• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,758
40,382
189
Update likh liya hai guyzz but abhi bahar hun... thodi der baad ghar pahunch recheck karke post karta hun...
 
PkPasi

Member
127
246
58
Mai Christian hun brother... toh mere yahan har festival celebrate hone se raha...par meri would be wife and family hindu hain isiliye unka har festival unke yahan celebrate karta hun...
Yahi baat mujhe samjh nahi aa rahi koi festival time me apni family kaise chod sakta hai
Abhi sab samjh aa gaya
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,758
40,382
189
Aakhirkar Nits ne prapose kar hi diya magar Ani bhi utni hi sanki thi isliye usne bhi mana kar diya magar jo baad mein Nits ne kaha wo laajawab tha aur shayad kahin na kahin Ani ko bhi realise hoga Nits ka pyar.

Jayden aur uske parivar ke gande khoon ne ek baar fir se apna rang dikha diya aur kyonki is baar Hawker aaya tha iska matlab Jayden G.O.D. ke liye kaam karta hai. To usko aur uske parivaar ko khtam karne ke teen reason ho gaye hai Sanvy ke paas. Shayad isiliye future update mein Dimple ne Sanvy ko ruthless killer kaha tha kyonki aage jaa kar Sanvy apne maa baap ka badla lega Jayden aur G.O.D. se.

Iss haar ke baad shayad ab Jayden ab Inspector waala plan karega which means Veronica has very little time left. Superb update.

vj4u bhai ek sawaal hai ki aapki har story mein hero ke maa baap beech mein hi kyon saath chod dete hai?
Situation dramatic ho jaata hai brother but more because plot ki demand hoti hai...saath bane rahiye...
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,758
40,382
189
Agar hawker yaha h aur wo bhi jaiden chaudhary ke behalf pr sanvy ko sabak sikhane aaya tha..to iska sidha matlab h ki jaiden G.O.D. ka hi ek part h aur wo bhi kaafi aham part kyuki uska kirdar bhi koi chhota mota to h nhi to ahmiyat khud b khud badh jaati h uski aur ab to jb hawker yaha sam pr hue sanvy ke action ka reaction dene aaya h to is kirdar ki ahmiyat aur bhi jyada badh jaati h kyuki ab uska connection ka khulasha G.O.D se bhi ho chuka h... Badla jaiden ka hoga pr usme pura hath G.O.D. ka hoga pura plan uska hoga kya krna h kaise krna h iska direction wo krega aur unko follow krayega jaiden jo sayd veronica ke death scene me bhi hme dekhne ko milne wala hoga..well aaj ki fight dekhkr sanvy ki fighting improvement,strength improvement, speed, flexibility, and judgement power with eyes and without eyes only based on senses and hearing me bhi kaafi improvement hua h last fights ke baad ..aur hona bhi tha usne apni training ko bhi high intensity pr jo rkha tha ..aur ye intensity to ab aur bhi badhti jayegi kyuki abhi to wo bss hawker ko peetne ke kaabil hua h jaiden aur uske jaise auro ko nhi to G.O.D. ki baat to krte hi nhi h apna...wahin dusri taraf aakhir kaar nits ne anjali ko propose to kr diya pr uske baad jo jawab mila uska andaza use phle hi tha dhukhi to bahut h wo pr us reject ko usne phle se hi accept kr liya tha isliye filhal stable h wo...pr jo emotions ko usne bayan kiya wo bakai hi bahut hi pure aur shiddat wale hain ..isse pta chlta h ki kitni mohabbat krta h wo anjali se aur wo bhi ab se nhi bachpan ki first meeting se jb use in feelings ka kuchh ata pta bhi nhi tha.. Same goes for anjali she has feelings for sanvy from her bottom of heart but she already knows ki wo sanvy ki nhi ho skti h uske baad uska sam ke sath relationship aur usme mila dhokha to uske liye bhi easy nhi h ki wo firse kisi ke sath relationship me aaye aur uske baad firse uske sath aisa hi dhokha ho. She is in fear of that unbearable things jis wajha se wo nits ko accept nhi kr pa rhi h ..sanvy ne apne words se usko smjhane ki koshish bhi ki sath me dimple ko bhi target kr diya indirectly pr jab dimple ne usse ek chance manga to usne jo jawab aur daleel di usne dimple ko hi chup kra diya ..lgta nhi h ki abhi jaldi hi dimple aur uske beech sab kuchh thik hone wala h. Aur jo future jhalak hme dekhne ko mili wo to unki college life se bhi baad ki h to abhi to isme bahut tym lgne wala h...pr baat agat bharoshe ki kre to isme dono ke liye alag scene h jahan anjali ka bharosha sam ne todna pr moka use nits ko dena h jisne kabhi uske sath aisa kuchh krna to dur socha bhi nhi wahi sanvy ka bharosha toda h dimple se to again us shakhs ko moka dena thoda mushkil hota h ..kyuki darr rhta h ki wo dobara bhi us moke ka fayda utha kr dhokha hi de de..isliye sanvy ne dimple ki daleel ko reject kr diya✌ ..khair dekhte h aaj ke incident ke baad is kahani me kya nye ghatnakaram samne aate hain...so waiting for the next update brother...✌✌👏👏👏
Thanks for the beautiful review brother...aage kahani kaafi twist lene waali hai...saath bane rahiye...
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,758
40,382
189
Update toh superb tha magar ek baat samajh nai aati nits ki agar pyar karta hai to ladki ko feel kara woh na karke dusre ke liye kya feel kar rah woh batana pade toh woh kesa pyaar shayad Nits Anjali ko apna pyaar feel na kara pa raha hai ya phir sab jaante bujhte Anjali Nits ko inkaar kar raha hai ya phir anjali chahti hai woh Sanvy ke saaye se nikal kar nits apna khud ka wajood banaye.
Angles samjhiye brother....inki kahani twisted hai... SANVY ke chaaye tale grow hue hain dono hi... ANJALI aur NITS...

Upar se ANJALI ka first love hai SANVY... ek aisa banda jisse kisi bhi chiz me takkar nahi de sakta NITS... ANJALI ki feelings kaisi hai,woh jaanta hai...apne emotions ka bhaar uspar laadh woh khudko usse alag hi kar paayega,saath kabhi nahi...

Aise me sirf apne ehsaas bata kar sab saamne waale par chhod dena, that's the real solution jo NITS ne kiya hai...
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,758
40,382
189
Amazing update

Marvelous update Bhai superb

Update is amazing brother..❣️❣️

aapki story ka ek ek seen jis tarah se aap words ke through dekhate ho bhai aisa lgta hai ki mein hi sanvy hoon mein hi wo sab kar rha hoon

your writing skills are fucking insane brother..🔥🔥

Excellent update bhai.. 💥💥🔥

Toh mera andaza sahi nikla yeh G.O.D. SAM ke family se connected hai (Diplomatic Comment ). Agar Truly bolu toh Mr. JAIDEN CHOUDHARY se Connected hai.
Ab Veronica wala scene ka wait hai .
Ab agge kya hoga woh toh Ane wala waqt/update Batayega :fight3:

Nyc update bhai

Superb update

Bhai super update

Awesome update 😀.

