DARK WOLFKING
Supreme
- 15,567
- 32,005
- 259
bahut maja aaya update padhke .. sanvy ne apne vaade ke mutabik bina haath lagaye parag aur charvi ko jhuka diya wo bhi unke hi school ke saamne aur sabne is najare ko dekhne ka maja bhi liya ..
puri kahani pata hai unhe... thrilling situations ko lekar apne input bhi deti rehti hai jisse kisi bhi laayak b.f ki tarah ek kaan se sunkar dusre se nikaal deta hun mai.
Bahut hi mazedaar update hai bhai maza aa gayaAB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY JAANBUJH KAR DIMPLE SE SHARTH HAAR JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF CHARVI DIMPLE KA ACCIDENT KARWA DETI HAI.
AB AAGE:-
CHAPTER-1
(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)
UPDATE-78
DATE-9TH DECEMBER
CITY-DEHRADUN
PLACE-SIRIUS
GUYZZZ,CHILL...
MAMULI CHOTEN HAIN, NOTHING SERIOUS...
AUR COMPETITION ME OUT OF LINE JAANA BOHOT COMMON HOTA HAI...
IT'S PART OF THE PACKAGE...
bohot casually DIMPLE
saamne baithe sabhi doston ko joki uske bandaid elbow ko dekhte hue ghusse aur tention me lag rahe the,unhe cool down kar rahi thi...
NAISHA-tumhe us CHARVI aur PARAG par ghussa nahi aa raha hai...!!!
DIMPLE-apni galtiyon ke liye dusron par ghussa nahi kiya jaata...
balki mile hue lesson ko sikha jaata hai...
CHARVI ne pehle hi mujhe dhamkaya tha par uski warning ko uske race skill ki tarah ordinary maanane ki bhool kar baithi mai...
jabki mujhe alert rehna chahiye tha...kabhi kabhi pyada bhi badi chaalen chal jaata hai,ye bhoolne ke bhul kar baithi thi mai par ab nahi...
chaahun toh un dono loosers ko unki hi bhaasha me bohot ache se samjha sakti hun par usme kya maza...
unki saari planning ka core reason, interschool championship ka woh race jab jeetungi mai toh jo pain unhe feel hoga,that will be my answer...
baat toh sahi kahi thi DIMPLE ne...ye interschool championship ya aisa koi bhi bada event kabhi bhi fair and square nahi khela gaya tha...
har baar jo jeet ka sabse bada hakhdaar hota tha,usse baaki schools ke bande event se pehle hi knockout karne ki hamesha se koshish kiya karte the jinse bachte hue jeetne waale ko hi yahan true champion maana jaata tha...
quote me kahun toh...
"everything is fair in love,war and COMPETITION ka destination tha yahan dehradun ka high octane school life jisme kal CHARVI aur PARAG ne wahi kiya jo jeetne ke liye unhe sahi laga tha"...
NITS-what about SANVY...??? socha hai jab usse pata chalega toh kya hoga...???
NITS ki baat sun ek gehri saans chhodi DIMPLE ne...
SANVY...!!!the guy of his life jisse kal hue incident ko ab tak chhupaye hue thi DIMPLE...
aur is hide and seek game me apne saath saath baaki sabhi friends ko bhi shaamil kar liya tha usne...
DIMPLE-i don't know...!!!jab tak chuppa sakti hun,try karungi chhupane ki aur agar pata chal gaya usse toh any how convince karungi ki let me handle it in my way...
NITS-dusre point ka toh pata nahi par tumhari pehli baat i think GALATH hai...
first floor ke stairs par baithe sab...bas DIMPLE hi thi jo cross hokar side me stair pipe ke sahare khadi hui thi...
saamne par neeche ki direction me dekhte hue kahi thi ye baat NITS ne jisse sun jahan ek taraf uske saath baaki sab khade ho chuke the wahin DIMPLE ki gardan bhi un sabke dekh rahe direction me ghum chuki thi aur aisa hote hi halki hadbada gayi thi woh...
reason...
