Lovekillsyou
Active Member
- 653
- 2,718
- 124
Last edited:
Mujhe lagta to nhi raha hain.Update ka koi chance hai ke nhe
Nice update....Update 214
Jab Rajni ne Huo ko jaate hue dekha toh usne ek gehri saans chodi. Uske baad usne us blue scaled snake ko dekha jo us tree je around twist hua tha. Rajni ne apni aankho ko close kiya aur apne Dark Genuine Qi ko circulate karne ke liye try karne lag gayi taki Huo ke seal ko vo unlock kar sake.
Rajni-Gosh! Is Huo ne mere meridians ko seal karne ke liye Could-Sealing Palm of Greate Mercy ka use kiya hai. Agar mein in sabhi ko unlock karne ke liye apne Dark Genuine Qi ke corrosive power ka use bhi karu toh bhi mujhe in sabhi ko unlock karne ke liye 6 hours ka time lag sakta hai. Jab tak mein khud ko free kar lungi tab tak toh yeh Huo phir se aa jayega. Ab mein kya karu ?
Rajni ko abhi tak pata nahi chal paya tha ke Huo ne usse mara kyo nahi hai. Par Huo ne usse abhi tak is liye nahi mara tha kyo ki usse vo Holy Universe Reaching Skill ke baremei pata karna chahta tha.
After all Huo ke bhi patience the. Agar usse uske answers nahi mile toh vo definitely Rajni ko marne wala tha taki future mei uske liye koi trouble na kar de.
Rajni-Nahi mujhe is seal ko unlock karna hi hoga.
Rajni ki aankho mei ek determine look aaya even agar vo is process mei khud ko injured bhi kar leti hai toh bhi usse Huo ke aane se pehle yaha se nikal kar bhag jana tha.
Rajni se kuch 100 meters ke distance par Kabir ek hill ke top par khada tha. Usne apne Space Powers ko use kar ke apne aaspas ke area ko warp kar liya aur khud ko spatial layers se cover kar liya.
Jab Kabir ne Huo ko waha se jaate hue dekha tab Kabir slowly Rajni ki taraf badhne lag gaya.
Jab Kabir Rajni ke kuch 30 meters ke area mei aaya tab us blue scaled snake ko kuch unusual feel hua. Suddenly usne upar dekha aur Kabir ke direction mei usne apne tail ko ghuma diya jaise vo koi whip ho.
Us blue scaled snake ki tain Kabir ke samne aa kar kisi chiz se clash kar gayi.
Kabir-Iske senses toh kisi normal Heaven Realm warrior se bhi zyada sensetive hai. Tabhi yeh ek 4th Level Savage Beast hai.
Ab jab Kabir ko pata chal gaya tha ke vo is creature par sneak attack nahi kar sakta hai usne apne Space Power ko withdraw kiya aur us blue scaled snake se samne aaya. Kabir ne apne Abyss Ancient Sword ko bulaya aur uske haat mei aate hi Kabir ne us blue scaled snake ki taraf apne sword ko slash kar diya.
Apne tail ko jaldi se piche khinch kar vo blue scaled snake ek green light mei transform hua aur Kabir ke pairo mei aa kar usne uske pairo ko coil karne lag gaya.
Ek 4th Level ka Inferior Savage Beast hone ke wajah se us blue scaled snake ki swiftness na sirf kisi Heaven Realm ke Mid Stage warrior jitni thi balki uski strength bhi kisi Earth Realm ke Completion Stage ke warrior ko rival kar rahi thi. Isse 4th Level ke weaker kind savage beast mei classified kiya hua tha.
Par uske teets extremely poisonous the. Even uska single bite bhi kisi 4th Level ke Medium level Savage Beast ko maar sakta tha.
Us blue scaled snake ne apne fangs ko show kiya aur Kabir ke pair ko katne ke liye try karne lag gaya.
Kabir khud bhi us blue scaled snake jitna fast move ho sakta tha par Kabir apni jagah se move nahi hua aur usne immediately defensive sword technique ko use kiya.
Sword Breath ke countless streams ne bell shape ke barrier ko form kiya aur Kabir ke aaspas ghumne lag gaye.
Bang !
Bang !
Vo blue scaled snake baar baar apne sir ko us barrier par maar raha tha par uske yeh sab karne ke baad bhi us bell shaped barrier par ek scratch bhi nahi aaya tha.
Wahi us bell shape formation ke andar khade reh kar Kabir us blue scaled snake ko observe karne lag gaya.
