AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF PRINCI STUDENTS KO SPORTS PRACTICE SE MAIN EVENT TAK HONE WAALE VISUAL MONITORING KE BAARE BATATI HAI WAHIN DUSRI TARAF SAM PARAG KO AUR DIMPLE CHARVI KO RACE ME HARA DETE HAIN.
AB AAGE:-
CHAPTER-1
(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)
UPDATE-75
DATE-1ST DECEMBER
CITY-DEHRADUN
PLACE-JOGGERS PARK
HEY SMARTY...
abhi mere jogging ka first lap complete hua hi tha ki tabhi achanak NEW GIRL mere side me aa mere saath run karne lagi...
subah ke 5.45 hue the...pahadi ilaaka hone ki wajah se suraj ne ab tak aasman ko dhang se apna mooh nahi dikhaya tha lekin phir bhi andhere ke baawjud NEW ke chamakte chehre se jaise aas paas ke mahoul ujale se bhar utha tha...
slim fit streched black track suit me thi NEW GIRL par phir bhi uska appearance GUCCI ya PRADA jaise international brand ko pehne kisi supermodel ko bhi araam se maat de sakti thi...
aur aisi beintehan khubsoorati ki misaal meri G.F hai...
shayad yahi wajah thi ki naa sirf doudna band ho chuka tha mera balki sab kuch bhool suraj chamakne ke waqt apne saamne khade chaand ko ek tak dekh raha tha mai...
DIMPLE-kya hua...???
MAI-meri kaise ho gayi tum...???
mere sawal ka matlab samajh gayi thi NEW GIRL...
chehre par aayi uske halki si laali saboot thi is baat ka...
DIMPLE-tum kabse khud ko underestimate karne lag gaye...???
MAI-zameen kitna hi bada kyun naa ho jaaye,aasman se chota hi hota hai...
DIMPLE-aur pakshi aasman me kitna hi uncha kyun na ud le,aana wapas usse zameen par hi padta hai...
theek waise hi jaise mai tumhare paas aa gayi...
mere kareeb aate hue kahi thi apni baat NEW GIRL ne...uske raw skin ki mehek naak se hote hue mere dimag me samati chali gayi thi...
ab bhi khamosh tha mai aur NEW GIRL... mujhe kuch na kehta dekh ab usne apna sharir mere chest se halka laga sa diya tha...
YE AAJ KAL KE BACCHE...KAHIN BHI SHURU HO JAATE HAIN...
hamare baaju de hokar guzar rahe do ladies me se ek ne mooh banate hue badbadayi thi ye baat jisse sun turant ek dusre se thoda door ho gaye mai aur NEW GIRL...
MAI-ab bataogi,aaj yahan kaise...???
DIMPLE-kyun,mai apne B.F ke saath jog karne nahi aa sakti kya...???
MAI-bilkul aa sakti ho par abhi toh kamsekam yunhi nahi aayi ho...
DIMPLE-and,why do you say that...???
MAI-yahan park me tumne ek bhi round nahi maara hai phir bhi vest half dried paseene se bhiga hua hai tumhara...
ab itne cool weather me soaking wet waali haalath kamsekam half an hour ke strong jog ke bina toh possible ho nahi sakti...
which means ki tumne apne aaj ka jogging kota pehle hi pura kar liya hai aur phir yahan aayi hun...
that brings back my previously asked question...why are you here...???
51.7 seconds...
apne right hand me pehle smart watch ko jisme is waqt ek paused timer tha,aage kar diya tha NEW GIRL ne...
exactly 51.7 seconds me halted tha timer jisse dekh aadha maajra samajh gaya tha mai...
MAI-toh tumne SAM ki 400 metres sprint ki timing match kar li...
ek week me... impressive...
waise toh ek nano second kuch bhi nahi hota...blink of the eye se pehle guzar jaata hai ye waqt par 400 metres ke sprint me yahi nano second ek minute se kam nahi hota...
aur sirf ek hafte me NEW GIRL ne apne aur SAM ke beech ka fark khatm kar diya tha...
too much of dedication...par ye tha NEW GIRL ke yahan aane ka first angle... second abhi bhi untold tha isiliye...
