Mujy b ghussa aa gya main ne kaha thek hai nai aaon ga or ye bat mami ko b bol dena ghar ja k or ghussy se tez tez chalta ghar aa gya. Mujy bohat uljhan ho rahi thi or ghussa b bohat aa raha tha issy masla kya hy kuch bta b ni rahi hy.
Ghussy ki waja se main ne dopehar ko khana b na khaya mami ne poocha to main ne keh dia abi ni main kuch deir tak kha leta hon.( Iqra ko b kuch ni pta thaw o b us se bar bar poch rahi thi par mehv iqra se b batmeezi kar rahi thi) Or akela betha raha rat ko b main ne khana na khaya or sony k liye late gya mami mujy bulati rahi par main sota ban gya.
Next day jab main tution se wapis aaya or jab un logon k any ka time hua to mami kehti hein jao un donu ko ly aao time ho gya hy ab main soch mein par gya k kya kron agr na ki to mami kya sochein gi or na karny ki waja b btani pry gi phir main ne socha chala jata hon thora door door rahon ga mami ko konsa pta chalna hai. Or main chala gya or sir k gar se thora door khara ho gya wo donu bahr nikli idhar udher dekha jesy e muj py nazer pari to meri tarf chalny lagi main b un k agy agy chal pra iqra ne mujy aik do bar awaz di par main ne murr k na dekha or chalta raha mujy iqra py b ghussa tha q k wo ab b ghar mein ussi k sath chipki rehti thi or mein akela rehta tha. Dopehr ko khany k bad sb kuch deir aram karny k liye late gye to iqra mery pas aee.
Iqra : kya bat hai moun q bnaya hua hai.
Main : tmein ni pta q moun bnaya hua hai
Iqra : han pta hai or mujy ye b pta chal gya hai Mehv ko kya masla hai tum se or muj se.
Main

thora excited hoty huey) sachiiiiiiiii. Tmein kesy pta chala.
Iqra : han or muj hud mehv ne btaya hai aj tution time.
Main : acha btao kya takleef hai us ko
Iqra : ni yar mujy sharm ati hai
Main : plz btao na esi kya bat hai or ham dost b to hein na
Iqra ne bohat na ki par main insist karta raha akhir kar iqra ko btana e pra
Iqra : mehv ko Anila (wo larki jo mery dosry mamoo k ghar aae hue thi) ne kaha hai k Ali or iqra aps mein pyar kart hein or ye bat karty waqt iqra ka chehra sharm se laal ho chukka tha ye pehli bar tha jab main ne kisi larki ko sharmaty huey mehsus kia.
Main : kyaaaa????? Esa kesy ho sakta hai main ne to esa kuch ni kaha tm se
Iqra : mujy kya pta. Or uno ne ye b kaha hy ye zroor gandi herktein karty hon gy isi liye har waqt aik sath rehty hein.
Mujy to hud shock lag gya tha iqra mujy bohat pyari lagi thi par esa kabi nai socha tha main ne shadi ka jab b sochta tha iqra ka e chehra samny ata tha per ye pyar weyar se bohat dar lagta tha pta ni q
Main : chalo mery sath main abi us kamini ko pochta hon us ki himmat kesy hue ye sab kehny ki
Iqra : nai plz mujy bohat sharm aa rahi hy tum na pochna
Main : nai ab pochna to pry gat um mehv ko b bulao iqra ne mehv ko b bulaya mehv ne b mujy bohat roka per main nai mana or un ko ly k chala gya doosry mamoo k ghar sab so rahe thy wo donu beth k tv dekh rahi thi ham un k pas ja k khary ho gye
Ghussy mein main chala to gya tha par mujy smaj ni aa rahi thi in se kya bat kron sharm mujy b aa rahi thi us waqt itni smaj nai thin a phir main ne himmat kar k poch e liya
Main : tum ne mehv se kya kaha hy (anila ko dekhty huey)
Anila : kya kaha hy ???????
Main wohi to main poch raha hon kya kaha hy tum ne or kya takleef hai tum ko
Anila : thora hasty huey mzaq urany waly andaz mein , mujy bohat c takleefein hein tum ni door kar sakty by the way kya keh dia main ne????
Main hud se keh b ni pa raha tha aj se pehli esi wesi koi bat ni kit hi iqra logon k samny phir himmat kar k main ne keh e dia
Main : tum ne mehv se kaha hai k Ali or iqra aik doosry se pyar karty hein. Or gandi herktein b karty hein??
Anila : han kaha hai tm log karty ho mujy pta hai.
Main : bakwas na kro ham to esa kuch ni karty tm karti ho gi isi liye bol rahi ho.
Anila : han main to karti hon with my friend. Itna bol k wo donu zor zor ka hasny lagi or hum teenu sharminda se moun ly k khary ho gy ham teenu mein itna confidence nai tha ab smaj ni aa rahi thi agy kya bat karon bilakhir main ne jan churaty huey kaha
Aj k bad esi bakwas na karna ham es akuch ni karty itna bol k ham teenu wapis aa gye or peachy se un k hasny ki awaz aa rahi thi.
Ghar aa k hum teenu pta ni q sharminda sharminda thy aik doosry se khul k bat b ni kar pa rahe thy us din k bad se iqra ne baqaida muj se sharmana start kar dia tha or main ne ab iqra ko us nazer se deikhna start kar dia tha.
(ap soch rahe hon gy k main kesa tha 8 class mein tha or itni b himmat nai thi aj kal k bachy 8 tak jaty jaty kya kar jaty hein par jis waqt ki main bat kar raha hon us waqt esa nai tha aik to family itni khuly zehan ki nai thi q k village mein rehty thy ord doosra muj mein itna confidence b nai tha ghar se bahr kam nikalta tha is liye in sab chizon se bohat dar lagta tha)