• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Gods and Demons

just YES OR NO


  • Total voters
    318
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Lovekillsyou

Active Member
653
2,720
124
Note- Update 177 hi 178 hain
 
Last edited:

Vipul

Well-Known Member
2,242
7,300
158
UPDATE 203

Is year Ceremony of Worship ko karne ka time Winter Season mei aaya tha.

Kisi bhi commandery ke liye sab se important ek baat hoti hai.

Aur vo hai Ceremony of Worship.

Sirf commanderies hi nahi balki sabhi Suzerains, families, cities aur towns yeh sabhi Ceremony of Worship ko sab se zyada importance dete the.

Yahi ek time hota tha jo yaha le log gods ke saath communicate kar sakte the.

Yahi ek ceremony hoti thi jaha par warriors ko gods se blessings milti thi aur uske baad vo sabhi apni practice start kar sakte the.

Jise bhi blessing nahi mil paati thi unhe secondary type ke cultivation path ko choose karna padta hai.

Kisi bhi commandery ke liye national ceremony of worship kaafi important hoti hai. Yeh kisi bhi commandery ke rise ya fall ke baremei hi dictate kar sakti hai. Yeh ceremony par depend karta hai ke vo commandery is ceremony ko kitne grandeur par karti hai issi se vo zyada se zyada gods ko connect kar sakte the aur apne warriors ke liye unh blessing paa sakte the.

Jitney zyada new warriors aayenge commandery utni hi zyada strong hogi.

Yunvu Commandery mei sacrifice ceremony medium size par hoti thi. Par waha ke warriors ki aankho mei yeh magnificent thi.

Jaldi hi Yunvu City mei jitney bhi log rehte the vo sabhi Imperial Ancestral Temple mei aane lag gaye the.

The Sacrifice ko tremendously sacred samjha jata tha. Is liye evil warriors bhi unhe steal karne ke baremei nahi sochte the aur yeh sab kar ke vo gods ko offend nahi karna chahte the.

Is year ki Ceremony of Worship ko Yunvu Commandery ka 7th Prince Tian host karne wala tha. Abhi ke liye vo apne father ko represent karne wala tha.

Last raat ko 4th Prince bhi Yunvu City aa gaya tha.

Abhi vo bhi apne family ke saath Imperial Ancestral Temple mei khada tha aur Tian ko Ceremony of Worship ko host karte hue dekh raha tha.

Yeh ek grand occasion tha. Waha par tones of sacred herbs aur plants ko as a sacrifice ke roop mei rakha gaya tha.

Jaldi hi Minister ne prayer ko start kiya aur uske hone ke baad bell ko bajaya.

Uske baad Tian sabhi Civil Officers aur Military Officers ke saath alter ki taraf aaya. Usne apne sir ko aise high rakha hua tha ke vo Yunvu Commandery ka King ban hi gaya hai.

Tian jab alter par aaya tab vo crowd mei sab jagah Kabir ko dhund raha tha lekin usse Kabir kahi bhi nahi dikha. Usse lag raha tha Kabir aaj ke ceremony ko lekar dar ke kahi chup gaya hai.

Tian ne apne aawaz ko Genuine Qi ki help se loud kiya aur kaha

"Ceremony of Worship ko start kiya jaaye."

Isse ke saath bade bade drums ke aawaz waha par gunjhne lag gaye. Ussi ke saath various instruments bhi chorus mei bajne lag gaye the.

Jaldi hi alter mei fire lagayi gayi aur sabhi sacrificial herbs aur plants ko usmei dala gaya.

Kyo ki is baar Ceremony of Worship ko Tian host kar raha tha is liye usne apne palm par cut kiya aur alter ke fire mei apne blood ko sacrifice kiya.

Issi ke saath us alter ke upar jo ancient inscriptions the vo activate hone lag gaye.

Ek huge coloum jo blood red colour ka tha upar aasman mei jaane lag gaya.

Wahi Kabir Imperial Palace mei cross legged position mei apni aankho ko close kar ke baitha hua tha.

Uski Divine Soul uske body ke upar materialize hui jo gloriously radiant thi.

Transform !

Kabir ke yeh kehte hi Kabir Divine Soul Golden God Shadow mei transform ho gayi jispar Golden Armor bana hua tha. Kabir ki DIvine Soul Imperial Palace se nikal kar Imperial Ancestral Temple ke upar hover karne lag gaye.

Kabir ne Body of the False God practice karne se pehle yeh uske marzi par tha ke koun uske Divine Soul ko dekh sakta hai. Par ab baat different thi. Ab toh uske Divine Soul ko ordinary log bhi dekh sakte the jo cultivate bhi nahi karte the.

Dekhte hi dekhte Kabir ki Divine Soul expand hoti chali gayi aur ab vo 120 feet tak ke height tak pohoch gayi thi. Saath hi uski aankhe kisi 2 Sun ki tarah dikh rahi thi. Kabir ne Divine Soul ne apne sir ko niche karte hue niche ke crowd ko dekha jiske wajah se niche kaafi terrifying atmosphere ban gaya tha.

Abhi Kabir ke Divine Soul stable hui thi ke suddenly ek loud bang ke saath us Divine Soul ke upar ek kaafi bada chakra ban gaya jo Kabir ke Divine Soul ki tarah ko golden colour mei tha aur Kabir ke Divine Soul ke sir ke upar ghum raha tha.

Kabir Divine Soul ke manifestation ne alter mei bane blood red light pillar ke colour tak ko golden kar diya tha.

Jab sabhi ne us loud bang ko suna toh sabhi ne upar ki taraf dekha.

Sabhi unke sir ke upar ke nazare ko dekh kar kaafi shock ho gaye the. Sab kuch calm ho gaya tha.

Ussi bich crowd mei se koi zor se chillaya.

"God Manifestation ! God Manifestation !"

"The God !"

"Kneel !"

Waha par jitney bhi log aaye hue the vo sabhi God's Shadow ko dekh kar apne apne ghutno par aa gaye the.

Past mei Kunlun World mei kuch God Manifestation hue the par vo kaafi kam hi the. Vo sabhi 1st class ceremony of sacrifice ke waqt hu hue the.

Jaha God Manifestation hota hai waha par God's ki Blessings bhi milti hai. Is miracle ke wajah se jaha par God Manifestation hota hai waha ke logo mei ek sense rehta hai ke Gods unpar nazar rakhe hue hai.

Na sirf ordinary log balki strong warriors aur officials bhi is sab ko dekh kar excited ho gaye the. God's Shadow unke Yunvu Commandery mei manifest hui hai. Yeh sach mei ek honor ki baat thi un sabhi ke liye.

Wahi is sab ko dekh kar Tian ne socha.

