AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF PRINCI STUDENTS KO BATATI HAI KI SIRIUS KE 100TH ANNIVERSARY SPORTS MEET ME JAIDEN CHOWDHARY AA RAHA HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY DIMPLE KO USKE FIRST TASK KO SUCCESSFULLY CLEAR KARNE KA EK UNIQUE TARIKA DERIVE KARTA HAI.
AB AAGE:-
CHAPTER-1
(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)
UPDATE-60
DATE- AUGUST 12
CITY-DEHRADUN
PLACE-SIRIUS
HOT BABES AND ALL THEIR BROTHERS, PRESENTING INFRONT OF YOU THE UNCLE OF BRUCE LEE AND FATHER OF JAKIE CHAN,THE ONE,THE ONLY,THE BEST OF THE BEST,NITENDRA...
SONU-CHUTIYA........
HAHAHAHA....
NITS ke self fake intro ko pura SONU ne kiya tha jisse sun jahan ek taraf SIRIUS ke indoor stadium me moujud sabhi internal aur external students has pade the wahin SONU ko maar daalne waali nazar se ghurne laga tha NITS aur...
NITS-saale,baaki har line aur shabd me atakta hai tu,bas gaali dete waqt hi kaise pura flow me nikalta hai har word tera..!!!
DHABBB....AHHHHHH....
dialogue ke beech ek tamacha SONU ke peeth par jama diya tha NITS ne jiske agle hi pal mooh se ek karah bhi phooti par ye aah SONU ke nahi balki NITS ke mooh se nikli thi...
reason..
DAS SIR..hamare school ke one of the sports teacher joki boxing ke saath saath judo karate me bhi ache khaase trained the...
woh paas pahunch chuke the NITS ke jiske baad uske kandhe par ek punch jama diya tha unhone..
ab sir ke shoulder punch ki ek khaasiyat thi..
hit shoulder ke bilkul us nas me impact karta tha jisse dard ke saath saath hasi bhi aati thi..
ek ajeeb sensation feel hota tha shoulder se lekar brain tak...
ussi weird but painful feel ke saath apne kandhe ko ragadte hue NITS dekh raha tha sir ko..
DAS SIR-beta,tumhare ghar me bana wwe ka erana nahi hai ye jagah jahan apni imaginary undertaker personality ka show off karte phiro tum...
school ka indoor stadium hai..thodi toh decency rakh hi sakte ho beta...
SIR ki daant par baaki sab toh dabi hasi has rahe the par NITS bilkul chup tha is ummid se ki sir ke daant aur taane ka kota pura ho jaayega par aisa tha nahi...
DAS SIR-waise beta, eye sight kaisi hai tumhari...!!!barabar dikhta hai naa...!!!
NITS-jee sir...???
DAS SIR-toh beta stadium me entry karte waqt upar ek bada sa banner tanga tha,uspar nazar toh gayi hogi naa...!!!
NITS-jee sir...
DAS SIR-very good...!!!toh kya likha tha banner me beta...???
NITS-"INTERSCHOOL KARATE TRIALS"...
DAS SIR-exactly beta...matlab is waqt saamne jitne students khade hain,woh sirf hamare school ke hi nahi balki dehradun ke lagbhag har school ke students hain...
toh beta aise me tumhe nahi lagta ki tumhe apne gadhe waali harkat aur natural idiotic nature ko control me rakhna chahiye...
NITS-aage se nahi hoga sir...
DAD SIR-nahi beta, agar din bhar ke liye gadhe se murge me convert hone ka man ho toh bilkul karo...
is meethi par sabke saamne izzat ka bhaaji pulaav karne waale taane ke baad SIR aage stadium ke beech bane karate mat ki taraf chal pade the..
wahin ab bhi apne kandhe ko sehlata hua NITS sir ko peeche se ghoor raha tha..
NITS-saala ye hindi ka aur english ka SIR word kisi ek chutiye ne hi ijaad kiya hai....
dono hi bina schedule dard dete rehte hain...
SAM-hahahaha...abbe chutiye, stadium entry karne se pehle hi shaant rehne ka bola tha maine tujhe,par tere pichwade ko toh chul machi thi na, dusre school ke students ke saamne hero giri jhaandne ki...
