• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,756
39,936
189
Ab shayad Sanvy ko uski Chetna maa ki zaroorat padne wali hai. And I am sure Veronica ko marne wala G.O.D hoga. Ab dekhna yeh hai ki G.O.D. ka Leader Jaiden Chowdhury hai ya nahi ??
Agar nahi hua toh . Ya fir Jaiden Chowdhury bich mein fas jayega .
Ab ek update mein kuch clear nahi hone wala hai kam se kam 7 se 9 update lagenge sab clear hone mein .
Bechara SAM bekar me bar bar
Bali ka bakra ban Raha hai .
Shayad yeh bhi ho sakta hai ki G.O.D. ke members me se ek ho Jaiden .
Jo G.O.D. ko Fund karta hai .
Aur G.O.D. ki help se apni Buisness Deals karta hai.
Sanvy ko shayad motivation diya jayega after death of Veronica Paul , aur wo bhi uski Chetna Bua ke dwara ki Sanvy ki mom and dad yahi chate the ki Sanvy Limelight mein nahi ayega jab tak zaroorat na ho.


Sabse Main cheez Jo ki ab tak clear nahi hai : Why Sanvy is so special ? Is he a product of any experiment because , where Sanvy is very intelligent and Brave his sister is normal . In past , Sanvy's sister got struck in fire🔥 ( Cafe's Scene ).

Mujhe lagta hai ki Chetna ko baad mein pata chal gaya hoga ki Bachane wala Sanvy hai .
Aur Sanvy ne Chetna Ko avoid Kiya hoga taki Sanvy ke friends ko filhaal ke liye Chetna ke bare mein na pata chale kyu ki Chetna khud ke upar apna Control nahi kar pati .
Clarification yahi se milti hai ki Chetna ab Sanvy se milti hai because of Chetna's presence in Dehradun.

Zyada nahi likhunga nahi toh mere assumptions se ek story ban jayegi 😁😁🤣🤣🤣 .
Cafe waali AARNA SANVY se connected nahi hai...bas uska naam AARNA tha jis wajah se SANVY ne madad ki thi...

CHETNA dehradun nahi aayi hai... actually kaafi saalon se woh jaipur chhod kahin nahi gayi hai... reason next chapter me clear hoga...

Aur naa,koi experimented baccha nahi hai SANVY.. extraordinary hai jaise ki uski mom aur dad... shayad un dono ke genes aur khudki kaabiliyat ki wajah se thoda zyada talent ho usme...

Ho toh acha hi hai kyunki agar nahi hua toh G.O.D ke saamne tikna impossible hoga...
 
1,181
4,359
144
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY SAM KI HARKAT PAR PEHLE USKE BODYGUARDS KO MAARTA HAI AUR PHIR USSE AUR USKI MOM KO BHI NAHI CHHODTA HAI WAHIN DUSRI TARAF VERONICA SMRITI KO KHUDSE AUR USKE BETE SE NAA ULAJHNE KI DHAMKI DETI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


DATE-1ST FEB

UPDATE-92


CITY-DEHRADUN

PLACE-CHANDER VILLA






HEY DINGLI...AAO...

upar chaddhne ke liye stairs par kadam rakhe hi the SMRITI CHANDER ne ki tabhi ghar me dandanakar enter hui DIMPLE jisse dekh upar se toh ek halki smile ki thi usne par DIMPLE ke facial expressions ko dekh woh samajh gayi thi ki kal jo hua,woh jaan gayi hai woh and because of what happened, she was not in a good mood...


DIMPLE-SAM kahan hai choti MAA...

SMRITI-upar,apne kamre me...hey,stop...listen first...


turant stairs chaddhne lagi thi DIMPLE par usse rok liye the SMRITI ne...

SMRITI-you brother is injured heavily... uska pura jaw line dislocate kar diya hai us bastard SANVEER ne...

DIMPLE-choti MAA...soch samajh kar boliye...jo aapke bete ne kiya hai,for that,shukr manaiye ki SANVY ne uska sirf jaw line ko hi dislocate kiya hai...

warna ANI ke saath jo harkat SAM ne ki hai,uske liye SANVY uske sharir ka har ang tod chuka hota...

SMRITI-soch samajh kar tum bolo...us looser ke liye tum apne bhai ke khilaaf bol rahi ho...

DHADHHH...

DIMPLE aur SMRITI,dono hi stairs chaddhte hue baat kar rahe the...

SAM ka room aa chuka tha jiska darwaza band tha..

zor se push kiya tha dono hi pallon ko DIMPLE ne jiski wajah se door tezi se open hua...

dandanati hui ghusi DIMPLE room me par saamne ka scene dekh thithak gaye the uske kadam...

ek doctor joki CHANDER ka family doctor tha,4 nurses ke saath bed ke baaju me khada tha aur bed par half head me pattiyon se covered face liye leta hua tha SAM...

SANVY ke ek do punches uski aankhon ke just neeche bhi pade the jiske kaaran uski eyes kaafi suj gayi thi aur saath hi saath unme blood jaisi redness bhi dikh rahi thi...

filhal ussi ko check kar raha tha doctor...

bilkul kisi nirjeev insaan ki tarah pada hua tha SAM...

jahan apne bhai ki haalath dekh ek pal ke liye DIMPLE ke man me uske liye daya ke bhaav ne janm le liya tha wahin DIMPLE ke piche piche room me ghusi SMRITI ko dekh doctor apna check up hold par rakh ghuma unki taraf...


SMRITI-how is my son doing doctor...!!!???

DOCTOR-filhal toh not good...but i must say,he is lucky...warna jaisi maar lagi hai,he should have gone blind...

par abhi bhi i am only 90 percent sure ki he is alright...ek do din ke observation ke baad,i will be completely sure...

SMRITI-kyun...???what happened...??? morning me toh aapne kaha tha ki jaw line dislocation mahine bhar me theek ho jaayega...

DOCTOR-that's true... par mai baat jaw line ki nahi balki SAM ke right eye ki kar raha hun...

see this place...ye down eyebrows se lag kar jo portion hai,isse atrophy of pretarsal muscle kehte hain...

it's a very important structure for our vision...

now,is muscle ke just neech,ye jo halka phoola hua part hota hai,ye hai fat bag...

SAM ko maar issi fat bag par lagi hai aur isiliye hi iski aankh itni red hai...

ab aisi condition normally bohot zyada dangerous hoti hai aur woh isiliye kyunki ye bag pretarsal muscle ke just neeche hone ke kaaran usse attached hota hai...

iski veins bhi pretarsal muscle se connected hoti hai...

SAM ko jo maar uske fat bag par lagi hai,uska impact iske pretarsal muscle par bhi hua hai par thankfully zyada nahi...

agar zyada hota toh ab tak he would have lost his vision...

par kam hi sahi but kyunki impact hua hai isiliye we have to see through it for atleast a day...

waise tensed hone ki zaroorat nahi hai kyunki looking at the damage at SAM'S fat bag,kuch bhi bura hone ke chances bohot zyada kam hain...

baaki jaw line ka jaisa maine pehle bhi bataya tha,it will take atleast a month to completely recover...

haan,abhi ek hafte pain zyada rahega isiliye pain killer injection din me do baar lagega...

is dauran isse neend bhi zyada aayegi but it is good for the fast recovery...jitna kam jawline movement hoga, recovery will be that fast...

apne bete ki haalath ko jaan aur usse chupchaap pada dekh uske liye daya, pyaar aur jisne SAM ko is condition me pahuchaya tha, SANVY,uske liye dil kadwahat se bhar utha tha SMRITI ka...


