Lovekillsyou
Active Member
- 652
- 2,717
- 124
Last edited:
Thank you buddy .वाह,,,,
बहुत शानदार update था JAY sir,,,,,,
Chikong secret Mantion में आने के बाद कबीर को सांस लेने की फुरसत नहीं मिल रही,
हमले पे हमले होते जा रहे है, पहले तो enter करते ही Guihai के भेजे हुए लड़को ने हमला किया उसके बाद savage beast ने और Haunted mist mountain के पास Luhan-Yuelin ने हमला कर दिया लेकिन सभी हमलों से फायदा ही हो रहा है savage beast के पास से spiritual brawn मिला और उसने Haunted mist mountain तक पोहचा भी दिया
Luhan के पास से 98 three leaf holy clover मील गए
लेकिन कबीर को Luhan ने जो Yuelin के साथ धोका दिया ये देख कर अपने past life में से किस लड़की की याद आई जिसे वो दिल की गहरइयों से नफरत करता है???
कही वो Shreya तो नहीं (ऐसा मुझे लगता है),,,
बहुत से कारण है ऐसा सोचने के
Haunted mist mountain में अपने spase Domain में 10 pound spiritual brawn और 8 three leaf holy clover को refine करने के बाद कबीर पहले ये सोचता है कि इस caltivation के साथ उसकी strenth,,,,,
Shreya जितनी हो गई है और अगर Shreya ने यहां आ कर earth realm में breakthrough किया भी होगा तो कबीर भी Black realm के complation stage में breakthrough कर के Shreya के साथ fight कर सकता है
Shreya भी हर वक़्त सिर्फ खुद के बारे में सोचती रहती है जब उसे space treasure चाहिए था तब ही वो कबीर के पास आ कर उसने बहुत मग्रुरी से उस से स्टोरेज रिंग की मांग की थी, उसके बाद Royal wind Dragon technic के लिए वह भी उसके साथ ठिक से पेश आ रही थी
Dina के अनुसार Shreya कबीर के आने से पहले
Yunvu commandery के 7th prince Tian की तरफ काफी आकर्षित थी हमेशा से उसकी ही बाते किया करती थी
यहां तो Guihai से शादी से बचने के लिए Shreya ने उसे बताया कि वोह कबीर की sweetheart है उसके ऐसा करने से Chikong secret Mantion में कबीर की परेशानियां बढ़ी ही है
जब कबीर hades department के लड़के के पिछे गया था chikong secret Mantion के deep में तो उसके पीछे Yuyan,Rati,Maithili और Dina ही आई है Shreya किधर है?????
ये सिर्फ मेरा अंदाजा है बाकी तो Jay sir तो बता ही देंगे अगले कुछ update में
कहानी तो बहुत दिलचस्प होती जा रही हैं हर एक updates के बाद ।।।।।
Thank you buddy .Fantastic update bhai ji
Thank you buddy .
Nahi dost mein ne phele hi kaha hai ke kabir ke life partners sirf 2 hi rehne wali hai. Vo jaise aage aane wale updates mei pata chal jayega.
[/QUOT
Are le lo bhai..Shreya aur Dina ko bhi..unse bhi har readers ko lagaav ho gya he
Bhai update aaj aa payega ya nahi?????Well I know ke sabhi mere update ka wait daily karte hai but buddy yeh meri hospital shift ke hisab se kiya hua timetable hai. I really feel sorry for your inconvenience.
Thank you buddy .Ye kaisa school hai,, ye kaisa test hai bhai,, jahan sab ek dusre ko marte hi jate hai,,, iska koi school walo ki jawabdehi hai ki nhi,, kuchh jimmedari banti hai yaa nhi iske taraf,, jab yaha ye जंगल raaj hi chalna hai to koi kyo bhejega apne bacho ko yaha padhne ko,, maana taqatwar hona jaruri hai yahan par lekin agar kisi ka ek hi warish ho or yaha aake mar jaye to uska yahan aana hi kyo.।।। Or saala yaha to apne hi group or apne hi campus ke bando ko bhi khud hi maar rahe hain.।। Aisa hi hai to phir dina or kabhir,,,, shreya or Kabir yaa jitne bhi western campus ke 10 log hain unme bhi ladai hona hi chahiye,,, akhir unko bhi to top pe jane ki lalch hai.।
Nice but small update bhaiUPDATE 166
Kabir-In sabhi Three Leaf Holy Clover ki help se mere Black Realm ke Ultimate Realm mei breakthrough karne mei kaafi better chances hai.