Kuch der baad uske face par ek smile aur usne kaha.
Kabir-Ab samajh mei aaya.
Vo blue scaled snake staggering speed se move ho raha tha jiske wajah se Kabir apne sword se uspar koi fatal strike nahi kar paa raha tha.
Lekin jin warriors ke paas fighting ka experience hai unhe is blue scaled snake ki weakness bhi pata chal sakti thi.
Unki weakness unke sir mei thi.
Jitni baar bhi vo snake apne sir se strike karta utni baar uska sir kuch sluggish ho jata.
Bang !
Kabir ne straight strike se apne sword ko us blue scaled snake ke sir mei ghusa diya.
Uske baad Kabir Rajni ki taraf badha aur usne usse dekh kar kaha.
Kabir-Mein tumhari help karta hu unseal karne ke liye.
Rajni-Nahi Huo ne mujhe seal karne ke liye Clouds-Sealing Palm of Great Mercy ko use kiya hai. SIrf usse hi un seal sequences ke baremei pata hai. Agar kisi dusre ne mujhe forcefully unseal karne ke liye try kiya toh meri Genuine Qi reverse mei flow hogi aur meri instantly death bhi ho sakti hai.
The Clouds-Sealing Palm of Great Mercy mei 36 techniques thi aur koi bhi usse thousands of types mei arrange kar ke differents seals ko create kar sakta hai.
Sequences ko rearrange kar ke koi bhi new seal ko form kar sakta tha. Agar koi wrong sequences ko use karta hai unlocking process mei toh sealed person ki death ho sakti thi.
Kabir-Really ? Mujhe bhi The Clouds-Sealing Palm of Great Mercy ke baremei pata hai. Maybe mein Huo ke correct order of technique ko figure out kar pau.
Yeh keh kar Kabir Rajni ke samne aa kar khada ho jata hai aur uske sir par apna haat rakh deta hai. Uske sir par haat rakh kar usne Rajni ke wisdom vein ko find out kiya aur uske baad apne Genuine Qi ke threads ko Rajni ke body mei circulate karne lag gaya.
Is sab ke wajah se Rajni ko kuch ajeeb feel hone lag gaya tha. Usse aisa feel ho raha tha jaise koi uske body ko touch kar raha ho.
Rajni-Ye....Yeh tum kya kar rahe ho ?
Kabir-Mein tumhare meridians ko explore kar raha hu. Yahi ek rasta hai jisse ham Huo ne konsi technique use ki hai iska pata laga sakte hai.
Rajni ke meridians mei jaha bhi Kabir ke Genuine Qi thread ko obstacle feel hota waha par Kabir apne us Genuine Qi thread ko inject kar deta.
Jitney baar Kabir aisa karta utni baar Rajni ko aisa feel hota ke ek warm current uske body mei enter kar raha hai. Uske liye yeh kaafi comfortable feeling thi.
Kabir ne apna examine complete kar liya aur usne Rajni ko dekhte hue kaha.
Kabir-Ok !
Kabir ne apne right aur left haat ke ek ek finger ko apne Spiritual Fire Genuine Qi se cover kiya.
Wahi yeh dekh kar Rajni kuch nervous si ho gayi thi.
Rajni-Ruko......Tum sure ho ke tum Clouds-Sealing Palm of Great Mercy ko unlock kar sakte ho ?
Kabir ne Rajni ko ek baar dekha aur phir 36 times Rajni ke body ke pressure points ko strike kiya.
Jab tak Rajni Kabir ke 36 finger strikes ko follow kar pati usse pehle hi Kabir apne strikes ko complete kar chuka tha.
Kuch der baad Kabir ne apne haato ko piche liya.
Ek muffled sound ke saath Rajni ki Genuine Qi phir se uske meridians se hokar uske body mei circulate hone lag gayi.
Jaise hi Rajni free hui waise hi usne apne haat ko speed se wave karte hue Kabir ke mask ki taraf kiya.
Kabir ne uske haat ko pehle dodge kiya aur jaldi se pakad bhi liya.
Kabir-Yeh kya kar rahi ho tum ?
Kabir ne yeh baat deep tone mei kahi thi.
Kyo ki Rajni abhi bhi apne seal se free hui thi toh uski strength abhi uske peak par nahi thi. Vo Kabir se apne haat ko free karne ki koshish karne lag gayi.
