• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

9,985
41,779
218
Guyzzz...aaj update dena tha par tabiyat kuch nasaaz hai...sir me kaafi pain bhi hai isiliye update kal dunga...
अपने स्वास्थ्य पर ध्यान दीजिए। कमिटमेंट से जरूरी है हेल्थ।
सिर दर्द का कारण गैस...माइग्रेन...टेंशन कुछ भी हो सकता है। बेहतर है आप प्राणायाम रेगुलर करें। और पानी खुब पिया करे।
 

Shani khan

Vj4u Big Fan
282
957
93
Guyzzz...aaj update dena tha par tabiyat kuch nasaaz hai...sir me kaafi pain bhi hai isiliye update kal dunga...

Update toh bad mae aye gi

Phly 8 din jo baki reh gay h
VERONICA k pas
Q ki k6 samj to a rhe h k kya bat bani ho gi lkn abhi tk confirm nae hu q ki ye VJ4U ki story end tk pta nae hota k howa kesy ya esy b ho skta tha

Waiting 4 "SAD UPDATE"
 

Vk248517

I love Fantasy and Sci-fiction story.
5,766
17,816
189
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF CHENANI-NASHRI TUNNEL ME G.O.D PLATINUM KI CHORI KARTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF VERONICA KE GHAR USSE LE JAANE KE LIYE KUCH SUSPICIOUS LOG AATE HAIN.

AB AAGE:-


CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-97

DATE-22ND MARCH


CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE




HEY...

DIMPLE thi mere saamne jo jahan ek taraf mujhe typical cook outfit as in apron odhe aur kadchi haath me liye dekh halki hasne lagi thi wahin dusri taraf itni jaldi use yahan dekh halka surprise hua tha mai joki laazmi bhi tha...

darasal finally aaj last paper ke saath hamara board exam khatm ho chuka tha...

kaafi khush the hum sabhi aur exams pure hone ki khushi me celebrate karna chahte the...

bohot si party venues ki baat hui par jaise hi DIMPLE ke mooh se MAA ke haathon ki CHETTINAD CHICKEN nikla toh sab apne apne suggestion completely bhul gaye...

par ek problem thi...MAA kisi official kaam se parso bahar gayi thi aur ab tak nahi louti thi...

jaise hi ye baat sabko pata chali,mooh sada liya tha har kisine isiliye i decided to cook the dish myself...

pehle toh is baat par mera khub mazak udaya kamino ne par mana bhi nahi kiya...

upar se CHETTINAD CHICKEN ke saath saath butter naan,rumali roti ,rice,daal fry,paneer pasanda aur desert me meri apni special caramal custord ki demand bhi aise de daali jaise ghar nahi dhaba aa rahe hain saale...

is baar bakne ki baari meri thi par saath hi saath mana maine bhi nahi kiya...

khair,9 baje ka time diya sabne par do ghante pehle aa gayi thi DIMPLE toh aise me surprised toh hona hi tha mujhe...

MAI-hey...itni jaldi...!!! dinner aaj kal 7 baje karne lagi ho kya...???

DIMPLE-nahi...woh maine socha ki kaafi saare dishes banana hai tumne so i should help you...

MAI-really...!!!

DIMPLE-aisa kyun bol rahe ho...???

MAI-dishes saare indian hain naa...

DIMPLE-toh...!!!

MAI-toh i thought ki tum sirf pancakes aur us type ki foreign recipies hi banati ho...

DIMPLE-hawww...that's a praise sugarcoated insult...ab toh dinner mai hi banaungi...

MAI-haan...taaki baad me gaali me khaaun...!!!

DIMPLE-what the fuck...!!!ab toh dinner mai hi banaungi...

aage kuch suna hi nahi DIMPLE ne...mere side se nikalte hue sidhe kitchen ki taraf badh chali woh par enter karte hi side hanger par lagi ek apron pehen li usne...

par apron pehente pehente hi kitchen ke beech me bane paate par rakhe covered kitchen utensils se aa rahi sugandh ko smell kar palti woh us taraf...

saare utensils ke cover hatate chali gayi woh aur aisa karne ke beech uski aankhein bhi hairangi aur taarif se badi ho chuki thi...

reason...

paneer pasanda,daal fry ke saath saath,karari bhindi, baigan ka bharta aur DIMPLE ka favourite malayi kofta bhi ban kar ready ho chuka tha...

saath hi saath baking soda aur baking powder ke saath aate ka solid batter butter naan ke liye aur gehun ka aata aur maide ke mixture se rumali roti ka batter bhi ready ho chuka tha...

bach gaya tha chicken jo is waqt marinated condition me fridge ke andar rakha hua tha...