Kabir ne apna sir utha kar samne Haunted-mist Mountain ko dekha. Usse achhe se dikh raha tha ke mountain ke cliff par aur bhi zyada Three Leaf Holy Clover hai.
Par Kabir ne apne sir ko jhatak diya.
Kabir-Ek chees ke liye itni bhi greed achhi nahi hai. Isse meri life zarur risk mei pad sakti hai.
Haunted-mist Mountain itni dangerous jagah thi ke Earth Realm warrior ke bhi waha se return aane ke chances kaafi kam the.
Kabir lucky tha ke usse mountain ke base par hi itna sab kuch mil gaya tha.
Abhi Kabir waha se nikalne wala hi tha ke suddenly usse kuch ajeeb laga.
Kabir ne ruk kar apne aaspas ke area ko achhe se dekha aur usne paya ke Luhan ki body kahi par bhi nahi hai.
Usse achhe se pata tha ke Luhan ki body usse bas 10 meters ke distance par hi giri hui thi. Toh vo aise kaise gayab ho sakti hai ?
Kabir-Even Earth Realm warrior bhi body ko silently nahi le ja sakta hai.
Suddenly Kabir ko apne piche kaafi chill sensation feel hoti hai. Ek cold aur delicate haat ne usse kuch samajh se se phele hi uske neck par pakad liya tha. Yeh sab itna jaldi hua ke Kabir us haat ko counter bhi nahi kar paya.
Freeze !
Kabir ke piche jo bhi shaks tha vo kaafi ice cold tha. EVen usne apne aaspas ke atmosphere tak ko freezing cold kar diya tha. Sirf yahi nahi Kabir ke back par uske dar ke wajah se jo pasina aa raha tha vo tak freeze ho raha tha. Even Kabir ka blood tak freeze hone ko aaya tha.
Kabir ne kaafi koshish kar ke apne aap ko shant kiya aur apne sir ko ghumaye bina hi pucha.
Kabir- Koun ho tum ?
"Mein ? Koun hu mein ? Koun...hu...mein ?"
Us shaks ke aawaz ko sunkar lag raha tha ke vo kahi goom ho gaya hai.
Although uske aawaz mei halka change aa gaya tha par yeh aawaz Kabir ko jaani pehchani thi. Yeh aawaz almost Luhan jaisi thi.
Kabir ke neck par piche se jo cold haat tha vo ab loose ho gaya aur vo shaks 1-2 step piche chala gaya. Vo bas yahi soche jaa raha tha ke vo aakhir hai koun ?
Jaise hi Kabir ko feel hua ke us shaks ki grip loose hui hai vo jaldi se aage badh gaya. Jab tak vo 30 meters ke distance par nahi pohocha tab tak Kabir bilkul bhi nahi palta tha.
Yeh sach mei Luhan thi jisne Kabir ke neck ko piche se pakda hua tha. Ya phir yeh kehna sahi hoga ke uske dead body ne.
Kabir-Yeh kaise ho sakta hai ? Yeh phir se zinda kaise ho sakti hai ? Yeh impossible hai. Mein ne apne Sword Intent se iske soul ko hi destroy kar diya tha.
Kabir usse kuch duri par khadi Luhan ko dekhne lag gaya. Suddenly usse uske mistake ka pata chala.
Luhan ke dead body ke upar ek golden halo tha. (Golden Ring jo angels ke sir ke upar hoti hai waisi.)
Us golden halo mei se strong Saint Power nikal rahi thi. Usne ground par thick ice ko form kiya tha jo dozens of meters tak tha aur Kabir ki taraf badh raha tha.
Kabir-Yeh Half-Saint's Light hai. Par yeh Luhan ke paas kaise ho sakti hai ?
Suddenly Kabir ko kuch yaad aaya aur uske face ke expressions kaafi serious ho gaye.
Ek Heaven Realm warrior apne soul ko practice kar ke usse Martial Soul mei transform kar sakta jai Genuine Qi se nourish kar ke.
Wahi ek Half-Saint apne Saint Powers se apne Martial Soul ko nourish kar ke usse Divine Soul mei transform kar sakta hai.
