• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

ROHIT RAJ SINGH

New Member
44
99
18
mujhe veronica ka character psnd nahi arha.. Uski harkten harish ke sath aise hai jese pta nahi Kitno ke niche leit chuki Ho.. Itni aged ki Ho chuki hai banking ka kaam krti hai.. Harish jese bands ki ek movement pr Veronica ko andaza Ho Jana Chahiye tha woh Kya chahta hai uski mentality kis type Ki hai lekin aisa kuch dekhne nahi mil rha Veronica ki trf se.. Abhi jb veronica ne kaha uski(harish) beti ki dhyan rkhne le apni pehchan ke logo Mumbai me bolegi toh harish hadbada gya isse bhi Veronica ne note nahi kiya.. Ulta kiss krte -2 bachi... Kehte hai six sense hota hai lekin ladkiyon me 7th hota hai uske piche bhi koi kuch ya dekhe nazar smjh jati hai ki Kya hai uski ankhon me... Pr Veronica tharki lgti hai eda ban ke peda khana chahti hai... Woh shareef masoom ban ke harsh ke niche letna chahti hai... Aur hota mujhe Ab dikh rha hai...
Bhai aage to padho hota hai kya:winknudge:...
Sanvy ko pta chala na ki tum uski maa ko tharki bol rhe ho to..:hammer:😂😂
 

Alok

Well-Known Member
11,304
27,932
258
Waiting
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

Satvikkaushik

New Member
23
21
4
Kahani aisi likho log bar bar padhne aaye vj bhai aapki story ki tarif karte karte mere pas sabd kam pad jayege already main aapki story 10 se 15 baar padh chuka hu or es story se mujhe sikhne ko bhi bhot kuch mila hai par bhai aapne ye story bich main kyu chod di bhai main har din aake check karta hu ki sayad aaj toh aap story ke baare main kuch reply kro ge or har din nirash hoker lot ta hu bhai please ek reply toh de do yaar is story se emotions jude h hum logo ke varna koi dusri story hoti toh fark ni padta par bhai es story ko jitni baar bhi padhta hu kam hi lagta hai please bhai kuch toh btao story ke baare main koi please🙏 bhai reply jarur karna
 

Kartik kumarr

New Member
50
89
18
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF FUTURE GLIMPSE ME DIMPLE SANVY KO JAAN SE MAARNA CHAHTI HAI WAHIN DUSRI TARAF FLASHBACK CONTINOUS SCENE ME SANVY DIMPLE KO FIGHTING TECHNIQUES PAR TRAINING DENA START KAR CHUKA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-59

DATE- AUGUST 4


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS





ABBE LOUDE....!!! KAHAN GAYAB REHTA HAI TU AAJ KAL...!!!


morning essembly ke liye apne class ke line me khada hua hi tha mai ki mera swagat peeth par ek mukke ke saath shudh vaani ke saath kiya tha NITS ne..


MAI-abbe tera mooh ke ki frenchie gaandu..jab bhi khulta hai,louda hi nikalta hai...

NITS-topic mat badal chutiye aur sach bata...har shaam kahan mara raha hai tu aaj kal..

ground me thobda nahi dikha raha apna aur ghar jaao toh udhar se bhi gayab rehta hai tu...

SAM-true...pichle week se kal tak 5 ya 6 baar call kiya hai maine but har baar aunty ne bataya ki bahar gaya hai tu...

kahan ghum raha hai tu aaj kal...

RAJAT-meri baat hui thi parso phone par kamine se but bulaya toh taal diya saale ne...

SONU-ssame mmrre kko bbhi bbola harami nne...2 bbaar bbaat hui hai isse ppar hhar bbaar mmilne kko taal ddeta hai bhosdika..

MAI-abbe morning essembly ke liye jama hue hain ki inquiry essembly me...

NITS-phir baat palta be...

EKPREET-ladki ka chakkar toh nahi hai re babu bhai...

NITS-louda ladki..armaan aur lund, dono hi dheele hain saale ke...

