AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ROUNAK ARIF REZA KO SANVY AUR DIMPLE KE BAARE ME BATATA HAI WAHIN DUSRI TARAF DIMPLE AUR SANVY SABKE SAAMNE DIVORCE KE UPAR APNI APNI RAAY DETE HAIN.
AB AAGE:-
CHAPTER-1
(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)
UPDATE-45
DATE-24TH JUNE
CITY-DEHRADUN
PLACE-THE OLD WARE HOUSE
DHABBBB.....
finally ek flying kick padh hi gayi ARIF ke chest par..
hit ye kaafi tagdi thi.. impact aur body connection point bhi perfect tha..
specific word use karun toh karate ka foot sweep hit pada tha ARIF REZA ke bare body open chest par lekin kamal ki baat ye thi ki itne nape tule aur impactful hit ke baawjud woh zamin par gira nahi...
haan,halke se pair dagmagaye zaroor uske par turant khud ko sayyamit kar rook gaya tha ARIF...
aisa hote hi ek baar apne fule hue chest ko dekh jahan pair ke tez lagne par halki laali chhaa gayi thi,saamne khade bande ko dekh muskuraya ARIF..
paseene se lathpath chehre aur sharir ke saath khade ARIF REZA ki smile itni zyada deadly aur dangerous lag rahi thi ki us bande ke saath khade baaki 3 bandon ki bhi halak sookh chuki thi..
waise woh chaaron shakhs maamuli log nahi the..
unme se ek jiska laath pada tha ARIF ko,woh karaate plus taekwondo technique me maahir tha,dusra banda judo ka expert tha,teesra KUNG FU me kamal ka tha aur chowtha muay thai fighting technique ka master tha...
par sabse kamal ki baat ye thi ki ye chaaron hi fighting experts ARIF ke hi hired log the jo is waqt uske har din karne waale combat practice ke hissa the...
aur lagbhag 5 minute ke continous koshish le baad finally us karaate waale bande ka hit ARIF ko hit kar gaya tha...
DHADDHHHH...DHAKKKK.....DHKKK..DHKKK..DHKKK....
us deadly smile ke baad kisi saanp ki tarah zigzag pattern me aage badha ARIF..
aise movement se saamne waala hone waale attack ko judge nahi kar paata aur abhi bhi wahi hua..
kuch zigzag steps lene ke baad apne knee ko apne chest tak uthate hue aage ki taraf kuda ARIF..
saamne judo waala banda tha..
defence me hit block karne ke liye apne dono haathon ko saamne ki taraf kar tie kiya usne par faayda koi hua nahi..
ARIF ke zigzag pattern me move hone ki wajah se halka sa distract ho gaya tha woh aur isiliye uska block pura form nahi ho paaya..
grip dheeli hi ban paayi thi uski jisse kisi paper ki tarah cheerte hue ARIF ki knee us bande ke chin ko hit kar gayi..
hit kaafi tagda tha..
agle hi second na sirf uske naak se khoon nikal gaya tha balki sir ghumne ki wajah se woh piche ki taraf ghumta hua gira and was knocked out completely...
behosh ho chuka tha woh banda..
wahin dusri taraf ARIF ka kiya knee hit single strike nahi tha..
hawa me hi tha woh abhi ki us bande ko hit karne ki wajah se jo power generate hua,usse kisi elevator ki tarah use me laaya ARIF ne...
zamin me aane se pehle hi front ki 70 degree kon me leg split air jump liya ARIF ne jiske radar me aaye kung fu aur muh thai technique waale bande..
dono ke hi nostrils waale part par pada tha ARIF ka pair..
ye double hit bhi kaafi impactful tha..saboot yahi tha ki hit lagte hi piche ghumte hue gire the woh dono...
naak dono ke hi fat gaye the aur isiliye kisi without water fish ki tarah chhatpatane lage the woh dono...
anyways,bacha tha bas aakhri karaate waala banda joki split second me hue baaki teen bando ki haalat dekh hadbada gaya tha aur yahi hadbadahat usse bohot zyada mehengi padi...
ARIF theek uske saamne land hua tha jiske baad kisi punching bag me practice kar raha ho,us tarah se kayi baar lightning speed se chale ARIF ke haath...
bijli ke continous hit se lagne waale jhatkon ki tarah vibrate hone laga tha us bande ka sharir..
10 back to back body aur face hit ke baad jab ruka ARIF toh uske agle pal kisi kate hue pedh ki tarah neeche zamin par gir behosh ho chuka tha woh banda..
duniye ke bohot se naamchin aur deadly combat techniques ka expert tha ARIF aur abhi un chaar fighting gurus ko mahaz 15 second ke andar zamin par laa usne apni efficiency saabit kar di thi...
BHAI WOH.....
wahi banda jisse SANVEER aur DIMPLE ki jaankari laane ke liye kaha tha ARIF ne, ussiki awaaz thi ye jo bolte bolte saamne gire logon ko dekh chup ho gaya tha...
wahin paseene se lathpath apne perfectly shaped body ko saaf karte hue mooda ARIF us shaksh ki taraf...
ARIF-MANGAL...kahan gayab tha tu...!!!
ek hafte pehle BARE KNUCKLE ke MANGAL ko SANVEER aur DIMPLE ka info nikaalne ka bol apne kisi urgent kaam se bahar gaya tha ARIF aur kal hi louta tha..
par MANGAL uske saamne just abhi hi aaya tha....
MANGAL-bhai woh east zone se aaye payment ko liquid karne ke liye mujhe hi bola gaya tha..ussime laga hua tha..
ARIF-hmm.. dono kaam ho gaye...!!!
MANGAL-dono kaam bhai..!!!
ARIF-pehla kaam ek hafte pehle diya tha tujhe maine..
MANGAL-haan bhai,woh kaam toh teen din pehle hi kar diya tha...
abhi wahi info dene aaya hun..
ARIF-toh shuru ho jaa.. shuruat tota(ladki) se kar...
paani ke ghunt bharte hue MANGAL ke saamne ek chair par baith gaya tha ARIF..
MANGAL-ladki ka naam DIMPLE BATRA hai bhai...delhi se hai.issi saal DEHRADUN aayi hai..
aur bhai, kuch zyada hi badi asaami hai loundiya...ARCHANA BATRA ka toh naam suna hi hoga aapne...ussiki beti hai woh..