"God's Shadow tab manifeste hui jab mein Ceremony of Worship ko host kar raha tha. Kya yehe mere liye ek good omen hai ke mere future plans sucessful honge ?"

Is sab ko soch kar Tian khud bhi kaafi excited ho gaya aur jaldi se apne ghutno par aa gaya. Usne zor se ghutno par baithe hue kaha.

"O God hamare Yunvu Commandery ko bless kijiye. Mein ek mortal Tian aap ke samne apne sir ko jhukata hu."

Tian ko yeh sab karte dekh baki ke ministers bhi apne ghutno par aa gaye the. Vo sabhi bhi yahi soch rahe the ke kahi God unhe dekh kar unhe bhi bless kar de.

Agar God's Blessing kis warrior ko milti hai toh vo uske pure life par impact dalti hai. Phir chahe blessing small ho ya big.

Even Queen jo sabhi ke upar baithi hui thi vo bhi apne seat par se uth kar niche aayi aur apne ghutno par baith gayi.

God Manifestation ko koi bhi lightly nahi leta tha. Har koi isse miracle hi mante the.

God's Shadow manifest hone ke wajah se Yunvu City mei highly respected jitney bhi Heaven Realm warriors the vo sabhi bhi jaldi se Imperial Ancestral Temple ki taraf aa gaye.

Kyo ki Kabir ki Divine Soul mei hint of Divinity thi jo usse Divine Demon Spirit Book ko absorb karne ke wajah se mili hui thi is liye even Heaven Realm ke Completion Stage ke warriors bhi yeh pata nahi laga sakte the ke yeh Kabir ki Divine Soul hai. Upar se Kabir ke upar Divine Soul ke upar ghumne wale chakra ne unke doubt tak ko clear kar diya tha ke yeh sach mei God Manifestation hai.

Us chakra se nikalne wala pressure toh pure Kunlun World mei fail gaya tha. Har koi apne soul ko ek immense pressure ke under feel kar paa raha tha.

Tabhi Sacrifice ki power Kabir ke Divine Soul ki taraf badh gayi aur usse Kabir ki Divine Soul absorb karne lag gayi.

Sacrifice power ko kaafi sacred aur pure mana jata tha. Usse koi bhi mortal absorb nahi kar sakta tha aur koi karne ke liye try bhi karta toh uski soul tak destroy ho jaati thi.

Par Kabir ke soul mei Divinity hone ke wajah se usse sacrifice ki power harm nahi kar sakti thi.

Jaise hi sacrifice ki power Kabir ke body mei gayi waise vo Genuine Qi mei transform ho gayi aur uske Qi Sea mei jaane lag gayi.

Jab sacrifice ke power ne Kabir ke Qi Sea ko touch kiya waise hi uske Qi Sea ke aaspas jo God's ke Sacred Marks the vo halke halke light up hone lag gaye.

Jab vo puri tarah se light up ho gaye tabhi bahar sabhi ko ek kaafi bade aawaz mei kuch sunayi diya.

"OM !"

Jaise hi yeh sabhi ne suna uske piche hi aasman mei 3 bade blast hue aur jo sacrifice power ka pillar tha vo aur bhi golden light se chamak ne lag gaya.

Uski light itni badh gayi ke sabhi ko apni aankho ko close karna pad gaya.

Ussi golden light mei se sab se brightest light beam Kabir ke Divine Soul ke andar chali gayi aur Kabir ke Vessel of Spirit se hote hue Kabir ke soul mei jo Sacred Prime Tree ka Wooden Graph tha uske andar chali gayi.

Is sab ko hote hue Kabir sense kar paa raha tha par vo chah kar bhi us golden light beam ko rok nahi paya tha.

Jab vo light beam Kabir ke Divine Soul ke saath connect hui thi par usmei se Kabir ko boundless energy feel hui thi.

Ek aisi energy jo infinite universes ko create aur destroy kar sakti thi.

Kabir ka Sacred Sun Mark bhi uske maathe par kaafi brightly chamak raha tha.

"OM" sound kaafi waqt tak sabhi ko sunayi deta raha aur Kabir ki Divine Soul abhi bhi sacrifice ke power ko absorb kar rahi thi.

Issi ke wajah se Kabir ka Qi Sea 15 time aur expand ho gaya tha saath hi Kabir instantly Earth Realm ke Advance Stage par pohoch gaya.

Kabir ka cultivation greatly improve hua tha aur abhi bhi uska cultivation aur aage badhte jaa raha tha jo Earth Realm ke Dawn Stage ka tha.

Kabir-Mein ne kabhi bhi nahi socha tha ke mein Sacrifice of Power ko absorb kar paunga.

Kyo ki sacrifice ki power sab se pure hoti thi uske wajah se Kabir ki body highest level par refine hone lag gayi thi.

Kabir-Sacrifice of Power extremely powerful hai aise mei meri meridians isse kab tak jhel payengi ?

Abhi Kabir jis speed se sacrifice ke power ko absorb kar raha tha us speed se agar koi Earth Realm ke Completion Stage ka warrior absorb kare toh uska Qi Sea 1 hour ke andar hi full ho sakta tha.

Kabir-Itne saari Sacrifice Power ka mein kya karu ?

Tabhi usse apne Qi Sea ke upar ek bright spot dikha.

Yeh Heart of the Sword tha.

Kyo ki Kabir ki soul is time kaafi zyada powerful hone ke wajah se abhi tak Kabir ka Heart of Sword puri tarah se develop nahi ho paya tha is liye uska size kisi rice ke daane jitna tha. Lekin usmei se jo sword breath nikal rahi thi vo kisi mountain ke level ki thi.

Kabir-Shayad mein us sacrifice power se apne Heart of Sword ko refine kar sakta hu.

Kabir already apne Qi Sea mei hone wale changes ko feel kar sakta tha aur usse pata chal gaya tha ke vo jaldi hi Earth Realm ke Dawn Stage mei breakthrough karne wala hai.

Usse jaldi se act karna hoga.

Apne Spiritual Power ki help se Kabir ne sacrifice ke power ko Heart of Sword ki taraf direct kar diya.

Kabir ka Heart of Sword bhi jaldi se sacrifice ke power ko absorb karne lag gaya.

Dekhte hi dekhte Kabir ka Heart of Sword aur bhi strong hote jaa raha tha par abhi bhi uska size kisi rice ke daane jitna hi tha.

Tabhi Kabir ne Earth Realm ke Dawn Stage mei breakthrough kar liya.

Turbulent Genuine Qi uske sabhi meridians, blood, muscles, bones, internal organs, skin aur hairs mei bhi merge hone lag gayi. Na sirf Kabir ka cultivation improve hua tha balki uski physical quality bhi kaafi improve ho gayi thi.