RAJAT-armaan ka toh theek hai,lund ka detail kaise maalum be tujhe...

MAI-liya hai na kayi baar mooh me isne...khada nahi kar paaya isiliye chidh gaya hai bechara..

NITS-jo puch raha hun,batana chhod bakwas hi kiye jaa raha hai..bhosdike,lund kaatke tere hi pichwade me ghusa dunga..

MAI-tere jaise shouk nahi hai be mere..aur lugayi hai kya be tu meri jo mere where abouts jaane hain tujhe...

RAJAT-baat toh ye bhi sahi hai...aur ek baat bata,pehle bhi apne me magan hoke kayi kayi din gayab raha hai ye par tab toh kabhi sulgi nahi teri,phir aaj kyun itna fadfada raha hai tu...

MAI-aur kyun...??? cricket me sharth lagayi hogi aur haar gaya hoga chutiya...aur jaisi sulag raha hai,pakka indu eye ke loundon se haara hai ye...

SONU-hahaha..ssahi bbola bbe..ppure 1000 rrs ggaye jjo akkele llagaya ttha issne.. woh ggaye ttoh ggaye,bbhaari bbeizati kki isski un lladkon nne,wwoh alag...

MAI-ab jo boega,wahi toh paayega...har baar unke haarne me kam li hai isne un sabki..

kitni baar mana kiya maine par saala bhounkna kabhi nahi rooka iska...

ab beizati ke badle guard of honour toh denge nahi woh sab..

par maanana padega,

loundon ne ek baar me hi kya KAMAAL kar diya...

bin chhue hi iska pichwada LAAL kar diya...

HAHAHAHA...


jahan meri baat par baaki sab has pade the wahin NITS ki pehle se hi sulgi hui jhaanton me jaise aag lag gayi..

nathune phula k aur mukka mere peeth par jamaane ke irade se haath uthaye hi the usne ki tabhi...


GOOD MORNING STUDENTS.... IT'S TIME TO START TODAY'S ESSEMBLY...


CHOUBEY MISS.....assembly lene ki zimmedari unhi ki thi jisse nibhaane ke liye kuch selected students joki newspaper reading,news elaboration,food for thought of the day, explanation,pledge, GOD'S rhymes,ye saare essembly me hone waali activities karwate the,un sabke saath aakar stage par khadi ho chuki thi...

MISS ke bolte hi newspaper reading ke saath ek student ne essembly start kar di thi jiske baad baaki activities bhi run hone lagi.

theek 15th minute me hum sab essembly ka final part,national anthem gaa rahe the jiske khatm hote hi CHOUBEY MISS aur unke aage khade students stage se utar gaye..

aisa hona,sign tha hum sabka in line class ki taraf badhne ka jo hum karne ke liye palath bhi gaye the ki tabhi...


GOOD MORNING STUDENTS...

SAB-GOOD MORNING MA'AM..


PRINCI thi ye jinke stage me chhadne ka bas ek hi reason ho sakta tha aur tha bhi...

ANNOUNCEMENT...

PRINCI-it's early days for this on going academic year but there's a news,which is big...

SIRIUS as in hamare school ki history aap sabko pata hai...1921, JUNE 16 was the first day of this prestigious school's origin calander year...

but is school ka asal birth date hai 2ND OF JANUARY,1921...

that's the date when our school was registered as a learning institution...

matlab ki is academic year ke second part matlab 2nd january ko our school will hit it's century...

isiliye to honour that historical land mark,is baar ka ANNUAL SCHOOL SPORTS MEET 2ND JANUARY se hi rakha gaya hai...

CLAP,CLAP,CLAP...

PRINCI ki baat sun pura ESSEMBLY HALL tex taaliyon kk gadgadahat se gunj utha jo ye batane ke liye kaafi tha ki students kitne zyada thrilled feel kar rahe the...