ARCHANA BATRA...MANGAL ke mooh se ye naa sunte hi paani ka sip lete hue ARIF ki aankhein halki badi ho gayi thi..
ARIF-ARCHANA BATRA...woh industrialist..
MANGAL-haan bhai,wahi...
ARIF-gazab...wahi mai sochun ki itna kancha maal bhala kis factory se nikla hoga...
rahisi jab khoon me ho toh khubsoorati rukhsaar ko saja hi deti hai...
aur kya hi khubsoorati..saala jis din se tasvir dekhi hai uski,lund behenchod rook rook ke baar baar angdayi leta hi rehta hai..
bina talab-e-thikaane par pahunche chain naa milega..naa isko, naa mujhe...
mobile nikal usme DIMPLE ki pic ko dekh apne pant me bane tamboo ko theek karte hue ek aah si bhari thi ARIF ne aur is nazaare ko dekh halka hairan hua tha MANGAL..
aur woh isiliye kyunki human trafficking ke dhandhe ka ek naamchin hone ke baawjud ARIF patloon se sakht banda tha..
randi baazi zaroor karta tha woh par usse kabhi kisi aurat ya ladki ke liye aahen bharte nahi dekha tha MANGAL ne...
MANGAL-bhai woh lounda SANVEER...
SANVEER..ye naam sunte hi apne hawas se bhari soch se bahar aaya ARIF aur...
ARIF-SANVEER...toh,kya pata chala uske baare me..kya wakayi koi top hai jo jaisa us din woh lounda bata raha tha..
MANGAL-mujhe toh aisa kuch nahi laga bhai..baaki sabhi jawan loundo ki tarah hi hai woh...
6 din se hun uske piche..aage piche,sab details nikaal li hai uski maine...
maamuli kounla hai bhai..baap mar chuka hai, maa hai jo bank me job karti hai..bas ek average student hai aur kuch nahi..
haan,suna hai garam khopdi hai kaafi...iske aur aas paas ke bhi kuch schools me hawa hai iske garam magaj ki..
par woh toh aaj ke time me loundo ka fashion ho gaya hai bhai...
garmi dikhane ka taaki bandiyan impress ho jaayen...
ARIF-aur kuch...!!
MANGAL-aur kuch nahi bhai..haan ye kuch photos liye hain bhai, dono launde aur laundiya ke...
gallary open kar apna phone ARIF ko taraf kar diya tha MANGAL ne..
screen par SANVEER ka hi pic tha.. morning jog par jaate hue..swipe kiya ARIF ne jiske baad school jaate waqt raaste par kheenchi gayi pic thi uski..
DIMPLE ki latest pics dekhni thi ARIF ko par jab 4,5 baar scroll karne ke baad bhi SANVEER ki hi pics saamne aayi toh chidh gaya woh..
ARIF-abbe ye kya bas lounde ki hi photo liya hai kya..!!!
MANGAL-bas 3,4 hi aur hongi bhai.. phir ladki ki hain..
MANGAL ki baat sun thoda speedily scroll karne laga screen ARIF..
theek hi kaha tha MANGAL ne.. panchwi pic DIMPLE ki hi thi jahan pahunchne ke baad waise toh ungli rook jaani thi ARIF par aisa hua nahi..
turant last photo as in piche scroll kiya ARIF ne aur wapas 4th photo ke saamne aate hi ungli aur saath hi saath uski aankhein bhi saamne dikh rahi tasvir par atak si gayi..
ARIF-mashallah.....
market me kheenchi hui pic thi ye jisme kul do shaks moujud the..
pehla toh SANVEER hi tha par uske saath thi uski mom, VERONICA jinke chehre ko dekh dil,dimag,lund, sab hil gaya tha ARIF ka..
ARIF-ye kaun hai...!!!
display MANGAL ki taraf kiya ARIF ne jispar..
MANGAL-ladke ki MAA hai ye bhai...
ARIF-MAA nahi MAAL hai ye..saala aisa lag raha jaise khuda ne kayamat ko roop de diya ho jaise...
kamal hi ho gaya..pehle woh ladki aur ab ye...itni zyada khubsoorati akela DEHRADUN kaise jhel kaise raha hai bhala..
VERONICA ke pic ko chhute hue usse feel kar raha tha ARIF..
ARIF-tune bataya SANVEER ka baap nahi hai...
MANGAL-haan bhai, mar chuka hai...
ARIF-acha hua mar gaya,warna mai maar deta saale ko...ye sirf meri hogi...
waise bhi pati mar gaya,bete ko mai maar dunga...uske baad koi toh hona chahiye naa jo itni badi duniya me sahara de isse...
kya dikha diya tune MANGAL... abhi abhi paani piya tha,saala pyaas phir se jaag gayi...
aur isse rubaroo hue bina pyaas bujhegi bhi nahi...
nikaal re MANGAL iski bhi kundali...
ab iske bete aur us ladki se pehle ek baar isse milna padega...
MANGAL-jee bhai,kal tak sab batata hun mai..
ARIF-waise naam kya hai is kohinoor ka...???
MANGAL-VERONICA PAUL AHARYA...
PLACE-THE CARNIVAL
WOW..LAGTA HAI IS BAAR TOH ZYADA HI RIDES AAYE HAIN..WOH DEKHO,FRISBEE RIDE BHI HAI...
the fair carnival me pahunchte hi chaaron taraf saje rides ko dekh hadh se zyada excited ho gayi thi ANJALI...
waise logon se bhare is 7 days carnival ke mahoul ko dekh khush toh sabhi the par sabse zyada excitment ANJALI ke face par hi dikh rahi thi...
DIMPLE-itna excitement woh bhi ek temporary fair ke rides ko dekh...!!!
NAISHA-arre,ye pagal hai rides ke piche... bachpan me toh har ride par 3,3 baar baiththi thi ye...
phir bhi man nahi bharta tha iska.... irritate ho jaaya karta tha SANVY.
aakhri me bhaagna padta tha usko tab jaakar kahin iska rides par baithna band ho paata tha...
DIMPLE-haan toh bachpan me toh sabhi aise rides par baithne ke liye super excited rehte hi hain..
but abhi bhi waisi feeling, strange...ab toh aise aise international rides introduce ho chuke hain jinme se kisi ek ride par baithne par jo thrill create hota hai,woh in saare rides ke bhi bas ki baat nahi hai...