SUPERB PERFORMANCE BRO MEINE PADHI AB TAK KI SARI STORIES ME SE YE EK AISE STORY HE JISKA AGLA PART PREDICT KARNA IMPOSSIBLE LAGTA HE.

SUSPENSE, THRILLER, FRIENDSHIP, LOVE SAB KUCH TOH HE SUPER WORK KEEP UPDATING

👏👏👏👏👏👏👏👏👏

That's when we say
'Intejar ka phal'
Thank you vj4u

वाव
मजा आ गया
निट अपने दिल की ज़ज्बात को बड़ी खूबसूरती के साथ अंजलि के समाने खोल कर रख दिया
वह पल वह सारी बातेँ जजबातेँ वाकई अद्भुत थी
पर उसके बाद पार्किंग में जो कांड हुआ थोड़ी देर के लिए मैं सोचा कहीं राजेश मिश्रा तो नहीं पर हॉकर निकला
इस बार हैरान और परेशान होने की बारी हॉकर की थी
जैदन चौधरी और गॉड
क्या एक सिक्के के दो पहलु हैं
खैर अंत में बहुत ही बेहतरीन और अपडेट

Super update hai Bhai

Gajab ka update bhai. Action se bharpoor romanchak update. Jaiden chaodhry G. O. D. Ka member hai eska mtlb

This is update the update
Ye baat sabhi ne predict ki thi ki Chaudhary G.O.D se connected hai lekin ye bhi possible hai ki hawker apni beizzati ko kam karne ke liye Chaudhary ka naam istemal kiya hoga ki kaise ek schools going ladke ne usko Hara diya tha last time bhi aur iss time bhi ye main isliye keh raha hoon ki jab Chaudhary ne inspector ko 5 crore diye hai toh hawker ko hire karna koi badi baat nahi hoti uske liye sidha wo hawkers hi bhejta ye sirf meri ek prediction bhar hai
Ek chota sa request hai vj4u bhai aapse agar possible ho toh jo prologue mein ya phir aarna ki mother hai unke baare mein bhi update hona chahiye jisse un logo ke baare mein bhi kuch pata chale it's a request baaki jo writer sahab ki marzi
Amazing Update

Superb as always

Mind blowing update vj4u bhai....

Bhai kya fadu update tha

Yehi toh bat h update dae k sary gily shikway bhula dyty ho

Lkn

Update prhny k bd jo or ki talab hoti h us ka kia jay

Ho saky toh update jaldi dae dyna request h q k ap ki b life ho or bizi har bnda h ye toh ap ki mehrbani h k hamy time dae rhy ho

Review sae ziada update k reply ka ziada intzar rhta h

Waiting bro

Bahut hi shandaar update bhai😍😍

Mast behtreen update

Fantastic update bro maja aa gaya

lovely update ..ye hawker ko kisne supari di sanvy ko pareshan karne ki .rajesh ne ya jaiden ne ??

nits ki love story padhke maja aa gaya ,bhale aaj anjali ne accept nahi kiya par nits ke pyar ko feel to kiya hi hoga usne .

Jabardasttt Updateeee

Yeh uss Hawker ka Jaiden ko bhejna Sanvy aur uske group ko nuksaan pahonchane ke liye itna toh clarify kar raha hai ke Jaiden ka GOD se kuch toh lena dena hai.

Aur shayad yeh baat Sanvy ke dhayaan mein bhi aajayegi.

Idher Nits ka Anjali ko propose aur phir sang sang rejection ke baad apne aap ko strong rakhna achha laga mujhe

Ab dekhte hai Sanvy aage kya kya karta hai. Itna toh lag raha hai ke woh Jaiden se confront hogaa.

Bhai aaj update palekam padha bhai fir bhi jita samejay aaya khas kar nits aapni dilhijar filing Anjali batana kafi majedar tha bro weting for next update jaldi dana bro

VJ Bhai Kasam Se Bawal He Kr Dete Ho Yrr
😍😍😍😍

Hawker ne itni asani se jaiden ka naam kyu bata diya

Lajawaab update bro maza aa gaya hai

Awesome updates👍🎉

Wonderful update bhai ☺️😊

Very nice Fantastic update waiting for next update

Update was fantastic bhai

Super fantastic update bhai

Shandar update bhai har baar ki tarah se ek aur hame santust karne wala update lekin kya kare aap ki story pe update ke liye itna intzar Saha nhi jata kuch kijiye iska
Aur Shanvi to tulip wale ki to gand tooda achhe se aur upar se Shanvi ki improvment dekh ke to wo bawala hoga aur ye shayad G.O.D ka member hai to use iske liye kb se kaam karna pad gaya Jaiden Chaudhary inse kab Mila iski koi jankari nhi ya ye bas Jaiden ka naam le raha
Finally Nits ne bilkul Bina bhav ke ordinary tarike se apni feeling 3 word me bta diya aur bachpan se kaise dekhta aa rah Ani ko wo bhi bata diya
Ani to full confused hai kya kare wo wo bhi shi hi hai kyuki Nits ki harkat hamesha se jo rhi hai wo to samne se dekhne wala whi dekhega jo ho raha hai Nits ke mamle me yhi hai dekhte hai kitna samay legi Ani ya reject kar degi

Waah
Bhai dill khush kar ditta
Bohat hi kmaal ka update tha
Aaise hi vadia vadia update daite rahe ♥️

Finaly ab shanvi ki power improve hone lagi hai
hawker ye samjh gaya tha ki wo Jeet nahi sakta isliye bhag gya

Boht Zabardast update

Nice update

Amazing update to valentine k din Nits ne Anjali ko propose ker hi diya or jab us ne guzre waqt ki kuch yaden jo Anjali ko le ker thin batayin to bs kia hi moment ban gayi thi wo 1 dum speechless well Anjali filhal k liye to confused hai k usey kia kerna chahiye kia nahi
Dimple ne koshish kari lakin shayad abhi or time hai Sanvy or uske dobara se 1 sath hone me Hawker se 1 martaba phir se samna
acha to chutiya sam k matter ka cover le rha ta k chaudary k bete ko nahi marna chahiye ta
abki bar to Sanvy ne khob ache se pela ab na ae ga next time aise hi muh utha k khair update bohat hi acha ta story is time apne peak pe hai to update ka intezar besabri se rehta hai jo bohat hi mushkil se guzerta hai well aise hi likhte rahiye