PRINCI-wow..now that's some enthusiasm and that too for just the half news...

now for the remaining half,this sports meet is going to be historical..

kyunki on the auspicious occasion of school completing it's successful 100 saal, hamare beech ek guest of honour hone waale hain...

a person who has contributed a lot in making this honourable institution achieve glory on national platform..

a person jinke jaisa lagbhag SIRIUS ka har student banana chahta hai..the brightest student till now that SIRIUS has ever produced and to add,one the honourable trustee of this institution...

MR JAIDEN CHOWDHARY....

WOOOOO......CLAP,CLAP,CLAP....


excitement, thrill, anticipation..har adrenaline rush se bhar utha tha students ka brain..ek loud hoot ke saath is baar taali aisi baji ki pura ESSEMBLY HALL halka shake sa ho gaya tha..

ab baat hi aisi thi..JAIDEN CHOWDHARY...woh naam jisse admire yahan ka lagbhag har student karta tha..he was like a GOD to the students of this school...

jisne school aur phir college me beshumar naam kamaya aur phir rooka nahi..

aaj JAIDEN CHOWDHARY ka naam globally successful people's ki list me gina jaata hai...

he is a big fish aur SIRIUS naam ke samandar me toh he is like a whale jiska kadh abhi tak koi paar toh kya,match tak nahi kar paaya hai...

JAIDEN CHOWDHARY ka last SIRIUS visit 8 saal pehle ka tha which means ki current lot of students ke liye ye first time hone waala tha jab woh apne role model ko live dekhne waale the...

aise me excitement toh hogi hi..

yahi wajah thi ki announcement kar PRINCI jaa chuki thi jiska matlab tha ki students ko class ke liye head karna shuru kar dena chahiye tha, but aisa hua nahi tha..

apne apne groups me saare students bas abhi abhi mile news par hi discussion me lage hue the..

aalam ye tha ki teachers mic par kayi baar students ko class ki taraf badhne ka bol chuke the but us loud sound ko jaise students ne suna tak nahi tha...

sirf ek news di PRINCI ne aur usse aisa chaotic aalam tha...

isse saaf pata chal raha tha ki batayi gayi date,aaj se paanch mahine baad jab 2nd January aayega,toh kaisa hoga mahoul SIRIUS ka aur kya impact paida karega sirf ek naam...

JAIDEN CHOWDHARY...





IN EVENING:-

PLACE-ANUPAM GARDEN




HI...THANKS AANE KE LIYE...


ek bench par baith mera hi wait kar rahi thi new girl aur mujhe dekh ek pyari si friendly smile naach uthi thi uske face par...

par maine kuch kaha nahi, bas uske face ko dekhne laga ya phir ye kahun ki observe karne laga...


DIMPLE-kya hua..!!!???

MAI-tumhare forehead ke invisible marks checkout kar raha hun...

DIMPLE-excuse me...!!!

MAI-hmm...31st july ko tumhare face ke seriousness ka layout change hua tha which became more intense on the first of august...

par woh seriousness tension ki shakal me badla 2nd ko jisse tum pichle 3 din se chuppane ki koshish kar rahi ho but it keeps coming at your face with lines on your forehead...

DIMPLE-kya baat hai..!!??? behaviourist ka carrier pursue karna chahte ho kya future me...!!

well,i can say,you will flourish...

MAI-sense of humour shuru aankhon se hota hai aur pure face ko capture karta hai..

par abhi tumhara mazak cheeks se shuru hua par aankhon tak ka safar pura tak nahi kar paaya...

matlab physically bhale hi tum yahan mere saamne ho par brain tumhara abhi bhi kahi aur fasa hua hai...

DIMPLE-i will rephrase my words...tumhe as a behaviourist carrier banaane ki zaroorat nahi hai..

you already are one....

MAI-now you are ready..shoot...

DIMPLE-matlab...!!!

MAI-finally,apna everything is cool waala guard down kiya tumne...


meri baat par kuch seconds ka pause lekar mujhe dekhti rahi new girl aur phir...


DIMPLE-that PERFECT HIT technique with that salad slicing training...in paanch dino me mai kahin nahi pahunchi hun mai usme..

naa angles accurate ban rahe hain aur naahi hand pressure sahi baith raha hai...

uncountable tarike use kar chuki hun but square one se aage badh hi nahi paa rahi..