TINNN...

ye sab dekh hi rahi thi DIMPLE ki tabhi edge par rakhe microvave ki alarm bell baj uthi thi...

darasal caramel custord bhi ready ho chuka tha jisse oven se nikaal liya tha maine...

DIMPLE-itni jaldi itna sab kuch ready bhi kar liya tumne...

MAI-last moment ke liye kuch nahi chhodta mai...

DIMPLE-phir mai kya karun...???

sad ho gaya tha DIMPLE ka face jisse dekh halki si hasi aa halki hasi aa gayi mujhe...

MAI-onion aur tomato chop karna aata hai...

DIMPLE-obvio...

MAI-do it then...woh side me baskets rakhe hain...5 bade size ke pyaaz le lo aur 3 tamatar...

DIMPLE-abhi se chicken bana rahe ho...!!!

basket se pyaaz aur tamatar dono nikaal paate par rakh chuki thi DIMPLE...

MAI-yup...CHETTINAD needs time...

DIMPLE-haan...1 se sawa ghanta right...but we have 2 hours atleast...

aur MAA ne bataya tha ki is recipe ko fresh hot hi khaaya jaata hai...

sabke aate aate chicken thanda ho jaayega aur dobara garm kiya bhi toh the taste will compramise...

MAA... DIMPLE ke moh se ye shabd sun mujhe acha laga ya bura,ye toh nahi jaanta mai par ek alag hi sukoon feel kiya tha mere dil ne...

par show kuch nahi kiya tha maine...

MAI-1 se sawa ghante tab lagte hain jab masale aur chicken ko ek saath constantly normal heat par pakaya jaaye...

par masaalon ko slow heat me alag se fry karne ke baad unhe jab half boiled chicken ke saath mix karke phir bhuna jaata hai,tab lou ko medium ki jagah dheema rakhna padta hai...

aise me gravy completely ready karne ke liye 2 ghante lag hi jaate hain...

par baaki ko dishes ko oven me reheat karna is no problem...

isiliye pehle hi ready kar liya sabko...

arre itne bade nahi...chop it to its minimum...gravy ki mithaas ussise aayegi...

onion chopping shuru kar chuki thi DIMPLE par slices thode bade kat rahe the usse...

DIMPLE-chote toh hain...

MAI-yup par baarikh nahi...let me show you...

uske haathon se chaaku lete hue bache onion ko baarik kaatna shuru kiya maine...

DIMPLE-pehle bhi pyaaz aur baaki stuffs kaaathte dekhe hain maine tumhe par the way you do it,i am always amazed...

itna tez toh aur perfectly sirf professional cooks ko cut karte dekha hai maine...

i hope ki mai bhi kabhi aisa seekh paaun...

MAI-aah it's nothing... chalo,idhar aao...

DIMPLE ki kalayi pakad usse apne saamne kiya maine aur chaaku uske hatheli me daal uski hatheli ke upar apne hatheli ki grip strong ki maine...

MAI-see the trick is very simple... chopping ke beech knife ko pura nahi uthana hai...just the back part...tip hamesha grounded rahega...

perfect aur fast cutting, chopping ki grip ussise milti hai...see...

DIMPLE ke hatheli par apne hatheli ka pressure insert karte hue jo technique maine usse batayi thi,usse apply kar onion kaatne laga tha mai...

bohot hi baarikh kat rahi thi pyaaz par usse bhi smooth garnish ia waqt DIMPLE ka dil mere body ke usse sate rehne se ho raha tha...

aur iska ehsaas mujhe DIMPLE ke head twist se hua jo usne meri taraf kiya tha...

saali kamal ki chiz hoti hai ye subconscious mind...kabhi kabhi ek hi waqt me multiple kaam itne perfectly kara deti hai jo focused rehne ke baad bhi kayi baar nahi ho paati...

jahan ek taraf back to back bina pyaaz ki taraf dekhe bhi mai unhe baari baari perfectly kaate jaa raha tha wahin dusri taraf DIMPLE ki garm saanson ke beech uski ankhon me apne aks ko dekhte hue mai uske saath bitaye apne purane sabhi dino ko dobara jeene laga tha...

