Lovekillsyou
Active Member
- 653
- 2,720
- 124
Last edited:
Great updateUPDATE 2
Aise hi aaj in sabhi ka institute mein first day khatam hone wala tha tabhi ek aadmi class mein aata ha uske haath mein kuch papers the. Shital uske haath se ek paper lekar dekhti hai phir us aadami ki ek ishara Kar ke thik hai ka ishara karti hai. Vo aadami sabhi ko vo paper deta hai aur class se nikal jata hai. Sabhi students us paper ko dekh rahe the kisi ko bhi us paper ke baremein kuch bhi pata nahi tha. Lekin Kabir is paper ko achhe se janta tha. Tabhi Shital sabhi students se kehti hai.
Shital-Yeh ek parchment paper hai apne blood ki ek drop is par daal dena aur Kal aate waqt isse lekae aana ismein se tumhare skills aur strength ke baremein pata chalega. Jaise hame soul crystal se tum sabhi ke soul sea ke baremein pata chala tha.
Kabir vo paper apne haath mein leta hai uske face par abhi tak Jo bhi expressions the vo ab change ho gaye the vo bohot hi solid hi gaye the.
Uske baad sabhi waha se nikal jaate hai kuch apne ghar ki taraf toh kuch institute mein bane hostel ki taraf.
Yeh hostel in students ke liye tha Jo Osian city ke outskirts se aate the jinmein apan Kabir bhi tha. Ravi aur Varun issi city mein rehte the jiske wajah se vo chale gaye aur ab Kabir bhi apne room mein aa gaya tha usne dekah ke uske paas abhi bhi kuch waqt hai toh vo apne cheezo ko room mein rakh Kar bahar aa jata hai aur city mein aa Kar akele hi ghumne lag jata hai. Usse us snow wind beasts ke attacks ki yaade aati jaa rahi thi jaise jaise vo city mein ghoom raha tha.
Aise hi city se ghumate hue vo ek jagah aa Kar ruk gaya. Yeh ek rivier side jagah thi. Kabir jakar ek jagah Waha baith gaya aur samne river aur uske paar Jo mountains dikh rahe the usse dekhne laga. Aise baithe hue usse kitna waqt hua is baremein pata hi nahi chala. Vo toh apne past life ke memories mein khoya hua tha.
Kabir-Sage emperor is baar mein tumhe mujhse kuch bhi chin lene nahi dunga. Is baar mein tumhe khatam karke hi rahunga.
Tabhi Kabir kuch sochta hai.
Kabir-Past life meein Mai akela hi usse fight karne ke liye gaya tha lekin is baar mein sabhi ki help ke saath usse haraunga. Lekin. Usse pehle usse is city ko destroy hone se bachana tha aur us sacred family ko bhi expose karna tha.
Tabhi Kabir apne khayalon se bahar aata hai aur dekhta hai ke ab Suraj dhalne ki aa gaya hai. Vo phir se hostel ki taraf nikal padataa hai. Jaldi hi vo apne room par aa gaya.
Kabir-Mujhe abhi apne soul sea ko dekhna hoga. Waise mujhe lata hai ke mere paas Red soul sea hai phir bhi vo sabhi se lowest hai mujhe apne growth badhane ke liye abhi se kuch sochna hoga.
Yeh soch kar Kabir dhyan mein baith jata hai. Vo abhi dhyan mein baitha hi tha ke usse ek bohot hi bada jhatka laga jab vo apne soul realm mein aaya tab waha usse Red soul sea nahi dekha balki Pure White soul sea dikh raha tha aur uske pressure bhi usse handle nahi Kiya jaa raha tha. Jaldi hi vo apne dhyan se bahar aaya. Kabir pura pasine mein bhewg gaya tha.
Kabir-Yeh Kya tha ? Abhi Jo mein ne dekh vo koi dream toh nahi hai kyo ki mujhe achhi tarah se Pata hai me mere past life mein mere paas Red soul sea tha lekin abhi yeh white colour ka Kaise ho gaya aur uske pressure bhi had se jyada hai mein ne kabhi bi aise colour ke soul sea ke baremein nahi suna hai.
Yeh soch kar Kabir ne phir se dhyan lagaya AUR phir se vo apne soul sea ke samne aa gaya.
Kabir is pressure ko clearly feel kar sakta tha yeh bohot hi powerful hai. Lekin ek baat aur ajeeb Thi aur vo yeh ki yeh sirf white hi nahi balki transparent bhi tha.
Tabhi us soul sea mein halchal hone lagi. Vo soul sea ek point par circle mein ghoom jar apne hi andar sama raha tha lekin uske samate hue har pal waha ka pressure bhi badhta jaa raha tha. Vo soul sea apne mein samate hue ek chote se energy ball mein badal gaya lekin uske aaspas Jo pressure tha vo utna hi tha Kabir us chote se energy ball ki taraf badh gaya aur usne usse jaise hi haath lagaya vo usmein sama gayi jiske chalte usse ek bohot hi bada jhatka laga. Usse laga jhatka itna powerful tha ke vo apne dhyan se bhi bahar aa gaya aur vo energy ball uske andar samaye hi ek powerful shock wave release hui jiske chalte uska room tak almost destroy ho gaya tha.