SMRITI-doctor, can we have a moment alone with my son...

DOCTOR-sure...bas SAMEER se baat karne ki koshish zyada mat kijiyega...his jaw line needs rest...

haan me sir hilaya DOCTOR ne aur apne nurses ke saath room se nikal gaya woh...

aur un sabke jaane ke baad apne bete ke paas pahunch uske sir par haath ferne ke baad ghumi SMRITI DIMPLE ki taraf aur...


SMRITI-dekh rahi ho...kaisi condition ho gayi hai iski...

kya ab bhi us nobody ko apne bhai ke upar rakh favour karogi tum...!!!


"ZAROORI NAHI KI HAR CHIZ ME MAHAN BAN JAAO"...

BAS APNA AKS DEKHTE WAQT AAYNE ME SIR NA JHUKE,WOH INSAAN BAN JAAO..."


apni choti MAA ki baat sunte hi SIGN UP DAY par jo advice SANVY ne uske shirt par likhi thi,dimag me ghum gaya tha DIMPLE ke...

saath hi saath SANVY ke "SAHI aut GALATH "waala tark bhi yaad aane laga tha usse...

ek aisa tark jispar naa amal kar paane ki hi wajah se aaj woh SANVY se door ho gayi thi...

DIMPLE-kya bulaya aapne SANVY ko..."NO BODY"...

right...!!!ek aisa no body jisse apne dum par kisi bhi chiz me harane ka hunar nahi hai aapke is champion bete me...

ek aisa no body jisse sports meet me kisi bhi event se door rakhne ke liye hamari puri so called champion family kisi soul looser ki tarah behave kar rahe the...

nobody woh hota hai CHOTI MAA jiske hone naa hone se fark nahi padta par SANVY woh banda hai jiske aage agar koi sabse bada nobody hai toh woh aapka beta hai...

haan,bhai hai mera par as i said,jo harkat isne kal ki hai,he deserves this punishment...

insaan hokar jaanwar jaisa ATTITUDE rakhega toh maar toh padegi hi...

SMRITI-what did you just say...!!!??? jaanwar...apne bhai ko jaanwar bolne se pehle ye dekho...pata chal jaayega,asli jaanwar kisse kehte hain...

apne phone me ek video file ko open karte hue DIMPLE ke saamne kar diya tha SMRITI ne...

ye video aur kuch nahi kal BANQUET HALL me hue kaand waala scene tha jisme SANVEER ne pehle toh kisi ka lihaaz nahi kiya tha aur phir SMRITI ke bodyguards, phir SAM and finally SAM ke saath SMRITI ka gala dabane me bhi hichak nahi dikhayi thi...

hall me hi kuch students ne woh video sboot kar liya tha jisse waise toh PRINCI ne strict warning ke saath sabse delete karwa diya tha par woh aisa kar paati,usse pehle hi SMRITI ne apne secretary ke through us video ki ek copy haasil kar li thi...

khair,us pure scene ko dekhte waqt DIMPLE ki aankhein hairat se faili hui thi aur theek baaki sabki tarah jinhone SANVY ki brutality ko live dekh aur feel kar apne andar dar feel kiya tha,same haalath is waqt DIMPLE ki ho chuki thi...

the guy she loved,the guy for whom she was willing to fight even with her family,us scene me apne us pyar ko pehchaan bhi nahi paa rahi thi woh...

it was like kisi dusre person ko hi dekh rahi thi DIMPLE...

video pura ho chuka tha jiske baad bhi DIMPLE stabdh hi khade rehne waali thi par tabhi uski nazar phone ke pure screen par gaya jisse dekh uski aankhein ek baar phir badi ho chuki thi...

DIMPLE-aapne ye video DAD ko W..AP kiya hai...!!!

SMRITI-kyun,nahi karna chahiye tha...tum bhale hi bhul gayi ho ki saamne itni kharab condition me pada ladka tumhara bhai hai par JAIDEN nahi bhulne waale ki he is his son...

aur unke bete ko is condition me pahunchane waale ke saath woh kya karenge,just imagine...

JAIDEN CHOWDHARY was a huge global personality...unka influence bhi national level ka tha...

aise me DIMPLE ke man me SANVY ke liye darna laazmi bhi tha...

kuch kaha nahi usne aur chupchaap palath jaane lagi aur ye dekh...

SMRITI-kahan jaa rahi ho...???us looser ko warn karne...jo chahe kar lo,he cannot ne saved...

SMRITI ki baat sun uski taraf palti DIMPLE...

DIMPLE-i know ki SANVY dad ke aage filhal kuch nahi...par jis bandr ka video aapne mujhe abhi dikhaya hai,khud dhyan se dekh lijiye ek baar...usme mera SANVY hai hi nahi...

you were right...woh ek jaanwar hi hai... aisa jaanwar jisse achayi aur burayi,sahi aur GALATH jaise bhaavon se koi matlab nahi hai..

yaa toh mai nahi,yaa saamne waala nahi...jo aise junoon se ladhte hai naa choti MAA,unse door rehna hi theek rehta hai...

meri advice maaniye,aap bhi door rahiye SANVY se air dad ko bhi rakhiye...

ho sakta hai ki pehli chot aap usse dene me kaamiyab ho jaayen,par matter toh aakhri chot ki hoti hai naa...

aur der saver hi sahi, woh aakhri chot SANVY hi dega...

isiliye phir kehti hun,apne bright future ke liye,stay away from SANVY...





SAME TIME:-

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE




HEY MAA...NAMASTE AUNTY...

darwaaze ke dusri taraf ANJALI,NAISHA,RASHI,KHANAK,NITS,SONU, EKPREET aur RAJAT khade the...

VERONICA ne door open kiya tha jispar hamesha ki tarah jahan ek taraf ANJALI unse lipat gayi thi wahin baaki sabne normal greet kiya tha par in dono hi gestures me do bhaav common the joki chhup nahi paaye the VERONICA se...

HESITATION and GUILT...

kal jo hua, SANVY ne jo kiya,uske baad pehli baar aisa tha jab uske dost usse dare the...

usse door jaana chaah rahe the joki woh chale bhi gaye the...

par baad me unhe apni galti ka ehsaas bhi ho gaya tha...

kyunki aakhir jo bhi SANVY ne kiya tha,woh action nahi balki action ke prati uska reaction tha...

haan,woh reaction unke hisaab se zyada hi brutal tha par ek sach ye bhi hai ki baat ANJALI ki thi...

ANJALI ke saath jo hua tha uske baad SANVY ne jo kiya, kahin na kahin woh un sabko justified lagne laga tha...

ek dusre se baat,tark vitark karne ke baad finally unhe laga tha ki is negetive mahoul me un sabko yun SANVY ko chhod nahi nikalna chahiye tha...

ye convo late evening hui thi isiliye aaj yahan aane ka plan kiya tha un sabne and here they were...

