• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

BP high

Active Member
755
1,096
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY KI MAAR SE SAM KA JABDA DISLOCATE HO JAATA HAI,DUSRI TARAF PAST ME CHETNA DWARA SANVY KE HAMESHA HI LIMELIGHT ME REHNE WAALI BAAT KO VERONICA YAAD KARTI HAI WAHIN TEESRI TARAF JAIDEN CHOWDHARY INSPECTOR RAJESH MISHRA KO SANVEER SE BADLA HAASIL KARNE KO GUARANTEE DETA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


DATE-14TH FEB

UPDATE-93


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS CLOSED PREMISE






I LOVE YOU...

"AUR YE PURI HUI AAJ KI HALF CENTURY"...


saamne ka nazara dekh ek thandi aah bharte hue kahi thi ye baat RASHI ne...

REASON...

VALENTINE'S DAY tha aaj...aur is din ki khasiyat is waqt old SIRIUS compound me moujud students practically show kar rahe the...

example saamne hi tha jahan pure filmy andaz me un sabke ek junior ne saamne khadi ladki ke saamne apne ghutno par baiththe hue propose jo kiya tha jispar haan me sir hila approval bhi de diya tha us ladki ne...

aur ye proposal aur acceptance ka 50th daur chala tha is compound me jisse isse pehle ke 49 proposals ki tarah dekha tha RASHI and group ne...

waise toh P.L chaalu ho chuka tha jiska matlab tha ki school se exams tak ki chutti...

par aaj ke din SIRIUS ke is old premise me lagbhagh saare hi seniors aur students aate the...

kyunki ek toh old SIRIUS ki yeh un chand limited jagahon me se ek thi joki c c.t.v monitoring se bachi hui thi but most importantly,kyunki thi toh ye SIRIUS ki hi property isiliye premi yugal ko pakad sanskriti ke naam par unhe apne baap ka maal samajh saza dene waale groups se safe thi ye place...

har saal school ke saikdon ladke ladkiyan apne crush ko propose karte the yahan aur yahi dekhne bohot se non committed bande bandiyan bhi aate the idhar jinme se mai aur mera group bhi ek tha...

SONU aur mai aaj uske dad ki bike,extreme 200 se aaye the aur hamari hi tarah baaki sab bhi apni family car se naa aa scooty aur bikes se aaye hue the jinhe unke main stands par laga saamne chal raha scene enjoy kar rahe the hum sab...


RASHI-guyzzz...hamara group is school ke sabse happening aur hot groups me se ek hai...

par phir bhi hamara relationship percentage bas 10 percent par hai...

only RAJAT aur NAISHA...yahi dono commited waale angle me fit baithe hain par hum baaki sab abhi tak single hain...

woh dono apni valantine celebrate karne ke liya pata nahi kahan kahan ghum rahe honge aur ek hum sab hain, dusro ko propose karte hue dekh rahe hain...

chii...aise hi toh life nahi nikal jaani hai apni...!!!

MAI-pehle ek baat bata RASHI...ye hot aur happening ka kya logic hai...!!!???

RASHI-obvio... happening tum sab...as in boys aur hot hum... girls...

PHUBBB....HAHAHAHAHA...

bottle se paani pee raha tha mai par RASHI ki baat sun woh paani bahar nikal pada tha...

paani gale me fasne ke kaaran halka khaasne ke beech bhi has raha tha mai aur mere saath saath SONU aur SONU aur EKPREET bhi has pade the...

ye dekh RASHI ke saath saath KHANAK bhi ghurne lagi thi hume...

RASHI-what's so funny...!!!???

MAI-hot kidhar se ho gaye tum log...!!!???

KHANAK-haww...how mean SANVY...

RASHI-mean nahi shitty lie...tu keh raha hai ki hum hot nahi hain...ghum kar check out kar le pure SIRIUS ko...

hamare takkar ke ungliyon par count kar lega tu...

EKPREET-waah re apni mooh miya mittoo...hotness dekhne waala tay karta hai...

aur yahan dekhne waale humare saath itne saare log hain...par mujhe toh kisi ki bhi nazar tumhare hotness par thehri naa dikh rahi...

KHANAK-sirf sentence ka hotness waala portion hi sunayi diya tha kya...!!!usse pehle hi tum boys ke liye happening bhi bola tha isne...

uspar koi comment nahi kiya tum sabne...

SONU-ssachi bbaat ppar appreciate kkiya jaata hai,ccoment nahi...

RASHI-waah ji...ab kaun ban raha hai apna mooh miya mittoo...!!!

MAI-it's the truth...proof dun...

hey guyzzz.. what's up...!!!???

humare right ki taraf thode door par B section ka ek group khada tha...3 ladke aur 2 bandiyan the woh jinko apne mobile par kuch type karte hue awaaz di thi maine jispar turant ghume the woh paanchon meri taraf...

MAI-vandana, right...!!!

beech me khadi ek hot bandi ka naam liya tha maine jispar panic hi kar gayi thi woh .

VANDANA-you, you know my name SANVY...!!!

MAI-ofcourse... section ek naa sahi, class toh ek hi hai naa...waise bhi,itni hot ladki ka naam naa jaanane ki gustakhi bhala kaise kar sakta hun mai...!!!

mere compliment ko sun sharm aur khushi se bana ek alag hi noor dikhne laga tha VANDANA ke face par...

MAI-party karen aaj shaam...!!!

LADKA 1-party...!!!tumhare saath...!!!

MAI-yup... what say...!!!

VANDANA-we would love to...

MAI-aur tum sab...!!!

SAB-we are in too...

pure excitement ke saath un sabne haan kaha tha jisse sun ghumi meri gardan RASHI aur KHANAK ke taraf...

MAI-now that's happening,right...!!!

darasal kuch der pehle yahi sab ek mahine as in exams pure hone tak no party ka oath le rahe the jisse suna tha hum sabne par mere puchne bhar se,they all broke there oath...

aur ye dekh mooh hi ban gaya un dono ka...

VANDANA-so, kahan...!!!i mean where would we meet...!!!

MAI- masoorie...CHITAMBARA...

MASOORIE ke most happening resorts me se ek tha CHITAMBARA...

par itni sahi location sunane ke baad bhi face thoda off ho chuka tha un paanchon ka...

MAI-kya hua...???any problem...!!!

VANDANA-problem...i mean koi aur time hota toh mom dad kuch nahi bolte par right now...!!!

P.L time hai isiliye i don't think ki they will allow us...

LADKA 1-haan bhai...yahin kahin ka plan banao naa...yahan,we can manage...

MAI-actually,aaj CHITAMBARA me ek awesome party hai and i have some passes...

meri baat sun ek dusre ki shakl dekhne lage the woh paanchon...

jaa woh sakte the nahi par mujhe mana karne ka dil bhi nahi tha un sabka...

MAI-hey relax...we will party some other time...

VANDANA-sorry SANVY, pehli baar tumne outing offer ki and we...

MAI-chill yaar...P.L ke baad L.P karte hai hum...

SAB-L.P...!!!

MAI- luxurious party...

HAHAHAA....

MAI-so... you were saying...!!!

un paanchon ke hasne ke beech wapas palta mai KHANAK aur RASHI ki taraf joki mujhe hi ghoor rahe the...

KHANAK-we were saying ki koi happening nahi ho tum log and we stick with our words...

RASHI-right...!!!ye sab admire nahi karte, darte hain tujhse...

aur inke jaise baaki sabka ye dar hi hai jiski wajah se koi hume bhi approach nahi karta...

they all think ki aisa karna tujhse panga lena hai...

EKPREET-waah re...saamne ka gaddha dikh raha hai,apni khaayi nahi dikh rahi tumhe...

girl boy angle par kab bhida hai SANVY kisise,batao toh zara...

KHANAK-isse kisise bhidne ke liye angles ki zaroorat kab se padh gayi...!!!

RASHI-aur nahi toh kya...???koi ghoor bhar se toh aankhein fod se ye uska...isse bas bahane chahiye hote hain ladne ke...

chidi hui thi RASHI aur KHANAK... upar se ladkiyon se unki galti manwana, bhagwan naa kar sake phir insaan kya chiz hai bhala...

behes me utar gayi thi dono par aaj debate ka mood hamare veere ko bhi chadh chuka tha...

har tark par apna vitark jhaade jaa raha tha EKPREET jisse haste hue enjoy kar raha tha mai ki tabhi...

BEEP BEEP...

mere phone ka msg tone baj utha tha...

ABBE JALDI AA...

NITS ka msg tha ye jisse sun halka sa confuse ho gaya tha mai...

saale ki fielding toh theek se set kar di thi maine aur playing erana me mera koi kaam tha nahi...

phir kaahe bula raha tha mujhe woh chutiya...

par saale ne bulaya tha matlab jaana toh tha hi...

SONU ke saath chupchaap nikal liya tha mai jispar ek dusre ke saath behes me bhide RASHI aur KHANAK ka dhyan hi nahi gaya...



CANTEEN:-



NITS...TU SCHOOL AAYA HAI...!!!PAR SANVY NE TOH BATAYA THA KI TU GHAR PAR HI HAI...

AUR WOH KAHAN HAI.. ACTUALLY WHERE IS EVERYONE...???

ANJALI thi ye jo abhi abhi DIMPLE ke saath CANTEEN me enter hui thi...

aur canteen me aate hi usse ek chair par akela baitha dikha tha NITS...

NITS...casual blue shirt aur contrasting grey chinos me kaafi sahi lag raha tha is waqt...

waise blue ANJALI ka favourite bhi tha isiliye ek second ke liye hi sahi,par nazar uski NITS par atki zaroor thi aur is ek pal ne NITS ka nervousness ko kam aur khudke upar ki gayi lipapothi waali mehnet ka payment usse de diya tha...

wahin kyunki final exams nazdik the isiliye aur senior classes ke p.l shuru ho chuke the, isiliye canteen puri khaali thi...

har taraf nazar ghumate hue SANVY aur baaki sabko dhund rahe the ANJALI aur DIMPLE ki nigahen...

aur NITS...

waise toh kaafi khubsoorat thi ANJALI par is waqt DIMPLE as in school ki sabse hot and beautiful ladki ke saath baithi thi woh...

par majaal hai jo NITS ne ek baar normal gesture ke liye DIMPLE ki taraf dekhne ke baad dobara uski taraf apni nazarein ghumayi thi...

ek tak ANJALI ke khubsoorat chehre ko nihaar raha tha woh...

ANJALI-batayega,kahan hai...!!!???

NITS-kaun...???

ANJALI-SANVY stupid aur baaki sab bhi...

NITS-you were expecting them here...!!!

ANJALI-obvio...SANVY ne text kiya tha thodi der pehle ki they all are here...

(wahi time jisme RASHI aur KHANAK ke saath convo ke dauran text kar raha tha SANVY)

NITS-it was a lie...

sidhe sapaat tarike se sach ke chaar shabd kahe the NITS ne par shayad itna hi kaafi tha...

NITS ke kapde,itne der se uski aankhon me dikh rahe bhaav,SANVY ka woh fake text,sabko jod sahi ganith lagane me waqt nahi laga tha ANJALI ko aur isiliye...

ANJALI-chal DIMPLE...chalte hain...

uthne ko hui thi ANJALI par tabhi uska haath thaam liya NITS ne...

dhakk sa kar gaya tha ANJALI ka dil...

ANJALI-NITS,ye...

NITS-I LOVE YOU...

DIMPLE-wow...

naa koi laag lapeth...naa kisi bhumika ka baandhna...bas sidhe aur saral tarike se apne man ke bhaav ko ANJALI ke saamne rakh diya tha NITS ne...

aise bhaav jinka andaza bohot pehle se hi tha ANJALI ko par har baar apne dil ko NITS ke baare me sochne se rokti aayi thi ANJALI...

par ab kya...!!!

ANJALI ka haath pakde hue hi bina koi sankoch ek tak uski aankhon me dekh raha tha NITS jispar ek pal ke liye ghussa chadha tha ANJALI ke dimag par lekin phir turant khudko shaant kar...

ANJALI-i don't love you...

NITS-cool...

turant ANJALI ka haath chhod wapas apni coffee cup utha li thi NITS ne jiski ummid bilkul bhi nahi ki thi ANJALI ne...

aur isiliye hi is baar uska ghussa daba nahi balki double speed se bahar aa chuka tha...

ANJALI-ye style kisne sikhayi...SANVY ne...!!!

NITS-haan...par sikhaya nahi,bas bataya...

ANJALI-really...!!!aur exactly kya bataya usne...???

NITS-wahi jo abhi kiya maine... expressed myself...

ANJALI-expressing without any emotion is nothing but bullshit...

NITS-hey...ab yahan tum ho GALATH...

tere liye,emotion ka samandar hai mere andar...

wapas apne natural masti bhare andaz me jawab diya tha NITS ne jo ANJALI ko aur bhadkane ke liye kaafi tha...

ANJALI-yaa right...!!! emotion ka samandar toh hai tere andar par sirf mere liye nahi... har khubsurat ladki ke liye jinhe dekhte hi laar tapkane lagta hai tu...

kamsekam mere saamne toh tu true love ki duhayi dena hi band kar......

aaj bhi i am sure ki tu isiliye hi aaya hai yahan... ladkiyan taadne...yahi fitrat hai naa teri...

aankhon se hi har ladki ko sar se lekar pair tak capture kar lena...

toh ye pyar ki nautanki band kar aur wahi kar jisme sahi hai tu...taad ladkiyan...

NITS-JUNE 15TH,2013...nana naani park...shaam ke 5 baje...

mesh flower gown pattern ki princess dress pehen duniya ki sabse cute ladki aayi thi us park me...

maasum sa chehra par aankhein utni hi shararti...

tujhe dekhte hi ajeeb si feeling ne janm liya tha mere dil me...

baccha tha isiliye tab samajh nahi paaya tha...par itna zoroor pata tha ki jo bhi thi,feeling special thi...

par phir tujhe pura dekha aur dekhte hi hasi chhut gayi thi meri...ab park me bhala kaun party dress pehen kar aata hai bhala...

cute si doll thi tu par tujhe dekh has raha tha mai aur tab bhi mujhe hasta dekh teri aankhon me wahi ghussa dikh raha tha jisse abhi dekh raha hun mai...

agle din SIRIUS me first day tha mera... excited aur nervous dono tha mai par ek chehre ko apni hi class me dekh nervousness turant khatm ho gayi thi...

tera chehra...

i remember,sardi lagi thi tujhe...nosy beh raha tha jispar baaki sab tujhpar has rahe the...

par us laal behti hui naak me bhi koi itna cute dikh sakta hai,mere samajh se pare thi ye baat...

22TH JUNE...

wapas nana nani park...wahi shaam ke 5 baje ka time...is baar normal blue baby top aur black jean me thi tu...

par us casual dress aur saadgi se bhare tere chehre ko dekh aisa laga jaise hazaron party ki jagmagahat tere hi ird gird chamak rahe hain...

mera best friend tera bhi bestie ban chuka tha...us pure hafte uske saath hi chipki thi aur mujhse utna hi door rahi thi tu...

tu meri bhi kabhi dost banegi,iski koi ummid nahi thi mujhe...

mai toh door se hi sahi par us din bhi tujhe dekh bhar ke hi khush tha...

par laal rang me lipte blue berries ki chocolates jab tune meri taraf badhayi, toh us chocolate ki mithaas ke saath apni chatpati dosti bhi gift kar di...

micky mouse waali teri first pumpkin shoes, first celebrity crush,hrithik Rlroshan ke dhoom again signature step waali teri jhalli tshirt, tera pehla table tennis tournament medal,yahan tak ki kayi baar fail hone ke baad finally first time successfully swimming kar lene par teri khushi aur bina sir pair waala victory dance...

teri har first cheez aur achievement ko tere se zyada celebrate kiya hai maine...

again,bina is ummid ke ki apni khushi me mujhe khudse zyada khush dekh mere liye kuch alag feel karne lagegi tu...

so as for your statement...bilkul sahi kaha tune...taadna...yahi asli fitrat hai meri...

par ek addition hai...taada maine bhale hi hazaaron ko hai,par dekha sirf tujhe hai...

aage bhi dekhunga... tujhe pyar nahi hai...fine with me...

waise bhi mujhe tujhse ikraar ki ummid toh thi hi nahi...itne saalon se tere liye mera ye jo dil hai naa,dhadak dhadak kar wazan badha liya tha isne...

ab bhi izaare-e-ishq naa karta toh iske wazan tale hi dab ke mar jaana tha mujhe...

bottom line...

"mujhse pyar na karna hakh hai tera,par tujhe dekhna,dekhte rehna,ye hakh hai mera...

MAI-kya baat hai lounde...mujhse apne kaam toh bohot karwaye hain tune,par socha nahi tha ki ek din apni respect bhi karwa lega...

NITS ke haale dil bayan karte hi SONU ke saath yahan canteen me pahunch chuka tha mai...

ek pillar ki oth liye sab dekh aur sun rahe the hum dono...

pehle toh DIMPLE ko ANJALI ke saath dekh NITS ka mujhe message karne ka kaaran samajh gaya tha mai...

waise toh is scene ke pure hone ke baad pelne waala tha mai saale ko par jo bhi kaha usne,dil par lagi thi har baat...

jahan ek taraf muskurate hue aage badh NITS ko hug kiya tha maine wahin dusri taraf mujhe dekh ab baari DIMPLE ke dhadkano ki thi raftar pakadne ki...

par ek teesra taraf bhi tha...ANI...

jiske face me is waqt zamaane bhar ka confusion tha...

aur aisa hona laazmi bhi tha... kyunki ek taraf tha woh ladka jo apne hosh sambhalte hi usse Ishq karne ka daawa kar raha tha aur dusri taraf uske theek saamne khada tha woh shaksh jisse usne apne hosh sambhalte hi apna dil de diya tha...

MAI-hey...just relax...waise bhi jo tere dil ka haal hai naa,ye aaj ke daur ka ek universal illusion hai jisme lagbhag har youth fasa hua hai...

meri baat sun aankhon me sawal liye mujhe dekhne lagi thi ANI jispar...

MAI-yahi...ki hum,as in the future,youth, intelegency ke maamle me bhale hi kitne bhi aage kyun naa ho...

par dil ke maamlon me hum sa anpadh koi nahi...hum,pehle toh kisi bhi non deserving bande aur bandi ko apna dil de baiththe hain..

aur jab result negetive aata hai toh apne dil ko itna GALATH bana dete hai ki deserving bande aur bandi ke time ek aur galti kar baiththe hain...

usse reject kar...

why...???sirf isiliye kyunki pehle ek baar dil toot chuka hai...toh...!!!

pehli baat toh ye ki dil sirf shayari aur gazal me hi kamzor hai,asal me nahi... sharir ka sabse zyada hardworking muscle hai hamara dil...

har dhadkan ke saath 71 gram khoon bahar fekta hai aur din me,2500 gallons...

ek maamuli dhoke ya denial se hi toot jaayega kya...!!!???

ye saari baatein isiliye nahi ki hai maine taaki NITS ke baare me sochne lag jaaye tu...naa...

agar kabhi aisa ho toh sirf tab ho jab tera dil tujhe iski ijaazat de...

tere confusion ko door karne ke liye bas ek fact rakha hai maine tere saamne...

baat sirf mohobbat ki nahi,SAHI aur GALATH ke beech ke fark ko samajhne ke baad apna dil haarne ki hai...

bas,is fark ke ganith ko samajh le tu,phir koi pareshani nahi hogi...

ye SAHI aur GALATH waali line DIMPLE ki taraf dekh kar boli thi maine jiska matlab DIMPLE ke saath saath ANI,NITS aur SONU bhi samajh gaye the...

wahin apni baat bol ANI ke gaal ko ek baar sehla aage badhne laga tha mai ki tabhi...

DIMPLE-maine toh ekdum SAHI ladke se mohobbat ki hai SANVY...!!!

DIMPLE ki baat sun rook gaye the mere kadam...!!!

DIMPLE-bolo naa...meri choice toh SAHI hai, right...upar se abhi tumne kaha ki dil bohot strong hota hai...

aur tumhara toh sabse strong hoga naa...kya bas ek baar,jo hua usse bhula mujhe maaf nahi kar sakte tum...!!!

kya ek baar phir se tum aur mai hum nahi ho sakte...!!!???

CHANNN...

ek kaanch ki glass rakhi thi side ke table par jisse apni ungli se jhatka de gira diya tha maine...

table ki height normal se thodi zyada thi isiliye girte hi kaafi zyada pieces me bikhar chuki thi woh kaanch ki glass...

MAI-

"dil mera patthar sa sakht hai,mumkin nahi ki koi isse TOD KAR DIKHAYE...

toota mera bharosa hai,usse durust karna ho agar toh...

pehle is toote kaanch ko koi pura JOD KAR DIKHAYE..."



nearly impossible tha un saikdon toote pieces ko bas dhoond saath me laana...

aur yahan toh maine PURA jodne ko kaha tha jisse karne me puri umr lag jaaye phir bhi shayad waisa perfectly naa ho paaye...

jahan ek taraf sir aur kandhe jhuk gaye the DIMPLE ke jispar ANI uske saath lag kar khadi ho gayi wahin dusri taraf mere wapas aage badhte hi is baar SONU aur NITS bhi mere saath ho liye...




PLACE-OUTISIDE THE PREMISE




HEY...YOU...WHAT THE FUCK...!!!


apni scooty ko back school parking stand se nikaal premises se bahar aayi hi thi KHANAK ki tabhi thodi door par saamne chal rahe nazaare ko dekh aakhein badi ho gayi thi uski...

dark helmet lagaye RASHI ke ird gird ek banda NINJA 390,wahi bike aur model jo SAM ke paas thi, ghum raha tha...

aur kyunki SIRIUS ke old school ka exit way waala raasta tha ye isiliye rush bhi naa ke barabar tha...

kuch log zaroor the par woh sab bhi apne apne partners ke saath the...

aur chal rahe scene ko bhi valentine ka normal situation hi samajh avoid kar apne apne raaste ho liye the...


khair,apni scooty RASHI ki taraf tezi se aage badha di thi KHANAK ne...

sach hi kehte hai,kharbooze ko dekhkar kharbooze ka rang badalta hai...

ye SANVY ki nidar aur bindaas ATTITUDE ka effect hi toh tha ki ek unknown hidden identity waale bande ko yun apne chaaron taraf round lagate dekhne ke baad bhi jahan ek taraf RASHI dari nahi balki ghusse me dikh rahi thi wahin dusri taraf thi KHANAK jisne apni scooty RASHI ke paas pahunchne ke baad bhi slow nahi ki thi balki woh toh sidhe us ninja bike ko thokne waali raftaar par hi kayam rahi thi...

badi tezi se us helmet dhaari bande ki bike thokne ke liye uske kareeb pahunch hi chuki thi KHANAK par tabhi...

ek side slide karte hue naa sirf us bande ne apni bike stand par lagayi par theek ussi moment me apni bike se utar RASHI ke theek saamne khada ho chuka tha woh...

ye sab itna zyada sudden hua tha ki jahan ek taraf RASHI ko ek jhatka sa laga tha wahin KHANAK ne bhi hadbadate hue sudden brakes apply kar diye the...

us nakabposh ke theek saamne pahunch ruki thi KHANAK ki scooty jiske baad khud ko sambhal turant gaadi side stand par laga utar gayi KHANAK...

RASHI-hey you...what the fuckkkkkkk...

bas itna hi chilla paayi thi RASHI ki tabhi usse kamar se hold kar apni taraf badi tezi se kheencha tha us biker ne...

khud se sata liya tha usne RASHI ko...

DHAKKK...

RASHI toh panick ho chuki thi par ye sab dekh KHANAK ka ghussa aur badh gaya tha...

isiliye usne baat nahi ki balki sidhe apni laath uske side hand par chala di thi...

par ye kya... laath padne par woh banda halka sa bhi hila tak nahi tha par kiya kuch aisa usne ki KHANAK ka ghussa halki ghabrahat me badal zaroor gaya tha...

darasal laath padne ke baad jab KHANAK ka pair neeche aane laga toh usse turant hold kar liya us biker ne aur diya ek jhatka...

nateeja...agle hi pal aage ki taraf ladkhadate hue KHANAK bhi RASHI ki hi tarah us biker ki giraft me thi...

waise toh khudko alag karne ki koshish RASHI ki hi tarah KHANAK ne bhi ki thi par sirf ek pal ke liye hi...

