Lovekillsyou
Active Member
- 652
- 2,717
- 124
Last edited:
ķoi baat nhisorry gyus thoda kaam mein atak gaya tha.
PEACE.
Mast update h BhaiUPDATE 6
Osian city mein demon spirit coins as a currency ke liye use karte the. Usually 2-3 thousand demon spirit coins kisi bhi common family ke liye kafi the. Osian city mein kisi bhi items ki value demon spirits se tay ki jaati thi. For example: battle armours, demon crystal, demon beasts furs, elixirs aur bhi various items.
The Holy Osian institute ki annual school fee bhi three thousand demon spirit hogi. Ek commoner family ke liye yeh ek huge expense tha. Lekin bohot si commoner families apne expense ko Kam kar ke apne bachho ko Osian Institute mein bhejte the. Aisa vo isliye karte the ke jab vo fighter ya demon spiritualist ban jayenge tab vo apne family ki kismat change Kar sakte the.
Ek bronze rank fighter agar army join kar ke soldier ban jata hai toh uski annual salary 5-6 thousands demon spirit coins ho jaati hai. At same time agar vo St.Ancenstral mountains mein jaate hai toh unhe aur bhi benefits mil sakte the.
Kabir heavenly mark family bse belong karta tha. Jo ek declining aristocratic family thi. Is family ke patriarch 1-star gold rank demon spiritualist the. Is family ki annual income 6 hundred thousand demon spirit coins thi.
Family ka annual expense kafi large tha. Sirf bachho ke school fees hi kuch 3 hundred thousand thi. Issi ke saath family ke aur bhi expense the jiske chalte family ki kafi struggle karti thi. Jiske chalte unhe kabhi kabhi apne family business ko bhi sell karna padta tha. Heavenly Mark family ke almost sabhi bachhe Holy Osian Institute mein the.
Ek baar patriarch ne kaha tha ke younger generaton ke outstanding members hi ab family ko upar utha sakte hai.
Iske liye agar unhe apni zaroorton ko bhi kam karna pade toh bhi vo uske liye ready the par vo younger generation ko zaroor sab kuch achhe se achha dena chate the taki vo aage family ko hep kar sake.
Kabir ke past life mein kabhi bhi Kabir is baat ko samajh nahi paya tha. usse hamesha hi patriarch Banjeet se ek strange feeling aati thi. Patriarch hamesha se un sabhi ke saath strict raha karte the. Par ab phir se reborn hone se usse yeh baat samajh aa gayi thi ke yeh sab kuch unki care hi thi un sabhi ke liye.
Heavenly mark family ka member hone ke wajah se Kabir bhi chahta tha ke uske family kafi stronge ho aur Osian city ke top level par rahe.
Reborn hone ke baad Kabir ke paas kafi saari strong cultivation techniques thi. Lekin usse pehle usse kucch money kis zaroorat thi taki vo kuch new primary soul crystal buy karne ki zaroorat thi. Apne soul realm ka attribute test karne ke liye usse soul crystal ki zaroorat thi. Ussi ke baad vo decide kar sakta tha ke vo kounsi cultivation technique practice kar sakta hai. Agar cultivation technique soul real ke attribute ke saath match kar jaati hai toh vo training mein kafi effective hota hai.
Tabhi Osian city mein bell baj jati hai aur class khatam ho jati hai.
The Holy Osian Institute se sabhi bachhe bahar aane lagjaate hai aur uske samne jo street thi waha jaane lag jate hai. Waha khade merchants unhe ek ke baad ek offers de rahe the.
Latest bronze rank battle armour with snow wind pattern inscribed. Kye koi neble ladies and gentlemen kya aap mein se koi interested hai isse buy karne ke liye. Yeh ek vendor tha jo waha par jama hui bheed ko greet kar raha tha. Bronze rank armour kou bhi ordinary student afford nahi kar sakta tha. Par Holy Osian institute mein bohot se students noble the aur vo bhi vendors in rich students ko yeh sell kar sakte the.
Dekho bronze rank armour with snow wind patterns inscribed.
Ek student ne excited ho kar kaha. Wahi par ek pair gauntlets rakhe the jo blue light emit kar rahe the. Uski surface kisi mysterious carving se cover thi.
Yeh kitne ka hai ?
Ek student ne usse pucha.
Sixty thousand demon spirit coins. Us vendor ne us student se kaha.
Yeh toh bohot hi expensive hai. Us student ne kimat sunkar usse kaha.
Ek ordinary family kabhi bhi sixty thousand demon spirit coins aise nahi kharch kar sakti thi.
Vendor ne aage kaha.
Vendor-Yeh bronze rank armour hai jo snow wind pattern ke saath inscribed kiya gaya hai. Jo snow wind pattenrs hai vo banshhe beast ke blood se carve kiye hai aur jis banshee ke blood se kiya hai vo apne prime mein tha.
