AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF REPUBLIC DAY CELEBRATION ME DIMPLE BOHOT HI ACHA SONG AUR DANCING KA PERFORMANCE DETI HAI WAHIN DUSRI TARAF HAWKERS SE FIGHT KE BAAD VERONICA SANVY KO G.O.D CABAL KE BAARE ME KUCH BAATEIN BATATI HAI.
AB AAGE:-
CHAPTER 1
(ETIOLOGY OF BEING GALATH)
DATE-1ST FEB
UPDATE-90
CITY-DEHRADUN
PLACE-SIRIUS
"EK HOTA HAI GALATH MOVE...AUR EK HOTA HAI OBVIOUS MOVE"...
GALATH MOVE WOH JO HAR BAAR KISI SITUATION KE PURE ULAT DAAV KHELE AUR OBVIOUS MOVE WOH JISPAR DAAV TOH SAHI LAGE,UNKA PATTERN BHI ALAG ALAG HO LEKIN WOH SABHI DAAV HIGHLIGHTED HON...
AISA HONE PAR NORMAL OPPONENTS, ENEMIES TOH MAAT KHAA SAKTE HAIN PAR JINHE HAR CHIZ READ KARNE KA HUNAR AATA HAI,UNKE SAAMNE WOH SAARE DAAV KABHI KAAM NAHI AAYENGE...
AAYE BHI TOH BAS KUCH DER TAK HI UNKA ASAR REH PAAYEGA...
BATTLE, PHYSICAL HO YA PSYCHOLOGICAL, IT'S NOT ALWAYS ABOUT THE PLAN BUT ALSO ABOUT THE CREATION OF THAT PLAN...
HAR CHIZ PRE-PLANNED NAHI KI JAATI KYUNKI READ KARNE WAALE MAHARATHIYON KE LIYE US PLAN KO SAMAJH JAANA ZYADA MUSHKIL NAHI HOTA...
ISILIYE KABHI KABHI PLAN KISI CHIZ KO EXECUTE KARNE SE PEHLE NAHI BALKI EXECUTION KE SAATH SAATH BANAYE JAATE HAIN...
EKDUM FRESH THOUGHTS JINHE READ NAHI KIYA JAA SAKTA...JIS DIN TUMNE IS KALA ME PERFECTION HAASIL KAR LI,YOU WILL BE UNMATCHABLE MY SON...
.....................................................
ABBE,TTU KKIS KHAYAL MME KKHOYA HHUA HAI...
MAA ki haal hi me di hui ye seekh, chadh si gayi thi mere dimag me jo abhi bhi mere dimag me continuously chal rahi thi...
wahin dusri taraf football ground me baithe is session ka aakhri sports aur gaming period enjoy kar rahe the sabhii...
baaki sab toh SAM, ROHAN aur baaki sabhi football players ko ground me khelte hue dekh rahe the wahin mai ussi sikh me khoya hua tha...
kuch dino pehle tulip garden me us nakabposh se bhidne ke baad se hi apni physical capabilities ko expand karne me lag chuka tha mai...
MAA khud practice karti thi mere saath aur har baar unse naa sirf mai sabhi combat styles me haar jaata tha balki badi asaani se haar jaata tha...
isiliye hi mujhe ye sikh di thi MAA ne jo lagatar chalti rehti thi mere magaj me...
abhi aur chalti par tabhi SONU ke mujhe hilane par apne present me aa chuka tha mai...
ANJALI-line theek bola kar SONU...kis khayal me nahi...puch,kiske khayal me khoya hua hai...
waise jawab toh obvious hai aur kareeb bhi...
right ki taraf akele baith football rekh rahi DIMPLE ki taraf sir ghuma wapas mujhe dekh arthpun tarike se smile karne lagi thi ANI...
MAI-tujhe bhoundi dikhne ke liye kheese niporne ki zaroorat naa hai ANI...waise hi bedhangi dikhti hai tu...
aur mai DIMPLE ko dekh raha hun ya nahi,ye toh doubtful hi hai but jis surity se woh RAJENDRA RAJWADE tereko dekh raha hai naa,pakaa tujhe apni dulhaniya banakar hi chhodega woh...
yakin nahi hai toh dekh,dekh...kaise taad raha hai tujhe...