Kabir jab hosh mein aaya tab usne apne aaspas dekah tab usse is baat par yakin tak nahi ho raha tha. Yeh Jo bhi tha usse ab iske baremein jaldi hi Pata lagana hoga. Tabhi usse us parchment paper ke baremein yaad aata hai vo paper nikal kar us par apne haat ko cut karke apne blood ki en blood sakta hai. Lekin aaja Kabir ko aur bhi jhatke lagne baaki the.
Hua yeh ke jab usse apne blood ki ek drop us paper par daali tab vo paper chamak ne laga. Par aisa kabhi bhi nahi hota tha lekin Aaj kabir ke saath ho raha tha. Vo paper aise hi chamakte hue hawa mein thoda upar uth gaya. Kabir ki nazar abhi bhi us paper par thi. Tabhi vo paper chamakte hue crippled ho gaya. Yeh dekh kar Kabir ki kuch bhi samajh nahi aa raha tha ke uske saath yeh ho Kya raha hai. Pehle vo time mein piche aaya aur ab uske andar jo red soul sea tha uski jagah ab usmein yeh white colour ka soul sea hai Jo kafi mysterious hai. Wahi ab yeh parchment paper bhi crippled ho gaya usse uske skill tak nahi pata chal paaye. Leki usse yeh Pata chal gaya tha ke shayad uske skills ki dikhane mein yeh parchment paper weak hai par Kal usse yeh Dena tha class mein.
Tabhi usse ek spell ke baremein yaad aati hai jab uske paas vo Divine Demon Spirit Book thi.
Yes spell ek aisk spell Thi ke koi bhi object Jo aapki real skill dikha raha ho aur aapko un skill ko dikhana na ho toh yeh ek powerful spell us object par karne se vo object wahi skill dikhta tha Jo aap usse dikhana chahte ho.
Kabir-Are ha mein is spell ke baremein Kaise bhool gaya.
Tabhi usne us crippled hue paper par apna ek haath rakha aur us spell ko bolne laga. Dkehte hi dekhte vo paper phir se normal ho gaya aur us paper par kabir ke sikll Jo red soul sea ki hoti hai vo aa gayi. Ek baar usne us paper ko utha Kar dekha aur phir apne paas ke table par rakh Kar aaram karne laga aaj uske saath bohot hi ajeeb si cheeze hui thi.
Agale din sabhi apne haat mein vo parchant paper le kar aa gaye jimein jo nobles the unke face par ek ahankaar thaw ahi jo commoners the unke face [are k udasi thi sirf kuch hi commoners ke face par normal expressions the un sabhi ke saath Kabir bhi class mein enter kart hai uske aur uske saath Ravi aur Varun bhi teeno chalte hue andar aa kar kal jaise baithe the waise hi bath jaate hai sabhi ke aane ke baad shital bhi aati hai usne ek nazar sabhi par dali aur phir kaha.
Shital-sabhi apne apne parchant papers yaha desk par aakar rakhe saath hi nobles aur commoners apne apne parper alag alag hi rakhe.
Yeh keh kar sabhi ne ek ek kar ke uthe aur sabhi ne un papers ko us desk par rakha jaha ab us desk par 2 alag alag paper ke bunch ho gaye the.
Sital ki whatt laga di Kabir neUPDATE 3
Aaj bhi Kabir class mein Rati ko hi dekhe jaa raha tha.
Lekin aaj Rati ke paas ek tall aur handsome ladka baitha hua tha jo chup chup kar Rati ko dekh raha tha. Usne yeh dekha ke Rati Kabir ko dekh rahi hai. Usne Kabir ki taraf gusse se dekha. Vo height mein thoda sa bada tha Kabir se aur usne apne andar se ek faint aura nikalne laga.
Naturally Kabir janta tha ke yeh koun hai. Vo tha Aarav. Vo bhi Sacred Family se belong karta tha jo one of the 3 major families mein se ek thi aur uske paas extraordinary talent bhi tha. Wahi jo Shital abhi sabhi ko lecture de rahi thi vo uski Aunty thi.
Kabir ki past life mein Aarav hamesha Rati ke piche hi raha tha. Osian city destroy hone se pehle vo dono almost married ho gaye the. Un dono ke families ki aankho mein vo dono ek dusre ke liye perfect match the. Agar Osian City destroy na hui hoti toh un dono ki shaadi tay hi thi. Jab tak vo shaadi tak pohochte Osian city par snow wind beasts ne attack kar diya tha. Jab tak beasts broke through karte tab tak Sacred Family ne Osian city ko dhoka de diya aur apne sabhi duties chod kar bhaag gaye.
Yeh toh shayad kismat hi keh sakte hai ke Rati Aarav ki wife nahi bani apne past life mein balki vo toh tab bhi Kabir ki ho gayi.
Un sabhi yaadon ko yaad kar ke Kabir apne dil ki haasi rok nahi paa raha tha. Par jab uski nazar Aarav par gayi jo Rati ko ghure jaa raha tha tab uske sir mein thoda dard hua. Filhaal Rati par Aarav ke kuch good impression the. Rati abhi jis nazar se Kabir ko dekh rahi thi vo achhi nahi thi. Rati ne socha ke Kabir ek lazy aur playful person hai.