MAI-waise mai school aa raha tha aaj...
DIMPLE-mai bhi...
MAI-toh apni achivement ke baare me tum mujhe wahan bhi bata sakti thi...
DIMPLE-par tum wahan woh karne ke liye kabhi nahi maante jo yahan kar sakte ho...
MAI-and what's that...???
DIMPLE-let's race...
MAI-ya, right...
DIMPLE-oh common...just one race...
pleading aankhein aur cute sa face bana mere saamne khadi thi NEW GIRL jisse dekh halki si hasi aa gayi thi mujhe...
MAI-i get it...toh kisi chiz me mujhe straight aur easy harana chahti ho tum...nice...
NEW GIRL-oh common...G.F hun tumhari and that too officially...
kamsekam mujhse toh ab secretive rehne ki zaroorat nahi hai...
MAI-secretive...!!!tumne dekha hai kabhi mujhe run karte and that too as fast as SAM...
i am not into this stuff...
DIMPLE-you don't need to be...ab tak itna toh samajh hi gayi hun mai ki tumhari kisi bhi chiz me grabbing capability unmatched hai...
haan,SAM ke jitni joki ab meri bhi speed hai,utna tez doud sakte ho ki nahi tum, ye nahi jaanti mai par i can put my life on line to bet that tum ho fast...
aur yahi jaanane ki curiousity hai mujhe...so please...
MAI-ok, let's run...
kandhe uchka apni baat bol jog path ki taraf wapas chal pada mai...
wahin mujhe turant maan jaate dekh halki shocked ho gayi NEW GIRL...
DIMPLE-really...!!!
MAI-yup...
DIMPLE-koi debate nahi... koi i don't wanna do it,i will not do it,kuch nahi...just like that...you agree to race...
MAI-yup...
DIMPLE-why...!!!
MAI-yaar tum girls bhi....smart, ordinary ya stupid... ek baat teeno hi catagories me common hoti hai...
humse jo chahiye,woh mil jaaye toh bhi sawal aur naa mile toh bhi sawal...
DIMPLE-kyunki jawab ke saath us jawab ka reason bhi utna hi important hota hai...
MAI-right...!!!bhale hi jawab obvious hi kyun naa ho...tum chahti ho mai race karun,i don't find a reason not to do it,toh kar raha hun mai...simple...
DIMPLE-aur ye race authentic hogi... casual nahi hoge tum...!!!
MAI-nopes...
DIMPLE-you swear...!!!
MAI-i swear ki abhi raat ho rahi hai...
DIMPLE-par abhi toh din nikal raha hai...
MAI-exactly...point is kasam sirf ek shabd hai mere liye...mai nahi maanta isme...
what i believe is my word... maine kaha,mai doudunga,means mai doudunga...
run authentic hai ya nahi,itni toh experienced ho ho tum ki race ke baad guess kar sako...
DIMPLE-true that...ok then,shuru karte hain...
apne smart watch par new timer button set karne ke baad NEW GIRL bhi mere baaju me jog path par khadi ho gayi thi...
breadth diameter 8 feets plus tha jog path ka jiska matlab tha ki collision ka chance nahi tha aur dusre joggers ko bhi badi asaani se unke left right taraf se cross kar aage badh sakte the hum dono...
GO...
NEW GIRL ke timer on karte hi bhaag pade the hum dono...
damn,this girl is really fast...race shuru hone ke chand seconda baad NEW GIRL se halka piche tha mai aur puri jaan laga apne aage doud rahi NEW GIRL ki speed dekh aur feel kar wakayi usse impress hua tha mai...
wahin dusri taraf bhale hi mujhse aage thi NEW GIRL par bas do inches se...
woh mehsoos kar paa rahi thi meri moujudgi apne just piche...
aur saarvajanik darshak...woh saare log jo garden me moujud the aur jinko left right se cross karte hue hum dono tezi se aage nikal rahe the,sabke sab rook hum dono ko dekhne lage the...
kuch ko hum dono hi paagal lag rahe the par jin logon ki thodi si bhi ruchi thi sports me,hum dono ke hi aur khaas kar NEW GIRL ke speed ko dekh woh sabhi bohot prabhavit ho rahe the...