MAI...
apni right injured pair par kam se kam pressure dene ke liye langdakar chalte hue ANJALI ke saath saamne se chalkar aa raha tha mai...
mujhe dekh DIMPLE aur uske saath mere baaki sabhi friends bhi tezi se sidhiyan utarne lage the...
ANJALI-dont look at me...
blazer se bandhi patti par ragad feel hoti thi isiliye usse utara hua tha DIMPLE ne...
jaise hi saamne aakar ruki NEW GIRL mere toh maine uska wahi zakhmi haath apne haathon mele liya tha...
halke haathon se is patti ko chhu raha tha mai...
is beech NEW GIRL ki nazar ANJALI par gayi jinme dikh rahe sawal ko samajh apne kandhe uchka diya the usne...
DIMPLE-SANVY, doctor ne tumhe complete rest karne ko bola tha...
aise injured state me tumhe yahan...
aage bol nahi paayi thi NEW GIRL...
REASON...
turant mera sir jo abhi tak uski patti ko dekhne ki wajah se neeche the, upar uth gaya tha aur aisa hote hi meri aankhon ko dekhne ke baad kuch bol nahi paayi thi NEW GIRL...
koi ghussa, frustration, negetive ness nahi tha meri aankhon me...
ek anjaana sa khaali expression tha par itna gehra tha ye puzzled reaction ki naa sirf NEW GIRL ki zubaan band ho chuki thi balki ek ajeeb si ghabrahat ne bhi ghar karna shuru kar diya tha uske dil me...
kuch seconds yunhi NEW GIRL ki aankhon me dekhne ke baad uske pair joki SIRIUS ki skirt uniform jisme knees openly dikhte hi hain,unpar lagi pattiyon ki taraf gayi meri nazar aur aisa hote hi apne ek sahi leg ke sahare tip fingers par pressure bana baiththa chala gaya mai...
DIMPLE-no SANVY...us leg ka balance chhuta toh injured leg with pressure neeche rakha jaayega tumhara...
stairs par chalte hain...
NEW GIRL bolti rahi jisse puri tarah nazarandaz kar uske right leg ko utha apne ussi sahi leg ki knee par rakh liya maine...
aisa karne se us leg par pressure aur zyada badh gaya tha aur ye dekh NEW GIRL ke saath baaki sab bhi apna apna concern jatate rahe jinhe mai ignore kar us patti ko dekhta ya phir ye kahun ki mehsoos kar examine karta raha...
kuch der yunhi baithe rehne ke baad wapas khada hua mai...
NITS-nnikaalta hun bhai gaadi...de be chaabi...
uththe hi NITS ko dekha mai aur itna hi kaafi tha...
mere face par is waqt jol thairav tha,woh pehle bhi dekha tha usne..
aaj ki tarah ke scenario me us waqt ANI thi aur culprits the ROHAN and gang...
bina ek shabd kahe jo kohram machaya tha maine us waqt,meri is nazar se woh manzar ghum gaya tha NITS ke dimag me aur yahi wajah thi ki aaj SONU ki jagah NITS ki stammering nika gayi thi...
SONU ke paas thi scooty ki key jisse usse le uske saath parking ki taraf badh gaya tha NITS...
wahin un dono ke jaane ke baad mai bhi bina kuch kahe palath gaya tha jispar meri kalayi turant pakad li thi NEW GIRL ne...
DIMPLE-leave it na SANVY...mai khud deal karna chahti hun un dono se par field ke bahar nahi balki andar...
i wanna beat that bitch...
MAI-aisa hi hoga...par aisa ho,iske liye baat karna zaroori hai...
DIMPLE-tum aur sirf baat...!!!aur waise bhi,baaton se maan jaayen,aise toh hai nahi woh dono...
i am sure ki provoke hi karenge tumhe woh aur agar aisa hua toh...
MAI-kuch nahi karunga unhe...relax...
DIMPLE-promise...!!!
MAI-SANVY'S promise...no physical damage...not even a scratch...
DIMPLE-mai bhi saath chalun...!!!
SAB-yaar hum bhi chalte hain naa...!!!
meri taraf badhne lage the sab par tabhi ghura maine un sabko aur itna kaafi tha unke rukne ke liye...