Awesome update bro

Zabardast update

Ap k update ko prhne kyly last wala update reread krna prta hy
Waiting Sir g

Nits n akhir kaar Ani ko purpose ker hi dia lekin Ani n bechare ka dil tod yeh keh ki I don't love you
Chaudhary k gande khoon n apna kaam shuru ker dia h direct SANVAY se nahi uske friends se taki jab friends ko kuch tow SANVAY samane aayega hi or ab yeh pakka ho gaya Jayden k taar zaroor G.O.D se jude huwe h tabhi tow Hawker aaya tha
Baherhal SANVAY n sabak tow sikha dia nahi tow bhagta nahi yeh Hawker banda
Dekhte h aage kia hota h
Bahot khoob shaandaar update bhai
Thanks brothers...be along..
 
vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,758
40,382
189
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF NITS ANJALI KO PROPOSE KAR DETA HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY KA BHIDHANT EK BAAR PHIR SE HAWKER KE SAATH HOTA HAI JISME IS BAAR SANVY USSE ASAANI SE HARA DETA HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-94

DATE-15TH FEBRUARY

CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE

KTTTK...

ghar ke front door ke ki chitkani kheenchne ki awaaz thi ye...

filhal raat ke 11 baj rahe the...waise toh aaj ke modern daur me ghar se bahar jaane ke liye zyada late nahi hua tha par SANEEL'S RESIDENCE ke lihaaz se agar dekhen toh haan,waqt kaafi zyada tha...

thand ka asar ab bhi dehradun ki hawaon me zyada hi tha...10 degree se kam ki kadkadati thand me jahan log ek saath 3,3 layers pehenane ke baad bhi thartharate the,wahin SANVY patli t-shirt ke upar bas ek black hoodie pehenkar dheere se bahar nikal raha tha...

usne apni MAA ko apne bahar jaane ke baare me kuch bataya nahi tha par iska reason koi secretive bhi nahi tha...

VERONICA subah 5 baje se pehle uththi thi isiliye 10.30 tak she used to be off to bed...

abhi agar apne bahar jaane ke baare me batata toh uske wapas aane tak woh jaagti rehti...

bas isiliye dabe paanv araam se front door khol bahar nikalne laga tha SANVY par uske batane na batane se anjaan ek normal MAA ho sakti thi, par VERONICA bilkul nahi...

she was aware ki SANVY abhi bahar jaa raha hai...is waqt hall ke side me lakdi ki bani jhaalar se apne bete ko aangan ke aage entrance door ke saamne khada dekh rahi thi woh...

entrance door ki height 7 foot ke paas thi jisse khola nahi SANVY ne...

apne kandhe ko round rotate karte hue apne dono haathon ko jhatka diya usne aur agle hi pal halke se upper pull ke saath door ke upari sire ko pakadte hue kisi spring lage khiloune ki tarah uchhalte hue uski body 360 degree cart hote hue door ke dusri taraf land ho chuki thi...

ghar se bahar nikal apne hoodie ki cap sir par daalte hue ek baar phir apne kandhon ko rotate karne ka baad dono haathon ko jhatka dete hue ek disha me aage badh chuka tha SANVY...

wahin dusri taraf ye sab dekh rahi VERONICA ka sharir bas yahin tha par dimag kisi alag waqt aur jagah me pahunchne laga tha...

pehli baar jis tarah se apne shoulders ko rotate karne ke baad apne haathon ko jhatka tha SANVY ne tabhi kuch purana dhundla sa dikha tha VERONICA ke dimag me par ab jab same chiz dusri baar kiya unke bete toh SANVY bhale hi aage badh gaya par same time me uski MAA rewind mode lete hue waqt ke dhaar me beeti ek guzari par bohot hi mahatvapurn yaad me kho chuki thi...

FLASHBACK:-

DATE-25TH DECEMBER 2011 (12.30 AM)

CITY-JAIPUR

PLACE-CORNERSTONE CHURCH

MERRY CHRISTMAS SWEETHEART...

sabhi pehchaan waalon ko christmas wish karne ke baad church ke parking ki taraf jaate hue finally ab jaakar apni beautiful wife and the love of his life VERONICA ko christmas wish kiya tha SANEEL ne jispar ek pyari si smile naach uthi thi VERONICA ke face par...

VERONICA-merry christmas SAN...

SANEEL-kya karun mai aapka...!!!???

VERONICA-kyun...???kya hua...???

SANEEL-koi bhi patni ab tak naraaz,behadh naaraz ho chuki hoti is baat par...

lekin ek aap hain jinhe fark hi nahi pada...

VERONICA-fark bhala kyun padta...!!!har kisiko merry christmas wish karne se pehle aur karne ke baad tumhari nigahen sirf hi mujhe dekhti thi...

zubani mubarakbad bhale hi abhi diya hai tumne par aankhon se wish najaane kitni baar hi kar chuke ho tum...

SANEEL-you know,kasoor aapke is rukhsaar ka hai...

itni khubsoorati dekhkar hamesha hi bhool jaata hun mai ki nazaron se aapke kuch nahi chhupta...

VERONICA-zaroori hai naa...duniya ke sabse powerful logon me se ek hain aap...par ye asliyat kitne hi log jaante hain bhala...!!!

koi toh hona chahiye naa jisse puri khabar ho aapke baare me...!!!

baat karte karte apni AUDI A4 car ke paas pahunch chuke the dono...

and as a true gentleman,front passenger as in apne wife ke taraf ki door open ki SANEEL ne jispar door handle ko pakda toh sahi VERONICA ne par agle hi pal...

DHABBB...

door wapas band kar diya tha usne...aisa kar jahan ek taraf woh apne fingers crack kar smile karne lagi wahin dusri taraf SANEEL bhi halka has diye the...

SANEEL-6 i guess...!!!

VERONICA-8...mid lawn waali parking ki first car...duster rxt, white,4466 aur just opposite side par bani bike parking me khadi 5th bike...z.m.r 1277...

VERONICA ke description ke waqt aankhein band ho chuki thi SANEEL ki par band aankhon me bhi putliyan unki kuch yun rotate ho rahi thi maano VERONICA ki baaton me zikr kiye location aur vehicles ko unka dimag rewind mode me jaakar recheck kar raha tha...

aur jab aankhein khuli SANEEL ki toh VERONICA ki saari baatein unka dimag positively approve kar chuka tha...

SANEEL-nice...

VERONICA-acha hua SANVY saath nahi hai aaj...!!!

SANEEL-hota toh bhi zyada fark nahi padta... hum filhal naa toh kisi mission par hain aur naahi usse judi kisi link ko follow karte hue yahan aaye hain...

it's a normal casual christmas celebration... upar se ye ek church hai...a religious place...

if we go by the book...G.O.D have never killed aur even tried to harm badly anyone in any devine place...