REASON...

khudse chipka peeth par ek tez jhatka diya tha biker ne dono ko jispar aisa feel hua RASHI aur KHANAK ko ki unki haddiyan chatak jaayegi...

dard ki adhikta ki wajah se sunn si padh gayi thi un dono ko bodies...

AEEE MADARCHOD...ROOK TERI MAA KI...LOUDE...

NITS tha ye jo apni baat bolne ke beech hi doud pada tha us biker ki taraf...

bhale hi ANJALI ke rejection ke baad bhi cool dikhaya tha NITS ne khudko aur kyunki ANJALI ke reaction ka andaza tha usse isiliye shayad woh cool tha bhi...

par pyaar ki acceptance naa mile toh taklif hoti hi hai jo NITS ko bhi hui thi...

isiliye CANTEEN se back space parking tak ka safar shaanti se kiya tha usne...SANVY aur dono bhi jaante the NITS ki haalath isiliye uske personal space se khudko door rakh thoda piche chal rahe the woh...

jahan NITS ki scooty entrance gate ke just side me thi wahin SONU ki bike kaafi andar...

isiliye NITS apni scooty nikaal gate par wait kar raha tha SONU aur SANVY ki par tabhi jo scene hua, usse pehle hi NITS ke negetive mind ko aur ghuma diya tha...

apni scooty chhod tez bhaaga tha biker ki taraf NITS...

waise us biker ki hieght aur personality kaafi achi thi...

mehsoos is baat ko door se hi kar liya tha NITS ne isiliye doudne ke beech jhukte hue raaste me pade ek average size ke patthar ko utha liya tha usne...

SOOBBH...

jaise hi thoda kareeb pahuncha NITS us biker ke toh apne haathon me pakde patthar ko tez feka usne par tabhi...

nishana kaafi hadh tak sateek tha...

chest me padne waala tha woh patthar us biker ke par tab bhi woh biker naa hata aur naa hi panick hua...

khade khade hi apne right leg ko straight up rotate sa kiya tha usne aur kisi football kick ki tarah hawa me hi us patthar ko apne mote woodland shoes se hit kar side me fekh diya usne...

kaafi speed se kiya tha usne ye kaam jispar hairangi toh hui thi NITS ko par woh rooka bilkul nahi...

aur yahi galti saabit hui uske...

DHAKKK...

AHHHH...

NITSSSSS....

us biker ka sidhe chest block foot hit padh chuka tha NITS ke chaati par...

impact strong tha jispar sidhe neeche gira tha woh...

pura chest area jam ho chuka tha uska jispar apne seene ko pakad neeche gira hua tha NITS...

par abhi bhi uski aankhon me dar aur dard se zyada ghussa tha us biker ke prati...

ghoor raha tha woh usse aur shayad ye baat us biker ke ego ko hit kar gayi...

isiliye RASHI aur KHANAK ko release kar NITS ki taraf apne kadam badhaye the us biker ne aur ye dekh RASHI aur KHANAK bhi samajh gaye ki NITS ko punish karne waala tha woh...

shoulder se jakadne ke liye turant dono jhapat hi padi thi us biker par aur aisa hone ke agle hi pal un dono ki kalayi us biker ke haathon me thi...

kalayi ko jhatka de unhe modne hi waala tha woh biker par tabhi...

VROOM....VROOM...

apne saamne se tez bike race ki awaaz padi us biker ke kaano me...

ye mai tha jo SONU ki bike ke riding seat par baitha tha...

NITS ke patthar fekne se lekar saare scenes dekh liye the maine..

VROOM....

AHHH...ABBE...

wheelie(saamne ka tyre upar hawa me)maarte hue bike aage badhayi thi maine...

itna sudden aur strong jhatke ke saath kiya tha maine ye kaam ki piche baitha SONU khudko balanced nahi rakh paaya aur gir gaya...

woh awaaz deta reh gaya par mai aage nikal chuka tha...

waise ye sab maine jaanbujh kar kiya tha...

kyunki normal nahi tha woh biker...i was deeply feeling it...

isiliye usse akele hi bhidna chahta tha mai...

par shayad same chiz us biker ne bhi feel ki thi mere liye...

kyunki jaise hi meri wheelie start hui toh ek pehle apne taraf kheenchne ke liye ek jhatka diya usne KHANAK aur RASHI ko par agle hi par forcefully dono ko ek tez dhakka de apni bike par baith first gear maar chuka tha woh...

girne ki wajah se jahan ek taraf KHANAK ki kohni chilla gayi thi wahin dusri taraf RASHI ko laga push thoda zyada tha...

concrete road par ladhkhada fisal kar girte hue aage mitti par dher hui thi woh...

mitti par ghisadne ki wajah se kohni toh bach gayi thi RASHI ki par hatheli chilla gayi thi...

khair, RASHI aur KHANAK ko girte dekh bike ka agla pahiya neeche kar unke paas pahunchte pahunchte gaadi apni kaafi slow kar di thi maine...

KHANAK-i am good...

RASHI-me too...

NITS-mai bhi theek hun bhai...tu nikal...chhodna mat us harami ko...

RASHI-par uski bike kaafi speedy hai...

MAI-aur is bike ko mai chala raha hun...

more importantly,ye dehradun hai...mera ghar jisse mujhse behter koi nahi jaanta...

bike aage badha di thi maine par bas doo cross way ke baad ek baar apni watch ko dekh bike apni left ki taraf mod di maine..

waise bike modne se pehle hi meri nazar se lagbhag ojhal ho chuka tha woh banda...aur jis raftar se itne door pahuncha tha woh,speed abhi tak 100 se zyada nahi badhayi thi usne...

anyways,mall road ki taraf badh raha tha woh rider jahan SIRIUS ke radar se bahar nikalne ke baad first traffic signal tha...

a three way traffic signal...

and as i said, kyunki hamare school radar se nikalne ke baad pehla signal point tha woh isiliye traffic kaafi zyada rehti thi wahan...

but more importantly,red switch 40 seconds tak on rehta tha us signal par lekin green bas 20 seconds ke liye...

traffic signal ki timing 24 hour clock ke according chalti hai...

12 baje sharp mere front taraf waale light ka signal red hota tha...

aur us time left signal light paas on waali hoti thi...green...

filhal 12 bajkar 8 minutes aur 10 seconds hue the...

matlab exact 30 seconds baad signal green hone waala tha...

us biker ki speed ke hisaab se agle 25 seconds ke woh us signal par pahunchne waala tha...

sirf 5 seconds ka wait tha but i was sure ki us wait ko avoid karega woh...

kyunki mujhe avoid karna tha usse isiliye he will turn the green way...

matlab left...

baloda highway road...khaali bhi aur national highway se connect hone waala best route bhi...


ussi route me jaayega woh, by brain or by sere coincidence kyunki options baaki sab ghumav daar aur hecky the...

upar se back view mirror me kahin bhi nahi tha mai...

saare ganith lagane ke beech average traffic ke baawjud 100 ki speed paar kar chuka tha mai...


VROOOMMMM...

ghusse se ek baar tez acceleration dene ke baad apni bike ka ignition off kar diya tha biker ne...

REASON...

andaza ekdum satik laga tha mera...

signal se left maarne ke baad woh biker wakayi baloda highway hi pahuncha tha jahan pahunchte hi do roads jaate the...

ek wapas sheher ki taraf aur dusra N.H 56...

sheher ki taraf wapas mudne ka koi logic tha nahi isiliye sidhe highway waale road par gaadi badha di usne...

par highway tak pahunchne ke beech ek round turn mitti waala un build road tha...

road ke dono taraf maidan the aur dono hi maidon ke seero se patle raaste nikle hue the...

unhi raason me se ek woh tha jahan se mera liya short cut mujhe directly yahan unbuild road par pahuncha chuka tha...

right taraf waale maidan ke edge par apni bike stand par laga us unbuild road ke theek beech cross haath baandhe khada tha mai...

waise toh biker left se ghoomte hue nikal sakta tha par i had a feeling ki aisa kuch nahi karega woh...

he will face me aur meri ye thought agle hi pal sahi ho gayi...

apni bike bhi mere bike ke seedh me stand par lagaya usne...

chalte hue wapas maidan par aa chuka tha mai...

is road par rush naa ke barabar rehti thi aur abhi toh thi hi nahi...

khair,abhi tak helmet nahi utara tha usne par mere uski taraf badhte hi woh bhi meri taraf badhne laga tha...

kuch hi palon me ek dusre ke saamne the hum dono...

MAI-aisa kaun sa jaana pehchaana chehra hai is helmet ke piche jo tu chhupaye khada hai...!!!

mere sawal par kuch kaha nahi us biker ne...

MAI-jawab tere hidden number plate se lun mai...!!!

bike ke aage,piche,dono taraf ke plates black colour ke kapde se dhake hue the...

apni baat bol bike ki taraf badh chuke the mere kadam par tabhi...

THABBB...BHAKKK....DHAKKK...DHAK....DHAKKK...

mere color ko piche se pakad liya us biker ne jiske baad usse jhatak mujhe neeche girane hi waala tha woh ki tabhi...

jaanta tha mai ki agar kiya toh aisa hi koi move karega woh...

i was prepared...jaise hi uska haath apne color par feel kiya maine,sir ko apne piche kiya maine...kaafi speedily...

mere aisa karte hi ab uska haath meri gardan par solid laga hua tha aur ussike grip se back pressure banate hue apne left hand piche kiya maine aur uske haath ko pakad liya...

aage as in apni taraf tez jhatka diya main usse and at the same time,apni kohni bhi piche uske stomach ki taraf ghuma di...

but he was good...last moment me mere move ko anticipate kar liya usne aur apne right palm se mere elbow ko boock kar diya usne...

but if he was good,i was better...

uske palm par apni kohni ko shrug off karte hue halka ucchal helmet par elbow hit maar diya maine....

ab helmet ki wajah se asar uspar kuch hona tha nahi par haan,is sudden unpredictable attack ki wajah se hadbada zaroor gaya woh aur yahi toh plan tha...

chest par uske super fast do punch jad diye maine lekin third punch hit ho,usse pehle hi bijli ki gati se side haththe hue mere palm hit ko dodge kar diya tha usne...

par ek baar phir baari thi uske surprise hone ki...kyunki uske saath saath mai bhi uski speed se move hua tha and in the next moment,uske shoulder joint par mera elbow hit kar gaya tha...

GGRRRHHH...

ek tez grunting sound uske mooh se nikli par shock ka usse bhi tez dhamaka uske dimag me hua tha...

REASON...

HAWKER...

un din TULIP GARDEN me jis HAWKER se bhida tha mai aur jisne mujhe barabar se kuch zyada ki hi takkar di thi, ye biker wahi tha...

par us din ke aur aaj ke SANVEER me zameen aasman ka fark tha...

us din mera uske saamne tikna agar mushkil tha toh is baari uska mere saamne khada hona impossible hota jaa raha tha...

itne kam time me itna zyada improvement...imagine nahi kiya tha usne...

khair,halka piche hokar khada ho chuka tha woh aur helmet ke piche apni laal ho chuki aankhon se ghur raha tha mujhe...

MAI-who are you...!!!???

BIKER-MR CHOUDHARY ke bete par haath nahi uthana chahiye tha tujhe...

MAI-ab ye bata ki actually bheja kisne hai tujhe... choudhary ne,uski wife ne ki SAM ne...

aur agar hisaab mere se tha toh meri friends ke saath ochhapan kyun kar raha tha tu...!!!???

BIKER-taklif ka hisaab taklif dene waale ko nahi balki hamesha KAARAN ko dena chahiye...

tera kaaran kya tha...haath kiske liye uthaya tha tune...apni ek friend ke liye hi naa...

toh hisaab bhi tere friend's me se hi kisiko dena padega...aaj nahi hua toh phir kabhi ho jaayega...

par hoga zaroor...

kab tab bachayega tu...

MAI-filhal toh tereko niptaaunga...aur aisa niptaaunga ki teri haalath dekh phir koi aur try karega hi nahi...

mere bolte hi apne jacket ke back pocket ki taraf bijli ki gati se gaya us biker ka haath aur agle hi pal ek SIG SAUER hand gun chamak uthi thi...

BIKER-nipatana kisse kehte hain,chaahun toh abhi mehsoos kara dun tujhe par nahi...

you want a fight...i am gonna give you one...

DHABBBB... DHABBB...DHABB....

apni baat bol gun wapas piche fasane ke baad like a flash,meri taraf badha tha woh aur agle hi pal ek round kick ghuma di thi usne jisse dodge kar diya maine...

but ye bas ek shuruwat thi...agle 20 seconds me 20 se zyada alag alag alag super fast moves se attack kar diya tha usne mujhpar lekin BLIND EYE practice ki wajah se itna zyada fast ho gaya tha mai ki woh superfast moves bhi slow hi lag rahe the mujhe...

biker ne bhi is baat ko feel kar liya tha isiliye move ke angle ko change kar neeche jhuka woh...

dekhne par aisa laga jaise frog ki tarah jump karega woh mujhpar lekin aisa tha nahi...

ek crook move tha ye...

neeche padi mitti muthi me bhar mere face par ucchal diya usne...

is below the belt move ko expect nahi kiya tha maine isiliye agle hi pal woh saari mitti mere aankhon me ghus chuki thi...

mouka acha tha isiliye mujhe apne aankhon ko saaf karne me busy dekh ucchalte hue ek high arm punch mere face ki taraf ghuma diya biker ne par tabhi...

us panicked situation me bhi mera dimag behadh shaant tha...

yahi wajah thi ki my ears and from my ears,mere brain ne bhi biker ke meri taraf koodna start karte waqt mitti ki charmarahat feel kar li thi...

yahi nahi,i felt his body coming towards me aur isiliye...

DHAKKK...

band aankhon ke saath double speed se mai bhi saamne ki taraf ucchal gaya...

foot mera saamne ki taraf jhatak kar strech ho raha tha aur mid air me meri taraf badh rahe biker ne mere is perfect move ko bilkul bhi expect nahi kiya tha...

yahi reason tha ki completely strech hote hi mera foot ek super solid impact ke saath biker ke chaati se takraya tha...

impact ka asar issi baat se pata chal raha tha ki hit lagte hi piche ki taraf halka udte hue gira tha woh biker...

itna hi nahi,aisa feel hua usse jaise woh kisi insaan ke pair se nahi balki kisi bhaari pedh se takraya ho...

mooh se niklata halka khoon is baat ka saboot bhi tha...

wahin dusri taraf dikh bhale hi mujhe kuch raha tha nahi par mere hit ka impact...i felt it too isiliye...

MAI-thats for my friend...aaja baaki ka hisaab bhi kar lete hain...

NITS ke chest par maare biker ke laath ka hisaab uske khoon rupi byaaj ke saath kar liya tha maine...

CHRRR...

apne aankhon par haath jhatak unme gayi dhool ko saaf karne ke beech biker ke agle move ka intzaar kar hi raha tha mai ki tabhi uske khade hone aur phir doudne ki awaaz suni maine...

pehle toh mai usse apni taraf aata feel kar satark hua par agle hi pal bin dekhe hi scene clear ho chuka tha mere liye...

woh biker meri taraf nahi balki ulat direction as in apni bike ki taraf bhaaga tha...

ye feel kar aankhein kholne ki koshish ki maine apni par dhool ab bhi kaafi bachi thi isiliye kaafi blurry view dikh raha tha mujhe...

but fir bhi,jitna dikha,uske anumaan se mai bhi bhaag pada par tabhi...

VROOOMMM...

uski bike ke on hone ki awaaz padi mere kaano par...

apni jagah par hi kaat ulta ghumane ke baad first gear daal clutch chhod diya tha biker ne aur theek ussi waqt...

bike ki cowl fairing ko dono haathon se pakad liya maine...but c.c kaafi zyada thi bike ki isiliye hold par rakhna usse asaan nahi tha...

agar apne acrobat skills ko use kar fairing ki madad se front flip maarta mai tab bhi ek time me baad grip dheeli karni padti mujhe aur mere aisa karte hi mere back seat par baithne se pehle bike aage badh chuki hoti...

upar se view ab bhi kaafi blurry tha mera...bottom line, filhal biker ko rok nahi sakta tha mai isiliye...

TANNNN....

ghusse se fairing ke side part par ek zor ki elbow hit ki maine aur bike ki high grunting sound ke beech bhi zor se dahada mai...

MAI-sun...aur dhyan se apne magaj me baitha...



jo aaj hua hai woh har BAAR HOGA...


chot naasur ban jaayega jahan jahan mera WAAR HOGA...

hawa se kaam naa chali, agli baar aandhi le aana magar yaad rahe...

jiske aage har aandhi rookegi,saamne khada hamesha SANVEER naam ka woh PAHAAD HOGA...










AAJ KE LIYE ITNA HI...





AAPKA APNA V...J.
Mind blowing update bhai
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

BP high

Active Member
755
1,096
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF NITS ANJALI KO PROPOSE KAR DETA HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY KA BHIDHANT EK BAAR PHIR SE HAWKER KE SAATH HOTA HAI JISME IS BAAR SANVY USSE ASAANI SE HARA DETA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-94

DATE-15TH FEBRUARY


CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE





KTTTK...


ghar ke front door ke ki chitkani kheenchne ki awaaz thi ye...

filhal raat ke 11 baj rahe the...waise toh aaj ke modern daur me ghar se bahar jaane ke liye zyada late nahi hua tha par SANEEL'S RESIDENCE ke lihaaz se agar dekhen toh haan,waqt kaafi zyada tha...

thand ka asar ab bhi dehradun ki hawaon me zyada hi tha...10 degree se kam ki kadkadati thand me jahan log ek saath 3,3 layers pehenane ke baad bhi thartharate the,wahin SANVY patli t-shirt ke upar bas ek black hoodie pehenkar dheere se bahar nikal raha tha...

usne apni MAA ko apne bahar jaane ke baare me kuch bataya nahi tha par iska reason koi secretive bhi nahi tha...

VERONICA subah 5 baje se pehle uththi thi isiliye 10.30 tak she used to be off to bed...

abhi agar apne bahar jaane ke baare me batata toh uske wapas aane tak woh jaagti rehti...

bas isiliye dabe paanv araam se front door khol bahar nikalne laga tha SANVY par uske batane na batane se anjaan ek normal MAA ho sakti thi, par VERONICA bilkul nahi...

she was aware ki SANVY abhi bahar jaa raha hai...is waqt hall ke side me lakdi ki bani jhaalar se apne bete ko aangan ke aage entrance door ke saamne khada dekh rahi thi woh...

entrance door ki height 7 foot ke paas thi jisse khola nahi SANVY ne...

apne kandhe ko round rotate karte hue apne dono haathon ko jhatka diya usne aur agle hi pal halke se upper pull ke saath door ke upari sire ko pakadte hue kisi spring lage khiloune ki tarah uchhalte hue uski body 360 degree cart hote hue door ke dusri taraf land ho chuki thi...

ghar se bahar nikal apne hoodie ki cap sir par daalte hue ek baar phir apne kandhon ko rotate karne ka baad dono haathon ko jhatka dete hue ek disha me aage badh chuka tha SANVY...

wahin dusri taraf ye sab dekh rahi VERONICA ka sharir bas yahin tha par dimag kisi alag waqt aur jagah me pahunchne laga tha...

pehli baar jis tarah se apne shoulders ko rotate karne ke baad apne haathon ko jhatka tha SANVY ne tabhi kuch purana dhundla sa dikha tha VERONICA ke dimag me par ab jab same chiz dusri baar kiya unke bete toh SANVY bhale hi aage badh gaya par same time me uski MAA rewind mode lete hue waqt ke dhaar me beeti ek guzari par bohot hi mahatvapurn yaad me kho chuki thi...




FLASHBACK:-

DATE-25TH DECEMBER 2011 (12.30 AM)


CITY-JAIPUR

PLACE-CORNERSTONE CHURCH




MERRY CHRISTMAS SWEETHEART...


sabhi pehchaan waalon ko christmas wish karne ke baad church ke parking ki taraf jaate hue finally ab jaakar apni beautiful wife and the love of his life VERONICA ko christmas wish kiya tha SANEEL ne jispar ek pyari si smile naach uthi thi VERONICA ke face par...

VERONICA-merry christmas SAN...

SANEEL-kya karun mai aapka...!!!???

VERONICA-kyun...???kya hua...???

SANEEL-koi bhi patni ab tak naraaz,behadh naaraz ho chuki hoti is baat par...

lekin ek aap hain jinhe fark hi nahi pada...

VERONICA-fark bhala kyun padta...!!!har kisiko merry christmas wish karne se pehle aur karne ke baad tumhari nigahen sirf hi mujhe dekhti thi...

zubani mubarakbad bhale hi abhi diya hai tumne par aankhon se wish najaane kitni baar hi kar chuke ho tum...

SANEEL-you know,kasoor aapke is rukhsaar ka hai...

itni khubsoorati dekhkar hamesha hi bhool jaata hun mai ki nazaron se aapke kuch nahi chhupta...

VERONICA-zaroori hai naa...duniya ke sabse powerful logon me se ek hain aap...par ye asliyat kitne hi log jaante hain bhala...!!!

koi toh hona chahiye naa jisse puri khabar ho aapke baare me...!!!

baat karte karte apni AUDI A4 car ke paas pahunch chuke the dono...

and as a true gentleman,front passenger as in apne wife ke taraf ki door open ki SANEEL ne jispar door handle ko pakda toh sahi VERONICA ne par agle hi pal...

DHABBB...

door wapas band kar diya tha usne...aisa kar jahan ek taraf woh apne fingers crack kar smile karne lagi wahin dusri taraf SANEEL bhi halka has diye the...

SANEEL-6 i guess...!!!

VERONICA-8...mid lawn waali parking ki first car...duster rxt, white,4466 aur just opposite side par bani bike parking me khadi 5th bike...z.m.r 1277...

VERONICA ke description ke waqt aankhein band ho chuki thi SANEEL ki par band aankhon me bhi putliyan unki kuch yun rotate ho rahi thi maano VERONICA ki baaton me zikr kiye location aur vehicles ko unka dimag rewind mode me jaakar recheck kar raha tha...

aur jab aankhein khuli SANEEL ki toh VERONICA ki saari baatein unka dimag positively approve kar chuka tha...

SANEEL-nice...

VERONICA-acha hua SANVY saath nahi hai aaj...!!!

SANEEL-hota toh bhi zyada fark nahi padta... hum filhal naa toh kisi mission par hain aur naahi usse judi kisi link ko follow karte hue yahan aaye hain...

it's a normal casual christmas celebration... upar se ye ek church hai...a religious place...

if we go by the book...G.O.D have never killed aur even tried to harm badly anyone in any devine place...

(isiliye hi uttarakhand me religious places ke bahar blast hue the,unke andar nahi)

SANVY chhodo,i dont think ki humpar bhi filhal koi jaanleva khatra hone waala hai...!!!

"THE ABILITY TO OBSERVE WITHOUT EVALUATING IS THE HIGHEST FORM OF INTELLIGENCE"...

SANEEL ki baat puri hui hi thi ki tabhi achanak se hi kisi shadow se J.KRISHNAMURTI JI ka quote bolte hue bahar nikla tha ek tall banda...

blue three piece suit,american mul ke face aur accent waala indian banda...

age,between 30 and 35... aankhon me ek aisa painapan jisse lagatar dekhne par hi chakkar aane lage...

lambe hone ke saath saath well built up body bhi thi uski...