Jab kabir ne dekha ke Rati uske taraf dekh rahi hai toh uski dhadkan si ruk gayi. Uska vo face dekh kar Kabir vo sab kuch yaad aa raha tha. Usne Rati ko dekhte hue ek smile pass ki.
“Thanks Divine Demon Spirit Book ke uske wajah se ham phir se mil rahe hai.” Yeh Kabir abhi soch raha tha.
“Alag hi hai yeh” yeh Rati ne socha. Usse Kabir ki nazar kuch ajeeb hi lagi. Uski aankhe stars ki tarah shine kar rahi thi,lekin un aankho mein ek dukh bhi dikh raha tha usse. Rati ka din sawalon se bhar gaya. Kya vo Kabir ko janti hai? Kabir usse aise kyo dekh raha hai?. Lekin Rati ko yeh toh pata chal gaya tha ke un nazaron mein uske liye koi bhi ulte-sidhe bhaav nahi hai.
Rati ki khubsurati uske safed teeth uske sindoor se lips. Vo ek kamal ki tarah thi jo dheeme dheeme khulta hai, par uska thodi thodi baaton par kabhi kabhi gussa hona. Yahi baate thi jiske wajah se uske piche bohot se ladke pade the.
Is point par Shital ki nazar kabir par giri. Is 18-19 saal ke ladke ki harkaton ko uski aankhon ne pakad liya.Vo ek Silver rank demon spiritualist thi. Vo already aise state mein pohoch gayi thi ke uske mind aur body ek ho kar ek powerful sixth sense banate the. Uski nazar bohot hi sharp ho gayi thi. Vo kuch hundred metres par ho rahe chuhe ki halchal bhi dekh sakti thi.
Rati ko ek Nobel identity thi. Vo beti thi city lord ki aur granddaughter thi legend rank spiritualist lord Uday ki. Yahi nahi usne apne soul mein ek soul realm bhi bana liya tha. Yeh kafi rare talent tha.
Bas kuch hi log the jo Rati ke identity ke baremein jante the Holy Osian Institute mein. Agar Aarav usse apni wife banane mein kamyab ho jata hai toh scared family ki strength aur bhi strong ho jayegi Osian City mein. Yahi wajah thi ke Aarav is class mein tha aur Shital yaha padhane aayi thi.
Shital ne ek baar un sabhi papers ko dekh aur apne interception ring mein daal diye. Vo ek nazar sabhi students par dalti hai aur kehti hai.
Shital-Agle 2 saal tum sabhi mere students ho. Dekha jaye toh principal ne yeh keh diya hai ke yaha ke sabhi students equal hai, par mein tumhe ek sach batati hu, ke is world mein equality exist nahi karti.
Shital yeh thode unche aawaz mein kehti hai. Uski kahi gayi baate sabhi students ke dil ko chir deti hai.
Stage ke paas baithe students apna sir niche kar ke soon rahe the. Kisi ne bhi koi sawal nahi kiya.
Shital ne apni baate aage jari rakho.
Shital-Jab tum yaha se pass ho kar bahar jaoge tab tumhe meri kahi hui baate yaad aayegi. Equality ek jhoot hai jo tumhare bado ne tumhe kaha hai. Tum hamesh ke liye kisi fairy tale mein nahi reh sakte. Osian city hi sirf bach paayi hai age of Darkness se. Ab sirf ham hi surviving humans bache hai. Osian city mein 2 hi bade existance hai. The Fighter and The Demon Spiritualist. Thousands of fighters mein sirf koi ek hi demon spiritualist ban sakta hai. Ab tak Osian city mein sirf kuch thousands hi Demon spiritualist hai. Ham guardians hai is Osian city ke.
Fighters aur Demon spiritualist bronze, silver, gold, black gold aur legend rank mein divided hote hai. Jitani higher rank rahegi utne Powerful rahoge tum. Agar koi family gold rank demon spiritualist produce karti hai toh vo aristocRatic family ban jaati hai. Agar koi family black gold rank demon spiritualist produce karti hai toh vo nobel ban jaati hai. Agar koi family 3 black gold rank demon spiritualist ya phir ek legend rank demon spiritualist produce karti hai toh vo Major family ban jaati hai. 36 bachhe baithe hai yaha. Kuch yaha commoner family se aaye ho aur kuch nobel family se. Dekha jaye toh tum sabhi ka starting point same hi hai par tumhari identities same nahi hai. I hope ke tum sabhi mein self-awareness aur manners honge. Yeh baat jaan lo ke commoners hamesh commoners hi rahenge. Tumhare liye aristocRatic y banna impossible hai. Toh aise koi bhi dreams dekhna abhi chod do. Even nobilities mein bhi kuch levels hai jo vo exceed nahi kar sakte.
Shital ne phir se ek baar sabhi par apni nazar ghuamyi. Jo students ne normal kapade pehen kar aaye the un sabhi ke face par discomfort dikh raha tha. Un sabhi ne apne sir ko sharm se niche kar liya. Wahi Shital ke saath kuch nobels the unhone apne chest ko bahar nikal kar sabhi ko apne ahankaar aur garv dikha rahe the. Bas Kabir, Rati, Ravi aur kuch nobels the vo shant baithe the.