MAI-ya toh vaada mat maango aur jo maang liya toh phir bharosa karo...
bas itna bol palath limb karte hue aage badh gaya tha mai...
wahin mujhe piche se jaata hua dekhte rahe sab aur jaise hi entrance door ko cross kar gayab hua mai toh...
RASHI-tujhe chot lagi hai aur jisne di hai,unse milne jaa raha hai SANVY...
aur woh sirf baat karega...!!!i don't think so...
EKPREET-SANVY apna promise kabhi nahi todta...
SAM-phir bhi guyz...woh apna area nahi hoga... it's PRINCE jahan jaa raha hai SANVY... enemies territory...
bada panga ho sakta hai...
EKPREET-mujhe nahi lagta... SANVY ka khouf chalta hai dusre schools me....uske saamne aane ki bhi himmat naa honi kisi ki...
SAM-abbe par abhi injured hai woh....aise me baaki koi saamne aaye naa aaye par PARAG aur uske dost toh ghusenge hi...
RAJAT-toh kya karen...???kaaten SANVY ki baat aur jaayen uske saath...
CHARVI aur PARAG ko toh shayad chhod bhi de par hume zaroor pel dega woh...
DIMPLE-saath naa sahi,par uske piche toh jaa hi sakte hain...
KHANAK-SANVY se chhup paayenge...
SAM-SANVY kya bala hai,PRINCE ke zyadatar students jaante hai is baat ko...
usse wahan dekh bheed zaroor hogi uske aas paas...
EKPREET-true...waise bhi SIRIUS ki tarah PRINCE me bhi outer visitors without permission allowed nahi hain...
i think school ke off hone aur CHARVI,PARAG ke nikalne ka SANVY bahar hi wait karega...
RASHI-timing kya hai PRINCE ki...???
SAM-same as here...
KHANAK-matlab 30 minutes bache hain...we should leave...
DIMPLE-we should...gosh SANVY,please kuch GALATH mat kar dena...
SANVEER, PRINCIPAL MA'AM BULA RAHI HAI TUMKO...
abhi entrance door se bahar nikla hi tha mai ki peon joki mujhe hi dhund raha tha,uski baat sun PRINCIPAL'S OFFICE ki taraf badh gaye mere kadam...
SANVY-may i coming ma'am...!!!
PRINCI-yes,come in...
kuch kaam kar rahi thi PRINCI...bina mujhe dekhe hi andar bula liya andar unhone jispar PRINCI'S desk ke dusri taraf ma'am ke saamne jaakar khada ho gaya mai...
aisa hote hi ek final click kar apna lapi side me kiya PRINCI ne aur...
PRINCI-how is your leg...???
MAI-recovering ma'am...
PRINCI-good...maine suna hai ki is baar sports meet me participate kar rahe ho tum...!!!
ek smile ke saath pucha tha ye sawal PRINCI ne jispar kuch kaha nahi maine, bas unki hi tarah muskura diya...
PRINCI-how is DIMPLE...???
MAI-chehre ka expression jolly se serious me badal gaya tha mera...
MAI-she is fine...
PRINCI-i hope ki sports meet tak completely recovery ho jaayegi uski...
MAI-i think she will participate ma'am...!!!
PRINCI-good to hear...ghar chhod dun...
achanak hi sawalon ke dour ko naya rukh de diya tha PRINCI ne...
MAI-thanks but i am good ma'am...waise bhi abhi ghar nahi jaa raha mai...
PRINCI-let me guess...32 curzon road,opp,gandhi shatabdi eye hospital, backyard block of pari mehel...
PRINCE SCHOOL AND COLLEGE...
that's your destination...
naa mere jaa rahe pate ka pata batate waqt chehre par koi expression aaya tha PRINCI ke aur naahi unhe sun shock hua tha mai...
meri har important chiz ki khabar rakhna,aakhir ye bhi toh ek kaam hi tha unka...
MAI-jee...
PRINCI-jaane se rokungi nahi mai tumhe...par bas do baaton ka dhyan rakhna...
first,is school ka repo...
second and the most important...