THRILL EK EHSAAS HAI..AUR EHSAAS SHABD HI BAS UNIVERSAL HAI,PAR FINGER PRINT KI TARAH ISPAR BHI HAR BANDE KA TRIGGER POINT ALAG ALAG HOTA HAI...
baaki sab pehle hi pahuch chuke the,bas ek mai hi tha jo just abhi pahuncha tha..
aate hi piche se new girl ki baat suni thi jiske baad uske baaju me khade hokar kahi thi apni baat maine...
wahin meri baat par halki si smile naach uthi thi new girl ke face par...
pichle hafte first ATTITUDE class me jabse divorce ke upar meri aur new girl ki debate hui thi,uske baad se hi uski mere liye nazar aur usme dikhne waala nazariya kaafi badal gaya tha..
jahan pehle mere liye naarazgi aur good for nothing waala expression hota tha wahin ek genuine respect aur pinch of friendship waala look aur smile rehne laga tha new girl ke face par..
wahi smile is waqt bhi naach raha uske face par jiske baad..
DIMPLE-meri baat kaatne me maza hai kya tumhe...!!!
MAI-suna hai ki do alag alag soch jab takrati hai toh ek naye nazariye ko paida karti hai..
ussi nazariye ki khoj hai mujhe...
NAISHA-time par aane ki aadat paida kar le pehle...
MAI-waah..baaton se baat nikaal apni baat bolne lag gayi ladki..kya baat hai..
NITS-waah,gazab dialogue lounde...
jahan baaki sabki hasi ke beech mere kahi line ki taarif ki NITS ne wahin mere behes par diye jawab se kaafi impressed ho kuch kehne hi waali thi new girl par is beech hue naye convo se shaant reh gayi thi woh...
ANJALI-SANVY, dekh,is baar FRISBEE waali ride bhi aayi hai...aur woh dekh left me,mere teeno hi favourites,CONDOR,BREAK DANCE aur FERRIS WHEEL,teeno hi rides ek saath hain...
baaki saari convo se toh jaise matlab hi nahi tha ANJALI ko..woh toh bas mere paas aayi aur kisi bacche ki tarah mera haath pakad ishare se apne saare pasandida rides mujhe dikhane lagi jispar sab ek baar phirse has diye the...
MAI-wow..maza aayega na tujhe...
ANJALI-bohot..
MAI-par akele liyo tu maze...mai nahi aa raha..
ANJALI-SANVY ke bacche.. rook jaa...bata rahi hun,tu chalega mere saath har ride me, chalna hi padega..
bhaag pada tha mai jiske baad mujhe dhamkaate hue mere piche doudi ANJALI par faayda kuch hua nahi..
mele me bheed bohot zyada thi jisme kuch hi palon me goom ho chuka tha mai..
frustration se bhar pure maidan ke chakkar laga chuki thi ANJALI par jab nahi mila mai toh pair patakte hue baaki sabke paas joki ek icecream stall ke paas khade icecream kha rahe the,us taraf chal padi ANJALI...
RAJAT-kya hua,nahi mila naa...!!? pata tha mujhe, kamina jab bhi bhaaga hai, gayab hi ho gaya hai..
RAJAT ki baat par kuch kaha nahi ANJALI ne par face uska utar gaya tha uska jisse dekh DIMPLE uske paas gayi aur...
DIMPLE-arre,isme sad hone waali kya baat hai...!!!uska man nahi hai isiliye bhaag gaya woh..hum chalte hai naa..
ANJALI-mai nahi jaa rahi.. mujhe ghar jaana hai...
MAI-toh ye dusri ticket bech dun...
theek ANJALI ke piche se saamne aate hue kahi thi maine ye baat jispar pehle toh chownki woh par phir mujhe maarne ko hui...
lekin tabhi padi ANI ki nazar mere haathon me hold kiye tickets par jisse dekh woh samajh gayi ki mai uski favourite rides ki ticket lene hi gaya tha...
baaki sab bhi ye samajh gaye isiliye sir shake kar smile karne lage the woh...
NITS-saale,sidhe naa kar kuch tu..har scene me SANVYGIRI dikhani zaroori hai kyun...!!!
MAI-abbe dikhata nahi, apne aap hi dikh jaati hai..aur waise bhi, saalon ho gaye iske saath ride par baithe hue...
ANI ke naak ko kheenchte hue kahi thi ye baat maine jispar apni aankhon ko chota kar dekha mujhe usne aur...
ANI-sidhe sidhe bol na MAA ne warning di hai tujhe mere saath har ride me baithne ke liye..
ab kya hi bolta mai...sach hi toh bola tha ANI ne...
mujhe chup dekh samajh gayi ANI ki uska andaza sahi tha..
ANJALI-i knew it... aakhir meri MAA hai...
mera haath pakad mujhe chidhate hue aage ek ride ko taraf chal padi thi ANJALI..
baaki sab bhi humaare piche ho liye the,is beech...
DIMPLE-SANVY ANJALI ki MOM ke kaafi close hai kya..???
SAM-why do you say that..???
DIMPLE-woh ANJALI ne kaha na ki uski MAA ne SANVY ko warning di hai..
HAHAHAHA..
sabhi has pade the DIMPLE ki misunderstanding par jiske baad...
NAISHA-woh SANVY ki mom ke baare me bol rahi thi..ANJALI bhi unhe MAA hi bulaati hai...
DIMPLE-oh... matlab ANJALI kaafi close hain SANVY ke mom ki..
NAISHA-close..!!arre VERONICA aunty unofficial mom hi hai ANJALI ki...
DIMPLE-VERONICA....nice name..
NAISHA-far better a person...
RASHI-most importantly, beyond expectations beauty..
unse khubsoorat lady nahi dekhi maine kahin..and i mean it..
DIMPLE-really...!!!
KHANAK-oh ya...monalisa bolo, cleopatra ya koi aur painting.. VERONICA aunty un saari khubsoorat paintings ki live example hain..
DIMPLE-itni khubsoorat hain...!!
KAM TOH AAP BHI NAHI HAIN...