LAST 100...
aakhri 100 metres bach gaye the aur abhi bhi NEW GIRL mujhse halki aage thi par guzarte palon ke saath ye secenerio change hone laga tha...
SHIT...
race khatm ho chuka tha aur ye "SHIT" shabd nikla tha NEW GIRL ke mooh se...
reason...
jeet nahi paayi thi woh ye race...haan haari bhi nahi thi woh kyunki ek hi time par apna race pura kiya tha hum dono ne...
lambi lambi saansein lene ke beech apne stopped timer lar nazar padi uski jisme 51.7 seconds flash ho raha tha...
par is beech mujhe apni paini nazaron se dekhna bhi nahi bhula tha NEW GIRL ne...
honth band the mere par nostrils se tez nikalti hawa aur stressed aakhein joki physically thakne ka saboot hoti hai,dhyan se observe kar rahi thi woh...
haan mera stamina acha tha par phir bhi jab 400 metre jaisa race 100 metre jitni jaan lagakar doudo toh chuppane ki koshish karne ke baad bhi tired symptoms face par saaf dikhte hain aur wahi dikh raha tha mere face par...
DIMPLE-so you didn't fake... wakayi authentically doude tum...
MAI-told you i would...
DIMPLE-you are as good as SAM... participate karna chahiye tumhe is baar...
MAI-woh toh kar raha hun mai...
DIMPLE-really...!!!mujhe laga tha ki tum...
MAI-mazak kar raha tha...naa...i am participating...
DIMPLE-ye sudden limelight me aane ki wajah...!!!
MAI-aur kya...!!!or should i say kaun...MR JAIDEN CHOWDHARY...
mere mooh se JAIDEN CHOWDHARY ka naam sun NEW GIRL kuch seconds ke pause ke saath aakhein badi kar mujhe dekhti rahi aur phir...
DIMPLE-wow...MR JAIDEN CHOWDHARY ki taarif maine school me lagbhag sabko karte dekha tha...
unhe admire karte dekha tha siway tumhare...
mujhe laga tha ki you are the only person who doesn't gives a crap about his legacy...
MAI-kyunki maine kuch kaha nahi,koi reaction nahi diya iska matlab ye nahi ki he is not a motivational figure for me...
he is the best SIRIUS has ever produced...
DIMPLE-aur isiliye you wanna participate infront of him...
MAI-best dena hai toh best ke saamne hi dena chahiye...
DIMPLE-nice...matlab ab tak jis SANVEER ko sirf maine dekha hai,jaana hai,ab pura SIRIUS, SIRIUS kya pura dehradun usse dekhne aur jaanane waala hai...
meri baanh pakadte hue mere saath aage badh gayi thi NEW GIRL...
MAI-you like that haan...
DIMPLE-i love that...
MAI-kyun...???
DIMPLE-because i love you...
PLACE-SIRIUS
HA...HA...HA...HA...
lambi lambi saans lene ke beech ground ke grass covers par bich sa gaya tha NITS...
RAJAT-kya hua bhai...???sirf 6 rounds hi hue hain sprint ke...4 abhi baaki hain...chal aaja,uth...
NITS-bas bhai...fat ke chaar ho chuki hai...aur douda toh fatne ke liye kuch bachega hi nahi...
SONU-kkya hua bbe...cchalo nna...
RAJAT-iska toh ho gaya kaam..chal,apne rounds complete karte hain...
SONU-ttu jjaa mmai aata hun...
SAM aur uske saath 50,50 metres ke sprint kar rahe ladko ki taraf bhaag pada tha RAJAT aur RAJAT ke palaththe hi SONU ne maari ek tapli NITS ke chote magaj me...