VERONICA-yahin darwaze par anshan karna hai toh carpet laga dun...!!!

VERONICA ke chehre ki sanjeevani buti waali muskurahat...

jisse dekh koi stranger bhi apne bade se bada tention bhi insaan bhul jaaye...

phir toh ye sab ghar ke hi bacche the... turant un sabka mind 50 percent light ho chuka tha jiske baad woh VERONICA ko follow karte hue sab turant andar ki taraf badh chuke the...

ANI-MAA...ab mood kaisa hai SAN ka...!!!???




JAB KISI KO KISI SE MOHABBAT HOTI HAI...

YEH NA POOCHHO SANAM KAISI HAALAT HOTI HAI...

NA SUBAH KA PATA,
NA KHABAR SHAAM KI

KYA KISI SE KAHEIN JAAN-E-JAAN
KAISA YEH PYAAR HAI, YEH KAISA PYAAR HAI...


VERONICA ko jawab dene ki zaroorat nahi padi...

guitar play ke saath SANVY ke room se aa rahi gaane ki awaaz ne ANI aur baaki sabke common sawal ka jawab de diya tha...

aur us jawab-e-tarike ko sun hairan ho gaye the sab...

RASHI-ye...ye toh SANVY ki awaaz hai...he is singing...!!!

itna sab karne ke baad,itne light tone me gaana gaa raha hai ye...

NITS-aunty pakka SANVY hi hai naa...!!!

VERONICA-khula hai darwaza... push it and see it for yourself...

VERONICA ki baat sun NAISHA aage badhi and she pushed the door...

wakayi khuli thi woh door joki NAISHA ke push se bin awaaz khulti chali gayi...

couch par dusri taraf mooh kar baitha hua tha mai...haathon me aaj dad ki nahi balki kuch time MAA ki gift ki hui black givson acoustic guitar thi jisse play karte hue aankhein band kar gaana gaa raha tha mai...

KHANAK-SANVY...

MAI-hey...whats up guyzzz...bataya nahi aa rahe ho karke...

par sahi time par pahunche ho...aaj bade dino baad jamming karne ka man hua hai...abhi first song hi start kiya tha...wanna here...!!!

apne normal way se zyada khush aur energetic dikh raha tha mai..
face par ek alag hi glow tha jisse dekh face toh normal hi rakha sabne par man hi man bohot zyada shocked the sab...

RASHI-yaa...we would love to...

ab tak sabne bhi apne aap ko normalise kar liya tha...

MAI-par participate karna hoga...mere saath baari baari ek ek song gaana hoga sabko...

tum besooron ko bhi be...

NITS-besoora tu saale...tere se better gaata hun mai...

MAI-pichwade se nikali awaaz ko gaana nahi bolte beta...

HAHAHA...

jahan baaki sab haste hue SANVY ke aaj baaju baith chuke the wahin ANI abhi bhi SANVY ke is naye avtaar ko dekh shocked hi thi...

VERONICA-zyada mat soch aur jaakar baith jaa...

ANI-kaise naa sochun aunty...jitne baar bhi lada hai ye,uske baad 1,2 din tak har time ukhda ukhda raha hai par kal isne un BODYGUARDS ko sirf maara nahi, unke haath pair tod diye, SAM ka mooh tod diya and even usse aur uski mom ka gala daba nearly dono ko pura maar diya tha...

phir bhi itna chilled out...!!!

ab kya bolti VERONICA...pehle SANVY ki har ladhayi bohot hi normal way me puri hui thi...

dekhne waalon ko lagta tha ki SANVY ne bohot damage kar diya tha jabki uske standards ke hisaab se damage toh shuru bhi nahi hua tha...

haath pair chalne band ho jaate the par dimag me ghussa chaddha hua hi rehta tha aur yahi wajah thi SANVY ke kuch dino tak ukhde rehne ki...

par kal, SANVY ke negetive side ko thoda hi sahi,par bahar nikalne ka mouka mila tha...

isiliye aaj shaant tha woh side aur SANVY khush...

VERONICA-tujhe toh is positive side ko dekh khush hona chahiye...

warna jab tak ye ukhda rehta tha, tab tak tumhara pura group bhi off mode par rehta tha...

isiliye zyada soch mat aur jaa,baith...

sahi hi toh thi VERONICA ki baat isiliye apne dimag ko jhatak SANVY ke kandhe se lag baith gayi woh...



"AE MERE....HUMSAFAR....

EK ZARA INTAZAAR...

SUN SADAAYEN,DE RAHI HAIN,MANZIL PYAAR KI..."


ANJALI ke aage badhte hi VERONICA bhi wapas palath apne room jaane hi waali thi ki tabhi SANVY ne pehle guitar tone aur phir gaana change kiya jisse sun rook gaye unke kadam...

awaaz aur sur...dono wakayi kamaal ke the unke bete ke... aise lag raha tha jaise koi proffesional singer gaa raha ho...

darwaze ki oth liye VERONICA apne bete ke gaane ko enjoy karne lagi thi...

RASHI-wow...too good SANVY...awesome...yaar tu itna multi-talented hai par pata kisiko lagne deta nahi...

waste kar raha hai tu apne talent ko...

MAI-talent shares ki tarah hota hai... sahi invest jama ho toh faayda hi hona hai...

NAISHA-tere se toh baat karna hi bekaar hai...aunty, aap kyun nahi bolti isse,to participate in all the school events...

KHANAK-true...SAM aur uske jaise har kisi ki chutti kar dega ye...

VERONICA-its his choice beta...i cant force him...

RASHI-aap bhale hi force naa karen aunty par dekh lena...

SANVY chamakne ke liye hi bana hai...aisi chamak jo chhup hi nahi sakti...

aur ek din,ye chaahe naa chaahe,iski chamak puri duniya dekhegi...

SAB-true that...

RASHI ki baat aur uspar sab ki haami sun smile karte hue palath gayi thi VERONICA par palaththe hi unka face serious ho gaya tha...

REASON...

RASHI ke kahe shabdon ne ek purani yaad taaza jo kar di thi VERONICA ke zehen me...

apne room me pahunch bed ke right par rakhe arm chair par baithne ke baad apne aap hi aankhein band ho chuki thi uski aur aisa hote hi ussi purani yaad me wapas lout gayi thi VERONICA...





FLASHBACK...

DATE-20TH MARCH 2012


CITY-JAIPUR

PLACE-CHANDPOLE BAZAAR






YAAR VERONICA,YAHAN SHAKUNTALA MARKET KO CHHOD IS DOWN AREA MARKET ME KYUN AAYE HAIN HUM...???


VERONICA-down area market...!!!CHETNA,jaipur ka one the most valued market hai chandpole...

CHETNA-yaa right...!!!market bhale hi valued hoga par yahan dikhne waale zyadatar log utne hi disgusting hain...

just look at them, aise ghoor rahe hain jaise aankhon se hi khaa jaayenge...

VERONICA-ab khaane waali chiz hai bhi toh tu naa...!!!