DIMPLE ke sawal par koi kuch kehta ki tabhi unke side se aayi thi ye awaaz.
kuch local loundon ka group khada tha udhar jo DIMPLE,KHANAK, NAISHA aur RASHI jaisi pariyon ko aankhein faade aur chhichorepan se lipte chehre ko liye dekh rahe the..
unme se hi ek ne kahi thi ye baat.. girls talk ke beech rides ki ticket lene baaki boys bhi aage badh chuke the aur isiliye hi sirf ladkiyon ko dekh comment karne ki himmat ki thi un loundo ne..
wahin us ladke ki baat sun sakti DIMPLE ki aur woh badhne ko hui uske taraf par tabhi..
MAI--yahan khade khade kya kar rahe ho tum sab..!!!! jaldi chalo,ek baar me 6 pairs ko hi ride me baithne de rahe hain...
thode door se hi ek baar un ladko ko dekh girls se kahi thi ye baat maine..
DIMPLE-jaao,aa rahe hain hum..
meri baat par meri taraf palath jawab dene ke baad wapas un ladkon ki taraf ghumi hi DIMPLE par saamne ka scene dekh hairan reh gayi woh..
woh lounde jo gayab ho chuke the saamne se joki hona hi tha..
pichle saal aise hi kisi chhichorepan ki wajah se khub suta tha maine un sabko.. mujhe dekh woh sutayi yaad aa gayi thi unhe..
upar se jinpar comment kiya tha unme se ek ne,woh mere saath thi,ye jaanane ke baad rookne waale toh woh sab the nahi..
turant nou do gyarah ho chuke the woh sab...
MAI-udhar bacchon ki rides hain..usme baithna hai kya.. common,move...
jahan wapas mood ek smile ke saath sir shake kar aage badh chuka tha mai wahin un ladkon ke yun achanak gayab hone par hairangi se bhar baaki girls ke saath mere piche chal padi thi new girl...
khair,agle 30 minutes hum sabke alag alag rides par nikle..
ANI ke favourite rides me baithne ke baad aur 2 rides par chadhe the hum...is dauran....
ABBE KUSHAL...........WAHIN ROOK,AA RAHE HAIN BE...
KUSHAALLLLL....BHAAG BE,LOUNDE AA RAHE HAIN TERE KO PELNE....
KUSHAALLLLL...ABBE NICHE DEKH,500 GIRE HAIN TERE....
hamara purana bakar tha ye..rides par baith kisi bhi common naam ko zor se chillate the hum sab.
mele ki bheedh me koi na koi us naam ka toh hota hi tha jo hamari baaton se confuse ho jaaya karta tha..
aur aakhri baat jisme gire hue paise ka zikr tha,uspar toh har koi apne aas paas zamin par gire hue un mayavi 500 ke note ko dhundta tha...
DIMPLE-pagal hain pure...
NAISHA-arre pucho mat...aur ye toh kuch bhi nahi hai..pehle toh ye sab sabke beech ek saath zor zor se bhaalu ya tendua aa raha hai bolkar bhaagte the..
facial expressions itne dare hue banate the ye sab kamine ki sabko inki kahi baat literally sach hi lagti thi aur in sabke piche woh bechare bhi bhaagte the...
DIMPLE-and i am sure,ye sab masti SANVY ke dimag ki hi upaj hoti hogi..
NAISHA-aur kaun...!!!har masti ke piche ussika dimag hota hai...
aakhri ride se utar ye saari baatein karte hue NAISHA aur DIMPLE baaki sabke paas aa chuke the..
NITS-yaaron ab bhook lag rahi hai...
RAJAT-mujhe bhi...
EKPREET-chalo phir...khaate hain kuch...
SAM-guyz look,HAMMER ARCHADE game...
hamare right ki taraf edge par HAMMER ARCHADE game ka stall laga hua tha jispar nazar padte hi sabhi thode excited ho chuke the..
aur hona bhi tha..waise toh har mall ke game zone me ye game hota hi hai par kyunki game zones me zyadatar chote bacche hi aate hain isiliye is game me use hone waala hammer wahan light weighted hota hai aur saath hi saath hammer hit ki power bataane waala power pointer bhi accurate nahi hota hai..
par jo HAMMER ARCHADE hamare saamne tha,it was an original piece..
model se uski originality saaf pata chal rahi thi...uska naa sirf use hone waala hammer heavy tha balki power pointer bhi accurate tha..
SAM-we should try that guyz...
DIMPLE-i am in...
DIMPLE ki baat par sabne usse ek second ke liye dekha tha aur reason bhi obvious tha...
normally ye power game tha jisse ladkiyan nahi khelti thi par ek sach ye bhi tha ki baat DIMPLE ne kahi thi who is even tougher from a lot of guys...
isiliye agle hi second sab normal bhi ho chuke the...
NITS-khel lenge bhai par pehle kuch thool lete hain naa...
SAM-abbe abhi lag rahi bhook natural nahi hai..rides ki wajah se stomach khaali feel ho raha hai jo thode time me back to normal ho jaayega..
abhi kuch khaa liya toh muscles sust padh jaayenge.. phir naa niklega dum hammering ke waqt..
let's play a game,then we will eat..
ANJALI-aur hum..tum sab boys hammer hit karoge aur hum tum sabka mooh dekhengi...
MAI-dekhne ka bhi apna hi maza hai.. mai bhi toh dekhunga..
DIMPLE-kyun,tum nahi kheloge..
SONU-arre kkabhhi nnahi kkhelta yye aissi ppower orriented ggames...
SAM-ab chalo bhi,dekho filhal koi nahi hai udhar..agar koi chala gaya toh 15 minutes wait karna padega phir..
NITS-haan bhai chalo chalo..wait nahi ho paayega apne se...
turant HAMMER ARCHADE GAME stall ki taraf badh chuke the sab...
SAM-laa bhai hathoda..khela jaaye ek game...
BACK OFF DUDE.. PEHLE HUM KHELENGE....
SAM ki baat par game zone waala banda kuch react karta ki tabhi stall k dusri taraf just pahunche bando me se ek ne kahi thi ye baat..
5,11 height par kaafi zyada broad shoulders uske heavy built hone ki gawahi de rahe the...
6 ladkon ka group tha ye jinke piche bilkul hamare group ki hi tarah kuch ladkiyan khadi thi...
SAM-back off..hum...!!!kara ke dikha....
jis tarah se hamare group ko piche hatne ko kaha tha us ladke ne, dimag ghum gaya tha SAM ka..