HAHAHAHA....
meri baat sun jahan ek taraf baaki sab has diye the wahin dusri taraf sabke saath ANJALI ki bhi nazar left ki taraf thoda door baithe ek 5 bandon ke group par padi...
section B ke lounde the woh sab jinke beech baitha tha RAJENDRA...
raakhad se bhi kaala... yahan tak ki honth bhi kaale the uske aur andar daanth aise jaise ki lage unhe piliya hua ho...
upar se acha khaasa mota tha woh jiski belt pant me lagi nahi balki fasi dikhti thi...
hum sabke uski taraf dekhte hi halki smile naach uthi uski jispar numaya hue uske bhure masoodon ke neeche peele daant...
apni hi ulti gatak gayi ho jaise,feel hua tha ANI ko aur uske facial expressions dekh ek baar phirse sabhi has pade the...
ANJALI-SAN...kamine...bakwas ki toh mooh tod dungi tera...
NITS-abbe araam se be...ball udhar hai aur ghus idhar raha hai tu...
ball hamare edge point ke paas aayi thi jiske piche badi tezi se doud raha banda NITS se takraate takraate lede kar rook paaya tha...
PLAYER-sorry buddy par kya karta...us taraf grass kaafi zyada ukhda hua hai...
pair uspar padta toh pakka roll over hokar gir jaana tha...
ball out ho chuki thi jisse throw in kar apni problem bata aage badh chuka tha woh banda...
SONU-bbaat toh ssahi hhai isski...ye gground ke dono taraf thodi thodi jagah ppar kkhudayi kkaise ho ggayi bbe...
EKPREET-jab sab ground me aaye toh kahan mar gaya tha tu...???
SONU-bbathroom ggaya tha....kkyun,kya hua...!!???
RAJAT-abbe CHARLIE SIR sanak rahe the sabpar...
students ne bakchodi ki hai ye... aur idhar c.c.t.v bhi nahi hai isiliye kisne kiya hai ye,pata bhi nahi chala...
MAI-woh toh acha hua ki outer edges par kiye hain ye saare gadhe...
agar andar karte toh kiya kisine bhi ho,sir sab par apni bhadas nikaal rahe hote...
NITS-gazab gazab chutiya bhare hain bhai har jagah...
DHABBB...
abbe teri ki...sabko mere upar hi chhadhna hai kya...
NITS ki baat puri hui hu thi ki tabhi angle cut shape me opponent se bachate hue ball kaat rahe SAM ka pair us gaddhe me fasa aur fisalte hue gir gaya woh...
grass khudne ki wajah se andar ki mitti soft ho gayi thi isiliye SAM ke us area me girte hi mitti aur dhool har taraf ud gaya tha...
KHONNN...KHONNN...KHONNN...KHONNN...
SAM-sorry yaar...balance nahi rakh paaya...
SAM ko dust alergy thi isiliye mitti naak me ghusne par baakiyon ke mukaable zyada pareshani hoti thi usse...
yahi wajah thi ki continuously khaanse jaa raha tha woh...
RASHI-here,waterrrrrrrrrr....
paani ka sipper bottle SAM ki taraf badhane lagi thi RASHI ki tabhi past yaad aa gaya tha usse...
turant apne haath midway me rok hum sabki taraf dekha tha usne jispar mere saath saath SONU aur NITS ne bhi haan me sir hilaya...
SAM-thanks...
RASHI-why...???for passing...!!!bottle tumhara hi hai...
haath aage badha diya tha RASHI ne jispar thanks bolne ke baad RASHI ki baat sun bottle le liya SAM ne...
SAM-pass on ke liye hi sahi, thanks again...
face and most importantly, naak me paani maar drink karne ke baad dobara smile kar thanks bola tha usne RASHI ko par is baar uski taraf naa toh RASHI ne dekha aur naahi hum mese kisine...
sad face ke saath bottle drop kar ground ke andar chal pada tha woh...
KRRRRR....
EKPREET-finally,first final period of this final week...
last second period ke off hone ki bell baj chuki thi jiske baad hum sab masti karte hue class ki taraf badh chuke the...
IN CLASS:-
NITS-kuch bhi bolo guyzzz...ye P.L ki feeling garmi chuttiyon waali feeling jaisi nahi lag rahi...
woh bhi jab ye hamari life ka first P.L hone waala hai...
(P.L-PREPARATION LEAVE...10th,11th aur 12th as in senior most classes ko unke final exams se pehle preparation karne ke liye ye leave di jaati hai.)