SANEEL aur VERONICA se 20 metre door aakar rooka tha woh jiske baad neeche se upar tak scan karti chali gayi thi usko dono ki aankhein aur tabhi...

us bande ke gale ke side part par kuch gooda hua dikha dono ko jispar choti hoti chali gayi unki aankhein...

waise toh jahan woh banda khada tha,us point par roshni kam thi par SANEEL aur VERONICA ki tez tarrar aankhon ke liye utni light bhi bohot thi...

yahi wajah thi ki agle hi pal ek jhatke me un dono ki aankhein badi hoti chali gayi thi...

REASON...

SANEEL/VERONICA- MESSENGER...

us bande ke gardan par G bana tha,usne uske ORG ke baare me aur us G ke neeche latakte hue jo capital letter me tedha M bana hua tha,usne us shaksh ke ohde ke baare me un dono ko bata diya tha...


"MESSENGER...one of the rarest bodies of G.O.D...aaj pehli baar G.O.D se koi MESSENGER rank ka banda khada tha VERONICA aur SANEEL ke saamne"...


aisa nahi tha ki MESSENGER G O.D ke top working bodies aur positions me se ek tha par haan,sabse rare zaroor tha...

aur woh isiliye kyunki ek toh MESSENGER body ek maatra aisa dhaaga tha jo G.O.D ke top to bottom sabhi dusri bodies se connected rehte the...

G.O.D organization ka kamsekam 75 percent info jiska 25 percent bhi duniya ke kisi top secret organization ke paas nahi tha,moujud rehta tha.

jab tak unka kaam nahi padta tha, MESSENGERS kabhi bhi apne bill se bahar openly nahi aate the aur agar aa gaye toh aisa kabhi nahi hua tha ki unhe sounpa kaam adhura reh gaya ho...

G.O.D org ke one of the most prized possession holders the MESSENGERS aur aaj,abhi unme se hi ek SANEEL aur VERONICA ke saamne khada tha...

khair, SANEEL aur VERONICA ke mooh se apne identity ko jaan ek behadh sukoon aur shaanti se bhari smile naach uthi thi us MESSENGER Ke face par...


MESSENGER-barso ki tamanna puri hote dekh, finally ek MESSENGER ko dekh kaisa feel ho raha hai...???

VERONICA-khudko safe rakhne ke liye jin 8 MERCENARIES ka back up laaye ho,unse nipatne ke baad bataye hamari feelings...!!!

MESSENGER-wooh... VERONICA...G O.D me THE INFAMOUS THUNDER BOLT...

sirf suna tha,aaj saamne se dekhna,i have to say,it's an honour...

SANEEL-shayad theek se nahi suna aur naa jaana ki kyun G.O.D me infamous hain ye warna backup ke liye sirf 8 MERCENARIES...!!!

MESSENGER-infamous toh aap se zyada koi nahi hai SANEEL...G.O.D ke 100 saal ke itihaas me kisi country ya other top organizations ne bhi hume itna pareshan nahi kiya jitna akele aap ne kiya hai...

infact,you both are the only two people in this entire world jisse humara CABAL naapasand bhi karta hai aur respect bhi...

yahi reason hai ki aisa pehli baar ho raha hai jab G.O.D ka ek prime body, "THE MESSENGER" khud tum dono ke saamne aakar khada hai...

VERONICA-ab ye bhi bata do ki why did we get this honour...???!!!

MESSENGER-you will know...!!!in time... filhal, it's time for some entertainment...

bohot suna hai tum dono ke baare me...dekhen zara,jo suna hai,kya woh wakayi sach hai...

let's begin the show...

CTTTTHHTTT...

apni baat bolte hue chutki bajayi us messenger ne...chutki ki awaaz itni tez thi us open parking me ek click sound gunj sa utha tha aur agle hi pal...

SOOBHHH...SOOBHHHH.... SOOBHHH...SOOBHHHH...

DHAPPP...DHAPPP...DHAPPP...DHAPPP...

VERONICA aur SANEEL ko apne chaaron taraf hawa ko cheer back to back 8 foot sounds ke zamin par land hone ki awaaz aayi thi...

like black shadows,8 nakabposh lambe chowde log SANEEL aur VERONICA ko chaaron taraf se ghere khade ho chuke the...

SANEEL-CORPS...

8 CORPS ko ek saath apne saamne dekh satarkta ab thodi zyada badh gayi thi SANEELN aur VERONICA ki aur ye laazmi bhi tha...

kyunki quantity bhale hi VERONICA ne pehle hi gin liya tha par us waqt they were just like shadows jinhe bas count kiya jaa sakta tha par properly identify nahi...

lekin ab jab woh aathon bande saamne the toh unki identity aur G.O.D'S position clear ho chuki thi...

jahan MESSENGER se baat karte waqt dono loosened up the wahin ab unke straight khade hone par muskuaya MESSENGER aur...


MESSENGER-kaho toh quantity kam kar den...!!!

SANEEL-bache hain aur toh unhe bhi saamne bula le...we don't have all night...

MESSENGER-neither have i...par jitni hai utne waqt tak tum dono ke liye ye 8 sufficient hain...

apni hand watch par ek baar dekhte hue baat ki thi messenger ne aur tabhi...

SOOBHH....

chote kantile kaante waali belt dono taraf ke CORPS me chamak uthi thi jiske agle hi pal usse VERONICA aur SANEEL par chala diya un dono ne...

dono taraf se single attack tha ye jisse halka sa tilt hote hue asaani se bach gaye the dono par tabhi fraction of a second me aage aur piche waale 3rd aur 4th corps SANEEL aur VERONICA ke saamne pahunch chuke the...

theek ussi pal 5th aur 6th corps bhi 3rd aur 4th CORPS se bas 2 metre door pahunch apni position le chuke the...

3rd aur 4th CORP ko dekhne ke baad bhi koo harkat nahi ki thi VERONICA aur SANEEL ne jispar 3rd corp me SANEEL par swish chop hit ghuma di aur theek ussi pal 4th CORP ne pehle ek knee blow and to continue after hit,ek elbow strike ka waar VERONICA par kar diya tha...

THAKKK...THAKKK...BHAKKKK...

hits swift ke saath saath itne tez the ki agar koi aur hota toh agle second zamin par lot raha hota but that's the whole point,right...!!!

saamne koi aur nahi balki VERONICA aur SANEEL the...

the bloody best...

3rd CORPS ke chop hit ko pehle jhukte hue dodge kiya SANEEL ne aur phir jhuke hue hi ghum gaya woh...

agle hi pal us CORP ke baaju me tha woh jiske baad SANEEL ka ek punch uske jaw line ko hit kar chuka tha...

theek ussi pal VERONICA ne pehle toh side hath 4th CORPS ke knee blow ko dodge kiya par saath hi saath mid air me hi usne CORP ke knee ke beech haath fasaya aur usse upar ki taraf ek tez jhatka diya...

uske aisa karte hi CORP ka agla move, elbow strike half me hi uske pairon ke saath ladhkhada gaya tha lekin VERONICA wahin nahi rooki...

knee ko uske jhatka dete hue pehle uske ribs par punch maarne ke baad usne bhi ek punch 4th CORP ke face par jama diya tha...

TAKKK...AHHHH... DHAKKK...

ek taraf se SANEEL ne 3rd corp ko aur dusri taraf se VERONICA ne 4th corp ko hit karne baad chhoda nahi balki ek sa move karte hue un dono ki gardanon ko pakda aur aage ki taraf tez push kar diya...

agle hi pal un dono CORPS ke sir ek dusre se takra gaye the...

behadh dard ke beech dimag ghumne laga tha un dono ka par tabhi un dono ke shoulders par VERONICA aur SANEEL ke kicks par chuke the...

kick ka direction 1st aur second CORPS ki taraf tha jinhone phir se apni kaantedaar belt ghumane ke liye position le ki thi...

par VERONICA aur SANEEL ke kicks ke asar se 3rd aur 4th CORPS sidhe unse takra gaye the...

theek tabhi 5th, 6th,7th aur 8th corps ek saath VERONICA aur SANEEL ki taraf jhapte the par unse kayi guna speedy movements un dono ke the...

waise toh VERONICA aur SANEEL,dono hand to hand combat me bhi araam se hara dete saamne se badh rahe chaaron corps ko par isme thoda time lagta aur ye time kaafi valuable tha dono ke liye...

reason bho obvious tha... MESSENGER... kis wajah se woh yahan aaj unke saamne tha,they didn't know par dono hi is oppertunity ko aur usse apne haath se jaane nahi de sakte the...

they had to grab him... isiliye time waste na karte hue VERONICA aur SANEEL,dono hi apne left aur right as in first aur second CORPS ki taraf lapke...

3rf aur 4th CORPS se takrane ki wajah se woh dono abhi ladhkhadate hue piche ki taraf gir rahe the...

dono ke haathon grips filhal dheel the jinpar girne se pehle hi ek ek haath feel kiya dono ne...

ye VERONICA aur SANEEL the jinhone unke kaantedaar belts kheench liye the aur aisa hone ke agle hi pal shuru hua dono ka taandav...

round friction movement par saath hi saath zigzag pattern ka istamal karte hue kuch is speed se move hone lagi thi un dono ko body ki dekhne waale sabhi ko aisa feel ho raha tha maano fast forward mode me garba kar rahe the woh...

par garba me haathon ke darmiyan daandiyan sticks hote hain par yahan VERONICA aur SANEEL ke haathon me kaantedaar aur lambe belts the...

SOOOBHHHH...SOOOBHHHH....

AHHHHHHHHHHHHH...

kaafi tez the woh aathon CORPS aur saath hi sharp bhi par itni unique aur fast movement thi VERONICA aur SANEEL ki jisse samajhna unke jaise super trained fighters ke bas me bhi nahi tha...

kuch hi seconds ke antaral me un sabki cheekhen pure parking me gunj chuki thi...

woh toh acha tha ki ek toh raat ka waqt tha,upar se church ki ye parking church building aur baaki stays se kaafi door thi and thirdly,church se nikalne waale VERONICA aur SANEEL last the isiliye chal rahe human/sci-fi scene ka koi gawah aur audience nahi tha warna live dekh kar bhi movie hi samajhte sabhi...

iska ek kaaran ye bhi tha ki CORPS maamuli fighters nahi the...

they were G.O.D'S selected people...

unki kaabiliyat ka pata issi baat se lagaya jaa sakta hai ki duniya me jitne bhi contact sports hain, boxing, wrestling,m.m.a exetra...

in saare hi high adrenaline contact sports ka koi bhi world champion tak kisi ek CORP ke saamne zyada der tik nahi sakta tha...

even agar jahan se VERONICA aur SANEEL actually me the,wahan bhi aise bohot kam log the jo ek saath 2 CORPS se bhidkar jeet sakte the...

the CORPS were that good aur aise me minute bhar me jo haal VERONICA aur SANEEL ne un sabka kar diya tha,it was actually unimaginable...

minute bhar me hi un 8 me se 6 zameen par lahuluhan hokar pade hue the...

waise toh saathve aur aathwe corp bhi gire hue the par unpar chali belt ka waar unke kandhon ko shrug off hokar nikla bhar tha aur isiliye they were ok...

yahi wajah thi ki ek front flip maar woh dono khade ho chuke the...

MESSENGER-wow...hands down...tab sirf bola tha,now i mean it...it's an honour to meet the both of you...

1 saal pehle jo tum dono ne kiya tha,woh chiz itni impossible thi ki baakiyon ki tarah maine bhi yakeen nahi kiya tha...

i was sure ki without extra help, possible ho nahi sakta tha WOH karna...

but now, witnessing your actions,ab lagne laga hai ki jo socha tha,woh GALATH tha...

aise combat skills bohot kam witness kiye hain maine...

haath baandhe khade messenger ki taraf wapas jaise ghumi VERONICA aur SANEEL ki nigahen toh apne haath khol hands down waale pose ko dete hue halka bend down hua woh...

SANEEL-just wait a bit...ab tak dekha hai,now you gonna feel aur combat skills...

MESSENGER-i doubt that...

apne kaano me ghusaye ek tiny ear bud ko nikaal apni jeb me kuch aise daala us MESSENGER ne maano ab uske jaane ka time ho chuka hai...

par is beech ek aur chiz bhi hui thi...

eight aur 9th corp ne bhi VERONICA aur SANEEL ki taraf movement kar di thi par corps ke agle kadam badhne se pehle hi apne haath me pakde belts ko tedhe angle se hi ek tez jhatka diya tha un dono ne...

waise toh corps is attack ke liye ready the isiliye VERONICA aur SANEEL ke hand movement ke turant baad hi side ho gaye the woh dono par faayda kuch hua nahi...

trick attack tha ye...aadhe raaste hi belts wapas kheench liya tha VERONICA aur SANEEL ne par phir dobara ghumte hue itni tezi se chalaya unhone apna belt ki uske range me aane se khudko bacha nahi paaye CORPS...

jahan SANEEL ki taraf waale corp ke toh hatheli me ghus gaya tha belt ka keel wahin VERONICA ke belt ne uski taraf waale corp ke seene ko ghis sa diya tha...

chest ka skin halka sa peel off ho gaya tha uska par phir bhi neeche girne ke baad kisi tarah uth gaya woh...

uththe hi paas me niche gire apne ek saath ki kaantedaar belt kheench kar nikaal li usne par woh us belt ko VERONICA par chalata ki tabhi...

CREEECHHHH...

ek AUDI R8 tezi se parking me daakhil hui thi...

open roof model ki car thi ye jo slide hote hue us corp ko thokne ke disha me badh chuki thi...

par us corp ne naa sirf dekh liya tha ua car ko apni taraf aate hue balki apni full agility aur flexibility ka istamal karte hue us twisted car ke upar se cart wheel jump bhi maar di thi...

par yahin ho gaya tha woh GALATH...

usne socha tha ki car ke upar se nikalne ke beech car chalane waale par woh apni belt se waar karega par woh aisa kar paata,usse pehle hi ek aur sci-fi move ho chuka tha...

car me baithe shaksh ne chalti car se hi apne seat par balance banane ke beech upar jump laga diya tha...

is beech usne hand brake bhi kheench li thi jiske asar se car uski 360 drift karte hue theek SANEEL aur VERONICA ke saamne ruki thi...

par car rukne se pehle hi ek saath do do khel ho chuke the...

car me baithe bande ne hawa me cart wheel maarte hue us CORP ke sidh upar ki taraf challang laga di thi aur woh bhi kuch is tarah se ki us CORP ki gardan bande ke baazuon me fas chuki thi...

KDAKKK...

hawa me hi kalabazi khaate hue apne kandhe par laadne ke beech us corp ki gardan tod di thi ue bande ne...

DHAPPP...

zameen par land hone ke saath hi us corp ki jhul rahi laash ko piche fekte hue apni black versace ki three piece suit ko shrug off karne laga tha woh banda...

ye toh pehla khel joki VERONCA aur SANEEL ke liye positive tha...par dusra khel utna hi negetive...

kyunki CORPS ke saath is final bhidant me joki mushkil se 20 seconds hi chala tha,THE MESSENGER had vanished...

woh bhi aise jaise kabhi woh yahan aaya hi nahi tha...

un corps se bhidne ke beech jab us new bande ki entry hui toh nazar uski taraf hi ghum gayi thi VERONICA aur SANEEL ki...

issi beech gayab ho chuka tha messenger jispar pehle toh hadbada gaye VERONICA aur SANEEL par usse dhundne ki koshish bilkul nahi ki dono ne...

kyunki jaise G.O.D me SANEEL aur VERONICA ke kisse mashoor the, theek waise hi MESSENGER ke baare me bhi kaafi sun chuke the woh dono...

ek MESSENGER ko saamne se toh aaj pehli baar dekha tha un dono ne par virtually pehle bhi is clan ke kaafi videos dekhe the un dono ne...

videos me bhi unki movement hairat angez hoti thi aur usse bhi aascharya janak hota tha unka scene se gayab ho jaana...

kayi kayi baar rewind karne par bhi messenger ki slip out movement catch nahi kar paaya tha koi...

they were that good...

agar woh MESSENGER un dono se lada hota toh pakka fas jaata par now that he was gone,usse dhund nahi sakte the dono...

isiliye hi apni jagah me khade reh gaye VERONICA aur SANEEL...

wahin dusri taraf peeth thi filhal us bande ki VERONCA aur SANEEL ki taraf jispar apne dono kandhon ko round twist sa karte hue apne haathon ko jhatka sa diya us bande ne...

(THEEK WAISE HI JAISA CURRENT SCENE ME SANVY NE KIYA THA)

apne haathon ko jhatak ghuma woh banda SANEEL aur VERONICA ki taraf...

FLASHBACK ENDS:-



face us bande ka jaise hi chamka VERONICA ke dimag me toh apni yaadon se ek pal me hi wapas present me me aa gayi VERONICA...

ek lambi saans chhodi usne aur...


VERONICA-khoon bhale hi mere bete me SANEEL ka hai par harkaton me uski jhalak tumhari bhi hai...

aur ho bhi kyun naa bhala...uska toh naam bhi tum dono se hi bana hai...

SANVEER...

SANEEL se toh usne bas uska aadha hi naam liya hai...

SAN...

par tumse toh tumhara pura pehla naam hi le liya usne...

VEER...




PLACE-CHANDER VILLA


DHAPPP...

25TH baar tha ye jab chander villa ke alag alag hisso me kisi rubber ke putle ki tarah ek saaya specific areas par slide aur jump karta hua villa ke pichle hisse tak pahuncha tha...

specific isiliye kyunki villa ka outer part 8 moving c.c.t.c camaras se lais tha...

par unki movement kuch yun rati thi us saaye ko ki ek bhi ghumte camara ne usse apne lens me kaid nahi kar paaya tha...

kuch guards bhi the par zyadatar guards villa ke saamne aur back door ke paas tainat the par unme se bhi kisine us saaye ko ghar ke andar aate aur yun ucchalte kudate aage badhte nahi dekha tha...

aisa lag raha tha jaise c.c.t.v aur guards,un sabki movements by heart yaad thi us saaye ko...

khair,is waqt woh saaya us teen manzila villa ke back wall jahan drain water pipe lagi hui thi,wahan khada ho chuka tha...

ek pal chaaron taraf nazar ghumane me baad ek strong grip se hold kiya usne pipe ko aur agle hi pal kisi bandar ki tarah hairat angez speed se us pipe par chadhte chala gaya...

tezi se upar chadhta woh saaya sidhe 2nd floor par pahunch kar hi ruka tha aur iska kaaran tha pipe se bas 3 feet right par bani ek khidki...

waise toh woh khidki band thi par phir bhi khudko right ki taraf uchaal diya us saaye ne...

khidki ke bahar lage cemented blocks jinpar pade us saaye ke dono haath jiske baad unki blocks ke sahare khidki ke bahar bane halke se jagah par khud ko uthate hue baith gaya tha woh saaya...

kuch seconds baithne ke naad band khidki ke palle me haath lagaya us saaye ne...

khidki sirf atki hui thi,band nahi thi isiliye uske ek palle ko pura khol tircha hote hue dusri taraf jahan stairs the,ghus gaya woh saaya...

madhyam roshni chhayi thi us jagah par...abhi tak apna hoodie cap lagaya hi hua tha us saaye ne jisse ab finally utaar diya usne...

SANVY...!!!

mai tha ye saaya jisne abhi apna hoodie cap hataya hi tha ki tabhi mere saamne stairs ke upari bhaag se ek jaani pehchaani awaaz mere kaano par padi...

DIMPLE thi ye jo aaj yahin rooki thi... ofcourse apne bhai ke liye...jo hua tha,bhale hi woh GALATH tha...SAM ki harkat usse katayi pasand nahi thi par ek sach ye bhi tha ki he was her brother...

jo abhi taklif me tha... upar se shaam ko hi SAM ki mom, SHRAVYA CHANDER kisi meeting ke liye bahar gayi thi aur ab tak louti nahi thi...

unhi ke orders the DIMPLE ko ki in her absence,she has to look after her brother...

isiliye yahin rooki thi woh... second floor par apne bhai ke kamre ke baaju waala room tha jisme rooki hui thi woh...

ek jagah baith kar padhne ki aadat nahi thi DIMPLE ki...

she use to walk while reading and revising...

abhi bhi apne room me tehelte hue kuch padh rahi thi woh...khidki khuli thi uske jiske bahar kuch der pehle hui hulchul aur dheeme pade uske kaano me awaaz ki wajah se nazar bahar ki taraf gayi uski...

she saw a guy there jo ghar ke piche ki taraf badh raha tha...

pehle toh uska man kiya to call the security par phir she decided to see for herself...

second aur third floor me bohot se windows lage the jinme se woh us unidentified bande ko araam se dekh rahi thi...

aur finally jab woh banda drain water pipe se chadhte hue second floor ke window par latka toh ek rod pakad usse pitne ke irade se stairs ke divided column me chhupkar khadi ho gayi woh...

but ab jaise hi us bande as in maine apni hoodie cap hatayi toh mujhe dekhte hi ek tez jhatka laga usse...

apni aankhon me dikh rahi hairangi ke saagar ko liye mere saamne aakar khadi ho gayi thi DIMPLE...

MAI-wanna hit,then just hit... never wait...more importantly, never hesitate...meri ye seekh itni jaldi bhool gayi tum...

DIMPLE-mai kuch nahi bhulti SANVY...aur tumse related toh kabhi bhi nahi...

tumpar haath uthaya toh chot mujhe lagegi jisse dekh tum nahi paaoge...

rod ko side me rakh meri aankhon me jhaankne lagi thi DIMPLE...

MAI-itna kuch dekh chuka hun ki now i am trained...kuch bhi dekhne ke liye...

DIMPLE-tumhari ye kataaksh se bhari baatein jitni taklif deti hai,sukoon usse kayi zyada milta hai...

kyunki ye baatein yaad dilati hain mujhe ki aaj nahi hun toh kya hua par kabhi toh tumme tumse zyada thi mai...

MAI-jo beet gaya,so beet gaya...

filhal mujhme nahi,sirf saamne ho tum...

DIMPLE-saamne toh tum ho...itni raat ko,is ghar me yun chhupte hue...iraade SAHI toh ho nahi sakte tumhare...!!!

MAI-GALATH ke saath sahi nahi, GALATH hi kiya jaata... kamsekam mai toh karna chahta hun...

DIMPLE-ab kya GALATH ho gaya tumhare saath...!!!

MAI-mere saath...!!!naa...!!! apne saath GALATH karne ki ijaazat dena band kar diya hai maine...

aaj ek nakabposh rider old school ke backyard me aaya tha...RASHI aur KHANAK ke saath battamizi ki usne...

phir NITS ko chot pahunchayi aur mujhe apne piche aata dekh bhaag nikla...

i followed him...then we fought par kisi tarah bhaag nikla woh...

fight ke beech he mentioned ki mujhe JAIDEN CHOWDHARY ke bete par haath nahi uthana chahiye tha...

then,he warned ki iska hisaab ab mujhe apne baaki doston ke through chukana hoga...

canteen me hui mulakat ke baad front ki taraf se ghat gayi thi DIMPLE...jo hua tha, iska zara bhi andaza nahi tha usse...

isiliye meri baat sun hairangi,pain aur ghussa...teeno hi bhaav ek saath dikhne lage the uske face par...

lekin saath hi saath ek sawal bhi ubhra tha DIMPLE ke zehen me...


DIMPLE-you are here to question SAM...???tumhe lagta hai ki he is involved in it too...

MAI-tumhe kya lagta hai...!!!???

DIMPLE-i doubt it...pehle toh uski condition bas theek hone hi filhal shuru hui hai aur agar woh completely theek hota,tab bhi i think ki jo usne kuch din pehle kiya uske baad aisa kuch karne ke baare me sochega bhi nahi...

MAI-follow me...

bina kuch sune stairs ne neeche utarta chala gaya mai...

hall se hote hue piche bane garage ke back door ki taraf badh gaya tha mai...

wahin DIMPLE bhi sawalon se ghiri hi sahi par bina kuch bole chupchaap mujhe follow kar rahi thi...

garage ka back door andar se tha isiliye locked nahi tha...

door khol pehle mai aur phir DIMPLE garage ke andar ghus chuke the...