SAM kya,baaki sab bhi ghoor ke dekh rahe the is waqt us lounde ko..
wahin SAM ke tevar ko dekh ghussa toh us ladke ko bhi aaya par tabhi uske saath khade ek ladke ne kuch kaha uske kaano me..
LADKA-ohho...toh tu SAMEER CHANDER hai...the champ.. isiliye itni akad hai..
SAM-akadna suit bhi champions ko hi karta hai..ajeeb tab lagta hai jab tere jaise loosers bhi ucchakne lagte hain...
SAM ki baat par waise toh bhadakna chahiye tha us ladke ko par hua nahi aisa...
smile naach uthi uske face par.
confident smile....
LADKA-champion hone ki bhi ek draw back hoti hai..har baar har platform me lagatar prove karna padta hai khudko...
aaj,abhi prove kar ke dikha apna talent,toh maanu...
SAM-matlab...!!!
LADKA-ek challenge ho jaaye tere aur mere group ke beech...
2,2 rounds karte hain is hammer archade ke,jis team ke points zyada,woh winner...
haarne waali team jeetne waale ke saamne ghutne par aakar sir jhukayegi... manzoor...
SAM-done...
bina kisike sehmati liye hi haan keh diya tha SAM ne challenge ko aur sehmati ki zaroorat thi bhi nahi..
challenge se back off karna SIRIUS waalon ko aata tha bhi nahi..
LADKA-great then..by the way,EKOM SINGH naam hai mera..
from RAJKUMAR....
ab ye tha sabke liye ek jhatka...EKOM SINGH...inter state javelin aur shotput throw ka ek bada naam tha EKOM SINGH jiske baare me sirf suna tha SIRIUS waalon ne...
from RAJKUMAR bol apni identify clear kar di thi EKOM ne aur SAM jaise champion ko challenge karne ka reason bhi clear kar diya tha...
ek power player tha EKOM...aur hammer game me technique aur strength,dono ke maamle me SAM aur uske saath khade loundo se zyada experienced tha woh...
NITS-EKOM from RAJKUMAR..
lag gaye loude...abbe ye toh power games me champ hai be..
SAM ke kaan me kahi thi ye baat NITS ne joki pehle hi EKOM ke intro ko sun thoda nervous ho chuka tha..
par ab kar bhi kya sakta tha.. challenge toh de hi diya tha..
DIMPLE ne bhi NITS ki baat sun li thi par usse toh kisi champ se kabhi nervousness hui thi nahi..
she craved challenges jo ek baar phir uske saamne throw kiya gaya tha...
EKOM-so ready...!!
SAM-yup...
is baar SAM ki haami me confidence halka kam tha jisse sense kar liya tha EKOM ne aur isiliye challenge jeetne se pehle hi pehle hi winning smile naach uthi thi uske face par...
par is beech EKOM ke saath khada banda kuch count karne laga jiske baad..
LADKA 2-par yaar,hum 6 hain aur ye 5..kaise cimpete karenge ye log..
SAM-5???hum bhi toh 6 hain..
NITS-paanch hi hain bhai... woh kameena SANVY ANJALI ke saath udhar,drinks ke stall me hai...
mai aur ANI oh kabhi hammer archade waale stall me gaye hi nahi the..
ANI ko coke peena tha isiliye usse lekar mai sidhe cold drinks waale stall ki taraf badh chala tha...
SAM-abbe toh bula ke laa usse..
NITS turant badh chala tha humari taraf jiske kuch pal baad kuch budbudate hue wapas louta woh...
EKPREET-abbe kya badbada raha hai aur SANVY..!!!
NITS-nahi aa raha hai woh harami..bolta hai, peth gudgud ho raha hai..hammer maarne ke chakkar me pichwade ka baandh na toot jaaye..
HAHAHAHAHA...
has pade the RAJKUMAR waale NITS ki baat sun jiske baad..
EKOM-ab samjha champ kaise bana hoga tu... competition ka jazba hai hi nahi tere school ke loundo me..
ab akele doudega toh race jeetega hi...
DIMPLE-kitni bakwas karta hai be tu.. challenge kiya hai,dhyan ussi par rakh..
hum bhi 6 hi hain...i am also participating...
HAHAHA....
DIMPLE ko dekh ya fir ye kahun ki taad toh EKOM aur uske sabhi friends pehle se hi rahe the par ab uske kiye interference aur tone se pehle toh thoda shocked hua tha EKOM par phir uske participate karne ki baat sun woh aur uske sabhi saathi has diye..
EKOM-babes,ye koi...
DIMPLE-i have to stop you there..tere kisi bhi ghise peete male chauvinist dialogue ko sunane ka mood nahi hai mujhe..
apna mardana dum game ke liye bacha kar rakh aur ab bina bhonke game shuru kar..
pehla mouka tujhe aur tere tattuton ko hi diya..
bohot fluent aur bebaak tarike se insult ki thi DIMPLE ne EKOM aur uske doston ki jispar uske friends and most importantly,unke saath aayi girls joki pehle hi DIMPLE ki be intehaan khubsoorati ko dekh man hi man jal rahi thi,kuch bolne ko hui par haath upar kar shaant kara diya tha un sab ko EKOM ne.
dimple ke ghamand ko ab game jeetkar hi todne ka faisla kar liya tha usne...
EKOM-alright than.. shuru hum hi karte hain....
apne ek friend ko ishara kiya EKOM ne jiske baad stall waale bande se joki shuru se hi dono groups ke beech chal rahi behes ko kaafi enjoy kar raha tha,HAMMER le liya usne..
hammer wakayi heavy tha..kareeb 35 pounds wazan tha us bade handle waale hammer ka jiske grip ko tightly hold kar liya rajkumar waale group ke first lounde ne..
saamne rakhe archade par nazar padh chuki thi uski jispar power metre dikh raha tha.
filhal pointer 0 par tha joki top par as in 100 tak jaata tha..
par us point tak pointer ko le jaana hadh se zyada mushkil tha..
immense power display karne ki zaroorat thi wahan tak pahunchne ke liye jo ek mature bodybuilding expert le liye bhi tough tha..kaafi tough..
infact,50 points tak hit karna bhi bohot tough tha jiska example abhi hi mil jaana tha...
handle par tightly grip hold karne ke baad HAMMER upar utha liya us bande ne aur...