NAISHA-woh isiliye kyunki garmi chutti enjoy karne ke liye milti hai aur P.L exams ke preps ke liye...
haan woh alag baat hai ki tu bhi is P.L ko normal holidays ki tarah bitaane waala hai...
MAI-ohhohohoho... kaun se zamane ki baat kar rahi hai tu...woh daur aur tha jab NITS aur padhayi east aur west hua karte the...
ab toh lounda apna rank holder hai aur rahi baat P.L me hone waale preps ke toh guyz,tum sab revision p.l time me shuru karoge par NITS already kar chuka...
WHAT...!!!!REALLY...???
dono hi shocking words ek saath nikle the sabke mooh se...
NITS bhi meri taraf hairangi se dekh raha tha joki laazmi bhi tha...
baakiyon ki tarah usne mujhe aur SONU ko bhi uske revision preps ke baare me kuch nahi bataya tha...
MAI-CHHUTKI...
bas ek naam liya maine aur NITS ko sab clear ho gaya...
uske ghar me meri personal jaasus jo thi CHHUTKI...
ROHAN-matlab is baar lounda apna main toppers ki jagah khaane ki thaan chuka hai...
MAI-SAATH ke liye upar toh aana hi padega naa...
KHANAK-saath aane ke liye...matlab...!!!
MAI-arre,level up yaar...tum sab toppers ke saath...
baat ghuma di thi maine jisse baaki sab toh maan liye the par SAATH se mera matlab jinhe samajhna tha,woh samajh chuke the...
ANI aur NITS...
SILENCE... OPEN YOUR CHEMISTRY BOOK,CHAPTER 10...
SHRIVASTAVA MISS thi jinke aate hi class me chal rahi mastiyan turant band ho chuki thi aur sabne turant chemistry ki book open kar liya tha par tabhi...
MAAM...ANJALI UDASI and SAMEER CHANDER...THEY HAVE BEEN CALLED TO THE INDOOR STADIUM...
junior arts teacher thi ye jinki baat sun ANI aur SAM ke saath RADHIKA ma'am bhi hairan hui thi joki laazmi bhi tha...
kyunki INDOOR STADIUM me jaane ka matlab tha pura class miss hona...
RADHIKA MA'AM-abhi...kyun...??? final week hain start ho chuka hai in sabka... important notes aur questions mark karane hain mujhe...
ARTS TEACHER-sorry ma'am but actually it's about the FAREWELL DAY...this year,as in saturday ko 12th students have selected these two as the performers...
RADHIKA MISS-oh really now...nice...go then...notes apne friends se le lena...
RADHIKA MISS ne toh khushi khushi SAM aur ANI ko jaane ki permission de di thi par arts teacher ki baat sun ANI andar hi andar bhadak gayi thi...
ye baat SAM bhi feel kar raha tha par woh kar bhi kya sakta tha...
aakhir jo ho raha tha,woh saalon se chalta SIRIUS tradition tha jisse woh chahkar bhi rok nahi sakta tha...
darasal har saal FAREWELL me 12th class ke sabhi students milkar 1,2 ya jitne unka man kare, junior students dhundte the jo unke last school day par dance act perform karte the...
kya dance hoga,kis beat lar hoga and most importantly,kis form me hoga,ye bhi seniors hi tay karte the...
ye mouka milna waise toh un selected students ke liye proud baat hoti thi...isse sabko un selected students ka apne seniors ke beech bhi popularity ka andaza ho jaata tha...
aur kyunki school me sabse acha dance performance ke liye ANI aur SAM hi famous the isiliye seniors ne in dono ko chuna tha...
ANI puri koshish kar rahi thi straight face rakhne ki par ye koshish agle hi pal aur mushkil ho gayi...
RADHIKA MISS-waise dance form kaun sa chuna hai students ne...!!!???
ARTS TEACHER-salsa..
ANJALI-WTF...
zor se bolte bolte ruk gayi thi ANJALI aur uske expressions dono miss me se koi dekh na le isiliye tezi se class ke bahar nikal indoor stadium ko taraf badh chuki thi woh...
SAM bhi ANJALI ki soch samajh paa raha tha isiliye usne bhi apne chalne ki speed badhayi aur ANJALI ke saath ho liya
ANJALI-i am not doing SALSA with you...
raaste bhar kuch nahi boli thi ANJALI par indoor stadium pahunchte hi jab usne dekha ki filhal it's empty toh chilla hi uthi thi woh SAM par...