aur DIMPLE...haal uska mujhse bhi bura tha...najaane kitne dino se mere prati apne saare jaazbaaton ko control karti aa rahi thi woh...

mere aas paas toh bohot baar aayi thi par itne kareeb ki meri mehek ek baar phir apne andar utaar sake,aisa hamare alag hone ke baad aaj pehli baar hua tha...

bin piye hi nasha ho gaya ho jaise,aisa hi kuch haal ho chala tha uska...

meri aankhon ko dekhte dekhte kab uski nigaahon ka safar mere honthon par aa thehra,pata hi nahi chala...

halke tharthara rahe the uske honth jiske jawab me mere honthon me kampkapi bhi apne aap paida ho chuki thi...

maathe par silwaten aise ban rahi thi hum dono ke maano uske andar moujud dimaag se fariyaad kar rahi ho ki ab toh labh ko ijaazat de de aage badhne ki...

aur is rumani kashmakash me dil alag hi gustaakhi kar raha tha...

taaki ye lamha bigde naa, isiliye bina dimag ke ijaazat liye hi mere haathon ki harkat ko khud kaabu me kiye hue tha...

pyaaz aur uske baad tamatar kab kar chuke the, pata bhi nahi chala tha mujhe...

zehen me wahi tha jo saamne tha...DIMPLE aur uska woh karishmayi rukhsaar jiski taarif me gazal nahi sajde tak padhe jaa sakte the...

haan,chumna chahta hun mai tumhe par kahin maile naa ho jaayen tumhare honth...is bewakufana soch ke saath honth mere is baar kuch zyada hi zor se thartharaye the...

par mere labon ki is harkat ke piche chuppi sacchayi aur jhijhak shayad pehchaan gaye the uske honth...

kyunki nazar ek baar phir takrayi hum dono ki jiske baad...

UFFFF...

honth uske badhne lage the mere labon ki taraf...

UHHHUHNNN...

kitchen door se ubhri thi ye awaaz...

waise is waqt agar bomb bhi faththa tab bhi naa toh mera dhyan tuthha aur naa hi DIMPLE ka aur aayi awaaz bhi zyada tez awaaz nahi thi par jiski thi,woh mere aur DIMPLE ko back to present me laane ke liye kaafi thi...

MAA...

wall par apne kandhe tika apne dono haath baandhe muskurate hue hum dono ko dekh rahi thi woh...

MAI-MAA...

hadbadate hue DIMPLE ke piche se hata tha mai...

par mujhse kayi zyada hadbadayi DIMPLE thi...kyunki jahan ek taraf mai turant MAA ki taraf badh gaya tha wahin sharm se gadhi jaa rahi DIMPLE pehle se hi finely chopped onions ko aur kaatne ke lag chuki thi...

MAA-ahaann...aise nahi...!!!

MAA ko hug karne hi waala tha mai jispar rok diya unhone mujhe...

MAA-jab saath me raho dono toh hamesha hug bhi saath hi karna mujhe...

MAA ki baat sun sharm khushi me badal chuki thi DIMPLE ki jiske baad woh bhi hamari taraf badh chali thi...

MAI-MAA...hum saath...!!!

MAA-i know...abhi ikraar waala dour chal raha hai...izhaar ka waqt aana baaki hai...isiliye hi itne intense moment me bhi interfere kiya maine...

hum dono ko hi saath lagate hue meri adhuri baat ko pura karne ke beech apna thought clear kiya tha MAA jispar ek baar phir mai aur DIMPLE dono hi uncomfortable hone lage the...

MAA-tu jaa...shelf se new plates nikaal kar dining par laga de...

MAI-abhi se...!!!9 baje aayenge sab...

MAA-kabse given time me aane lage tere dost...half an hour pehle hi tapak padenge sab langoor aur us half an hour ke liye bhi sirf utna hi waqt bacha hai...

MAI/DIMPLE-what...!!!

apne apne hand watch par nazar ghumi hum dono ki aur time dekh kar chownk gaye the hum...

8 baje chuke the jiska matlab tha ki pure ek ghante tak ek dusre ki aankhon me dekh rahe the hum dono...

damn this feeling... saala naa khud ki khabar rehne deta hai aur naa waqt ki...

khair,jahan ek taraf ghadi par nazar padte hi ek baar phir hadbadate hue turant shelf ki tarac lapka mai wahin dusri taraf DIMPLE ke paas toh koi kaam hi nahi tha...

sir jhukaye kya kare kya nahi,issi udhedbun me lagi hui thi woh...