Kabir apne side mein dekhta hai jaha Varun baitha tha. Usne thode se purane kapde pehne the. Usne apne fist ko zor se bhinch diya. Varun ek commoner family se belong karta tha. Uske family ki halat bohot hi though thi. Par Kabir jaanta tha ke Varun ka self-esteem bohot hi strong hai.
Kabir ke past life mein Varun bohot hi hard working tha uski family ki halat achhi nahi thi. Lekin uska talent kuch bad nahi tha. Bohot hi hardwork vo gold rank demon spiritualist bana tha. Usne isse kisi ke bhi support ke bina hasil kiya tha. Us lavel tak pohochne ke liye vo apne hardwork par hi depend raha. Koi bhi yeh soch hi nahi sakta ke uske yeh hasil karne ke liye kitna hardwork kiya hoga.
Jab Osian city destroy ho rahi thi tab sabhi nobels yahi soch rahe the ke vo yaha se kaise nikal sakte hai bas commoners hi the jo is city ko bachane ke liye fight kar rahe the.
Varun Kabir ke best friends mein se ek tha.
Shital ke aise bato se Kabir ke dil mein ek gusse ki aag bhadak gayi. Uske past life mein Osian City mein broke through hone se pehle hi Sacred Family bhaag gayi thi. Issi wajah se Kabir par unka kuch khaas impression nahi tha. Aarav ho ya Shital unke andar aisi koi bhi achhi qualities nahi thi. Past life mein Shital bohot hi harsh behave karti thi jiske wajah se Kabir ko bilkul bhi achhi nahi lagti thi.
Tabhi Kabir ne bich mein hi usse kaha.
Kabir-Shital ma’am mujhe aapse kuch puchna hai.
Sabhi students shant ho kar Shital ki baate soon rahe the ke Kabir ne uske baaton ko bich mein hi rok diya. Is wajah se Shital nakhush ho gayi. Usne kabir ko pehchan liya jo kab se Rati ko dekhe jaa raha tha. Abhi jo baate usne kahi thi vo indirectly Kabir ko hi kahi thi. Kisne socha tha ke phir bhi Kabir bich mein kuch bolega.
Shital-Pucho kya puchna chahte ho.
Kabir-Shital ma’am aap kehti hai ke sirf Osian city hi hai jo survive hui hai age of Darkness se aur sirf ham hi surviving humans bache hai is baat ka koi proof hai aapke paas. Kya aap kabhi bhi St.Ancensetral mountain range se bahar gayi hai aur The Endless Desert, The Toxic Forest, The Blood Moon Marsh, The Spirit Gulf, The Heavenly Luster Mountains, Northern Snow in jagaho par aap kabhi gayi ho.
Kabir jo reborn hua tha aur apne past life ke experience ko apne andar samaye hue tha usne apne in baato se Shital ki bolti band kar di.
Shital-Heavenly Luster Mountain? Northern Snow? Yeh kya hai sab. Usne Endless Desert, The Toxic Forest aur Blood Moon Marsh ke baremein suna hua tha lekin vo sabhi jagah bhi St.Ancestral Mountains se bohot hi dur the.
Shital Kabir ke taraf dekhte hue kehti hai.
Shital-Mai apne janam se hi yaha hu Mai kabhi bhi waha nahi gayi.
Kabir ke face par ek halki smile aati hai aur vo kehta hai.
Kabir-Agar Shital ma’am kabhi bhi yaha se bahar nahi gayi hai toh vo kaise keh sakti hai ke sirf ham hi surviving humans bache hai.
Shital ko ab aage kya kahe kuch kuch samajh nahi aa raha tha.
Sabhi students apne aap mein baate karne lage the. Kabir ne bataye hue jagaho ke baremein unhe kuch bhi nahi pata tha. Rati jo usse thodi dur baithi thi vo ab usmein interest dikhane lagi thi. Vo Kabir ko dekh kar soch rahi thi ke Kabir in sabhi jagaho ke baremein kaise jaanta hai.
Aarav jo Rati ke baaju mein baitha tha usne phir se Kabir ki taraf dekha. Usne ab yeh notice kiya ke Kabir bhi handsome hai. Kabir looks ke mamle mein uske equal tha.
Students ke baato se Shital ko aisa lag raha tha ke uska majak uda diya hai. Usne thode gusse se hi Kabir se pucha.
Shital-Toh kya hua? Kya tum proof kar sakte ho ke hamare sivay bhi koi bacha hai.
Kabir thoda hasta hai.
Kabir-Proof.
Kabir ki past life hi sabse bda proof thi. Insaano ki wisdom hi sabse amazing hoti hai. Age of Darkness ke baad bohot se humans survivor kar gaye the. Unhone bohot se chote chote cities banayi thi. Par Kabir is baat ko abhi sabke samne bata nahi sakta tha par usne thande dimaag se Shital se kaha.