SONU-abbe loudu chand,aise impress karega ANJALI ko... teri current speed ke hisaab se race ka pehla round hi cross nahi kar paayega tu...
kamsekam final round tak qualify kar jaaye,itna toh speed gain kar le be...
NITS-apne school se jitne bhi bande race me participate karte hain, woh sab SAM ko khudka competition maante hain isiliye sprint practice bhi saal bhar karte hain...
ab tu bata,kya ek mahine ki practice se loude ka ussain bolt ban jaaunga mai...
izzat ka kachumar hi hona hai udhar...jab gaand marana hi hai toh khaali fokat mahine bhar saans kyun phulaun...!!!
SONU-alag llevel kka ledra hai be ttu...abbe ANJALI ko impress karne ke baare me hi soch le...
NITS-ussi ke baare me hi soch raha hun...doudkar impress karne ke chakkar me depress kar dena hai maine usse...
SAM-hey guyzzz...SONU,chal, rounds pure kar apne aur tu be...
NITS-yahinich khilla maarkar baith gaya hai apun...uthna chhod hilunga bhi nahi...
EKPREET ke saath apni sprint puri kar louta tha SAM aur uski baat sun jahan ek taraf SONU turant apne bache rounds pure karne nikal pada tha wahin NITS ki baat sun has pada tha SAM...
MAI-hil hil kar bolta hai,hilunga bhi nahi...chutiya saala...
NITS-kahan tha be tu saale...???
MAI-classroom me...kal mila physics assignment complete kar raha tha...
EKPREET-ohhohoho...masumiyat toh dekho lounde ke chehre par...
RAJAT-tu kabse assignments pure karne lag gaya be...tere saare assignments toh pehle ye SONU puri karta tha aur ab ANJALI karti hai...
ANJALI-correction...iske saare homeworks,assignments shuru se hi mai puri karte aa rahi thi...
beech me SONU ne ye responsibility le li thi par ab it's back with me...
ANJALI jiske saath NEW GIRL aur baaki girls bhi the, pahunche the hum boys ke paas...
NITS-satyavachan...saale ne shuru se hi gazab ki kismat paayi hai...har chiz me jugaad mil jaata hai kameene ko...
MAI-beta kismat aur relationship ek se hote hain...yunhi nahi bante,banaane padte hain...
RAJAT-satyavachan and that which back the original question... kahan tha be tu...???
RASHI-tu naa yaar RAJAT...ek ladka jiski saalon se ek g.f hai,bohot dumb sawal karta hai tu...
KHANAK-yaar,abhi abhi ye dono couple bane hain...aise me jitna bhi personal time mile,kam hi lagega naa...
NAISHA-true that...aadha school yahan ya phir indoor stadium me practice kar raha hai aur baaki bhi in dono jagah par chill kar rahe hain...
class rooms hain khaali...aise me un rooms ko inki tarah love birds hi utilize karenge naa...
ohhooooo.....
NAISHA ki baat par na maine koi jawab diya aur naahi NEW GIRL ne jisse dekh hum dono ko dekh hooting karne lage the sab...
HEY SAM,HANSH IS HERE...
hum se ek saal senior banda tha ye jiski awaaz sun hum sab palte uski taraf...
SAM-HANSH...!!..HANSH PATEL...
SENIOR-yup...permission nahi li thi usne isiliye entry me wait kar raha hai tera...
HANSH PATEL...is saal ka second year college freshman hai ye...
par usse pehle tak SAMRAT ka student tha ye aur 3 saal pehle tak interschool 100 metre champ bhi the HANSH PATEL...
early 2019 me SAM woh pehla ladka tha jisne HANSH ko haraya tha aur champion ka khitaab usse chhina tha...
apne school ke last year me haarna aur woh bhi ek junior boy se,kaafi insult feel kiya tha HANSH ne...
acha khaasa back lash hua tha HANSH aur SAM ke beech par SAM ke strong background ki wajah se zyada kuch kar nahi paaya tha HANSH par phir woh khud hi shaant ho gaya tha...
apne school ke aakhri din he invited SAM to his farewell party and there,dono ne apna dispute call off kar diya...