Jaise hi Kabir ne Earth Realm ke Dawn Stage mei breakthrough kiya waise hi uske Heart of Sword ka size change hone lag gaya. 1 hour baad ab waha par ek sword ki outline dikhne lag gayi thi.

Is shape ko achieve karne ke liye almost 3 years yaa phir usse bhi zyada ka time lagta hai vo bhi hard practice ke saath.

Ab Kabir Heart Integrated into the Sword Realm ke Beginner Level par nahi tha.

Jaldi hi Ceremony of Worship bhi complete ho gayi thi.

Kabir ne bhi apne Divine Soul ko withdraw kar liya aur apne Genuine Qi ko refine karne lag gaya.

Ek hour ke under hi Kabir ne 2 breakthrough kiye the jiske wajah se uski Genuine Qi hundred times expand ho gayi thi.

Abhi Kabir ke body mei jis quality ki Genuine Qi thi uske samne uski pehle ki Genuine Qi 1% bhi nahi thi.

Kyo ki ab uske body mei kaafi zyada Genuine Qi ho gayi thi aur usne Kabir ke power ko outmatch kar diya tha is liye usse is Genuine Qi ko control karne mei kuch hard jaa raha tha. Agar vo zarasi bhi carelessness karta hai toh uske body mei jo Geniune Qi hai vo out of control ho sakti thi aur pure Yunvu City ko uda sakti thi.

Par Kabir ne Spiritual Power aur uski Divine Soul ke wajah se Kabir ne isse kuch control mei rakha hua tha.

Spiritual Fire Sky !

Kabir ne apne aankho ko close kiya aur Buddhist Emperor Empyrean ke 3rd level ko practice karne lag gaya. Usne apne body ke Genuine Qi ko slowly uske sabhi 36 meridians mei se circulate karne lag gaya.

Jab bhi Genuine Qi ek large circle ko complete karti toh vo pehle se calm aur vital energy se full hoti jaa rahi thi. Jaise jaise Genuine Qi Kabir ke control mei aate jaa rahi thi waise waise uski circulate karne ki speed bhi badhti jaa rahi thi.

Jab 100 circulation complete hue tab jaa kar Kabir ke body ke andar ki Genuine Qi puri tarah se calm hui.

Kabir-Finaly mera improved realm temporarily stable ho gaya hai. Par mujhe lag raha hai isse puri tarah se consolidate hone mei at least 1 month ka time lag sakta hai agar mujhe apne body ko optimum condition mei rakhna hua toh.

Kabir ne ek gehri saans li aur apne palm ko open kiya. Tabhi uske palm mei se Geniune Qi ka massive burst release hua.

Genuine Qi ka har ek wisp jaise flame ki taraf dikh raha tha aur usmei se enormous amount mei heat nikal rahi thi.

Kabir-Well ab jab mein ne 2 realms se breakthrough kar liya hai toh mein Poisonous Spider Club ke Young Master ke level ke warrior ko hara sakta hu. Vo bhi Heart Integrated into the Sword aur Space Power ko use kiye bina. Jab mein is Genuine Qi par fully control paa lunga tab meri combat abilities pehle se bhi zyada improve ho jayengi.

Kabir apne success se kaafi khush tha. Usne jaldi se apne room ka door open kiya aur bahar aa gaya.

Bahar aane ke baad vo ek shadow mei transform hua aur kaafi speed se move karta hua waha se chala gaya.

Jaldi hi vo Imperial Ancestral Temple ke bahar aa gaya tha.

Kabir-Meri current speed 180 m/s hai. Agar mein apne aap ko push karu toh meri speed almost 200 m/s tak jaa sakti hai.

Kabir apne is speed ko dekh kar kaafi satisfied tha.

Ordinary warriors jo Earth Realm ke Completion Stage par rehte hai unki speed 100 se 120 m/s tak hi jaa sakti hai.

Wahi Kabir abhi toh sirf Earth Realm ke Dawn Stage mei tha aur abhi se uski speed 200 m/s ki ho gayi thi. Uske current cultivation ko dekhe toh Earth Realm ke Completion Stage ke 10 warriors bhi uske match nahi the.

Except Poisonous Spider Club ka Young Master aur Zora jaise 3-Realm Fighting Geniuses jo kisi bhi tarah se normal warriors nahi the.

Earth Realm ke Ultimate Realm mei warrior ki speed sound ke speed tak jaa sakti thi.

Lekin warriors ke liye sound ki speed constant nahi thi vo har baar fluctuate hoti rehti thi har different situations mei.

Even Heaven Realm ke Initial Stage ke normal warrior ki speed bhi sound ke speed tak nahi pohoch sakti thi.

Kisi bhi warrior ke liye sound ki speed ko achieve karna aisa tha jaise earth se sky tak climb karna.

Par Kabir kaha normal warrior tha. Uska starting point other warriors se higher hi tha jab usne apne 1st Ultimate Realm ko achieve kiya tab. Uske baad jab usne 2nd time Ultimate Realm ko achieve kiya tab vo pehle se bhi badh gaya.

Sach kaha jaaye toh Earth Realm warriors kabhi bhi sound ke speed ko achieve nahi kar sakte the.

Kabir already pehle se 2 extra realms mei breakthrough kar gaya tha other warriors ke mukable toh naturally uske liye ab Earth Realm ke Ultimate Realm ko challenge karna easy tha.

Jo things pehle difficult thi ab vo kuch easy hone lag gayi thi. Jab koi starting se apna best de toh vo baad mei great success ko achieve karne ke baad kuch relax kar sakta hai.

Lekin yeh baat baaki things par lagu hoti hai cultivation par nahi.

Ceremony of Worship ko ho kar 6 hours pass ho gaye the. Lekin Imperial Ancestral Temple mei abhi bhi kuch warriors the jo alter ke samne jhuk kar usse salute kar rahe the.

Log bhi ab waha se nikalna start ho gaye the aur nikalte waqt vo sabhi God's Manifestation ke baremei hi baate kar rahe the.

Jab Kabir ne unki baate suni toh uske face par ek smile aa gayi.

Shreya-Tum kaha chale gaye the Kabir ? Tumne Ceremony of Worship ko attend nahi kiya ?

Shreya jo Kabir ki taraf uske do bodyguards ke saath chalte hue aa rahi thi usne Kabir se yeh pucha.

Kabir ne apne sir ko halke se naa mei hilaya aur kaha.

Kabir-Mujhe kuch kaam tha iske wajah se mein ne Ceremony of Worship ko miss kar diya. Kya hua tha waise yaha par ?

Kabir ne Shreya ke piche khade dono elderly persons par apni nazar ko focus kiya. Vo unke aaspas intense force ko sense kar sakta tha jaise ke vo koi moving mountains ho jo uski taraf badh rahe ho.