RAJAT-ab toh izzat hi jhad gayi puri..dekh,jin hot chicks ke saamne show off karna tha tujhe,woh sab tujhe dekh has rahe hain..
wakayi dusre school ke female students NITS ko dekh haste hue ek dusre se kuch baatein kar rahe the aur ye dekh NITS thoda aur chidh gaya...
par kyunki DAS sir ke saath 2 sports substitute teachers joki karaate coaches bhi the, moujud the stadium me isiliye kuch bol nahi sakta tha woh...
DAS SIR-common students...get in lines..
boys, apne apne school ke according aap sab rows banayenge and same goes for girls...
1 proper hit ke kul teen rounds honge...winner will qualify for the next round...
3rd round ke baad jo kul 4 bache qualify karenge,they will represent DEHRADUN in the upcoming karate event...
understood...!!!
SAB-yes sir...
sir ke bolne ke beech hi unke thought ke according students ne row formation shuru kar diya tha..
zyadatar students pehle bhi bohot se karaate events me participate kar chuke the aur jinhone nahi bhi kiya tha,woh bhi apne apne academy me kayi trails de chuke the..
yahi wajah thi ki coaches ko zyada samjhane ki zaroorat nahi padi thi..
NITS,RAJAT, EKPREET,SONU..kuch aur students ke saath ye sab boys ki taraf se volunteering ke liye yahan par moujud the and same was the case with girls..
bas DIMPLE aur SAM hi as participants aaye the stadium me...
khair,agle 5 minute me pehla round shuru ho chuka tha jo kareeb 30 minutes tak chala..
ab real fight toh karni thi nahi isiliye bas ek slight hit and the round was over...
aur DIMPLE,SAM ke rounds toh jaise shuru hote hi khatm ho gaye the..
pehle dono rounds SAM ne 30 seconds ke andar khatm kar diye the aur DIMPLE...
DIMPLE ko toh 15 seconds bhi nahi lage the..she was fast..very fast jiska hand movement saamne khadi ladki ko theek se dikha tak nahi tha...
NITS -arre yaar...saala bhaari bore lag raha hai be...
RAJAT-chup loudu..jab volunteering ke liye pucha gaya toh sabse pehle tune hi haath upar kiye the..
tere chakkar me hum bhi lapeta gaye...
NITS-abbe toh mujhe thodi na pata tha ki beta beta bolkar DAS sir apne loude laga denge...
dekho toh, khud kaise daant nipor nipor kar girl participants ko gyan pel rahe hain...
EKPREET-hain bhi toh kamaal ye girls...pata nahi cheer leading chhod karaate me kyun ghus gaye ye sab...
khaaskar ye PRINCE ki ladkiyan...ohohohohoho...gazab hi hain yaar...
NITS-oye sardar..kaabu me rakh khudko..DAS sir ne tere chehre par chhada tharkipan dekh liya toh lund kaatkar haath me rakh denge...
waise guyz,kya lagta hai,jisne louda shabd ka ijaat kiya hoga,kya wahi lund shabd ka bhi janmdata hoga...????
SONU-cchup bbe... mmatchmaking karna hi hai ttoh kkisi ssahi cchiz ka kkar... louda,lund,ye bbhi kkoi rresearch kki cchiz hai...!!!
NITS-beta lund se zyada zaroori shodh bhi kuch ho sakta hai kya..!!!
arz kiya hai...
SAB-irshaad,irshaad...
NITS-louda louda mat kaho,lauda hai GYAANI...
loude ke badoulat paida hue,sab hai loude ki MEHERBAANI...
SAB-hahahahaha...
EKPREET-waah lounde,gazab...
NITS-maanta hai ki nahi...
DAS SIR-beta matlab tum sabko hi murga banana hai,kyun...!!!gadhon,jab volunteering ke liye aaye toh wahan khade khade ghode ki tarah kya hinhina rahe ho...!!!
chalo,jaao,udhar boys trail ki taraf.. second round chaalu hai, make sure there's no false hit...