MAI-"dil hai toh badi SAHI cheez par kaam ye aksar GALATH karwa deti hai"...
beta hun mai unka...naa unhe bhula hun mai aur naa unki di hui kisi bhi seekh ko...
PRINCI-good...
MAI-par is seekh ke saath mujhme ek problem hai ma'am...
faisla mera dil le ya phir dimag,manzil par toh hamesha SAHI hi pahunchata hai par wahan pahunchne ke liye jo raasta chunta hai,usse GALATH kuch nahi hota...
jahan PRINCI ki nasihat puri kar uske baad apni baat rakh unke office se nikal chuka tha mai wahin meri us baat ke matlab ko kamsekam aadha toh samajh hi gayi thi PRINCI...
PRINCI-SANEEL...tumhare bete me hamesha tumhe dekha hai maine par kabhi kabhi apni saaf shaksiyat ko bhi dhundla bana dene ka hunar jaanta hai ye ladka...
pata nahi,SAHI karne ke chakkar me aaj kya GALATH karne waala hai ye...
PLACE-PRINCE
TRRRRRR...
SONU-sschool off ho ggaya...
PRINCE school division ke bade se wall fence ke start me thi 1st se 5th class tak ki building aur isiliye hi jab last period khatm hone ki bel baji toh premises ke dusri taraf bane bade se bargad ke pedh ke baaju me baithe hum teeno ko bhi pata chal chuka tha...
SONU-yaar SANVY ye zzaroori hai kkya...!!!???
NITS-bhai sidhe sidhe pel dete hain naa PARAG ko...bolega toh gender ka bhi lihaaz nahi karunga mai,us CHARVI ko bhi lapeth lunga par...
MAI-ghar nikal lo tum dono par agar ek baar bhi aur bakwas ki naa toh peet jaaoge mere se dono...
jo baat boli thi maine NITS ko,usse sun uske saath saath SONU ko bhi mere thought process par yakeen nahi ho raha tha par jo seriousness mere face par dikh rahi thi,usss itna toh samajh hi gaye the dono ki jo bola tha maine,woh karna hi tha unhe...
isiliye hathiyar daalne ke lihaaz se ek ek lambi saans chhod apne kandhe jhuka liye the dono ne...
SONU-ppar kkaise bhai...??? matlab wwoh ddekh,wahan wwoh...
MAI-SHAMBHU BHAI...KYA HAAL CHAAL...
jahan SONU ki baat beech me hi kaat school ke entrance gate ke just bahar khade ek guard ko awaaz dete hue haath uthayi maine jispar woh bhi haath uthane ke baad meri taraf badh chala tha wahin ye sab dekh rahe SONU aur NITS ki aankhein badi ho gayi thi...
NITS-behenchod...tu kabse PRINCE ke guard ko jaanane laga be...???
MAI-jabse yahan ke tucche students mere school me ghus meri G.F ko dhamkane lage...
SHAMBHU-aur chote bhai...kaise ho...!!!???
MAI-badhiya,aap sunao...ragda nahi dikh raha aaj haathon me...
SHAMBHU-kahan bhai...???do din ho gaye khatm hue...
aur jabse tumne DHATURA waali woh jungli tambakhu chakhayi hai,ye local chhap saale pure mitti lagne lage hain...
MAI-ye toh pehle hi bataya tha na maine...
SHAMBHU-bohot dukaano me pucha bhai par saala kisi ke paas nahi mila...
MAI-rishikesh aur uske aage ganga ghaat ke paas waale jungalon ke jadi dhature se banta hai woh tambakhu...
aise hi dukaano me nahi milta...
SHAMBHU-tabhi saala...bhai,kya aur...
uske aage bolne se pehle hi apni jeb se nikaal ek badi pudiya aage kar di maine jiske andar chamak rahe gehre hare rang ke churn ko dekh aankhein chamak uthi thi SHAMBHU ki...
wahin ye sab dekh rahe NITS aur SONU ki aankhen badi ho gayi thi par jaise hi maine dekha dono ko,meri nazar samajh turant palath gaye dono...