Half-Saint ke marne ke baad uski soul break ho kar nature mei fail jaati hai. Par kuch Divine Soul break nahi hoti hai aur Half-Saint's Light mei transform ho kar graveyards mei ghumti rehti hai.
Kabir-Haunted-mist Mountain vo jagah hai jaha par Golden Cloud Half-Saint ki aa kar death ho gayi thi. Toh kahi uski Saint Soul Half-Saint's Light mei transform ho kar is Luhan ke body ke andar toh nahi chali gayi ?
Kabir ko ab kaafi bura lag raha tha ke usne sahi time par uske sir ko hi uske body se kyo nahi cut kar diya. Agar usne aisa kiya hota toh itna dangerous monster usne samne abhi khada na hota.
Luhan ab sach mei ek non-human aur non-corpse monster ban gayi thi. Kisi ko bhi ab pata nahi tha ke agle pal mei kya hone wala tha.
Luhan ke sir par jo Half-Saint's Light ka golden halo tha usmei se Half-Saint's Light jaise uske par kisi barish ki tarah gir rahi hi aur uske body mei merge ho rahi thi.
Kuch der ke baad Luhan ke skin par bhi halki golden light dikhne lag gayi thi. Uske aankho ke pupils tak ab golden ho gaye the jaise uski aankho mei fire burn ho rahi ho.
Saath saath uske body ki har Blood Meridian aur baki sabhi meridians bhi golden ho gayi thi. Un har ek meridians par inscriptions clearly dikh sakte the.
Uski breath har par ke saath powerful hoti jaa rahi thi.
Kabir usse carefully dekhte hue apne body ko move kar raha tha. Vo ek chance dekh kar is Haunted-mist Mountain se nikal jana chahta tha.
Suddenly Luhan ne Kabir ko apne golden aankho se dekha. Uske face par ek kaafi evil smile dikhne lag gayi thi even uske smile karne se uske sharp teeth bhi dikh rahe the. Usne ek ajeeb si hasi ke saath Kabir ko dekhte hue kaha.
"Blood....Fresh Blood !"
Uske baad Luhan Kabir ki taraf palat gayi aur kaafi speed se uski taraf badh gayi.
Har step ke saath Luhan ground par ek thick layer of ice ko form kar rahi thi. Uske body ke aaspas jo icy air thi vo aur bhi dense hone lag gayi thi.
Kabir ne ek baar Divine Demon Spirit Book mei padha tha Half-Saint's Light ke baremein. Usmei likha tha ke agar kisi dead person ko Half-Saint's Light ke saath merge kiya jata hai toh usse apne body ke power ko enhance karne ke liye kaafi saare fresh blood ki zarurt lagti hai.
Luhan ka martial cultivation abhi Earth Realm ke Initial Stage par hai.
Luhan ki body kisi bhi Half-Saint ke body jaisi nahi thi. Agar usse Half-Saint's Light se nikal rahi power ko jhelna hai toh usse kaafi bade amount mei fresh blood ki zarurt thi. Taki vo apne dead body ko achhe se refine kar sake.
Kabir ne bhi jaldi se apne Genuine Qi ko apne Wings of Winds mei transfer kiya aur uske back par pair of wings aa gaye. Vo 100 meters par second ki speed se piche ki taraf jaane lag gaya.
Kabir apne piche ke Haunted-mist Mountain ko achhe se dekh sakta tha.
Luhan uske piche lagi hui thi aur usse waha se bhagne ke liye bhi koi raasta dikh nahi raha tha. Toh Kabir speed se us Haunted-mist Mountain ki taraf badh gaya.
Agar vo ek pal ke liye bhi kahi rukta hai toh uske body se uska pura blood nikal jayega.
Luhan ki body Half-Saint's Light ke saath abhi tak puri tarah merge nahi hui thi. Is liye Luhan ne abhi tak uske power ko master nahi kiya hua tha. Iske wajah se uski speed bas halki si Kabir se zyada thi.
Vo kaafi closely Kabir ke piche thi aur almost usne usse pakad liya tha.
Luhan ko apne kaafi paas aata dekh kar Kabir ne Thunder Pearl ko nikal kar uski taraf phek diya.
Boom !
Thunder Pearl ek crack ke saath open hui aur usmei se lightning nikalne lag gayi.
Itna powerful force Luhan ke kaafi pas explode hua uske wajah se vo kaafi dur jaa kar gir gayi.