Rajni-Mera haat chodo. Tum Martial Market School ke student Kabir ho ! Yeh baat mujhe pata hai.
Kabir-Yeh sab tumhe kaise pata ?
Rajni-Tumhe kya lagta hai mein koi goofball hu jo mujhe pata nahi chal sakta hai.
Kabir ne Rajni ko serious hote hue dekha aur kaha.
Kabir-Mein phir se apni baat kehta hu ke tumhe yeh sab kaise pata ?
Ab Kabir ki tone cold thi.
Kabir ki baat par Rajni kuch surprise hui aur usne kaha.
Rajni-Toh tum sach mei Kabir ho. Tabhi mein sochu ke is Omen Ridge mei koun mysterious ladka aaya hai jo Yunvu Commandery ke 7th Prince Tian ko talent mei rival kar raha hai.
Kabir-Well ab ham equal ho gaye hai. Black Market mei tumne meri help ki thi aur ab mein ne yaha.
Yeh keh kar Kabir ne Rajni ke wrist ko free kar diya aur chalte hue apne Abyss Ancient Sword ki taraf chala gaya jaha par usne uske niche blue scaled snake ko dhasa kar rakha hua tha.
Kabir ne carefully blue scaled snake ke skin ko cut kiya aur uske poisonous snake gall ko nikaal liya jo snake ke aankho ke size ka tha.
Rajni ne Kabir ke face par ek serious look dekh kar Kabir se pucha.
Rajni-Is snake gall ke saath tum kya karne ki planning kar rahe ho ?
Kabir-Blue scaled snake ka venom kisi bhi Heaven Realm ke Dawn Stage warrior ko maar sakta hai. Mein ne isse nikaal liya hai kya pata future mei kan useful ho jaaye.
Kabir ne us snake gall ko apne Space and Time Spinel ke andar daal diya aur khade ho kar Rajni ko dekhne lag gaya.
Jab Rajni ne Kabir ko usse dekhta paya tab usne kuch guilt se apne sir ko niche kiya aur kaha.
Rajni-Mujhe maaf kar dena. Mujhe waise behave nahi karna chahiye tha. Saath hi thank you mujhe bachane aane ke liye. Tum sach mei ek loyal friend ho. Tabhi Senior Jeet, Han aur Hina tumhari baate karte hai.
Kabir ke wajah se aaj Rajni ko pata chal gaya tha ke The Cloud-Sealing Palm of Great Mercy ko kaise unlock karna hai.
Rajni ne kuch nervous hote hue kaha.
Rajni-Hame ab yaha se nikalna hoga. Otherwise Huo kabhi bhi yaha par aa sakta hai.
Phir Kabir ne kuch socha aur kaha.
Kabir-Ab hame separate hona hoga.
Yeh keh kar Kabir ne Shadow of the Royal Wind Dragon ko perform kiya aur hawa mei 9 steps lete hue aage badh gaya. Kuch der ke baad vo 10 miles tak ke distance ko cross kar chuka tha.
Jaise hi Kabir move hua usse apne piche wind ka sound aane lag gaya. Jab usne palat kar dekha toh Rajni abhi bhi uske piche aa rahi thi.
Kabir-Ab tum mere piche kyo aa rahi ho ?
Rajni-Mein tumhe follow nahi kar rahi hu. Par Huo hamari taraf aa raha hai. Mein apne injuries ke wajah se usse akele handle nahi kar sakti hu. Agar ham join ho kar fight kare toh ham usse hara sakte hai.
Kabir ne piche ki taraf dekha toh kuch distance pa ek tornado kaafi speed se unki hi taraf badh raha tha. Uski aawaz aisi thi jaise koi beast roar kar raha ho.
Us tornado ke center mei figure dikh rahi thi aur tabhi us tornado mei se aawaaz aayi.
"Mein is baar tumne jaane nahi dunga. Mein sirf yahi dekhna chahta tha ke tum waha se kaise bhagte ho.
Kyo ki Rajni ki speed Kabir se kuch zyada thi is liye vo jaldi hi Kabir tak pohoch gayi thi.
Kabir-Even agar hamne join ho kar bhi Huo se fight kiya toh bhi ham uske liye match nahi hai. Mein khud Commandery Princess Zelin ke saath fight karte hue injured hua hu.
Rajni-Toh ab ham kya kare ?
Kabir-Abhi ham sirf bhaag sakte hai. Par agar aisi situation bani toh hame Huo ke saath death fight karni hi padegi.