DHADDDDDHHHHH.....
apni puri taakat laga arcade point par hit kar diya usne hammer...
hit aur us hit se release hua pressure acha tha jiske baad pointer upar uthne laga tha.
dekhte hi dekhte pointer 40 point tak chhadh chuka tha par uske baad us pointer ka safar wahin rook gaya...
first bande ke attempt ke baad 40 score chuka tha rajkumar waalon ka jiske baad archade ke saamne khada hua unke group ka second banda...
DHADDHHHH....
45 points..itne hi points haasil kiye the uske hit ne jiske baad third banda bhi first bande ki tarah 40 points hi haasil kar paaya...
3 bande ho chuke the,3 baaki the..4th bande ne pehle ke teeno se kam score kiya,35 par is kami ko 5th bande ne bhar sa diya..
50 points..50 ke margin ko touch kar diya tha usne jiske baad apne mote mote baazuon ko jhatakte hue archade ke saamne aaya EKOM..
LADKI 1-common EKOM...go for it..show them who the real champ is...
EKOM-i will babes..
SIRIUS ke group ko aur aakhir me EKOM ko dekhte hue hammer par apni grip strong ki EKOM ne aur..
DHADDHHHH.....
65.....
65 points score kiye the EKOM ne jisse dekh jahan ek taraf uske saathi aur girls clap karne lage wahin dusri taraf apna maatha peet liya tha NITS aur RAJAT ne..
NITS-lag gaye loude..abbe,last baar jab ye game try kiya tha toh highest point 30 tak gaya tha mera...
yahan toh inka lowest score bhi 3 ka hai...mooh aur gaand jhukaane ke liye ready ho jaao...
SONU-chupp bbe..wwoh 2 ssaaal ppurani bbaat hhai...abbhi bbhi uttna hhi ddum tthodi nna hhoga.
RAJAT-bilkul.. tention mat le..phaad denge apan...
EKOM-total...275 points...your turn SIRIUS....izzat bacha liyo apne school ki..
ek maamuli challenge ko school level ka bana diya tha EKOM ne...
EKPREET-saale bohot ucchal rahe hain.. abhi dikhata hun saalon ko..
haath me pehne kade ko upar karte hue archade ke paas jaakar khada ho gaya EKPREET aur hammer ko tightly hold kar liya usne..
DHADHHHHH...
ek tez hit maara tha EKPREET ne jisse release hui power ki gawahi pointer de rahi thi..
sidhe 50 points par ruka tha jaakar pointer...
NITS-ye maara papad waale ko...gazab lounde...
pehle hi attempt me kaafi acha start de diya tha EKPREET ne apne group ko jispar jahan ek taraf khushi se ucchal pade uske friends wahin dusri taraf RAJKUMAR waalon ka chehra utar chuka tha...
khair, second hit karne aaya tha RAJAT...
NAISHA-go for it babes..
DHADHHHHH....
40 par jaakar rooka pointer joki ek acha hi score tha...
agli baari thi NITS ki..
NITS-JAY BAJRANG BALI...
DHADHHHHH...
zor ka hit kiya tha NITS ne jisme power acha release hua tha but unfortunately hammer archade ke beech me nahi balki thode side me hit hua jiski wajah se impact thoda kam ho gaya...
35 points hi bana paaya tha NITS...
SONU-hhatt chutiya...saale ddekh kke ttoh mmaarna cchahiye...
GALATH hit maarne ki wajah se mooh latak gaya tha NITS ka..
woh chupchap jaakar apni jagah par khada ho gaya jiske baad baari aayi SONU ki...
DHADHHHH...
unfortunately SONU apne hit me power theek se generate nahi kar paaya aur isiliye uska point bhi NITS ki tarah 35 ka hi bana..
NITS-aaja lounde aaja...chal glucose pilata hun tujhe...
SONU-chup be...
chaar bando ne apna apna attempt kar liya tha...ab bache the sirf DIMPLE aur SAM..
SAM-you should go..
DIMPLE-nahi,tum jaao...
ab tak bohot baariki se sabke hit stance, impact points ko checkout kar rahi thi DIMPLE aur yahi cheez woh SAM ki baari me bhi observe karna chahti thi...
SAM pahunch chuka tha ARCHADE ke paas aur hammer bhi hold kar liya tha usne..
EKPREET-chal buddy..show them why you are the champ...
DHADHHHHH....
ek zabardast hit kiya tha SAM ne.. impact point bhi kaafi sahi tha...
yahi reason tha ki pointer tezi se upar utha aur theek 65 points par aakar rook gaya..
matlab exactly EKOM jitne points banaye the SAM ne joki kaafi impressive tha..
NITS-gazab lounde..chhaa gaya tu toh..
uske wapas aate hi sabhi high five dene lage SAM ko..
EKOM-wakayi acha shot tha but kya faayda...220 points hue hain...55 abhi bhi piche ho...
first round me ache margin se piche reh jaane waale ho tum sab..
RASHI-ek attempt baaki hai mister...
EKOM-hahaha... pata hai..good for nothing attempt..
taunt kiya tha EKOM ne DIMPLE ko jisse completely nazarandaz kar archade ke saamne khade ho chuki thi woh..
hammer tightly hold kar liya tha usne jiske baad kuch seconds archade ko dekh lambi saansein li usne aur...
DHADHHHHH.....
WOWWWW....
ek saath sabhi ke mooh ya man se nikli thi ye awaaz..
kaafi acha impact pada tha DIMPLE ke hite ka jiski ummid toh RAJKUMAR kya SIRIUS walon ko bhi nahi thi..
sidhe 55 points par jaakar ruka tha pointer jisse dekh sabki aankhen badi ho gayi thi..
DIMPLE ke earned points ki wajah se score dono hi groups ka exact 275 par ruka tha...
KHANAK-what the hell..that was super awesome DIMPLE...kaise kiya tumne woh...
DIMPLE ke wapas aate hi same sawal aur taarif sab hi kar rahe the..
waise ek aur banda bhi impressed hua tha DIMPLE se..mai..
ANI ke saath apne group se thoda piche khada mai dekh raha tha sabki performance..
ANJALI-kya lagta hai, jeetenge hum!!!
MAI-definately...