MAI-par frustration lagatar badhti jaa rahi hai..!!!!


meri baat par kandhe halke upar kar thoda extra neeche gira diya tha new girl ne...


MAI-new girl...har activity me first...apne reach ko naye levels tak le jaane me yakin rakhti ho tum...

har foreign aur unknown game ko apna game banaati aayi ho tum par babes,jo tum sikhne ki koshish kar rahi ho,this is a completely different ball game all together..

DIMPLE-i know...but 6 hours per day try karne ke baad bhi mai technique aur training ke base tak ko touch karne ke kaabil nahi ban paayi hun...

MAI-champ hone ke bohot se faayde hote hain par saath me ek nuksaan bhi hota hai...

brain tuning.. tuning of a winner...har nayi chiz ko crack karne ka pattern jo automatically set ho jaata hai brain me..

par jo tum mujhse sikhna chahti ho,uske liye kisi winner ki nahi,balki looser pattern ki zaroorat nahi...

DIMPLE-looser pattern..ab woh kya hota hai...??

MAI-maan lo do categories hain..ek me pilots,astronauts, doctors,engineer,sportsman, entrepreneurs aate hain aur dusre me cook, ballet,waiters, vendors, washerman (dhobi) hain...

dono catagories mese kissi ek ko maanana ho toh kisse looser catagory maanogi...??

DIMPLE-the second one...

MAI-right..!!! pehle catagory waale logon ko unke kaam ke liye extreme focus ki zaroorat padti hai par second catagory ke liye aisa nahi hota..

they take everything very causally.. phir bhi,there work, it's near to perfect..

for example valet..car ford fiesta ho ya Lamborghini...they drive and park it with supreme confidence..

jis tarah woh cars kaaththe hue,slide karte hue speedily but unharmed exact parking spots me rokte hain,un cars ke owners bhi waisa nahi kar sakte..

aur itni perfect driving skills sikhne ka vallet boys ka approach casual hota hai..

car kitni hi mehengi kyun na ho,r.p.m, displacement timing kitna hi pacey kyun na ho,unke liye,woh sirf ek car hoti hai...

same goes for waiters...apne ghar ke plates jinka rakh rakhaw hamesha steady aur ek sa hota hai,usse bhi thik se uthaane aur wapas rakhne me kabhi kabhi chook ho jaati hai humne but experienced waiters baar baar badalte restuarants ke interiors ke baawjud bina zyada dhyan diye hue bhi dish full aur without dish saare plates aise serve aur withhold karte hain maano magnet lage hon unke aur plates ke beech...

geometry compass lekar nahi baitthe we saare log aur naahi accuracy ke baare me zyada sochte hain but phir bhi perfection haasil hota hai unhe because...

DIMPLE-casual approach and completely unknown surrender..

MAI-right...


meri baat ya phir correct word use karun toh tip ko kuch kuch samajh gayi thi new girl..


DIMPLE-casual approach toh samajh gayi mai but woh second term.. completely unknown surrender...!!!

ye kaise achive kiya jaaye..i mean for me, surrender means loosing aur aisa...

MAI-kabhi hua nahi tumhare saath..i know...

but the thing is..

"the term winning triggers brain whereas term loosing hinders heart..."

DIMPLE-brain, heart!!!i don't get it...

MAI-apne dimag ko samajhti ho tum kyunki uske liye hamesha honest rahi ho,par jo tum sikhna chahti ho,uske liye tumhare dil ka tumhare body se synchronize hona compulsory hai..

that leads to the main question..

kya tum apne dil ko samajhti ho...!!!

DIMPLE-dil ko samajhna bhi padta hai,mai toh ye term hi pehli baar sun rahi hun...!!!

MAI-matlab nahi samajhti...fine,ye batao ki kya kabhi aisa situation create hua hai tumhare saath jisme aisi feelings create hui hain jo foreign hon..!!

jinhe samajhne ki koshish ki hain tumne par you have failed...