(isiliye hi uttarakhand me religious places ke bahar blast hue the,unke andar nahi)

SANVY chhodo,i dont think ki humpar bhi filhal koi jaanleva khatra hone waala hai...!!!

"THE ABILITY TO OBSERVE WITHOUT EVALUATING IS THE HIGHEST FORM OF INTELLIGENCE"...

SANEEL ki baat puri hui hi thi ki tabhi achanak se hi kisi shadow se J.KRISHNAMURTI JI ka quote bolte hue bahar nikla tha ek tall banda...

blue three piece suit,american mul ke face aur accent waala indian banda...

age,between 30 and 35... aankhon me ek aisa painapan jisse lagatar dekhne par hi chakkar aane lage...

lambe hone ke saath saath well built up body bhi thi uski...

SANEEL aur VERONICA se 20 metre door aakar rooka tha woh jiske baad neeche se upar tak scan karti chali gayi thi usko dono ki aankhein aur tabhi...

us bande ke gale ke side part par kuch gooda hua dikha dono ko jispar choti hoti chali gayi unki aankhein...

waise toh jahan woh banda khada tha,us point par roshni kam thi par SANEEL aur VERONICA ki tez tarrar aankhon ke liye utni light bhi bohot thi...

yahi wajah thi ki agle hi pal ek jhatke me un dono ki aankhein badi hoti chali gayi thi...

REASON...

SANEEL/VERONICA- MESSENGER...

us bande ke gardan par G bana tha,usne uske ORG ke baare me aur us G ke neeche latakte hue jo capital letter me tedha M bana hua tha,usne us shaksh ke ohde ke baare me un dono ko bata diya tha...

"MESSENGER...one of the rarest bodies of G.O.D...aaj pehli baar G.O.D se koi MESSENGER rank ka banda khada tha VERONICA aur SANEEL ke saamne"...

aisa nahi tha ki MESSENGER G O.D ke top working bodies aur positions me se ek tha par haan,sabse rare zaroor tha...

aur woh isiliye kyunki ek toh MESSENGER body ek maatra aisa dhaaga tha jo G.O.D ke top to bottom sabhi dusri bodies se connected rehte the...

G.O.D organization ka kamsekam 75 percent info jiska 25 percent bhi duniya ke kisi top secret organization ke paas nahi tha,moujud rehta tha.

jab tak unka kaam nahi padta tha, MESSENGERS kabhi bhi apne bill se bahar openly nahi aate the aur agar aa gaye toh aisa kabhi nahi hua tha ki unhe sounpa kaam adhura reh gaya ho...

G.O.D org ke one of the most prized possession holders the MESSENGERS aur aaj,abhi unme se hi ek SANEEL aur VERONICA ke saamne khada tha...

khair, SANEEL aur VERONICA ke mooh se apne identity ko jaan ek behadh sukoon aur shaanti se bhari smile naach uthi thi us MESSENGER Ke face par...

MESSENGER-barso ki tamanna puri hote dekh, finally ek MESSENGER ko dekh kaisa feel ho raha hai...???

VERONICA-khudko safe rakhne ke liye jin 8 MERCENARIES ka back up laaye ho,unse nipatne ke baad bataye hamari feelings...!!!

MESSENGER-wooh... VERONICA...G O.D me THE INFAMOUS THUNDER BOLT...

sirf suna tha,aaj saamne se dekhna,i have to say,it's an honour...

SANEEL-shayad theek se nahi suna aur naa jaana ki kyun G.O.D me infamous hain ye warna backup ke liye sirf 8 MERCENARIES...!!!

MESSENGER-infamous toh aap se zyada koi nahi hai SANEEL...G.O.D ke 100 saal ke itihaas me kisi country ya other top organizations ne bhi hume itna pareshan nahi kiya jitna akele aap ne kiya hai...

infact,you both are the only two people in this entire world jisse humara CABAL naapasand bhi karta hai aur respect bhi...

yahi reason hai ki aisa pehli baar ho raha hai jab G.O.D ka ek prime body, "THE MESSENGER" khud tum dono ke saamne aakar khada hai...

VERONICA-ab ye bhi bata do ki why did we get this honour...???!!!

MESSENGER-you will know...!!!in time... filhal, it's time for some entertainment...

bohot suna hai tum dono ke baare me...dekhen zara,jo suna hai,kya woh wakayi sach hai...

let's begin the show...

CTTTTHHTTT...

apni baat bolte hue chutki bajayi us messenger ne...chutki ki awaaz itni tez thi us open parking me ek click sound gunj sa utha tha aur agle hi pal...

SOOBHHH...SOOBHHHH.... SOOBHHH...SOOBHHHH...

DHAPPP...DHAPPP...DHAPPP...DHAPPP...

VERONICA aur SANEEL ko apne chaaron taraf hawa ko cheer back to back 8 foot sounds ke zamin par land hone ki awaaz aayi thi...

like black shadows,8 nakabposh lambe chowde log SANEEL aur VERONICA ko chaaron taraf se ghere khade ho chuke the...

SANEEL-CORPS...

8 CORPS ko ek saath apne saamne dekh satarkta ab thodi zyada badh gayi thi SANEELN aur VERONICA ki aur ye laazmi bhi tha...

kyunki quantity bhale hi VERONICA ne pehle hi gin liya tha par us waqt they were just like shadows jinhe bas count kiya jaa sakta tha par properly identify nahi...

lekin ab jab woh aathon bande saamne the toh unki identity aur G.O.D'S position clear ho chuki thi...

jahan MESSENGER se baat karte waqt dono loosened up the wahin ab unke straight khade hone par muskuaya MESSENGER aur...

MESSENGER-kaho toh quantity kam kar den...!!!

SANEEL-bache hain aur toh unhe bhi saamne bula le...we don't have all night...

MESSENGER-neither have i...par jitni hai utne waqt tak tum dono ke liye ye 8 sufficient hain...

apni hand watch par ek baar dekhte hue baat ki thi messenger ne aur tabhi...

SOOBHH....

chote kantile kaante waali belt dono taraf ke CORPS me chamak uthi thi jiske agle hi pal usse VERONICA aur SANEEL par chala diya un dono ne...

dono taraf se single attack tha ye jisse halka sa tilt hote hue asaani se bach gaye the dono par tabhi fraction of a second me aage aur piche waale 3rd aur 4th corps SANEEL aur VERONICA ke saamne pahunch chuke the...

theek ussi pal 5th aur 6th corps bhi 3rd aur 4th CORPS se bas 2 metre door pahunch apni position le chuke the...