Although Kabir aur Rajni ki speed kaafi thi par Huo bhi kaafi fast tha aur ab vo unke paas bhi aane lag gaya tha.
Huo ne tornado mei apne haato ko wave kiya aur uske haato mei 2 wind blades aa gaye the.
Abhi Kabir aur Rajni apne present state mei wind blades ke power ko resist nahi kar sakte the.
Un dono ne bhi ground par land kiya aur narrowly un blades ko dodge kiya.
Unke aage ek forest tha. Huo ke attacks se bachne ke liye vo us forest ki taraf badh gaye.
Jab vo forest ke andar pohoche tab unhe waha par hawa mei kaafi thick fog dikha, saath hi waha par kaafi old bani hui streets bhi dikh rahi thi aur vo almost destroy ho gayi thi. Aaspas ke area mei humans aur savage beasts ke bones bhi gire hue the.
Kabir-Yeh ham kaha aa gaye hai ?
Par us jagah ko dekh kar Rajni ne khush hote hue kaha.
Rajni-Mein janti hu. Yeh White Fog Ancient City hai. Ek elementary ruin jaha par kaha jata hai ke White Fog Half-Saint raha karte the. Lekin kaafi time ke baad yeh ek ruin mei transform ho gaya. Mein aur Yuntai Suzerain ke kuch disciples yaha par pehle bhi practice karne ke liye aate the. Hab ab bhag kar yaha aa gaye hai toh ham bach sakte hai.
Kabir-Ek elementary ruin shayad Black Realm warrior ya bhi Earth Realm warrior ke liye challange ho sakta hai par Heaven Realm warrior ke liye yeh kahi se bhi dangerous nahi hai. Tumhe sach mei lagta hai ke ek elementary ruin Huo jaise warrior ko rok payega ?
Rajni-Nahi par mujhe yaad hai ke yaha par ek underground palace hai jo hamari help kar sakta hai. Mere piche aao tum.
Kabir aur Rajni ke piche piche aa kar Huo apne wind blades se har ek building par strike karne lag gaya.
"Up !"
Huo ke yeh kehte hu uske strong wind power ne street ko uproot kar diya aur uske pieces aur stones Kabir aur Rajni par girne lag gaye.
Shadow of the Royal Wind Dragon ko unleash kar ke Kabir kisi flying dragon ke illusory image mei transform ho gaya aur easily stones ko dodge karne lag gaya.
Lekin Rajni itni lucky nahi thi. Usse 2 stones ne hit kiya aur uske wajah se vo piche ki taraf udte hue chali gayi saath mei uske muu se blood bhi nikalne lag gaya tha.
Kabir quickly move hote hue Rajni ke paas gaya aur usse pakad kar apne full speed ke saath underground palace ke gate ki taraf chala gaya.
Jaise hi vo us gate ke andar gaye waise hi Huo bhi unke piche us gate se andar jaana chahta tha par Kabir aur Rajni ke andar jaate hi vo gate close ho gaya.
Yeh stone gate hard emery ferrite sandstone se banaya gaya tha. Even Heaven Realm warrior bhi easily isse break nahi kar sakta tha.
Bang !
Bang !
Kyo ki Kabir ne Rajni ko lekar slide karte hue us gate ke andar entry maari thi is liye vo aur bhi slide hote hue aage chala gaya aur waha ke stairs se niche gir gaya.
Kyo ki Zelin ke fight ke saath hi vo kaafi injured hua tha is fall ke wajah se usse aisa feel ho raha tha jaise uski puri body break ho kar gir gayi ho.
Rajni ko side mei push kar ke Kabir kaafi heavily saanse le raha tha.
Even Rajni bhi kaafi injured ho gayi thi aur apne internal injury ke wajah se vo almost coma mei jaane wali thi.
Vo waise hi pade hue rekh kar Rajni ne Kabir ko dekha aur kaafi halke aawaz mei kaha.
Rajni-Than.....Thanks...
Kabir crawl karte hue wall ke paas aaya aur wall ke help se uth kar baith gaya.
Uske body mei unbelievable pain ho raha tha. Us pain ki wajah Kabir behosh ho gaya tha. Wahi Rajni bhi kuch der pehle hi behosh ho gayi thi.
Abhi Kabir aur Rajni ko behosh hue kuch pal hi hue the ke Kabir ke body mei se ek golden energy ball bahar nikal kar aaya.
Uske bahar aate hi vo underground palace puri tarah se chamak gaya.