SANVY nahi gaya tha us party me par us shaam ki detailing puri thi uske paas...
khair,HANSH ke college jaane ke baad he and SAM never met... abhi tak toh nahi...
yahi wajah thi ki HANSH ka naam sun khush ho gaya tha SAM...
SAM-aata hum guyzz...
turant khada ho entry gate ki taraf badh chuka tha SAM...
NITS-abbe...teri G.F toh idhar hi baithi hai... phir ghadi dekh kidhar khisak raha hai tu...???dekh le DIMPLE, kahin aur taanka bhidakar naa rakha ho tere majnu ne...
MAI-usse dekhne ki koi zaroorat nahi hai...
"jab godh me mere chaand gira hai, phir aasman me kis chiz ki talab rakhun mai"...
NAISHA-OHHHOOO..kya baat hai SANVY...!!! how romantic yaar...
MAI-aata hun washroom se...
jahan ek taraf NAISHA ko wink kar aage badh gaya mai wahin meri baat sun sharm se gaal laal ho gaye the NEW GIRL ke...
MAI-PURAN bhaiya...SAM aaya tha is taraf...!!!
PURAN-haan...kuch ladke aaye the usse milne..unhi ke saath udhar PRIMEVAL ki taraf gaya hai woh...
kyun,kuch problem hai kya...???
MAI-nahi,woh mujhe bhi bulaya tha usne idhar... isiliye pucha...
PRIMEVAL SIRIUS ke old kindergarten ko kaha jaata hai joki main campus se bahar right hand side hai...
PRIMEVAL ka centre point ek bohot hi khubsoorat aur dense tulip garden hai jiske dono chhoron par baithne ke liye permanent couches aur benches bane hue hain...
khair, PURAN bhaiya ke location batate hi mai us PRIMEVAL ke taraf badh chala tha...
aur jaise hi mai PRIMEVAL ke andar ghusa, saamne ke nazaren ne mere yahan aane ke shak ko sahi kar diya...
HANSH ke bulaawe par uske jis farewell party me gaya tha SAM, EKPREET bhi gaya tha uske saath...
SAM toh busy ho gaya tha HANSH ke saath joki usse badi khushi ke saath time spend kar raha tha par EKPREET ne HANSH ke friend's ko notice kiya tha jo badi khunnas ke saath SAM ko ghure jaa rahe the...
SAM ko bataya tha usne ye baat par SAM ne ye bolkar taal diya tha ki har group me kuch chutiya toh hote hi hain...
mai bhi tha us waqt wahan isiliye mere dimag me bhi woh baat baith chuki thi aur acha hi hua ki i remembered kyunki ussiki wajah se aaj mai sahi time par yahan pahunch gaya tha...
mujhse thodi door kul 5 log moujud the ek shed ke neeche jinme se chaar SAMRAT ke lounde the...
ek unme se HANSH tha aur baaki chaar jinhone is waqt SAM ko dobocha sa hua tha,woh SAMRAT ke current lounde the..
unme se ek DUSHYANT bhi tha...wahi jisse pichle saal uske hi school ke paas pela tha maine...
aur us din ki tarah scene aajka bhi same hi tha...HANSH ke haath me SAM ki taang todne ke liye ek hockey stick thi par filhal SAM ne usse apni chhor se pakda hua tha...
mobile nikaal kuch type kiya maine aur...
MAI-hockey pakadne se kya hoga be loudu...jhatka dekar le apne haathon me aur...
MAAR MADARCHODON KO...
aaj kaafi dino baad apna takiya kalaam bola tha maine jiske baad mere kadam rook nahi paaye...
tez bhaaga mai SAM ki taraf aur ye dekh jiski haalath sabse zyada patli hui, woh tha DUSHYANT...
abhi mai chand metres door tha un sabse ki tabhi DUSHYANT jisne SAM ka ek kandha jakda hua tha,uski pakad dheeli hoti chali gayi aur aise hote hi jhatka de us haath ko chhudate hue apne dono haathon se hockey stick pakad liya tha SAM ne...