Kabir sure tha ke yeh dono hi Heaven Realm warriors hai aur Kabir ne socha ke Qin Commandery sach mei deserve karti hai Superior Class Commandery ke title ko. After all unhone 2 warriors jo Heaven Realm mei hai unhe Shreya ko protect karne ke liye bheja hai jo kisi bhi Inferior Commandery ke liye impossible tha.

Shreya ne Kabir ko dekhte hue kaha.

Shreya-Is year ki Ceremony of Worship kuch extraordinary thi, God's Manifestation hua tha is year. Aisa Qin Commandery ke pure history mei kabhi nahi hua tha. Tumne ek bade miracle ko miss kar diya. Mujhe nahi lagta hai aisa ab kabhi tum apni life mei baad mei dekh paoge.

Shreya ko apne upar kaafi proud feel ho raha tha kyo ki usne God's Manifestation ko dekha tha aur ab vo is baat ko lekar Kabir ko tease karne ke baremei soch rahi thi.

Kabir-Oh !

Kabir ne halke se smile karte hue kaha.

Kabir-God's Manifestation ! Yeh toh kaafi interesting hai. Toh kya tumhe God's Manifestation se koi blessing mili ?
Nice Update Bhai
 

Vipul

Well-Known Member
2,242
7,300
158
UPDATE 204

Kabir ki baat sunkar Shreya kuch sochne lag gayi. Usne Kabir ko dekhte hue kaha.

Shreya-Tumhe pata hai Kabir us God's Shadow ke upar ek chakra ghum raha tha jo apne aap ko different divinity ko possess kar raha tha. Aisa feel ho raha tha us chakra mei sab kuch destroy karne ki power ho. Ek absolute power. Wahi God's Shadow ko divinity kuch different thi. Jaisa hamne Chikong Secret Mansion mei Govind ke saath feel kiya tha yeh waisa experiance nahi tha.

Kabir-Ohh tum toh kaafi inteligent ho gayi ho God's Manifestation mei.

Yeh keh kar Kabir kuch kuch hasne lag gaya tha jispar Shreya ko uski baat ka meaning kuch der baad samajh mei aaya.

Shreya-Tum...

God's Manifestation ek sacred occasion tha aur Kabir usse seriously nahi le raha tha is par Shreya ko halka gussa bhi aa raha tha.

Shreya ne apne sir ko naa mei hilaya aur baat ko change karte hue kaha.

Shreya-Tum recently 24 days ke liye close seclusion mei the toh bahar kya hua hai is baremei tumhe kuch bhi pata nahi hoga kyo ?

Kabir-Kya hua hai Yunvu City mei jab mein seclusion mei tha ?

Shreya-Martial Market School ke 6 Silver Gown elders ko bheja tha Tarantula Chamber of Commerce se deal karne ke liye. Unhone Yuntai Suzerain ke saath milkar Black Market ke almost sabhi headquaters ko wipe out kar diya hai aur 5,000 se bhi zyada evil warriors ko unhone maar diya aur 3,000 se bhi zyada evil warriors ko capture kar liya hai. Saath hi hamare sabhi gayab hue students ko bhi dhund nikaal kar unhe release kar diya. Is baar Black Market ke kaafi heavy loss hua hai aur yeh sab Moon Worship Demonic Sect ke network information ke wajah se ho paya. Unhe almost sabhi Black Market ke headquaters ke baremei pata tha. Moon Worship Demonic Sect sach mei kaafi capable sect hai.

Kabir is baat ko sunkar kuch shock hua tha ke Martial Market School ne 6 Silver Gown Elders ko bheja tha. Vo sabhi elders top Heaven Realm warriors the. Martial Market School ke loss ke baremei sunkar unhe zarur kaafi gussa aaya hoga.

Kabir-Toh ab Yunvu Commandery mei Black Market ki kya situation hai ?

Shreya-Itne bade loss ke saath at least next 10 years tak toh Black Market Yunvu Commandery mei koi bhi activity nahi kar payega. Par agar vo Poisonous Spider Club ka Young Master mere haat lagta toh zarur mei usko pieces mei cut kar deti. Usne tumne mujhe di hui ring bhi nikaal kar rakh li thi.

Yeh kehte waqt Shreya ne apne haat se claw ka shape banaya tha jo uske long fingernails ko show kar rahe the. Usse Tarantula Chamber of Commerce par kaafi gussa aa raha tha.

Lekin Shreya ne apne gusse ko shant kiya aur Kabir ko dekhte hue kaha.

Shreya-Kabir mujhe tumhe ek important baat kehni hai.

Kabir-Kaho.

Kabir Shreya ko serious dekhte hue khud bhi serious ho gaya.

Shreya-Mein Qin Commandery wapis jaa rahi hu. Mere father yaani Qin Commandery King ne mera swayamvar rakha hai aur kuch hi dino mei uske baremei announcement karne wale hai. Tum samajh rahe ho na is baat ke impotance ko.

Shreya apni aankho mei hope liye Kabir ko dekh rahi thi.

Wahi Shreya ki is baat par Kabir ne kaha.

Kabir-Swayamvar...! thik hai tum uske baremei mat socho after all tum meri hi ho aur meri hi rahogi.

Kabir ki baat sunkar Shreya kaafi khush ho gayi thi. Ab usse pata tha ke Kabir zarur kuch aisa karega ke vo uske swayamvar mei zarur aayega.

Shreya-Kab aaoge tum waha par ?

Kabir-Itni bhi kya jaldi hai. Waise bhi yaha par kuch adhure kaam bache hai unhe clear kar ke tumne hi lene ke liye aaunga.

Shreya-Thik hai mein wait karungi.

Kyo ki Kabir ne recently hi 2 breakthrough kiye the is liye vo yahi Yunvu City mei reh kar apne cultivation ko consolidate karna chahta tha. Wahi abhi tak Poisonous Spider Club ke Young Master ko usne uske favours ko return bhi nahi kiya tha. Aise mei vo yaha se kaise jaa sakta tha. Upar se baat par personal ho gayi thi.

Next din Martial Market School ke aur Yuntai Suzerain ke almost sabhi students Yunvu City se jaane lag gaye the. Sirf kuch officials aur unke saath unke kuch students hi tuk gaye the.

Kyo ki Kabir bhi Martial Market School ke students mei se ek promising figure tha is liye usse bhi rukna tha.

Kabir ke friends bhi ruk gaye the uske saath. After all Poisonous Spider Club ke saath vo akele toh fight nahi kar sakta tha.