CHETNA-ek toh naa,tu mere yaa kisi aur ke beauty par kabhi bhi comment mat kiya kar...

aisa lagta hai jaise suraj kisike roshan hone ki baat kar raha...

dikhta hai kya koi ujala suraj ke saamne...!!!

VERONICA-arre waah...unique compliment diya tune aaj...

CHETNA-aur kitne door...ek toh yahan ki authority ne parking itne door rakhi hai ki pair dukhne lag gaye mere...

VERONICA-kis level ki ledri hai re tu...yahan mera itna chota baccha bhi araam se chal raha hai aur tere pair dukhne lage hain...


saath me apne chote chote pairon se tubduk tubduk chalte 6 saal ke SANVY ke sir par haath ferte hue kahi thi apni baat VERONICA ne jispar sir ghusse se hila thoda aur tez chalne laga tha woh...

wahin apne super cute bacche ke fule gaalon ko dekh halki si has padi thi VERONICA...

CHETNA-oye,kaun sa tera baccha...???tere se zyada mera lalla hai SANI... hain naa babu...

thoda aage jaa piche se hi SANVY ke gaal khinchi thi CHETNA ne jispar unka haath jhatak dheeme hi sahi,doudte hue aage bhaag gaya SANVY...

CHETNA-arre SANI.. bhaago mat beta... kharab raasta hai...gir jaaoge...

VERONICA-relax...jo chalna sikhte waqt kabhi nahi gira,woh ab kya girega...

piche aa rahe chaar hatte katte bodyguards ko ishara kiya tha VERONICA ne jiske baad woh sab turant nanhe SANVY ke piche chal pade the...

VERONICA-just follow...don't stop him...

bodyguards ko hidayat de di thi VERONICA he jispar un sabne nod kiya tha...

CHETNA-arre woh kaun si gali me ghus raha hai SANI...

jahan thoda tez chalte hue ek taraf mood gaya tha SANVY wahin bodyguards ki hi tarah CHETNA bhi ab thoda tez chalte hue SANVY ke piche ho li thi...


CHETNA-what the hell...???ab kidhar ghum gaya ye...???

ye second gali thi jisme ghum tha SANVY aur aise hi 8,9 galiyan agle 10 minute me ghum chuka tha woh...

upar se bodyguards VERONICA ke order ki wajah se SANVY ko rokne ke bajaye ek doori banakar uske piche bhar the...

ye dekh CHETNA tention me aakar bhaagne lagi thi uske piche par VERONICA ne uska haath pakad usse relax rehne ko kaha tha...

par jab gali 10vi baar muda SANVY toh frustrate ho gayi CHETNA...

CHETNA-itni bheed hai market me aur ye ladka bas idhar udhar bhaage jaa raha hai...

and you...!!!khud usse rokne ke bajaye mujhe hi rok rahi hai...!!!

VERONICA-apne bete ko manzil tak pahunchne se bhala kyun rokun mai...!!!???

khaas kar tab jab woh manzil hum dono ki bhi hai...

CHETNA-matlab...!!!

VERONICA-matlab saamne hai, dekh le...

chalte hue CHETNA aur VERONICA bhi SANVY jis raaste par muda tha,mood chuke the aur aisa hone ke baad jab VERONICA ki baat aur straight finger pointing par saamne dekha CHETNA ne toh SANVY ko thoda door ek shop ke door par khada paaya...

"SHAKUNTALA ARIFACTS..."

chandpole bazaar ho kya, pure jaipur me sabse badhiya aur rare wooden ARIFACTS SHAKUNTALA ARIFACTS shop me hi milta tha...

isiliye hi toh JAIPUR ke sabse expensive aur posh area,VAISHALI NAGAR ke rehwasi ,the multi billionaires CHETNA SINGH aur VERONICA PAUL AHARYA GAURAV TOWER jaise international standard market ko chhod yahan chandpole bazaar jaise average market place me aaye the...

jahan puri market average size dukaane se bhari padi thi wahin saamne dikh rahi SHAKUNTALA ARIFACTS shop hi bas aisi shop thi jo kisi a list shopping complex ki tarah badi aur classy dikh rahi thi...

CHETNA-hume yahan aana tha...!!!

VERONICA-yup...

CHETNA-pehle kitni baar aayi hai yahan...!!!???

VERONICA-ek baar...

CHETNA-holy godfather...ye toh apne baap ka bhi baap nikla hai...

VERONICA ke answer ko sunte hi CHETNA ke dimag me chandpole bazaar ke start me bane parking se yahan tak ka safar ghoom chuka tha jiska 25 percent bhi correctly yaad nahi kar paa rahi thi woh...

and she was damn sure ki jitne twisted galiyon se woh guzri hai,next time agar aayi tab bhi ek baar me SHAKUNTALA ARIFACTS tak nahi pahunch paayegi...

par 6 saal ka chota sa SANVY joki obvious hi tha ki apni MAA ke saath woh bhi yahan ek baar hi aaya hoga,usse by heart pura raasta yaad tha...

isiliye CHETNA ka reaction obvious tha jispar uska haath thaam SHAKUNTALA ARIFACTS shop ki taraf badh gayi VERONICA...

wahin nanhe se SANVY ne jab apni dono MOMS ko apni taraf aate dekha toh woh turant shop ke andar ghus gaya...

aur ye dekh 3 bodyguards shop ke bahar rooke aur bacha banda SANVY ke piche shop ke andar ho liya tha...

VERONICA-arre...wapas bahar kyun...???ye ladka bhi naa... ghussa hamesha naak me hi baitha rehta hai iska...

jaise hi VERONICA aur CHETNA shop ke entrance par pahunche toh SANVY wapas bahar aane laga tha aur ye dekh jab uske gaal ko pyaar se touch karna chaha VERONICA ne toh unka haath jhatak bahar nikal gaya woh...

CHETNA-ghussa nahi karega kya...???achi khaasi settled life, apni aadhi family ko chhod kal se dehradun jaise chote sheher me basne jaa rahe ho tum teeno...

khudko apne bhai se door,mujhe mere BHAI se door aur AARNA ko uske bhai se door kar rahe ho...this is not fair VERONICA...

VERONICA-hum pehle bhi is baare me baat kar chuke hain CHETNA... it's necessary...

nahi hota toh kya tum teeno ko chhod hum jaate kabhi...

mujhe pata hai ki SANVY tere liye kya hai par same condition toh meri bhi hai naa...

i know ki ye distance maintain karna mushkil hai...bohot mushkil...par as i said,as for now,it is necessary...

CHETNA-aur wahan jaakar ek middle class zindagi jeena...kya woh bhi zaroori hai...!!!

i mean you and BHAI are no less then a KING and QUEEN...

and mera SANY... he is a born prince...agar dehradun bik raha ho aur tu kharidna chaahe toh yun kharid sakti hai...

mera SANY,jiske subah uthne ke baad jab woh bed se neeche utarta hai,uske pairon ke neeche slippers rakhne ke liye bhi alag se noukar rakha hua hai humne...

middle class parvarish me jeene ke kaaran aage jaakar apne har chote bade kaam bhi khud karne honge usse...

i cannot even imagine that life for you,him and my BHAI...

aur tum teeno toh jeene waale ho woh life...

