• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

Naik

Well-Known Member
20,851
76,448
258
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ANJALI APNE GHAR HONE WAALI DIWALI PARTY KE INVITES SABKO DETI HAI WAHIN DUSRI TARAF PARTY ME MR CHOPRA AUR MR GURUDUTTA SANVY SE KAAFI IMPRESS HO JAATE HAIN.

AB AAGE:-

CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-71

DATE-30TH OCTOBER

CITY-DEHRADUN

PLACE-DEODAR FOREST

MMMMMHHHHHH.....I HAVE BEEN TO AUSTRALIA,CANADA,U.S...

HAR JAGAH JUNGLE SAFARI BHI KI HAI AND THE JOURNEY WAS SUPER COOL PAR ITNA REFRESHING AIR KABHI INHALE NAHI KIYA MAINE...

deodar forests ke beech open jeep me khadi beh rahi thandi hawaon ko apne fefdon me kisi kimti zewar ki tarah samet si rahi thi NEW GIRL...

MAI-kyunki Australia,Canada,U.S me GANGA nahi behti...

ANJALI-true...ye pura area gangotri glaciers se ghira hua hai aur jahan hum jaa rahe hain,"TAPOVAN"uske seene ke beech daudti hai MAA GANGA...

isiliye is pure area ki hawaen 12 mahine yunhi thandi aur fresh behti hain...

DIMPLE-jab ye lushy green forest itna khubsoorat lag raha hai toh i can just imagine ki TAPOVAN ka camping zone kitna beautiful aur eye catchy hoga...

SAM-trust me,you cannot imagine...wahan river beds hain jinki covering grey lushy mote parath waale ghaans se bani hui hai...aur beech me behti hai crystal clear ganga rivers water...

and to put cherry on the cake, surrounding completely green hai aur upar... clouds ki bohot si moving covers ghumti rehti hai...

it's heaven...

MAI-bhaiya,100 metre me gaddha hai...araam se...

DRIVER-lagta hai kaafi baar aaye hain aap yahan...

but don't worry sir,mera roz ka hai...

aur jis dug point par car bump ki baat kar rahe hain aap,usme thoda time hai...

DHADHHHH.....

driver ki dialogue baazi me 100 metres nikal chuke the jiska matlab tha ki jis dug point ke baare me warn kiya tha maine,ussi par chadh chuke the car ke tyres...

abhi morning ke 5.10 baj rahe the...itni morning isiliye aa gaye the hum yahan kyunki glaciers me trekking kate waqt yahan ke icy mountain se sun rise dekhne ka maza hi kuch aur hota hai jisse hum miss nahi karna chahte the...

khair, is waqt har taraf halka andhera tha aur isiliye hi driver ko warn kiya tha maine jisse apne overconfidence ki wajah se dhyan nahi diya usne...

speed 50 plus ki hi thi par grassy lane hone ki wajah se bump thodi zyada ho gayi thi car jiski wajah se hum sabhi disbalanced ho gaye the but thankfully aur kuch GALATH nahi hua...

NITS-oh bhai sahab...jaisa jaisa bolega ye, chup chaap karte jaaiye aap...

mahan driver hone ki galathfehmi dusre passengers ke saamne dikhayiga...

ye agar bole naa ki aage invisible chattan hai,toh chupchap waisa maan kar brake maar liyo...

aap laakhon baar apne ghar gaye honge par wahan pahunchne ke liye kitni galiyon se guzarna padta hai,unka exact count abhi bhi nahi pata hoga aapko par agar ye lounda ek baar bhi aapke yahan padhar gaya naa,toh raaste me padh rahe pure mohalle ke har dukaan tak gina dega aapko...

baakiyon ke mukabale thoda dheela baitha tha NITS...

isiliye jab jeeb ne zara zor ka bump maara toh ucchal kar wapas girne par uske pichwade me tagda pain utha tha...

aur sabke saamne apna gaand dard dikha sakta tha nahi woh isiliye frustration uski aur badh gayi thi...

waise dena toh bhar bhar ke gaali chahata tha NITS...par girls ke kaaran jaise nikaal saka,apni bhadas nikal diya tha usne driver par jisse sun jahan ek taraf mere sir shake karne ke beech sab has diye the wahin dusri taraf driver kaafi sharmshar ho gaya tha...

wahin is beech KHANAK,RASHI aur DIMPLE joki pehli baar TAPOVAN TREKKING par jaa rahe the,is halke andhere me bhi SANVY ke perfect road analysis ko dekh kaafi hairan ho gaye the...

RASHI-wow SANVY... tumhe kaise gaddhe ka exact point pata tha...???

EKPREET-kyunki bhaisahab ko TAPOVAN me trekking karna bohot pasand hai...

100 se zyada baar aa chuka hai ye yahan...khaaskar aunty ke saath...

RASHI-dont tell me...aunty bhi trekking karti hain...!!!

ANJALI-oh you have no idea babes...kayi baar toh mai bhi aayi hun iske aur MAA ke saath and she is awesome...

NAISHA-tabhi toh aunty itni fit dikhti hain...

ANJALI-dikhti nahi,she is fit... actually, super fit...

RASHI-wow...

KHANAK-par phir bhi yaar,itne bade jungle ke beech woh bhi yun half light me itna sateek judgement...!!!

MAI-yahan saans lena acha lagta hai mujhe...aur zameen ke kis hisse par pair rakhne se saans chadhegi aur kis par saans utregi,uska byora mere dimag me chhap sa gaya hai...

waise bhi,jab kuch ya koi pasand ho aur bohot zyada pasand ho toh uske baare me har important info rakhna zaroori hota hai...

NITS-satya vachan...

DIMPLE-waise abhi hum kahan jaa rahe hain....???

RAJAT-BHOJBASA...

trekking point wahin se start hoti hai...

DIMPLE-nice...woh jagah aur kitni door hai yahan se...!!!

EKPREET-ab zyada distance nahi bacha...i think 10 minutes me hum BHOJBASA trekking point par honge...

MAI-8 minutes...