10 se zyada imported cars ke collection khade the is waqt garage par par meri nazar un sabse alag left hand side par padi ek dhaki hui chiz par atak gayi thi...

ussiki taraf badh chala tha mai...

white cover ko kheench side me fekh diya maine aur ab mere saamne thi SAM ki bike...

NINJA 390...

par meri nazar puri bike par nahi balki side se thoda andar uske ek hisse par aakar tiki jiske baad jabde halke sakhti se bheench gaye the mere...

palta mai DIMPLE ki taraf jiske aankhon me sawalon ke silwaten ab bhi tair rahe the...

MAI-woh biker yahi bike chala raha tha...

DIMPLE-how can you be so sure...!!!i mean,aise models toh bohot honge yahan...kya number padha tha tumne...!!!

MAI-padh leta but he was hiding it...aur plate par kapde ki tarah chamda chipkaya tha usne... complete stiched...nikaalna asaan nahi tha...

DIMPLE-phir...!!!

MAI-ye fairing ke side edge par jo dent hai,ye mere elbow hit se pada hai...

meri baat sun DIMPLE bike ke paas pahunch halka sa jhuki...

wakayi fairing ke side par ek aisi jagah jahan sidhe dekhne par kuch bhi pata nahi chal raha tha,ek dent tha...

us dent ko dekh is baar baari DIMPLE ke jabdon ki thi sakht hone ki...

sidhi ho meri aankhon me dekha usne aur...

DIMPLE-tum jo chaahe karo...i am not gonna stop you...

MAI-tum chaaho tab bhi nahi rok sakti mujhe aur haan,i was here to question your brother...

aur agar mai sawal karun naa usse toh phir din nahi,is baar kaafi mahino tak theek nahi ho paayega woh...

par ek baar phir saale ki kismat buland hai..usse pehle tum mil gayi mujhe...

chhod raha hun is baar usse par agli baar nahi hoga aisa...

apni baat bol bina DIMPLE ki koi baat sune uske baaju se hote hue nikal gaya garage se mai...

wahin mere jaane ke baad kuch seconds tak apni jagah khadi reh DIMPLE bhi palti aur garage se bahar nikal gayi...

kahin dikha nahi usse mai aur jaanti thi DIMPLE ki is ghar ko mai inside out jaanta hun isiliye yahan se nikalne me mujhe koi problem hone waali thi nahi...

isiliye sidhe tez kadmo se seedhi chadhte hue SAM ke room ke door ke paas pahunch gayi thi DIMPLE...

DHADHHH...

darwaza bas atka hua hi tha jisse ghusse se bhar tezi se khola tha DIMPLE ne...

SAM is waqt apne bed par baitha maths ke sum solve kar raha tha...

yun achanak door ka tezi se khulna aur phir apni behen ko aur tezi se apni taraf badhta dekh shocked ho gaya tha woh...

AHHHH...

SAM ke paas pahunch kuch kaha nahi DIMPLE ne balki uske jabdon ko jispar abhi bhi patti bandhi hui thi,usse thodi zor se pakad liya...

itne dino me jabda SAM ka kaafi hadh theek ho chuka tha par soojan abhi bhi thi wahan jispar DIMPLE ke yun hold karne se pain kaafi badh gaya tha...

SAM-DINGLI...yye kkya...AHHHH...

badi mushkil se bole the ye shabd SAM ne par tabhi thode aur zor se dabaya uske jabdon ko DIMPLE ne...

DIMPLE-listen to me very very carefully SAM...teri wajah se ek baar mai SANVY ki nazar me gir chuki hun...dobara agar aisa hua toh woh haalath karungi teri jo tune sapne me bhi nahi socha hoga...

SAM-par mmaaine....kiya.... kya hai...???

badi mushkil se baatein nikal rahi thi SAM ke mooh se...

DIMPLE-kitna innocent hai naa tu...!!!kal school me banda bheja tune jisne KHANAK aur RASHI ko molest karne ki koshish ki...

kitna neeche girega tu SAM...???

apni behen ki baaton ko sun aankhein hairangi se failti chali gayi thi SAM ki aur ye hairangi genuine thi...

feel kar liya tha DIMPLE ne is chiz ko isiliye SAM ka jabda chhod diya usne...

DIMPLE-you didn't know about this...

SAM-i swear i dont...aur tujhe kyun laga ki maine aisa kuch karwaya hai...

DIMPLE-tujhe is baat ki tention nahi hui ki teri do female friends ke saath aisa kuch hua hai...

sach tha DIMPLE ka ye kataksh jisse sun sir halka jhuk gaya tha SAM ka...

DIMPLE-sir mat jhuka...sirf apne image ke baare me sochna,hamari family ka brutal sach hai ye fact...

thank god ye negetive genetic transfusion mujhme nahi hai...

agar kuch nahi kiya hai tune toh it's good...keeo it this way...

SAM-kya...hua tha...kal...

DIMPLE-dad se puch lena aur ye message bhi saath me de dena ki SANVY aur uske doston se door rahen...

kyunki unme se ek mai bhi hun... agli baar kuch ulta pulta hua toh saamna sirf SANVY se nahi,unki beti se bhi hoga...

apni baat bol palath gayi DIMPLE...jis tezi se aayi thi,ussi tezi se door cross kar apne room ki taraf mudi hi thi woh ki tabhi sudden brakes apply karne padh gaye the usse...

REASON...

wall par side arm tikaye mai jo khada tha...mujhe yun saamne dekh ek baar phir hairan hui thi woh...

usse laga tha ki mai chala gaya tha par aisa tha nahi...infact mere yahan aana aur mujhe yahan aate waqt DIMPLE ka mujhe dekhna,ye mera hi plan tha...

woh yahin is ghar me hai,ANI ke through shaam ko hi pata chal gaya tha mujhe...

DIMPLE ka daily routine toh jaanta tha hu mai isiliye yahan CHANDER VILLA me aane ka ye time chuna tha maine...

yahan pahunch jaanbujh kar uske kamre waale khidki ke bahar thoda extra ruka tha mai taaki woh mujhe dekh le...

aur ye sab karne ka reason bilkul obvious tha...SAM ka confrontation mai DIMPLE se hi karana chahta tha...

dono ki hi authenticity ko jaanane ka isse behter tarika nahi ho sakta tha...

aur jo hua,acha laga tha mujhe...aaj bohot waqt ke baad DIMPLE ke liye mere dil ka NEW GIRL corner halka sa hi sahi par phirse dhadka tha...

par rush mai karna chahta tha nahi isiliye DIMPLE ko kuch seconds dekhne ke baad mai wapas palat aage badhne laga tha...

wahin dusri taraf kuch seconds ki hairangi ke baad DIMPLE ko bhi mera ganith samajh me aa gaya tha...

mai parakh raha tha usse,ye jaan gayi thi woh...

upar se palatne se pehle meri aankhon me aaj bohot arse baad khudka wahi aks dekha tha usne jisse dekhne ke liye taras gayi thi woh...

mujhe jaata dekh DIMPLE ke dil me sukoon aur bechaini,ek saath ghar karne lagi thi aur isiliye...

DIMPLE-SAVYYYYY...

ek naye naam se pukara tha mujhe DIMPLE ne jisse sun ek pal ke liye rooke merr kadam par phir behadh dheeme kadmo se aage badhne laga mai...

DIMPLE bhi mere piche ho li thi...ek baar phir ussi khidki ke paas tha mai jahan se hokar mai andar aaya tha...

khidki ke pallon ko pakad dusri taraf nikal hi gaya tha mai ki tabhi mere kandhe ko piche se hold kiya DIMPLE ne aur...


DIMPLE-




jo pichli baar hua,woh meri pehli aur AAKHRI BHOOL HAI...

parwarish GALATH rahi hai meri par teri wajah se mit chuki us maansikta ki aakhri DHOOL HAI...

par jaanti hun mai ki mere bolne bhar se kuch hoga nahi isiliye...

jitne intehan lene hai le le, mujhe tere ISHQ ki tarah teri har aazmaish KUBOOL HAI...











AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Fantastic update bhai
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

BP high

Active Member
755
1,096
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF FLASHBACK ME VERONICA AUR SANEEL G.O.D ORGANIZATION KE CORPS SE LADHTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF PRESENT ME DIMPLE APNE BHAI SAM KO SANVY AUR USKE FRIENDS KO NUKSAAN NAA PAHUCHANE KI WARNING DETI HAI...

AB AAGE:-


CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-95

DATE-27TH FEBRUARY


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS





KYA BAAT HAI LOUNDE...???AAJ PEHLI BAAR EXAM SE EK DIN PEHLE TERI FATI GAAND KA SUBOOT TERE CHEHRE PAR NAHI DIKH RAHA...!!!


NITS ko confidently chill hokar baithe dekh puchi thi ye baat EKPREET ne...

filhal ye sab apne class me the...aur aaj class bhi full house thi joki laazmi bhi tha...

kal se board exams the inke jisme class enter karne ke liye apne apne admit card lene sabhi aaj school aaye hue the...

essembly ke baad sabhi apne admit lene apni class me aakar baithe hue the...

aur kyunki aaj ka kaam bas admit card collect kar wapas ghar jaane ka tha isiliye puri girl gang aage aur boys ki mandali last me baithi hui thi...

khair, EKPREET ki baat sun baaki sabke saath khud NITS bhi has diya tha...

NITS-woh isiliye chutiye kyunki is baar baari gaand fatne ki nahi balki sabki gaand faadne ki hai...

SONU-kkya bbaat hai lounde...!!!itna cconfidence...!!!

NITS-life me pehli baar taiyari puri ki hai...!!! confidence toh hoga hi...

waise confidence se zyada khush hun mai... kyunki hamare group me bas ek mai hi tha jo padhayi me hamesha sabse piche rehta tha...

par finally is baar aisa nahi hoga...apan bhi tum sab ke level par aa gaye hain re jhaantu logon...

RAJAT-baat toh sahi hai teri par thoda sa correction hai...tu akela nahi,teri tarah padhayi me SANVY bhi baaki sabse piche raha hai...

tu toh saale aage nikal aaya par woh kameena abhi bhi waisa hi hai...

saale ka itna tez dimag hai...

aisi aisi cheezen predict kar leta hai jisse dusre log saamne se dekhne par bhi theek se samajh nahi paate...

itna sharp aur skillful mind par padhayi me phir bhi average...

EKPREET-satyavachan...upar se saale ke paas toh free me ek tution teacher bhi hai...

apni ANJALI.DIMPLE aur SAM ko frame se hata den toh baaki sabse aage hai woh...

infact,uske jitne number toh B section ke topper ROHAN ke bhi nahi aate...

RAJAT-ye toh hai...

aur pata hai NAISHA bata rahi thi ki board ke 90 percent prep ANJALI SANVY ke saath uske ghar par hi kar rahi hai...

is beech SANVY chaahe ya naa chaahe, ANJALI usse zabardasti hi sahi but 4 hours plus padhati hai...

EKPREET-wow...lagta hai phir is baar board me ye NITS ki tarah SANVY bhi acha score karne waala hai...

SONU-ghanta... ppuri baat nahi bbatayi tujhe NAISHA nne...

ANJALI us kamine kko 4 gghante plus ppadhane kki bas koshish karti hai...

par ab ttak properly ppadha paaye hhai nnahi...

dono kke revision time gaya ttha mai ek bbaar SANVY kke ghar...

saala har ddus minute mme koi na kkoi bahana bana kar 1 mminute ka bol room se nikal jjaata hai aur 10,15 mminute kke baad hi aata hai aur wwoh bbhi tab jab ANJALI khojkar gaali bbakne kke beech usse kkheenchkar wapas room mme llaati hai...

ppura vikram baital waala sscene cchalta hai uske gghar mme...

HAHAHA...

EKPREET-VIKRAM toh saamne hi baitha hai,i mean baithi hai par apna baital kidhar hai...!!!

aaj bhi late...!!!

saamne ki row me baithi ANI ko dekhne ke baad SANVY ke baare me pucha tha EKPREET ne joki assembly me bhi gayab tha...

NITS-abbe consistency dekh... mere ko toh doubt hai ki saala kal exam me bhi kahin 10 minute late naa pahunche...

THAKKK...

NITS ki baat khatm hui hi thi ki tabhi class room ke right door ka palla joki halka band tha, uske tez khulne ki awaaz sabke kaano par padi...

ek saath sabki nazarein door ki taraf jaa chuki thi aur jo scene tha,usse dekh nigahein hath nahi paayi kisiki joki laazmi bhi tha...

door par mere saath SAM jo khada tha...

darasal haath me uske ek book thi jisme khoye hue hi woh class ke andar rush in kar raha tha...

mai thoda aage chal raha tha isiliye casual tha...par SAM ne mujhe aage chalte hue dekha nahi aur uske rush in karne ke chakkar me hum dono ke kandhe takra gaye...

takkar maamuli thi par mere shoulders ke stiffness se SAM ladhkhada bhi gaya aur hadbada bhi gaya...

aur ue hadbadahat mujhpar nazar padte hi aur badh gayi thi uski...

wahin maine apne plain nazaron se usse ek second bhar dekha tha...

jabdon ke chaaron taraf lagi patti ab gayab thi par dhyan se dekhne par halki si sujan dono taraf ab bhi dekhi jaa sakti thi...

aankhon ke neeche ka hissa bhi kaafi recover ho chuka tha par maar se bane kaale nishaan ka ek semi dark patch ab bhi moujud tha us spot par...

SAM-sorry woh dekha nahi maine...

MAI-wahi toh...dekh hi toh nahi paaya tu...kabhi bhi...

apni baat bol mai toh aage badh gaya par meri kahi baat ka matlab samajh apni jagah par atak hi gaya SAM...

OYE SAMEER...YE RAASTA BLOCK KARKAR KYUN KHADA HAI TU...???

SAM-oh..sorry sir...

RAO sir as in hamare class teacher the ye jinki awaaz sun hadbadate hue wapas apne senses me aaya SAM aur tezi se class ke andar chal pada...

saamne ke seats par hi ANJALI ke saath RASHI, NAISHA aur KHANAK baithe the jinki ghurti nazar par sir neeche kar liya tha usne...

wahin NAISHA ke agle desk me DIMPLE baithi thi jisne baaki girls se alag apne bhai ko ek nazar dekha tak nahi...

ANJALI ke row ko cross karte hue piche badha SAM aur tab uski nazar gayi hum sab par joki last bench par apna dera jamaye baithe the...

aana toh woh hum sabke paas hi chahta tha par phir wahin second row me hi baith gaya SAMEER...

class full ho chuki thi jiske baad exam aur hamare performance par motivation ka ek lamba chowda lecture dene ke baad RAO sir ne hum sabko roll number wise hamara admit card de diya...

jis kaam ke liye hum aaye the,woh ho chuka tha isiliye exams ke liye aakhri baar all the best bolne ke baad RAO SIR class se nikal gaye...

aaj je idhar ka scene toh complete ho chuka tha isiliye sir ke class se nikalte hi students bhi apne apne group ke saath masti karte hue class se nikalne lage the...

wahin hum sab abhi bhi class me baithe bakchodi hi kar rahe the jisme kuch der baad girls bhi shamil ho chuke the...

DIMPLE bhi thi baaki sabke saath...baaki sab ab uske saath pehle ki hi tarah friendly ho chuke the...

bas meri hi baat nahi hoti thi usse par pehle ki tarah ab ignore nahi karta tha mai usse...

khaaskar SAM ke ghar me jo hua tha,uske baad kabhi kabhi nazar meri DIMPLE par chale jaati thi jisse turant hatata bhi nahi tha mai...

ye bhi ek wajah thi DIMPLE ki mere saamne rehne ki... mujhe khudko dekhte paakar bohot khush hoti thi woh...

abhi bhi wahi hua... mere theek saamne khadi thi woh...baatein sabse kar rahi thi par dekh woh lagataar mujhe hi rahi thi...

aise me jab maine dekha usse toh uski ghumti nazar bhi mujhpar hi aakar tik gayi...

chehra shaant tha uska par uske aankhon ke through khushi mehsoos kar raha tha mai...

HEY GUYZZZ...

ANI aur baaki girls hamare aage rakhe desks par baith chuke the...

bas DIMPLE hi khadi thi...

"SIT"...

side waale desk ko saamne laga kar usse ye kehne hi waala tha mai ki tabhi SAM DIMPLE ke piche se aakar uske baaju me khada jo chuka tha...

SAM ko dekh jahan ek taraf mai bolte bolte rook gaya tha wahin baaki sabki nazar bhi usse ghoorne lagi thi...

hume respond na karta dekh acha toh nahi laga SAM ko par phir bhi apni smile barkarar rakhi usne aur...

SAM-kaise ho yaar...???

SONU-kkya cchaihiye SAM...!!!???

SAM-guyz mai jaanta hun tum sab naaraz ho mujhse but trust me...

jaanbujh kar kuch nahi kiya maine kuch...!!!us din farewell me jo hua...

ANJALI-enough...

aage kuch bolta SAM ki tabhi uski taraf palat zor se chilla uthi thi ANJALI...

ANJALI-tune jo kiya,pure sense me kiya isiliye faaltu aur jhoote explanations dene ka sochna bhi mat...

tujhe dekhte hi tera mooh fodne ka dil kar raha hai par kar isiliye nahi rahi kyunki ye kaam mera bestie pehle hi kar chuka hai...

isiliye apne sorry ki batti apne pichwade me ghussa and fuck the hell off...

SAM-koi fake sorry nahi bol raha hun mai ANJALI...i mean it...i know ki galti hui hai mujhse...

aur sirf us din hi nahi,pehle bhi hui hai...par ek sach ye bhi hai ki tum sabke liye friendship ki jo feeling hai mere man me, that's genuine...

NITS-waah re tera dialogue...kamal ki genuineness hai bhai teri...!!!

jo dost hote hain naa,sache dost woh apni dosti nibhane ke liye khudko piche kar lete hain...

jaise SANVY ne kiya tha taaki tu apne baap ke saamne school champion ban sake...

tune toh saale dosti ke naam par hamesha peeth par khanjar hi ghope hain...

jab socha hai sirf apne baare me socha hai...

SAM-ye sach nahi hai...us din farewell me jo hua,uske baad bhi SANVY school me hai...

socha hai kyun...!!!mom toh isse expel karwa dena chahti thi par maine mana kiya tha...

HAHAHA...

SAM ki baat par lagbhag sabhi has diye the...

SONU-ttune rukwaya ttha...warna tteri mmom isse expel kar deti...ajji ghanta...PRINCI aisa hhone hi nnahi dene waali tthi...

NITS-true that...teri mom kuch bhi nahi kar sakti thi...

RASHI-arre unki haalath toh VERONICA aunty ko dekhkar hi kharab ho gayi thi...

gora chehra peela padh gaya tha unka...

SAM-hey... meri mom ke baare me baat kar rahi ho tum...

RASHI-toh...to get respect...you gotto earn it first...

us din teri ochhi harkat ko live dekhne ke baad bhi tujhe punish karna chhod teri mom SANVY ko hi blame kar rahi thi...

aur ab yahan tu hai jo apni aur apne mom ke fake ehsaan ginwa raha hai...

par isme teri bhi kya galti...sikhte toh hum sab apne mom dad se hi hain...jaisi woh hain,waisa tu...a hypocrite...

SAM-enough...

DHAKKK....

apni mom ke baare me sun joki sach hi tha,hadh se zyada bhadak gaya SAM... tezi se RASHI ki taraf aage aaya tha woh par tabhi baithe baithe hi chali meri laath jo padi sidhe SAM ke chest par...

hit impactful tha isiliye turant piche ki taraf ladkhadate hue neeche gir gaya SAM...

dard toh kaafi ho raha tha SAM ko par is waqt aankhon me uske tha mere liye beshoomar ghussa aur zehen me....!!!!!




FLASHBACK:-


TODAY MORNING






HELLO DAD...

mobile ke ek line par tha JAIDEN CHOWDHARY aur dusri taraf unka beta SAM...

waise toh apne secret ke chakkar me SAMEER apne dad ke saath zyada raha nahi tha par tha toh JAIDEN uska baap hi...

aur JAIDEN ki personality bhi ordinary thi nahi...THE JAIDEN CHOWDHARY tha woh jiske jaisa banana hi SAM ka hamesha se sapna raha tha isiliye aaj bhi JAIDEN ke saath ho rahi kisi bhi tarah ki communication se nervous ho jaata tha woh...

abhi bhi same haal tha...apne dad ko hello bolte waqt bhi nervousness saaf dekhti jaa sakti thi SAM ke face par...

JAIDEN-kaisa hai mera tiger...!!!???

SAM-i am good dad...

JAIDEN-hmm..toh excited...kal se board exams shuru ho rahe hain...admit card lene school jaa raha hai naa...!!!

SAM-aapko pata tha dad...!!!

JAIDEN-hahaha...arre beta,saath nahi rehta tere par you are my son...

tere se judi choti se choti baat bhi pata hoti hai mujhe phir ye toh tere board exams hain...

one of the most important thing of your life...kaise pata nahi hoga...

SAM-bas dad,school ke liye nikal hi raha tha...

JAIDEN-tere friends se tera patch up hua...!!!

apne dad ki baat sun pehle toh chownka SAM par phir usse kuch seconds pehle boli gayi unki baat yaad aayi...

that he knows everything about his son...

isiliye agle hi pal udaas ho gaya woh aur...

SAM-no dad...

JAIDEN-arre...what about your two besties...kya naam tha unka...???

SAM-EKPREET aur RAJAT...

JAIDEN-yaa..that two guys...

SAM-woh bhi nahi aaye dad...

JAIDEN-really...!!!bas naam ke hi besties hain kya...!!!

SAM-aisi baat nahi hai dad...jo mujhse hua hai,uske baad they all will need time to get over it and forgive me...

JAIDEN-bullshit...kya hua hai tumse...!!!ek sensual dance form ko perform karne ke dauran apne partner ke sensitive part par chale gaye tumhare haath...

that's it...kya ye itni badi deal hai ki uske baad jo hua,woh hona chahiye tha...

i mean,if i am not mistaken,jis ladki ki wajah se jhagda hua,she is your ex g.f right...!!!

SAM-yes dad...

JAIDEN-toh phir, issue tha hi kya...???aisa toh hai nahi ki apne relationship ke time tum dono intimate kabhi hue nahi hoge...

phir kapdon ke upar se ek maamuli shrug off ko itna tul dene ka logic hi kya tha...

you know son,jo tumhare saath SANEEL ke bete ne kiya,iske baad bhi woh sahi salamat sirf isiliye hai kyunki woh tumhara friend hai...

warna ab tak uski life mai ruin kar chuka hota...mai kya,ab tak toh tumhari mom hi usse school se black list karwa chuki hoti...

agar mujhe pata hota ki woh tumpar haath utha sakta hai and that too this badly toh us din maine hi uski haalath bigaad di hoti...

SAM-us din...!!!kis din dad...???

SAM ke puchne par JAIDEN ne usse club me uske aur SANVY ke beech hue friendly banter ke baare me bataya jisse sun SAM hairan bhi hua aur SANVY ko uske dad ne easily beat kar diya tha, ye sun,ek ajeeb si khushi bhi jaagi thi uske man me...

JAIDEN-beta ek baat yaad rakhna...true friends saath kabhi nahi chhodte...tum sahi karo ya GALATH,they will always stick with you...

agar aisa nahi hai then they are not your friends...kabhi the hi nahi...

SAM-toh dad,kya mai unse baat nahi karun...!!!

JAIDEN-afcourse karo... infact, tumse jo hua,agar uske liye tum guilty feel kar rahe ho toh jaao and apologize to them...

agar un sabne maaf kar diya toh brilliant...agar negetive rahe aur tumhe ignore kiya,tab bhi it's ok...

uska matlab hoga that they need time jo tumhe dena chahiye unhe par agar they disrespect you...

kuch aisa kaha unhone jo hurt kare tumhare dil ko then yes...tumhe unse matlab nahi rakhna chahiye...

kabhi bhi nahi...

SAM-ok dad...