DHAKKK....


meri baat par dil dhakk sa kar gaya tha new girl ka...

REASON....

unknown feelings ke baare me woh puch raha tha usse jiski wajah se hi un foreign as in unknown feelings ne janm liya tha new girl ke dil me...

face ek second ke liye hadbada sa gaya tha new girl ka jisse dekh smile diya maine par ye dekh halki frustrate ho gayi new girl aur...


DIMPLE-whats the point of all this..waise bhi, it's the brain that matters..kyunki pure sharir ko command wahi deta hai..

MAI-aur dil surrender karta hai taaki brain commanding position ke liye qualify kar sake...

bottom line,aaj tak focus tumne sirf dimag se kiya hai,par ab dil ki baari...

training ke waqt ease your brain and just train...let your heart take control...

DIMPLE-aur kaise pata chalega ki brain nahi,heart work kar raha hai...???

MAI-fail hone par frustrate hoti aayi ho,par jab har naakamiyabi me face par smile aane lag jaaye toh samajh jaana,naa sirf heart us haar ko enjoy kar raha hai balki next attempt ke liye tumhare body ko automatically but most importantly, positively taiyar bhi kar raha hai...

DIMPLE-wow,sunane me jitna easy lag raha hai,jab deep socho toh karna utna hi hard ban jaata hai..

MAI-again it's your brain that's talking.. kyunki dimag sochta hai,dil mehsoos karta hai..

DIMPLE-and that's the main problem...ye mehsoos karna, it's not my cup of coffee...

MAI-than let's make some...

DIMPLE-really..!!!how..??

MAI-time kya hua hai...!!!??

DIMPLE-it's 6.30..

MAI-perfect..aao...

jahan apni baat bol ek disha ki taraf badh gaya mai wahin new girl bhi confused state me mere piche ho li thi...

DIMPLE-yahan kya hai...???

MAI-kya nahi,kaun..


park ke south east taraf jahan thoda aage fountain laga hua tha, pahunchkar rooke the hum..

new girl ke sawal par jawab de ussi fountain ke seedh me ek bench ki taraf jispar is waqt do old couple baithe hue the, finger point kiya maine...


DIMPLE-who are they..!!!

MAI-may i have your phone....!!!


waise kisi ladki se uska phone lena ill manners kehlata hai but ab tak guzaare waqt me DIMPLE ko SANVY ke manners and most importantly character par bharosa toh ho hi gaya tha isiliye bina kuch bole apna mobile mere haathon me thama diya...


MAI-SAMSUNG GALAXY Z FOLD 2....7.60 display,android 10 os, capacity 4500 mah,12gb ram,256gb storage,qualcomm snapdragon 865+ processor....strange....

DIMPLE-wow...for a person jo mobile carry nahi karta, that's quite a surprising tech knowledge...

waise phone pasand aaye toh good aur naa pasand aaye toh aksar not good bolte hain log..

ye "strange" gesture pehli baa suna hai...

MAI-hamare desh me is phone ka launch date next month ka hai... isiliye strange...

DIMPLE-south korea me ho chuka hai...

MAI-perks of being a billionaire...


mere is gesture par bas halka sa smile kiya new girl ne aur...


DIMPLE-ab bataoge bhi ki us old couple ko kyun point out kiya tumne..

MAI-taaki tum match kar sako...


chrome khol kuch type kar phone new girl ke saamne kiya maine...

DIMPLE-wooo..ye toh wahin hain naa..


new girl ke mobile par ek wikipedia page open tha is waqt jispar ek latest khinchi hui pic ke saath us male ka pura byora likha hua tha..

ye male koi aur nahi unhi couple ka hissa the jo is waqt humse kuch door ek bench par baithe hue the...


MAI-haan..MAJOR SUDHIR KUMAR JHAA...asaam regiment me appointed the ye...3 mahine pehle hi retirement mili hai inhe...

he is considered as a gem in our indian army..

DIMPLE-what's the point..!!