DIMPLE-8 minutes it is... brilliant...

jaisa waqt maine diya tha,woh ekdum fit baitha... exact 8 minutes me hum BHOJBASA trekking point ke paas pahunch gaye the aur NEW GIRL jisne mere time batate hi apni kalayi par bandhi smart watch dekhi thi,yahan pahunchte hi ek baar phir uski nazar ghadi par gayi jisme exactly 8 minutes hi paas out hue the...

jeep se utarte hue brilliant shabd dheere se mere kaano me kaha tha usne jisse sun halka sa smile karte hue mai bhi utar gaya...

trekking point par kaafi saare chote chote tents bane the jinme trekking officials ke log baithe hue the...

Jackets (Fiber or down),woolen shirts and thick sweaters,waterproof jackets with hood or poncho,tracksuits,track shoes,trousers,thermal coat,pairs of loose fitting long shorts/ skirts,pairs of Gloves,woolen hat,long sleeved shirt,towel and hankies,light weight walking boots,pairs of thin socks and 2 pair of woolen socks....

snow glasses and sunglasses,trekking sticks,duffle bag or kit bag trekking equipments carry karne ke liye,
2-4 plastics bags 2-4 large plastic bags saaf aur gande kapdon ko alag alag rakhne ke liye.,6-10 chote plastic bags garbage disposal ke liye,daypack bag personal chizen carry karne ke liye, trekking water bottles,water purifying tablets,
toilet articles and towels,toilet paper...

night me camping ke liye headlamp,torch, candles,binocular, camera and finally trekking map...

sabke liye trekking,clothings, equipments and finally camping accessories rent par lene ke baad clothings put on karne ke liye paas hi lagaye do khaali tents me chale gaye hum sab...

NITS-maa kasam bhai...baaki sabke saath ye trekking gears ke rental rate bhi badh gaye yaar...

behenchod bas 11 logon ke 22 hazar kaun lagata hain be...

maane per person 2 hazar loot rahe hain saale...

EKPREET-bhosdike ek complete gear 20 hazar ka padta hai...

ab 20 hazar ke samaan ka 2 bhi naa lagaye woh...

NITS-bada support kar raha hai lounde...commision toh naa rakha hai apna har rent par...

ae SONU, trekking start karne tak nazar rakhna re ispar...pata chala ek taraf hum sab barf ki thand ke beech khud ko ragadna start kar rahe hain aur ye loudu apne commission me milne waali noton ki garmi ke maze loot raha hai...

NITS ke taane par usse chutiya bol bas has pada tha EKPREET...

khair,agle 15 minutes tak NITS ki bakwas ke beech hum sab apna apna trekking gear pehente rahe...

DIMPLE-guyzzz...aur kitna time...???

NITS-arre gazab... itihaas me pehli baar ladkiyan ladkon se pehle ready ho gayi re...

RAJAT-koi bhi gear make up kit nahi tha... ready toh hongi hi jaldi...

MAI-ae NAISHA... dekh kya bol raha hai RAJAT...!!!

RAJAT-abbe bhosdike...

mujhe maarne aage badh hi raha tha RAJAT par usse pehle hi mai tent se bahar nikal chuka tha but coincidentally tent se nikalte hi naa sirf maine NAISHA ko theek apne saamne paaya par saath hi saath usne meri baat bhi sun li thi...

NAISHA-ya baby...what's up...!!!

jahan NAISHA ko saamne dekh sitti pitti gul ho gayi thi RAJAT ki wahin uski haalath dekh sabhi ladke sir idhar udhar kar dabi hasi has rahe the...

RAJAT-nothing babes...woh mai isse keh raha tha ki aise beautiful place me tumhare saath ek romantic date me aana chahiye tha mujhe par rather than doing that,in gadhon ke saath aana pada hai mujhe...

NAISHA-aww... that's so sweet baby...

EKPREET-sahi hai lounde...badhiya ghumaya hai...seekh raha hai SANVY se ye bhi...

jahan apne b.f ki baat sun uske gardan ke ird gird apne baahon ki giraft daalne ke beech RAJAT ke gaal par kiss kiya NAISHA ne wahin RAJAT ke perfect defending answer ko sun SAM ke kaano me uski taarif ki thi EKPREET ne jispar SSM bhi has diya tha...

ANJALI-pehli baar sach bola hai RAJAT ne...ho toh tum sab gadhe hi...

MAI-aur kuch baatein boli nahi jaati par phir bhi samajhdaar samajh jaate hai...

NITS-maane...!!!

MAI-maane us gadhe waale statement ke beech gadhi bhi tha jo sentence lamba ho jaane ki wajah se bola nahi isne par feeling puri thi...

DIMPLE-aisa...!!! phir toh NAISHA bhi shaamil ho gayi us ankahi baat me...

NAISHA-baby...!!!!

pyaar bhare aalingan aur usse uth rahe bhaavnaao se turant bahar aa RAJAT ko ghurne lagi thi NAISHA jispar uski haalath kharab hone lagi thi...

MAI-doston,arz kiya hai...

BOYS-irdhad irshad...

MAI-

"mohobbat apne aap me ek kahani hai,woh dusre kaafiyon ka KISSA NAHI HOTA...

bheed gadhon ki ho par chaahat unhike beech toh....

woh ishq-e-rukhsaar un gadhon ka HISSA NAHI HOTA...

WAAH BHAI...LAAYA HAI RE..LAAYA HAI...

meri baat ka asar chaar tarfa hua...ek taraf NAISHA jo RAJAT par bigadne hi waali thi,uski smile wapas aa gayi aur ye dekh RAJAT ki jaan me jaan aayi...

dusri taraf mere dost meri ek teer se do shikar waali shayri ko sun ladkiyon ko chidhane lage jispar ladkiyan mujhe gaali bakne lagi thi...

wahin teesri taraf meri shayri ne NEW GIRL ke dimag me ek khayal ka aagaz kar diya tha joki aaj ke din ka anjaan banane waali thi...

halka serious ho gaya tha uska face...

MAI-ab chalen ya sunrise ka view miss karna hai...

6 bajne ko tha... abhi aur normally is time suraj apna sir upar utha diya karta hai par ye ek pahadi area tha aur is waqt hum barfili pahadiyon ke chain ki sarhad par khade the...

aisi jagahon par suraj aur uski roshni thode dheere dheere upar uththi hai...