MAI-arre tum kahan chale...???
mere haathon se pudiya le mujhe thanks bolte hue palatne laga tha SHAMBHU...
SHAMBHU-abhi duty time hai bhai...
MAI-arre waqt hai abhi...do dino ki talab hai,ek baar daba lo...sukoon aa jaayega toh duty karne me bhi maza aayega...
SHAMBHU-baat toh sahi bol rahe ho bhai...
us pudiya ko khol andar rakhe tambakhu ko apne index aur thumb finger ke beech pakad bahar nikala SHAMBHU ne aur usse apne hatheli par ragadne ke baad apne daaton aur masoodon ke beech daba liya usne...
aisa karte hi tambakhu ka ras uske mooh se hote hue uske dimag ko jhanjhana chuka tha aur SHAMBHU...
param aanand lete hue aakhein band ho chuki thi uski...
ABBE SHAMBHU...!!!WAHAN KYA KAR RAHA HAI...!!!CHAL JALDI KAR,LATE HO RAHE HAIN...
SHAMBHU-haan,aaya... thanks bhai...milta hun...
ye school ke bus ka driver tha jiski awaaz sun apne ghumte sir ko jhatakte hue thoda bohot hosh me aaya SHAMBHU...
par aankhein nashe ki wajah se 11 ka 12 dikha rahi thi usse jispar halka ladkhadane ke baad khud ki chaal ko sahi rakh bus ki taraf badh gaya SHAMBHU...
bus aage badh chuki thi aur aisa hote hi uske dusri taraf khade SONU aur NITS ko dekhne ke baad mai wahin pedh ke ird gird bane chabutare par school gate ki taraf dekhte hue baith gaya...
TOH TUM HO SANVEER...!!!
apni G.F CHARVI ko apni bike ke back seat par baitha school ke gate se bahar nikla hi tha PARAG ki saamne ped ke neeche mujhe baithe dekh sudden brakes lag gayi thi uski...
mujhe dekh gand toh fati hi thi uski aur ussi fati gaand se aaye expressions ke saath CHARVI ko meri taraf ishara kiya tha usne jispar mujhe ghurte hue mere saamne khadi ho gayi thi woh...
MAI-piche palat kar apne b.f ke fati padi shakal dekh leti toh mujhse mera naam confirm nahi karna padta tujhe...
mere jawab ko sun jahan ek taraf PARAG hadbada gaya tha wahin CHARVI ke shakal par ghussa saaf dikhne laga tha...
CHARVI-maanana padega...dum toh hai tere me...suna hai pair toot gaya hai tera...
aisi haalath me bhi hamare school ke saamne baitha hai aur phir bhi akad...
MAI-jo jagah dekh kar dikhayi jaaye woh akad nahi hoti...
aur is toote pair ke saath bhi kya kya tod sakta hun mai, imagine nahi kar sakti tu...
CHARVI-waise todne jodne se yaad aaya...g.f kaisi hai teri...???theek toh hai naa...chot zyada toh nahi lagi...???
nahi lagi hogi... impact minimum rahe,plan aisa hi banaya tha maine...
par agli baar ka impact bhi itna rahega, i can't be sure of that...
race mai hi jeetungi chaahe iske liye kuch bhi kyun na karna pade mujhe...
bura mat maanana yaar,i know G.F hai teri par woh quote toh suna hi hoga tune naa, everything is fare in love,war and COMPETITION...
saari duniya ki kaminigi apne muskurahat me samet taunt kiya tha CHARVI ne jisse sun mai toh shaant hi raha par uske piche khade PARAG ko lagne laga tha ki ab toh pakka sankunga mai...
waise dar ab usse itna zyada nahi lag raha tha kyunki ek toh mai injured tha aur dusri baat hamari convo ke dauran upske paas 3 aur bande aakar khade ho chuke the jo is waqt mujhe badi khunnas ke saath ghur rahe the...
aur woh 3 hi kya,mujhe PRINCE me bohot se log pehchaante the...kisse mashoor the mere yahan aur yahi wajah thi ki meri moujudgi ki khabar bohot se kaano me pahunch chuki thi jiske baad bheed ikattha hone lagi thi hamare ird gird...
khair,kuch seconds tak shant rehne ke baad apni gardan ki halki jumbish dete hue khada hua mai aur CHARVI ke theek saamne jaakar khada ho gaya...
ye dekh PARAG aur uske teeno dost bhi mere ird gird circle bana chuke the...