Kabir-Shital ma’am mai aap ko ek story batana chahta hu. Ek baar ek gehre kue mein ek frog rehta tha. Ab vo apne birth se hi us kue mein that oh vo sky ka utna hi part dekh sakta tha jitna kue se dekh jaa sake. Toh usne socha ke sky sirf utna hi hai jitna yeh kuaa hai par kya sky sirf us kue jitna hi tha. Ham isse ud frog ka ahankaar keh sakte hai.
Kabir ke yeh baat sunkar sabhi students apni hasi rok nahi paye. Sabhi students ko yeh baat samajh aa gayi thi. Is baar Kabir ne Shital ko frog kaha tha.
“kue ke gehrayi se sky dekhna , kitni uchit hai yeh baat.” Yhe baay class ke kuch girls ne kahi thi. Unhone Shila ko ignore sa kar diya tha aur Kabir ki taraf dekhne lagi thi. Kyo ki ek Kabir hi tha jisne apni himmat dikhayi thi Shital ke baato ko kaatne ki.
Shital-Tum….
Shital ko is kadar gussa aa gaya tha ke uske aankho mein yeh dikh sakta tha. Kabir ne usse ek frog se compare kiya tha. Uska kabhi bhi aise student se pala nahi pada tha.
Rati jo kuch dur baithi thi vo bhi apni hasi control nahi kar paayi. Rati ne paaya ke Kabir kaafi interesting hai aur apne words ko sahi se chunanaa jaanta hai. Usne Shital ki bolti hi band kar di thi.
Rati ek natural beauty thi. Uski smile hi kafi khubsurat thi. Tabhi Kabir kin azar uspar padi aur usne bhi usse ek smile pass ki.
Kabir ke expression dekh kar Ratine apne face ko ghuma diya aur usse man mei hi paagal kaha.
Kabir ka impression abhi bhi uske dil mein ek bad student hi tha.
Ravi ne socha ke yeh toh sabe awesome banda hai na sirf usne Shital ma’am ki bolti band kar di balki usne Rati ko bhi tease kiya yeh dekh kar usne Kabir ki taraf dekh kar usse ek thumbs up kiya.
Kabir ne Shital ki taraf dekha aur aage kaha.
Kabir-Shital ma’am mera ek aur question hai.
Shital ka gussa ab had se jyada badh gaya tha par vo apna gussa dikha nahi sakti thi. Usne Kabir se kaha.
Shital-aur kounsa question bacha hai..?
Kabir-Shital ma’am aap ne kaha ke commoner toh commoners hi rahenge vo kabhi bhi nobel nahi ban sakte hai. Mera yeh question hai ke legend rank demon spiritualist Uday, vo bhi toh jab young the tab commoner hi the.
Yeh keh kar vo Shital ko dekhne laga.
Kabir-kya aap yeh nahi jaanti thi..?
Jab Kabir ne yeh sab kaha tab jo commoners the class mein unke aankho mein ek chamak aa gayi. Un sabhi ko lord Uday ki kahani pata thi. Vo ek example the un sabhi ke liye jo powerful existence banna chahte the. Par jo word Shital ne use kiye the vo bohot hi harsh the jiske wajah se vo thode depressed ho gaye.
Shital-tum…. Osian city ke hundred years mein sirf vo hi hai jo us level tak pohoch paaye hai vo bhi sirf khud ki abilities par.
Yeh keh kar Shital ne retaliate karne sochi.
Kabir-par ma’am aapne hi abhi kaha na ke yeh impossible hai? Aap khud hi khud ke baato ko jhut kyo bana rahi hai.
Lord Uday ek clear cut example hai. Phir chahe aap nobel ho ya commoner future ki potential infinite hai. Kuch bhi difficult nahi hai agar aap us level par pohochne ke liye hardwork karenge toh.
Shital ab phat si gayi apne gusse se. uske samne khade ladke ne uske har baat mein koi na koi loophole dhund nikal kar us par palat war kiya hai. Yeh bado ki koi respect nahi karta hai. Usne Kabir par ek gusse se bhari nazar daali. Usne in sabhi ke samne itani himmat dikhayi thi ke vo uske har baat ko kaat sake. Usne yeh soch liya tha ke vo aane wale future mein Kabir ko chain ki saas kabhi nahi lene degi.
Varun ko Kabir se thodi hi duri par baitha tha usne Kabir ki taraf dekha. Uski aankho mein uske liye ek gRatitude tha. Kabir ek nobel tha phir bhi usne un sabhi commoners ke liye Shital ma’am ki bato ko kaat diya tha. Yeh baat uske dil ko chu gayi. Ek teenager ka dil kafi chamchal rehta hai lekin ab vo Kabir ka dost ban gaya tha usne usse dil se apna dost maan liya tha.
Shital-Smart-mouth, tumhe lagta hai ke yeh sab baato ko side mein rakh kar harsh reality ko change kar paoge? Tumne sirf lord Uday ke glorious moments ko dekha hai lekin yeh nahi dekha ke unke baad kitne fail bhi ho gaye.
Demon spiritualist toh chod hi do, even Fighters banna bhi kafi difficult hai. Tum AristocRatic family se hona. Tumhe yeh bhi nahi pata ke tumhe kab aana chahiye aur jana chaiye. Mai bhi dekhti hu tumhare paas kya talent hai.