SAM-arre chalo guyzzz...first mountain top yahan se 2 km door hai... turant niklenge tabhi time par wahan pahunch paayenge...

apne apne lungs me ek baar beh rahi fresh hawa ka stock fill kar trekking shuru ki humne...

jis mountain top ki baat ki thi SAM ne,us tak pahunchne ki chadhayi mushkil nahi thi...

haan,chaadhav toh constant tha par hamare pairon tale bicha snow cover naa toh deep tha aur naahi sticky...

sirf trekking sticks ke halke push ki madad se hum bade araam aur ache speed ke saath us half up chadhayi ko cross karne lag gaye the...

here's the thing about trekking...bhale hi chadhayi completely up hill aur ya phir narrow climbing...

barf me saans bohot jaldi chadhti hai isiliye trekking ke beech jitni kam baat karo, stamina ke liye utna acha hota hai...

sirf is check point ki wajah se hum sab NITS ke chutiye vachano se bach rahe the...

DHAPPP......

WOW......SO SERINE....

20 minutes.... exactly 20 minutes me hum sabne ye 2 kms ki chadhayi puri kar li thi...

par first mountain top me pahunchte hi apne atadiyon tak thak chuka NITS mooh ke bal barf me gir chuka tha...

lambi lambi saansein leta hua woh dheere se karwat badalte hue apni peeth par aaya tha...

aur ye dekh baaki sab hasne hi waale the par tabhi KHANAK ke mooh se nikli taarif sun woh sab bhi samane dikh rahe swargiya drishya ki mood gaye aur aisa hote hi un sabki aankhein kudrat ki rachi us adbhut jeevant chitr ko dekh thair si gayi...

suraj ki roshni aankhon ko chuban deti hai par abhi iske bilkul ulat ho raha tha...

barf se dhake pahad jaise apni thandak ko suraj ke sharir ke upar odha se rahe the...

halki laali liye khudke aakarshan ko aur badhate hue hume apni taarif karne ko jaise baadhya kar raha tha surya...

suraj ko ek tak nihaarte hue NITS ke saath saath hamari bhi chadhi hui saansein kab normal ho gayi,pata hi nahi chala...

MAI-let's move guyz...abhi sirf 2 kms hue hain...18 baaki hai...

meri baat sun wapas vartaman me aa gaye the sab aur sabse zyada NITS...

kyunki woh pehle bhi mere saath yahan trekking par aa chuka tha isiliye jaanta tha woh ki aage kya hone waala hai...

abhi tak ki chadhayi jitni exhausting thi,aage ka safar isse 5 guna tough hone waala tha...

kyunki naa sirf aage barf ki thickness zyada hone waali thi balki saath hi saath chadhav bhi thode zyada the...

aur trekking ka last padhav halka khatre se bhi bhara hua tha jiske detailing ke liye TREKKING OFFICIALS ne pehle hi hum sabko ek ek manual diya tha...

NITS-abbe saalon,yahi jagah mili thi holiday spend karne ke liye...!!!

SAM-beta pichle ek hafte se mid term exam ke naam se sabse zyada teri hi fat rahi thi...

EKPREET-fat rahi thi...!!! understatement hai ye yaar...!!!

pehla paper MATHS hai,ye jaankar baawla ho gaya tha ye...ek hafte se paper table set karne waale ko non stop gaaliyan bak raha hai tu...

par aaj jabse yahan trekking ke liye nikle hain, exams ke baare me ek baar bhi zikr nahi kiya tune...

it's the perfect place to take the mind off dude...

NITS-dude...jo hai nahi saala woh doodh bhi nikalne waala hai idhar...

dheere se budbudaya the NITS...

DIMPLE-mujhe toh samajh nahi aa raha ki maths se itna darne ki zaroorat hi kya hai...???

i think it's the best and the most interesting subject...!!!

NITS-boli...topper bai boli...tum front benchers kya jaanoge re hum back benchers ka dard...

MAI-tu ek kaam kar...yahin baithe baithe apna dard kam kar, hum chale aage...

let's bounce guyzzz...

NITS -bounce...!!!ball hai hum...abbe ruko re mere liye...

apne apne trekking bags laadh aage badh gaye the hum aur NITS jo abhi bhi barf me baitha apne chuttad ko thanda rakh raha tha,girte padte utha woh bhi aur apne trekking bag ko theek kar tezi se chal pada hamare piche...

par ye tezi zyada der tak kaayam nahi reh paayi...

aur sirf NITS hi nahi balki baaki sab bhi 30 minutes ke trekking walk ke baad dheeme hone lage the...

girls ka haal toh aur bura tha...pair jo ki 8 inches tak dhase the, unhe uthaane me hi second se zyada ka waqt lagne laga tha unhe...

par in sab me NEW GIRL thi..thaki woh bhi thi par trekking walk ka sahi technique use kar raho thi woh isiliye bad saansein hi halki chadhi thi uski lekin chalne ki speed me koi kami nahi aayi thi...

jahan baaki sabse 20 metres aage chal tha mai wahin NEW GIRL mujhse just 5 metres hi piche tha...

waise SAM bhi baaki sabse aage hi tha par saans uski thodi zyada chadh gayi thi...

NITS-abbe ruko re...jaane se pehle kamsekam hume barf me dhang se dafna toh do...

RASHI-haan guyzz.we cant walk anymore...thodi der ka break lete hain...

apne water sippers jisme trekking starting point me gunguna paani daala tha sabne,saari girls water sip lene lagi thi...

SONU-soccha ttha iss bbaar pure ddistance mme energy ppreserve kar llunga ppar aadhe me hhi ffath gayi hai bhai...

MAI-aadha...abhi tak 25 percent distance bhi cover nahi kiya hai humne...

KHANAK-shit...

MAI-yaa..shit.. isiliye paani kam piyo and start walking along us...

RASHI-but how...!!!yahan humare pair tak theek se nahi uth rahe aur tera toh saans tak nahi chadh raha...