MAI-teri us harkat se bohot inspired hua hun mai...
CHARVI-kaunsi...???teri g.f ko jo hurt kiya maine,woh...!!!
MAI-ofcourse...i mean,tune bina chhue usse hurt kar diya...that's really impressive...
CHARVI-ye naya laaya tune...apni g.f ko chot pahunchane waali se impress ho raha hai tu...
kya baby,tumne aur baaki sabne toh iske naam ki bekaar hawa banayi hui hai...
SANVEER ye hai, woh hai...usse bhidna apne hi pair par axe maarne jaisa hai aur pata nahi kya kya...
isse toh kya,iske doston ko bhi kuch mat karna warna chhodta nahi SANVY...
ye bhi bolte the naa tum sab par dekho,iski G.F ko injure kiya hai maine aur ye...
MAI-impress hua hun tumse...
true that... aur itna impress hua ki tumhare tarike ko ek step upar le jaa chuka hun mai...
tumne bina chhue physical pain diya meri G.F ko...mai bhi tum dono ko bina chhue pain dunga...
par physical nahi...
meri baat ka matlab naa CHARVI ko samajh aaya aur naa PARAG ko...
confused faces ke saath mujhe dekh rahe the dono...
MAI-samjhata hun,samjhata hun...
CHARVI MEHTA... daughter of ANURAG and PREETI MEHTA...
CHARVI-oh i see...mere parents ko complaint karne waale ho tum...hahaha...so childish...kar lo, kar lo...
MAI-abbe teri jaisi chaman ladki ko paida kiya hai,itna toh andaza hoga hi tere parents ko,pata hai mujhe...
aur ye bhi pata hai ki CHARVI naam ki galti ke asar ko kam karne ke liye ek aur aulaad paida ki unhone...
ADARSH MEHTA... your cute lovable small brother...
yahin class 3 me padhta hai naa woh...
mere mooh se apne chote bhai jispar jaam chidhakti thi CHARVI,uska naam sun face hadh se zyada serious ho gaya tha uska...
CHARVI-keep my brother out of this...agar tune...
MAI-aww...itni fikr...parwah itni hai toh school apne saath laana aur le jaana chahiye naa...
school bus se bhejne ka kya matlab...waise abhi jo school nikli,ussi me aata jaata hai na tumhara brother...
zara pata toh karo,chaddha toh hai naa tumhara bhai usme...
shayad yaad na ho tumhe,bus attendent ka number mai deta hun...
9*********.karo dial...
meri puri baaton ke dauran bohot se negetive expressions aa jaa rahe the CHARVI aur uske saath khade PARAG ke face par...
aur jab bus attendent ka naam bataya maine,toh dar,ghussa aur surprise...
teeno hi expressions ke mile jule bhaav ek saath naache the CHARVI ke face par jiske baad turant apna mobile nikal bus attendent ko call laga chuki thi woh par jab baat kar kuch seconds ke baad phone rakha usne toh phone jeb me daal a chhod niche hi patak diya tha usne...
CHARVI-kamine...kahan hai mera bhai...!!!