Kyo ki vo Half-Saint's Light ke wajah se protected thi is liye usse kuch nahi hua. Usne quickly ek high jump lete hue zor se aur aggressively roar kiya aur Kabir ke piche phir se chali gayi.
Kabir ne aage badhte hue halke se piche ki taraf dekha. Usse ab yeh sab bilkul bhi achha nahi lag raha tha.
Kabir-Mein teh believe hi nahi kar paa raha hu ke Thunder Pearl bhi itni strong nahi hai ke isse kuch kar sake. Half-Saint's Light sach mei incredible hai. Agar mein yeh Half-Saint's light ko hasil par paau toh mere hard practice ke 10 years kam ho sakte hai.
Dekha jaaye toh Half-Saint's Light ek tarah se Half-Saint ki legacy hoti hai us Half-Saint ki.
Although Half-Saint's Light ko absorb karne ke baad koi bhi warrior Half-Saint nahi ban sakta tha par usse aur bohot se tarah ke benefits milte hai. Unke cultivation ki speed kisi bhi normal warrior se zyada hoti hai.
Kyo ki Haunted-mist Mountain par miasma kaafi dense tha is liye Kabir upar hawa mei udd bhi nahi sakta tha even agar uske paas Wings of Winds bhi kyo na ho. Vo sirf unki help se kaafi speed se bhaag sakta tha.
Jaise hi vo hillside ke saamne aaya waise hi Kabir apni jagah par ruk gaya. Uske maathe se paisna jaise kisi barish ki tarah girne lag gaya tha.
Uske 10 meters ke distance par ek Green Scorpion tha jo 10 meters long tha aur uske body par sharp horns bhi the. Vo Green Scorpion apne blue eyes se Kabir ko dekhne lag gaya tha.
Yeh bada sa Green Scorpion ek bade se 10 meters long aur wide small lake ke paas khada tha. Us small lake ke edge par kaafi saare green aur black toxic grasses aaye hue the.
Us small lake mei jo water tha usse kaafi fishy smell aa rahi thi jo indicate kar raha tha ke us water mei kaafi strong poison hai. Us water par humans ke bones bhi flote karte hue dikh rahe the jo dekh kar hi pata chal raha tha ke kaafi years se vo waha par hai.
Jab us bade se Green Scorpion ne Kabir ko dekha tab vo kaafi excited ho gaya aur usne kaafi zor se screech kiya.
Vo Green Scorpion apne sharp claws ko ghumane lag gaya tha apne badi si tail ke saath. Us Green Scorpion ne apni badi si tail ko ek bade se stone par patak diya jisse usmei se ek tarah ke metalic sound aane lag gayi thi aur saath hi vo spark bhi kar rahi thi.
Same time par Luhan bhi almost uski taraf high speed se aa rahi thi.
Apne samne ek toxic savage beast aur piche ek heretic dead body se ghirne ke baad Kabir ko kahi bhi bhagne ke liye rasta nahi bacha tha.
Par itne dangerous situation mei hone ke baad bhi Kabir ne apne aap ko calm rakha tha. Usne 2 Thunder Pearl ko nikala aur ek ko apne samne Green Scorpion ki taraf phek diya wahi dusri Thunder Pearl ko piche Luhan ki taraf phek diya. Uske baad usne instantly Shadow of the Royal Wind Dragon ko use karte hue different direction ki taraf chala gaya jaha par ek cliff thi.
Although Luhan abhi tak puri tarah se hosh mei nahi aayi thi par usne easily Kabir ke pheke hue Thunder Pearl ko dodge kar diya. Uske baad vo jaise kisi shadow mei change ho gayi aur kaafi speed se Kabir jis taraf gaya tha us taraf chali gayi.
Uske haat claws mei transform ho gaye the jinse vo Kabir ke shoulder ko pakadna chahti thi.
Jaise hi Luhan ke claws Kabir ke shoulder ko pakadne wale the waise hi Kabir ke piche ka space distorted ho gaya. Luhan yeh dekh kar shock ho gayi aur usne apne haat ko bich mei hi rok diya.
Luhan ke claws ne Kabir ke robe ko piche se phad diya tha aur 10 sharp scratches uske back par chod diye the jo uske shoulder se hote hue uske back par niche jaa rahe the. Un claw marks mei se blood ke drops bhi girne lag gaye the.
Kabir ko jo icy pain un claw marks se ho raha tha usse jhela aur same speed se aage badhta raha.