SAM-mai jaanta hun it's tough for you but this is a tradition..ispar naa hum kuch kar sakte hain aur naahi koi teacher interfere karega...
we have to do it...
ANJALI-tujhe kya lagta hai, phir kyun aayi hun mai yahan... just because ye performance tradition hai hamare school ka,i am here...
SAM-i know but the thing is, it's salsa jispar perform karna hai hume...
i know ki we have our differences aur aise me normal dance bhi mere saath karna asaan nahi hai tere liye aur hume toh salsa karna hai...
tujhe toh pata hai, without trusting each other aur bina complete commitment ke is dance form me ache se perform nahi kiya jaa sakta...
ANJALI-pehle mushkil hota par ab nahi...andar kuch,bahar kuch kaise perfectly show karna hai,haal hi mai sikha diya hai tune...
isiliye performance ke ache hone ka tention mat le tu...6 days hain hamare paas...
mere liye kam time hai kyunki tujhe toh sirf steps jhelne le par mujhe toh steps ke saath tujhe bhi jhelna hai...
par koi naa, school ke liye,ye bhi jhel lenge... get's go, let's select the tracks...
ANJALI ke is direct taunt joki sacchayi hi thi,sun kuch kehte kuch bana nahi tha SAM ko...
wahin apni baat bol ANJALI stage area ki taraf badh chuki thi jiske baad SAM bhi uske piche ho liya tha...
DATE:-7TH FEBRUARY
PLACE:-SIRIUS
ABBE HO GAYA NAA...AB KYA KAPDE ME CHHED BANA SHARIR BHI GODOGE KYA BE...!!!
kisi vampire ki tarah ek saath 10 students is waqt chaddhe hue the NITS ke upar...aur saamne baithi substitute teacher bho ye sab dekh chillane ki jagah bas muskura rahi thi...
REASON...
SIGN-UP DAY...
ek khaas kism ki pratha manayi jaati thi aaj as in SIGN UP DAY par SIRIUS me...
10th,11th aur 12th ke students manata the is pratha ko...
SLAM BOOK ke baare ke toh pata hi hoga... doston aur kareebiyon ke liye feel karne waale saare emotions likhi jaati thi us chote se diary jaise book par...
SIGN UP DAY par same chiz ab students apne school shirt par likhwate the...
woh feelings bhi jo kabhi saamne se keh nahi paaye,shirt me likh apni woh hidden bhaavna bata diya jaata tha us student ko...
aur abhi NITS ke saath bhi kuch aisa hi ho raha tha...
har kisi ki gaand me ungli karne ki uski aadat ne class me lagbhagh sabhi ko frustrate kiya tha...
par SANVY se dar ke kaaran kabhi kisi ne usse kuch zyada kaha nahi...
par aaj sahi mouka tha isiliye apni man ki bhadas sabhi uske shirt par godh godh kar nikaal rahe the...
wahin NITS ke group waale bhi thodi door me baith chal rahe scene ko dekh smile kar rahe the...
aur DIMPLE...woh bhi moujud thi class me...NITS ki haalath dekh woh bhi halke halke smile kar rahi thi...
boys se ulat girls apni ek alag shirt lekar aate the jinpar apni feelings sab likhte the...
DIMPLE ki shirt bhi uske classmates ke uske prati thoughts se bhari hui thi par ab bhi kaafi jagah khaali bacha tha...
woh khaali space bhi bhar sakta tha par aisa hua nahi tha kyunki uske ex group members me se kisine bhi ab tak uski shirt par kuch likha nahi tha...
is baat ka dukh bohot tha DIMPLE ko par "i deserve it"bol khudko bol shaant thi woh...
par dukh sirf usse hi nahi tha...NITS ko dekhne ke beech EKPREET,ROHAN,SONU,RASHI,KHANAK aur NAISHA ki nazar kayi baar akele baithi DIMPLE par jaa chuki thi aur uske smile ke piche waale pain ko true friends ki tarah ache se pehchaan rahe the woh sab...
aur isiliye...
AAJ SSHIRT CCHUPAANE KE LIYE,DDIKHANE KKE LIYE LAAYE JJAATA HAI...