VERONICA-silver spoon ke saath naa mai paida hui thi aur naa SANEEL...

what we have today,we have earned it...hamara beta bhi kar lega...

rahi baat middle class life ki toh tujhe pata hai ki woh bhi zaroori hai...

rahisi apne saath exposure laati hai...aur agar hunar ho toh us exposure ko chhupaya nahi jaa sakta...

par jo life ab mera beta jiyega,us life me har chiz aam hogi...

aas paas uski wahan bhi rahisi hogi...

us limelight me baaki sabke saath
dekhenge sab usse bhi par uske middle class tag ki wajah se interested bohot kam log honge...

jab tak sahi waqt nahi aayega,apni asli chamak ko chuppakar woh sabko apni asliyat dekhne se roke rakhega...

i know ki ab tu ye kahegi ki usse yahan bhi hum chhupa kar rakh sakte the par tujhe bhi pata hai ki dikh kar bhi chuppe rehne me aur hide in ho jaane me fark hota hai...

aur ye fark tum teeno par bhi musibat le aata joki hum hone nahi de sakte...

ab agar tere saare repetitive questions pure ho gaye hon toh andar chalen...

glass covered entrance door par khade hain hum...

ya phir kahun ki raasta blocked karkar khade hain...

abhi tak koi aaya nahi hai par aaya toh muh par naa sahi par man me zaroor gaali bakega hume...

CHETNA-koi aayega toh bakega naa..!!

shop bahar se bhale hi bada lag raha hai par hai toh city ke outskirts ke is bhulbhulaiya market me hi naa...

woh bhi pata nahi kis kone me...mujhe nahi lagta ki hume chhod yahan koi aata bhi hoga...

aur aaye bhi kyun...yahan aisa kya milta hoga jo jaipur jaisi city ke main markets me available naa hogaaaaa.....

us glass door ko open kar jab andar aayi VERONICA ke saath CHETNA toh andar ka scene theek se clear hua aur jo dekha usne, uske baad word toh strech hona hi tha...

EBONY,MAHAGONI, ROSEWOOD,OAK,TEAK,SHISHAM, SANDALWOOD aur baaki bohot se kism ke hardwood ARIFACTS se bhari padi thi ye shop...

design aur dekhne bhar se hi un sabhi ARIFACTS ki quality itni umda lag rahi thi ki unhe dekh wahi ek shabd nikla CHETNA ke mooh se jo kisi bhi ARIFACT lover ke mooh se nikalna chahiye...

CHETNA-WOWWWWW...

CHETNA ka jo reaction tha,woh pehle hi guess kar chuki thi VERONICA isiliye bas muskura bhar di woh aur...

VERONICA-chal...apne naye ghar ke liye kuch naye ARIFACTS choose karte hain...

CHETNA-select... they all are masterpiece...puri dukaan utha lete hain...tujhe jo chahiye tu le jaana,baaki se mai apna naya pent house sajaungi...

kitne ke honge pure...10 crores,max...manager...

VERONICA-oh,rook jaa thoda... pehle toh mujhe apne naye ghar ke liye bas 3 se chaar artifacts hi lene hain jinki combined keemat 1 lakh bhi nahi hogi...

CHETNA-really...!!!

VERONICA -yup...its an affordable shop...saare artifacts agar wakayi le bhi le tu tab bhi price 1 crore se zyada nahi jaayega...

aur rahi baat tere pent house ki toh tu usse pent house hi rehne de, dukaan naa bana isiliye last time jab mai yahan aayi thi tab wahan ke liye maine 10 artifacts already select kar liye the...

right...!!!

MANAGER-yes MA'AM...

managar joki apne 6 sales people ke saath jaise hi VERONICA ne shop ke andar kadam rakha tha, turant unke saamne khada ho chuka tha,usne jaldi se jawab diya tha...

saamne khadi shakshiyat ke liye is waqt uske aankhon me samman ke saath glass door ke bahar khade nanhe SANVY ko neeche beech me dekhte hue uski aankhon me halka aascharya bhi tha jisse VERONICA ne samajh liya tha...

VERONICA-why are you looking surprised...!!!

BODYGUARD-ma'am,woh SANVY baba ne 3 artifacts select kiye hain...ye teen...

and ma'am, pent house ke liye bhi unhone 3 artifacts alag se select kiye hain...

behadh hi khubsoorat aur ancient artistic artifacts jinhe SANVY ne 2 minute me hi select kar liya tha, point out kiya aur unhe dekh...

CHETNA-damn...these are so beautiful...

(YE WAHI ARTIFACTS HAIN JO DEHRADUN ME SANEEL RESIDENCE ME LAGE HUE HAIN... DISCRIPTION PEHLE DE CHUKA HUN ISILIYE ABHI SKIP KAR RAHA HUN.)


VERONICA-isiliye hairan hain aap...!!!

MANAGER-ma'am,college students ke paas bhi artifacts ke baare me basic knowledge nahi hota...

par aapke bete ne in artifacts ke structural points ka naam lekar in sabko choose kiya hai...

maine kabhi dekha toh kya,aisa kuch suna bhi nahi hai kahin... it's unbelievable...

CHETNA-mera beta jo hai...

SANVY ke baare me sun is waqt VERONICA se zyada khushi CHETNA ke face par saaf dikh rahi thi...

VERONICA-ab kya select karna...pack all these artifacts...

MANAGAR-sure MA'AM...

VERONICA -isse kya hua...!!!???

CHETNA-shit...SANI bahar hi hai naa...


manager abhi palta hi tha ki tabhi CHETNA aur VERONICA ke saamne khada bodyguard achanak se hi tez kadmo ke saath shop se baahar nikla tha...

ye dekh jab palte woh dono toh dekha ki 2 aur bodyguards joki shop ke glass door ke bahar khade the,woh bhi gayab the...

turant CHETNA aur VERONICA ke kadam bhi bahar ki taraf badh chuke the...

CHETNA-SHIT...SANIII...

bahar nikalte hi jo scene saamne aaya tha,usse dekh CHETNA aur VERONICA,dono hi stabdh reh gaye the...

unke bodyguards me se ek apna face pakde neeche baiha hua tha...

nose aur lip area se khoon riste hue uske haathon ko bhigo raha tha...

wahin uske paas khada tha SANVY jiske haathon me tha woh patthar jiske through usne hi apne bodyguard ka face lahuluhan kiya tha...

aur jab CHETNA ne pukara uska naam toh turant palta woh aur apni dono moms ko apne paas aata dekh smile karte hue patthar chhod diya usne...

CHETNA-ye...ye tumme kiya SANI...!!!

badu maasumiyat ke saath smile karte hue haan kaha SANI ne...

CHETNA-why...???

VERONICA-isne touch kiya tha SANVY ko...!!!

BODYGUARD-jee ma'am...woh actually SANVY baba aage ki taraf bhaagne lage the toh isne pakad liya inhe...

VERONICA-saamne icecream stal hai..wahin jaa raha hoga ye...

BODYGUARD-jee..par SANVY baba rook gaye the lekin kuch seconds baad inhone isse smile karte hue neeche jhukne ko bola...

ye jhuk gaya aur...

VERONICA-patthar naak me maar diya isne...

BODYGUARD-jee ma'am...pata nahi kab patthar utha liya inhone and he hit him...

woh bhi teen baar...