NITS-saala,kabhi murga,kabhi gadha,kabhi ghoda..banana hai toh ek jaanwar banao..ye mixed breed kaahe banane par tula hai be..
SONU-yye ssaala SANVY bbach ggaya is ffaltu kkaam sse...ekdum ssahi ddin cchuna saale nne bbunk mmarne kka...
RAJAT-haan..aajkal school me kab bunk maarna hai, iska schedule bank me banate hai kyun!!!chutiya...
aunty ka field trip tha aaj,unhike saath toh gaya hai SANVY...
HEY GUYZ... WHAT'S UP...!!!!
ye DIMPLE thi...as expected,sabse pehle ussika teeno round pura hua tha...
RAJAT-nothing yaar... bas bore ho rahe hain...
DIMPLE-hahaha..toh kisne bola tha volunteer karne ke liye.. by the way, NITS SANVY kab aa raha hai wapas..aaj second day hai uske leave ka...
NITS-pata nahi...waise bhi mobile nahi rakhta kamina aur aunty ke saath jaata hai toh out of reach hone ka badhiya bahana bhi mil jaata hai saale ko...
DIMPLE-arre par aunty ke cell par toh baat hoti hogi na tum sabki...
RAJAT-kahan...!!!!aunty toh late evening hi free hoti hain aur us time woh bhai sahab side scene ke liye nikle hote hain...
DIMPLE-oh..
ek nasamajhi bhari nirasha thi DIMPLE ke is do alphabet ke chote se oh me...
training ki wajah se har din hi kaafi waqt saath bitaane lage the SANVY aur DIMPLE..
par bas ye do din ka communication gap uske dil ko saalon ki judayi lagne lagi thi..
ek ajeeb sa khaalipan mehsoos karne lagi thi DIMPLE..
pehle hi SANVY ke prati apne puzzled feelings aur phir us shaam park me uske chehre ka band aankhon ke aage light up hon se ek ajeeb si bechaini ne ghar kar liya tha uske dil me aur ab SANVY ka ye normal absence..
khair, DIMPLE ke oh aur us shabd me chhalka nirasha bhale hi kisi aur ne spot nahi kiya ho par SONU ki nazar anjaane me hi udaas hue DIMPLE ke face par jaa chuki thi..
kuch pal dekhta raha woh usko aur...
SONU-ANJALI kko ppata hhonge SANVY kke wwhereabouts...
aunty aur woh bhale hi out of station hain par ANJALI ne se din me ek baar baat hoti hi hogi unki...
NITS-haan bhai woh toh hai.. nahi toh woh satkel unke ghar ke saamne dharne par baith jaayegi, literally...
HAHAHAHA....
sab has diye the NITS ki baat par joki mazak nahi fact tha...
NITS-oye ANJALI...
ANJALI-yo...
thode hi door RASHI, KHANAK aur kuch dusre female students ke saath khadi thi ANJALI jo NITS ki baat par uski taraf palti thi...
NITS-kab aa raha hai KAMINA...
DIMPLE-KAMINA tu saale..aur aaj pahunch jaayega woh...infact morning nikle the wahan se that means abhi tak toh ghar pahunch bhi gaye honge dono...
SONU-ttold yyou...
DIMPLE-kamal hai..ANJALI ke saath SANVY ke besties tum dono bhi ho par uske whereabouts sirf usse hi maalum hain..
SONU-hhaan hhain hhum bbest ffriends SANVY kke ppar usse ccloseness kke mmaamle mme nno bbody ccan ccompete wwith ANJALI...
NITS-true...infact bachpan me ek garden me hi mulakat hui thi hum dono ki SANVY se..
aur us mulakat ka bhi base ANJALI hi thi..
bench ke piche shade tha jisme kaante biche hue the..pair fas gaya tha ANJALI ka usme...
maine aur SONU ne help ki thi uski..theek ussi waqt pahuncha tha SANVY wahan...
bohot ro rahi thi ANJALI par SANVY ko dekhte hi uska rona turant band ho gaya tha..
usse sahara dekar uthaya tha SANVY ne par jaate jaate palta woh hamari taraf aur ek smile ke saath thanks bol wapas aage badh gaya..
bas phir,uske baad har shaam milne lage hum chaaron garden me and we became friends...
past bataate waqt jaise un guzre lamho ko dobara jeene laga tha NITS..
same haal SONU ka bhi tha...