NAISHA-same goes for you too DIMPLE... kitne araam se tum dono trek kar le rahe ho...how...!!!

ANJALI-pair ka complete pressure barf me daalna nahi hai...

pair ka pressure barf consume kare,usse just pehle agla kadam badha lena hai.. that's the technique...

KHANAK-tujhe pata hai...!!! par teri bhi toh speed hamare jitni hi hai aur saansein chadhi hui hai...

ANJALI-tum sabse 5 metre aage hi chal rahi thi mai...

RASHI-waah..aadhe ghante me kya distance banaya tune...

ANJALI-arre yaar,ye technique bolne me jitni simple hai, execute karne me utna hi tough hai...

5,6 baar iske aur MAA ke saath aa chuki hun par balance bana hi nahi paati...

MAI-ab chalen...!!!

ANJALI-yaar SAN, paanch minute toh rook kamsekam...

MAI-jungle tak toh theek hai,par uske baad se badi chup ho tum...!!!

ANI ke kehne par kuch der ka break liya tha humne..is beech hum sab chit chat kar rahe the siway NEW GIRL...

woh chal rahe conversation ke beech bas chup chaap hi khadi rahi thi aur ab bhi meri baat sun ek pal dekha usne mujhe aur...

DIMPLE-paanch minutes ho gaye yaar.. let's continue...

apni baat bol aage badh gayi thi NEW GIRL...

NITS-ye iske andar MAANIKPURI SIR ki aatma toh nahi ghus gayi...

5 minute maane 5 minute...

MAI-sahi toh hai be...bohot hua rest.. chalo ab...

mai bhi aage badh gaya tha jiske baad baaki ab bhi jaisa technique ANI ne bataya tha,usse yaad kar aage badhne ki koshish karne lage jisse thodi der me khud hi discontinue kar diya tha unhone...

ho jo nahi raha tha theek se...

DHAPPP...DHAPPP....DHAPPP...DHAPPP...

kareeb 1 ghante aur 45 minutes ki trekking ke baad sharir me jaan hi nahi bachi thi kisike...

ek ek kar barfile sadak par ghutne tekte chale gaye the sab...

isse pehle bhi 2 baar aur break liya tha sabne par phir bhi sharir me aayi extreme thakan se khudko bacha nahi paaye the sab...

SAM ki saansein bhi dhowkni ki tarah chal rahi thi par kisi tarah apne pairon par ab bhi khada hua tha woh..

bache mai aur NEW GIRL...is lambe trekking ke dauran ab mai aur woh bhi baaki group se bas kuch hi metres aage chal rahe the...

jahan meri saansein bhi tez chal rahi thi par khudko sayyamit rakha hua tha maine wahin NEW GIRL bhi kaafi zoron se saansein inhale aur exhale kar rahi thi par phir bhi ab tak kadam se kadam mila mere just piche chali thi woh...

aur ab baaki sabko yun baiththe dekh usne bhi chain ki saans li thi kyunki thakaan se haal ab uska bhi kuch sahi nahi tha...

EKPREET-aur na chala jaayega bhai... zaroorat se zyada fath chuki hai...

NITS-pehli baar... pehli baar teri soch achi lagi bhai...

MAI-waise kuch hai jisse dekh thakaan kam ho jaayegi tum sabki...

NITS-mere ko maalum tha brandy laaya hai apna lounda...

nikaal bhai..ek ek dhakkan sab lenge...

MAI-abbe chaman chutiye...maine dekh bola,pee nahi...

right dekho...

HOLY MOTHER....WOW...JUST...WOW...

right as in east ki taraf beh rahi thi ganga nadi...

zyada chowdi nahi thi nadi...bas 30 metres ki chowdayi liye curved angle me left ki taraf ghumte hue aage beh rahi thi woh...

dono taraf bane river beds par safedh aur laal medium sized pathhar the...

nadi ke paani aur un pattharon par abtak apne asli chamak me aa chuke suraj ki roshni padh rahi th jo unki khubsoorati aur pure nazaare ko hadh se zyada badha rahi thi...

mantramugdh se hokar sabhi us drishya ko dekh rahe aur aisa karte hue unhe pata bhi nahi chala ki kab unki saansein normal hone lagi thi...

psychological term me mental peace physical exhaustion ko turant kam kar deta hai aur wahi kiya tha maine...

RASHI-hey look...nadi ka paani curve hote hue hamare sidh ki taraf jaa raha hai...

SAM-yup...aur phir extra naa ghum straight hi nikalti hai puri nadi...

RASHI-i am seeing that...but aage colour alag nahi dikh rahi paani ki...

KHANAK-may be because of the distance...1 km toh hoga hi yahan se...

MAI-ek nahi 2...halka downward trek hai ab isiliye distance kam lag raha...

and for the colour differential,i assume,tum dono me kisine bhi trekking border par mile manual ko nahi padha hai, right...!!!

meri baat ke jawab me turant apna side pouch jisme water sipper ke baaju me manual rakha hua tha,nikaala RASHI aur KHANAK ne aur usse padhne lagi..

KHANAK-holy shit... yahan toh likha hai ki trekking ke last 2 km me WATER BLANKET (jama hua paani)bana hua hai...

aur hume ussike upar se guzarna hoga...

RASHI-par remark area me RISKY kyun likha hai...

MAI-ussi wajah se jiske kaaran trekking shuru karne se pehle waver form bhara tha hum sabne...

waise toh water blanket kaafi sakht hote hai par kabhi kabhi unke andar constantly chal rahe moving glaciers upar uththe hue unhe hit karte hain jiski wajah se some area of the blanket turns soft...

aise me agar us soft spot par pair rakh diya jaaye toh woh area toot jaata hai...

NITS-aur uske upar khada banda ya bandi neeche paani me joki kabhi bhi -10 degrees se zyada nahi hoti...

meri aur aakhir me NITS ki baat sun RASHI aur KHANAK ke face me dar dikhne laga tha aur ye dekh...