Shital niche dekhne lagi uske haat mein ek parchment paper tha . jab usne us paper ko dekha tab usne uska majak udane wali hasi mein kaha.
Shital-kabir:Red Soul realm, current soul force 5, strength 21 is talent ke saath tum sirf bronze rank fight hi ban sakte ho apne pure life mein. Ek demon spiritualist bannaa tumhare liye simply impossible hai. Tum toh yaha par jo kuch commoners hai unse bhi inferior ho aur tumne itani himmat ki ke tum mujhse aise baat karo. Tum bas apne low sef-esteem ko chupana chahte ho.
Soul realms ko colours mein differentiate kiya jata hai Red, Orange, Yellow, Green, Sky Blue, Blue aur indigo. In 7 grades mein Red sabse worst tha. Yeh sabse weakest aur sabse lowest tha. Ek average person ke paas orange ya yellow soul realm hota hai. Green ya sky blue soul realm hona matalb tum genius ho aur blue aur indigo soul realm sirf legends mein exist karta tha.
Shital ki baton ko sunne ke baad jo commoners ka group tha vo Kabir ke liye kafi bura feel karne laga tha. Kabir jaise nobility ho kar bhi uska talent worst tha. Unhe yeh dar tha ke uske life mein kuch bhi aapne ke liye usse bohot se difficulties se gizarna hoga.
Rati ne Kabir ke taraf dekha aur ek gehri saas chodi. Waise bhi Kabir ka impression kuch achha nahi tha par uska talent janne ke baad vo bhi uske liye bura feel karne lagi.
Aarav jo Rati ke paas baitha tha uske face par ek smile aayi. Agar usse malum hota ke Kabir ka talent kafi terrible hai toh vo usse bilkul bhi khatra nahi manta. Kabir toh uske liye qualified bhi nahi tha. Uske us horrible talent ke saath vo Osian city mein sabse lowest level par rehne wala tha aur vo khud Aarav 3 major families mein se ek tha. Sacred Family ka direct bloodline mein aata that oh yeh Kabir kaise uske equal ho sakta hai.
Agar baat Rati kin a hoti toh vo aise class mein kabhi nahi aata jaha par Kabir jaise ladke ho.
Sital ne aage kaha.
Shital-aise talent ke saath tum apne family mein bhi kisi ka attention nahi le paoge aur tum phir bhi aise behave kar rahe ho bado ke saath.
Shital ke baato se Kabir ko apna past yaad aaya. Osian city destroy hone se pehle Kabir weak tha. Jaisa ke Shital ne kaha vo 3-star bronze rank par hi atak gaya vo aage badh hi nahi paa raha tha. Usko koi bhi attention nahi deta than a institute mein aur nahi uske family mein. Usse aise treat kiya jata tha ke vo bas ek dhool hai aur kuch nahi.
Agar usne Rati ko us waqt bachaya na hota toh shayad hi vo dono utane karib aate. Us waqt Rati 1-star demon spiritualist thi. Us waqt un dono mein ek kaayi jitna distance tha. Dekha jaaye toh Kabir us waqt Rati ke saath fight karne ke kaabil hi nahi tha. Vo toh usse demon beast ke haatho marte hue hi dekh sakta tha aur uske body ko us desert mein milte hue dekh sakta tha.
Usne to apne pure luck par us Endless Desert se bahar nikal kar aaya. Kabir ko uske baad bohot si baate pata chali jaise ke yeh soul force talent ko badhaya jaa sakta hai.
Uske past life mein Kabir ke paas utani himmat nahi thi ke vo kisi ke bhi baato ko kaat sake par ab vo badal gaya hai. Vo ab confident hai ke jo jo usse ab nicha dikha rahe hai uske samne vo us realm tak phochega ke vo uske baramin kabhi soch bhi nahi sakte hai. Lekin vo abhi abhi aaya hai toh usse thik se iske baramin sochna hoga. Phir chahe koi bhi uske raaste mein aaye.
Sabhi Kabir ko dekh kar shock se the kyo ki Shital ma’am ki baate sunkar bhi uske face par koi bhi sharam nahi thi. Balki uski aankhon ek confident tha aur uske ussi aankhon ke saath Shital ko dekha aur kaha.
Kabir-Ma’am aap ko lagta hai ke sirf ek soul realm hi kisi ka future decide kar sakta hai. Aise soch ke saath aap sirf unhe hi defend karti hai jo gifted hai aur jo mediocre hai unka aap majak udati hai aur phir bhi aap aise baate kehti hai ke aapse bada yaha koi hai hi nahi aapko hi sab pata hai par aap sirf in baato se apne is choti soch ko chupati hai aur kuch nahi.
Kabir ki baate sunkar ab Shital ki body pure gusse se hilne lagi thi. Vo ab tak aise student se nahi mili thi.
Usne uski soch jo sabse chipi hui thi usse saamne laa diya tha. Jiske wajah se usne apne aap ko kho diya.
Shital-silence! Tum hote koun ho apne teacher se aise baat karnewale?
Lekin Kabir par iska kuch bhi asar nahi hua balki usne kaha.