Although Kabir ne big war ko miss kar diya jaha par usse aur bhi zyada merit points mil sakte the par usse is baat ka koi bhi regret nahi tha. Uska cultivation ab Earth Realm ke Dawn Stage par pohoch gaya tha. Yeh ek kaafi positive baat thi.

Aise hi kuch din beet gaye aur phir ek din Yunvu Commandery King ne Royal Hall mei sabhi ko bula liya.

Waha par abhi kuch Martial Market School ke officials aur kuch Yuntai Suzerain ke officials baithe hue the.

Jab waha par sabhi aa gaye hai yeh Yunvu Commandery ne dekh liya tha tab usne meeting ko start kiya.

"Martial Market School aur Yuntai Suzerain ke combine efforts ke wajah se Yunvu Commandery se Black Market wipe out ho gaya hai. Par abhi bhi kuch Evil Warriors yaha waha reh gaye hai. Yunvu Commandery ke safety aur stability ke liye un Evil Warriors ko puri tarah se wipe out karna zaruri hai. Last night ko Yunvu Commandery ke 7th Prince ko Yunvu City se 150 km ke distance par ek city hai jiska naam Genar City hai aur waha ke ek castle mei vo sabhi Evil Warriors chup kar baithe hue hai."

"Vo sabhi Evil Warriors kaafi powerful hai. Saath hi un sabhi mei kuch Earth Realm ke Completion Stage ke masters bhi hai. Mein ne decide kiya hai kiya hai ke 7th Prince ke saath General Sihan 10,000 Soldier aur saath mei 3,000 crossbows ko bhej dunga taki vo waha par sabhi ko wipe out kar sake. Aap sabhi ka is par kya khayal hai ?"

Yunvu Commandery King ki baat sunkar General Sihan aage aata hai aur apne ek ghutne par baith kar kehta hai.

"Jaisa aap kahe, Your Majesty !"

Tabhi Tian bhi chalte hue samne aata aur Yunvu Commandery King ko jhuk kar salute karte hue kehta hai.

"Father, mujhe just mere ek Junior se yeh information mili hai ke Tarantula Chamber of Commerce ka director Hamin ko Yunvu Commandery ke andar paya gaya hai. Hamin ek Heaven Realm warrior hai. Usse sirf mein hi hara sakta hai. Rahi baat Genar City ke castle ki toh mein suggest karunga ke Brother Kabir aur General Sihan ko waha jana chahiye taaki vo waha ke evil warriors ko wipe out kar sake."

Is par Yunvu Commandery Kine hall mei baithe sabhi ki taraf dekha jispar sabhi ne apne sir ko haan mei hilaya. Phir kuch soch kar Yunvu Commandery King ne kaha.

"Hamin ek Heaven Realm warrior hai. Yeh news aayi hai ke usse Martial Market School ke Silver Gown Elder ne injured kar diya hai. Yeh uspar attack karne ke liye kaafi sahi time hai. Agar abhi hamne usse jaane diya toh ham usse baad mei dhund nahi payenge. Mujhe lag raha hai ke tum sabhi ke saath mei Wan ko bhi bhej du. Isse hamare win ke chances aur bhi badh sakte hai."

Har Heaven Realm warrior ka cultivation extremely high rehta hai aur issi wajah se unhe maarna difficult hota hai.

Ek single Heaven Realm warrior ko marne ke liye at least 3 Heaven Realm warrior ke team ki zarurat hoti hai. Ya phir kisi aise warrior ki zarurat hoti hai jo kisi bhi Heaven Realm warrior se 10 times zyada powerful ho.

Yunvu Commandery King ne ne Tian ke saath Wan ko bhi bhej diya Hamin ko marne ke liye.

Uske baad Yunvu Commandery King ne Kabir ki taraf dekhte hue kaha.

"Master Kabir kya aap aur General Sihan milkar Genar City ke caster par attack karenge ?"

Kabir ko is sab se kuch bad feeling aa rahi thi. Yeh kisi bhi tarah ke coincidence jaisa nahi lag raha tha. Tian ko jaise pehle se pata chal gaya tha ke Genar City ke castle mei Evil warrior chupe hue hai aur saath hi usse Hamin ke chupne ke jagah ke baremei bhi pata hai ? Yeh koi coincidence bilkul bhi nahi tha.

Aisa lag raha tha ke Tian jaanbhuj kar Kabir aur General Sihan ko Genar City ke castle bhej raha hai.

"Brother Kabir-Genar City ke castle ke sabhi evil warriors kuch motley crew hai. Waha par most powerful warrior Earth Realm ke Completion Stage ka hai. I think Brother Kabir aur General Sihan ko milkar usse harane mei koi problem nahi hogi, kyo ?"

Tian ne yeh baat ek smile ke saath kahi thi.

General Sihan khud ke Earth Realm ke Completion Stage par tha. Yeh Yunvu Commandery ke army ka brave soldier tha aur uske top 10 master ke liye qualified person bhi tha.

Usne Kabir ki taraf dekhte hue kaha.

"Master Kabir, aap aur mein milkar un sabhi Evil Warriors ko wipe out kar sakte hai. Ham un sabhi ko formation bana kar khatam kar denge. Saath mein killing credit ko bhi aap ko dene ke liye ready hu. Jisse aap Martial Market School mei merit ke liye exchange kar sakte hai."

General Sihan ko aisa lag raha tha ke Kabir vo teenage person hai jisne abhi tak koi bhi major battle nahi dekhi hai.

General Sihan ki aankho mei Kabir 7th Prince jitna outstanding nahi tha. Usse yahi lag raha tha ke Genar City ke credit ko Kabir hi lega aur usse akele hi waha par fight karni hogi. General Sihan ko pata tha ke Heaven Realm warrior ko sirf 7th Prince hi maar sakta hai aur wahi Yunvu Commandery ka pride hai. Jo Omen Ridge ke 36 Commanderies ka No.1 Genius hai.

Kabir ko pehle hi feel ho gaya tha ke yaha par kuch ajeeb baat hui hai par usse bhi kisi baat ka dar nahi tha. Uske current strength ke saath vo ordinary Heaven Realm warriors ko akele hi handle kar sakta tha.

Kabir ne General Sihan ko smile karte hue dekha aur kaha.

Kabir-Mein General Sihan ke saath Genar City ke castle chala jata hu.

Kabir ko aise agree karte hue dekh kar Tian apne mei hi hasne lag gaya tha.

Uske baad Kabir aur uske sabhi friends General Sihan ke saath Savage Beasts par baith kar Yunvu City se nikal gaye.

Un sabhi ke piche 10,000 soldiers bhi piche piche aa rahe the.

General Sihan ek Red Tiger par baitha hua tha jo 1.7 meter high tha. Uske body par bhi ek thick armor tha jo uspar kaafi suit bhi kar raha tha. General Sihan army ke front par tha aur uske haato mei ek Wolf's Fang Mace tha jiska weight 800 kg tha.