EKOM-the scores are level.. let's start tha second round...
SAM-shoot then...
ek baar phir baari baari RAJKUMAR ke sabhi bande archade me pahunch hit karne lage aur is baar they were better than their last attempt...
pehle bande ne 45 points banaye,dusre ne bhi utne hi score kiye..
teesra banda 40 par atka but 4th banda jisne last time sirf 35 banaye the,is baar usne bhi 40 points score kiye..
baari aayi 5th bande ko jisne pichli baar se paanch zyada matlab 55 points score kiye...
bacha EKOM...
DHADHHHHHHH....
uske hit se ek baar phir hil gaya pura archade jiske baad pointer sidhe 70 par jaakar ruka tha..
uski puri group ucchal hi padi thi uske performance se...
EKOM-so....we stand on 295 points..ab the great undisputed champs sirius waalon ke liye toh is score ko cross karna easy ho hoga...
EKOM ke taunt ko nazarandaz kar is baar bhi sabse pehle EKPREET hi gaya aur..
DHADHHHHH...
55 points...pichli baar se 5 zyada score kiye the usne..
RAJAT-gazab lounde..my turn...
DHADHHHHH....
40 points....
RAJAT ke baad baari aayi NITS ki jisne pichli baar se 5 zyada score karte hue 40 points gain kiye..
NITS ke baad SONU bhi same 40 points hi bana paaya..
ab baari thi final do logon ki...SAM and DIMPLE...
ANJALI-120 points chahiye hume jeetne ke liye..last performance se thoda better hit kar den SAM aur DIMPLE toh we are winning it...
MAI-new girl nahi kar paayegi..
ANJALI-matlab...!!!
MAI-right hand dekh uska...
meri baat sun jab nazar gayi ANI ki new girl ke right hand par toh aankhen halki badi ho gayi uski...
halka halka shake kar raha tha uska hand..
ANJALI-ye kya ho raha hai uske haath ko..
MAI-baaki sabne hit power se kiya hai,par new girl ne right technique use kiya..
shoulders aur backbone ke power se hit kiya tha usne par aise techniques perfection ke saath hone ke liye time maangte hain..
ua technique ke saath she was not used for handling the core strength of the hammer..hit ke baad jab hammer archade se takraya toh her hand twisted..
nas kheench gayi hai uske wrist ki causing her terrible pain..
ab toh theek se utha bhi nahi paayegi woh us hammer ko,hit karna toh door ki baat hai..
ANJALI-shit..toh ab....!!
maayus ho gayi thi ANI jispar uske neeche hui thuddi ko upar kiya maine aur..
MAI-chin up girl..SANVY khada hai abhi..
ANI ko wink karte hue aage badh gaya mai..
DHADHHHHHH.....
is beech SAM ne apna hit kar diya tha but unfortunately is baar hit ka impact halka sa kam hua..
50 POINTS...
itne hi points gain kiye the SAM ne..
SAM-SHIT...
jahan khudse frustrate hote hue loutne laga SAM wahin RAJKUMAR waalon ko apni jeet dikhne lagi thi..
bohot khush dikhne lage the woh aur ye khushi kuch seconds baad thodi aur badh gayi...
reason...
DIMPLE-AHHHHH....DIMPLE....
archade ke paas pahunch jab hammer uthaane ki koshish ki DIMPLE ne toh kheenchi hui nas ki wajah se dard bhari aah nikal gayi uske mooh se...
HAHAHAHA...
EKOM-ohho ho ho ho....baby ki kalayi mood gayi..
DIMPLE ke apne kalayi ko hold karne ko dekh saathiyon ke hasi ke beech taunt maara tha usse EKOM ne jiske baad muda woh SAM aur uske group ki taraf..
EKOM-that means we won...
MAI-dont be to sure about it...
apne friends ke piche se aage nikal DIMPLE ke paas jaakar khada ho gaya tha mai..
wahin yun beech me aata dekh ghoorne lage the mujhe RAJKUMAR waale..
par boys ke ghoorne aur girls ke ghoorne me fark tha..girls jaise mujhe pechananane ki koshish kar rahe the...
EKOM-who the hell are you..???
MAI-naam jaan ke haarega kya...!!!
pehle haar jaa, phir deta hun intro apna...mai bhi SIRIUS se hun..i think ye last hit agar mai maarun toh fark nahi padega tujhe...
DIMPLE-no,i will hit it..
dard ke beech bhi apni zidh nahi chhodi thi new girl ne...
MAI-"bahaduri aur bewakufi ke beech ek thin line hoti hai..us line ko cross mat karo"....
meri baat new girl ke kaan me hi nahi balki dimag me bhi asar kar gayi thi..
reason..
maine wahi line boli thi jo RASHID ko maarne ke baad uski saviour ne as in meri mom ne usse advice me kahi thi...
grip dheeli padh chuki thi new girl ki hammer par jiske baad hold kar liya tha maine usse...
EKOM ki taraf dekha maine jo mujhe hi checkout kar raha tha...
pehle hi tarah thin banda nahi raha tha mai...body meri shape lene lagi thi par phir bhi process on the making tha...
EKOM ki tarah heavily built nahi tha mai...
abhi hamara score 230 points par tha.. jitne ke liye hume next as in last hit me 70 points score karne the...
matlab utne hi jitne EKOM ne apne last attempt me kiye the..
ek professional aur trained power games ka expert tha EKOM..
jab SAM is power game me usse match nahi kar paaya toh it was no way ki mai uski barabari kar paata..
mujhe check out karte hue yahi sab soch raha tha woh..
GIRL-EKOM ye..
haath upar kar chup kara diya EKOM ne ladki ko aur..
EKOM-done...go for it..
MAI-over confidence le duba lounde ko..
halka sa budbudaya tha mai jisse new girl ne sun liya tha..
hammer par apni grip strong kar archade ko dekhne laga tha mai..
NITS-bhai bacha liyo izzat...
ANJALI-hamesha ki tarah...
NITS aur ANJALI ki tarah baaki sab bhi back karne lag gaye the mujhe aur mai..
aakhein band ho chuki thi meri..
reason...
........................................................
THRUST PUNCH.....
eighteen hands of buddha ki one of the most devastating power technique ka naam liya tha VAJRA BODHI ne..
