Lovekillsyou
Active Member
- 653
- 2,717
- 124
Last edited:
Gazab update Bhai aise hi bne rhe hamare saath or update dete rheUPDATE 11
Shital ko gusse mein dekh kar Kabir ne kaha.
Kabir-teacher Shital toh knowledgeable hai par book hai hi nahi aapke yeh kehne se aisa ho toh nahi jata. Toh kya mein yeh maan l uke aapne world ke sabhi book padh liye hai.
Uske past life mein bhi Shital aisi hi thi.
Book of divine lightning fire ? oh mujhe yaad aaya mein ne iski ek book library se li hui hai. Yeh baat ek commoner student ne kahi thi. Usne 3 books nikali apne bag se jimein se ek thi book of divine lightning fire.
Lekin us book ka content kafi profound tha. jisse jo samajh nahi sakta tha. par vo isse wapas karna bhul gaya that oh aaj vo laya tha. Usne us book ko khola aur dekhne laga.
Us commoner student ke wajah se Shital ka face kala pad gaya. Vo student us book ke pages ko palatne laga.yeh book copied version thi. Yeh snow wind empire language mein likha gaya tha. sirf first volume hi translate hua tha baki ke sabhi volume abhi tak translate nahi hue the. Snow wind empire ki language kafi difficult thi translate karne ke liye jisse ordinary log nashi samjh paate the.
Yaha tak ke yeh book exist karti hai is baremein jaan kar vice principle aur professor Rakesh tak surprise ho gaye. Vo dono hi vice principle aur professor the Holy Osian institute ke lekin library mienover hundreds of thousands books the aur 90% toh ancient era se the. Even vo bhi kis ek book ka naam nahi bata sakte the. Usmein se kuch books aise bhi the jinhe vo khud bhi samajh nahi sakte the.
Past life mein jan Kabir har continent ghum raha tha tab usne 7 languages seekh li thi. Jab vo legend rank par pohoch gaya tab usmne bohot se book padh daale aur usmein se kuch bhi nahi bhula. Not to mention ke uske past life mein Kabir Divine Demon Spirit Book ke stationary space-time realm mein hundreds of years raha tha jaha usne millions of book spadhe the.
Kabir ko koi bhi difficulties nahi hui thi snow wind empire ki language read karne mein.
Even vo VIP jo vice principle aur professor ke saath baitha tha usse bhi surprise ka jhatka laga. Even usne bhi kabhi book of divine lightning fire nahi padhi thi.
Avinash kisi ko bhej kar library mein se is book ko lekar aane kaho. Yeh baat us VIP ne kahi thi.
Yes! Vice principle ne kaha aur uske paas baithe Rakesh ko dekha. Rakesh bhi samjh gaya aur vo waha se sidha library chala gaya.
Yaha class mein sabhi students us commoner student ko dekh rahe the jisne book of divine lightning fire ko pakad rakha tha aur uske pages ko palat raha tha. Dono Rati aur Aarav bhi kafi surprise the. 3 major families ke member hone ke wajah se unhone bhi kafi book padhe hue the lekin unhone aaj tak book of divine lightning fire jaise book ke baremein nahi suna hua tha. Is book ko kafi kam student hi lete the.
Osian city mein 3 types ke inscription patterns complete the jinhe Snow Wind, Sacred Flame aur War Prime se jana jaata tha. lamost sabhi yahi 3 types ko practice karte the. Lightning fire inscription pattern Age of Darkness ke time se lost ho gayi thi jiske chalte aisa bohot hi kam books thi jaise BOOK OF DIVINE LIGHNINH FIRE. Vo sabhi untranslated the toh unhe aise hi rakh diya tha. Bohot hi kam student the jo aisi books le jaate the lekin jab unhe samjh aa jata tha ke yeh unhe sabhi samajh aa raha hai toh jaldi hi wapis bhi kar dete the.
Mujhe dekhne do book of divine lightning fire volume 7.
Vo commoner student jaldi se apne baki books mein dhundne laga. Yeh book mein kafi zyada pages the. Ismein bohot se pictures the text aur lightning fire inscription patterns ke diagrams bhi the. Volume 1 ke baad koi bhi book translate nahi hui thi. Us complex ancient words ko dekh kar kisi ka bhi sir dukh sakta tha. us commoner student ko realize hua ke is ek volume mein hi bohot se inscription patterns hai. Vo un sabi ko ek ek kar ke us sabhi ko bord ke diagram se match karne laga.
Sabhi student ko raha nahi jaa raha tha ke kab isse kuch milega.