Jab Luhan ne usne claws par jo blood tha usse lick kiya tab usne kaafi zor se roar kiya aur pehle se bhi zyada aggresive hote hue vo Kabir ke piche jaane lag gayi.
Ussi waqt par vo bada sa Green Scorpion bhi Kabir ki taraf dusri side se aane lag gaya tha. Kabir ke pheke hue Thunder Pearl ne usse mara toh nahi par gussa zaroor dila diya tha.
Us Green Scorpion ne apne muu se ek toxic air ko release kiya jo pillar shape mei condense hone lag gayi. Vo kisi light beam ki tarah dikh rahi thi aur kaafi speed se Kabir ki taraf badh rahi thi.
Jab Kabir apne Space and Time Spinel ke andar jaa kar chupne wala tha tabhi usse pata chala ke niche ground par ek bowl ke size ka crack hai. Apne Space Domain ke wajah se usse yeh bhi pata chal gaya tha ke niche underground ek open area bhi hai. Vo usse deep aur quiet bhi lag raha tha.
Kabir ke face par ek smile aayi aur usne apne Genuine Qi ko activate kar ke usse apne Space and Time Spinel mei transfer kar ke uske internal space mei chala gaya.
Pal bhar mei hi Kabir Haunted-mist Mountain mei se gayab ho gaya tha aur Space and Time Spinel ke internal space ke andar chala gaya tha.
Uske andar jaate hi vo Space and Time Spinel bhi jaise accurately us crack ke andar gir gaya aur aise niche jaane laga jaise kisi abyss mei jaa raha ho.
Luhan aur vo Green Scorpion ek hi time par us crack ki taraf aaye par vo crack un dono ke liye bhi kaafi chota tha. Dono mei se koi bhi usmei nahi jaa sakta tha.
Us Green Scorpion ne apne giant claws se us hole ko crack kar ke usse bada karne ki koshish kar raha tha taaki vo phir se Kabir ke piche jaa sake.
Uske powerful force ne us crack ko kuch open toh kiya tha par phir baki stones ne gir kar us crack ko bhi close kar diya.
"Blood....Fresh Blood !"
Luhan ab us Green Scorpion ki taraf dekh rahi thi. Usne apne claws ko strech kar ke us Green Scorpion ke crust jaise phad diya. Us Green Scorpion mei se blood nikal kar usne Luhan ke body ko puri tarah se cover kar liya tha.
Ab jo pehle pretty dead body thi ab vo suddenly ferociously terrifying ho gayi thi.
Kyo ki vo hole vertically niche jaa raha tha liye Kabir ko bhi thik se pata nahi chal paa raha tha ke vo hole niche kaha jaa raha hai.
Vo Space and Time Spinel kuch der niche girte hue jaa raha tha aur phir niche ground par gir gaya.
Kabir ne apne back se ho rahe pain ko jhelte hue apne Genuine Qi ko apne Vessel of Spirit mei transfer kiya aur apne Divine Soul ko stimulate karne lag gaya. Apne Divine Soul ki power se Kabir Space and Time ke Spinel ke bahar dekh paa raha tha.
Space and Time Spinel ko center mei chod kar uske 80 meters ke aaspas ke area mei koi bhi nahi tha sirf darkness jaha par koi bhi lige ke sign nahi the.
Kabir-Lagta hai mein Haunted-mist Mounted ke bottom mei aa gaya hu. Well yeh bhi bura nahi hai. At least mein kuch der ke liye safe hu. Dono na Luhan aur na hi vo bada sa Green Scorpion us small crack ko break kar ke yaha nahi aa sakte hai.
Kabir ab Space and Time ke internal space se bahar nahi nikalna chahta tha. Sab se phele usse apne injuries ko heal karna tha. Aise injuries ko lekar vo yaha waha nahi jaa sakta tha.
Kabir ke body mei Genuine Qi ko zyada nahi bachi thi. Usne ek healing pill nikali aur usse kha kar refine karne lag gaya taaki vo apne injuries se recover kar sake.
2 din ke baad Kabir ke back ki injuries almost heal ho gayi thi aur uski Genuine Qi bhi peak condition par aa gayi thi.
Kabir Space and Time Spinel se bahar aa gaya.
Jaha Chikong Secret Mansion ke baki jagah boiling hot the par Haunted-mist Mountain ke underground mei kaafi coldness thi. Jaise koi underground icehouse ho.