CHR...
DHAKKK...DHAKKKK......
pahunchne hi waala mai HANSH ke paas ki tabhi right ki taraf ke tulip me kuch hulchal mehsoos ki maine...
un sabke saath aaya ek aur banda hi tha ye jisse shayad DUSHYANT ne aise hi kisi time ke liye jab mai aaun,chhupa kar rakha hua tha...
par isse pehle ki woh mujhpar jhapat paata,mai HANSH ke sir par pahunch chuka tha..
ek tez punch maara tha maine uske thobde par jispar ek tez karah ke saath woh side me girta chala gaya...
par uske girne se uske aur SAM ke haathon ke beech fasa HOCKEY STICK jisne un dono ke darmiyan ek balance bhi banaya hua tha,woh balance off ho gaya...
issi disbalance ne SAM ke haathon ke grip ko bhi dheela kar diya...
result,hockey stick neeche gir gaya tha...
khair, mere punch se HANSH bhale hi knock out ho gaya tha par mai movement me hi raha...
ghumte hue naa sirf maine us chuppe bande ke grip me apne aap ko aane se bacha liya,balki agle hi pal meri ek rotating leg hit uske thobde par padh chuki thi...
DHAKK...DHAKKK...BHAKKKK...
SHIT....AHHHH.....
SAM-SANVY...
MAADARCHOD...
DUSHYANT toh pehle hi PRIMEVAL ke dusre gate ki taraf bhaag nikla tha...baaki ke bache teen loundo ko bhi round punches aur knee up hit maar abhi zameen par pade hi the mere pair ki tabhi ek baar phir apne right taraf ke TULIP me hulchal mehsoos ki maine...
ek aur banda tha ye SAMRAT ka joki phoolon ke mote jhurmut ki aad me chuppa hua tha...
usne bahar aate hi jump laga di thi mujhpar jispar halka side hath uske ek baanh ko hawa me hi lock kiya maine aur ghumate hue usse dusri taraf fek diya par tabhi...
left ki taraf bane tulip ke jhurmut se ek aur banda bahar aa chuka tha...itna hi nahi,zameen par pada woh hockey stick bhi uske haathon ke grip ke beech fasa hua tha jisse badi tezi se ghuma diya tha usne...
nishana uska mere ghutne the par nano seconds pehle dekh liya tha maine uske hand swing ko aur isiliye upar jump laga thi maine par thodi der ho ho gayi...
ghutna toh miss ho gaya par knee ke just neeche SHIN ko hit kar gaya HOCKEY STICK...
aisa hote hi turant zameen par gir pada th mai...leg ke sabse nukile aur nikle hue haddi par pada ke joint par pada tha hockey isiliye pain unbearable tha...
chillaya toh nahi mai par dard itna zyada tha ki ghutne mod apne pair ko pakadne ke beech mere aankhon ne mujhse bina puche hi jawab de diya tha...
chalak pade the mere aansu jinhe peete hue mai ho rahe asahaniya dard ko bardasht karne ki koshish kar raha tha...
DHAKKK...
DIMPLE-SANVY......
NITS-MAADARCHODON...rooko,tumhari maiya ki daiya chodu,loudo...
jisne mere pair par waar kiya tha,uske haath se hockey chhin uske gaand par ek zor ka stick swing kiya tha SAM ne...
apna pichwada pakad tezi se aage badh gaya tha woh...
wahin HANSH aur baaki sab bhi humse thoda door ho chuke the aur jab DIMPLE ke saath mere baaki dost bhi pahunche spot par toh un sabko dekh turant DUSHYANT ki tarah second exit door ki taraf bhaage woh sab...
SAM un sabke piche bhaagne hi waala tha par meri haalath dekh hockey stick chhod woh mere paas aa gaya tha par NITS aur SONU nahi ruka...
maadarchhod aur jitne bhi chod hote hai,un sabko bakte hue woh dono bhaage SAMRAT waalon ke peeche par faayda kuch hona tha nahi...
distance unke beech achi khaasi thi aur jis jis tarah se planned attack kiya tha un sabne, matlab saaf tha ki escape ke liye pehle hi us exit gate ke bahar vehicle rakha hua tha un sabne...