JAIDEN-ek baat aur...maine feel kiya hai ki you feel inferior infront of that kid,SANVEER...

iska reason uska zyada talented hona nahi balki tumhara dar hai...

kyunki pehle tum usse haare ho, isiliye usse lagatar haarne ka dar...logon ke saamne chota feel karne ka dar...

stop feeling intimidated...mat bhulo ki tum mere bete ho... JAIDEN CHOWDHARY ke...

you are a born champ bas tumhe khud feel karne ki zaroorat hai...

aur tum karoge...mai karwaunga... mujhse bhi better banoge tum and that i promise...

SAM-thanks dad...

JAIDEN-dont mention it my son...all the best for your exams...

ab rakhta hun but haan,meri baatein yaad rakhna...


FLASHBACK ENDS:-




wakayi yaad rakhi thi SAM ne aaj subah hui apne dad ke saath convo jiska impact bhale hi us time par half baked hi tha par abhi SANVY ki laath padne par un baaton ka asar puri tarah pak chuka tha...

SAM-enough...

apne shirt ko jhaadne ke beech gurra khada hua SAM...

NITS-enough...abbe ye word maar khaane waala nahi balki maarne waale ko feel hona chahiye...

SAM-hamesha....apni aukaat se badhkar baatein ki hai tune aur bardasht kiya hai maine...

reason pata hai...ye...SANVY...iski dosti keh le ya dar...bas issi ki wajah se apne pairon par khada hai tu warna bohot pehle hi teri haisiyat ki sachchayi bata chuka hota mai...

NITS-uski kabhi zaroorat thi hi nahi...kyunki apne ko maalum hai ki kaun hun mai...

atta chakki chalane waale ka proud beta hun mai...ek aise baap ka beta jiske paas bhale hi paise kam hai par khuddari ka aisa khazana hai jo tere pure khaandan ke paas milakar bhi nahi hai...

SAM-khuddari...wafadari... kurbani...tum jaise gareebon ke mooh se hi ye words nikalte hain and do you know why...!!!

kyunki apni naakami aur gareebi chuppane ke liye bas ye khokle words hi toh hai tum sabke paas...

MAI-now you are talking... this is the real you...aise hi kyun nahi raha shuru se tu...!!!

bhale hi dost kabhi nahi hote par teri honesty ke liye atleast i would have respected you...

SAM-jawab toh aa hi gaya hai...abhi jo tune bola usme aur jo maine pehle bola tha usme...

teri dosti aur tujhse dar...par ab ye dono hi equations nahi bache...

ab naa hi mujhe teri dosti chahiye aur dar toh ghanta nahi lagta mujhe tujhse...

EKPREET-enough SAM...just leave...

RAJAT-ya man...baat yahin khatm karte hain...

awaaz har pal badhte jaa rahi thi SAM ki jisse sun EKPREET aur RAJAT dono hi samajh gaye the ki agar aisa hi chalta raha toh aaj phir gande se pitega SAM...

SAM ne jo kiya,bhale hi woh unapologetic tha par phir bhi SAM ke saath pura bachpan bitaya tha un dono ne...

maaf karen ya na karen par isse aur zyada humiliate hone se toh bacha hi sakte the dono...

issi soch ke saath apni apni baat kahi thi un dono ne par asar iska ulta hi ho gaya...

SAM-and you two...saale best buddies the tum dono mere...

brothers from different mothers maanta tha mai tum dono ko par saale tum dono bhi matlabi hi nikle...

jab saath dene ki baari aayi,jab mujhe tum dono ki sabse zyada zaroorat thi tab ghus gaye is SANVY ke pichwade me...

par tumhe bhi kya hi dosh dun... jab family ne hi gair ko chuna hai phir tum dono toh pehle se hi gair ho...

apni behen jo lagatar usse hi ghoor rahi thi SAM ko,usse dekh kahi thi ye baat SAM ne jispar DIMPLE ka dimag aur ghoom gaya...

DIMPLE-kis level tak girega tu SAM...jo tune kiya...

SAM-maine kiya...!!!haan, GALATH kiya maine...maanta hun... isiliye hi toh yahan sorry bolne aaya tha...

par sirf mera hi GALATH dikha tujhe...iska nahi...us din farewell ka video dekha tha naa tune...sabke saamne meri mom ka gala dabaya tha isne...

teri bhi mom hi hai naa woh...par phir bhi iska support kar rahi hai tu...

agar same chiz maine ki hoti toh...agar maine iski mom ka gala dabaya...

AHHH...

aage bol nahi paaya tha SAM kyunki tezi se aage badh uska right hand ghuma usse jhuka diya tha maine...

MAI-pehli baat toh meri maa ke girehbaan tak pahunchne ki aukaad teri kya tere pure khaandan ki hi nahi hai...

par agar tu koshish bhi karta tha toh MAA chod deta mai teri...

ab khud par ek ehsaan kar aur nikal...

ek jhatke ke saath chhoda tha mai SAM ko jispar aage rakhe desk ko hold kar khudko girne se bachaya usne...

apne haath ko jhatakne ke beech ek smile naach uthi thi uske face par...

SAM-bura laga naa... mujhe bhi laga tha jab ye looser log meri mom ke baare me bakwaas kar rahe the...

aur kya ehsaan be...hai aukaad teri mujhpar ehsaan karne ki...

haan,maanta hun ki better hai tu bohot si chizon me mujhse lekin bhul mat ki duniya ki nazar me i am the bloody champ of SIRIUS...

aur tu bas ek maamuli student...phir bhi,i promise you SANVY,ek din sabke saamne dhul chataunga tujhe mai...

thik waise hi jaise mere dad ne tujhe club me chataya tha...

kyun,bhula toh hoga nahi tu...aakhir asli swaad aur apni aukaat ka pata chala tha tujhe us din...

MAI-beta comparisons toh dhang se kar liya kar...khud mere saamne tik nahi paata isiliye apne baap ko aage kar diya...

aur agar waqt me piche jaa ho raha hai toh dhang se piche jaa naa...

tere dad ne toh apni taakat lagakar ek complete serious move se mujhe haraya tha par woh bhi thodi der ke liye...

i was out within a couple of seconds par mere dad ne toh bina chhue hi bas mazaak mazaak me hara diya tha tere dad ko...

agli baar jab khud par haanke naa tere dad toh puch liyo khud...

aur same chiz tere saath bhi hogi...jitna kar sakta hai,kar le ready khudko...

but remember my words very carefully...agli baar jab bhi tu maidan me hoga,mai bhi rahunga wahan...

aur challenge koi sa bhi ho, SANVEER AHARYA ki barabari 5 seconds ke liye bhi nahi kar paayega tu...

and that is my promise...aur tujhe toh pata hi hai ki SANVY apne promises kis hadh tak nibhata hai...

bas tu apni baat se mat palath jaaiyo...

SAM-nahi paltunga...i swear on my dad...

MAI-good...kyunki mere dad hamesha ek baat bola karte the ki...

"JO APNE BAAT KA NAHI,WOH APNE BAAP KA NAHI"...

ab nikal...

kuch seconds ghura SAM ne mujhe, infact hum sab ko aur phir tezi se class ke bahar nikal gaya...

SAM ki wajah se mood sabka kharab ho gaya tha isiliye dheere dheere sab class se nikalne lage the...

NITS-DIMPLE...woh maine SAM ke khaandan waali baat jo boli thi naa,uske liye sorry haan...

tu add nahi thi us baat me...

DIMPLE-i know...chill...

muskurate hue baat ki thi DIMPLE ne par ye smile sirf bahari taur ki thi...

man me udaas thi woh... pehli toh apne bhai ki wajah se par usse bhi zyada isiliye kyunki aaj SANVY ki usse baat hote hote reh gayi thi...

SAM ke aane se pehle jab SANVY usse baithne ke liye bolne waala tha,she had sensed it...

khush ho hi rahi thi woh ki tabhi SAM us khushi ke beech grahan bankar aa gaya tha...

yahi wajah thi ki jahan ek taraf baaki sab toh baat karte hue aage nikal chuke the wahin dusri taraf sir halka jhuka sad feets ke saath dheere dheere chal rahi thi DIMPLE par tabhi...

MAI-DIMPLE...

mai just piche hi tha DIMPLE ke aur meri awaaz itne nazdeek se sun hadbada gayi thi woh...

par phir khudko aur mere mooh se khudka naam sun apni khushi ko dabate hue rook gayi woh...

DIMPLE-SANVY,SAM ne jo kaha,uske liye...

MAI-SAM ne uski sacchayi saamne rakhi hai...aur uske sach aur harkaton ka theka uska hai,tumhara nahi...

so stop feeling guilty about his deeds..maine isiliye roka tumhe kyunki MAA milna chahti hai tumse...

DIMPLE-aunty...chalo chalte hain phir...

MAI-abhi...!!!

DIMPLE-haan kyun...!!!???

MAI-woh kya hai naa ki hume school se P.L mila hua hai,MAA ko kaam se nahi...

abhi,she is in the bank...5.30 ko ghar aati hain woh...agar busy nahi rahi toh,6.pm aa jaana tum...

DIMPLE-aunty ke liye mai kabhi busy nahi rehti...

MAI-cool then...

smile kiya maine aur palath gaya par tabhi...

DIMPLE-6.p.m...tum rahoge naa,ghar par...!!!

MAI-dont know... normally 6 baje se pehle hi ANI ko ghar drop karne nikal jaata hun mai...dekhte hain...agar wapas aa gaya toh...shayad...!!!

kandhe uchka apni baat bol aage badh gaya mai par mujhe jaata dekh ek smile naach uthi thi DIMPLE ke face par jiske baad...

DIMPLE-agar mere liye tumhare man me feelings ab bhi hain toh shayad nahi pakka rahoge tum...





TIME-5.55 PM

PLACE -SANEEL'S RESIDENCE






DING DONG...

OYE HOYE...KYA BAAT HAI...!!!AAJ SASURAAL KAISE YAAD AA GAYA...!!!???

ANJALI thi ye jisne door kholte hi saamne DIMPLE ko dekh chheda tha usse jispar pehle se hi DIMPLE ke gulabi gaal aur pinkish ho gaye the...

DIMPLE-kuch bhi nahi bol deti hai tu...!!!

ANJALI-waise SAASU MAA se milne aayi hai ya SAAJAN se...

DIMPLE-shut up will you...aunty ne bulaya tha...

ANJALI ke kandhe ko jhatakte hue uske baaju se hote hue andar chal padi thi DIMPLE...

ANJALI-toh SAASU MAA bolna na darling...waise SAAJAN bhi yahin hai...

mil le ache se usse bhi...you know with a tight hug...

DIMPLE-hug kya kiss bhi kar leti agar tu yahan naa hoti...

DIMPLE ki bebaaki par ab baari thi ANJALI ke hadbadane ki par agle hi pal has padi woh aur...

ANJALI-now that's my girl... cool...

DIMPLE-waise tum dono ab tak yahin ho...i mean SANVY bata raha tha ki is time tak he leaves to drop you home...

ANJALI-is time...us kamine ka bas chale toh mere aate hi wapas bhej de mujhe...padhayi ke naam se hi bukhaar chadhta hai usse...

DIMPLE-hahaha... phir aaj kya hua...???

ANJALI-chamatkar hua hai...aaj time hone ke baad bhi janab ne rukne aur extra revision ke liye kaha...

lagta hai kisi kutte ne kaat liya hoga...

MAI-kamsekam meri taarif karte waqt toh apni prajati ko mat ghusaya kar...

apne room se nikalte hue jawab diya tha maine jispar mujhpar bhadakne waali hi thi ANI ki tabhi...

AB PHIRSE SHURU MAT HO JAANA TUM DONO...

MAA thi ye jinhe dekh DIMPLE turant badhi thi unki taraf...

pair chhune lagi thi woh MAA ke par MAA ne beech me hi rok gale laga liya usse...

ANJALI-mai nahi karti MAA kuch shuru...har baar yahi pinch karta hai...

MAA-arre ye toh hai hi badmash par tu toh meri samajhdar gudiya hai naa...

ANJALI-woh toh mai hun hi...

MAI-bas phir...aaj ki padhayi khatm...

ANJALI-bas MAA, kuch equations diye hain maine isse solve karne ke liye...

ye solve kar le,then we are done...

MAA-woh mai dekh lungi...abhi late ho raha hai,you need to head back home...

aur ghar jaane ke baad bhi no more study...already sab rat liya hai tune...

dimag ko aur kheencha toh jitna yaad hai,woh bhi bhulne lagegi...

isiliye just go home and relax...kuch bhi hectic naa sochna aur naa hi karna...

haan, ye phone aur gadget me bhi zyada mat ghusna...raat ko jaldi so jaana taaki morning me neend complete ho jaaye...

exam time toh afternoon 2 p.mse hai naa...

shower aur breakfast ke baad bas halka fulka hi revision karna,no extra load...

fresh mind se kal exam degi toh padha hua kuch bhi nahi bhulegi...

aur ye mera suggestion nahi order hai which you have to follow...

ANJALI-aapka suggestion bhi order hi hota hai mere liya which i always follow...

MAA-tabhi toh samajhdar kaha tha maine tujhe...ummh...

ANI ko bhi hug karne ke beech uske maathe ko chuma tha MAA ne...

ANJALI-chale sir ghar...jaldi loutna bhi hai tujhe...phir DIMPLE ko bhi toh drop karega naa...

MAI-mai kya tujhe pickup and drop service waala dikhta hun kya...!!!

ANJALI-badi jaldi guess kar liya...!!!ab chalen...

DIMPLE-no rush SANVY... mujhe drop karne ki zaroorat nahi hai...mai car se aayi hun...

MAI-cool...chal...aa raha MAA...

ek baar halki nazar se DIMPLE ko dekhne ke beech MAA ko bol ANJALI ke saath ghar se nikal gaya mai...

VERONICA-what will you have...!!!

DIMPLE-please aunty... kamsekam aap toh formality mat kijiye...

VERONICA-uske liye toh phir pehle kuch karna padega tumhe...!!!

DIMPLE-really...!!! anything aunty...

VERONICA-ye...jo last bola naa tumne,isse erase karna padega...

DIMPLE-last word...!!!aunty...!!!

VERONICA-yup...

DIMPLE-fir kya bulaun...???

VERONICA-wahi jo SANVY bulata hai...ANI bulati hai...

DIMPLE-woh dono toh aapko MAA........

VERONICA-black coffee peeti ho naa...laati hun...

MAA bolte bolte blank ho gayi thi DIMPLE...uske dil me chal rahe manobhav ko achi tarah samajhti thi VERONICA isiliye to give her some time, kitchen ki taraf badh gayi thi woh...

aur VERONICA ka thought sahi tha...wakayi stabdh si ho gayi thi DIMPLE joki laazmi bhi tha...

"ASHA MAA NE MUJHE KHUDKO MAA KEHNE KO KAHA PAR TUMHARI ACTUAL MOM AS IN AUNTY NE KYUN KABHI AISA NAHI KAHA..."???

"SHAYAD MAA KE DIL KE US KONE ME JAHAN MAI HUN,ABHI TAK TUM PAHUNCHI NAHI WAHAN..."...

december ke time DIMPLE ke is sawal par sidhe aur sapat tarike se sach bola tha SANVY ne jisse sun man hi man thodi hurt hui thi DIMPLE...

par aaj...jo woh chahti thi, VERONICA ne keh diya tha...matlab as per SANVY'S thought, special thi DIMPLE bhi...

ye jaankar hadh se zyada khush ho gayi thi woh aur apni us uncontrollable happiness ko control me laane ke liye wakayi kuch minutes lag gaye the usse...

VERONICA-coffee...

DIMPLE-thanks aunty i mean M..A..A...

VERONICA-thats better...

DIMPLE ke aunty bolte hi coffee mug piche kheench liya tha VERONICA ne par phir jaise hi MAA bola usne toh badi khushi se coffee mug usse thama sofe par uske saamne baith gayi woh...

VERONICA-so,all set for the exam...!!!

apni coffee ka sip lete hue thode serious tone me pucha tha ye sawal VERONICA ne...

DIMPLE-almost MAA...!!!

VERONICA-almost...agar tumhara prep almost hai,phir toh baaki sab pakka fail hone waale hain...

DIMPLE-itni bhi bright nahi hun mai MAA...

VERONICA-yaa right...!!!97.6...prelims me itne hi percent aaye the naa tumhare...

DIMPLE-jee...

VERONICA-pata hai tumhari PRINCI,RANJANA ko i.c.s.e board waale India's ke sabhi prestigious school ke saare exams ka result info rakhne ka shouk hai...

and according to her,your prelims marks were the second best marks in the whole country...

aur tumse upar jo hai,she is also a girl from shimla...usne bhi sirf 6 marks hi zyada achieve kiye the tumse...

but P.L se pehle jitne bhi vivas aur special revision class lagi thi tum sabki,unme jo tumhari performance rahi hai,agar usse adhaar banaya jaaye toh your PRINCIPAL thinks ki you will nationally top this years I..C.S.E boards result...

DIMPLE-wow...that much expectations...what can i say...well,i will try...

VERONICA-you will try and i know that you will achieve it but...

DIMPLE-but...!!!but what MAA...

VERONICA ke face ki seriousness achanak se hi 10 times badh gayi thi aur ye dekh DIMPLE bhi sidhi hokar baith chuki thi...

VERONICA-kuch maangna, request karna chahti hun mai tumse but uske liye first i have to know...do you trust me...!!!???

DIMPLE-ofcourse aunty...i trust you with my life...aur aapko mujhse kuch bhi maangne aur request karne ki zaroorat nahi hai...

MAA sirf bola hi nahi maana bhi hai maine aapko...infact,agar meri apni mom bhi mujhse kuch karne ko kahe toh mai definately pehle toh 10 sawal puchungi but for you...

aap kuch bhi keh le,i will do it without thinking anything...

DIMPLE jo keh rahi thi,she meant it...VERONICA ki paarkhi nazaron se ye sach chuppa nahi tha isiliye halki smile ke beech ek lambi saans chhodi usne aur...

VERONICA-mai chahti hun ki beta tum top mat karo...

infact, country hi nahi, school level par bhi first ranker me mat aao...

jo VERONCA ne kaha,kuch palon tak toh vishwas hi nahi hua DIMPLE ko...

par phir DIMPLE ke zehen me VERONICA ne jab apne shabd kahe,us waqt uske facial expressions ghumne lage...

top naa karne waali baat kehte waqt ek taklif ki parath chhayi thi VERONICA ke face par jo chuppi nahi reh paayi thi DIMPLE ki aankhon se...

ye wahi taklif thi jo kisi parent ko apne bacche ki nakami par aati hai...

VERONICA ki baat sun sawal toh hazaron ghume the DIMPLE ke dimag me par uske chehre par chhaye dard ne un saare sawalon ke shor ko jaise ek jhatke me daba diya tha...

reh gayi toh bas ek hi baat...baat ki uski MAA ne kuch maanga tha usse...

DIMPLE-thik hai MAA...jaisa aap chahti hain,waisa hi hoga...

bina laag lapeth bohot hi saralta se haami bhar di thi DIMPLE ne jisse sun VERONICA ke dil ki taklif aur badh gayi thi...

us taklif ko apne face ke through VERONICA DIMPLE ko dikhana nahi chahti thi isiliye jhat se aage badh usse gale se laga liya tha usne...

aankhon ki kinaare halke bheeg chuke the jisse apni ungli se saaf kar khud ko shaant karne me lagi thi woh...

par bina dikhaye bhi apne dil ke bhaav chuppa nahi paayi thi VERONICA DIMPLE se...

par is baare ke kuch kaha nahi DIMPLE ne...

kuch seconds baad dono alag hue jispar...

DIMPLE-MAA kya mai reason jaan sakti hun...!!!

VERONICA-ofcourse jaanogi tum...hakh hai tumhara but in the right time...aur woh waqt aaj nahi hai...

i know ki aisa decision lena kitna tough hai tumhare liye...

ek super successful person ki beti ho tum...aur itni kaabiliyat rakhti ho ki apne dad ko bhi piche chhod do...

ye exam us direction ka sabse important first step hone waala tha par i have asked you to back off from it...

VERONICA ki baat sun ek halki si smile naach uthi thi DIMPLE ke face par...

DIMPLE-ye saari baatein pichle saal tak sach thi par ab nahi...

VERONICA-matlab...!!!

DIMPLW-pichle saal tak yes,dad mere idol the...i had always wanted to show him my worth aur is chakkar me sahi GALATH par bhi zyada sochti nahi thi mai...

par meeting SANVY but more importantly after meeting you,meri soch aur ideology,dono hi badal gayi...

dad ki capabilities jaanti hun mai...mai kya,pura world jaanta hai but you...kabhi khudko zyada show nahi kiya hai aapne but in my heart,maine hamesha ye feel kiya hai ki aapka koi comparison hi nahi hai MAA...

aur iska reason aapka beta hai...kyunki agar mai INDIA top kar sakti hun,phir toh SANVY agar world level ka koi exam hota toh bhi i am damn sure ki woh usme bhi top kar leta...

par duniya ke liye,he is just an ordinary student...theek aapki tarah jo sabke liye ek maamuli bank employee hai...

aapka aura unmatchable hai...aap dono ka hi...

kya reason hai aapke yun ordinary life jeene ka,mai nahi jaanti...

SANVY jaise brilliant prodigy ko ek average student bane rehne ka,i dont know...par aaj aapne mujhse jo kaha,i am damn sure ki uska reason jo bhi hai,ye wahi hai jiski wajah se SANVY khudko average dikhata hai...

aur pata nahi kyun par mujhe lagta hai ki even he doesn't know the reason behind it...

uske liye ye bas aapka order hai which he is following...

aur agar woh follow kar sakta hai toh mai kyun nahi...

mujhe roh banana hi aapki tarah hai...infact,aapki aadhi bhi ban paayi toh bhi i will be more than happy...

VERONICA-meri aadhi...!!!tum surpass karogi mujhe...

DIMPLE-common MAA...

VERONICA-pata hai...log jinhone SANEEL aur SANVY dono ko dekha hai,woh hamesha ye kehte aaye hain ki SANVY is the modified and better version of SANEEL...

aur ye sach hai..kyunki har human aur jaanvar,apne brain power se chalta hai par SANVY un rare species me se ek hai jo uske dimag ke according nahi balki jiska dimag uske hisaab se chalta hai...

and he isn't aware of it...yet... SANVY ke intelligence ko,skills ko toh match kiya jaa sakta hai par uska junoon, pagalpan, it's unparallel..

ye do powerful feelings uske soul se aate hain jo usse aise aise kaam karwa sakte hain jisse human body kabhi nahi jhel sakta...

aisa hi kuch tumhare saath bhi hai...faisla lene ki aur sahi faisla lene ki shakti jo tumhare andar hai, it's very rare...

aur kyunki hamare decisions hi hamare result tay karte hain isiliye tumhara ye talent aage chalkar tumhe mujhse better banayega...

haan,there are precautions... certain measures...par you will develop that...mai rahun naa rahun,i will make sure if it...

DIMPLE-kyun aap kahan jaa rahi hain...!!!???

VERONICA-arre it's just a way to say stuff...mai kahan jaa rahi...

TRINGGG...

DIMPLE aage kuch kehti ki tabhi baj utha uska phone...

display par CHOTI MAA likha hua tha which meant SAM'S mom...

VERONICA-take it...

naam dekh DIMPLE toh phone silent karne waali thi par VERONCA ki baat sun call utha liya usne...

dusri taraf se awaaz har pal loud hoti chali gayi thi...aaj school me jo hua,ussike baare me convo thi jisse DIMPLE VERONICA ke saamne karna nahi chahti thi...

DIMPLE-ok i am coming...

phone hang up kar diya tha DIMPLE ne par jaane ka man bilkul nahi tha usse...