VERONICA-maine bola tha,sirf follow karne and not to stop him...

uski nahi,tumhari safety ke liye bola tha maine...

SANVY-MAA...chalo naa... icecream...

VERONICA-hospital lekar jaao isse... turant...

BODYGUARD-yes ma'am...

CHETNA ko icecream stall ki taraf kheenchne laga tha SANVY jispar us bodyguard ko hidayat dete hue VERONICA bhi saath badh gayi...

kuch hi palon baad ek taraf SANVY apni masti me pure chaav me saath chocobar khaa raha tha wahin dusri taraf VERONICA aur CHETNA usse chupchaap dekh rahi thi...

CHETNA-yaad hai 2 hafte pehle C. S ground jaane ki zidh ki thi SANI ne...

VERONICA-hmm...

CHETNA-mai bhi gayi thi iske saath wahan...

bohut se log the par kuch bacche season ball se cricket khel rahe the ground me...

tabhi ek shot iski taraf aane laga tha...

ball ki direction issiki umar ke ek bacche ki taraf tha...

ball ki speed zyada thi aur woh ladka dekh bhi dusri taraf raha tha...

impact pakka tha par SANI jo thodi door tha us ladke se,bhaag pada uski taraf aur exact time par usse dhakka de diya...

baccha toh bach gaya par...

VERONICA-ball SANVY ke peeth par lag gayi thi... impact zyada tha aur pain bhi...

ghar aane ke baad bhi kaafi der tak roya tha ye...i know...

CHETNA -yaa...ek woh personality thi aur ek aaj ka ATTITUDE...

ye ladka kabhi RAM ka avtar lagta hai mujhe toh kabhi bhavishya ka RAAVAN...

aur tujhe lagta hai tu isse chhupa sakti hai...mark my words VERONICA...

duniya ke kisi bhi kone me chali jaa...ye ladka suraj ki woh roshni hai jisse har jagah chamakna hi chamakna hai...

iski chamak iska hunar hai...kisi tarah us hunar ko chhupa bhi paayi toh kood kar bahar aayega iska belagaam ghussa...

aisa ghussa jiski aanch me puri duniya jal jaaye,itna garm...

US KRODH KI AGNI KO,KAISE ROKEGI AUR CHHUPAYEGI TU...




"MAA...WE ARE LEAVING..."

FLASHBACK ENDS:-





ANI ki awaaz sun aankhein khul gayi VERONICA ki aur ateet ke apne ek panne se bahar aa gayi woh...

lambi saans chhod uth room se bahar nikal gayi thi woh...

physically toh present me aa chuki thi woh mentally abhi bhi past me hi atki thi uski aatma aur dimag me gunj rahe the CHETNA ke kahe gaye woh shabd...

"US KRODH KI AGNI KO,KAISE ROKEGI AUR CHHUPAYEGI TU...???






AREA-MANESAR

PLACE-CHOWDHARY'S FARMSTAY






BEHENCHOD...YE SAALA FARM HOUSE HAI YA FARM CITY...ITNA BADA...

apne chaaron taraf nazarein ghumata hua us 100 acre me faile
farm stay ko dekh aage badh raha tha inspector RAJESH MISHRA...

aur uski hairangi us farm house me bane stay ke andar jaate hi aur badh chuki thi...

woh jagah thi hi itni khubsoorat...asli sher ki khaal se bane sofe,european lime se bani chhat aur AFRICAN BLACKWOOD (world's most expensive wood) se bani floor us stay ks gigantic ki bhavyata aur khubsoorati bina bole bata rahe the...

kal commissioner ke urgent order par yahan delhi se 62 km door MANESAR aaya tha woh...order official nahi tha par jis tarah se diya gaya tha,usse saaf tha ki agar nahi aata RAJESH yahan toh uski hamesha ke liye officially chutti zaroor ho jaani thi...

aur ab is jagah ko dekh bhar kar woh samajh chuka tha ki jiske bhi bulaawe par woh yahan aaya hai,uski hasti badi hi hogi...


RAJESH MISHRA...BORN AND BROUGHT UP IN RAM NAGAR...

WIFE...SWATI MISHRA...SON...AARAV MISHRA,AGE 7...

JANUARY 3 2019 KO DEHRADUN TRANSFER HUA TUMHARA YA PHIR YE KAHEN KI 25 LAKHS DEKAR KARWAYA TUMNE YE TRANSFER...

PAR TAB SE LEKER AB TAK US 25 LAKH KE 1 CRORE 75 LAKHS KI UNDER THE TABLE EARNING KAR CHUKE HO TUM...

GOOD...


apne secretary ke saath haathon me thaame paper jispar RAJESH ki kundali likhi hui thi,hall me enter hua ek shaksh jisse dekh aankhein badi ho gayi thi RAJESH MISHRA ki...

koi bada officer nahi tha woh par turant aise alert mode me khada ho chuka tha RAJESH jaise C.M ya P.M ke saamne khada ho...

aur aisa hona laazmi bhi tha...

REASON...

MR JAIDEN CHOWDHARY...

ab inki shakshiyat thi hi itni badi ki RAJESH MISHRA ko toh alert aur respectful hona hi tha...

upar se RAJESH tha bhi uttarakhand ka jahan JAIDEN CHOWDHARY ka rutba thoda zyada hi mashoor tha...

JAIDEN-relax RAJESH...kya loge, whisky,rum or anything else...

RAJESH-i,i,i am ggood sir..
thankyou...

zubaan ladhkhadane lagi thi RAJESH ki jispar smile karte hue uske saamne sofe par baith apne liye drink banane laga tha RAJESH...

JAIDEN-so MR RAJESH...

RAJESH-yyes sir...

JAIDEN-ek date batata hun...tell me if you remember anything about it...

RAJESH-i will try sir...

JAIDEN-14/06/2019...

ye wahi date thi jis din CHANDER RESORT me SANVEER ne pehli baar RAJESH ka sarvajanik kachra kiya tha...

yahi wajah thi ki JAIDEN CHOWDHARY ke date bolte hi bas ek second ke liye hi sahi,jabde sakhti se kas gaye the RAJESH ke aur JAIDEN CHOWDHARY ko jawab mil gaya tha...

JAIDEN-so you do remember...good...

what if i say ki repayment ka time nazdeek hai...

JAIDEN CHOWDHARY ki baat sun aur samajh RAJESH ki aankhon me ek saath do bhaav chamak uthe...

khushi aur aascharya jinhe JAIDEN CHOWDHARY ne bhi padh liya tha...

JAIDEN-usne mere bete ko maara hai...

RAJESH-maaf kijiyega sir par agar itni si hi baat hoti toh aap mujhe yahan tak nahi bulaate...

aapka ek phone aur woh ladka andar jo chuka hota...

JAIDEN-sharp...good...par no,nahi hota... influence ki kami nahi hai uski family ke paas bhi...

aur tum yahan isiliye ho kyunki agar mera koi aadmi bhi tumse dehradun ke milta toh there are people jo jaan jaate ye baat...

RAJESH-phir bhi sir...sawal toh wahi hai naa..aapke jaisi shaksiyat ko ek mamuli school going boy me bhala kaisi dilchaspi...