3rd aur 4th CORP ko dekhne ke baad bhi koo harkat nahi ki thi VERONICA aur SANEEL ne jispar 3rd corp me SANEEL par swish chop hit ghuma di aur theek ussi pal 4th CORP ne pehle ek knee blow and to continue after hit,ek elbow strike ka waar VERONICA par kar diya tha...

THAKKK...THAKKK...BHAKKKK...

hits swift ke saath saath itne tez the ki agar koi aur hota toh agle second zamin par lot raha hota but that's the whole point,right...!!!

saamne koi aur nahi balki VERONICA aur SANEEL the...

the bloody best...

3rd CORPS ke chop hit ko pehle jhukte hue dodge kiya SANEEL ne aur phir jhuke hue hi ghum gaya woh...

agle hi pal us CORP ke baaju me tha woh jiske baad SANEEL ka ek punch uske jaw line ko hit kar chuka tha...

theek ussi pal VERONICA ne pehle toh side hath 4th CORPS ke knee blow ko dodge kiya par saath hi saath mid air me hi usne CORP ke knee ke beech haath fasaya aur usse upar ki taraf ek tez jhatka diya...

uske aisa karte hi CORP ka agla move, elbow strike half me hi uske pairon ke saath ladhkhada gaya tha lekin VERONICA wahin nahi rooki...

knee ko uske jhatka dete hue pehle uske ribs par punch maarne ke baad usne bhi ek punch 4th CORP ke face par jama diya tha...

TAKKK...AHHHH... DHAKKK...

ek taraf se SANEEL ne 3rd corp ko aur dusri taraf se VERONICA ne 4th corp ko hit karne baad chhoda nahi balki ek sa move karte hue un dono ki gardanon ko pakda aur aage ki taraf tez push kar diya...

agle hi pal un dono CORPS ke sir ek dusre se takra gaye the...

behadh dard ke beech dimag ghumne laga tha un dono ka par tabhi un dono ke shoulders par VERONICA aur SANEEL ke kicks par chuke the...

kick ka direction 1st aur second CORPS ki taraf tha jinhone phir se apni kaantedaar belt ghumane ke liye position le ki thi...

par VERONICA aur SANEEL ke kicks ke asar se 3rd aur 4th CORPS sidhe unse takra gaye the...

theek tabhi 5th, 6th,7th aur 8th corps ek saath VERONICA aur SANEEL ki taraf jhapte the par unse kayi guna speedy movements un dono ke the...

waise toh VERONICA aur SANEEL,dono hand to hand combat me bhi araam se hara dete saamne se badh rahe chaaron corps ko par isme thoda time lagta aur ye time kaafi valuable tha dono ke liye...

reason bho obvious tha... MESSENGER... kis wajah se woh yahan aaj unke saamne tha,they didn't know par dono hi is oppertunity ko aur usse apne haath se jaane nahi de sakte the...

they had to grab him... isiliye time waste na karte hue VERONICA aur SANEEL,dono hi apne left aur right as in first aur second CORPS ki taraf lapke...

3rf aur 4th CORPS se takrane ki wajah se woh dono abhi ladhkhadate hue piche ki taraf gir rahe the...

dono ke haathon grips filhal dheel the jinpar girne se pehle hi ek ek haath feel kiya dono ne...

ye VERONICA aur SANEEL the jinhone unke kaantedaar belts kheench liye the aur aisa hone ke agle hi pal shuru hua dono ka taandav...

round friction movement par saath hi saath zigzag pattern ka istamal karte hue kuch is speed se move hone lagi thi un dono ko body ki dekhne waale sabhi ko aisa feel ho raha tha maano fast forward mode me garba kar rahe the woh...

par garba me haathon ke darmiyan daandiyan sticks hote hain par yahan VERONICA aur SANEEL ke haathon me kaantedaar aur lambe belts the...

SOOOBHHHH...SOOOBHHHH....

AHHHHHHHHHHHHH...

kaafi tez the woh aathon CORPS aur saath hi sharp bhi par itni unique aur fast movement thi VERONICA aur SANEEL ki jisse samajhna unke jaise super trained fighters ke bas me bhi nahi tha...

kuch hi seconds ke antaral me un sabki cheekhen pure parking me gunj chuki thi...

woh toh acha tha ki ek toh raat ka waqt tha,upar se church ki ye parking church building aur baaki stays se kaafi door thi and thirdly,church se nikalne waale VERONICA aur SANEEL last the isiliye chal rahe human/sci-fi scene ka koi gawah aur audience nahi tha warna live dekh kar bhi movie hi samajhte sabhi...

iska ek kaaran ye bhi tha ki CORPS maamuli fighters nahi the...

they were G.O.D'S selected people...

unki kaabiliyat ka pata issi baat se lagaya jaa sakta hai ki duniya me jitne bhi contact sports hain, boxing, wrestling,m.m.a exetra...

in saare hi high adrenaline contact sports ka koi bhi world champion tak kisi ek CORP ke saamne zyada der tik nahi sakta tha...

even agar jahan se VERONICA aur SANEEL actually me the,wahan bhi aise bohot kam log the jo ek saath 2 CORPS se bhidkar jeet sakte the...

the CORPS were that good aur aise me minute bhar me jo haal VERONICA aur SANEEL ne un sabka kar diya tha,it was actually unimaginable...

minute bhar me hi un 8 me se 6 zameen par lahuluhan hokar pade hue the...

waise toh saathve aur aathwe corp bhi gire hue the par unpar chali belt ka waar unke kandhon ko shrug off hokar nikla bhar tha aur isiliye they were ok...

yahi wajah thi ki ek front flip maar woh dono khade ho chuke the...

MESSENGER-wow...hands down...tab sirf bola tha,now i mean it...it's an honour to meet the both of you...

1 saal pehle jo tum dono ne kiya tha,woh chiz itni impossible thi ki baakiyon ki tarah maine bhi yakeen nahi kiya tha...

i was sure ki without extra help, possible ho nahi sakta tha WOH karna...

but now, witnessing your actions,ab lagne laga hai ki jo socha tha,woh GALATH tha...

aise combat skills bohot kam witness kiye hain maine...

haath baandhe khade messenger ki taraf wapas jaise ghumi VERONICA aur SANEEL ki nigahen toh apne haath khol hands down waale pose ko dete hue halka bend down hua woh...

SANEEL-just wait a bit...ab tak dekha hai,now you gonna feel aur combat skills...