Kabir aur uske sabhi friends just General Sihan ke piche hi the. Even Kabir ke saath Han, Hina aur Jeet bhi aaye hue the.

Kabir ke dono side par Ravi aur Varun the wahi uske piche Duan aur Riya, Han, Hina aur Jeet the.

Ravi Kabir ke paaya aur usne kaha.

Ravi-Kabir yeh General Sihan hame itna achha treat kyo kar raha hai ?

Kabir-Isse lag raha hai ke mein koi arrogant student hu Martial Market School ka jo aaj uske killing credits ko lene wala hu aur unhe apne friends mei baat dunga.

Kabir ki baat sunkar Ravi ko hane ka dil kar raha tha par aise sabhi ke samne vo has nahi sakta tha.

Kabir bhi yeh sab soch kar apen sir ko naa mei hilata hai.

General Sihan ko sach mei misunderstanding ho gayi thi. Uske khud ke opinion se dekhe toh usse lag raha tha ke Genar City ke castle mei jitney bhi Evil Warriors hai vo un sabhi ko akele hi hara sakta hai. Lekin Yunvu Commandery King ne Kabir aur uske friends ko uske saath bhej diya. Ab Kabir usse uske sabhi killing credits ko le lega jisse vo sabhi ko ya toh capture kar ke ya phir maar kar earn karne wala tha aur phir Martial Market School jaa kar vo un sabhi ko merit mei exchange kar lega.

Genar City Castle Yunvu City se 150 km ke distance par tha. Kyo ki cavalry rush karte hue aage badh rahi thi is liye unhe waha par pohoch ne ke liye 2 hours ka time lag gaya aur unhone usse puri tarah se surround kar liya tha.

Genar City ka castle ek medium size castle tha jiska area 160,000 square meters mei faila hua tha aur uske border walls 10 meters high the.

Genar City ka castle Tarantula Chamber of Commerce ka one of the stronghold tha.

Yunvu Commandery mei jitney bhi goods ko transport karte the vo usse yahi store karte the. Phir yaha se vo Yunvu City ke Black Market ko trade kar dete the.

Yunvu City se nikal kar Poisonous Spider Club ka owner Hamin aur Young Master Kin immediately yahi aa gaye the. Vo yaha se bhi jaldi nikalna chahte the par usse pehle vo yaha par store kiye hue sabhi goods ko nikaal lena chahte the.

Lekin Yunvu Commandery ke army ne unke nikalne ke pehle hi Genar City Castle ko surround kar liya tha.

Tian ko pehle hi pata chal gaya tha ke Poisonous Spider Club ka Young Master aur Owner yahi par chupe hue hai. Issi liye usne pehle Kabir us castle par attack karne ke liye bhej diya. Uska yahi plan tha ke vo un sabhi ke haato Kabir ko maar dena chahta tha.

Genar City Castle ka proprietor ka naam Jian tha. Yeh Tarantula Chamber of Commerce mei ek senior figure tha.

Jab usne wall ke bahar sabhi soldiers ko dekha toh vo kaafi dar gaya tha. Vo jaldi se castle ke andar gaya aur Imperial Court se kiye hue attack ke baremei Hamin ko report karna chahta tha jo abhi apne injury se recovery kar raha tha.

Hamin ko Martial Market School ke 2 Silver Gown Elders ne milkar injured kar diya tha 5 days pehle jab Black Market ke headquarter ke bahar in sabhi ki battle hui thi. Vo abhi bhi injuries se recovery kar raha tha.

Army ke attack ke baremei sunkar Hamin bhi kaafi shock ho gaya tha. Usne apne aap se kaha.

"Hmm ! Yeh kaafi jaldi ho gaya. Kya tumne dekha ke Tian yaa phir General Wan toh army ko lead nahi kar raha hai na ?"

Jian ne apne sir ko naa mei hilaya aur kaha.

"Nahi un dono mei se koi nahi hai. Is baar army ki 7th figure General Sihan aaya hai."

"Kya ? Lagta hai Yunvu Commandery King mujhe kaafi weak samajh raha hai. Mein yeh believe hi nahi kar paa raha hu ke usne Sihan ko bheja hai mere Genar City Castle par attack karne ke liye. Hahahaha !"

Yeh keh kar Hamin zor zor se hasne lag jata hai.

Usne aage pucha.

"Kitney soldiers aaye hue hai ?"

'At least 10,000 hai aur vo sabhi mujhe elite lag rahe hai."

Is par Hamin ne ek cold tone mei kaha.

"Waise bhi yaha ke sabhi goods ko transfer kar diya hai. Aaj mein bhi yaha se jaa raha hu lekin aaj jane se pehle mein Yunvu Commandery King ko ek present zarur dena chahunga. Saath hi mein issi ke saath ek message bhi dunga ke yeh sab abhi tak ruka hua nahi hai."

Tabhi ek corner se Kin bahar aata hai aur kehta hai.

"Father aap sahi keh rahe hai. Yeh Sihan khud se apne death ko bula raha hai yaha aa kar. Jian jao aur castle ke gates ko open kar do aur un sabhi ko andar aane do."

"Yes !"

Hamin aur Kin ko itna confident dekh kar Jian jo ab tak dara hua tha uska dar bhi kahi gayab ho gaya. Ab uske face par ek evil smile aa gayi thi. Vo waha se nikal kar gate ki taraf chala gaya.

Gate ke upar khade reh kar Jian ne white flag ko show kiya. Usne General Sihan ko dekha aur kaha.

"General Sihan aap attack mat karna ham sabhi surrender kar rahe hai."

"Agar aisa hai toh hame andar aane do. Gates ko open karo."

"Bam !"

24 Warriors ne milkar us gate ko open kiya.

General Sihan ke face par bhi ek cold smile aa gayi thi.

"Yeh sach mei motley crew hai. Jaise hi mein ne castle ko surround kar liya waise hi in sabhi ne surrender kar diya."

Kabir ko yeh baat kuch ajeeb lagi. Usne General Sihan ko dekhte hue kaha.

Kabir-General Sihan aap andar jaate hue careful rehna. Kya pata inonhe andar Defender Array ko set kiya hua ho. Agar aap ne carefully enter nahi kiya aur in sabhi Evil warriors ne array ko release kar diya toh aap andar kaafi disadvantageous situation mei phas sakte hai.

General Sihan ek veteran warrior tha aur usse bhi Defender Array ke power ke baremei pata tha. Usne apne sir ko haan mei hilate hue kaha.

"Indeed. Hame alert rehna hoga."

General Sihan ne Jian ki taraf dekha aur zor se kaha.