Kabir-Mujhe sharam aati hai aap jaisa teacher paa kar. Mai khud keh sakta hu ke is class mein aise kuch commoners bhi honge jo aapke soch se bhi aage jaa sakte hai. Vo sabhi aise achievement paa sakte hai jiske baremein aap soch bhi nahi sakti. Bajaaye unhe seekhane kea ap itne harsh words use kar rahi hai. Dekh lena aap mai bhi ab lord Uday ki taraf legend ran demon spiritualist banunga aur is city ke sabse khubsurat ladki se shaadi karunga.
Jaise hi Kabir ne yeh kaha usne Rati ki taraf dekha jo usse dur baithi thi. Usse dekh kar hi uske aankho mein ek chamak aa gayi.
Jab Rati ne dekh ke Kabir usse dekh raha hai toh pata nahi kaise uski dhadkan badh si gayi, uske gaal laal se ho gaye. Usne yeh kabhi nahi socha tha ke Kabir itna bold ho sakta hai aur pure class mein aisi baat keh bhi sakta hai. Jab uski nazar Kabir ki nazar se mili toh vo uske bato ka meaning samajh gayi. Lekein uske dil mein Kabir ke liye koi bhi feeling nahi thi. Kabir ke bato ke baad uske andar ek Anjani si feeling aa gayi thi.
Rati ke expressions dekh kar Aarav ka face utar sa gaya kyo ki vo yeh toh jaanta tha k evo aur Kabir ka koi bhi equal nahi hai phir bhi usse ab vo ek khatra lag raha tha.
Tabhi waha Shital ki ek zordaar hasi gunjh gayi aur usnea aage kaha.
Shital- Hahaha! Yeh ab tak ka sabse bada majak tha. Ek read soul realm wala kehta hai ke usse lord Uday ki taraf legend rank demon spiritualist banna hai. Jab lord Uday tumhare jitney the tabhi vo tumse bohot hi jyada talented the. Unke paas sky blue soul realm tha. Tum sochte ho ke success sirf luck par depend rehta hai.
Rediculous!. Ek smart-mouth banne se achha tum yaha kuch seekh kyo nahi lete.
Par ab jo Kabir ne kaha vo bohot hi powerful tha.
Kabir-mujhe pata hai abhi aapke dil mein bohot hi gussa bhara hua hai lekin dekh lena mai ek din aap ka muu facts se band karunga. Aptitude kisi bhi person ke achievements determine nahi kar sakta. Ham weak sabhi strongs ko hara denge aur us heaven ke upar bhi kabu paa lenge. Ham practitioners pehle se hi us heaven ke against jaa kar us impossible ko challenge kar rahe hai.
Kabi ki bato ne sabhi ke andar ek naya josh sab har diya. Practicing karna hi us heaven ke against jaane ka way hai. Agar koi us heaven ko oppose nahi karega toh practice kaise karega.
Kabir se aage kaha.
Kabir- fight karne ke WILL ke bina, himmat ke bina koi bhi impossible ko possible ki taraf nahi ghuma sakta, phir chahe vo extraordinary talent hi kyo na posses karta ho vo bhi bekaar hai. Toh ab mien Kabir aapko ek impossible challenge karta hu. Shital ma’am kya kehte ho aap mujhmein aura ap mein ek BET ho jaaye.
Dekha jaaye toh Kabir ke past life mein aise bohot se moment aaye ke usse piche hatna pada par usne kabhi bhi haar nahi maani. Ab jab us heaven ne usse ek chance diya hai usse reborn kar ke toh vo is life meinn aise speed se upar aayega ke sab bas usse sirf dekhte hi reh jaayenge.
Shital-kaisi BET?
Kabir- well hame bet is baat par lagani hai ke aane wale 2 months mein mai broze rank tak pohoch jagunga aur agar mein aisa nahi kar paaya toh mai khud is institute se resign kar duna. Lekin agar mein bronze rank tak pohoch gaya toh Shital ma’am aap ko resign karna hoga. Kya kehti hai aap is baramein?
Yeh keh kar Kabir Shital ki taraf dekhne laga.
Abhi jo Kabir ne kaha usse toh sabhi usse aur bhi shock se ekhne lage. Sabhi is baat se surprised the ke Kabir aisi bhi bet laga sakta hai par vo sabhi yahi soch rahe the ke Kabir hi jeet jaaye. Lekin unhe pata tha ke yeh kabhi bhi nahi ho sakta.
Kabir ki is baat par Shital haas di.
Shital-hahaha. Tum majak bohot hi achha kar kete ho. Tum yeh kehna chahte ho ke tum in 2 months mein bronze rak tak raise karoge. Means 5 to 100 in do months mein.
Shital ne soch ke yeh lagta hai crazy ho gaya hai.
Kabir-mein ne toh sirf ek question pucha hai. Kya aap mein himmat hai.?
Kabir ne usse ignored kiya aura age pucha.
Shital-agar aisi baat hai toh mai kyo nahi himmat dikhaungi. Mujhe nahi lagta ke tumhare jaisa ladka kuch bhi hasil kar sakta hai. Tumhe lagta hai tum aisi baat keh kar pure class ke samne bade ban jaaoge. Aisi rudeness apne teacher ke liye. Iske liye tum agle 2 months piche khade rahoge.