MAA-come... help me with the recipe...

DIMPLE ki mushkil aur jhijhak MAA ne hi door kar di thi...usse apne saath liye gas waale section ki taraf badh chali thi MAA...

MAI-pehle freshen up ho jaao naa aap...

MAA-chicken banane ke baad ho jaaungi...aur sun,mere liye plate mat nikaalna...

MAI-why...???

MAA-lunch kaafi heavy le liya tha...upar se traveling...tired zyada lag raha hai aur bhuk bilkul bhi nahi...i will skip dinner...

MAI-khaali peth nahi so rahi hain aap...

MAA-theek hai naa,juice pee lungi...jab bacche chale jaaye toh mere room me le aana...

DIMPLE-MAA aapko tired lag raha hai toh ye cooking rehne dijiye...hum dono kar lenge...

MAA-tired lag raha hai isiliye hi toh tujhe saath rakha hai... to help me out...

waise bhi aur koi dish hota toh chal jaata par chettinad bacchon ko mere haathon ka hi pasand hai...

ab tu jaayega ki nazar ab bhi nahi hath rahi meri beti se...

gazab...ek aur kamal ka mitha taunt maara tha MAA ne jispar DIMPLE toh has di par mai turant nikal liya tha kitchen se...

MAA-so, you both are back...!!! re-propose ho gaya naa...!!!

DIMPLE-nahi MAA...ab tak nahi...

MAA-thank god...

MAA ki baat sun hairangi se dekhne lagi thi unhe DIMPLE jispar...

MAA-tum dono ka moment toda hi maine is thought ke saath tha ki you haven't re-proposed each other yet...

because if i am not mistaken,first kiss abhi bhi pending hai tum dono ki...

aur first kiss relationship acceptance ke baad ho,toh hi positivily memorable hota hai...

apne experience aur past ko yaad karte hue flow flow me kahi thi ye saari baat VERONICA ne par woh ye bhul gayi ki convo ke recieving end me is waqt uske bete ki future g.f thi jiske face par uski baaton ka asar kuch yun hua tha ki sharm ki ek naa utarne waali parath chadh chuki thi wahan...

DIMPLE ke jhuke hue red face ko dekh is baat ka andaza ho chuka tha VERONICA ko isiliye...

VERONICA-ek kaam kar beta... sprinkle some water over the tomatoes...

aur aisa har 2,3 minutes me karti rehna...

chicken aur masalon ke aadhe bhunane ke baad uska use hona hai...matlab time hai abhi...

continuous sprinkle se uske juices sukhenge nahi which will add to the taste...

DIMPLE-sure aunty...

iske baad dono ke beech baatein sirf chicken aur dusre khaane ki hi chizon ke baare me rahi thi...

kehte hain company jab achi ho tab waqt ka pata nahi chalta...sach hai ye baat kyunki ek dusre se baat karte kab 8.35 hue,pata hi nahi chala...

naa VERONICA, DIMPLE ko aur naahi apna kaam karne ke beech unki convo sun rahe mujhe..

bell ek baar phir baj chuki thi jiska matlab tha ki mandali hamari pahunch chuki thi...

mere liye toh ye beeta exam bhi baaki saare exams ki tarah hi tha...

par exams woh bhi board exams ke over hone ki real khushi aur relief kya hoti hai,ye un sabke excitement ko dekh pehli baar jaana aur experience kar raha tha mai aur shayad DIMPLE bhi...

kyunki hum dono ka scene hi completely alag tha...jahan baaki sab exam me zyada se zyada marks laane ke liye likhte hain wahin hum dono un ajeeb namuno me se the jinhone apne marks content aur hold me karne ke liye har exam likha tha...

MAA se sabhi mile the and as obvious,ANI mili nahi puri chipki thi...

jab pata laga usse ki MAA dinner nahi karegi and she is tired toh uska bhi dinner karne ka mood off ho chuka tha...

aakhir me MAA ki mithi daant ne hi uske mood ko thik kiya tha...

khair,kaafi masti mazak ke beech dinner serve ho chuka tha aur kyunki CHICKEN CHETTINAD MAA ne hi banaya tha isiliye bhuk sabki suddenly hi kaafi badh chuki thi...

pel ke khaaya tha sabne aur desert ke baad jab sabke peth ki gaand fath chuki thi toh kisi tarah khudko samethe hue MAA ke room me jaa unhe ek final bye bol sab ghar se nikal gaye...