VAJRA BODHI-kisi bhi fighting technique me fighter artificial man made tools ka istemal karta hai.
par ek aisa brutal, unmatched natural tool bhi hai jisse woh nazarandaz karta hai..
aisa tool jo har fight ko base dene ka neutral point hai...
EARTH....
hamesha yaad rakho, opponent insaan ho ya koi chiz,hit karte waqt apne haath,pair, backbone, core strength par jitna rely karo,usse zyada rely jahan tum khade ho,earth ke us hisse par karna..
dhakka nahi de paaoge par phir bhi try to push it down.. attach yourself to the ground..
feel it's energy..us energy ko circulate karo apne sharir ke har hisse me,apne haathon me aur jab aisa ho jaaye,HIT....
........................................................
DHADHHHHHHHH........
THRUST PUNCH hit ke us sikhsha ko yaad kar apne neeche ke zamin ki taakat apne sharir aur baazuon me circulate kiya maine aur usse apply karte hue maine archade ko HIT kiya...
hammer aur archade dono hi bohot tez vibrate hue aur pointer tezi se upar uthne laga..
10,20,30,40,50,60,70...
pointer ke yahan tak aate aate RAJKUMAR waalon ki smile feeki padh chuki thi ko agle hi pal puri gayab ho gayi...
75..
exact 75 points jitne ki zaroorat thi hume jeetne ki, haasil kar liye the maine..
NITS-oye bhains ki poonch....faad diya,gaad diya,garda ukhaad diya...
NITS ke saath saath mere saare dost including girls doude meri taraf aur saale kood hi pade mere upar...
jahan hum sabke beech shor tha, wahin RAJKUMAR waalon ke beech sannata chha gaya tha...
khair, kuch der baad jab mere doston ki excitement kam hui toh alag hue woh mujhse..
NITS-abbe,ghutno par aaye nahi tum sab ab tak..
sharth bhul gaye kya..!!!chalo bacchon,pichwada aur ghutna tikao sabhi fatafat...
MAI-rehne de be...
EKPREET-kyun bhai..ye saale agar jeetate toh hume jhukne se rok dete kya..!!!
MAI-koi toh fark hona chahiye na SIRIUS aur RAJKUMAR ke students me..
waise bhi,inki jhuki nazarein kaafi hai in sabko mehsoos ho rahi sharmindagi ko bayan karne ke liye...
you ok...!!!
new girl se pucha tha maine ye sawal joki pehle hi mere hammer hit se hairan thi aur ab jo baatein maine kahi thi,usse impressed bhi...
thodi hadbadayi mere achanak uske liye puche sawal par phir haan me sir hilaya usne ...
let's go,now i am really hungry..kuch pelte hain..
EKOM-we will pay...
hum sab palte hi the ki tabhi EKOM ki baat par palte hum sab uski taraf..
SONU-abb ppaise kki akkad dikkhani hhai kkya..hum ppay kkar ssakte hhain appne lliye..
EKOM-akad toh haar ke saath hi toot gaya tha bhai aur apne liye respect hume jhukne se rok kar paida kar di isne humare dil par..
ye treat bhi ussi out of respect hi dena chahta hun mai..
hie,EKOM SINGH...
mujhse intro toh hua hi nahi tha EKOM ka..
haath badhaya tha usne meri taraf apna jisse thaam liya maine..
SANVEER AHARYA....THE GLADIATOR...
ussi ladki ne jisse kuch der pehle beech me bolne se roka tha EKOM ne,usne bade excitement se diya tha mera intro jispar EKOM,uske male friends aur hamare group ki girls bhi hairan hui..
DIMPLE-GLADIATOR...???
NITS-yahi naam hai diya gaya hai isse RAJKUMAR me..
NAISHA-tujhe kaise pata...!!!
RAJAT-kuch din pehle hi pata chala hume bhi..batata hun...
EKOM-so you are SANVEER...bohot suna hai tumhare courage,dare and most importantly, friends ke liye wall bankar khade hone ke baare me.
aur aaj toh dekh bhi liya...
MAI-aisa kuch nahi hai bhai..kismat hi kharab hai meri..jab bhi ye faste hain,badkismati se us waqt mai wahan moujud hota hun..jaise ki aaj...
aur jab doston ke aage khade ho jaao toh dare, courage aa hi jaata hai...
LADKI-modesty me bol rahe hain aap,bas..kuch dino pehle aapne jis tarah ADYA ko bhi doobne se bachaya tha,that was commendable...
MAI-aap thi wahan..??
LADKI-nahi..par KUMAON me SARAYU river ke aggressive speed ke beech kudne ka dum rafter experts me bhi nahi hota par aapne kiya tha woh..that was unbelievable...
RAJKUMAR ke girls ki taarif ke beech hum sab aage badh chuke the par SARAYU river me mere kudne waali baat sun DIMPLE apni jagah par khadi reh gayi thi..
woh gayi thi us rafting point par..nadi ke extreme bahav dekha tha usne..
woh jaanti thi ki it was nearly impossible for even an diving expert to jump and come out safe of that flow..
aur maine ussi flow me kudkar ek ladki ki jaan bachayi thi,it was an impossible task jo pura kiya tha maine...
DIMPLE-hai kya ye ladka...school me ek ordinary student jo na acadamics me participate karta hai,study me average hai aur sports me toh interest hi nahi leta..
phir practical knowledge itna extreme kaise..!!!mind and body,in kuch dino me human life ke in dono hi strong asset ko next level genius ki tarah use karkar dikhaya hai isne...
how..!!!!!
ye sab soch hi rahi thi DIMPLE ki tabhi..
KDKDKDK...
jaisa aksar pahadi ilaakon me hota hai,saaf mousam tha ab tak par achanak se kaale baadalon ke gherav ke beech bijli kadak uthi jisse dekh...
DIMPLE-bilkul aisa hi toh hai ye ladka...
pahadi mousam ki tarah achanak badalte rehta hai MIJAAZ TERA...
baaki sab ek sur me bajte hain,par ek alag hi taal par bajta hai SAAZ TERA...
ab tak khuli kitaab jiske panne kore hon,aisa lagta tha tu mujha magar...
amavas me chuppe chaand ki tarah parde me hai SHAKSHIYAT-E-RAAZ TERA....
AAJ KE LIYE ITNA HI...
AAPKA APNA V...J...