AUR GUYS,KYA BAAT HO RAHI HAI...!!!!
SAM tha ye jo DIMPLE ki hi tarah apna final round khel kar wapas group ke paas aaya tha..
EKPREET-kuch nahi yaar,woh bas....holy smoke....
bolte bolte zuban aur aankh,dono ki disha badal gayi thi EKPREET ki..
NITS-iski maa ki behen ko mousi bolun..ye toh wahi hai naa be...
KUMAON RIVER RAFTING waali...
EKPREET-haan,wahi jisse SANVY ne bachaya tha...kya naam tha,ADYA KOTAK from RAJKUMAR..
NITS-bachaya bhale hi SANVY ne ho par banaya isse upar waale ne hai aur kya kamal ka banaya hai bhai...
abbe,sun liya kya usne..idhar hi aa rahi hai...
SONU-aurr akkeli nnahi,ddusri girls bbhi hain ssath usske...
NITS-par ye baaki girls toh uske school se naa hain...
EKPREET-teri bhaavnayen toh na padh li chhoriyon ne...dekh,nazar sabki teri taraf hi hai..
saale,tere hi din hai beta..pehle das sir se punch khaaya,ab ladkiyon se thappad khaiyo...
NITS-mai nikalta hun bhai...
SAM-chill dude and relax..kuch nahi hoga..ladka ho ya ladki, SIRIUS me aakar SIRIUS ke student ko koi kuch ulta bol bhi de toh laanat hai apne par..
SAM ke baaton ke dauran ADYA aur baaki girls boys ke paas pahunch chuke the...
ADYA-hey guyz...
SAB-hey...
SAM-tum ADYA ho naa.the rafting girl...
ADYA-appropriate words should be drowning girl...
SAM-hahahaha...waise tum yahan kaise...!!!i mean RAJKUMAR school division ke students yahan kya kar rahe hain..???
tumhara school toh local competitions avoid karta hai...
ADYA-hum bhale hi local competitions avoid karte hain but invites toh hume milte hi hain...
hey,hye.. DIMPLE BATRA right...!!!
DIMPLE jo bade gaur se ADYA ko joki bhale hi SAM se baat kar rahi thi,par nazarein uski jaise kisi ki talash me thi,dekh rahi thi..
apna naam ADYA ke mooh se sun strange looks ke saath dekhne lagi woh usse aur..
DIMPLE-have me met before...!!!
ADYA-nopes,but i know you..waise bhi jo ladki nation wise top 5 students me se ek ho,uske baare me naa jaanana..
SAM-its impossible specially for a RAJKUMAR student..
DIMPLE, RAJKUMAR SCHOOL is the base of popular students information..
aas paas ke jitne bhi renowned school aur college hain,wahan ke champs ke baare me puri info rakhte hain ye...
ADYA-champ se yaad aaya,where is the real champ of SIRIUS..
hey,by the way DIMPLE, champ se mera matlab ye SAM nahi hai,it means..
DIMPLE-SANVEER AHARYA...i know...
bade halke par proudly liya tha SANVY ka naam DIMPLE ne jisse sun slightest of the second ke liye ghura tha ADYA ne DIMPLE ko..
bohot suna tha ADYA ne DIMPLE ke baare me aur sirf uske brain par hi nahi balki uski extreme beauty ke baare me bhi..
aur aaj DIMPLE ko saamne se dekh woh jaan chuki thi ki uske sune saare gestures GALATH nahi the...
ADYA khud bhi khubsoorat thi..bohot khubsoorat..infact RAJKUMAR school division ki shayad woh sabse beautiful girl thi par DIMPLE ka league hi alag tha..
she was natural...uski saadgi uske chehre ko woh noor tohfe me deti hai jiske aage har saaj shringaar feeka lagta hai..
ussi saadgi ne DIMPLE ke prati ADYA ke man me naa chahte hue bhi competition ki bhaavna jaga di thi...
aur ab jis tarah DIMPLE ne SANVEER ka naam pukara tha,aisa laga ADYA ko maano bina bataye ya jataye hi DIMPLE SANVY ko uske kareeb bata rahi..
behadh kareeb...
woh ek pal ka ghurna inhi bhaavna ki samiksha kar gaya tha...