DIMPLE-it was a nice evening...

main gate ke dusri taraf pahunch ek baar phir aamne saamne the mai aur DIMPLE...

MAI-hmm...aur kitni nice thi,iske proper details jaanane ke liye kaafi excited hain sab..right ANI...

ANI aur baaki sab jo is waqt hum dono se thodi door ek dusre se baat karne ka dikhawa karne ke beech hamari convo sunane ki koshish kar rahe the, hadbada uthe the meri baat sunkar...

same halaath DIMPLE ki bhi hui thi...

REASON...

un sabka hi plan tha DIMPLE ko yahan pehle bhejne ka...taaki woh aur mai thodi extra quality time spend kar saken...

DIMPLE ke 2 ghante pehle aate hi is baat ko samajh chuka tha mai...

DIMPLE-good night SANVY...

GOOD NIGHT BUDDY...

DIMPLE ke saath saath baaki sab bhi agle 30 seconds ke andar hi nikalne lage the...

MAI-it was a beautiful evening...

baaki sab nikal chuke the aur DIMPLE bhi apni car me back door ko open kar baithne hi waali thi ki meri baat sun rook gayi woh...

palti nahi woh par meri baat se uske face par aayi smile,i felt it...

DIMPLE-good night SANVY...

MAI-you too...bye...

jaa chuki thi DIMPLE jiske baad sir shake kar haste hue mai bhi apne ghar ke andar ki taraf chal pada...

MAI-MAA...mai kar lunga...you just chill...aap room me jaao,mai aapka juice lekar aa raha hun...

plates toh hum sabne hi dho liye the par kitchen ka paata messed up tha...

har baar ka tha ye... jaanti thi MAA isiliye usse saaf karne ke liye kitchen ki taraf badh hi rahi thi ki rok diya tha mai unhe...

MAA-clean up liye nahi jaa rahi mai...tere liye khaana nikaalne jaa rahi hun...

MAI-par maine khaa liya hai...

MAA-sirf adha plate woh bhi sabko dikhane ke liye...pura toh tab hi khaayega naa jab mujhe bhi thoda hi sahi par kuch khaane ke liye blackmail kar lega...

ab sir hi khuja sakta tha mai...sach jo kaha tha MAA ne...

MAA-yahin sofe me baith jaa...dono ke liye nikaalti hun...

mujhe yun dekh hamesha ki tarah mere baal bigaad diye MAA ne aur kitchen ki taraf badh gayi...

MAI-so how was your trip...aur ye kahan gaye the aap jahan network tak nahi tha...

khana aaj causal way me khaa rahe the hum dono...bas ek ek plate jisme rice,uske upar daal fry aur side me chicken aur paneer pasanda ke tukde rakhe the...

MAA ne first bite liya hi tha ki tabhi mere puche sawal ne unke dimag ko present se wapas 2 din pehle past me dhakel diya tha...




FLASHBACK:-

2 DAYS BACK...


CITY-OUTSKIRTS OF DEHRADUN

PLACE-AN EX UNDERGROUND MILITARY BUNKER







WOW...THE ARCHEN HIMSELF...SO THIS IS BIG...

un paanch logon ke saath jaise hi us underground bunker aur *** temporary base ke control room me kadam rakhe VERONICA ne toh saamne khade shaksh ko dekh smile naach uthi uske face par...

"ARCHAN"...ye koi naam nahi balki ek designation hai...ek bohot hi badi designation...details toh baad me pata chalega par abhi ke liye itna samajh lijiye ki ARCHAN post me baitha shaksh sidha central ministry ke under authority me rehta hai...

par under authority me rehne ke baad bhi kisi sudden huge decision ko lene ke liye isse permission central government se leni nahi padhti...

bas ek hi POSITION hai jo iske upar hai...ek aisi position,aisi influential rank jo central aur defence system ke neeche nahi balki unke saath chalti hai...

ussi rank holder ke permission se ARCHAN international level par bhi koi bhi faisla le sakta hai...

haan,baad me usse bhi apne order aur actions ke liye central aur defence system ko ek official reply dena padta hai par aisa woh khud nahi karta...