"Agar tum castle ke aaspas ke sabhi array towers ko destroy kar doge toh mein maan lunga ke tumne surrender kar liya hai. Agar tum aisa nahi karte ho toh mere paas ek hi option rehta hai aur vo hai attack."

Jian ne ek baad Kin ki taraf dekha jo usse kuch distance par khada tha.

Kin ne apne sir ko haan mei hilaya uske face par ek evil smile bhi thi.

Kin ke openion mei vo Sihan aur in 10,000 warriors ko without array ke power se bhi easily maar sakta hai.

Waise bhi vo Genar City Castle mei rukne wala nahi tha toh aise mei is castle ka destroy ho jana hi sahi tha. Agar yeh Yunvu Commandery army ke haato lag jata hai toh vo isse apne is teritory ko defend karne ke liye use kar sakte the.

Boom !

Boom !

Issi ke saath sabhi array pillars destroy ho gaye.

Jab General Sihan ne yeh sab dekha toh usne zor se hasna start kar diya. Usne apne haat ko wave karte hue kaha.

"Red Electric Battalion aur Red Wind Battalion tum sabhi mere saath aao ge aur castle par attack karoge. In sabhi Evil Warriors ko aaj puri tarah se wipe out karna hai."

General Sihan 2 battalions jinmey almost 4,000 soldiers the unke saath vo castle ki taraf chala gaya.

Wahi Kabir abhi bhi kuch soch raha tha.

Kabir-Inhone apne array towers ko destroy kar diya hai. Lekin abhi bhi mujhe yeh kaafi ajeeb lag raha hai.

General Sihan army ko lead kar raha tha. Jaise hi vo castle ke andar gaye waise hi castle ke doors ek bang ke saath close ho gaye.

"Hahaha ! Sihan tum puri tarah se stupid ho. Tumhe sahi mei laga ke hamne surrender kar diya hai ?"

Jian ne haste hue kaha.

Tabhi castle ke aaspas se hundreds of Evil warriors jinhone purple gown pehne hue the vo sabhi bahar aa gaye. Vo sabhi top evil warriors the aur un sabhi ne General Sihan ke saath sabhi 4,000 soldiers ko surround kar liya.

Hamin aur Kin dono hi castle se bahar aaye aur ek bade se stone table par khade ho gaye. Vo dono hi General Sihan ko dekhte hue has rahe the.

Kin ne General Sihan ko dekhte hue kaha.

"General Sihan Yunvu Commandery King ne tumhe yaha par marne ke liye bheja hai. Tum Imperial Court ko kyo serve kar rahe ho ? Tum hamare Poisonous Spider Club ko join karo. Tumhari strength ke saath sabhi tumhe kisi royalty ki tarah treat karenge."

Poisonous Spider Club ke Young Master aur Hamin ko waha dekh kar General Sihan ke face ke expressions hi change ho gaye the. Usse pata chal gaya tha ke vo trap mei khud se hi phas gaya hai.

Na sirf vo Poisonous Spider Club ke Young Master ke trap mei phas gaya balki Tian ke trap mei bhi phas gaya. Usse samajh mei nahi aa raha tha ke Tian ne usse aise kyo step up kiya.

Ek single Heaven Realm warrior easily 10,000 soldiers ke army ko khatam kar sakta hai. Yaha par na sirf Hamin tha jo ek Heaven Realm warrior tha balki khud Kin bhi Heaven Realm warrior ke saath fight karne ki strength rakhta tha.

General Sihan ko sab kuch uske against hi dikh raha tha.

Lekin General Sihan ne surrender nahi kiya. Usne apne Wolf's Fang Mace jo pitch black tha usse tightly pakad liya aur zor se chillate hue usne kaha.

"Brothers, attack !"

"Foolish Man !"

Is sab ko dekh kar Kin ka patience khatam ho gaya tha. Usne apne long knife ko nikala aur usse apne Genuine Qi ke saath infuse kar diya.

Us long knife par bane hue sabhi inscriptions activate ho gaye the. 2 light beams jo 2 meters tak high thi vo kaafi speed se army ki taraf badh gayi.

Sirf ek single strike se hi dozens of soldiers half mei cut ho gaye the. Un sabhi ke blood ne ground ko red colour de diya tha.

Kin jaise master ke samne jo Poisonous Spider Club ka Young Master tha uske samne katni hi badi army kyo na aaye uske liye yeh koi bhi baat matter nahi karti thi. 10,000 soldiers ya phir 100,000 soldiers bhi usse kuch bhi karne se rok nahi sakte the.

Jab Kin ne soldiers par attack kiya tabhi Jian ne bhi wall se jump laga di. Usne apne single palm strike se hi 10 soldiers ko hawa mei uda diya tha.

Jian ka cultivation Earth Realm ke Completion Stage par tha. Uske samne jo bhi soldier aata vo usse marte chale jaa raha tha aur soldiers usse rok bhi nahi paa rahe the.

Jaldi hi sab jagah par dead bodies dikhne lag gayi thi.

Jian bhi palat kar General Sihan ki taraf gaya aur uske saath fight karne lag gaya.

Kin ne uske samne khade thousands of soldiers ko dekha aur ek cruel smile ke saath unhe dekhte hue kaha.

"Ek ants ka group mere castle par attack karna chahta hai ? Kya yeh ek joke hai.."

Suddenly door ke bahar se ek loud roar sabhi ko sunayi di. EK piercing sound pure castle mei echoed hone lag gayi.

Kin ne jaha se aawaz aayi thi us taraf dekha aur apne aap se kaha.

"Kya outside par jo army hai unmei koi master hai ?"

Boom !

Castle ke gates jisse iron se refine kiya gaya tha aur vo half meter thick the vo sabhi ek Sword Breath se pieces mei destroy ho gaye.

Gates ke break hue pieces Genuine Qi ke control ke under waha aaspas ke sabhi Evil warriors ki taraf badh gaye.


17 Evil Warriors ke bodies ko penetrate karte hue vo sabhi pieces unhe vo hawa mei le gaye aur un Evil warriors ki wahi par death ho gayi.

Kabir jisne abhi apne haat mei Abyss Ancient Sword ko pakadta hua tha vo andar aa raha tha aur uske saath saath uske sabhi friends bhi andar aa gaye the.

Castle ke andar aate hi Han, Hina aur Jeet jaise shadows mei transform ho gaye aur dekhte hi dekhte unhone Evil warriors ko marna start kar diya tha.

Kabir ne Duan ko General Sihan ki taraf jaane ka ishara kiya aur Duan bhi jaise issi ka wait kar raha tha toh vo bhi ek shadow mei transform ho kar General Sihan ki taraf chala gaya. Aise hi usne Ravi Riya aur Varun ko bhi unke unke spot par bhej diya jaha par unhone bhi kisi ko koi chance diye bina hi sabhi ko marna start kar diya tha.