ADYA-so, where's he..!!!
sawal zaroor ADYA ne pucha tha par same question full expression uske saath khade baaki sabhi girls ke face par tha aur is baat ko SAM aur baaki sab bhi samajh rahe the..
EKPREET-ADYA ka toh samajh me aata hai but tum sabko bhi SANVY se hi milna hai kya..!!!
SAB-haan...
RAJAT-kyun..!!!
ADYA-aur kyun...!!!karaate is also a form of fighting technique...ab fighting me who's better than SANVY...!!!!
ANJALI-tum sabko kaise pata ki SANVY can fight...???
apne group ke saamne girls ki bheed dekh ANJALI,RASHI aur KHANAK, teeno hi inki taraf aa chuke the...
GIRL 1-jisne ROUNAK jaise state boxing champ ko easily dhul chata di ho,uske baare me kisse pata nahi hoga...!!!
jahan us ladki ki baat sun boys ne apna apna maatha peet liya tha wahin ROUNAK,ye naam click hua tha DIMPLE ke dimag me aur..
DIMPLE-ROUNAK..!!!that PRINCE guy, jisne hume club me invite kiya tha...usse kyun maara SANVY ne...!!!
SONU-actually ROUNAK SANVY se bhidne gaya tha.. you know,to show off.. SANVY ne ussika show off kar diya...
GIRL 2-yaa, SANVEER broke his arm...!!!
really/what...!!!!
ek saath do expressions nikle the...REALLY bola tha DIMPLE ne aur WHAT term use kiya tha ANJALI KHANAK, NAISHA aur RASHI ne...
ANJALI-aur ye baat tum sabko pata thi..tumhe kya, dusre school ke students toh ko khabar thi par hume nahi...
RAJAT-ohho maate, chill... SANVY ko toh jaanti ho naa,show off naa aata hamare lounde ko...
isiliye usne hume mana kiya tha kisiko kuch bhi batane ke liye..
NAISHA-phir in sabko kaise pata..!!!ye piche jo do girls hain,ye toh hamare hi school,infact hamare hi class ke B section se hain naa...!!!
EKPREET-exactly,B section...!!!jahan RAVI as in khabri laal padhta hai...
jab ROUNAK SANVY se peeta tha toh wahan DEEPESH moujud tha..
usne bataya hoga NAMITH ko...
NAMITH se ye khabar apne school ke lounde ROHAN ko mili hogi aur usse tripathi ko..
baat uske bhi peth me pachti nahi..usse pure class me ye baat faile gayi,jiska matlab hai RAVI ko bhi pata lagna..
ab ye toh pata hi hai naa ki agar koi baat RAVI ke kaano tak pahunchi woh bhi aisi toh apne kya,har school jahan setting rehti hai uski,wahan word spread hona normal hi hai..
wahi hua hai...
ANJALI-aane de usko...bohot ladne ka,haath todne ka shouk hai..kameene ke bhi haath tod dungi...
ADYA-matlab he is not here...kamaal hai,mujhe toh bola tha usne ki he will come to school today...
ANJALI-tumse bola tha..you guyz talk...!!!
ADYA-what kind of a question is that...without talk,batayega kaise woh...!!!
parso hi baat hui thi meri,toh bola tha usne...he promised...
SAM-he must have forgotten...bhool gaya hoga...
SANVY NAA KUCH BHOOLTA HAI AUR NAA KABHI APNA PROMISE TODTA HAI...
ye mai tha...casual wear me school pahuncha tha mai..
jaanta tha ki is waqt sab yahin stadium me honge isiliye sidhe yahin chala aaya tha mai...
trail ke teeno rounds pure ho chuke the isiliye das sir aur baaki substitute teachers jaa chuke the...
anyways,sabse thodi door tha isiliye apni baat bolte hue unki taraf badh chala mai but is beech girls ki constant peeking saaf mehsoos kar raha tha mai...
blue shirt ko khaakhi trousers ke saath tuck in ki hui thi maine...pointed black shoes..
overall ek simple look me tha mai but shayad yahi simple look mere naye naye build up ho rahe body me kaafi jach raha tha...
khudke liye girls ki moun admiration is baat ka saboot thi..