VERONICA-normally, answers naa likho toh marks automatically kam ho jaate hain par tumhare jaise genius bacche ke liye aisa karna bhi tough hai...

your father has the influence to check your papers isiliye answers kaise likha jaaye ki pura likhne ke baad bhi number kate, ye sikhna bhi ek art hai...

here...ye SANVY ke kuch home test papers hain...maine liye the...

target 80 percent ke hisaab ka tha...ghar jaakar araam se check it out...likha pura hai usne par aise likha hai ki corrections ke baad percentage 80 se upar nahi aayega...

he wrote for eighty,tum 90 plus ke liye try karna...

agar DIMPLE maan jaaye toh uske baad kya karna hai,kaise karna hai, iske liye pehle hi SANVY ka ek home board test le chuki thi VERONICA...

unhi test papers ko usne DIMPLE ko handover kar diya tha jisse ek baar phir VERONICA ki fast forward thinking ke liye appreciative expressions ke saath le liya DIMPLE ne...

DIMPLE-aaj khudko BATRA nahi balki AHARYA feel kar rahi hun mai...

VERONICA-bahar se koi kuch bhi ho,the thing that matters is ki woh andar se kaisa hai...

aur andar se tum AHARYA hi ho...rahi baat bahar ki,in time,woh bhi tumhe ho hi jaana hai...

DIMPLE-bye MAA...see you...

darwaze ki taraf badhte hue flow flow me apni baat toh keh di thi DIMPLE ne par phir VERONICA ki baat sun apni baat ke piche ka logic feel hua usse jiske baad gaal sharm se laal ho gaye the uske...

yahi wajah thi ki hadbadate hue tez kadam lete hue ghar se nikal gayi thi DIMPLE...

uski car bahar hi parked thi jisme baith nikal gayi woh...

wahin dusri taraf DIMPLE ke hadbadahat ko dekh has padi thi VERONICA par saath hi saath,aaj jaise DIMPLE ne uski baat bina kisi sawal jawab ke maan ki thi,us chiz ko bhuli nahi thi woh...

yahi wajah thi ki DIMPLE ko jaata dekh physically toh apne ghar ke andar chal padi thi VERONICA par dimag uska ab bhi DIMPLE par hi fixed tha...


VERONICA-hum apni kahani jee chuke,ab tumhari baari...darti hun mai bacchon kyunki jaanti hun ki...




zindagi aise niklegi ki har pal lagega jaise agle pal me MARNA HAI...


raah mushkil hogi,bohot mushkil,par tum dono ko lagatar aage BADHNA HAI...

TRETHA YUG me RAMAYAN hua aur DWAPAR me MAHABHARAT magar...


tum dono ko toh is KALYUG me RAMAYAN aur MAHABHARAT dono ko saath me LADHNA HAI...









AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Wonderful update bhai
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

BP high

Active Member
755
1,096
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SAM AUR SANVY FUTURE EVENTS KE LIYE EK DUSRE KO CHALLENGE KARTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF VERONICA DIMPLE SE BOARD EXAMS TOP NAA KARNE KO KEHTI HAI JISSE DIMPLE MAAN JAATI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-96

DATE-20TH MARCH


CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE






KITNA SOYEGA...!!!UTH JAA AB...


MAA ne hilaya mujhe jispar dheere dheere aankhein khulne lagi thi meri...

MAA-ANI gate par hai...

is baar puri aankhein khul chuki thi meri jiske baad turant uthkar baith gaya tha mai...

MAI-aap bank nahi gayi...!!!

MAA-acha hua naa...mai bank chali jaati toh tune pakka aaj ka exam miss kar dena tha...

MAI-chahun bhi toh us khebdi ke rehte nahi kar sakta...

door kholo aap warna bell baja baja kar hi tod degi woh...

lagataar bell bajaye jaa rahi thi ANI jispar frustrate hote hue apne washroom me ghus gaya mai...

wahin MAA bhi haste hue door ki taraf badh chuki thi...

ANI-tu so raha tha naa...!!!

fresh ho school uniform pehen jaise hi bahar aaya mai toh apna rata rataya dialogue maara tha ANI ne jispar MAA ki taraf dekha maine...

apne kandhe uchka sofe par baith T.V on kar liya tha unhone...

ANI-MAA ko kya dekh raha hai...jaanti hun tujhe mai kumbhkaran...

tera bas chale toh din raat sota reh tu...

MAI-kumbkaran ko nightmares nahi aate the...aur mere paas toh ek jeeta jaagta nightmare hai...tu...

ANI-i will take that as a compliment...ab chalen ya phir aur bakwas karni hai...

MAI-baiththe hain naa...ek do ghante baad araam se niklenge...

ANI-chupchaap chal SAN... it's 1.40 already...2 baje se exams hain...pure exam schedule me teri wajah se 2 ke baad hi pahunche hain hum exam class me...

tere chakkar me late hone ki wajah se mujhe bhi invigilator se daant padti aayi hai...

kamsekam aaj toh time par pahunche...

MAI-late hone par taana de de par consistency ki baat aur uske liye taarif mat kariyo tu...

hamesha 2.5 ko pahunche hain apan class...bata,hai koi itna consistent...!!!

ANI-aghhhhrr...ek number ka ledra hai re tu...

MAI-now i will take that as a compliment...aur ab kaun late kar raha hai...!!!

by MAA...???

MAA-bye beta...all the best to you both...

jahan apni baat bol ghar se nikal chuka tha mai wahin mujhe ghusse se ghurne ke beech MAA ke pair chhu blessings lene ke baad ANI bhi mere piche chal padi thi...

aur MAA hum dono ko piche se bhi jhagadte dekh sir shake karne ke beech haste hue door band kar wapas palath sofe par baith chuki thi...

"EK BAAR PHIRSE AAJ KI SABSE BADI KHABAR"...

t.v par news channel on tha jispar ek pal nazar gaadne ke baad apne saamne table par lage laptop ko open kar liya VERONICA ne par aisa karne ke baad jaise hi display clear hua,ek pal ke liye VERONICA ki aankhein choti hui par bhi uske face par muskaan ubhar aayi...

turant uth apne room me gayi woh aur jab wapas louti toh uske haathon me do aur laptops the...

ek bank se mila official lapi aur dusra private...

kuch hi der me unke display bhi open the jinpar ubhre scenes ko dekh ek baar phirse smile naach uthi uske face par...

VERONICA ke facial expressions kuch aise the jaise woh jaanti thi ki aisa hone waala hai joki sach bhi tha...

issi scene ke anticipation ki wajah se hi toh woh aaj bank nahi gayi thi...

KHATTT...

main entrance door lock nahi kiya tha VERONICA ne jiska knob aahiste se ghuma aur door khulta chala gaya...

door ke dusri taraf ek late 20's ki girl thi jiske piche ek aur same age ki girl aur 3 middle aged bande the...

black three piece official tuxedo suits pehne the bando ne aur saamne khadi dono girls ne bhi black suits hi daale the par andar silk ki shirt pehni thi unhone...

kaafi empowering personality thi un sabki aur face par kamaal ki satarkta...

kaafi ehtiyat se khola tha door saamne waali girl ne par jaise hi door khula,woh aur uske sabhi saathi kaafi hadbada gaye the...

REASON...

VERONICA...jaise hi door pura khula,toh unke saamne thi woh...

haath baandhe side ki wall se kandhe tikaaye khadi thi...

usse dekh hadbadane ke baad turant alert mode me aate hue sawdhan ki mudra le li thi un sabne joki laazmi bhi tha...

VERONICA unke liye ek legendry myth thi jiske field me kiye kaarnaame kisi fantasy story ki tarah lagte the un sabko...

aaj first time live usse saamne se dekh fatna toh natural tha par ek sach ye bhi tha ki un logon ki identity bhi choti nahi thi...

they were big... very big isiliye turant normal bhi ho gaye woh sab...

wahin dusri taraf kuch der pehle apne laptop me jisse usne is area ke har saarvajanik c.c.t.v camaras ko hack kiya hua tha,uske through in sabko apne ghar ke saamne aate dekh liya tha usne isiliye kaafi cool thi woh...

VERONICA-where are your etiquette guyz...kisi ke ghar bina bell bajaye ghusna...is it good...!!!

GIRL 1- sorry for trespassing in such a way ma'am...but it's urgent...

we are...

VERONICA-i know kaun hai aap...???

GIRL 1-toh ma'am aapko hamare saath chalna padega...

VERONICA-naa jaaun toh...

GIRL 1-then we will insist ma'am...

apne jacket ko halka sarkaya usne jispar uske kamar me khonchi gayi hand gun dikhne lagi thi aur ye dekh VERONICA ke kadam uski taraf badh gaye...

dikhane ke liye toh woh ladki aur baaki sabhi normal hi the par VERONICA ko apni taraf aata dekh andar se fath kar chaar ho chuki thi un sabki...

pahunch chuki thi VERONICA us bandi ke theek saamne aur tabhi...

SOOBHH...

bijli se bhi tez aage badhe the VERONICA ke haath jisse samne khadi ladki theek se dekh tak nahi paayi thi...

aur woh jab tak react kar paati, VERONICA ne uske piche khadi ladki aur uske saath khade ladke ko unke shoulders se pakadte hue side wall ki taraf sarka diya tha...

VERONICA-ye ek crowded colony hai...aise darwaze ko gher kar khase rahoge toh shak hoga logon ko...

isiliye keep distance and clear the front view...

and you, dialogue repeat karo...

GIRL 1-sorry what...!!!

VERONICA ke hand movement ki speed se abhi tak man me hadbadayi hui thi woh ladki...

VERONICA-agar mai naa jaaun toh kya karogi tum...

GIRL 1-i will insist ma'am...

VERONICA-arre ussi style se bolo naa jaise last time bola tha...

VERONICA ki is baat se halka shak paida hua us girl ke dimag me joki agle hi pal jab usne apna haath apni kamar par liya toh sach nikla...

uski gun gayab thi wahan se...!!!

GIRL 1-meri gunnnn...???

VERONICA-here...

theek maathe par us girl ke ussiki gun tika di thi VERONICA ne jispar us girl ke saath saath baaki sab ki gighi bhi bandh chuki thi...

VERONICA-tactical technique and battle ka basic rule"distract and attack" hi bhul gayi tum...poor...

secondly,mujhe kisi bhi tarah saath le jaane ke liye ye jo tumhare org ki 50 vehicles ka kharcha kiya hai naa tum sabne,ye bhi idiotic hai aur saath me stupid bhi...

gaadiyon ki ek dusre se doori aur unki parking angles dono mismatched hain...work on it...

ye bhi dekh liye tha VERONICA ne aur isiliye hi first laptop glimpse ke baad smile kiya tba usne...

wahin uski baat sun mooh aur dimag puri tarah se khul chuka tha un sabka...

GIRL 1-sorry ma'am... we were just following the orders...

VERONICA-following the orders... blindly...kaafi kuch badal gaya...

ek lambi saans chhod khudse hi ye baat kahi thi VERONICA ne...

VERONICA-ye lo...

gun giving mode me hold kar li thi VERONICA ne jispar face par relief liye gun wapas le liya us girl ne...

GIRL 1-thanks ma'am...

VERONICA-do baatein...

pehli,tumhare bhale ki aur dusri,har kisike bhale ki...

tumhara hand gun...9 mm SIG 365...close and fast gun fight ke liye theek hai but aise hold me rakhna is not safe...

gun aisi ho jo body me lage toh feel ho...

GIRL 1-thanks ma'am...mai dhyan rakhungi...

VERONICA-wait here...i will change and come...

MA'AM woh dusri baat...sabke bbhale kki...!!!

piche khada banda tha ye jiski baa sun uski taraf thoda aage badhi VERONICA aur...

VERONICA-jab saamne VERONICA ho toh baat hamesha request mode me honi chahiye,order mode par nahi...

jahan is nahisat/warning ke baad VERONICA palath aage badh gayi wahin mooh se toh koi kuch nahi bola tha par uski baat sun ek shabd un sabke man se ek saath nikla tha...

WOW...

khair,kaun hain ye log aur yahan VERONICA ko kahan le jaa rahe hain...???matter kya hai...???

kaun hain ye log,ye sawal baad ke liye aur VERONICA ko kahan le jaa rahe hain...ye sawal agli mulakat ke liye chhod dete hain...

par agar baat karein matter ki toh kuch der pehle news par bataya jaa raha"BREAKING NEWS"hi matter hai...

kya...ye jaanane ke liye 2 din piche chalte hain...or to be precise exactly 60 hours back...





CITY-JAMMU & KASHMIR

PLACE-CHENANI-NASHRI TUNNEL





BOOM....

KRRCCHHHH...


tunnel road ke theek beecho beech dono taraf ek explosion hua tha...

explosion ke hote hi line se aa rahe gaadiyon ke kaafilon ko sudden brakes apply karna pada tha...

kul 16 gaadiyan thi jo suddenly rukne ke baad wapas aage nahi badh paayi thi aur reason bhi obvious tha...

impact explosion ka zyada nahi tha par dhamake se paida hua dhuan itna zyada flared tha ki dono taraf se hi tunnel ka roof tak uske dhuen se dhak gaya tha...

sight bilkul opaque ho chuka tha...aage badha nahi jaa sakta tha par aise condition me un gaadiyon ke kaafile jis chiz ke liye trained the,uspar woh sab turant amal kar chuke the...

un 16 vehicles me se 3 big CONTROL BUSES thi...wahin baaki ki 13 vehicles joki un control buses ko aage aur piche se ghere hue thi,woh ARMY carriers the...

saamne ki taraf 5 the famous "VIPER" thi followed by 2 tata merlin LSV...piche ki taraf 3 LSV,ek VIPER aur aakhir me thi mahindra ki 2 armoured MEVA STRATON PLUS...

deadly combat vehicles jinka ghera todna asaan nahi tha aur aise tunnel point par toh bilkul bhi nahi...

khair,dhuen ke ghera dekhte hi saamne aur piche waale vehicle's me baithe 90 percent soldiers gaadiyon se utar ek secure point par attack position lete hue baith chuke the...

itna toh woh sabhi samajh chuke the ki ye ek planned attack hai aur kyun hai,iska reason bhi woh bhali bhaati jaante the...

aakhir ussi reason ki wajah se toh special combat battalion force ke woh chuninda 30 soldiers jo 100 logon par bhi bhaari thi,yahan moujud the...

dar bilkul bhi nahi dikh raha tha un sabke faces par...ek dridhta thi jiske saath saansein roke halki si bhi awaaz par apne gun se jawab dene ke liye position liye hue woh sab...

aur tabhi...

THAKK...

THHHA,THAAA,THAAA...

saamne aur piche,dono taraf se hi halke jumps ki awaaz aayi thi jisse sun satik disha me apni apni firing khol di thi sabne...

bina kisi vision ke bhi perfect shots liye the sabhi soldiers ne par unhe kya pata tha ki ye perfect shots unke liye kaal saabit honge...

THAAA...THAAA....THAA....THAA....THAAA....

kahan dum saadhe soldiers khudko hidden rakh apne dushman ki position samajhne ne lage the par us aahat se apni firing
khol un sabne apni hi exact location clear kar di thi...

ek aise dushman ka samooh jinki capabilities unparalleled thi aur is baat ka saboot un sabne agle 10 seconds me diya...

exact 30 rounds ki bullet firing hui jiske chalne ke agle hi pal woh 30 soldiers apne apne sir par hue suraakh ke dard ko jhelne ke beech bhi aankhon me hairangi liye neeche gir chuke the...

REASON...

shot unhe saamne se nahi balki upar,tunnel ke walls se hua tha...

you heard it right...wall se...par kaise...!!!???

TRANSPARENT RUBBER VACCUM SUCKER STRONG SUCTION CUPS...

waise toh ye chiz bathroom me hanger ki tarah chipkayi jaati hai par yahan tunnel walls par lage rehne and most importantly,ek adult human weight ke wazan ko jhelne ke liye is suction cups ko innovate kiya gaya tha...

pehli chiz toh un cups ki size aur unke hold bars ko bada banaya...

uske baad taaki woh cups walls par kisi bhi wazan ke saath sticky rahe,iske liye POLYVINYL ACETATE naam ke strong sticky chemical se bane glue ki madad li gayi...

walls par ussi glue ki madad se woh suction cup non detachable ban gaye the...

tunnel walls white colour ke the aur ussi colour ke silk clothe se khudko cover karne ke beech woh 10 nakabposh wall se aise chipke hue the ki dekhne waale ki nazar kabhi bhi kisi insaan ko detect nahi kar sakti thi...

khaaskar kar ke tunnel me jahan ek toh koi bhi tunnel ki chhat ko dekhta hi nahi hai aur dusri agar galti se nazar chali bhi jaaye toh kyunki har banda yahan moving vehicle me hota hai isiliye roof se halki neeche nikli chiz design se zyada kuch lagni hi nahi thi...

isiliye woh hua jo hua...kahan soldiers apne dushman ko aage aur piche anticipate kar rahe the par unhe pata hi nahi chala ki mout unke aage aur piche nahi balki sir par thi jisne neeche utarte hue un sabko hamesha ke liye sula diya tha...

all the 30 combat soldiers were dead...ab bas har gaadi me baithe 2,2 soldiers ki bache the joki ab bhi vision blind the...

dhuen ka cloud ab bhi sabhi gaadiyon ko ghere hue the jisko wajah se dushman ke silencer lage guns se chali goliyan ka pata aur unki wajah se hua anjaam unhe pata hi nahi tha..

KNOCK KNOCK...

har gaadi me ek saath knock hua tha jiske baad bahar peep kiya soldiers ne...dikh toh kuch khaas raha tha nahi tha par phir bhi apni wardi ki jhalak dekh andar se locked door khol diya un sabne aur tabhi...

THAKK... THAKKK...
THAKKK...

ek baar phir silencer ne bina awaaz kiye hi aag ugla aur agle hi pal defense ki sabhi gaadiyon me moujud soldiers shahid ho chuke the...

KHATTT...MISSION COMPLETED...

chhatthe dhuen ke beech jahan ek taraf soldiers ke kapde pehne ek nakabposh ne apne haathon me hold ki wireless radio par message bheja tha wahin is beech dusri taraf baaki ke nakabposhon ne beech me khadi secured vehicles as in CONTROL BUSES me baithe aadhe se zyada guards jinke haathon me guns thi,unhe shoot kar diya tha...

baaki bache chand guards ko woh sab ghasitate hue bahar le aaye the...

they all were on there knees now...un sabhi guards ke back head par apni apni guns tikaye saare nakabposh bade araam we khade the...

india ke sabse bade tunnel ke beech hone ke baawjud tention thi hi nahi kisiko aur reason bhi obvious tha...

jammu kashmir highway ke beech bana tha ye gigantic tunnel aur jin do jagahon ke paas bana tha...

wahan 3 din pehle inke hi CABAL ne fake bomb blast karwaya tha...ab fake aur ya real...par in vaadiyon me bomb blast ka pehla reaction ek hi hota hai...

restrictions and quarantine...yahi wajah thi ki aaj is taraf tunnel me civilians ki awaajahi bilkul nahi thi...

aur kyunki pehle hi army ka ek elite group ek transfer mission ke tahat yahan se guzarne waale the isiliye aas paas extra army aur police patrolling nahi thi...

khair,apni mout ko feel kar jahan ek taraf man hi man kaamp rahe the saare guards wahin dusri taraf unke piche khade sabhi nakabposh apne apne trigger dabane hi waale the ki tabhi...

CHHRRRR...

ek red ASTON MARTIN DB11 badi tezi se pahunchi wahan aur drift sa maarti hui un guards ke paas ruki...

car ke rookte hi door open hua uska jiske baad jaise hi andar baithe shaksh ne apne kadam bahar nikaale,guns aur ghutne saare nakabposhon ke turant hi neeche hone lage the...

sab apne sir jhukaye kneel down position me aa chuke the...

aur woh shaksh...kya kahun uske baare me...!!!

kadh zyada nahi... somewhere between 5.7 and 5.8...sharir par sabse pehle ek silk par ubhri hui white shirt jiske top button portion me ek ulta white mask design kiya gaya tha...

shirt ke upar usse bhi ujli furry gunslinger jacket with a hoodie cap to go with it jisne is waqt us shaksh ka 90 percent se bhi zyada face chhupaya hua tha...

neeche safedh colour ki stripped leather jeans jisme 10 khaane bani hui thi...har khaane me kisi na kisi combat me use hone waala hathiyar tha...

pairon me woodsman waale lambe aur usse bhi zyada nukile shoes jinse paida hone waali sound kisi ke bhi man me dehshat paida karne ke liye kaafi thi...

ye jagah mere baap ki hai...kuch aise hi attitude se chal raha tha woh shaksh jiski manzil filhal saamne khadi pehli control bus thi...

THAKK...THAKK...THAKK...

chalte hue us shaksh ke kadam jaise hi first kneel down hue gaurd ke sidh me pade toh ek khaas andaaz me apni ungli ko hilaya usne aur uske aisa karte hi woh guard zameen par tha...

piche jhuke nakabposh ne piche se sir khol diya tha us guard ka...

aur phir ye silsila ruka nahi...us anjaan shaksh ke kadam jaise jaise aage badhte chale gaye,uske side me baithe guards ki dead bodies zameen par girti chali gayi...

KOI FAAYDA NAHI HOGA...

chalte hue woh anjaan shaksh pehle control bus ke paas pahunch uska bolt ghuma usse pura khola hi tha ki tabhi aakhri guard jiske sir bhi goli se khulne hi waala tha,himmat karkar apni baat boli usne jispar turant haath upar uth gaya us anjaan shaksh ka...

aisa hote hi guard ke piche khade nakabposh ne apna gun hold kar liya tha...

kuch kaha nahi us anjaan shaksh ne...bas apna chuppa sir aur gardan halka us guard ki taraf kiya usne jispar apni himmat batori us guard ne aur...

GUARD-maine kaha koi faayda nahi hoga...apne maksad me kaamiyab nahi ho paaoge tum log...

pure aatmvishwas ke saath kahi thi ye baat us guard ne jispar is baar uski taraf pura ghum gaya woh unknown shaksh aur agle hi pal uske haath uski hoodie cap ki taraf badh chuke the...

hoodie cap hata liya tha apna us shaksh ne aur aisa hote hi jahan ek taraf baaki saare nakabposhon ne apna sir ek baar phirse jhuka liya tha wahin dusri taraf us shaksh ka face saamne aate hi guard ki aankhein hairat se badi ho chuki thi joki obvious bhi tha...

REASON...

saamne banda nahi,ek bandi thi...dudh jaisa gora rang liye apne mid forties ko touch karti ek lady...

waise chamak aur noor kuch aisa tha us aurat ke face par ki college girls bhi usse dekh aahein bhare...

guard ka bhi kuch aisa haal zaroor hota par aisa hua nahi...kyunki face jitna khubsoorat tha us aurat ka, aankhein utni hi paini aur kroor...

insaan ke roop me sherni jaisi personality thi us aurat ki...

chehre par koi ghussa ya napasandi nahi...

ek ajeeb aur negetive sa thairav...ek chilled personality ki vibe aa rahi thi us aurat se jisse dekh us guard ko apne backbone me thand mehsoos hone lagi thi...

khair,kuch seconds dekhti rahi woh lady us guard ko aur phir...

LADY-kyun lagta hai tumhe aisa...!!!???

uffff...uski awaaz...us band tunnel me dheere se boli gayi woh baat bhi jaise hazaar baar amplify hokar us guard ke kaano se hote hue uske dil aur dimag ko ghus chuki thi...

ek alag hi negetive feeling mehsoos ki thi us guard ne apne andar jisse kisi tarah dabate hue apne face ko wapas confidence se bhara usne aur...

GUARD -adha jawab toh tumhare saamne hi hai...baaki ka adha mai clear kar deta hun...

gaadi ke andar tumhare saamne jo vault hai, it's no ordinary vault jisse kaat ya phir explosives se udaa sakte ho tum...

it's FORT KNOX LEGEND VAULT...jahan ye VAULT aur iske andar rakha PLATINUM jaa raha hai, AMERICA,wahan ke har major security ka leading security system ka main part hai ye vault...