MESSENGER-i doubt that...

apne kaano me ghusaye ek tiny ear bud ko nikaal apni jeb me kuch aise daala us MESSENGER ne maano ab uske jaane ka time ho chuka hai...

par is beech ek aur chiz bhi hui thi...

eight aur 9th corp ne bhi VERONICA aur SANEEL ki taraf movement kar di thi par corps ke agle kadam badhne se pehle hi apne haath me pakde belts ko tedhe angle se hi ek tez jhatka diya tha un dono ne...

waise toh corps is attack ke liye ready the isiliye VERONICA aur SANEEL ke hand movement ke turant baad hi side ho gaye the woh dono par faayda kuch hua nahi...

trick attack tha ye...aadhe raaste hi belts wapas kheench liya tha VERONICA aur SANEEL ne par phir dobara ghumte hue itni tezi se chalaya unhone apna belt ki uske range me aane se khudko bacha nahi paaye CORPS...

jahan SANEEL ki taraf waale corp ke toh hatheli me ghus gaya tha belt ka keel wahin VERONICA ke belt ne uski taraf waale corp ke seene ko ghis sa diya tha...

chest ka skin halka sa peel off ho gaya tha uska par phir bhi neeche girne ke baad kisi tarah uth gaya woh...

uththe hi paas me niche gire apne ek saath ki kaantedaar belt kheench kar nikaal li usne par woh us belt ko VERONICA par chalata ki tabhi...

CREEECHHHH...

ek AUDI R8 tezi se parking me daakhil hui thi...

open roof model ki car thi ye jo slide hote hue us corp ko thokne ke disha me badh chuki thi...

par us corp ne naa sirf dekh liya tha ua car ko apni taraf aate hue balki apni full agility aur flexibility ka istamal karte hue us twisted car ke upar se cart wheel jump bhi maar di thi...

par yahin ho gaya tha woh GALATH...

usne socha tha ki car ke upar se nikalne ke beech car chalane waale par woh apni belt se waar karega par woh aisa kar paata,usse pehle hi ek aur sci-fi move ho chuka tha...

car me baithe shaksh ne chalti car se hi apne seat par balance banane ke beech upar jump laga diya tha...

is beech usne hand brake bhi kheench li thi jiske asar se car uski 360 drift karte hue theek SANEEL aur VERONICA ke saamne ruki thi...

par car rukne se pehle hi ek saath do do khel ho chuke the...

car me baithe bande ne hawa me cart wheel maarte hue us CORP ke sidh upar ki taraf challang laga di thi aur woh bhi kuch is tarah se ki us CORP ki gardan bande ke baazuon me fas chuki thi...

KDAKKK...

hawa me hi kalabazi khaate hue apne kandhe par laadne ke beech us corp ki gardan tod di thi ue bande ne...

DHAPPP...

zameen par land hone ke saath hi us corp ki jhul rahi laash ko piche fekte hue apni black versace ki three piece suit ko shrug off karne laga tha woh banda...

ye toh pehla khel joki VERONCA aur SANEEL ke liye positive tha...par dusra khel utna hi negetive...

kyunki CORPS ke saath is final bhidant me joki mushkil se 20 seconds hi chala tha,THE MESSENGER had vanished...

woh bhi aise jaise kabhi woh yahan aaya hi nahi tha...

un corps se bhidne ke beech jab us new bande ki entry hui toh nazar uski taraf hi ghum gayi thi VERONICA aur SANEEL ki...

issi beech gayab ho chuka tha messenger jispar pehle toh hadbada gaye VERONICA aur SANEEL par usse dhundne ki koshish bilkul nahi ki dono ne...

kyunki jaise G.O.D me SANEEL aur VERONICA ke kisse mashoor the, theek waise hi MESSENGER ke baare me bhi kaafi sun chuke the woh dono...

ek MESSENGER ko saamne se toh aaj pehli baar dekha tha un dono ne par virtually pehle bhi is clan ke kaafi videos dekhe the un dono ne...

videos me bhi unki movement hairat angez hoti thi aur usse bhi aascharya janak hota tha unka scene se gayab ho jaana...

kayi kayi baar rewind karne par bhi messenger ki slip out movement catch nahi kar paaya tha koi...

they were that good...

agar woh MESSENGER un dono se lada hota toh pakka fas jaata par now that he was gone,usse dhund nahi sakte the dono...

isiliye hi apni jagah me khade reh gaye VERONICA aur SANEEL...

wahin dusri taraf peeth thi filhal us bande ki VERONCA aur SANEEL ki taraf jispar apne dono kandhon ko round twist sa karte hue apne haathon ko jhatka sa diya us bande ne...

(THEEK WAISE HI JAISA CURRENT SCENE ME SANVY NE KIYA THA)

apne haathon ko jhatak ghuma woh banda SANEEL aur VERONICA ki taraf...

FLASHBACK ENDS:-

face us bande ka jaise hi chamka VERONICA ke dimag me toh apni yaadon se ek pal me hi wapas present me me aa gayi VERONICA...

ek lambi saans chhodi usne aur...

VERONICA-khoon bhale hi mere bete me SANEEL ka hai par harkaton me uski jhalak tumhari bhi hai...

aur ho bhi kyun naa bhala...uska toh naam bhi tum dono se hi bana hai...

SANVEER...

SANEEL se toh usne bas uska aadha hi naam liya hai...

SAN...

par tumse toh tumhara pura pehla naam hi le liya usne...

VEER...

PLACE-CHANDER VILLA

DHAPPP...

25TH baar tha ye jab chander villa ke alag alag hisso me kisi rubber ke putle ki tarah ek saaya specific areas par slide aur jump karta hua villa ke pichle hisse tak pahuncha tha...

specific isiliye kyunki villa ka outer part 8 moving c.c.t.c camaras se lais tha...

par unki movement kuch yun rati thi us saaye ko ki ek bhi ghumte camara ne usse apne lens me kaid nahi kar paaya tha...

kuch guards bhi the par zyadatar guards villa ke saamne aur back door ke paas tainat the par unme se bhi kisine us saaye ko ghar ke andar aate aur yun ucchalte kudate aage badhte nahi dekha tha...

aisa lag raha tha jaise c.c.t.v aur guards,un sabki movements by heart yaad thi us saaye ko...

khair,is waqt woh saaya us teen manzila villa ke back wall jahan drain water pipe lagi hui thi,wahan khada ho chuka tha...

ek pal chaaron taraf nazar ghumane me baad ek strong grip se hold kiya usne pipe ko aur agle hi pal kisi bandar ki tarah hairat angez speed se us pipe par chadhte chala gaya...

tezi se upar chadhta woh saaya sidhe 2nd floor par pahunch kar hi ruka tha aur iska kaaran tha pipe se bas 3 feet right par bani ek khidki...

waise toh woh khidki band thi par phir bhi khudko right ki taraf uchaal diya us saaye ne...

khidki ke bahar lage cemented blocks jinpar pade us saaye ke dono haath jiske baad unki blocks ke sahare khidki ke bahar bane halke se jagah par khud ko uthate hue baith gaya tha woh saaya...

kuch seconds baithne ke naad band khidki ke palle me haath lagaya us saaye ne...

khidki sirf atki hui thi,band nahi thi isiliye uske ek palle ko pura khol tircha hote hue dusri taraf jahan stairs the,ghus gaya woh saaya...

madhyam roshni chhayi thi us jagah par...abhi tak apna hoodie cap lagaya hi hua tha us saaye ne jisse ab finally utaar diya usne...