DHKKKK...BHAKKK...BHAKKK...AHHHH...
mere collar ko pakadne ke intention se chillate hue meri taraf badhi thi CHARVI par apne ek behter leg se halka left ki taraf ho gaya tha mai...
aisa hote hi disbalance hokar aage ki tarah ladkhadate hue gir gayi CHARVI...
wahin CHARVI ke peeche peeche PARAG aur mere dono taraf khade uske teeno dost bhi bade the mere taraf par tabhi...
apne right ki taraf 2 ladkon me se ek ke peth me punch maara maine aur jaise hi jhuka woh toh usse uski gardan se pakad saamne PARAG ki taraf zor se jhatka diya maine...
jahan ek taraf uska sir PARAG ke peth se takraya wahin jab us lounde ka sharir PARAG aur mere beech me tha toh apne right haath ko uski peeth par pressure dete hue hawa me ucchal chuka tha mai...
agle hi pal mera left foot second bande ke mooh par padh chuka tha par ye single hit nahi tha...
tez swing hua tha mai aur isiliye us second bande ko hit karne me baad bhi mera rotation ruka nahi aur mai ghumta chala gaya...
par is beech first bande ka sir PARAG ke peth me lag chuka tha jiski wajah se woh bhi kara bharte hue neeche jhuk gaya...
thik tabhi mera left uske upar se nikalte hue dusri taraf khade third bande ke thobde ko hit kar gaya...
jahan ek taraf second aur phir third banda apne apne chokte par laath khaa ghumte hue neeche gir chuke the,dusri taraf first banda aur PARAG guthham guthayi hone lage the wahin teesi taraf pura 360 degree ghumne ke baad mai wapas apne ussi left sahi salamat pair ke sahare neeche land hua tha.
itni tezi se hua tha ye sab ki CHARVI joki sabse pehle ladkhadate hue aage nikli thi,jab piche palti woh toh apne B.F aur teeno friends ko zameen me pada dekh aankhein badi ho gayi thi uski...
jitni bhi baatein suni thi usne mere baare,unpar yakin hone laga tha usse...
khair, mooh par jin do ladkon ke laath padi thi meri aur pehla banda jiske peth par punch maara tha maine, woh toh girne ke baad uthne ki haalath me nahi bache the lekin PARAG jisse apne vaade ke mukabikh maarna toh door directly chhua bhi nahi tha maine, woh girne ke baad utha zaroor par ab usme mujhse bhidne ki himmat nahi bachi thi...
chupchap khada ho gaya tha woh...aur ye saara scene live dekh rahe PRINCE ke students...
woh sab toh bas aankhen faade kabhi mujhe toh kabhi neeche gire ladkon ko dekh rahe the...
MAI-so where were we...???haan, tumhara chotu sa bhai,ADARSH...
kitna soft skin hai yaar uska... waise skin toh meri G.F ki bhi kaafi soft hai par hai toh woh ek athelete hi... upar se gymnast bhi hai woh...
practices me hazaron baar alag alag tarah ki chot khaakar unhe sehen karne ki ab toh aadat si ho gayi hai usse par tumhara woh chota sa bhai...
jitni chot meri G.F ko aayi,agar waisa hi kuch usse bhi hit ho toh kitna royega naa woh...
just imagine,usse uske elbow joint ki taraf se neeche patka jaaye toh ek burst me hi buri bhanh chhil jaani hai uski...
aur jab apna khoon dekh dard ke maare zor zor se ro raha hoga woh toh usse ussi condition me utha uske knees ko lock kar usse straight neeche patka jaaye...
tutututu...bechare ke toh soft soft katore hi crush ho jaayenge...nahi...
ho sakta hai sir bhi takra jaaye zameen se...mar bhi sakta hai baccha...nahi...
jitne cruel tarike se boli thi maine ye baat aur bolte waqt jis tarah ka haivaniyat dikh raha tha mere face par usne CHARVI ke aankhon ke aage meri kahi har baat ko jeevant sa kar diya tha...
mere khayal ko apne andar sach sa feel kiya tha usne aur yahi wajah thi ki ghutne kamzor hote chale gaye the uske...
CHARVI-please SANVEER...mere bhai ko kuch mat karna...maasum hai woh...
mere aage haath jod behte ashkon ke beech gidgidaane lagi thi CHARVI...
MAI-hey,this is not cool yaar...apni hi baat se ab palath rahi bai tu...kuch der pehle khud hi kaha tha naa tune ki everything is fair in love,war and COMPETITION...right PARAG...
PARAG-please,chhod de iske bhai ko...