2/4 steel body...teen tarah ke bodyprotection...its comprised of layer carbon shield, stainless steel and ar500 steel...

world's maximum theft and breach protection against cutting and torching...

saath hi saath 55 rack and pinion matching machine gear jo is vault ke opening locks ko bina sahi password ke untouchable banata hai...

guard ke baaton ke beech bus ke beechobeech rakhe grey colour ke us 10/8 bade se vault ko dekhne ke baad us lady ki nazar wapas guard ki taraf gayi jo ek confident look ke saath usse hi dekh raha tha...

GUARD-so basically,it's like a shield that is impenetrable...no human has ever breached it...

upar se all the three vaults are joint with the bus surface isiliye trolley bhi nahi kar sakte tum isse...

par agar maan lo ki agar ki kisi tarah tumne is vault ko khol bhi diya toh bhi faayda kuch hoga nahi...

kyunki hours lagenge is ek vault ko open karne ke tarike ko figure out karne ke liye jo tumhe milne waale hain nahi...

kyunki ek extra feature kal hi add kiya gaya hai isme...woh ye ki raaste me jaise hi anybody touches it,toh iske front section ke andar bana danger alarm activate ho jaayega...

40 minutes...you will be surrounded by the police and army guys...

wahan woh guard baat kar raha tha aur yahan us lady ne apne haath me bandhi APPLE ULTRA jisse khud modify kar usne extra productive and tecno savy bana diya tha,guard ki taraf kar kuch buttons push karne ke baad apne haathon ke neeche kar liya tha...

LADY-pardon me...kya keh rahe the tum...???

GUARD-bottom line... vault ke andar rakha ek bhi platinum piece nahi nikaal sakte tum log...

so run back to the hole from where you all came from...

KDHCHH...

GUARD ki baat sun uske piche khade nakabposh ne ek baar phirse apne bandhuk ki naal uske back head par laga diya tha...

he was about to shoot him par tabhi us lady ne apna haath upar kiya jispar haath wapas neeche kar liya apna us nakabposh ne...

LADY-iski saanson ki dor tootne se pehle iske bharose ka tootna zaroori hai...

so kya keh rahe the tum...bahar kuch nahi nikaal sakte...right...!!!par andar toh daal sakte hain naa...!!!

us lady ki baat sun aakhon me sawal ubhar aaye the us guard ke jispar halki smile ke beech apne haathon ko move kiya usne...

agle hi pal jahan ek taraf woh lady bus ke andar vault ke saamne thi wahin dusri taraf guard ko nakabposh ne usko gardan se pakda aur push karte hue usse saath liye bus me chhad gaya...

vault ko dhyan se dekhne ke baad ek halki smile ke beech apne combat pant me bani dheron jebon me se do me apne dono haath daale us lady ne...

aur agle hi pal medium size glass tubes me covered 2 solid aur liquid state ke chemicals bahar nikaale usne...

par dark yellow colour waali liquid ki tube solid state waale chemical ke tube se thodi badi thi...

uske baad apne back jacket ke pade se pocket me haath daala usne aur jab woh haath bahar aaya toh usme ek 1 feet lamba metal ka thin pipe jaisa kuch tha...

LADY-what was your subject in the college...???

GUARD -ssorry wwhat...???

LADY-subject...hindi me kya bolte hain...!!!haan,vishay...

GUARD -polytechnic...

LADY-aahh... science... great...matlab chemistry ke basics nahi batane padenge tumhe... infact,you are gonna be my describer for my people here...

so, batao mujhe,kya hai ye dono cheez...!!!

guard ke paas pahunch un dono polithins ko uske face ke aage kiya us lady ne...

GUARD-molten salt...!!!

LADY-very good...aur yeh...!!!

GUARD-some kind of oil...!!!

LADY-i will give you that...it's synthetic oil...

and finally,ye metal pipe... what's this...!!!???

GUARD-ye toh ek portable thin heat pipe hai...

LADY-bingo...but to be precise it's a copper/methanol most heatcrafted heat pipe...

ek aur cheez chahiye hogi hume...there it is...

wahin side me kisi guard ki kinley water bottle rakhi thi jisse utha kar le aaya us lady ne...

LADY-now practical time...

pata hai,waise toh ye molten salt, synthetic oil,ye and water...apne apne ordinary kaam hain inke par agar inhe saath me laaya jaaye toh ek kamaal ka jaadu karte hain ye...

and you are lucky... woh jaadu dekhne waale ho tum...

wapas us impenetrable legend vault ke paas pahunch chuki thi woh lady jiske baad vault ke centre me bane ek 5 m.m hole ke saath apne haath me pakde heat pipe ki width ko compare karne lagi woh...

ye 5 m.m hole actually vault ke dusri taraf lage alarm se connected tha...

but the most important thing was ki us hole me fit in ho sakta tha woh heat pipe...

ek second us pipe ke beech se nikle holes ko dekha us lady ne aur phir paathi maar kar wahin vault ke saamne baith gayi...

baithne ke baad molten salt waale tube ke knob ko open kar uske mooh ko jisme chemical pour out karne ke liye sharp jagah banayi gayi thi,usse heat pipe ke chhed par dheere dheere palatne lagi woh...

kuch hi seconds me tube ka saara molten salt heat pipe ke andar tha...

ab baari thi synthetic oil ki jisse molten salt ki hi tarah us lady ne pipe ke tiny hole me daal diya tha...

salt aur oil daalne ke baad pipe ko aise swing karna shuru kiya us lady ne jaise dono hi chemicals ko ek dusre ke saath mix kar rahi ho...

kuch der tak pipe swing karne ke baad water bottle ka dhakkan khol uske andar ka paani bhi pipe ke andar daala usne...

uske baad pipe ke dono siron par haath rakh ek baar phir usse shake kiya us lady ne aur jab woh mixture se santusht ho gayi toh apne jacket me haath daal ek lighter nikaal liya...

LADY-magic time...

TKKK...

CLICK...!!!

GUARD -your 40 minutes has begun...

apni baat bol us lady ne VAULT ke beech bane hole me heat pipe ke front edge ko daal diya tha aur uske aisa karte woh hua jiske baare me guard ne pehle hi bataya hua tha...

VAULT ke andar se ek click ki awaaz aayi joki asal me alarm sound ke activate hone ka sanket tha...

jahan us loud click ki awaaz ko sun guard ke face par muskaan naach uthi thi wahin dusri taraf LADY ko toh jaise us click ki awaaz se koi fark hi nahi pada tha...

haath me gloves chadhane ke baad heat pipe ke aage waale sire ko vault ke hole me daalne ke baad apni lighter on ki usne aur uski lou ko pure pipe me ghumane lagi...

copper/methanol waala woh pipe aag ke touch me aate hi jaise jaag utha tha...

pipe ke andar heat se banane waali redness bas kuch hi seconds me aani shuru ho gayi thi aur aisa hote hi science ka chamatkar shuru hua...

pipe ke andar ek dusre ke saath ghutham gutha hue molten salt, synthetic oil aur paani bahar se mil rahe heat ko absorb kar conduction aur convection theory ko prove karte hue "HEAT TRANSFER FLUID" me badal chuke the...

us heat pipe se hote hue synthetic oil, molten salt aur water se bana naya chemical badi tezi se flow hote hue vault ke sabhi lock code holes me ghusta chala gaya...

ye jo mixtured chemical ka heat tha,normal aag ki garmi se kayi guna zyada heat paida kar raha tha and that too in a moving state...

like a free flowing lava...

yahi wajah thi ki vault ke open and shut system ke saare codes badi tezi se vibrate hone lage aur DHABBBBB...

just 3 minutes...

VAULT combination area me ek dhuan sa utha jiske agle hi pal bina kisi awaaz ke vault khul chuka tha...

GUARD -its impossible...!!!

vault ko itni jaldi khulte dekh mooh pura khul chuka tha us GUARD ka aur ye dekh halki si smile naach uthi thi us lady ke face par...

LADY-why do you look shocked... GALATH nahi kaha tha tumne...

you were right...still,no human has opened this vault...because we are G.O.D...

muskurate hue apni baat bol bus se utarte hue next bus ki taraf badh gayi thi woh lady aur phir kuch minutes ke baad same kaam phir kiya usne...

mahaz 10 minutes ke andar andar teeno LEGEND VAULTS ke lock khul chuke the...

is beech pehle do vaults me rakhe saare platinum CORPS nikaal chuke the...

ye kaam bhi asaan nahi tha...itne saare platinums ko agar koi aur group nikaalne jaata tha aadha ghanta pakka lag jaana tha par CORPS ki furti ek alag hi level ki thi...

bas 15 minutes ke andar andar hi teeno VAULTS me rakhe platinums nikaale bhi jaa chuke the aur saath hi saath us lady ke baad uske car ke piche aakar ruki 2 trucks me load bhi kiye jaa chuke the...

LADY-ye tumhara pehla transfer mission nahi tha naa...

GUARD-nnahi... it's my 25th...

apna kaam pura kar woh lady wapas us guard ke saamne aakar khadi ho gayi thi...

us guard ko bhi an apni mout honi pakki lag chuki thi jo uske brain ne accept bhi kar liya tha...

par abhi abhi jo impossible kaarnama chand minutes me hi possible kar dikhaya tha us lady ne,woh bhi sirf basic chemistry ka proper use karke,aise bejod intelligence ko dekh ek alag hi kism ki bejod dehshat feel karne laga tha woh...

us lady ke face par abhi bhi halki si smile thi par uski aankhein...itni zyada kroor thi uski aankhein ki shrinagar jaisi jagah thandi jagah ke TUNNEL me,jahan raat ko thand doguni ho jaati hai,wahan hone ke baawjud bhi uska pura sharir paseene se bheeg gaya tha...

is beech guard piche khada corp,infact sabhi corps ko jaane ka ishara kar chuki thi woh lady jispar turant amal hua tha...

un trucks par hi baith sabhi CORPS nikal chuke the...

tunnel ke is area me filhal woh lady aur guard hi bache the...

LADY-ye baaki saare guards permanent the but you...you were temporary...indian army me is region ke shield amd5 armour transfer battalion ka hissa ho tum...infact you are the leading officer...right...!!!

GUARD-how...!!!how do you know...???

LADY-simple maths... guards ki line ke aakhir me the tum... matlab sabse pehle nikaale gaye the...

woh position sirf uski hoti hai jo aise important transfer missions ko lead bhi kar raha ho aur guide bhi...

kapde tumhare filhal bhale guards ki tarah hi hain but your shoes...they represent your army...

anyways,wanna live...!!!

GUARD-what...!!!

achanak puche gaye is sawal se kaafi hadbada gaya tha woh guard...

LADY-i asked,wanna live...bas ek sharth and you will live...

GUARD-ye jaante hue bhi ki mai ek soldier hun, mujhse apne desh ke saath gaddari ki ummid toh nahi kar rahi tum...

it will never happen...

LADY-chizen hamesha GALATH hi predict karte ho tum... mujhe tumhari gaddari nahi, tumhari haami chahiye...

GUARD-mai samjha nahi...

LADY-its you family right...!!!

GUARD-yyeh...tumhe kaise...!!!???

apne smart watch ke display ko us guard ki taraf kiya us lady ne jispar nazar padte hi aankhein badi hoti chali gayi us guard ki...

reason...

watch ke display par do i.d's show ho rahe the...yeh i.d.'s aur kisike nahi balki us guard ki biwi aur 10 saal ki baby ke the...

(NOTE:-kuch der pehle us lady ne apne watch ko guard ki taraf uska info gather karne ke liye hi kiya tha...

SION,JUMIO aur MEMBERCHWCK we kayi behter ek behadh hi advanced I.D.V as in identity verification software se lais tha us lady ka watch jisse usne khud hi code kiya tha...

naam..the obvious..

G.O.D'S VIEW...

is.G.O.D SEARCH software se kisi ke bhi face ke through uski complete identity kuch hi seconds me show ho jaati thi...aur ek baar identity verify ho jaaye,uske baad us i.d se close ones ka i.d track karna is very easy jo us lady ki watch ne kar liya tha...)

khair,us guard/soldier ke confused aur dare hue face ko dekhne ke beech apne watch ko neutralize kiya us lady ne aur...

LADY-now here's what you have to agree on...i will spare your life but for that, your family has to die...

tumhari biwi and more importantly,your daughter...and don't worry, trivandrum se ho naa tum...jab tak tum ghar pahunchoge,un dono ke antim sanskaar tak ho chuke honge...

unki dead bodies ko dekhne se milne waale shock se bach jaaoge tum...

GUARD-you bitch...

DHAKKK...

LADY-khade hone ke liye nahi bola maine...

us lady ko hit karne ke liye khada hua hi tha woh guard ki tabhi ek down 360 degree angle par ghuma us lady ka pair...

BISCEPS FEMORIS...ghutne ka back part...yahin direct hit kiya tha us lady ne jispar aisa feel hua us guard ko jaise uske pair ko sudden paralytic attack aa gaya ho...

turant back on knees par aa chuka tha woh...

pair uske shake kar rahe the par usse bhi zyada hila hua tha uska dimag...

LADY-so...what's it gonna be...!!!???who will live...you or your family...!!!

GUARD-my family...kill me...

LADY-cool then...ye lo,shoot yourself...

apne back belt area me rakha golden FN FIVE-SEVEN hand gun us guard ke saamne fekh diya tha us lady ne jisse kaampte haathon se utha liya us guard ne...

is beech woh ye bhi samajh chuka tha ki kya karna chaah rahi thi woh lady...

aatmahatya... suicide...indian army me kisi soldier ka aisa karna puri army ke liye ek sharm shaar baat thi...

pehle PLATINUM ki chori aur ab ye suicide...bina chhue hi army ki potential aur ethics,dono par thappad maar rahi thi woh lady...

LADY-sochna bhi mat...shoot toh door ki baat hai,agar gun ka point bhi meri taraf hua toh tumhare marne ke baad tumhari family bhi nahi bachegi...

jo us lady ne kaha tha,dimag me wahi chal raha tha us guard ke jo ab uski dhamki ko sun gayab bhi ho chuka tha...

LADY-15 minutes me police and army yahan hogi... shoot yourself fast...aur haan,sir par nahi,chest par...slow death ka maza hi kuch aur hai...

THAAAA....

LADY ki baat puri hui hi thi ki tabhi apne chest par gun point kar khudko shoot kar liya us guard ne...

tadapne ke beech neeche gir chuka tha woh aur ye dekh smile ke saath baithi uske paas LADY aur...

LADY-relax...kuch hi der ki baat hai...har tarah ke dard se mukt ho jaaoge tum...aur haan... akele nahi ho tum mout ke safar me...

bohot jald your wife and your daughter are gonna join you...i promise...

us lady ki baat sun beintehaa dard ke beech bhi aankhein badi ho gayi us guard ki...

GUARD-bbbut wwhy...!!!jjo ttumne bola,mmaine kkiya...

LADY-aur mai woh kar rahi hun jo mujhe karne ka man kar raha hai...

the thing is ki jab jab mujhe koi challenge karta hai naa toh...




mere andar ke G.O.D me ek DEVIL band hai,woh AZAAD HO JAATA HAI...


muraaden bhagwan ke aage puri hoti hai,par us DEVIL ke aage bekar har FARIYAAD HO JAATA HAI...

sirf harane me mat rook,aur aage badh,chillata hai mere andar woh shaitan...

sukoon usse tab hi milta hai jab chunouti dene waala har tarah se BARBAAD HO JAATA HAI...









AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Magnificent update bhai
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

BP high

Active Member
755
1,096
123
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF CHENANI-NASHRI TUNNEL ME G.O.D PLATINUM KI CHORI KARTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF VERONICA KE GHAR USSE LE JAANE KE LIYE KUCH SUSPICIOUS LOG AATE HAIN.

AB AAGE:-


CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-97

DATE-22ND MARCH


CITY-DEHRADUN

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE




HEY...

DIMPLE thi mere saamne jo jahan ek taraf mujhe typical cook outfit as in apron odhe aur kadchi haath me liye dekh halki hasne lagi thi wahin dusri taraf itni jaldi use yahan dekh halka surprise hua tha mai joki laazmi bhi tha...

darasal finally aaj last paper ke saath hamara board exam khatm ho chuka tha...

kaafi khush the hum sabhi aur exams pure hone ki khushi me celebrate karna chahte the...

bohot si party venues ki baat hui par jaise hi DIMPLE ke mooh se MAA ke haathon ki CHETTINAD CHICKEN nikla toh sab apne apne suggestion completely bhul gaye...

par ek problem thi...MAA kisi official kaam se parso bahar gayi thi aur ab tak nahi louti thi...

jaise hi ye baat sabko pata chali,mooh sada liya tha har kisine isiliye i decided to cook the dish myself...

pehle toh is baat par mera khub mazak udaya kamino ne par mana bhi nahi kiya...

upar se CHETTINAD CHICKEN ke saath saath butter naan,rumali roti ,rice,daal fry,paneer pasanda aur desert me meri apni special caramal custord ki demand bhi aise de daali jaise ghar nahi dhaba aa rahe hain saale...

is baar bakne ki baari meri thi par saath hi saath mana maine bhi nahi kiya...

khair,9 baje ka time diya sabne par do ghante pehle aa gayi thi DIMPLE toh aise me surprised toh hona hi tha mujhe...

MAI-hey...itni jaldi...!!! dinner aaj kal 7 baje karne lagi ho kya...???

DIMPLE-nahi...woh maine socha ki kaafi saare dishes banana hai tumne so i should help you...

MAI-really...!!!

DIMPLE-aisa kyun bol rahe ho...???

MAI-dishes saare indian hain naa...

DIMPLE-toh...!!!

MAI-toh i thought ki tum sirf pancakes aur us type ki foreign recipies hi banati ho...

DIMPLE-hawww...that's a praise sugarcoated insult...ab toh dinner mai hi banaungi...

MAI-haan...taaki baad me gaali me khaaun...!!!

DIMPLE-what the fuck...!!!ab toh dinner mai hi banaungi...

aage kuch suna hi nahi DIMPLE ne...mere side se nikalte hue sidhe kitchen ki taraf badh chali woh par enter karte hi side hanger par lagi ek apron pehen li usne...

par apron pehente pehente hi kitchen ke beech me bane paate par rakhe covered kitchen utensils se aa rahi sugandh ko smell kar palti woh us taraf...

saare utensils ke cover hatate chali gayi woh aur aisa karne ke beech uski aankhein bhi hairangi aur taarif se badi ho chuki thi...

reason...

paneer pasanda,daal fry ke saath saath,karari bhindi, baigan ka bharta aur DIMPLE ka favourite malayi kofta bhi ban kar ready ho chuka tha...

saath hi saath baking soda aur baking powder ke saath aate ka solid batter butter naan ke liye aur gehun ka aata aur maide ke mixture se rumali roti ka batter bhi ready ho chuka tha...

bach gaya tha chicken jo is waqt marinated condition me fridge ke andar rakha hua tha...

TINNN...

ye sab dekh hi rahi thi DIMPLE ki tabhi edge par rakhe microvave ki alarm bell baj uthi thi...

darasal caramel custord bhi ready ho chuka tha jisse oven se nikaal liya tha maine...

DIMPLE-itni jaldi itna sab kuch ready bhi kar liya tumne...

MAI-last moment ke liye kuch nahi chhodta mai...

DIMPLE-phir mai kya karun...???

sad ho gaya tha DIMPLE ka face jisse dekh halki si hasi aa halki hasi aa gayi mujhe...

MAI-onion aur tomato chop karna aata hai...

DIMPLE-obvio...

MAI-do it then...woh side me baskets rakhe hain...5 bade size ke pyaaz le lo aur 3 tamatar...

DIMPLE-abhi se chicken bana rahe ho...!!!

basket se pyaaz aur tamatar dono nikaal paate par rakh chuki thi DIMPLE...

MAI-yup...CHETTINAD needs time...

DIMPLE-haan...1 se sawa ghanta right...but we have 2 hours atleast...

aur MAA ne bataya tha ki is recipe ko fresh hot hi khaaya jaata hai...

sabke aate aate chicken thanda ho jaayega aur dobara garm kiya bhi toh the taste will compramise...

MAA... DIMPLE ke moh se ye shabd sun mujhe acha laga ya bura,ye toh nahi jaanta mai par ek alag hi sukoon feel kiya tha mere dil ne...

par show kuch nahi kiya tha maine...

MAI-1 se sawa ghante tab lagte hain jab masale aur chicken ko ek saath constantly normal heat par pakaya jaaye...

par masaalon ko slow heat me alag se fry karne ke baad unhe jab half boiled chicken ke saath mix karke phir bhuna jaata hai,tab lou ko medium ki jagah dheema rakhna padta hai...

aise me gravy completely ready karne ke liye 2 ghante lag hi jaate hain...

par baaki ko dishes ko oven me reheat karna is no problem...

isiliye pehle hi ready kar liya sabko...

arre itne bade nahi...chop it to its minimum...gravy ki mithaas ussise aayegi...

onion chopping shuru kar chuki thi DIMPLE par slices thode bade kat rahe the usse...

DIMPLE-chote toh hain...

MAI-yup par baarikh nahi...let me show you...

uske haathon se chaaku lete hue bache onion ko baarik kaatna shuru kiya maine...

DIMPLE-pehle bhi pyaaz aur baaki stuffs kaaathte dekhe hain maine tumhe par the way you do it,i am always amazed...

itna tez toh aur perfectly sirf professional cooks ko cut karte dekha hai maine...

i hope ki mai bhi kabhi aisa seekh paaun...

MAI-aah it's nothing... chalo,idhar aao...

DIMPLE ki kalayi pakad usse apne saamne kiya maine aur chaaku uske hatheli me daal uski hatheli ke upar apne hatheli ki grip strong ki maine...

MAI-see the trick is very simple... chopping ke beech knife ko pura nahi uthana hai...just the back part...tip hamesha grounded rahega...

perfect aur fast cutting, chopping ki grip ussise milti hai...see...

DIMPLE ke hatheli par apne hatheli ka pressure insert karte hue jo technique maine usse batayi thi,usse apply kar onion kaatne laga tha mai...

bohot hi baarikh kat rahi thi pyaaz par usse bhi smooth garnish ia waqt DIMPLE ka dil mere body ke usse sate rehne se ho raha tha...

aur iska ehsaas mujhe DIMPLE ke head twist se hua jo usne meri taraf kiya tha...

saali kamal ki chiz hoti hai ye subconscious mind...kabhi kabhi ek hi waqt me multiple kaam itne perfectly kara deti hai jo focused rehne ke baad bhi kayi baar nahi ho paati...

jahan ek taraf back to back bina pyaaz ki taraf dekhe bhi mai unhe baari baari perfectly kaate jaa raha tha wahin dusri taraf DIMPLE ki garm saanson ke beech uski ankhon me apne aks ko dekhte hue mai uske saath bitaye apne purane sabhi dino ko dobara jeene laga tha...

aur DIMPLE...haal uska mujhse bhi bura tha...najaane kitne dino se mere prati apne saare jaazbaaton ko control karti aa rahi thi woh...

mere aas paas toh bohot baar aayi thi par itne kareeb ki meri mehek ek baar phir apne andar utaar sake,aisa hamare alag hone ke baad aaj pehli baar hua tha...

bin piye hi nasha ho gaya ho jaise,aisa hi kuch haal ho chala tha uska...

meri aankhon ko dekhte dekhte kab uski nigaahon ka safar mere honthon par aa thehra,pata hi nahi chala...

halke tharthara rahe the uske honth jiske jawab me mere honthon me kampkapi bhi apne aap paida ho chuki thi...

maathe par silwaten aise ban rahi thi hum dono ke maano uske andar moujud dimaag se fariyaad kar rahi ho ki ab toh labh ko ijaazat de de aage badhne ki...

aur is rumani kashmakash me dil alag hi gustaakhi kar raha tha...

taaki ye lamha bigde naa, isiliye bina dimag ke ijaazat liye hi mere haathon ki harkat ko khud kaabu me kiye hue tha...

pyaaz aur uske baad tamatar kab kar chuke the, pata bhi nahi chala tha mujhe...

zehen me wahi tha jo saamne tha...DIMPLE aur uska woh karishmayi rukhsaar jiski taarif me gazal nahi sajde tak padhe jaa sakte the...

haan,chumna chahta hun mai tumhe par kahin maile naa ho jaayen tumhare honth...is bewakufana soch ke saath honth mere is baar kuch zyada hi zor se thartharaye the...

par mere labon ki is harkat ke piche chuppi sacchayi aur jhijhak shayad pehchaan gaye the uske honth...

kyunki nazar ek baar phir takrayi hum dono ki jiske baad...