MAI-hey...
ADYA-hey smarty...
ADYA ke saamne pahunch rooka tha mai jispar apni beautiful smile ke saath halka aage badhi woh aur agle hi pal hum dono ek friendly hug me lipte hue the.
kamsekam mere liye toh ye hug friendly hi tha....anyways,hug ke baad jaise hi alag hue hum toh..
ADYA-SANVY,meat your fans..
saari girls jo ADYA ko envy aur mujhe adornment ke saath dekh rahe the,unki taraf ishara kiya tha ADYA ne..
MAI-my fans, matlab...!!!
ADYA-oh common SANVY,itni modesty bhi sahi nahi..you know how capable and popular you are...
in sabko tumse upcoming karate meet ke liye tips leni hai aur..
SAB-ek selfie, please...!!!
ek saath accord me request kiya tha sabji girls ne jisse dekh..
EKPREET-bhai toh apna chha hi gaya hai guyzz..
RAJAT-yup..mujhe kabhi nahi laga tha ki jahan SAM hoga,wahan kisi aur ko priority milegi but yahan toh kahani hi badalne lagi hai..
NAISHA-badalni bhi chahiye...i mean ,just look at SANVY...this guy is getting hotter by every passing day...
DIMPLE ne us shaam theek hi kaha tha...SANVY does resembles his father..aur aisa hi chalta raha toh yes,one day,he will surpass his dad's personality..
right now girls are just craving him,tab he will have looks for which girls would die for...
RAJAT-wowowo...easy babes...bhool toh nahi gayi ho naa ki you have a boyfriend...mai...!!!
NAISHA-accha...jab us ADYA ko ghoor rahe the tab tumhe apni G.F yaad nahi rahi thi kya...!!!
NAISHA ke counter answer ko sun kuch kehne ko bacha nahi tha RAJAT ke paas...
khair,wahan mere dost apne speculations me lage hue the aur idhar girls ke selfie request ko sun...
MAI-selfie, mere saath..who do you all think i am..??a celeb or what..!!!
ANJALI-ofcourse celeb hai tu..i mean, logon ke haath tod raha hai, boxing champ ke saath ladhayi ke naye parameters aur bar set kar raha hai..
celebrity toh hua hi naa tu.. you deserve selfie..but girls, first selfie iska iski bestie ke saath hona chahiye..
that will be me..
RASHI-true..or uske baad hum sabke saath bhi ek ek click lega SANVY..
ANJALI-bilkul.. aur aisa ho,iske liye chalo guyzz, surround him...
MAI-oh boy..this is not right...
ANJALI ki baat puri hote hote hi NITS joki meri kutayi dekhne ke liye atti aatur dikh raha tha,uske saath baaki sab bhi mujhe gher kar khade hone me lag chuke the.
theek waise hi jaise kisi kabbadi dene waale player ko opponent team gherti hai...
wahin ANJALI bhi turant mere taraf badhi thi aur agle hi pal uska naazuk mukka chal pada tha mere peth par...
ANJALI-badi hero giri chhadhi rehti hai kyun...!!!
MAI-gottcha...catch NITS...
tezi se side hone ke beech ANJALI ke haath lock kar uske piche ho liya tha mai aur aisa karte hi ANJALI ko uske back se halka sa dhakka de diya tha maine..
NITS joki mujhse bas 3 feet door hi tha aur casually khada tha,usne mujhse aisa kuch karne ki ummid nahi ki thi..
isiliye jab ladhkhadate hue ANJALI badhi uski taraf toh usse sambhalne ke chakkar me woh khud bhi ladhkhadate hue thoda side hath gaya giving me enough space to sneak out..
wahi hua...
tezi se us modern chakravyuh se bahar nikal chuka tha mai..