DIMPLE-relax...water blankets solid rock jitne hard hote hai...

yunhi nahi tootathe woh...unke tootne ka chance .1 percent jitna hota hai aur isse kahin zyada khatra toh raaste par chalne se hota hai...

agar wahan nahi darti toh yahan darne ka koi logic nahi hota...

ab chalen...kaafi der ho gaya yahan hume... moving bodies se heat paida hoti hai jisse yahan ki sardi se bache rahenge hum...

waise toh baat NEW GIRL ne pate ki batayi thi jisse sun RASHI aur KHANAK ke face ka tention jaata raha tha par mere maathe par bal padh chuke the...

reason...

practical defination diya tha NEW GIRL ne, friendly assurance tone nahi tha uski awaaz me...

khair,apni baat bol wapas mood aage badh gayi thi NEW GIRL aur uske piche piche hum sab bhi ho liye the...

aur kyunki ab chadhayi nahi balki steep walk tha isiliye barf ki soft thickness bhi kam ho chuki thi...

aage badhne me ab zyada mushkil nahi ho rahi thi...

yahi wajah thi ki itne der ke baad ek dusre se masti mazak karte hue hum sab aage badh rahe the...

par is HUM shabd me ek shakhs kam thi...

NEW GIRL...

is 360 degree beautiful place ko check out karte hue hum sabse kareeb 15 metre akele hi aage chal rahi thi woh...

jahan baaki sab usse mother nature ko check out karte dekh disturb nahi kar rahe the wahin mai bhi sabke saath hi aage badh raha tha par aage ka scene dekh mere kadam bhi tez ho gaye...

REASON...

humse kuch door jahan se water blanket shuru hone waala tha,us pure 2 km ke area me ice wind beh rahi thi...

raftaar zyada nahi thi par thi toh sahi...

MAI-hey NEW GIRL...water blanket shuru hone waala hai aur wind vision ko blur kar dengi...

i think mujhe aage chalna chahiye...

DIMPLE-beat me...

NEW girl se kareeb 5 metres door se kahi thi maine apni baat jisse sun bina piche palte jawab diya usne aur thodi tez ya phir ye kahun ki literally doudte hue aage water blanket ki taraf badh gaye uske kadam...

MAI-SHIT...

mere bhi kadam thode tez ho gaye the...

is taraf ice wind ka suddenly aana aam baat hai... wind ke beech chalne me bhi zyada fark nahi padta hai par jo chiz is wind ko ghaatak banati hai woh hai glaciers movement...

is wind ke aane ka kaaran hi water blanket ke neeche dheemi chaal chal rahe glaciers aur liquified paani ka tez behna hota hai...

ek under ice tide se hota hai ye jiske constant rush se glaciers water blanket numa solid kawach ko break kar sakte the...

aise me us blanket me doudne ka matlab hai uspar extra pressure add karna which is very dangerous...

KADDAKAKKKKK.....

MAI-stopppppp......

and guyzzz wait...back off...blanket par pair mat rakhna.. parts of it are cracking...

ice cracks....issi ki behadh dabi awaaz sun liye the mere kaano me jiske turant baad maine NEW GIRL ko jo filhal mujhse 15 metre door thi,chillakar rookne ko kaha tha...

wind ki wajah se bas 15 metre door hone ke baawjud awaaz kam aayi thi par phir bhi sun liya tha NEW GIRL ne...

aisa hote hi meri taraf palath gayi woh...

wahin meri baat sun mere baaki dost jinke kadam water blanket me padne hi waale the rook gaye the...

DIMPLE-what ice crack...!!!yahan sab theek hai...

KDKKKKK....

casually bol wapas palath gayi thi NEW GIRL par tabhi uske pair ke just aage ice layer par ek mota crack pad gaya jisse suna aur dekha bhi usne...

turant rook gaye the uske kadam aur usse aisa karte dekh mai samajh gaya ki uske saamne ice crack hua hai...

MAI-relax NEW GIRL and don't move...mai aa raha hun...

DIMPLE-no need...mai aa rahi hun...

KDDDDKKK...

MAI-no wait...

ice cracks ki ek unique khaasiyat hoti hai...jahan iske darar aana shuru hote hai,asli impact uske exact opposite direction me create hue hote hain...

aur agar us impact area par pressure padh jaaye toh woh crack apna daayra ek bade circle ke roop me badha leta hai...

wahi hua... NEW GIRL ke kadam meri disha me badhate hi uske saamne ka surface crack hone laga aur dekhte hi dekhte us crack ne circle sa banate hue NEW GIRL ko chaaron taraf se gher liya tha...

NEW GIRL-SHIT....

CHAPAKKKKK....

SAB-DIMPLE....

NEW GIRL ko ehsaas ho chuka tha ki jo crack uske ird gird bana hai,woh deep hai jiska matlab tha ki kisi bhi pal woh paani ke andar jaane waali thi...

aur uska ye assumption agke hi pal sach ho gaya...

us 4 metre ke daimeter tak faile crack ke saath saath NEW GIRL bhi neeche paani me jaa chuki thi...

wahin aisa hone waala hai,iska assumption sirf NEW GIRL ne hi nahi balki maine bhi kiya tha...

yahi wajah thi ki crack ke dislodge hone se pehle hi mere saare trekking neeche ice me pade hue the aur mai,doud chuka tha...

MAI-WIND SEGMENT...A AND B....

DISPLACEMENT OF THE BODY...INITIAL POSITION NORTH A...

AND WEST 35 DEGREE WILL BE B...

DISTINGUISHED VECTORS SE DENOTE VECTORS...

MATLAB CURRENT POSITION OF A TO B...WEST 60 DEGREES...

WIND SPEED,15 KM THAT MEANS UNDER WATER DISPLACEMENT WILL BE 25 KM...

AND IF ADDED MOVING DISPLACEMENT,C'S SPEED WILL BE 40 KM...

time to reach A TO B,20 SECONDS....

VECTOR ANALYSIS... GANITH ka ek aisa pattern jo kisi bhi moving chiz ke direction ko pata karne ka sateek tarika hota hai but ofcourse maths sahi hona chahiye...

A woh position tha jisme NEW GIRL pehle khadi thi aur B woh position jisme woh abhi beh rahi thi...A TO B NEW GIRL thi aur C tha mai jo NEW GIRL exactly jis point se paani me giri thi,ab girne waala tha...

