aur bura hoga...
come,mai laga deti hun..
mera haath thaam ghar ke andar badhne ko hui thi new girl par rok liya maine usse...
MAI-ye red scars mere learning momentous hain... something i always crave for...
rehne do inhe...
meri baat ke matlab ko jaise ek pal me hi samajh gayi thi new girl.. haath chhod diya usne mera aur...
DIMPLE-par agar aunty ne dekh liya toh..
tum normal dikhe isiliye dhyan nahi diya unhone par agar woh scar dekh liya unhone toh pareshan hongi woh...
new girl ki baat sun halke se muskuraya mai aur...
MAI-come,kuch dikhata hun...
uska haath pakad ghar ke andar chal pada mai aur kitchen entrance ke side pahunch rook gaya...
MAI-jo dekh kar hi jaane,woh MAA nahi hoti...tumne ye reddish scar sirf dekha hai,MAA ne feel kiya hai...
DIMPLE-matlab...!!!
sink ke paas khadi hongi woh,head down,dhule bartan ko dobara dhone ya sukhe kapde se saaf karne ka act karte hue..
act isiliye kyunki training ke baad hamesha hand wash karne kichen sink ke paas hi jaati ho tum..
jaao,hand wash karte hue side se dekhna.. aankhein halki red hongi MAA ki..
kyunki hit bhale hi mujhe laga hai par pain unhe hua hai...
meri baat sun ek pal mujhe dekh bina kuch kahe kitchen ke andar chali gayi new girl...
wakayi sink ke right ki taraf khadi thi MAA.. ek copper plate tha unle haathon me jisse sukhe kapde se saaf kar rahi thi woh..
sink par pahunch saamne rakhe hsnd wash ko apne haathon me udel unhe rub karne lagi thi new girl..
is beech MAA ki nazarein neechi hi thi par phir ek pal ke liye new girl ko dekh smile kiya unhone...
face hamesha ki tarah smiling hi tha unka par aankhein... wakayi laali thi un aankhon me jo unke dabdabane ki dastan khulkar bayan kar rahi thi...
un laal aankhon ko dekh wapas palti DIMPLE... SANVY kitchen door ke dusri taraf hi khada tha...
uski taraf badh chali woh par kadam uske agle hi pal rook gaye the..
reason...
apni prediction sahi saabit hone par hasna chahiye tha usse par aisa tha nahi..
jaise MAA bete ke dard ko mehsoos kar rahi thi, theek waise hi beta MAA ki maayusi feel kar raha tha...
ek pal new girl ko dekh ek feeki smile ke saath SANVY bhi palath apne room ki taraf badh gaya..
reh gayi DIMPLE jo kabhi palatkar MAA ke peeth ko dekhti toh kabhi aage chale jaa rahe bete ke back ko...
is weird but most importantly emotional moment ko jaise DIMPLE ka dil khudme kaid kar raha tha...
kahan kuch der pehle tak pehle SANVY ke super fighting skills dekhi thi usne aur phir uski MAA ka counter skill jisne SANVY ko bhi outdone kar diya tha aur ab,unhi do powerful shakshiyat ko behadh majboor logon ki tarah behave karte dekh rahi thi woh..
mesmerized thi woh is MAA BETE ki ajooba jodi ko dekh aur unke beech bandhe pyar ki dor ko mehsoos kar...
ek aakhri baar VERONICA aur SANVY ko dekh ek lambi saans chhodi DIMPLE ne aur...
DIMPLE-
agar banana chaahen toh in dono se bada NAAM KOI NAA HO...
agar karne me utre toh in dono ke liye naamumkin jaisa KAAM KOI NAA HO...
aisi pratibha,aisa vyaktitva jiska koi SAANI nahi magar...
jeete aise hain jaise in dono se AAM KOI NAA HO...
AAJ KE LIYE ITNA HI...
AAPKA APNA V...J...