ANJALI-tu toh gaya aaj SANVY...
ab tak sambhal chuki thi ANJALI jiske baad turant bhaagi woh meri taraf...
NITS-shaitan ki kasam,khub pelenge be aaj tereko...
MAI-chhu ke dikha be pehle...
NITS aur uske saath saath baaki sabhi boys and girls bhi mujhe pakadne ke liye doud pade the..
siway DIMPLE ke..woh bas ek bright smile ke saath hamari pakdam pakdayi enjoy kar rahi thi...
aur DIMPLE hi kya, stadium me moujud har student hamari pakdam pakdayi ka lutf utha raha tha...
kareeb 10000 square feet jitna bada indoor stadium tha ye jisle har corner me sabko jhakate hue doud raha tha..
but in SAB shabd me filhal SAM nahi tha...
bhaagte hue stadium ke entrance door ki taraf abhi badha hi tha mai ki tabhi SAM ne jisne andaza laga liya tha ki aisa kuch karunga mai,pehle hi wahan pahunch chuka tha woh...
turant door lock kar uska gigantic lock handle ghuma diya usne aur phir mujhe wink karte hue meri taraf badha woh...
MAI-beta,apni hi izzat utarwaane ka jugaad laga liya tune...
chilla kar boli thi maine ye baat jiska matlab turant toh samajh me nahi aaya tha SAM ko par agle 3 minutes me naa sirf woh meri baat ka ganith samajh gaya balki door lock karne par khud par jhunjla bhi gaya tha woh..
ab baat ye thi ki school ka best runner aadhe dozen se zyada logon ke help me saath bhi mujhe pakadna toh door,chhu bhi nahi paaya tha...
upar se sidha doudna asaan hota hai with less energy absorption..
but jaise continously zigzag bhaag rahe the hum,saans un sabki dhoukni ki tarah chalne lagi thi..
speed kaafi kam ho chuki thi sabki par mai abhi bhi puri tarah fresh lag raha tha..
aur in sabse ADYA aur baaki girls joki ab tak chal rahe scenerio ko dekh sirf has rahe the,ab unki aankhon me meri speed,bachne ke liye use kiye tactics but most importantly, stamina dekh hadh se zyada admiration thi...
ADYA-wow...this guy is something else..ye naa aata kisi kipakad me...
DIMPLE-dont be to sure about that...
ek thandi saans chhodte hue jaise khudse hi kahi thi ye baat ADYA ne jisse sun ek smile paas kiya DIMPLE ne aur turant badhi woh meri taraf...
DIMPLE-hey,my turn...
theek mere piche pahunch mujhe pakadne ke liye haath badhate hue kahi thi ye baat new girl par tabhi left ki taraf dodge dekar aage ki taraf bhaag gaya mai...
MAI-babes,its not easy to catch SANVY...
DIMPLE-but i will..i promise...
turant bhaagi thi new girl mere piche aur ye dekh ek baar phir sabhi girls ke faces par admiration tha but this time,it was for new girl..
uski movement thi hi itni speedy...
par admiration subject change hone me waqt nahi laga tha aur is baad reason tha mera speedy movement joki pehle se double tha..
kareeb 2 minutes ho chuke the new girl ko mere piche bhaagte hue..is dauran kayi mouke aaye jab uske haath mujhe piche se chhute chhute reh gaye the..
is catch me if you can waale unofficial challenge ko externally aaye sabhi ladkiyon ke saath mere group ke sabhi log bhi kaafi enjoy kar rahe the...
DIMPLE-GOTTHA...OH SHIT....