MAI-20 seconds...hold on tight NEW GIRL... kuch nahi hone dunga tumhe...i promise...

apni aankhon me determination liye ek high dive jump le liya tha maine aur ye dekh...

ANJALI-SANVY.............

ANJALI ke baad sabhi ne SANVY ka naam zor se cheekha tha par un cheekon ko sunane se pehle hi mai paani me andar jaa chuka tha...

SSHHHHHH...

paani ko touch karte hi aisa feel hua mujhe jaise mera dimag,dil aur reedh ki haddi sabhi main internal organs akad se gaye hain...

par filhal dhyan nahi tha mera mujhpar...jaisa calculate kiya tha,apne sharir ko bas us disha me bend karkar rakha tha maine aur baaki ka kaam nadi ke tez current ne kar diya tha...

ab tak ka ganith sahi tha mera... mere run ne meri displacement speed kaafi badha di thi...

saansein rok bas apne dono haath faila diye the maine aur tabhi...

koi solid chiz mere right hand ke contact me aaya tha...ye NEW GIRL ki body thi.. to be precise,uska kamar jisse touch karte ho apni taraf kheenchte hue grab kar liya tha maine....

wahin paani ke andar khudko yun kisike dwara pull hote dekh NEW GIRL thodi chatpatayi aur aisa reaction dekh tention badh gayi meri...

itne chilled water me rehne ki wajah se yaa phir paani ke zyada consumption se NEW GIRL ke senses dull hone lage the joki bilkul achi baat nahi thi...

agle 20 seconds ke andar apne senses se completely disengaged ho jaane waali thi woh aur uske baad shayad 30 seconds bhi survive nahi kar paane waali thi NEW GIRL...

bachane ka usse ek hi tarika tha aur wahi karne waala tha mai...

pakda toh tha hi maine usse...apne dono ghutno se usse jakda maine aur agle hi pal...

ek haath se uske dono cheeks ko dabaya maine aur...

mere honth NEW GIRL ke honth se jud chuke the...

paani ke andar hi mouth to mouth dene laga tha mujhe par fark bas ye tha ki ye mouth to mouth constant rehne waala tha...

tab tak jab tak jis disha me hum badi tezi se badh rahe the,uske end me bana clean river naa jaaye yaa phir jab tak meri saansein tham naa jaaye...

khair,abhi mujhe mouth to mouth start kiye 10 second hi guzre the ki tabhi ek halka jhatka sa laga NEW GIRL ko body ko...

naa sirf apne senses me aa chuki thi woh balki saath hi saath pura scenario clear ho chuka tha uske dimag me...

aisa hote hi usse realize bhi ho gaya ki mai kya kar raha hun...i was giving my life up for her...

ye realization hote hi chhatpatane ko hui woh par aise kisi condition ke liye hi toh apne pairon se uske sharir ko jakad apne dusre haathon se uske uper body ko lapeta tha maine...

kuch seconds ki koshish ke baad shaant ho gayi woh par paani ke andar hone ke baawjud uske aankhon ne aansuon ke liye jaga bana di thi...

aankhein band thi uski par un band aankhon ke beech bhi usse sirf mera face hi dikhayi de raha tha...

practically dekhe toh ye mouth to mouth tha koi kiss nahi...

par situation ko mehsoos kar isse hamari pehli aur aakhri kiss samajh is pal ko khudme sametne me lagi thi NEW GIRL...

aur is beech...

giraft meri NEW GIRL ke sharir par dheeli padne lagi thi aur ye feel kar mujhse alag hone ko hui woh par tabhi...

CHAPPAKKKK....

ice cover area khatm ho chuka tha aur aisa hote hi river flow ki wajah se hum dono ki body paani ke upar aa gayi thi...

itna hi nahi,paani ke saath hamare bahav ki speed bhi kaafi nominal ho gayi thi...

paani se bhari apni aankhon ko saad karne ke baad apne upar neela aasman dekh khushi ka thikana nahi raha tha NEW GIRL ka par ye khushi shanik hi thi..

kyunki agle hi pal mujhe dekh jo usse alag hone hi waala tha,mujhe pakadne ke beech mere face ko dekh uska pehle se hi gora mukhda aur safedh padne laga tha...

REASON...

senses me nahi tha mai apne...par paani me itni der tak bina saans liye rehne ki wajah se aisa hona toh normal hi tha...

par NEW GIRL ke dar ki asal wajah thi mere ear lobes joki extra white dikh rahe the...

jiska matlab tha problem in my respiratory system...

jhat se mujhe hold kar water current ke flow ja use kar side ki taraf tairti chali gayi thi NEW GIRL....

thodi hi der me hum bank par the jiske baad kuch seconds khud ki chadhi saanson ko durust karne ke baad turant mere chest ke paas aakar baith gayi thi NEW GIRL...

DIMPLE-SANVY,SANVY.....get up please....SANVYYYYYY.....

mere pairon aur haathon ko rub karne ke baad mere chest ko ek lay me press karte hue mera naam pukaar rahi thi woh...

par meri condition jyo ke tyon bani hui thi...dil ki dhadkan kaafi slow beat kar rahi thi meri aur behosh pada hua tha mai...

ek superconfident girl thi NEW GIRL par aansuon se bheege face ke piche uska nervous chehra saaf dekha jaa sakta tha...

help ke liye idhar udhar dekh rahi thi woh par koi nahi tha hamare aas paas...

hamare friends se bhi kaafi door aa chuke the hum...

PHOOO....

thodi der tak chest C.P.R dene ke baad bhi jab koi faayda nahi hua toh jo maine underwater kiya tha,wahi NEW GIRL ab karne lagi...

mujhe lagatar mouth to mouth dene lagi thi woh par agle paanch minute tak waisa karne ke baad bhi jab mujhe hosh nahi aaya toh...