uske upar baitha topmost RANKER ye kaam karta hai...

anyways,the bottom line is ki is waqt us underground bunker me moujud ARCHAN kisi international V.V.I.P si haisiyat rakhta hai jisse ab tak wahan moujud logon ne bhi naa ke barabar ho dekha tha...

aur yun saamne se toh ye pehli baar hi tha...yahi wajah thi ki najaane kabse us control room me moujud har shaksh apne apne kaam me busy hone ke baawjud kaafi alert aur nervous mode me tha...

par ek second laga tha is equation ko change hone me...kyunki jaise hi us control room me VERONICA ki entry hui,saari alertness us ARCHAN ke face par dikhne lagi thi...

apne red three piece tuxedo me jiske front pocket ke neeche uska designation "ARCHAN"likha hua tha,woh 6 feet 4 inch lamba roubila shaksh VERONICA ko dekhte hi apni chair se khada ho chuka tha...

ARCHAN-it's an honour ma'am...aur is tarah se aapko bulaane ke liye sorry...

VERONICA-why are you sorry...mera yahan hona,it was not your decision...you were ordered to do it...

VERONICA ki baat guess mode ki nahi balki statement mode ki thi jisse sun kuch kehte nahi bana gha ARCHAN ko...

aur kya hi kehta... VERONICA was right...aur uska yahan hona bilkul bhi pasand nahi aa raha tha ARCHAN ko...

aata bhi kaise...jis organization ko filhal lead kar raha tha ARCHAN,it was full of brilliant minded and efficient people...

puri duniya me dhaak thi unki jiska loha world ke superpowers bhi maante the...

aise me VERONICA jaisi EX *** ka yahan hona uski aur uske org ki efficiency par ek karara tamacha tha...

par ek sach ye bhi tha ki jis din se VERONICA aur SANEEL ne *** chhoda tha,G.O.D ke cases kaafi kam ho chuke the india me...

aur jo cases the,woh bhi us cabal ke low standard maamle the jinse nipatna badi baat nahi thi **" ke liye...

par kal jo hua,usne itne saalon ki saari kasar ek baar me nikaal di thi...

kyun jo hua,woh maamla nahi kaand tha...ek international business treaty ke beech aaya tha G.O.D...

ek aisi deal jiski zaroorat india ke central ministry se lekar defence system tak ko thi...

aise me pure government ka hilna tay tha...CHENANI NASHRI TUNNEL me hue kaand ko 48 hours guzar chuke the...

par *** jiski zimmedari thi is matter ko solve karne ki,woh kaamiyab nahi ho paaye the...

G.O.D...jinke liye har kaand ek game ki tarah hota hai...they like to play with the authority... isiliye apne har kaarnaame ke baad they give 72 hours to the authority...

72 hours to solve the case or yo say,to solve the riddle...

agar aisa ho gaya jo ki next to impossible ki tarah hai toh as a prize,G.O.D us scene ko clear karke nikal jaata tha...

par 100 saal ke G.O.D'S run me aaj tak aisa sirf do baar hi ho paaya hai...

aur jisne dono baar is impossible ko possible kar dikhaya tha...woh bhi do log hi the jinme se ek toh ab raha nahi aur dusri thi wahi myth jo is waqt ARCHAN ke saamne khadi thi...

VERONICA...

yahi wajah thi ARCHAN ko mile strict instruction ki ke kisi bhi condition me VERONICA should be brought to handle this case...

VERONICA-ok then...so let's get down to the business...details...!!!

apne saamne VERONICA ko dekh beete 2 dino me jo pressure uspar aaya tha and most importantly,apne org ki nakami,ye dono hi chizen rewind mode me ghumne lagi thi ARCHAN ke dimag me jisse VERONICA ki awaaz ne tod diya tha...

paas hi ek table par rakha file utha VERONICA ki taraf badha diya usne...

ARCHAN-digital view bhi le sakti hain aap...

control room me moujud gigantic computer screens ki taraf point karte hue kahi thi ye baat usne...

par sabse pehle VERONICA ne us file ko hi khola...

TUNNEL ke jis exact location me 2 raat pehle woh vaardaat hui thi,ussike photos the us file me...

dead soldiers, guards ke saath saath us location ke har angle ki straight aur zoom in pics thi jinhe dhyan se dekhne lagi VERONICA...

un zoom in pics me TUNNEL ke roof par kayi jagah tea colour ke dhabbe the jinhe dekh ek pal ke liye aankhein choti hui VERONICA ke par phir sir shake kar smile karne lagi woh...