SONU ki awaaz sun piche palti DIMPLE toj paaya ki lagbhagh pura group is waqt uske saamne khada tha...
marker pen sabhi ke haathon me tha aur ye dekh badi mushkil se upar uth rahe apne emotions ko dabaya usne...
bina kuch kahe bag se apna shirt nikaal saame kar diya tha DIMPLE ne jiske baad baari baari kuch repetitive words likhte chale gaye sab...
"YOU ARE FORGIVEN"...
yahi repetitive words likhe the sabne jisse padh chehre par khushi aur aankhon me saje aansuon se sabko dekhne lagi thi DIMPLE...
NITS-abbe,idea mera tha aur kamino, execute tum sabne kar diya...
koi naa,i will do one better...
live newspaper sa printing shirt pehen apne group ke paas aaya tha NITS jiske baad DIMPLE ki shirt par apna marker gada diya usne...
"FRIENDS FOR EVER"...
DIMPLE-thanks NITS...
NITS-thanks se kaam nahi chalega...sabne apni bhadas nikaal li hai bas tum bachi ho...
lo,shuru ho jaao...
SAB-yup...hum bhi line me hain...
DIMPLE-par likhun kahan...tumhari toh puri shirt hi bhari hui hai...
NITS-correction...bahar waalon ne likha hai isiliye bahar ki puri bhari hui hai...
but for close people,there is always space inside...
apni SIGN OUT shirt ko khol palat diya tha NITS ne...
shirt ka inside part lagbhagh khaali hi tha...sirf group ke logon ne hi likha hua tha us part par...
FRIENDS FOR EVER...
NITS ki hi tarah in shabdon ko likha tha DIMPLE ne...
sirf NITS ke hi shirt par nahi balki baaki sab ke shirts par bhi...
is beech un sabhi shirts par likhe lines me SANVY ke likhe shabd bhi padhe the usne...
SANVYYYYYY....
final shirt joki KHANAK ki thi,uspar likhte hue SANVY ka naam man hi man zor se pukara tha DIMPLE ne...
HAAN...!!!KYA HUA...???
mai tha ye jo B section me apne kuch friends se SIGN UP karwa aaya tha...
EKPREET-kya,kya hua...???
MAI-bulaya na mera naam...!!!
NITS-B me kaan ke neeche baja toh naa diye kisine tere...kuch bhi sun raha hai...
baaki sab toh NITS ki baat par hasne lage the par DIMPLE...usse toh pata tha ki kiske dil ki awaaz sun li thi SANVY ne...
isiliye halke halke smile kar rahi thi woh...
MAI-abbe tum logon ka signup abhi tak chaalu hi hai...
RASHI-group ki final member,ye DIMPLE reh gayi thi...issi se sign-up karwa rahe the...
i hope you dont mind...
MAI-why should i...???
ROHAN-kya baat hai lounde...aaja phir,tu bhi kuch likh de...
NAISHA-aur kuch likhwa le...
MAI-final bell ko 10 minutes hi bache hain...chalo,ANI ka rehersal ek baar check out kar lete hain...
apni baat bol bina kuch sune palat class se nikal chuka tha mai aur mujhe piche se awaaz de chidhate hue baaki sab bhi mere piche ho liye the...
KHANAK-kya hua...???chal...!!!
DIMPLE-nahi yaar,you guyz carry on...
RASHI-babes,jo hua,bhool jaa...just remember,we are buddies and a group...
isiliye chill aur chal...
KHANAK-waah...chill aur chal.. nice...
DHADHHH...
MAI-abbe...yeh rajdhani kaise ban gayi tu...!!!
EKPREET-wooohhh..what reflexes man...!!!
sabke saath chalte hue indoor ke main door me pahunch usse kholne laga hi tha mai ki tabhi tezi se khula woh darwaza...
ANI thi ye jiske yun door kholne par darwaza bade zor se lagne waala tha mujhe par tabhi badi furti se right ki taraf hath impact se bacha tha mai...
ANJALI-sorry SAN...lagi toh nahi tujhe...
MAI-chill...i am good...par tu bata...ye bhaagne jaisa kyun khola door tune...???
ANJALI-arre nothing yaar... continuous practice se bohot irritation ho rahi thi...upar se indoor ka heat toh pata hi hai...
rehearsal pura hone ke baad ek second bhi andar rookna impossible tha...isiliye i was rushing out...
NITS-abbe,andar dance practice kar rahe the yaa nahana sikh rahe the...itna sweat...