DIMPLE-SANVYYYYYY...IDIOT...kya zaroorat thi mujhe bachane ki... apni galti ki wajah se mar rahi thi mai...

mujhe sahi karne ke liye khudke saath itna GALATH kaise kar sakte ho tum...???

damn it SANVY,get up for GOD SAKE....nahi jee paaungi mai tumhare bina....

i swear,nahi uthe agar tum toh mai bhi mar jaaungi...

fine,i am gonna die too...

apni baat keh joki uske facial expressions se bilkul sach lag rahe the,nadi me kudne ke liye uthne ko hui NEW GIRL...

MAI-zidh aisi honi chahiye jiske pure hone par khushi ho,taklif nahi...

DIMPLE-SANVY...theek ho tum... tum theek ho...oh,thank GOD,theek ho tum...

apni aankhon ko joki abhi bhi aadhi khuli hi thi,usse jhapkaate hue haath pakad liya tha maine NEW GIRL ka...

wahin mujhe hosh me dekh khushi ka thikana nahi tha NEW GIRL ka...mere upar puri bicchti hui mujhe khudme zor se jakad zor zor se rone ki beech apni khushi dikhane lagi thi NEW GIRL...

MAI-wooo...araam se yaar... kuch dab raha hai mere chest me...

meri baat sun jhat se alag bhi mujhse NEW GIRL...face par uske haya ki laali kuch yun chhayi ki kasam se,pure TAPOVAN ki khubsoorati feeki lagne lagi thi uske aage...

turant uth jaane lagi thi NEW GIRL par ek baar phirse haath pakad apne paas baithaya maine usse aur...

MAI-wakayi mar jaati tum...!!!

meri baat par face turant serious ho gaya tha NEW GIRL ka...

NEW GIRL-aisa kuch phirse try karke aazma lena...

MAI-kyun...???

NEW GIRL-tum jaante ho kyun...???i love you damn it...par tumhe isse kya...???

MAI-matlab...!!!

DIMPLE-

"bheed gadhon ki ho par chaahat unhike beech toh....

woh ishq-e-rukhsaar un gadhon ka HISSA NAHI HOTA"...

trekking shuru karne se pehle jo shayri boli thi maine,uska second part quote kiya tha NEW GIRL jisse sun saara maazra samajh aa gaya tha mujhe...

meri shayri me khudke wajood ko BHEED shabd ke saath jod liya tha usne aur isiliye hi pure trip me ukhdi hui si thi woh...

ye ganith samajh sir shake karne me lag gaya tha mai...

wahin shayri ke words quote kar...

DIMPLE-ab meri baari...kyun...???mujhe bachane ke liye apni jaan daav par kyun laga di tumne...???

NEW GIRL ke sawal ko sun kuch pal dekha maine usse aur phir ek lambi saans chhod...

MAI-

log shabdon ki jugalbandi karte hai,mai lafzon ka WAAR KARTA HUN...

jo mujhe sahi lagta hai,woh tarika mai IKHTIYAAR KARTA HUN...

kaha bhale ab tak nahi, par aankhon me mere har waqt raha hai ki....

DIMPLE-KYA...!!!!

MAI-mai tumse beintehan PYAAR KARTA HUN...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
Bahot behtareen
Shaandaar lajawab update bhai
 
sandy314

New Member
28
104

Mind blowing update bhai

Aakhir sanvy ne dimpal se izhaar kar hi diya

Waiting for next update
 
Last edited:

Ashwathama

अहङ्कारं बलं दर्पं कामं क्रोधं च संश्रिताः 🕸
708
4,358
123
Waiting bhai
 
Last edited:
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,756
40,161
189
Izhaar-ae-mohabbat wo bhi ek bahut hi khubsurat jagha pr aur usse bhi jyada ek life and death hadse ke just baad ...life and death stages pr aksar sabhi apni bhavnaao ko bayan kr hi dete h aur yaha sanvy ne bhi aakhir apni feelings ko bayan kr hi diya jinka ihzaar wo aaj tk silently aur apni gol gol baaton me krta aaya tha aaj directly usne dimple ke samne bol hi diya...aur is izhaar ko kisi ko parakhne ki jarurat bhi nhi h saaf dikhta h ki sanvy ne apni jaan ki parvaah kiye bagair kis trha dimple ki jaan bachai...beshak sanvy yaha kisi aur ke liye bhi ye sab krta usko bachane ke liye jo hmne bahut baar dekha h ki kaise sanvy ne apni life risk me daal kr dusro ki jaan bachai h...pr yaha sawal uski mohabbat ka tha aur mamla har baar se bhi sabse jyada tough tha thoda sa bhi miscalculation aur dono ki life khatam..pr yaha calculation hi nhi execution bhi successful rha tha jb dimple khud sense se bahar hui to sanvy ne use sense me laya aur us chakkr me uske khudke sanses dull ho gye the but dimple to senses me aahi gyi thi jo positive sign tha yaha pr agr wo aisa nhi kr pata to dono ka bachna next to impossible hota...
Wahin baat kre in logo ke holiday spot ki to jis jagha h aur jis trha se us jgha ko varnit kiya gya h wo kisi swarg se kam pratit nhi ho rhi h ...dharti pr agr swarg h to wo yahi h aisa hi pratit hota h jb bhi aisi jaghaon pr ghumne jaate h hm sabhi bhi...bakai bahut hi manoram aur dil ko sukoon dene wale drishya jinko sabdo se bayan nhi kr skte sirf apne antarman me mehsoos kr skte h...amazaing and beautiful update biradar..✌✌✌so the officially love story have started......😍😍waiting for the next update brother...kya yaha apni shayari ki baare me statement bhi dena hoga sanvy ko dimple ke samne ya ab jrurt nhi pdegi izhaar-ae mohabbat ke baad kyuki aksar ldkiyon ki aadat hoti h jb tk puri safai sun na le baat ki khaal na kheech le manti nhi h wo😂😂😂😂😂joke apart🙊
beautiful review brother... yunhi saath bane rahiye...
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,756
40,161
189
Super duper dhamakedar behtreen update bhai... :vhappy:

Jabardastt Updatee

Update ke starting mein jab Anjali ke ghar jaane ki baat hui tabhi samaj aagaya tha Anjali ke maa baap apni asli aukat mein toh aayenge hi. Aur hua bhi waisa hi. Woh Mehmaano ke saamne Sanveer aur Veronica ko beizaat karne se baaz nhi aaye.