VERONICA-nice...isiliye soldiers dekh nahi paaye...

wahan roof par lage vaccum suckers nikaale jaa chuke the par un dhabbo ko dekh kya hua hoga,iska ganith laga liya tha VERONICA ne...

VERONICA-ye banda...he is not an actual guard, right...!!!he is a soldier...

teesre control bus ke saamne mare pade aadmi ko point out kiya tha VERONICA...

uske normal,zoom in aur bullet hit ke har angle ki pics moujud the...

ARCHAN-identified from the shoes...!!!

VERONICA-the shot...

ARCHAN-matlab...!!!

VERONICA-ye pics...zoom it on the screen...

saare computers screens ke beech baithe shaksh se kahi thi ye baat VERONICA ne jispar ARCHAN ko dekhne laga woh...

haan me gardan hilayi ARCHAN ne jispar VERONICA ke bataye specific pics ko screens par zoom karke dikhane laga woh...

VERONICA-there...shot ka impact area... it's darker then usual...

close range shooting se bhi aisa mixup nahi hota...

isne khud ko shoot kiya hai naa...!!!

sach thi ye baat jiski shinakhat ARCHAN aur uski team pehle hi kar chuke the...

par aisa karne me thoda waqt laga tha unhe but not for VERONICA...

turant sahi anuman lagaya tha usne jispar hairan hona toh banta hi tha...

aur is waqt ARCHAN ke saath bunker me moujud har kisi ke faces par shock ke expressions hi tair rahe the...

ARCHAN-how do you know that...aur ye guard nahi balki soldier hai,bataya nahi aapne ki ye kaise jaana aapne...!!!???

VERONICA-maine jaanti nahi thi bas andaza lagaya tha...

vaults ke opened door pic's ko dekhte hue halki si smile naach uthi thi VERONICA ke chehre par...

aur mere har andaaze ka core reason bas ek hi hai...the person who made this soldier kill himself but most importantly,jisne legend vaults ko araam se khola,i think i know her...

ARCHAN-what...!!! really...!!!

VERONICA-itne excited kyun ho rahe hain...!!!jo mai soch rahi hun,agar ye wahi hui toh bhi koi faayda hoga nahi...usse pakad nahi paayenge aap...

anyways,pehle mai toh sure ho jaaun..show me the video recording aur the c.c.t.v futtege...

G.O.D ke game ka main part rehta hai C.C.T.V futtege ya phir kisi bhi tarah ki video recording...

kisi bhi type ke mission ko pura karne ke baad G.O.D leaves a riddle behind...

and the time to solve that riddle is 72 hours...

riddle solve kar lo and G.O.D backs off...jo bhi mission tha,woh ground zero par wapas pahunch jaata tha...

khair,ek baar phir ARCHAN ki haami par operater ne pen drive ke through chhodi gayi ek video recording chaalu kar di aur jaise hi ye hua,ek baar phir VERONICA ke face par smile naach uthi thi...

video me dikh rahi bandi ka face covered tha...par pura nahi...eyes aur lips open rakhe the usne...

chalkar camara ke saamne aayi thi woh lady jispar halki smile ke saath...

VERONICA-so it is her...RUE...

ARCHAN-RUE...!!!THE RUE...

VERONICA-yup...SKULK...uniquewalking way...aisa yahi chalti hai bas...

guard ke kapdon me us soldier ko identity kar liya hoga usne aur apne shikaar ko maarne se zyada humiliate karne me maza aata hai usse...

And to make a soldier commit suicide,isse zyada sharmindagi uske liye kya hogi...

Yahan VERONICA apni baatein kar rahi thi air udhar screen me RUE ke details show hone lage the...

RUE...one of the top most wanted mastermind criminal...Interpol se lekar M.I.6 tak,MOSSAD se lekar R.A.W aur *** tak sabhi secret intelligence and government oriented organizations ke wanted list me naam hai RUE ka...

par naam jitna zyada bada hai, identity utni hi chhupi hui... mushkil se 10 ke aas paas hi photos available hain iske...

ek baar bhi kisi ke pakad me nahi aayi hai ye joki waqt ke saath ab aur mushkil ho chuka hai...

ARCHAN-ye toh ab DISCIPLE ban chuki hai naa...!!!