SANVY...!!!

mai tha ye saaya jisne abhi apna hoodie cap hataya hi tha ki tabhi mere saamne stairs ke upari bhaag se ek jaani pehchaani awaaz mere kaano par padi...

DIMPLE thi ye jo aaj yahin rooki thi... ofcourse apne bhai ke liye...jo hua tha,bhale hi woh GALATH tha...SAM ki harkat usse katayi pasand nahi thi par ek sach ye bhi tha ki he was her brother...

jo abhi taklif me tha... upar se shaam ko hi SAM ki mom, SHRAVYA CHANDER kisi meeting ke liye bahar gayi thi aur ab tak louti nahi thi...

unhi ke orders the DIMPLE ko ki in her absence,she has to look after her brother...

isiliye yahin rooki thi woh... second floor par apne bhai ke kamre ke baaju waala room tha jisme rooki hui thi woh...

ek jagah baith kar padhne ki aadat nahi thi DIMPLE ki...

she use to walk while reading and revising...

abhi bhi apne room me tehelte hue kuch padh rahi thi woh...khidki khuli thi uske jiske bahar kuch der pehle hui hulchul aur dheeme pade uske kaano me awaaz ki wajah se nazar bahar ki taraf gayi uski...

she saw a guy there jo ghar ke piche ki taraf badh raha tha...

pehle toh uska man kiya to call the security par phir she decided to see for herself...

second aur third floor me bohot se windows lage the jinme se woh us unidentified bande ko araam se dekh rahi thi...

aur finally jab woh banda drain water pipe se chadhte hue second floor ke window par latka toh ek rod pakad usse pitne ke irade se stairs ke divided column me chhupkar khadi ho gayi woh...

but ab jaise hi us bande as in maine apni hoodie cap hatayi toh mujhe dekhte hi ek tez jhatka laga usse...

apni aankhon me dikh rahi hairangi ke saagar ko liye mere saamne aakar khadi ho gayi thi DIMPLE...

MAI-wanna hit,then just hit... never wait...more importantly, never hesitate...meri ye seekh itni jaldi bhool gayi tum...

DIMPLE-mai kuch nahi bhulti SANVY...aur tumse related toh kabhi bhi nahi...

tumpar haath uthaya toh chot mujhe lagegi jisse dekh tum nahi paaoge...

rod ko side me rakh meri aankhon me jhaankne lagi thi DIMPLE...

MAI-itna kuch dekh chuka hun ki now i am trained...kuch bhi dekhne ke liye...

DIMPLE-tumhari ye kataaksh se bhari baatein jitni taklif deti hai,sukoon usse kayi zyada milta hai...

kyunki ye baatein yaad dilati hain mujhe ki aaj nahi hun toh kya hua par kabhi toh tumme tumse zyada thi mai...

MAI-jo beet gaya,so beet gaya...

filhal mujhme nahi,sirf saamne ho tum...

DIMPLE-saamne toh tum ho...itni raat ko,is ghar me yun chhupte hue...iraade SAHI toh ho nahi sakte tumhare...!!!

MAI-GALATH ke saath sahi nahi, GALATH hi kiya jaata... kamsekam mai toh karna chahta hun...

DIMPLE-ab kya GALATH ho gaya tumhare saath...!!!

MAI-mere saath...!!!naa...!!! apne saath GALATH karne ki ijaazat dena band kar diya hai maine...

aaj ek nakabposh rider old school ke backyard me aaya tha...RASHI aur KHANAK ke saath battamizi ki usne...

phir NITS ko chot pahunchayi aur mujhe apne piche aata dekh bhaag nikla...

i followed him...then we fought par kisi tarah bhaag nikla woh...

fight ke beech he mentioned ki mujhe JAIDEN CHOWDHARY ke bete par haath nahi uthana chahiye tha...

then,he warned ki iska hisaab ab mujhe apne baaki doston ke through chukana hoga...

canteen me hui mulakat ke baad front ki taraf se ghat gayi thi DIMPLE...jo hua tha, iska zara bhi andaza nahi tha usse...

isiliye meri baat sun hairangi,pain aur ghussa...teeno hi bhaav ek saath dikhne lage the uske face par...

lekin saath hi saath ek sawal bhi ubhra tha DIMPLE ke zehen me...

DIMPLE-you are here to question SAM...???tumhe lagta hai ki he is involved in it too...

MAI-tumhe kya lagta hai...!!!???

DIMPLE-i doubt it...pehle toh uski condition bas theek hone hi filhal shuru hui hai aur agar woh completely theek hota,tab bhi i think ki jo usne kuch din pehle kiya uske baad aisa kuch karne ke baare me sochega bhi nahi...

MAI-follow me...

bina kuch sune stairs ne neeche utarta chala gaya mai...

hall se hote hue piche bane garage ke back door ki taraf badh gaya tha mai...

wahin DIMPLE bhi sawalon se ghiri hi sahi par bina kuch bole chupchaap mujhe follow kar rahi thi...

garage ka back door andar se tha isiliye locked nahi tha...

door khol pehle mai aur phir DIMPLE garage ke andar ghus chuke the...

10 se zyada imported cars ke collection khade the is waqt garage par par meri nazar un sabse alag left hand side par padi ek dhaki hui chiz par atak gayi thi...

ussiki taraf badh chala tha mai...

white cover ko kheench side me fekh diya maine aur ab mere saamne thi SAM ki bike...

NINJA 390...

par meri nazar puri bike par nahi balki side se thoda andar uske ek hisse par aakar tiki jiske baad jabde halke sakhti se bheench gaye the mere...

palta mai DIMPLE ki taraf jiske aankhon me sawalon ke silwaten ab bhi tair rahe the...

MAI-woh biker yahi bike chala raha tha...

DIMPLE-how can you be so sure...!!!i mean,aise models toh bohot honge yahan...kya number padha tha tumne...!!!

MAI-padh leta but he was hiding it...aur plate par kapde ki tarah chamda chipkaya tha usne... complete stiched...nikaalna asaan nahi tha...

DIMPLE-phir...!!!

MAI-ye fairing ke side edge par jo dent hai,ye mere elbow hit se pada hai...

meri baat sun DIMPLE bike ke paas pahunch halka sa jhuki...

wakayi fairing ke side par ek aisi jagah jahan sidhe dekhne par kuch bhi pata nahi chal raha tha,ek dent tha...

us dent ko dekh is baar baari DIMPLE ke jabdon ki thi sakht hone ki...

sidhi ho meri aankhon me dekha usne aur...

