u.sir.name
Hate girls, except the one reading this.
- 6,840
- 9,771
- 189
Jabardast update brother.....Gurdev ko Maharani ke pardaan ki gai jankari ki vajah se unahe parilok ki rajkumari ke baare me sab kuchh pata chal gaya or uske baad vah bole ki
Gurdev : maharani aap ko nahi lagata hai ki unke milan me sabse badi badha yah samaj or uska parivaar hi banega agar aisa hua to use apni saktiyo ka kabhi bhi smarn nahi hoga or naa hi raajkumari ko.
Maharani : isme ham or aap kuchh bhi nahi kar sakte hai yah unke prem ki parichha hai isme vah pass hote hai ya nahi yah unke upar hi nirbhar karta hai or rahi baat samaaj or uske parivaar ki to unhe bhi manana inhi logo ka kaam hai or age chal kar kuchh aisi paristhiti ayegi jo ki isase bhi badh kar hogi.
Gurudev : to isme ham log hath par hath dhare baithe to nahi rah sakte hai.
Maharani : mai aisa karne ko bol bhi nhi rahi hu. Aap ko uske parivar ko jakr kuchh bato ko batani hogi jo ki bhavishy me hongi jisase ki vah usme koi rok paida nahi kare.
Gurdev " thik hai jaisa aap bol rahi hai mai vaisa kar to dunga lekin iska parinam kya hoga apne yah socha hai.
Maharani : niyati ne jo likh diya hai use ham or aap koi bhi badal nahi sakta hai isliye ham sabke liye uchit yahi hoga ki jo ho raha hai use hone de agar hamne niyti ke khel me. Badha pahuchane ki koshish ki to ho sakta hai.
Gurdev : thik hai to mai apki kahe anushar kar dunga or rajkumari ko unke kary se avgat kara dunga.
Maharani : nahi aap sirf uspar dhyan de ham apni putri se milkar use uski kartvayo se avgat kara dungi.
Gurdev : lekin aap to bol rahi thi ki aap abhi dhartilok par nahi aa sakti hai or jab tak rajkumari ko unki saktiyo ka bhash nahi ho jata hai tab tak aap usne sidha mulakaat nahi kar sakti hai kunki agar aap ne aisa karne ki koshish ki to aap ki tej ke vajah se unka inshani sarir jal kr bhasm ho jayega.
Maharani : sayad aap bhul rahe hai ki swapnlok bhi hamare hi adhikar me hai to mai kisi ke bhi swapn me jakar usase mulakat kar sakti hu.
Idhar Mushakaan jabse college se ayi hai tabhi se bechain dikh rahi thi jo ki uske roommate se dekha nahi gaya jo ki uski sabse achhi dost bhi hai uska naam Ankita hai jo ki ek anath hai
Ankita : kya baat hai yaar aaj dekh rahi hu college me us hadse ke baad se tum bahut vichalit dikhai de rahi ho agar koi baat hai to mujhse bol sakti hai tu jiski vajah se tu itna pareshan hai.
Mushakaan apni hi soch me gum thi jiski vajah se use Ankita ne kya bola use kuchh bhi sunai nahi di. Ankita ne jab dekha ki vah kuchh javab nahi de rahi hai to usne use hilaya to Mushakaan apni soch se bahar ayi tb Ankita boli ki
Ankita : kya baat hai meri jaan aaj badi khoi si lag rahi ho.
Mushkaan : nahi yaar aisi koi baat nahi hai bas subah aaj jo kuchh bhi hua uske baare me soch rahi thi.
Ankita : dekh janha tak mai tujhe janti hu tu itni chhoti baat ko lekar pareshan hone wali tu hai nahi sach bol kya baat hai.
Mushkaan : akhir kya batau mai tujhe tune aaj tak to meri us baat par vishwaas kiya nhi or agar mai ab bolu ki vah baat sach ho gayi hai to kya tu meri baato par yakin karegi.
Ankita : tu kahana kya chahti hai mai samjh nahi paa rhi hu ( phir kuchh yaad ate hi bolti hai ki) kahi tu yah to nahi kahna chahti ki jis ladke ko tu har roj apne sapne me dekhati hai use sach me dekh liya agar tu yah kahana chahti hai to mai pahle mai tujhe bata du ki mai teri is faltu baat par naa to kabhi yakin ki hu or naa hi aaj karungi.