MAI-look at the personality page...


us wikipedia page me upari part me chote chote columns bane hue the..

ye columns SUDHIR KUMAR JHAA ke military aur social life ke alag alag muddon par gain kiye hue research the...

unhi columns me se ek par bold letters me PERSONALITY likha hua tha jisse touch kiya new girl ne aur aisa hote hi ek naya page uske aankhon ke saamne tha..

par jaise jaise ua personality page ko new girl padhti chali gayi,uski aankhein badi hoti chali gayi..

kabhi woh un words aur lines ko padhti jo us page par likhi gayi thi toh kabhi saamne baithe shakhs ko dekhti jo un lines se bilkul ulat dikh raha tha..

darasal SUDHIR KUMAR JHAA ki personality hadh se zyada strict thi...waise toh military men hote hi tough hain par according to the wordings on the page, SUDHIR KUMAR JHAA ka strictness next level ka tha..

asaam ke non stop baarish waale weather me bhi as punishment cadets ko bina kapdon ke 12,12 ghante jungle ke beech khada rakha tha unhone..

apne pure carrier me kul 5 goliyon ne unke body ko pierce kiya tha jinme se do baar unhone on the spot apne kandhe aur thigh par dhase bullet ko nikala tha...

this is not easy..infact, next level toughness chahiye waisa stunt pull off karne ke liye..

khair,hairan isiliye hui thi new girl kyunki saamne baitha shaksh us SUDHIR se bohot alag tha jiske baare me woh abhi padh rahi thi...

saamne bench par baithe SUDHIR KUMAR JHAA apni wife ko kisi baat par manaane ki koshish kar rahe the jispar unki wife bas unhe ghusse se aankh dikha rahi thi aur unke aisa karne par SUDHIR ki aankhon me geniune dar, respect aur request dikh rahi thi..

a complete 360 degree ATTITUDE change that wikipedia se unke abhi dikh rahe vyaktitv ka...


DIMPLE-is he the same person..

MAI-yup,but with a different perspective... MILITARY MAN hona aur woh bhi MAJOR,is a highly tough and respected position...

focus, winning attitude is must with that rank but abhi woh sirf ek pati hai joki apni wife se aaj ki dusri icecream khaane ki permission maang rahe hai...

par agar unhe permission na bhi mili toh bhi unke face ki smile gayab nahi hogi...

aur kal issi enthusiasm ke saath woh dobara apni wife se request karenge...

"fail hone par frustrate hoti aayi ho,par jab har naakamiyabi me face par smile aane lag jaaye toh samajh jaana,naa sirf heart us haar ko enjoy kar raha hai balki next attempt ke liye tumhare body ko automatically but most importantly, positively taiyar bhi kar raha hai..."


mere kahe woh lines ab jaakar samajhne lagi thi new girl...


DIMPLE-casual approach with unknown surrender...


apne aap hi nikal gaye the ye shabd uske mooh se jisse sun samajh gaya tha mai ki new girl situation ko samajhne lagi thi...


MAI-right...

DIMPLE-par aisa karne ke liye toh...


aage bolte hue rook gayi thi new girl par phir us pause ke baad labh dobara hile uske aur...


DIMPLE-LOVE....is feeling ka hona compulsory hai..!!par i don't have that kind of feeling for someone...

MAI-are you sure....!!!


thoda paas the is waqt mai aur new girl..sidhe uske aankhon me dekh pucha tha maine ye chota sa sawal par us sawal ko sun new girl ka dil bin puche hi race lene laga tha...

"ofcourse i am sure"...ye line bolna chahti thi new girl par labh ne jaise un lafson ka saath dene se mana kar diya tha..


MAI-i mean your mom...mere casual approach ka base meri mom hain..my true source of love..

DIMPLE-oh yaa..me too...


hadbadate hue jaise bin chhue hi apne sir par tapli maar jawab diya tha new girl ne..


MAI-great then... agli baar training ke waqt task par bina zyada focus kiye just do it..

par us time,in your heart,think about the source of your happiness..your mom...task dhang se naa bhi hua toh bhi you will not feel discouraged aur agar aisa hone laga, trust me, it's just a matter of time,you will taste success...