JAIDEN-tum apne dilchaspi par dhyan do RAJESH...

finally,you will get your revenge and to put cherry on the cake,5 crores...


aankhein ek baar phir badi ho gayi thi RAJESH ki aur paise ki baat sun buddhi brasht...

JAIDEN CHOWDHARY jaisa shakshiyat apne logon tak ko dehradun bhejne ka risk nahi le raha...

ek bache ke liye usse yahan itni door bulaya gaya hai...

and most importantly, JAIDEN CHOWDHARY ke bete ki thukayi ki hai SANVEER ne phir bhi woh direct attack nahi kar raha...

ye saare negetive points us 5 crore ki maaya ke aage mit chuke the...

RAJESH-aap jaisa bolenge,mai karunga sir...

JAIDEN-i know...he is my secretary...ye contact me rahega tumhare...

kab,kya kaise karna hai,he will guide you...

RAJESH -sure sir...

JAIDEN -aaj stay enjoy karo yahan... jo bhi chahiye,sharab,shabaab,sab ka intazam ye kar dega...

kal,apne 1 crore advance ke saath wapas chale jaana...

RAJESH-thank you sir...

jahan apni baat bol ek smile ke saath JAIDEN CHOWDHARY nikal chuka tha wahin uska secretary bhi apna number dekar aur RAJESH ke farmaishon ki lambi list lekar bahar ki taraf nikal pada...

aur RAJESH...

un dono ke jaate hi woh jahan kuch der pehle tak JAIDEN baitha tha,us sher ki khaal waale sofe par uske owner position me baith gaya...

saamne whisky ki mehengi bottle padi thi jisse open kar ek naye glass me daal uski halki si chuski li usne aur...

RAJESH-sach hi kaha hai kisine...

jab upar waala deta hai toh chhapar faad ke deta hai...

maza aa gaya...

5 crore bhi andar aur woh behen ka louda jhaant barabar lounda SANVEER...




aag aur barf se nahi tujhse puchenge log ki GARM aur SARD KISSE KEHTE HAIN...


jo apna apmaan nahi bhulta,tu bhi dekhega ki woh MARD KISSE KEHTE HAIN...

taklif ki nayi paribhasha likhunga mai tujhpar...

tootkar gawahi dega tera sharir ki DARD KISSE KEHTE HAIN...










AAJ KE LIYE ITNA HI...





AAPKA APNA V...J...
Wooowwww yrrr mazedaar update as always.

mazaa aagaya .

is update m bohot kuch jaanne ko mila about SANVY.

Or ab to yeh bhi Clear ho rha hai k JAINDEN CHOHDARY hi SANVY k arrest or us pr hone wale torture k peecha hoga.

Veronica ki death ka reason abhi clear nhi hai or ho jayegaa.

Or JAIDEN CHOHDARY q khud direct attack nhi kr rha SANVY pr iska ek reason jo kaafi hai woh to us PAST k glimpse m hi pta chal gaya tha VERONICA & SANVY ka background jiske baare m koi nhi jaanta tha but maybe JAIDEN CHOHDARY jaanta ho.

Or Arrest ka baad SANVY ko bhi wohi chudaye gaa, ARNA'S father maybe wohi hai SANEEL AHARYA Ka jeeja .
 
1,181
4,359
144
Sabse Main cheez Jo ki ab tak clear nahi hai : Why Sanvy is so special ? Is he a product of any experiment because , where Sanvy is very intelligent and Brave his sister is normal . In past , Sanvy's sister got struck in fire🔥 ( Cafe's Scene ).
Dost ye thriller story hai naa k koi Fantasy,
or jahan tk SANVY k Special hone ki baat hai to ye koi experiment nhi ho sakta bcz ane dekha hi ho gaa k DIMPLE bhi to kaafi telented hai not as SANVY pr girls m to hai na or phir JAIDEN CHOHDARY, RANJANA METHWES(PRINCI), VERONICA,SANEEL etc ye sab bhi to hain naa or SANVY ne to abhi us SAMUNDAR ko dekha bhi nhi hai jis m usse utarna hoga.

Or woh CAFE wali bachi ARNA alag hai or ye Wali ARNA alag hai. Jis UPDATE m PRINCI ka husband k zikr huwa tha or SANVY k 3rd father ka bataya tha usii m clear kiya tha vj4u ne .
 

Shani khan

Vj4u Big Fan
281
955
93
Bhai

Ap ki story jb b prhta hu toh jo tarif dil mae ati h wo beya nae ho pati hamesha

Q k mjhy b pta h jo mehnat ap story pae krty ho toh jb comment ki bari meri ati h tb fat k hath mae ati h

Mehnat ap ki ho or jb tarif b k6 a6y level ki na ho to GALATH lgta h

Kabi kabi mera man krta h k ap k dimag pae rade kr k sari story prh lu intazar ho pata kabi lkn ap ki life h toh mera yu selfish ho na SAHI nae h

Ap ki story prh k yu lgta h k abi sari story ap post kr do or prh lu lkn sabar ka phal metha h jo mjh sa hota nae lkn ap he kra dyty ho

Ap apna sunay family mae b sb thk h na

Story toh ab dkhty h kya rang lati h

Update ka intazar h
 

Death Kiñg

Active Member
1,396
7,031
144
Pichhle teen updates mein ek taraf humne Sanvy ke asli vyaktitva ki ek jhalak dekhi to wahin doosri taraf Sanvy ke ateet ki ek jhalak bhi hume dekhne ko mili... Sanvy, being the “prodigal son” he was special, very – very special right from the start! As they say, “Coming events cast their shadows long before”, Sanvy's case is similar to that... Sanvy ka shayad janm hote hi ye tay ho gaya tha ki ek na ek din wo ek aise khatre ke saamne khada hoga, jiska mukabla karna almost impossible hai... Saneel ki death ke baad to ye cheez confirm ho hi gayi thi and right from his early days, Sanvy was different, he was exceptional!

Us market ke scene mein na kewal Sanvy ki memory aur brain ki ek jhalak mili balki us bodyguard ko lagi chot, Sanvy ke garam dimaag ki bhi ek jhalak dikha gayi... Sameer aur Smriti ke saath Sirius mein jo kuchh kiya Sanvy ne, aur jo Arif Reza ke saath kiya tha usne, sochkar hi dimaag hil jaata hai ki Veronica ki maut ke baad ye ladka kya karega!? Arif ne Veronica ko nuksan pahunchane ki koshish bhar ki thi, jiske badle mein Sanvy ne uski zindagi nark se bhi battar kar di, jab Veronica maregi, jiske kaaran maregi, uske saath kya karega Sanveer? Obviously, is saare khel ka rachayita aur sanchaalak G.O.D. hi hai, but if I remember correctly, Archana Batra, warned Veronica that she'll be on her knees when they'll meet the next time!

Clearly, Archana, Jaiden & Smriti too.. all three will be involved in what's gonna happen with Veronica... Even if they aren't involved completely, that partial involvement, will result in something bad, really – really bad for them! A couple of months are left in the flashback that's currently going on, and when Veronica dies, the second chapter of the story will also start (the present, maybe), just can't wait to see the transformation that Sanveer will undergo... This story is such a masterpiece that you can wait & wait for the next installment, but at the same time, the wait is really hard!