Mushkaan : mai yah baat achhi trah se janti thi ki tu meri baato par yakin nahi karegi isliye hi mai tujhe bata nahi rahi thi lekin mai tujhe yah baat abhi sabit kar sakti hu.
Ankita : kaise sabit karegi tu.
Mushkaan : hamesha tu puchha karti thi naa ki mai us band kamre me ghanto kya karti hu chal aaj mai tujhe kuchh dikhati hu jise dekh kar tujhe yakin ho jayega ki mai jo kah rahi hu vah sach kah rahi hu.
Ankita :kya baat hai meri jaan aaj bina kahe hi bata rahi hai pahle to tu meri lakh vinati karne par bhi kabhi nahi jane di.
Mushkaan : maine tujhse boli thi ki naa ki sahi wakt aane par mai khud tumhe sab bataungi aaj vah wakt aa gaya hai.
Iske baad Mushkaan or Ankita dono ek room ke traf chal deti hai jisme tala laga hua tha or uski chabhi Mushkaan ne apne gale me locket ke roop me daal rakhi thi jab Mushkaan chabhi nikalne lagi to Ankita muh fade dekh rahi thi.
Mushkaan : aise mat dekh mai hamesha se janti thi ki tu is darvaaje ki chabhi ko khojti rahti thi isliye hi maine ise hamesha apne gale me dali rahti thi.
Ankita : lekin jab mai tujhe tere gale me latke chabhi ke baare me puchhi to tu yahi bolti thi ki yah kisi anmol darvaje ki chabhi hai.
Mushkaan : haa to meri jaan pyar se jyada anmol or kya ho sakti hai.
Ankita : ek minat tu kahi yah to nahi kahana chahti hai ki tu bina jane us anjaan ladke se pyar karti hai.
Mushkaan : haa mai yahi kahana chahti hu or abhi tu yah baate chhod andar chal or tujhe mai kuchh dikhati hu.
Iske baad vah dono andar chali gayi or jab ankita andar jaa kar dekhi to diwal par har jagah penting tangi hui thi jab vah charo traf najar ghumai to kuchh tasviro par najar jate hi vah chhonk jati hai kunki vah tasvir to usi ladke thi jisane aaj subah Mushkaan ki jaan bachai thi. To Ankita bolti hai ki
Ankita : tu to aaj jabse ayi hai mere sath hi phir tune yah penting kab banai.
Mushkaan : tujhe kya lagata hai yah penting maine aaj banai hai to yah galtfahmi apne dimag se nikal de yah tasvir maine 1 mahine pahle bnayi thi or yanha par jitni bhi tasvir tu dekh rahi hai naa sab isi ladke ki hai.
Ankita : yah tu kaise bol sakti hai sab tasvir ek hi ladke ki hai yah sab to alag alag age ki ladke ki hai.
Mushkaan : dhyan se dekhegi to tujhe pata chal jayega ki sab ek ki hai.
Back to hero
Idhar mai apni dono di ke sath ghar par pahuch chuke the or ham sabko maa ne khana khane ko diya or uske baad mai apne room mai or Radha di didi ke room me chali gayi aram karne ke liye or mai bhi apne room jakar so gaya uske baad di or Radha di dono apas me baate kar rahi thi
Didi : yaar hamane uske samne tension mukt hone ka natak kar diye lekin agar vah sach me aa rahi hai to tu janti hai ki sabke liye kitani badi samshya khadi ho jayegi or upar se dada ji adesh hai ki vah isi ghar me rahegi yah to or bhi mushkil ho jayega
Itni kya khatarnak hai yeh Hitler didi jo yeh dono itna dar rahi hai....
keep writing....
keep posting......
![:rock1: :rock1: :rock1:](/uploads/smilies/xf/Marjana.gif)
![:rock1: :rock1: :rock1:](/uploads/smilies/xf/Marjana.gif)
![:rock1: :rock1: :rock1:](/uploads/smilies/xf/Marjana.gif)
![:rock1: :rock1: :rock1:](/uploads/smilies/xf/Marjana.gif)