UPDATE 2
Aise hi aaj in sabhi ka institute mein first day khatam hone wala tha tabhi ek aadmi class mein aata ha uske haath mein kuch papers the. Shital uske haath se ek paper lekar dekhti hai phir us aadami ki ek ishara Kar ke thik hai ka ishara karti hai. Vo aadami sabhi ko vo paper deta hai aur class se nikal jata hai. Sabhi students us paper ko dekh rahe the kisi ko bhi us paper ke baremein kuch bhi pata nahi tha. Lekin Kabir is paper ko achhe se janta tha. Tabhi Shital sabhi students se kehti hai.
Shital-Yeh ek parchment paper hai apne blood ki ek drop is par daal dena aur Kal aate waqt isse lekae aana ismein se tumhare skills aur strength ke baremein pata chalega. Jaise hame soul crystal se tum sabhi ke soul sea ke baremein pata chala tha.
Kabir vo paper apne haath mein leta hai uske face par abhi tak Jo bhi expressions the vo ab change ho gaye the vo bohot hi solid hi gaye the.
Uske baad sabhi waha se nikal jaate hai kuch apne ghar ki taraf toh kuch institute mein bane hostel ki taraf.
Yeh hostel in students ke liye tha Jo Osian city ke outskirts se aate the jinmein apan Kabir bhi tha. Ravi aur Varun issi city mein rehte the jiske wajah se vo chale gaye aur ab Kabir bhi apne room mein aa gaya tha usne dekah ke uske paas abhi bhi kuch waqt hai toh vo apne cheezo ko room mein rakh Kar bahar aa jata hai aur city mein aa Kar akele hi ghumne lag jata hai. Usse us snow wind beasts ke attacks ki yaade aati jaa rahi thi jaise jaise vo city mein ghoom raha tha.
Aise hi city se ghumate hue vo ek jagah aa Kar ruk gaya. Yeh ek rivier side jagah thi. Kabir jakar ek jagah Waha baith gaya aur samne river aur uske paar Jo mountains dikh rahe the usse dekhne laga. Aise baithe hue usse kitna waqt hua is baremein pata hi nahi chala. Vo toh apne past life ke memories mein khoya hua tha.
Kabir-Sage emperor is baar mein tumhe mujhse kuch bhi chin lene nahi dunga. Is baar mein tumhe khatam karke hi rahunga.
Tabhi Kabir kuch sochta hai.
Kabir-Past life meein Mai akela hi usse fight karne ke liye gaya tha lekin is baar mein sabhi ki help ke saath usse haraunga. Lekin. Usse pehle usse is city ko destroy hone se bachana tha aur us sacred family ko bhi expose karna tha.
Tabhi Kabir apne khayalon se bahar aata hai aur dekhta hai ke ab Suraj dhalne ki aa gaya hai. Vo phir se hostel ki taraf nikal padataa hai. Jaldi hi vo apne room par aa gaya.
Kabir-Mujhe abhi apne soul sea ko dekhna hoga. Waise mujhe lata hai ke mere paas Red soul sea hai phir bhi vo sabhi se lowest hai mujhe apne growth badhane ke liye abhi se kuch sochna hoga.
Yeh soch kar Kabir dhyan mein baith jata hai. Vo abhi dhyan mein baitha hi tha ke usse ek bohot hi bada jhatka laga jab vo apne soul realm mein aaya tab waha usse Red soul sea nahi dekha balki Pure White soul sea dikh raha tha aur uske pressure bhi usse handle nahi Kiya jaa raha tha. Jaldi hi vo apne dhyan se bahar aaya. Kabir pura pasine mein bhewg gaya tha.
Kabir-Yeh Kya tha ? Abhi Jo mein ne dekh vo koi dream toh nahi hai kyo ki mujhe achhi tarah se Pata hai me mere past life mein mere paas Red soul sea tha lekin abhi yeh white colour ka Kaise ho gaya aur uske pressure bhi had se jyada hai mein ne kabhi bi aise colour ke soul sea ke baremein nahi suna hai.
Yeh soch kar Kabir ne phir se dhyan lagaya AUR phir se vo apne soul sea ke samne aa gaya.