What Sam did in front of that much audience is shocking! I mean, Sam harami hai, trustworthy nahi hai, ghatiya hai aur saath hi Jaiden aur Smriti jaise mahanubhavo ka khoon bhi hai uski ragon mein, aise mein jo harkat usne ki wo hairan nahi karti, parantu jis sthaan aur paristhiti mein wo kiya Sam ne, hairaan kar dene waala tha... Haan, Sam kameena hai, aur shayad khunnas bhi rakhe huye hai poore group se par kya wo itna moorkh hai ki use ye tak nahi pata ki aisi harkat uska poora bhavishya khatam kar sakti hai!?

Two things are possible... First, Sam was overconfident, that no one can do anything to him, as he's the son of Jaiden Choudhary... But Sam has been a student of Sirius for a long time now, and he completely knows what power Ranjana holds... Anjali ke saath usne jo harkat ki, I don't think ki Sam ko andaza nahi hoga ki iske baad Ranjana kya kuchh kar sakti hai uske aur uske career ke saath... And he very well knows ki wahaan Jaiden bhi kuchh khaas kar paane mein samarth nahi hoga... The second assumption is the most probable situation...

Sam had a plan, which didn't go well, Sanvy ne jo kiya wahaan par, shayad uske kaaran Sam ki soch dhari ki dhari reh gayi... It's hard to digest that Sam tried to molest a girl, from a well to do & influential family, in front of a fully packed auditorium, in front of the CCTVs that are present all over in the school... Kya Jaiden athva Smriti ne kisi kaaran se use ye harkat karne ko kaha tha? Jab practice chal rahi thi dance ki, and Anjali suddenly opened the door for Sanvy and others, tab bhi kuchh harkat ki thi kya Sam ne? Kyonki Anjali ka behaviour us waqt bhi normal nahi laga tha...

This matter seems to be done but it's clearly holding a lot of things that need to be cleared... Sanvy probably jaanta hi hoga saari baat, abhi tak jo Sanvy humne dekha hai, uski nazron se kuchh bhi Sam jaise praani chhupa paayen, ye possible nahi... Khair, the bond between Anjali & Sanveer, that's a special one! I'm liking it even more than that of Vikram & Anjali... Anjali kitni parvah karti hai Sanvy ki iske dheron examples hum dekh hi chuke hain kahani mein, but these two scenes... First one after that Khanak incident in the library, i.e., Sanvy's reaction after seeing tears in Anjali's eyes, and then this current one! Your writing and that smooth narration has elevated the beauty of these scenes to just another level! :bow:

Baharhal, Anjali, uske parents aur inke baaki doston ke reaction Sanvy ke action par dekhne laayak the... Shravya aur Sandeep ka bhi hridaya parivartan ho gaya hoga ab, i guess! Veronica ka seedhe aakar Anjali ko hug karna, aur uske liye Smriti ke saamne wo shabd kehna, and of course what Sanveer did for her, iske baad kisi bhi Maa – Baap ke emotions hum samajh hi sakte hain... They just can't hate or dislike Sanveer anymore, neither they can deny the fact that Veronica and Sanveer care for their daughter more than anyone else & I hope ki ab unka ameeri aur shohrat ka chasma bhi utar gaya hoga!

Sanvy ka guitar bajana aur saath hi wo gaane, he was relieved after shrugging off that negativity, but these are dangerous signs too! Sanveer ko agar is tarah se apni negative side ko release kar relaxation aur shaanti milne lagegi to ye ek addiction bhi ban sakta hai! Not in the literal sense, par saaf hai ki aane waale samay mein aur koyi source to hoga nahi uske paas (Veronica calmed him down by just caressing his hair), aise mein saaf hai ki uska dimaag use khud to rokega nahi, clearly bad signs for the bad people in the story!

Chetna, Aarna and Aarna's father! Three new characters in the story... Chetna, Saneel ko apna bhai maanti thi/hai, wahin Veronica, Chetna ke husband ko apna bhai maanti hai... Ranjana ne kaha hi tha ki unhone Veronica ko Maa ka darja diya hai... Some relations can't be explained, these are similar i guess... Chetna ka lagaav Sanvy ke prati, us chhote se flashback se hi saaf ho gaya, Aarna ko kitna chahti hai Veronica ye hum Ranjana ke saath uski phone call ke dauran dekh hi chuke hain... Aarna ke prati Sanvy ka pyaar isi se saaf hai ki uski humnaam ko god mein liya tha usne, jabki wo chhutki ke alawa kisi bachhe ko god mein nahi leta... Khair, inki entry Veronica ki maut ke baad hi hogi, aur tabhi inke baare mein adhik jaankari mil paayegi...

But one thing is clear, that they're just too big! Jaiden ne Rajesh ko jo kaam diya hai, khud ko parde ke pichhe rakhkar, usi se saaf hota hai ki wo bhi khud ko rok raha hai directly saamne aane se... He knows about the influence Veronica and her “brother” have! Btw. what I want to know is, who knows about this Chetna & Aarna story of Sanvy's childhood? Anjali ko pata hai kya is baare mein, I think she knows about it! Rahi baat Rajesh ki, to definitely usne jis kaam ke liye paise liye hain, wo poora kar dega, but he has ensured that a seat will be booked in hell, very soon!

Idhar Dimple ko bhi pata chal gaya ki school mein kya hua tha, uske bhai ne kya kiya, aur fir uske saath kya hua... What Dimple did, her words in front if Smriti, were really touching! It's not just that she loves Sanvy, it's about how pure and real she's, both from the outside & inside! Dimple ne ateet mein jo kiya, jo chuna, wo alag baat hai, but we cannot deny the fact that she's definitely an example of the truth that lotus blooms in mud only! Uski Maa, “Chhoti” Maa, Pita, aur Bhai.. sabhi ke sabhi ek hi prakar ke log hain, jinko tareef mein kaha gaya har ek shabd chhota hai... In sabke beech Dimple ki soch aur uska dil, alag hai, it's beautiful indeed!

Let's see what Dimple will do, how she'll react when she'll meet Anjali and others, Sanvy, I don't think anything good is going to happen between these two anytime soon... Veronica ke jaane ki tithi nazdeek aati ja rahi hai, and her aura, her character, forces me to think about it again & again... I rarely fall in love with story characters, but Veronica is one of those rare characters, with whom respect & admiration comes on it's own! There's going to be a void in Sanvy's life as well as with us, as readers, after she fades away... But I know, nothing happens without a reason in your stories, so let's see what Veronica's death is going to do!

Tareef karni hai? Waise to vocabulary chhoti pad rahi hai, but one thing I want to mention is.. After I read the update in which Sanveer showed up with his negative side, I was stunned for at least five minutes... I mean, I completed reading the update, with the lines Veronica spoke, and I was sitting just like that, for the next few minutes... The day isn't far away when I'll start to see the imaginary faces of Sanveer, Dimple & all in my dreams... Extraordinary stuff bro! Just unbelievable! :bow:

Outstanding & Amazing Updates Bhai & Waiting For Next...
 
Top