Shital ne Kabir ko ek baar dekha aur gusse se kaha.
Shital-tumhe yeh book library ke kisi kone mein mili hogi aur tumhe ismein kya likha hai yeh bhi samajh nahi aaya hoga phir bhi tumne kaha ke scarlet sunburn us book se origin hui hai. Tum mere sacred family ke ancestor ko defile karne ki himmat ki. Agar tumhe yeh inscription pattern nahi mila toh mein saint judgement hall jaa kar tumhe sue karungi ke tumne mere ancestor ko defiled kiya hai.
Kabir uske is baat par has deta hai.
Kabir-teacher Shital yeh baat aapne kuch jaldi hi keh di. Yeh book snow wind empire ke time se hai jo over few thousand years old hai. Iski creation sacred family ke creation se bhi purani hai. Kyo mein sahi hu na ?
Shital-right.
Shital ne apne sir ko haa mein hilaya. Yeh vo hard fact tha jise vo khud bhi jhutla nahi sakti thi.
Kabir ne ek baar us commoner student ko dekh phir Shital ko dekh kar aage kaha.
Kabir-toh phir thik hai. Us book ke 30 pages ko palato volume 7 ke aur 30th page ke 6th diagram ko compare karo scarlet sunburn pattern se.
Kabir ka confidence face ko dekh kar Shital ka face dull ho gaya. Agar Kabir ko pata chal gaya ke scarlet sunburn inscription pattern ki origin kaha se hai toh yeh ek daag lag jaayega sacred family par. Kyo ki sacred family ne publicly yeh announce kiya tha ke scarlet sunburn pattern aur 16 aur patterns self-created hai sacred family ke first generation house master se. toh yeh sacred family ke reputation ko bohot hi effect karega. Agar logo ko pata chal gaya ke sacred family ke inscription patterns ancient book se liye gaye hai toh unmein bhi unki koi reputation nahi rahe gi.
Shital ke ghabraye hue face ko dekh kar Kabir smile karne laga. Sacred family ko fame uske sacred flames patterns ke wajah se mila hua tha jihe vo kehte the ke yeh unke past house masters ne banaye hue hai. Unke extraordinary talent ne Osian city ko bachaya hai. Lekin sach yeh tha ke sacred family sabse badi jhuti family thi.
Kabir ke past life mein jab Osian city destroy hi rahi thi tab sabhi families usko bachane ke liye fight kar rahe the. Sacred family ko bhi yahi karna tha lekin jab vo west gate k guard kar rahe the tab war ke wajah se unhone apne har ek expert ko le kar waha se chale gaye jike chalte snow wind beast city mein aa gaye. Kabir ko abhi bhi yaad tha ke kya hua tha city mein uske baad.
Kabir aur bakiyon ko ki choice hi nahi bacha tha city ko chod kar jane ke alaawa. Uske rebirth ke baad bhi kuch achha impression nahi tha sacred family ka usapr.
Kabir-is life mein mei is jhuti family ko is Osian city se nikal kar rahunga.
Agar usse sacred family ko city se nikal nah ai toh usse sabse pehle vo kaise nature ke hai yeh sab ke samne lana hoga.
Page 30 diagram 6th . vo commoner studebt yahi bole jaa raha tha aur usn pages ko palat raha tha. tabhi usse lightning fire inscription pattern mil jata hai.
Ha!
Sabhi students surprise ho gaye the. The lightning fire inscription pattern ke 2 parts unhe mile jismein se ek scarlet sunburn pattern ki tarah tha. the scarlet sunburn pattern kafi simple tha iske compare mein. Jo samne toh tha lekin bohot se parts ko cut kar diya tha.
Mil gaya! Kabir right hai.
Yeh sunkar Shital ne apne fist ko zor se bhich liya jiske wajah se uski fingers white pad gayi. Wahi Aarav jo sabhi students mein baitha hua tha vo Kabir ko dekhne laga. Uske aankho mein uske liye nafarat bhar gayi thi. Kabir uske family ki reputation bigaad raha tha.
Kabir ne Shital aur Aarav ke look ko dekh liya tha lekin unke aise looks se uspar koi bhi pharak nahi pad raha tha balki v otoh aone dil mein has raha tha. sacred family ke sabhi members aise hi hai. Jab unhe koi bhi reason ahi milta khud ko bachane ke liye toh vo dusro par blame daal dete the. Agar yeh unki kami nahi hai toh vo dar kyo rahe the ke koi unhe expose kar dega.
Shital-toh kya hua agar mere sacred family ke first house master ne yeh book of divine lightning se liya hua hai toh ?