UFFFF...

honth uske badhne lage the mere labon ki taraf...

UHHHUHNNN...

kitchen door se ubhri thi ye awaaz...

waise is waqt agar bomb bhi faththa tab bhi naa toh mera dhyan tuthha aur naa hi DIMPLE ka aur aayi awaaz bhi zyada tez awaaz nahi thi par jiski thi,woh mere aur DIMPLE ko back to present me laane ke liye kaafi thi...

MAA...

wall par apne kandhe tika apne dono haath baandhe muskurate hue hum dono ko dekh rahi thi woh...

MAI-MAA...

hadbadate hue DIMPLE ke piche se hata tha mai...

par mujhse kayi zyada hadbadayi DIMPLE thi...kyunki jahan ek taraf mai turant MAA ki taraf badh gaya tha wahin sharm se gadhi jaa rahi DIMPLE pehle se hi finely chopped onions ko aur kaatne ke lag chuki thi...

MAA-ahaann...aise nahi...!!!

MAA ko hug karne hi waala tha mai jispar rok diya unhone mujhe...

MAA-jab saath me raho dono toh hamesha hug bhi saath hi karna mujhe...

MAA ki baat sun sharm khushi me badal chuki thi DIMPLE ki jiske baad woh bhi hamari taraf badh chali thi...

MAI-MAA...hum saath...!!!

MAA-i know...abhi ikraar waala dour chal raha hai...izhaar ka waqt aana baaki hai...isiliye hi itne intense moment me bhi interfere kiya maine...

hum dono ko hi saath lagate hue meri adhuri baat ko pura karne ke beech apna thought clear kiya tha MAA jispar ek baar phir mai aur DIMPLE dono hi uncomfortable hone lage the...

MAA-tu jaa...shelf se new plates nikaal kar dining par laga de...

MAI-abhi se...!!!9 baje aayenge sab...

MAA-kabse given time me aane lage tere dost...half an hour pehle hi tapak padenge sab langoor aur us half an hour ke liye bhi sirf utna hi waqt bacha hai...

MAI/DIMPLE-what...!!!

apne apne hand watch par nazar ghumi hum dono ki aur time dekh kar chownk gaye the hum...

8 baje chuke the jiska matlab tha ki pure ek ghante tak ek dusre ki aankhon me dekh rahe the hum dono...

damn this feeling... saala naa khud ki khabar rehne deta hai aur naa waqt ki...

khair,jahan ek taraf ghadi par nazar padte hi ek baar phir hadbadate hue turant shelf ki tarac lapka mai wahin dusri taraf DIMPLE ke paas toh koi kaam hi nahi tha...

sir jhukaye kya kare kya nahi,issi udhedbun me lagi hui thi woh...

MAA-come... help me with the recipe...

DIMPLE ki mushkil aur jhijhak MAA ne hi door kar di thi...usse apne saath liye gas waale section ki taraf badh chali thi MAA...

MAI-pehle freshen up ho jaao naa aap...

MAA-chicken banane ke baad ho jaaungi...aur sun,mere liye plate mat nikaalna...

MAI-why...???

MAA-lunch kaafi heavy le liya tha...upar se traveling...tired zyada lag raha hai aur bhuk bilkul bhi nahi...i will skip dinner...

MAI-khaali peth nahi so rahi hain aap...

MAA-theek hai naa,juice pee lungi...jab bacche chale jaaye toh mere room me le aana...

DIMPLE-MAA aapko tired lag raha hai toh ye cooking rehne dijiye...hum dono kar lenge...

MAA-tired lag raha hai isiliye hi toh tujhe saath rakha hai... to help me out...

waise bhi aur koi dish hota toh chal jaata par chettinad bacchon ko mere haathon ka hi pasand hai...

ab tu jaayega ki nazar ab bhi nahi hath rahi meri beti se...

gazab...ek aur kamal ka mitha taunt maara tha MAA ne jispar DIMPLE toh has di par mai turant nikal liya tha kitchen se...

MAA-so, you both are back...!!! re-propose ho gaya naa...!!!

DIMPLE-nahi MAA...ab tak nahi...

MAA-thank god...

MAA ki baat sun hairangi se dekhne lagi thi unhe DIMPLE jispar...

MAA-tum dono ka moment toda hi maine is thought ke saath tha ki you haven't re-proposed each other yet...

because if i am not mistaken,first kiss abhi bhi pending hai tum dono ki...

aur first kiss relationship acceptance ke baad ho,toh hi positivily memorable hota hai...

apne experience aur past ko yaad karte hue flow flow me kahi thi ye saari baat VERONICA ne par woh ye bhul gayi ki convo ke recieving end me is waqt uske bete ki future g.f thi jiske face par uski baaton ka asar kuch yun hua tha ki sharm ki ek naa utarne waali parath chadh chuki thi wahan...

DIMPLE ke jhuke hue red face ko dekh is baat ka andaza ho chuka tha VERONICA ko isiliye...

VERONICA-ek kaam kar beta... sprinkle some water over the tomatoes...

aur aisa har 2,3 minutes me karti rehna...

chicken aur masalon ke aadhe bhunane ke baad uska use hona hai...matlab time hai abhi...

continuous sprinkle se uske juices sukhenge nahi which will add to the taste...

DIMPLE-sure aunty...

iske baad dono ke beech baatein sirf chicken aur dusre khaane ki hi chizon ke baare me rahi thi...

kehte hain company jab achi ho tab waqt ka pata nahi chalta...sach hai ye baat kyunki ek dusre se baat karte kab 8.35 hue,pata hi nahi chala...

naa VERONICA, DIMPLE ko aur naahi apna kaam karne ke beech unki convo sun rahe mujhe..

bell ek baar phir baj chuki thi jiska matlab tha ki mandali hamari pahunch chuki thi...

mere liye toh ye beeta exam bhi baaki saare exams ki tarah hi tha...

par exams woh bhi board exams ke over hone ki real khushi aur relief kya hoti hai,ye un sabke excitement ko dekh pehli baar jaana aur experience kar raha tha mai aur shayad DIMPLE bhi...

kyunki hum dono ka scene hi completely alag tha...jahan baaki sab exam me zyada se zyada marks laane ke liye likhte hain wahin hum dono un ajeeb namuno me se the jinhone apne marks content aur hold me karne ke liye har exam likha tha...

MAA se sabhi mile the and as obvious,ANI mili nahi puri chipki thi...

jab pata laga usse ki MAA dinner nahi karegi and she is tired toh uska bhi dinner karne ka mood off ho chuka tha...

aakhir me MAA ki mithi daant ne hi uske mood ko thik kiya tha...

khair,kaafi masti mazak ke beech dinner serve ho chuka tha aur kyunki CHICKEN CHETTINAD MAA ne hi banaya tha isiliye bhuk sabki suddenly hi kaafi badh chuki thi...

pel ke khaaya tha sabne aur desert ke baad jab sabke peth ki gaand fath chuki thi toh kisi tarah khudko samethe hue MAA ke room me jaa unhe ek final bye bol sab ghar se nikal gaye...

DIMPLE-it was a nice evening...

main gate ke dusri taraf pahunch ek baar phir aamne saamne the mai aur DIMPLE...

MAI-hmm...aur kitni nice thi,iske proper details jaanane ke liye kaafi excited hain sab..right ANI...

ANI aur baaki sab jo is waqt hum dono se thodi door ek dusre se baat karne ka dikhawa karne ke beech hamari convo sunane ki koshish kar rahe the, hadbada uthe the meri baat sunkar...

same halaath DIMPLE ki bhi hui thi...

REASON...

un sabka hi plan tha DIMPLE ko yahan pehle bhejne ka...taaki woh aur mai thodi extra quality time spend kar saken...

DIMPLE ke 2 ghante pehle aate hi is baat ko samajh chuka tha mai...

DIMPLE-good night SANVY...

GOOD NIGHT BUDDY...

DIMPLE ke saath saath baaki sab bhi agle 30 seconds ke andar hi nikalne lage the...

MAI-it was a beautiful evening...

baaki sab nikal chuke the aur DIMPLE bhi apni car me back door ko open kar baithne hi waali thi ki meri baat sun rook gayi woh...

palti nahi woh par meri baat se uske face par aayi smile,i felt it...

DIMPLE-good night SANVY...

MAI-you too...bye...

jaa chuki thi DIMPLE jiske baad sir shake kar haste hue mai bhi apne ghar ke andar ki taraf chal pada...

MAI-MAA...mai kar lunga...you just chill...aap room me jaao,mai aapka juice lekar aa raha hun...

plates toh hum sabne hi dho liye the par kitchen ka paata messed up tha...

har baar ka tha ye... jaanti thi MAA isiliye usse saaf karne ke liye kitchen ki taraf badh hi rahi thi ki rok diya tha mai unhe...

MAA-clean up liye nahi jaa rahi mai...tere liye khaana nikaalne jaa rahi hun...

MAI-par maine khaa liya hai...

MAA-sirf adha plate woh bhi sabko dikhane ke liye...pura toh tab hi khaayega naa jab mujhe bhi thoda hi sahi par kuch khaane ke liye blackmail kar lega...

ab sir hi khuja sakta tha mai...sach jo kaha tha MAA ne...

MAA-yahin sofe me baith jaa...dono ke liye nikaalti hun...

mujhe yun dekh hamesha ki tarah mere baal bigaad diye MAA ne aur kitchen ki taraf badh gayi...

MAI-so how was your trip...aur ye kahan gaye the aap jahan network tak nahi tha...

khana aaj causal way me khaa rahe the hum dono...bas ek ek plate jisme rice,uske upar daal fry aur side me chicken aur paneer pasanda ke tukde rakhe the...

MAA ne first bite liya hi tha ki tabhi mere puche sawal ne unke dimag ko present se wapas 2 din pehle past me dhakel diya tha...




FLASHBACK:-

2 DAYS BACK...


CITY-OUTSKIRTS OF DEHRADUN

PLACE-AN EX UNDERGROUND MILITARY BUNKER







WOW...THE ARCHEN HIMSELF...SO THIS IS BIG...

un paanch logon ke saath jaise hi us underground bunker aur *** temporary base ke control room me kadam rakhe VERONICA ne toh saamne khade shaksh ko dekh smile naach uthi uske face par...

"ARCHAN"...ye koi naam nahi balki ek designation hai...ek bohot hi badi designation...details toh baad me pata chalega par abhi ke liye itna samajh lijiye ki ARCHAN post me baitha shaksh sidha central ministry ke under authority me rehta hai...

par under authority me rehne ke baad bhi kisi sudden huge decision ko lene ke liye isse permission central government se leni nahi padhti...

bas ek hi POSITION hai jo iske upar hai...ek aisi position,aisi influential rank jo central aur defence system ke neeche nahi balki unke saath chalti hai...

ussi rank holder ke permission se ARCHAN international level par bhi koi bhi faisla le sakta hai...

haan,baad me usse bhi apne order aur actions ke liye central aur defence system ko ek official reply dena padta hai par aisa woh khud nahi karta...

uske upar baitha topmost RANKER ye kaam karta hai...

anyways,the bottom line is ki is waqt us underground bunker me moujud ARCHAN kisi international V.V.I.P si haisiyat rakhta hai jisse ab tak wahan moujud logon ne bhi naa ke barabar ho dekha tha...

aur yun saamne se toh ye pehli baar hi tha...yahi wajah thi ki najaane kabse us control room me moujud har shaksh apne apne kaam me busy hone ke baawjud kaafi alert aur nervous mode me tha...

par ek second laga tha is equation ko change hone me...kyunki jaise hi us control room me VERONICA ki entry hui,saari alertness us ARCHAN ke face par dikhne lagi thi...

apne red three piece tuxedo me jiske front pocket ke neeche uska designation "ARCHAN"likha hua tha,woh 6 feet 4 inch lamba roubila shaksh VERONICA ko dekhte hi apni chair se khada ho chuka tha...

ARCHAN-it's an honour ma'am...aur is tarah se aapko bulaane ke liye sorry...

VERONICA-why are you sorry...mera yahan hona,it was not your decision...you were ordered to do it...

VERONICA ki baat guess mode ki nahi balki statement mode ki thi jisse sun kuch kehte nahi bana gha ARCHAN ko...

aur kya hi kehta... VERONICA was right...aur uska yahan hona bilkul bhi pasand nahi aa raha tha ARCHAN ko...

aata bhi kaise...jis organization ko filhal lead kar raha tha ARCHAN,it was full of brilliant minded and efficient people...

puri duniya me dhaak thi unki jiska loha world ke superpowers bhi maante the...

aise me VERONICA jaisi EX *** ka yahan hona uski aur uske org ki efficiency par ek karara tamacha tha...

par ek sach ye bhi tha ki jis din se VERONICA aur SANEEL ne *** chhoda tha,G.O.D ke cases kaafi kam ho chuke the india me...

aur jo cases the,woh bhi us cabal ke low standard maamle the jinse nipatna badi baat nahi thi **" ke liye...

par kal jo hua,usne itne saalon ki saari kasar ek baar me nikaal di thi...

kyun jo hua,woh maamla nahi kaand tha...ek international business treaty ke beech aaya tha G.O.D...

ek aisi deal jiski zaroorat india ke central ministry se lekar defence system tak ko thi...

aise me pure government ka hilna tay tha...CHENANI NASHRI TUNNEL me hue kaand ko 48 hours guzar chuke the...

par *** jiski zimmedari thi is matter ko solve karne ki,woh kaamiyab nahi ho paaye the...

G.O.D...jinke liye har kaand ek game ki tarah hota hai...they like to play with the authority... isiliye apne har kaarnaame ke baad they give 72 hours to the authority...

72 hours to solve the case or yo say,to solve the riddle...

agar aisa ho gaya jo ki next to impossible ki tarah hai toh as a prize,G.O.D us scene ko clear karke nikal jaata tha...

par 100 saal ke G.O.D'S run me aaj tak aisa sirf do baar hi ho paaya hai...

aur jisne dono baar is impossible ko possible kar dikhaya tha...woh bhi do log hi the jinme se ek toh ab raha nahi aur dusri thi wahi myth jo is waqt ARCHAN ke saamne khadi thi...

VERONICA...

yahi wajah thi ARCHAN ko mile strict instruction ki ke kisi bhi condition me VERONICA should be brought to handle this case...

VERONICA-ok then...so let's get down to the business...details...!!!

apne saamne VERONICA ko dekh beete 2 dino me jo pressure uspar aaya tha and most importantly,apne org ki nakami,ye dono hi chizen rewind mode me ghumne lagi thi ARCHAN ke dimag me jisse VERONICA ki awaaz ne tod diya tha...

paas hi ek table par rakha file utha VERONICA ki taraf badha diya usne...

ARCHAN-digital view bhi le sakti hain aap...

control room me moujud gigantic computer screens ki taraf point karte hue kahi thi ye baat usne...

par sabse pehle VERONICA ne us file ko hi khola...

TUNNEL ke jis exact location me 2 raat pehle woh vaardaat hui thi,ussike photos the us file me...

dead soldiers, guards ke saath saath us location ke har angle ki straight aur zoom in pics thi jinhe dhyan se dekhne lagi VERONICA...

un zoom in pics me TUNNEL ke roof par kayi jagah tea colour ke dhabbe the jinhe dekh ek pal ke liye aankhein choti hui VERONICA ke par phir sir shake kar smile karne lagi woh...

VERONICA-nice...isiliye soldiers dekh nahi paaye...

wahan roof par lage vaccum suckers nikaale jaa chuke the par un dhabbo ko dekh kya hua hoga,iska ganith laga liya tha VERONICA ne...

VERONICA-ye banda...he is not an actual guard, right...!!!he is a soldier...

teesre control bus ke saamne mare pade aadmi ko point out kiya tha VERONICA...

uske normal,zoom in aur bullet hit ke har angle ki pics moujud the...

ARCHAN-identified from the shoes...!!!

VERONICA-the shot...

ARCHAN-matlab...!!!

VERONICA-ye pics...zoom it on the screen...

saare computers screens ke beech baithe shaksh se kahi thi ye baat VERONICA ne jispar ARCHAN ko dekhne laga woh...

haan me gardan hilayi ARCHAN ne jispar VERONICA ke bataye specific pics ko screens par zoom karke dikhane laga woh...

VERONICA-there...shot ka impact area... it's darker then usual...

close range shooting se bhi aisa mixup nahi hota...

isne khud ko shoot kiya hai naa...!!!

sach thi ye baat jiski shinakhat ARCHAN aur uski team pehle hi kar chuke the...

par aisa karne me thoda waqt laga tha unhe but not for VERONICA...

turant sahi anuman lagaya tha usne jispar hairan hona toh banta hi tha...

aur is waqt ARCHAN ke saath bunker me moujud har kisi ke faces par shock ke expressions hi tair rahe the...

ARCHAN-how do you know that...aur ye guard nahi balki soldier hai,bataya nahi aapne ki ye kaise jaana aapne...!!!???

VERONICA-maine jaanti nahi thi bas andaza lagaya tha...

vaults ke opened door pic's ko dekhte hue halki si smile naach uthi thi VERONICA ke chehre par...

aur mere har andaaze ka core reason bas ek hi hai...the person who made this soldier kill himself but most importantly,jisne legend vaults ko araam se khola,i think i know her...

ARCHAN-what...!!! really...!!!

VERONICA-itne excited kyun ho rahe hain...!!!jo mai soch rahi hun,agar ye wahi hui toh bhi koi faayda hoga nahi...usse pakad nahi paayenge aap...

anyways,pehle mai toh sure ho jaaun..show me the video recording aur the c.c.t.v futtege...

G.O.D ke game ka main part rehta hai C.C.T.V futtege ya phir kisi bhi tarah ki video recording...

kisi bhi type ke mission ko pura karne ke baad G.O.D leaves a riddle behind...

and the time to solve that riddle is 72 hours...

riddle solve kar lo and G.O.D backs off...jo bhi mission tha,woh ground zero par wapas pahunch jaata tha...

khair,ek baar phir ARCHAN ki haami par operater ne pen drive ke through chhodi gayi ek video recording chaalu kar di aur jaise hi ye hua,ek baar phir VERONICA ke face par smile naach uthi thi...

video me dikh rahi bandi ka face covered tha...par pura nahi...eyes aur lips open rakhe the usne...

chalkar camara ke saamne aayi thi woh lady jispar halki smile ke saath...

VERONICA-so it is her...RUE...

ARCHAN-RUE...!!!THE RUE...

VERONICA-yup...SKULK...uniquewalking way...aisa yahi chalti hai bas...

guard ke kapdon me us soldier ko identity kar liya hoga usne aur apne shikaar ko maarne se zyada humiliate karne me maza aata hai usse...

And to make a soldier commit suicide,isse zyada sharmindagi uske liye kya hogi...

Yahan VERONICA apni baatein kar rahi thi air udhar screen me RUE ke details show hone lage the...

RUE...one of the top most wanted mastermind criminal...Interpol se lekar M.I.6 tak,MOSSAD se lekar R.A.W aur *** tak sabhi secret intelligence and government oriented organizations ke wanted list me naam hai RUE ka...

par naam jitna zyada bada hai, identity utni hi chhupi hui... mushkil se 10 ke aas paas hi photos available hain iske...

ek baar bhi kisi ke pakad me nahi aayi hai ye joki waqt ke saath ab aur mushkil ho chuka hai...

ARCHAN-ye toh ab DISCIPLE ban chuki hai naa...!!!

VERONICA-yup...DISCIPLE...that to of ZILLAH...

BOOM...

ZILLAH...VERONICA ke ye naam bolte hi bunker me moujud sabhi ke man me ek dhamaka sa hua tha joki laazmi bhi tha...

ZILLAH...is naam ka matlab hota hai SHADOW...aur SHADOW hi toh thi woh...

(NOTE-one of the most important character of this story)

hum umr thi ZILLAH VERONICA ki...

aur uski taarif me bas itna hi samajh lijiye ki kisi bhi secret government intelligence ke paas ZILLAH ki ek proper pic tak nahi thi...

iske impossible kaam jitne mashoor the, identity utni hi chhupi hui...

par puri duniya me ek thi... sirf ek...jisne naa sirf ZILLAH ko saamne se dekha tha balki saath hi saath usse haraya bhi tha...

VERONICA...

haan, defeating ZILLAH was not a piece of cake... infact ye kehna zyada sahi rahega ki VERONICA got lucky...

kabhi kabhi din aapka hota hai...yahi kahawat kaam kar gayi thi us din...

warna ZILLAH aur VERONICA ke combat me haalath ZILLAH se zyada VERONICA ki kharab hui thi...

lekin right moment me exact point par perfect hit and ZILLAH blanked out...

par blank hone se pehle ZILLAH ne VERONICA ko bhi uske ghutno par laa diya tha...

us battle ki gunj kuch aisi baji thi ki G.O.D me pehli baar koi bahar ka famous hua tha...

khair,ZILLAH ka naam sun jahan baaki sab chup se ho gaye the wahin VERONICA bhi uske saath hue bhindat ki yaadon me kuch seconds kho si gayi thi par tabhi...

ARCHAN-ye video recording non-audio...

RUE is speaking par there is no voice...

hamare forensic lip readers abhi tak crack nahi kar paaye hain but they are trying...

VERONICA-in which language...!!!

ARCHAN-in almost all the national and international languages...

aur ab jab hume pata hai ki it's RUE search aur asaan ho jaayega...

10 international languages me command hai RUE ka...

english, japanese, chinese, spanish,french,dutch,german, russian,italian and korean...

VERONICA-i don't think it's any of it...

ARCHAN-matlab...!!!

dusre room me baith RUE ke bole silent words ko crack karne ke liye baithe experts ko command dene ke liye aage badhne hi waala tha ARCHAN ki tabhi VERONICA ki baat sun rook gaye the uske kadam...

VERONICA-jo current languages RUE bolti hai,mai bhi thoda bohot bol leti hun...

and going by the lips,she isn't speaking any of it...

ARCHAN-toh phir...

ARCHAN ki baat jaise suni hi nahi thi VERONICA ne...screen par chal rahe RUE ki video recording ko continuously dekhne me lag chuki thi VERONICA...

uske lips par kuch yun focused hui VERONICA ki aankhein ki usse kisi aur chiz ki sudh hi nahi rahi...

agar bomb bhi foot jaata abhi us bunker me tab bhi shayad VERONICA ko fark nahi padta...

kuch aisa concentration level tha is waqt VERONICA ka...

VERONICA-its GOTHIC...

20 minute...pure 20 minute ke baad aankhein chamki thi VERONICA ki...

ARCHAN-what...!!!GOTHIC...but GOTHIC toh...

VERONICA-its a dead language...and some high rank assassins of G.O.D are master in such language...

ARCHAN-can you crack the whole thing aur we should get some help...

VERONICA-pen, paper...

turant ek pen aur paper de diya gaya tha VERONICA ko jiske baad ek baar phir RUE ka video play hua...

video ke continuous pause play ke beech VERONICA RUE ki kahi baat likhti chali gayi jo as anticipated,ek riddle thi...




dhundna asaan naa hoga kyunki...




jagah kaafi door hai phir bhi is jagah se us jagah ka VAASTA HAI...

milon door hai magar issi surang ki banawat se hi bana us jagah ka RAASTA HAI...

par raasta samajh bhi gaye toh uspar chalkar sirf jagah milegi,kendra bindu nahi...



kyunki bindu par chalna bhi is surang par chalne JAISA HAI...

sir ghumakar chowdayi dekho toh lambayi ki bhi khabar ho jaaye, AISA HAI...


all the best...hope you find what you are looking for...no dead end...











AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
Mind blowing update bhai
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in
Top