Wahi Kabir abhi bhi chalte hue Kin ki taraf badh raha tha.

Usne Kin ko dekhte hue kaha.

Kabir-Kin aakhir ham phir se mil hi gaye.

Jab castle ke gates ko close hote hue Kabir ne dekha tabhi usse pata chal gaya tha ke yaha par kuch bhi sahi nahi hai. Issi liye vo khud bhi jaldi se castle ki taraf badh gaya.

Jaldi hi bache hue sabhi 6,000 soldiers bhi castle ke andar aa gaye the.

Jab Kin ne dekha ke Kabir ne castle mei entry kar li hai toh vo kaafi shock ho gaya tha lekin phir vo zor zor se hasne lag gaya.

"Kabir heaven mei bhi jane ke kayi saare easy ways hai par lagta hai tumhe hell mei jana hi achha lagta hai jo yaha aaye hue ho."

Kabir-Sahi mei ? Well agar aisi baat hai toh mein bhi dekhna chahunga ke koun heaven mei jata hai aur koun hell mei.

Kabir ki baat ko sunkar Kin ko gussa aa gaya tha. Uske face ke expressions serious ho gaye the aur usne Kabir ko dekhte hue kaha.

"Is baar tum kuch bhi kar lo par tum yaha se bach kar nikal nahi paoge."

Yeh kehte hi Kin ne hawa mei 30 meters se bhi high jump lagayi aur kaafi speed se niche aane lag gaya. Usne apne long knife ko uske speed ka use karte hue Kabir ke sir ki taraf swing kar diya.

Us knife mei se ek bright knife light release hui jo 10 meters se bhi zyada extend ho gayi thi. Vo light kisi brilliant moon ki tarah aasman se niche aate hue dikh rahi thi.

Kabir ne apne body ko slightly move kiya aur vo apni jagha se jaise gayab hi ho gaya.

"Kya ?"

Jab Kin ne yeh dekha toh vo kaafi shock ho gaya tha. Usne yeh expect hi nahi kiya tha ke Kabir ki speed itni great hogi.

Boom !

Jaise hi Kin ka knife ground ke saath crash hua waise hi pura ground shake karne lag gaya tha. Crash hui jagah par Kin ke knife ne 100 meter long aur 3 meter deep mark chod diya tha.

Is destructive power ko dekh kar sabhi kaafi shock ho gaye the. Koi bhi ordinary warrior itne power ko generate hi nahi kar sakta tha.

Kabir-Tum kaafi slow ho.

Kabir ne yeh baat Kin ke piche khade ho kar kahi thi.

Kin ke face ek expressions hi change ho gaye the yeh sunkar. Vo jaise hi palat kar Kabir par strike karna chaha usse pehle hi Kabir ne uspar apne palm se strike kar diya.

BOOM !

Us powerful palm strike ne Kin ko ground par aise patak diya jaise vo koi brick ho. Vo piche roll karte hue 30 meter tak chala gaya aur jaa kr ek wall ko destroy kar diya.

Kin kaafi awkwardly hawa mei uda tha aur ruins ke wajah se aur phir se ground par aa kar gir gaya. Usne uske phate hue coat ko phad kar phek diya aur apne silver armour ko expose karne lag gaya.

Issi armour ke protection ke wajah se vo Kabir ke palm strike se survive kar paya tha. Vo sirf slightly injured hi hua tha.

Kin ne abhi jis armour ko pehna tha usse Silver Armour of Snake Scale kaha jata tha jo ek 6th Level Genuine Martial Arm tha. Isse Silver Scales ko overlapping kar ke banaya gaya tha.

"Kabir ek baar mein ne tumne kam samjhne ki bhul kar di thi. Yeh baat mujhe bilkul bhi surprise nahi kar rahi hai ke tum bhi mujh se fight karna chahte ho. After all tumhare cultivation mei mujhe great breakthrough dikh raha hai."

Kin Kabir ko dekh raha tha aur uski aankho mei abhi ek green light dikh rahi thi. Tabhi vo puri tarah se green ho gaya jo usse kisi monster ka look de raha tha.

The Soul-Absorbing Eye.

Yeh Martial Technique ek Spiritual Stage ki Mid-Class technique thi. Generally isse sirf Heaven Realm warriors hi successfully practice kar sakte the. Although Kin ne is technique ko practice kar liya tha lekin abhi usne usse master nahi kiya hua tha.

Kabir ki Spiritual Power kaafi powerful thi. Koi bhi usse half sucessful ki hui Soul-Absorbing Eye se hurt hi nahi kar sakta tha.

Kabir ne Kin ke Soul-Absorbing Eye ko puri tarah se ignore kar diya aur vo uski taraf badh gaya.

Sacred Plenilune Sword.

The Sacred Sword Skill ek low class Spiritual Sword Technique thi. Lekin Kabir ka Sword Realm Heart Integrated into the Sword par tha aur saath hi usne usse perfect bhi kar liya tha.

Perfection of Martial Arts hamesha se hi ek advance realm raha hai.

Jab koi bhi martial technique Perfection of Martial Arts par pohoch jaati hai toh uski power exponentially badh jaati hai.

Even Spiritual Stage ke low class sword technique mei bhi Spiritual Stage ke mid class sword technique jitni power aa jaati hai.

Kin ne yeh bilkul bhi nahi socha tha ke uske Soul-Absorbing Eye koi bhi effect Kabir par nahi hoga. Usne quickly apne long knife ko samne ki taraf kiya Kabir ke attack ko defend karne ke liye.

Kabir ki sword technique kaafi excellent aur ingenious thi. Iske wajah se Kin uske strike ko withstand nahi kar paya.

The Abyss Ancient Sword ko halke se twist karte hue Kabir ne Kin ke long knife ko avoid kiya aur usne apne sword ko Kin ke waist ki taraf ghuma diya.

Kin half 2 parts mei cut ho kar niche gir gaya tha. Even uska Silver Armour with Snake Scale bhi Abyss Ancient Sword ke strike ko rok nahi paya tha.

Ek young top evil master aak Kabir ke sword se mara gaya tha. Kin ke body se nikalne wala blood har jagah fail gaya tha.
Nice Update Bhai
 

Jay Sutar

अहं ब्रह्मास्मि
2,484
31,685
189
Guys aaj kuch busy hu so mein indian time ke hisab se update nahi de paunga. Agar late night tak update nahi aaya toh mein yaha ke timezone ke hisab se update de dunga jo shayad india mei early morning mei aayega.

Peace ✌️.
 
Status
Not open for further replies.
Top