Kabir is baat par has deta hai phir aage kehta hai.
Kabir-teacher shital shayad aapko pata nahi hai ke Demon Spiritist Code Conduct ke baremein pata nahi hai toh kya mein aap ko is baremein samjhau. The Demon Spiritist Code Conduct 3 thousand years se hai. Almost sabhi demon spiritis isse follow karte hai. Demon Spiritist Code of Conduct article 161: agar koi bhi demon spiritits kisi or ke inscription patterns ya phir kisi ko copy kar rah hai toh us demon spiritist ko us inscription patterns ke original source ke baremein batana hoga na ki yeh kehna hai ke vo self-crated hai. Yeh Demon Spiritist ke ethics hai.
Shital gusse se Kabir ko dekhne lagi. Kabir ke word directly weak spot ko hit kar gaye the. Usne directly yeh keh diya tha ke sacred family demon spiritist ke ethics ko follow nahi karti hai. Lekin yeh kehne ke baad bhi Shital uske sentence ko jhutla nahi sakti thi.
Kabir ne aage innocently kaha.
Kabir-agar vo lightning fire inscription se learn kar rahe the taki vo apne inscription pattern ko bana sake toh phir thik tha. Lekin sacred family ke first generation house master ne directly half pattern utha kar yeh keh diya ke vo unka khud ka hai. Yeh kuch zyda nahi hua…? Toh kya sacred family ke first generation house master ko koi difficulties thi ?
Kabir ke sharp words sacred family ke weak spot ko hir kar gaye the aur phir bhi vo innocent looks de raha tha. yeh dekh kar Shital aur Aarav ko usse khatam karne ka man hua.
Sabh students apne bich discusses karne lag gaye.
Toh kya sacred family ke first generation house master aise the.
Sabhi yahi kehte hai ke sacred family ke first house master gold rank demon spiritist the, par inscription patterns ke studies mein vo great the aur unhone bohot se sacred flame inscription patterns self create kiye hai. Toh kya sacred family hamesha se aisi hi thi.
Laga nahi tha ke scarlet sunburn pattern ancient book se copy kiya hua hai.
Mein ne snow wind inscription records dekhe hai. Uske andar ke inscription pehle bhi reproduce kiye hai ya phir kisi kisi ne ancient book se bhi liye hai par sabhi ne uske source ke baramin bataya hai. Kisi ne bhi yeh nahi kaha ke yeh self created hai.
Yeh ethics hai demon spiritist ke. Har noble family ko isse follow karna padta hai.
Students ke group ab apne mein hi baate karne lage ke unke dil mein jo inscription patterns ke great master hai vo asal mein kuch bhi nahi hai.
Aisi baato ko sunkar Aarav ka dil aur bhi gusse se bhal gaya. Vo ab Kabir ko ek enemy ki tarah hi dekhne lag gaya.
Vo apne aise hi gusse se bhare face ke saath utha aur Kabir ko kehne laga.
Aarav-Kabir meri sacred family 300 years se hai. Ham 3 major families mein se ek hai. Ham tum jaise nahi hai, jo ordinary clan se ho. Tum jaise hame criticize nahi kar sakte hai. Yeh scarlet sunburn first house master ke note’s mein likha hua tha. originally yeh kabhi publicly announced nahi kiya gaya. Ham younger generation jab first house master ke notes arrange kar rahe the tab mila tha. toh hame laga ke yeh unhone self create kiya hua hai.
Kabir ne Aarav ko dekha. Vo member tha sacred family ka toh is daag ko mitane ke liye usne yeh excuse bana diya.
Aarav ne jab MAJOR FAMILY kaha tha tab apne aawaz ko uncha kar ke kaha tha aur Kabir ki taraf yeh point kiya ke tum ek ordinary family se ho. Agar Kabir aage bhi kuch kehta toh sacred family ekmajor family hone ke chalte usse jaane nahi degi.
Kabir ne uske baato par dhyan nahi diya. Jab Aarav aur Rati ki shaadi hone wali thi tabhi Osian city par attack hua tha jismein yeh Aarav pehle hi apne sacred family ke saath bhag gaya tha.
Kabir ne pehle uski taraf dekh aura age kaha.
Kabir-Aarav kya tum mujhe dhamki de rahe ho. Par tum shayad yeh bhul gaye ho ke Osian city mein strict laws hai iske khilaf. Phir bhi mujhe ap meri chinta hone lagi hai ke sacred family jaise badi family agar mujhe kuch ho jata hai toh meri safty ke responsibility legi.