Kabir ne niche gire Space and Time Spinel ko uthaya aur usse dekhte hue socha.
Kabir-Luckily mere paas yeh Space and Time Spinel hai. Nahi toh aaj mein 2 baar mara jaa sakta tha.
Par tabhi Kabir ne notice kiya ke Space and Time Spinel kuch small ho gaya hai size mei.
Kabir-Lagta hai Space and Time Spinel ki Spiritual Power kaafi use ho gayi hai. Jaldi hi yeh bhi khatam ho jaayegi.
Space and Time Spinel ke wajah se Kabir ki practice speed other warriors se 3 times zyada thi jo Kabir ka ek tarah se advantage tha. Par Kabir is Space and Time Spinel ko puri tarah se use bhi kar leta hai aur yeh khatam bhi ho jaata hai phir bhi usse apne aap par itna confidense tha ke vo future mei kaafi powerful warrior toh ban hi sakta hai.
Kabir ne Space and Time Spinel ko store kar liya aur apne storage ring mei se usne Fire nature ke Spiritual Crystal ko nikala aur usmei apni Genuine Qi ko transfer karne lag gaya. Uske wajah se vo Spiritual Crystal kisi fire ball ki tarah jalne lag gaya.
Us fire ne us dark place ko roshan kar diya aur usne us underground jagah ko dekhen layak banaya. Vo jagah natural stone wall se covered thi. Usse kisi bhi human ne banaya hai iske koi bhi sign nahi the.
Stone wall aur niche ke ground ko ice ne cover kar liya tha aur kaafi tarah ke ice crystals shape waha par bane hue the.
Kabir ne us ice par ek step rakha aur aage badhte hue 100 meters tak aa gaya. Suddenly usse ek palm size metal ka broken piece mila thick ice ke niche.
Kabir ne apne ek palm strike se us ice ko break kar diya. Usne apne haat ko aage badha kar us metal ke piece uthaya.
Kabir-Yeh sach mei heavy hai ! Iska weight at least 250 kg hoga.
Kabir ko halka sa shock laga ke yeh small size ka metal ka piece bhi itna heavy ho sakta hai. Vo yahi soch raha tha le isse banane ke liye kis tarah ke materials ko use kiya hoga.
Jab Kabir ne paas se us metal piece ko dekha toh usse dikha ke us par tiny inscriptions carve kiye gaye hai. Yeh metala piece ek armour ka tha.
Kabir yeh imagine bhi nahi kar sakta tha ke itne powerfully build kiye hue armour ko pieces mei break karne ke liye kitne strong attack ki zaroorat hogi.
Kaafi tiny inscriptions carve kiye gaye the us metal piece par. Unfortunately vo bas fragmented the. Is liye unhe phir se activate nahi kiya jaa sakta tha.
Kabir ne us metal piece ko niche rakha aur phir se aage badhne lag gaya.
Jab Kabir us underground ke almost end par aaya tab usse waha par ek 60 meter diameter ka bada sa hole dikha. Dekhne se lag raha tha jaise koi aerolite niche gira ho aur usne is natural landscape ko banaya ho.
Us hole ke bottom mei ek elderly person ke bones puri tarah se ice se sealed hai yeh dikh rahe the.
Us body ke upar jo armor the vo bohot se pieces mei break hua tha uske chest mei bhi ek hole dikh raha tha aur uski body waha par gir si gayi thi. Lekin yeh body jo hundreds of year se dead hone ke baad bhi kaafi dense breath ko release kar sakti thi jo is underground ko icy world ko mei change kar rahi thi.
Kabir kaafi pressure ke under tha. Usne us dead body ko dekhte hue apne aap se pucha.
Kabir-Lagta hai yahi Golden Cloud Half-Saint hai.
Jo warriors Half-Saint Realm mei pohoche hue hote hai sirf wahi warriors itne massive breath of power ko marne ke baad bhi release kar sakte hai.
Hundreds of years pass ho gaye hai Golden Cloud Half-Saint ki body bilkul bhi destroy nahi hui thi.
Dead body ko dekhne ke baad Kabir ko dar nahi lag raha tha balki usse kaafi achha lag raha tha. Usse ab vo mil gaya tha jisse vo Luhan ko easily control kar sakta tha aur shayad usse vo Half-Saint's Light ko bhi le sakta tha.