Snow wind banshee ko hunt karna aasan nahi hota hai. Uske characteristics se in sauntlets ko bhi strong attacking abilities milti hai. Yeh definitely snow wind type fighter ya demon spiritualist ko suitable hai.
Bohot se students us armour ko sirf dekh hi sakte the. Aisa expensive item vo afford nahi kar sakte the.
Ravi-sitf bronze rank armour hi sixty thousand demon spirits coin hi itne expensive hai toh zaroor silver aur gold rank toh aur bhi expensive hoga.
Uski monthly pocket money sirf 5 hundred demon spirit coins thi. Ravi ke family ke kafi business the toh vo quite well tha. Kabir ke past kife mein vo uski aur Varun ki har baar help karta tha par Ravi bhi bronze rank armour nahi afford nahi kar saktha tha.
Kabir, Ravi aur Varun sab jagah dekhte hue waha se aage chalne lage. Yeh street sabhi type ke items se bhari padi thi. Koi item ho expensive ya phir cheap vo yaha mil jata tha.
Ravi-kabir ab hamari aage ki kya planning hai ?
Abhi vo baat kar hi rahe the ke us vendor ke aage aa kar khada ho gaya.
Ravi-vo dekho Aarav aur uske piche Rati bhi hai.
Ravi ne Aarav taraf dekhte hue kaha.
Yeh sunkar Kabir bhi us taraf dekhne lag gaya. Rati aur kuch girls apne mein kuch baate kar rahi thi. Vo pretty face aur sweet smile ek sunshine ki taraf usse dikh rahi thi. Un sabhi girls mein Rati ki smile kafi dazzling thi jo sabhi ko uski taraf dekhne ke liye majbur kar rahi thi. Rati ke wajah se yaha sab kuch aur bhi jyada sundar dikhne laga tha.
Aarav bhi usse bich bich mein dekh raha tha.
Aarav-very good mere paas bronze rank gauntlets hi nahi the. Isse pack kardo
Yes young master.
Us vendor ne jhat se usse kaha aur vo sab kuch usse pack kar ke dene laga.
Aarav-yeh rahe sixty thousand demon spirit coin.
Aarav ne six demon crystal cards diye. Ek single demon crstal card 10 thousand demon spirit coins ko represents karta hai.
Usne sixty thousand demon spirit coins kuch nahi samjha aur uske face par yeh mere liye kuch bhi nahi hai aise expression the. Usne us bronze rank gauntlets ko apne interspatial ring mein rakh diya.
Bohot se girls yeh dekh kar apne mein baate karne lagi. Usne easly sixty thousand demon spirit coins nikal lar usse de diye, yeh kafi rich hai. Kuch girls ke aankho mein yeh dekh kar chamak badh gayi. Vo Aarav ko dekhne lage. Lekin Aarav unhe aise treat kar raha tha ke vo invisible hai. Usne pehle kabir ke group ki taraf dekha phir apne nazaro Jo Rati ki taraf badhayi. Uske aankhe clearly keh rahi thi ke Ab Meri nazar hai tumpar.
Ravi-Lagta hai yeh hame sabke saamne nicha dikhana chahta hai.
Varun-idiot! Easly isne sixty thousands demon spirit coins phek diye aur uske paas interspatial ring bhi hai.
Varun ne apne sir ko jhatka aur Kabir ki taraf dekh kar kehne laga.
Varun-Iske jaise log handsome aur rich hote hai. Tum Kaise isse compete karne wale ho.
Kabir-Rati itane amount money ki Zara bhi care nahi karti hai.
Kabir ne yeh baat kafi casually kahi thi aur usne ek baar Rati ki taraf dekha. Usne Aarav ko compeletly ignored kar diya tha aur baki ke girls ke saath baate kar rahi thi. Uski aankeh casually Maithili ko dekh rahi thi, par Maithili dusri jagah khadi thi.
Maithili ke face par bhi koi bhi expression nahi the. Vo hamesha ki tarah akeli hi thi. Uska kisi ke bhi saath jyada contact nahi tha students mein bhi.
Kabir ko pata tha Rati ko is waqt friendship ki zaroorat hai. Uske past life mein Rati ko Maithili ke saath friendship karini thi par usne identities ne unhe dur kar diya tha.
Aarav Rati ke expressions dekh kar disappoint ho gaya tha.
Tabhi Ravi ne Kabir se kaha.
Ravi-fine, Rati nahi karti care money ka. Par Kabir kahi aisa toh nahi ke usse girls mein interest toh nahi. Agar aisa hai toh tumhara patta hi cut ho jayega.