DIMPLE-SANVY...
MAI-aaah,that hurts...
DIMPLE ne mere sir ko godh me ke liya tha aur ANJALI ne mere injured leg ko pakda hua tha...
body parts mere dono alag hold kiye hue the dono ne par expression dono ka ek hi tha...
aansuon se bhiga hua tha un dono ka face...
MAI-stop....
chot dekhne ke liye meri pant upar karne lagi thi ANI par kyunki halki narrow pehenta hun mai apni school pant isiliye movement hote hi ragad feel hui mere SHIN me increasing my pain...
turant rook gaye the ANI ke haath...
NITS-bhaag gaye saale... behenchod plan karke aaye the sab...
SONU-llekin cchoddenge nnahi saalon ko...
EKPREET-naa...pange ka rule bhul gaya kya...
jo hota hai,on the spot hota hai...unhe bas bhasad macha yahan se nikalna tha jo nikal gaye woh...
ab hum kuch bhi karen,kisi na kisi ko beech me daal compro ka rona royenge saale...
NITS-bhosdike,mootne gaya tha tu toh...saale,idhar aa raha tha toh hume saath nahi laa sakta tha gaandu...
aur tu loude,tere tau ka ladka lagta hai kya woh HANSH jo maiya chudaane mooh uthakar aaya tha idhar akele...
SAM-arre,we ended his last season on good terms...mujhe laga ki itna bada event hone waala hai isiliye wish karne aaya hai woh...
NITS-saale tere har bhasad ke baare me is chutiya ko hamesha andaza ho jaata hai par tu jhaantumal hamsha bhonda bana rehta hai...
kaahe ka intelligent hai be tu...!!!
MAI-bas karo be chodu log.. pair ka dard dimaag me pahuncha diye ho dono...
DIMPLE-SANVY,lete raho...i have called for my car...aati hi hogi,we will go to the hospital...
MAI-home...drop me home...
DIMPLE-are you nuts...!!!bone crack, serious fracture ho sakta hai, we have to treat you...we will treat you...
MAI-i will be treated but i am going home...
DIMPLE-SANVY...
ANJALI-its ok DIMPLE...nahi maanega woh...he hates hospitals...waise bhi,this is not the first time jab ladh kar injure hua hai ye...
pehle toh har hafte ki kahani thi ye...10 se zyada fractures mere saamne hue hain isse...
MAA ke ek family doctor hain,aise time me wahi isse ghar me hi treat karte hain...
but most importantly,jab bhi pain me hota hai ye,he needs his MOM...unki moujudgi pain killer ka kaam karti hai iske liye...
ANI ke clarification ke baad kuch kaha nahi DIMPLE ne par haath uske meri hatheli par kaste chale gaye the...
jis pair me laga tha mujhe,it was shaking aur ye dekh mere dard ka andaza ho gaya tha usse...
infact koi bhi kuch nahi keh raha tha...bas apna apna sir pakde mujhe yun bebas sa lete dekh man hi man kudh rahe the sab...
TAPPP...TAPPP...TAPPP...TAPPP...
aankhein band kar apne dard ko pee hi raha tha mai ki tabhi NEW GIRL ke aankhon se nikle aansuon ki kuch boondein mere gaal par gir pade...
aankh khul gayi thi meri aur aisa hote hi meri nazar NEW GIRL ki laal ho rahi aankhon me theher si gayi...
phir hua ek chamatkar...
chot meri thi,par aankhen mere mehboob ki RONE LAGI THI...
ashk uske mere chehre par padh padh ke usse BHIGONE LAGI THI...
ab tak sirf MAA ke aanchal tale thi woh taaqat thi magar...
aaj meri mohabbat ki baahon me bhi meri taklif KAM HONE LAGI THI...
AAJ KE LIYE ITNA HI...
AAPKA APNA V...J...