VERONICA-yup...DISCIPLE...that to of ZILLAH...

BOOM...

ZILLAH...VERONICA ke ye naam bolte hi bunker me moujud sabhi ke man me ek dhamaka sa hua tha joki laazmi bhi tha...

ZILLAH...is naam ka matlab hota hai SHADOW...aur SHADOW hi toh thi woh...

(NOTE-one of the most important character of this story)

hum umr thi ZILLAH VERONICA ki...

aur uski taarif me bas itna hi samajh lijiye ki kisi bhi secret government intelligence ke paas ZILLAH ki ek proper pic tak nahi thi...

iske impossible kaam jitne mashoor the, identity utni hi chhupi hui...

par puri duniya me ek thi... sirf ek...jisne naa sirf ZILLAH ko saamne se dekha tha balki saath hi saath usse haraya bhi tha...

VERONICA...

haan, defeating ZILLAH was not a piece of cake... infact ye kehna zyada sahi rahega ki VERONICA got lucky...

kabhi kabhi din aapka hota hai...yahi kahawat kaam kar gayi thi us din...

warna ZILLAH aur VERONICA ke combat me haalath ZILLAH se zyada VERONICA ki kharab hui thi...

lekin right moment me exact point par perfect hit and ZILLAH blanked out...

par blank hone se pehle ZILLAH ne VERONICA ko bhi uske ghutno par laa diya tha...

us battle ki gunj kuch aisi baji thi ki G.O.D me pehli baar koi bahar ka famous hua tha...

khair,ZILLAH ka naam sun jahan baaki sab chup se ho gaye the wahin VERONICA bhi uske saath hue bhindat ki yaadon me kuch seconds kho si gayi thi par tabhi...

ARCHAN-ye video recording non-audio...

RUE is speaking par there is no voice...

hamare forensic lip readers abhi tak crack nahi kar paaye hain but they are trying...

VERONICA-in which language...!!!

ARCHAN-in almost all the national and international languages...

aur ab jab hume pata hai ki it's RUE search aur asaan ho jaayega...

10 international languages me command hai RUE ka...

english, japanese, chinese, spanish,french,dutch,german, russian,italian and korean...

VERONICA-i don't think it's any of it...

ARCHAN-matlab...!!!

dusre room me baith RUE ke bole silent words ko crack karne ke liye baithe experts ko command dene ke liye aage badhne hi waala tha ARCHAN ki tabhi VERONICA ki baat sun rook gaye the uske kadam...

VERONICA-jo current languages RUE bolti hai,mai bhi thoda bohot bol leti hun...

and going by the lips,she isn't speaking any of it...

ARCHAN-toh phir...

ARCHAN ki baat jaise suni hi nahi thi VERONICA ne...screen par chal rahe RUE ki video recording ko continuously dekhne me lag chuki thi VERONICA...

uske lips par kuch yun focused hui VERONICA ki aankhein ki usse kisi aur chiz ki sudh hi nahi rahi...

agar bomb bhi foot jaata abhi us bunker me tab bhi shayad VERONICA ko fark nahi padta...

kuch aisa concentration level tha is waqt VERONICA ka...

VERONICA-its GOTHIC...

20 minute...pure 20 minute ke baad aankhein chamki thi VERONICA ki...

ARCHAN-what...!!!GOTHIC...but GOTHIC toh...

VERONICA-its a dead language...and some high rank assassins of G.O.D are master in such language...

ARCHAN-can you crack the whole thing aur we should get some help...

VERONICA-pen, paper...

turant ek pen aur paper de diya gaya tha VERONICA ko jiske baad ek baar phir RUE ka video play hua...

video ke continuous pause play ke beech VERONICA RUE ki kahi baat likhti chali gayi jo as anticipated,ek riddle thi...




dhundna asaan naa hoga kyunki...




jagah kaafi door hai phir bhi is jagah se us jagah ka VAASTA HAI...

milon door hai magar issi surang ki banawat se hi bana us jagah ka RAASTA HAI...

par raasta samajh bhi gaye toh uspar chalkar sirf jagah milegi,kendra bindu nahi...



kyunki bindu par chalna bhi is surang par chalne JAISA HAI...

sir ghumakar chowdayi dekho toh lambayi ki bhi khabar ho jaaye, AISA HAI...


all the best...hope you find what you are looking for...no dead end...











AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Awesome updates🎉👍
 
Top