DIMPLE-tum jo chaahe karo...i am not gonna stop you...

MAI-tum chaaho tab bhi nahi rok sakti mujhe aur haan,i was here to question your brother...

aur agar mai sawal karun naa usse toh phir din nahi,is baar kaafi mahino tak theek nahi ho paayega woh...

par ek baar phir saale ki kismat buland hai..usse pehle tum mil gayi mujhe...

chhod raha hun is baar usse par agli baar nahi hoga aisa...

apni baat bol bina DIMPLE ki koi baat sune uske baaju se hote hue nikal gaya garage se mai...

wahin mere jaane ke baad kuch seconds tak apni jagah khadi reh DIMPLE bhi palti aur garage se bahar nikal gayi...

kahin dikha nahi usse mai aur jaanti thi DIMPLE ki is ghar ko mai inside out jaanta hun isiliye yahan se nikalne me mujhe koi problem hone waali thi nahi...

isiliye sidhe tez kadmo se seedhi chadhte hue SAM ke room ke door ke paas pahunch gayi thi DIMPLE...

DHADHHH...

darwaza bas atka hua hi tha jisse ghusse se bhar tezi se khola tha DIMPLE ne...

SAM is waqt apne bed par baitha maths ke sum solve kar raha tha...

yun achanak door ka tezi se khulna aur phir apni behen ko aur tezi se apni taraf badhta dekh shocked ho gaya tha woh...

AHHHH...

SAM ke paas pahunch kuch kaha nahi DIMPLE ne balki uske jabdon ko jispar abhi bhi patti bandhi hui thi,usse thodi zor se pakad liya...

itne dino me jabda SAM ka kaafi hadh theek ho chuka tha par soojan abhi bhi thi wahan jispar DIMPLE ke yun hold karne se pain kaafi badh gaya tha...

SAM-DINGLI...yye kkya...AHHHH...

badi mushkil se bole the ye shabd SAM ne par tabhi thode aur zor se dabaya uske jabdon ko DIMPLE ne...

DIMPLE-listen to me very very carefully SAM...teri wajah se ek baar mai SANVY ki nazar me gir chuki hun...dobara agar aisa hua toh woh haalath karungi teri jo tune sapne me bhi nahi socha hoga...

SAM-par mmaaine....kiya.... kya hai...???

badi mushkil se baatein nikal rahi thi SAM ke mooh se...

DIMPLE-kitna innocent hai naa tu...!!!kal school me banda bheja tune jisne KHANAK aur RASHI ko molest karne ki koshish ki...

kitna neeche girega tu SAM...???

apni behen ki baaton ko sun aankhein hairangi se failti chali gayi thi SAM ki aur ye hairangi genuine thi...

feel kar liya tha DIMPLE ne is chiz ko isiliye SAM ka jabda chhod diya usne...

DIMPLE-you didn't know about this...

SAM-i swear i dont...aur tujhe kyun laga ki maine aisa kuch karwaya hai...

DIMPLE-tujhe is baat ki tention nahi hui ki teri do female friends ke saath aisa kuch hua hai...

sach tha DIMPLE ka ye kataksh jisse sun sir halka jhuk gaya tha SAM ka...

DIMPLE-sir mat jhuka...sirf apne image ke baare me sochna,hamari family ka brutal sach hai ye fact...

thank god ye negetive genetic transfusion mujhme nahi hai...

agar kuch nahi kiya hai tune toh it's good...keeo it this way...

SAM-kya...hua tha...kal...

DIMPLE-dad se puch lena aur ye message bhi saath me de dena ki SANVY aur uske doston se door rahen...

kyunki unme se ek mai bhi hun... agli baar kuch ulta pulta hua toh saamna sirf SANVY se nahi,unki beti se bhi hoga...

apni baat bol palath gayi DIMPLE...jis tezi se aayi thi,ussi tezi se door cross kar apne room ki taraf mudi hi thi woh ki tabhi sudden brakes apply karne padh gaye the usse...

REASON...

wall par side arm tikaye mai jo khada tha...mujhe yun saamne dekh ek baar phir hairan hui thi woh...

usse laga tha ki mai chala gaya tha par aisa tha nahi...infact mere yahan aana aur mujhe yahan aate waqt DIMPLE ka mujhe dekhna,ye mera hi plan tha...

woh yahin is ghar me hai,ANI ke through shaam ko hi pata chal gaya tha mujhe...

DIMPLE ka daily routine toh jaanta tha hu mai isiliye yahan CHANDER VILLA me aane ka ye time chuna tha maine...

yahan pahunch jaanbujh kar uske kamre waale khidki ke bahar thoda extra ruka tha mai taaki woh mujhe dekh le...

aur ye sab karne ka reason bilkul obvious tha...SAM ka confrontation mai DIMPLE se hi karana chahta tha...

dono ki hi authenticity ko jaanane ka isse behter tarika nahi ho sakta tha...

aur jo hua,acha laga tha mujhe...aaj bohot waqt ke baad DIMPLE ke liye mere dil ka NEW GIRL corner halka sa hi sahi par phirse dhadka tha...

par rush mai karna chahta tha nahi isiliye DIMPLE ko kuch seconds dekhne ke baad mai wapas palat aage badhne laga tha...

wahin dusri taraf kuch seconds ki hairangi ke baad DIMPLE ko bhi mera ganith samajh me aa gaya tha...

mai parakh raha tha usse,ye jaan gayi thi woh...

upar se palatne se pehle meri aankhon me aaj bohot arse baad khudka wahi aks dekha tha usne jisse dekhne ke liye taras gayi thi woh...

mujhe jaata dekh DIMPLE ke dil me sukoon aur bechaini,ek saath ghar karne lagi thi aur isiliye...

DIMPLE-SAVYYYYY...

ek naye naam se pukara tha mujhe DIMPLE ne jisse sun ek pal ke liye rooke merr kadam par phir behadh dheeme kadmo se aage badhne laga mai...

DIMPLE bhi mere piche ho li thi...ek baar phir ussi khidki ke paas tha mai jahan se hokar mai andar aaya tha...

khidki ke pallon ko pakad dusri taraf nikal hi gaya tha mai ki tabhi mere kandhe ko piche se hold kiya DIMPLE ne aur...

DIMPLE-

jo pichli baar hua,woh meri pehli aur AAKHRI BHOOL HAI...

parwarish GALATH rahi hai meri par teri wajah se mit chuki us maansikta ki aakhri DHOOL HAI...

par jaanti hun mai ki mere bolne bhar se kuch hoga nahi isiliye...

jitne intehan lene hai le le, mujhe tere ISHQ ki tarah teri har aazmaish KUBOOL HAI...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
 
Avinashraj

Well-Known Member
2,000
5,649
159

Woww just wow beautiful update bhai
 
Top