Kabir Ravi ki bato par has diya. Vo naturally Ravi ke bato ko dil par nahi lega. Uske past life mein bhi vo uski thi.
Kabir-chalo mein apna plan start karne wala hu.
Yeh sunte hi Ravi aur Varun ke ecpressions change ho gaye aur unhone apne sir ko hilaya.
Kabir-Ravi jao aur kuch crossbow buy karo aur uske saath 5 hundred crossbow bolts. Ek crossbow 1 hundred sixty demon spirit coins ka aata hai aur bolts 30 demon spirits coins mein aate hai. Sabhi lekar tum school training ground ki taraf aa jana ham tumhe wahi milenge.
Ravi-okay.
Ravi apna sir hilata hai vo soch raha tha ke kya Kabir ne kabhi crossbow aur crossbow bolts buy kiye hue hai kyo ki usse exact price pata thi.
Kabir ki pocket money monthly 50 demon spirit thi. Toh uske paas itne money nahi thi k evo yeh sabhi buy kar sake.
Kabir-Varun ham Black pool Grass buy karne jaa rahe hai.
Black pool grass mein certern paralysis effect tha.
Varun ki halat Kbir se bhi worse thi toh Kabir usse apni money use nahi karne dene wala tha. toh un sabhi herbs ko vo khud se buy karne wala tha.
Black pool grass kafi cheap thi. 1 demon spirit coin mein uska bunch aa jata tha. Usike saath Kabir ne kuch low level fusing agents bhi buy karliye aur Osian city ke ek small hill par chala gaya Zoysia grass collect karne ke liye.
Varun-tum is sab ke saath kya karne wale ho.?
Kabir ke face par ek smile aati hai aur vo aage kehta hai.
Kabir-black pool grass mein ek certern paralysis effect hota hai par uski efficiency low hoti hai. Yeh kisi bhi wound ke pain ko kam karne ke liye use karte hai aur zoysia grass ek common weed hai toh bahi tak kisi ko bhi iska use nahi pata hai. Lekin agar ham isse fusing sgent aur black pool grass ke saath use kare toh black pool grass ka paralysis effect badh jata hai.
Varun thodi der ke liye shock ho jata hia phir usse puchta hai.
Varun-kitna strong hoga paralysis effect?
Kabir-ordinary beast par itna strong effect nahi karta hai yeh. Yeh effect low grade hai. Par tumhe pata hai ke Horned sheep kabh bhi zoysia grass nahi khati hai.
Varun-horned sheep?
Varun thodi der ke liye silent ho gaya. Usne Kabir se pucha ke tum alchemist bhi ho.
Kabir uske baat pas has diya.
Kabir- alchemist ha shayad tum yeh bhi keh hi sakte ho.
Alchemist unhe kaha jata hai jo herbs se elixirs refine karte thekabir alchemist nahi tha apr uske past life mein iska usse thoda bohot knowledge tha. par Osian city ka alchemist level kafi low tha. vo unhe achemist bhi consider karta tha. jan Kabir apne adventer pa rtha around the world toh vo toxic forest mien gaya tha. waha ke log countless attack se survived hue the poisonous demon beast se. vo sabhi real alchemist the.
Kabir ne grasses ko aur fusing agent ko mix karna start kar diya. Unse usne 6 bottle bhar di drug se.
Holy Osian institute training ground.
Yeh train ground ko legend rank demon spiritualist lord Uday aur principle ne milkar banaya tha jo black gold demon spiritualist the. Yeh training ground kafi heighted wall se surrounded tha. every year experts kuch low level demon beasts ko pakad kar yaha late the. Holy Osian institute ke jo bhi student silver rank se niche the vo sabhi yaha enter kar sakte the. Waha se vo fur, demon crystals is jaise aur bhi cheeze obtain kar sakte the.
Kuch poor students yaha hunt kar ke apne family ko support karte the.
Kabir ka group abhi tak 1-star bronze rank tak bhi nahi pohocha tha. toh vo jaha jaa rahe the vo training ground ka safest area tha. waha sirf horned sheeps the. Dekha jaye toh horned sheep nature se aggressive hote hai aur vo herbivores bhi hote hai.
Iske wajah se unke aatack kuch serious injuries de sakta tha. toh vo usse phir bhi safe hi samajh rahe the.
Kabir ka group training ground mein apne identity card dikha kar enter kar deta hai.
Training ground apprenticeship area.
Waha ke kuch trees par horned sheep ke pitches the. Usne eye red hote the. Occasionally vo apne ears se kisi bhi sound ko pick up karte the. Ek baar agar unke territory mein koi outsider aa jaye toh vo mercilessly attack kar dete the.
Suddenly ek abnormal aawaz sunayi diya jisse sunkar Kabir aur uska group waha chal diye.