Kabir is pressure ko clearly feel kar sakta tha yeh bohot hi powerful hai. Lekin ek baat aur ajeeb Thi aur vo yeh ki yeh sirf white hi nahi balki transparent bhi tha.
Tabhi us soul sea mein halchal hone lagi. Vo soul sea ek point par circle mein ghoom jar apne hi andar sama raha tha lekin uske samate hue har pal waha ka pressure bhi badhta jaa raha tha. Vo soul sea apne mein samate hue ek chote se energy ball mein badal gaya lekin uske aaspas Jo pressure tha vo utna hi tha Kabir us chote se energy ball ki taraf badh gaya aur usne usse jaise hi haath lagaya vo usmein sama gayi jiske chalte usse ek bohot hi bada jhatka laga. Usse laga jhatka itna powerful tha ke vo apne dhyan se bhi bahar aa gaya aur vo energy ball uske andar samaye hi ek powerful shock wave release hui jiske chalte uska room tak almost destroy ho gaya tha.
Kabir jab hosh mein aaya tab usne apne aaspas dekah tab usse is baat par yakin tak nahi ho raha tha. Yeh Jo bhi tha usse ab iske baremein jaldi hi Pata lagana hoga. Tabhi usse us parchment paper ke baremein yaad aata hai vo paper nikal kar us par apne haat ko cut karke apne blood ki en blood sakta hai. Lekin aaja Kabir ko aur bhi jhatke lagne baaki the.
Hua yeh ke jab usse apne blood ki ek drop us paper par daali tab vo paper chamak ne laga. Par aisa kabhi bhi nahi hota tha lekin Aaj kabir ke saath ho raha tha. Vo paper aise hi chamakte hue hawa mein thoda upar uth gaya. Kabir ki nazar abhi bhi us paper par thi. Tabhi vo paper chamakte hue crippled ho gaya. Yeh dekh kar Kabir ki kuch bhi samajh nahi aa raha tha ke uske saath yeh ho Kya raha hai. Pehle vo time mein piche aaya aur ab uske andar jo red soul sea tha uski jagah ab usmein yeh white colour ka soul sea hai Jo kafi mysterious hai. Wahi ab yeh parchment paper bhi crippled ho gaya usse uske skill tak nahi pata chal paaye. Leki usse yeh Pata chal gaya tha ke shayad uske skills ki dikhane mein yeh parchment paper weak hai par Kal usse yeh Dena tha class mein.
Tabhi usse ek spell ke baremein yaad aati hai jab uske paas vo Divine Demon Spirit Book thi.
Yes spell ek aisk spell Thi ke koi bhi object Jo aapki real skill dikha raha ho aur aapko un skill ko dikhana na ho toh yeh ek powerful spell us object par karne se vo object wahi skill dikhta tha Jo aap usse dikhana chahte ho.
Kabir-Are ha mein is spell ke baremein Kaise bhool gaya.
Tabhi usne us crippled hue paper par apna ek haath rakha aur us spell ko bolne laga. Dkehte hi dekhte vo paper phir se normal ho gaya aur us paper par kabir ke sikll Jo red soul sea ki hoti hai vo aa gayi. Ek baar usne us paper ko utha Kar dekha aur phir apne paas ke table par rakh Kar aaram karne laga aaj uske saath bohot hi ajeeb si cheeze hui thi.
Agale din sabhi apne haat mein vo parchant paper le kar aa gaye jimein jo nobles the unke face par ek ahankaar thaw ahi jo commoners the unke face [are k udasi thi sirf kuch hi commoners ke face par normal expressions the un sabhi ke saath Kabir bhi class mein enter kart hai uske aur uske saath Ravi aur Varun bhi teeno chalte hue andar aa kar kal jaise baithe the waise hi bath jaate hai sabhi ke aane ke baad shital bhi aati hai usne ek nazar sabhi par dali aur phir kaha.
Shital-sabhi apne apne parchant papers yaha desk par aakar rakhe saath hi nobles aur commoners apne apne parper alag alag hi rakhe.
Yeh keh kar sabhi ne ek ek kar ke uthe aur sabhi ne un papers ko us desk par rakha jaha ab us desk par 2 alag alag paper ke bunch ho gaye the.