Par woh nhi jaante the ke woh kiski beizaat kar rahe thee. Sanvy ne bina kuch kahe sirf apni maa kaa naam leke aur uske achievement ko dikha ke hi Mr. And Mrs. Udaasi ki bolti band kardi.

Ab dekhte hai yeh dono aisa kyaa karte hai Veronica ko manane ke liye aur deal ko seal karne ke liyee. Itna toh pakka hai yeh dono sidhi tarike se toh baat nhi karne wale kuch na kuch hungaama hogaa jisme inki beizaati hogi uske baad hi kuch hogaa.

Nice update

अगर एक ही शब्द में समेट सकता
वाव
पर आगे में बेबस हूँ क्योंकि मैं निशब्द हूँ

Speechless update sir marvelous

Super update bhai
Waiting for next

Jabardast update..💥

Vj bhai update kam aane lage h lakin jab bhi de te ho to dil ko chu le to ho

Very nice update bhai maza aa gya

Super update bro

Amazing & Zabardast update. Main xossip ka pichhle 12-13 saal se silent reader hu. But aaj tak koi comment nahi kiya. But ye aisi story h ki comment karne ko majboor ho gaya.

Good writing skills and mind-blowing.

Maine aapko story attitude ke dono part pade h. Woh bhi amazing h.

Keep it on.

Nice update

lovely update ..2 prem kahaniya chal rahi hai jisme ek nits ki aur dusri sanvy ki .

anjali ke mom dad ne insult karne ki sochi par daaw ulta hi pad gaya ,sanvy ke maa. ke baare me jaankar dono khas guest impress ho gaye aur deal bhi aisi di thi veronica ke branch se hi paise ki len den ho .
waise deal mili shravya ko par sirf sanvy aur uski maa ke naam ki wajah se .

Jaisi Maa waisa beta....
Ye dono hamesa ek dusare ko proud feel karate hai....

Wah Fantastic super mind-blowing update

Waah very good update bro

Super update hai Bhai

Awesome update bhai waiting for next update

Extraordinary and soo beautiful update sir g

Awesome update bro

Fabulous update hai bhai maza aa gaya

Waiting for the next update bro

Wonderful update bhai

Just marvelous and fantabulous update vj4u bhai...

Totally left speechless. everyone should be proud of his mother in reality also
💞💞💞💞💞💞

bombastic update hain bhai Kia zabardast update diya hain maza aa Gaya lekin soch yah raha hoon ki Kiya Sanvy pyar ka jawab pyar me dega ya phir kuch aur.
shayad main GHALATH hoon but lagta hain G.O.D se Dimple ka koi connection hain like uska father hain woh ya kuch aur yahi wajah baney Dimple ka future me Sanvy ke khilaf honey ka.
As I said just a thought.

Awesome update bhai

Awesome update bhai keep posting

Extraordinary update SIR G

Fantastic superb update..bhai💥

Extraordinary fantastic mind-blowing update bro

:clap2: :applause:
So superb update.....
:thanks:

Bohat badiya update.

Awesome Update 🔥🔥😍😍

Mind Blowing Update😍😍

Fantastic updates

Superb update bhai

Lovely Amazing update Bhai

आखिर कार वह लम्हा वह घड़ी आ ही गया जब सान्वी ने अपना इकरार ए मुहब्बत कर दिया l डिम्पल को बड़ी शिद्दत से इंतजार जो था l पर कुछ गलत होते होते रह गया l कितनी भी होशियार क्यूँ ना हो, एक लड़की की बेवकूफ़ी भरा हरकत ना सिर्फ उसकी बल्कि उसके प्रियतम की जान ले सकती थी l खैर सान्वी जब तक है गलत होने नहीं देगा l
बढ़िया था बहुत ही बढ़िया था
भाई यह बर्फ पर ट्रेकिंग हमने कभी कि नहीं है फिर भी आपके विस्तृत विवरण ने कल्पना में सही परिभ्रमण करवा दिया l
👌👌👌

Jabardasttt Updateee

Aakhir kar do tarfa izhaar ho hi gaya. Aur jaisa maine kaha aur socha tha Sanvy ke izhaar karne ka tarika alag hogaa yeh bilkul waisa hi huaa.

Maut ke muh mein jaake launde apne pyaar ka izhaar kiya hai. Par itna toh pakka hai jaha izhaar kiya hai woh jagah koi aam jagah toh nhi hogi. Woh jagah sabse khaash hogi jo shayad agle update mein pata chalee.

Beautiful and lovely update bhai 😊☺️

Jabardast thukaee bhara update tha dost

Nice update

Zabardast update

Nice mast update bro

lovely and romanchak update 😍😍😍😍 ..tapovan me apne pyar ka khulke ijhahar kar hi diya sanvy aur dimple ne ..

pura update padhke maja aa gaya tapovan ke baare me jaankar .

Extra ordinary update vj4u bhai....

Akhir Sanvy ne dimple ke proposal ka jawab de hi diya bilkul aapne unique style mein....
Loved it very much ❤️❤️❤️❤️

Gajab.....akhir new girl ne accept karwa hi diya SAN se ..ki wo bhi MOHABBT KARTA RAHEGA AAKHARI SAS TAK

Super update bro

Fantastic update bro

Super update hai Bhai

Nice update bhai

Nice update

Wow yrr kya hi zabardast update thi ye to specially the last part of the post DIMPLE ke pani me girne ke.baad se hi that was awesome
And atlast SANVY ne DIMPLE ko apni feeling bata hi din .
Ab to next update ka intezar or bhi besabri se hai.

Badhiya shaandaar update bhai

Shaandaar update

Behtareen shaandaar update bhai

V

Very beautiful update bro

fantastic update bhai

Alfaz nahi h kuch kehne k liya kia kahe sab kuch tow aapne keh dia
Lajawab lajawab update bhai

Bahot behtareen
Shaandaar lajawab update bhai

Mind blowing update bhai

Aakhir sanvy ne dimpal se izhaar kar hi diya

Waiting for next update
thanks brothers...be along...
 
Top