Yeh energy ball kisi ball se kam aur kisi stone ki tarah zyada dikh raha tha jisme se kaafi light release ho rahi thi.
Abhi vo stone bahar aaya hi tha ke Kabir ke Space and Time Spinel mei se Yuyan bhi bahar aa gayi.
Usne bahar aate hi us stone ko apne dono haat jod kar pranam kiay aur uske baad us stone mei se 2 energy beams nikal kar Kabir aur Rajni ko hit kar gayi.
Us energy beam ke hit hote hi Kabir aur Rajni ko jo internal aur external injuries hui thi vo sabhi heal hone lag gayi.
Kuch hi der mei Kabir aur Rajni puri tarah se heal ho gaye the. Ab unhe sirf apne Genuine Qi ko fill up karna tha.
Jab Kabir air Rajni puri tarah se heal hue tab vo stone phir se Kabir ke body ke andar chala gaya.
Uske piche Yuyan ne Kabir aur Rajni ko ek baar puri tarah se examine kiya aur vo khud bhi Space and Time Spinel ke andar chali gayi.
Kuch 1-2 hours ke baad Kabir aur Rajni ko hosh aaya.
Kyo ki us stone ne in dono ke sirf internal aur external injures ko hi heal kiya tha par unke Genuine Qi ko full nahi kiya tha is liye dono abhi bhi khud ko kaafi weak feel kar rahe the.
Kabir ne jaise taise apni aankho ko open kiya aur apne aaspas dekhne laga.
Par tabhi usse kuch ajeeb laga. Usne apne body ko check kiya aur usse kaafi shock laga kyo ki uski internal aur external sabhi injuries heal ho gayi thi.
Kabir ne jaldi se us taraf dekha jaha par Rajni padi hui thi. Vo bhi usse puri tarah se heal hui dikh rahi thi.
Kabir ko laga ke Sister Yuyan ne un dono ko heal kiya hai.
Kabir waise hi apni jagah par baitha raha. Kuch der baad Rajni ne bhi apni aankho ko open kiya aur vo bhi jaise taise uth kar baith gayi.
Kabir usse ek wall ki support se baitha hua dikha.
Lekin tabhi usse bhi ek shock laga. Usne apne aap ko dekha toh paya ke uski sabhi injuries heal ho gayi hai.
Saath hi usse uski Dark Genuine Qi kuch stable ho gayi hai yeh bhi feel hua.
Yeh sach kuch uske liye shocking au surprising tha. Vo shock ho kar Kabir ki taraf dekh rahi thi.
Vo puchna toh chahti thi ke kya Kabir ne usse heal kiya hai par usse samajh mei nahi aa raha tha ke Kabir uske is sawal ka jawab dega bhi ya nahi. Is liye usne yeh puchne se khud ko rok liya.
Kabir ne Rajni ko dekhte hue kaha.
Kabir-Ham heal toh hue hai lekin abhi hame apne Genuine Qi ko fill up karna hoga.
Abhi jaise hi Kabir ne abhi baat complete ki waise hi unhe stone gate ke bahar se ek loud crash hone kaa aawaz sunayi diya.
Bang !
Bang !
Yeh Huo tha jo abhi bhi us stone gate par apne wind blades se strike kar raha tha.
Har stike par stone gate shake ho raha tha.
Kabir aur Rajni ne ek ek blood pill li aur apne apne Genuine Qi ko circulate karne lag gaye.
Kuch 1 hour ke baad Kabir ke Genuine Qi 10% fill up ho gayi thi.
Par agar usse apne Genuine Qi ko puri tarah se restore karna hua toh usse at least 2 din ka time chahiye tha.
Lekin yeh stone gate Huo ke strikes ko 4 hours bhi hardly hold kar sakta tha 2 din ki baat toh dur thi.
Kabir ne apne aaspas dekha toh waha par usse kuch array lines dikh rahe the. Kabir ne un array lines ko dekh kar kuch sochne lag gaya aur unko chalte hue observe karne lag gaya.
Tabhi Rajni ne apne aankho ko open kiya aur Kabir ko dekhte hue pucha.
Rajni-Tum kya kar rahe ho ?
Kabir-Hamari condition ko dekh kar agar stone gate break ho gaya toh ham Huo se bach baag nahi sakte hai aur hamari death yaha par pakki hai.
Yeh keh kar Kabir phir se un array lines ko dekhne lag gaya.