DIMPLE-abhi try karen...!!!


mere pure demonstration, examples aur view points ko sun sikhne aur jeetne ke liye ever ready DIMPLE BATRA ko turant action me toh aana hi tha..

jaanta ye baat mai pehle se hi tha isiliye smile karte hue apne bag pack jisse mai aise hi time ke liye lekar aaya tha,usla chain khol usme se do tomato aur utne hi onion nikaal liye maine..

wahin ye dekh hairangi se bhar mujhe dekhne lagi thi new girl jispar...


MAI-yunhi behavourist toh nahi bola hoga na tumne...


dusre chain se ek chota knife nikaal aage kar diya maine jispar mere jawab ko sun ek haath se dono onions aur tamatar ko aur dusre haath se knife hold kar ek taraf khaali bench ki taraf badh gayi new girl..

mai bhi piche hi tha uske...

taktaktaktaktak....

sabse pehle onion slice karna start kiya tha new girl ne par koi khaas fark pada nahi...

naahi sahi radius nikaal paayi woh aur naahi angles perfect ke aas paas bhi baithe..

par fail hone ke baad bhi halke smile ke saath mujhe dekh second onion try karna start kiya usne par is baaf bhi koi positive result nahi aaya.

not even a bit..

halka frustration dikhne laga tha uske face par jisse smile se cover kar tamatar ko utha liya tha new girl ne..

par kyunki tamatar naa sirf onion ke mukable kaafi soft hota hai par saath hi saath usse slice angle banana bhi utna hi mushkil hota hai, isiliye success ka chance aur kam ho chuka tha new girl ka..

aur aisa hi kuch hua...dusre slice se hi tomato ka center kuch yun jerk hua ki pura tomato hi left ki taraf jhuk sa gaya..

knife bhi tomato ke beech fas pura tedha ho chuka tha


DIMPLE-shit...


is baar frustration chhupa nahi paayi thi new girl..

knife tomato ke beech chhod diya tha usne jispar knife nikaal last bache tomato ke saath uski taraf aage badha diya maine..


DIMPLE-SANVY mai...

MAI-you can do it and you will do it..bas jo kahun mai, imandari se karo...

tomato aur knife ko hold kiye mujhe dekhne lagi thi new girl..


MAI-trust me..


mera itna kehna tha ki uske reflex action turant kaam me aaye aur agle hi pal tomato bench par rakh knife uske upar laga diya tha new girl ne...


MAI-aankhein band karo and just slowly fast forward all the people you care about..the people you love...

aur jis shaksh ko dekhte hi you feel solace,calm, relaxed,uspar eye image pause kar start slicing the tomato...


meri baat aur tarike par zyada confidence nahi tha new girl ko par phir bhi jaisa kaha tha maine,kiya usne..

aankhen band kar apni mom se start karte hue jitne log close the uske,one by one,un sabke chehre imagine kar dekhne lagi thi new girl...

band aankhon ke beech uski left se right ghumti putliyan saboot thi is baat ka...

waise toh un saare chehron ko dekh acha hi lag raha tha new girl ko par jis sukoon ki talash thi usse,woh haasil nahi hua tha ab tak usse par tabhi...

har 5 seconds me left se right ghumti putliyan achanak se theher gayi thi new girl ke...

par kamaal ki baat ye thi ki uske aankhon ke saamne kisika chehra nahi peeth tha..

woh peeth joki pure body ke saath constantly move kar raha tha..

aisa lag tha maano new girl ko cover me rakh koi ladhayi kar raha ho..

halka daba diya tha apni band aankhon ko new girl ne maano us shakhs ko apni taraf palatne ki koshish kar rahi ho aur tabhi..

band hone ke baawjud aisa laga jaise new girl ki aankhon ki putliyan khul si gayi hon...

reason...

woh shaksh palath jo gaya tha aur aisa hote hi sirf us shaksh ka nahj balki chal raha pura scene clear ho chuka tha..