MAI-gidgidana apni G.F se sikh le tu...
meri baat ka matlab samajh CHARVI ki taraf dekha usne jiski aankhon me ek ilteja saaf dikhne lagi thi aur isiliye dheere dheere apne ghutno par aa gaya PARAG...
apne school ke champs the dono par itne saare familiar students ke beech yun ghutno me aana, sharmnaak tha unke liye...
upar se bohot saare students is scene ko live record kar rahe the aur isiliye CHARVI aur PARAG ka sir sharm se jhuk gaya tha...
"mai bhi tum dono ko bina chhue pain dunga...
par physical nahi"...
meri is baat ka matlab ab samajh ne aaya tha dono ke...
DID'S...YE KNEE DOWN KYUN BAITHE HO AAP...!!!TEACHER ME YAHAN PUNISH KIYA HAI KYA AAPKO...???
haathon me icecream liye ek chota sa baccha tha ye jiski awaaz sun ek jhatke se sir upar hua tha CHARVI ka...
CHARVI-ADI...
apne chote bhai ko apne saamne dekh uska naam zor se pukaarne ke beech usse zor se gale laga subakne lagi thi CHARVI...
CHARVI-kahan tha tu...???
ADARSH-yahi paas ke icecream shop me tha...bus me jaa raha tha mai ki tabhi ye dono bhaiya mile mujhe...
inhone bola ki aap mera icecream shop par wait kar rahe ho toh mai inke saath chala gaya...
pata hai didi,in bhaiya ne mujhe sunday flavour me icecream khilayi aur in bhaiya ne feast le ke di...
NITS aur SONU ka baare me bola tha ADARSH ne...yahi kaam karne ke liye toh bola tha maine dono ko aur bacche ko yun use karne me jhijhak rahe the woh...
ADARSH ki baat sunane ke baad ek baar phirse zor ka hug kar liya tha usse CHARVI ne...
MAI-sirf lesson mat samajhna...agli baar baar jab bhi everything is fair in love, war and COMPETITION waale khayal dimag me aaye toh yaad rakhna,aaj jo theory me bataya,next time uska practical dikhaunga mai...
ek baar CHARVI aur phir PARAG ko joki meri warning me saaf pata chal rahe intention ko mehsoos kar dare sehme se the, dekh limb karte hue aage badh gaya...
KYA WAKAYI...!!!???
mere piche se aayi thi ye awaaz jisse sun ek smile naach uthi thi mere face par...
NEW GIRL thi ye jo mere baaki doston ke saath shuru se bhidh ka hissa ban sab kuch dekh rahi thi...
aur jo kiya tha maine,usse dekh sabki tarah woh bhi shock me thi...
khair,uski awaaz par piche palath gaya mai jispar baaki sabke saath mere saamne pahunch rook gayi woh...
DIMPLE-kya wakayi us bacche ke saath GALATH kar dete tum...???
MAI-tumhe kya lagta hai...???
DIMPLE-mujhe lagta hai ki jis SANVY ko mai pehchaanti hun woh kisi innocent aur khaaskar kisi bacche ke saath kuch GALATH nahi kar sakta...
MAI-phir tumne sirf jaana hai mujhe, pehchaana nahi...
SAHI ke liye mujhse zyada koi SAHI nahi par GALATH ke liye mujhsa GALATH bhi duja koi nahi...
see you in my house...
scooty le aaya tha NITS jispar SONU ke piche baith aage nikal gaya tha mai...
wahin mujhe jaate dekhte hue meri aakhir me kahi baat hi gunj rahi thi NEW GIRL ke kaano me aur dimag...
usne naye adhar banane shuru kar diye the...
DIMPLE'S MIND:-
soch ke ghode us hadh tak doudata hai ye jab tak dimag thak kar JAM NAA JAAYE...
haath tab tak maarte hain iske jab tak woh khoon se pure SAN NAA JAAYE...
samjhu bhi toh kaise samjhu mai is ajoobe ko ki...!!!???
har kisse ko tab tak ghumata hai ye jab tak ki woh iski pasand ki kahani BAN NAA JAAYE...
AAJ KE LIYE ITNA HI...
AAPKA APNA V...J...