ANI ke piche piche SAM paani peete hue nikla tha aur jitna sweaty woh tha,aisa lag raha tha jaise marathon daudkar aa raha tha woh...
SAM-salsa hai yaar...heat aur pressure isme baaki fortes se zyada lagta hai...
ANI-i need a drink...tu pilayega aaj...chal...
mere baanh me haath fasa canteen ki taraf badh gayi thi ANI...
baaki sab bhi saath hi the...DIMPLE ek baar phir back down hona chahti thi par is baar KHANAK aur RASHI ke saath baaki sabne bhi usse gher saath le liya tha...
wahin DIMPLE ko hum sabke saath wapas dekh jahan ek taraf SAM khush tha wahin khudke liye dukhi bhi tha woh...
ANJALI-aap hi ke liye chair kheenchi hai madam...ab khud baithengi yaa woh bhi mai hi karwaun...
canteen pahunch chuke the sab jiske baad khud chair me baithne se pehle DIMPLE jiske face par ab bhi SANVY ke saamne hone ki wajah se nervousness aur badh gayi thi,uske liye apne baaju me chair pehle hi kneench liya tha ANI ne...
halki jhijhak waali smile ke saath baith gayi DIMPLE...
ANJALI-now that's like a good girl...
arre waah...sabne sign up kar diya kya...???mai bhi kar dun...!!!
DIMPLE-haath me lekar kyun baithi hun phir...!!!here,write...
ANJALI-and you sign up here...
apne bag se apni sign up shirt nikaal DIMPLE ki taraf badha diya tha ANJALI ne...
"FRIENDS FOREVER"...
"JUST BE THE WAY YOU ARE"...
shuruat me ek sa hi do word ka line dono ne likha tha...
wahin unlike ANJALI,DIMPLE ne suggestion me second line bhi likhi thi...
DIMPLE-tum sabne bas statements likhe hain... suggestion nahi...kyun...???
ANJALI-kyunki hamare group me woh department is mahashay ka hai...the wisest one...
lijiye sir, bhariye apka gyan...
ANI ka coke can lekar pahuncha hi tha mai uske paas ki tabhi mere taraf DIMPLE ki signup shirt badha di usne...
MAI-bore mat kar re... khud hi bhar le...
ANJALI-arre...
DIMPLE-ANI...rehne de... it's ok...
ANJALI-maine hi bola tha...
ANJALI ko ANI bola tha DIMPLE ne...woh naam jo sirf mai usse bulata tha...
isiliye ghura hi tha maine DIMPLE ko tabhi ANI ki baat sun sir neeche kar sir shake karne lag gaya mai...
ek lambi saans chhod DIMPLE ke haath se jisne apni sign up shirt wapas kheenchni shuru kar di thi,wapas le liya maine...
aur ye dekh jahan ek taraf DIMPLE ke chehre par khushi ki leher doud gayi thi wahin dusri taraf mere sabhi doston ne bhi khush hote hue apni aankhein us shirt me gada diye the...
MAI-class me hun...
"within body and heart, somewhere inside hides a beautiful soul...
meri MAA ki mujhe sikhayi ye lines,ho sake toh us soul tak pahuncha dena...
"zaroori nahi ki har chiz me MAHAAN ban jaao"...
bas apna aks aayne me dekhte waqt sir na jhuke..."woh INSAAN ban jaao...
jo likhna tha likh,class ki taraf badh chuka tha mai aur is beech DIMPLE ke saath baaki sabne bhi meri likhi lines ko naa sirf padha tha balki saath hi saath un lines ki gehrayi ko bhi mehsoos kiya tha...
ANJALI-now that's my buddy...SANVEER AHARYA...
chand shabdon me puri zindagi ka saar likh aur samjha gaya ye ladka...
SANVY ko piche se jaata hua dekh sabhi ANJALI ki baat se ittefaq rakhte the aur DIMPLE,jiske liye woh lines likhe the SANVY ne...
un shabdon me likhe message ko sirf padha nahi tha usne balki apni soul ki aakhri hadh tak ko un bhavnaon se nehla diya tha...
DIMPLE man me-i promise you SANVY...
aayne me nahi, tumhari aankhon me apne aks ke saath fark liye DIKHUNGI MAI...
ab tak ki kahani bhale hi GALATH ho gayi,par aage ki kahani SAHI LIKHUNGI MAI...
IS UPDATE ME ITNA HI...
AGLA UPDATE KUCH HI DER ME...