SANVEER AHARYA...yahi toh tha woh chehra tha jo ghuma tha uski taraf aur jagah thi MOSSY FALLS ka wahi jungle jahan ARIF REZA ke saamne khudko chota paaya tha DIMPLE ne..

woh waqt jab usse yakin nahi tha ki SANVEER usse na sirf bacha lega balki ARIF REZA jaise trained fighter ki bhi haalath kharab kar dega.


jab pehli baar kisika uske aage aane,uske liye ladhna bhaaya tha DIMPLE ke dil ko..

jab pehli baar sharir me tez doud raha khoon dimaag par nahi dil ki raftaar badha raha tha..

jab pehli baar bina mehnet kiye hi new girl ka dil ek minute me 72 se 80 nahi balki 200 se bhi zyada baar dhadak raha tha..

jab pehli baar DIMPLE ke dil ko sharir ke andar rehne ke baawjud thand lagi thi...

jab pehli baar DIMPLE ko pure hosho hawaas me hone ke baawjud ye khabar tak naa hui thi ki uska dil usse uske liye nahi balki kisi aur ke liye zindagi dena chahne laga tha...

kuch der ke pause ke baad ek jhatke ke saath khuli thi new girl ki aankhein..


MAI-congrats...


mere is shabd par aankhon me sawal liye dekhne lagu woh mujhe jispar aankhon se neeche dekhne ke liye kaha maine usse aur jaise hi nazrein uski jhuki neeche toh she saw a sight jispar yakin karne ke kuch pal lag gaye usse..

tomato perfect radius aur angles ke saath kul 5 slice me kat chuka tha..


MAI-bas,yahi tarika hai..naa isse chhodna aur naa us shaksh ko jisse dekh ye tarika kaam kar gaya...

late ho raha hai..chalta hun...see you tomorrow...bye...


jahan apni baat bol aage badh gaya mai wahin meri baat sun dil is baar 300 ki speed se doudna laga tha new girl ka...

is baar aankhein khuli thi uski par MOSSY FALLS ki hi tarah ek baar phir meri peeth hi toh dikh rahi thi usse...

khabar hi na hui thi DIMPLE ko ki kab mere face ko piche se bhi dekhne lagi thi uski aankhein aur aisa hote hi uska bechain dil shaant hone laga tha..

keh kuch nahi rahi thi DIMPLE par is khamoshi ne bhi woh baatein karni shuru kar di thi jo uska dil sunana chahta tha....



"kuch toh de thairaav ke liye,mera haal bigad bigad kar SAMBHAL RAHA HAI...

mousam bhi wahi,aalam bhi wahi,phir kyun mera rom rom MACHAL RAHA HAI...

dhadakne ke siwa aur koi kaam nahi tha mera par aaj....

apni hi dhadkan ke bajne ka kaaran dhund raha hun mai,kuch toh hai jo BADAL RAHA HAI...








AAJ KE LIYE ITNA HI...






AAPKA APNA V...J...
toh Kya sach me dimple bhavishya me gundi dhokhebaaz gaddar niklegi..? Kya woh saanvy ke karib kisi sazish ke tehat jane ki koshish kr rhi hai...? Kya saanvy dimple ke saamne apne saare ikke khol dega bole toh 18 Hands of Buddha technique bhi sikha dega dimple ko..? Kehte hai apne saare ikke kisi ke samne nahi dikhaane chahiye fir chahe kitne hi visvaspatra kyo na Ho.. Ummid hai saanvy 18 Hands of Buddha technique dimple ko na sikha kr apna ek majboot technique bachaa kr rkhega...
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

ROHIT RAJ SINGH

New Member
44
99
18
Bilkul Sahi Kaha Aapne, dear friend. Vj4u Bhai ke haathon hai is kahaani Ka faisala✍️. He's the best judge to decide this story's fate.
Completely agree with you bhai.
jo krna hai ab Vj4u bhai aur unke kalam ko hi krna hai... hm to abhi kewal intezar aur ummed hi kr skte hai...
 
Last edited:
Top