UMHHHHH.....
ek baar phir kaafi close pahunch gayi thi new girl mere par itne der me mere tactics samajh chuki thi woh..
jaanti thi new girl ki agar apna haath meri peeth ki taraf phir se badhaya usne toh like previous times,is baar bhi zig zag ghum mai bach hi jaaunga isiliye thoda alag but saath hi risky move try kiya usne..
ek full front strech dive kiya new girl ne aur agle hi pal uski body meri body ko lapeththe hue neeche zamin par gir rahi thi...
par kyunki new girl ke jump ko last moment me na sirf sense kar liya tha maine balki saath hi saath,jis speed se daud rahi thi woh,us velocity ke according mere aur uske body ke impact ko calculate bhi kar liya tha..
isiliye role up hote hue chest front hit kiya tha meri body ne new girl ki body ko aur agli hi pal hit ke tagde impact ki wajah se uski aur meri body bhi hawa me halka upar float si karti hui neeche aayi..
issi fall force ko feel kar "oh shit" nikla tha new girl ke mooh se par is drastic fall ka real outcome agle second disclose hone waala tha jo ho hi gaya..
maine toh impact ke according apne shoulders ko tight kar liya tha par new girl aisa nahi kar paayi thi..
floor par girte hi uska face jo mere face se thoda neeche tha,woh upar hota chala gaya aur aisa hote hi..
uske honth meri thuddi se hote hue mere honthon par lagte chale gaye...
abhi ye upward movement aur hota par aisa hone ke beech mere haathon ki grip uski kamar par tight hone lagi thi jiski wajah uske face ke movement ka safar mere hothon par aate hi rook gaya..
half a second..itne hi der ke liye tik se gaye the uske honth mere honthon par lekin khuda kasam..
ye aadha second hum dono ke liye kisi sadi se kam na guzra tha..
haan, ANJALI ke saath kabhi kiss hua tha mera par woh mera ishq nahi thi..
jazbaat meri taraf se dosti waale hi the isiliye mehsoos kuch hua nahi tha us waqt mujhe par us no feeling ka kota samandar ki tarah bhare abhi uth rahe mere andar ke jazbaaton ne pura kar diya tha...
same haal DIMPLE ka bhi tha..dil uska kuch yun baj raha tha maano kabhi bhi rook jaayega..
luckily, is bhagam bhagayi me DIMPLE ke baal khul gaye the aur is waqt mere chehre ke upar the isiliye dekhne waalon ko kuch dikha nahi tha...
MAI-sorry..
DIMPLE-hmm..
uthne ko hui thi new girl ki tabhi uske kaano me is anjaane me hui gustaakhi ki maafi maangi maine jispar uske mooh se nikla shabd mujhe uske dil ki bechaini saaf bata gaya tha...
NITS-bhai,bhai,bhai,bhai, bhai..kya gire yaar tum log..saala aisa laga jaise 3,4 haddi toh gayi tum dono ki..
KHANAK-waah..kya tarika hai concern dikhane ka...
are you alright SANVY...!!!
NAISHA-DIMPLE,tum theek ho..!!!
DIMPLE-haan.. excuse me, wash room se aati hun..
bina kuch sune turant stadium se ke darwaze ki taraf badh chali thi new girl..
wahin ANJALI ek baar phir mujhe maarne lagi thi par is baar mai bhi chupchaap apni jagah par khada raha...
ADYA aur baaki girls bhi aa gaye the hamare paas jiske baad shuru hua un sabka selfie adhyaya...
is beech...
tezi se aage badhti chali gayi thi DIMPLE par exit door ke paad pahunch apne aap hi rook gaye uske kadam aur woh mudi meri taraf..
achi khaasi bheed thi mere aas paas..ek baar phir ADYA mere paas thi aur baaki girls ki tarah mere saath selfiile rahi thi..
par na woh bheed dikh rahi thi new girl ko aur naahi ADYA ka mujhse close hona khatak raha tha uski nazaron ko..
uski aankhein jaise mere chehre ko bas ek tak dekhne me lagi hui thi aur dil....
ek baar phirse bina DIMPLE se ijazat liye mere dil se baat karne me lag chuka tha...
DIMPLE-
barf se thand ke beech ye aag kaise SULAG RAHA HAI...
woh ehsaas jiske hone tak ka andaza na tha, achanak kaise JAG RAHA HAI...
kisine haath tak na chhua tha kabhi magar aaj pehli baar...
kisine labh chhu liye mere par pata nahi kyun,mujhe accha kaise LAG RAHA HAI...!!!!
AAJ KE LIYE ITNA HI...
AAPKA APNA V...J...