Kabir ne ek baar Shital ko dekh aur phir socha ke toh kya hua ke vo class ke piche khada rahega. Kabir ke liye yeh punishment kuch bhi nahi thi.
Kabir-ab aap is bet ke liye maan gayi hai par jab aap haar jayengi tab aap is baat par regret mat karna.
Yeh keh kar Kabir jaa kar class ke piche khada ho gaya.
Shital-mein aur is baat par regret karungi ? kya majak hai.
Ab jab Kabir piche jakar khada hua toh kuch nobels apne mein hi baate karne lage.
“Future ka legend rank demon spiritualist ko punishment mili hai”
“Toh vo is institute ke withdrawal se dar raha hai”
“Tum hi apbhi kuch der pehle ahankaari ban rahe the”
“2 months mein apne soul force ko 5 se 100 tak le jana. Koun sochta hai yeh. Samajhta kya hai yeh apne aap ko. Jab lord Uday hamari umar ke the toh vo bhi aisi speed hasil nahi kar paaye the.”
Shital ne socha ke toh kya hua ke Kabir thoda ahankaari ho gaya uske paas abhi bhi time hai is class mein apne final words kehne ke liye. Naturally usse Kabir ke baato se kuch bhi pharak pahi pada tha. 2 month mein 5 to 100 tak apne soul force ko badhana yeh ek majak hi lag raha tha usse. Aisa ho hi nahi sakta. Usne toh Kabir ke is institute ke withdrawal taka age dekh liya tha.
Kyo ki ab Kabir ko punishment mili thi piche khade rehne ki Shital se toh Varun ne apne teeth ko binch liya aur kuch der shant raha phir vo bhi uth gaya apne jagah se aur uske saath jaa kar khada ho gaya. Kabir ko is baat ke liye punishment mili the ke vo commoners ke liye bola tha toh naturally vo uske saath khada hona hi chahega.
Varun ko uske saath khda hota dekh kar Shital ne dekh liya aur kaha.
Shital-toh tumhe bhi aise khada rehne achha lagta hai toh tum bhi uske saath hi khade rahoge.
Kabir aur Varun ne ek dusre ko dekha aur phir ek dusre ko ek smile pass ki.
Is moment mein Kabir ko laga k evo apne past life mein aa gaya hai phir se jab vo aur Varun best friend hua karte the. Waise bhi Varun abhi bhi waisa hi tha nature se.
Varun ke baad Ravi ne bhi kuch socha aur jaa kar Kabir ke saath khada hua.
Kabir ne uski taraf dekh kar smile ki aur kaha
Kabir-ab tum kyo yaha ho ?
Ravi-kuch anhi waha niche baithna kafi boring tha aur mujhe laga ke yaha khada rehna kafi cool hai isliye.
Kabir is baat par has pada aur bola
Kabir-yeh suit karta hai tumhe.
Ravi bhi uske past ki hi taraf tha abhi bhi. Vo chahe jitni bhi bakwas baate kar le lekin apno ke saath vo loyal tha. Punishment ke saath uska kuch bhi lena dena nahi thapar vo Kabir ko ab ek dost manne laga tha aur Ravi ka sochna tha ke friends hamesha kisi bhi halat mein saath rehne chaiye.
Kuch der baad 3 aur commoners aa kar inke saath khade ho gaye. Kabir ek noble family se tha lekin usne un sabhi ke liye itani badi risk le li thi. Issi liye un teeno ne unke saath khade ho kar Kabir ko support kiya.
Ab uske friends ke saath khaade ho kar Kabir ka mood aur bhi cheerful ho gaya aur usse ab yeh punishment kuch bhi nahi lag rahi thi.
Jab Shital ne yeh dekha tab uske face ke expressions kafi badal gaye. Usne ek nazar unpar dali aur ab apne lecture ko aage kiya.
Shital-Sabhi students ke test ke baad is class mein Rati ke paas Sky Blue soul realm hai aur uski soul force 86 hai. Wahi Aarav aur Maithili ke paas green soul realm hai aur unke soul force 78 hai. Dono jaldi hi. 1-star bronze rank tak phoch jayenge. Inko sabhi congratulate karnege.
Shital ki nazar phir se kabir aur uske saath khade ladkon par gayi aur usne socha.
Shital-Yeh hai real talent inke compare mein Kabir aur yeh sab hai bhi kya ?
Par Aaj Kabir kuch alag lag raha tha sabhi ki vo Aaj jab se khada tha uske kuch der baad usne uske saath khade ladkon se baat ki aur phir aankh band kar ke khada ho gaya jaise vo yaha ho kar bhi na ho.
Sabhi students ne jab Shital ke words sunne tab sabhi students surprise ho gaye. Ek Sky Blue realm vo bhi 86 soul force ke saath yeh person puri class mein amazing thi. Itani powerful talent ke saath vo ek Legend rank demon spiritualist ban sakti hai.
Aarav aur Maithili yeh dono ke bhi talent extraordinary the. Un dono ke future achievement limitless the.
Rati ki origins unknown thi, vo toh fresh apperance thi. Vo bhi extraordinary talent aur mysterious background ke saath. Yahi wajah se class ki dazzling person ban gayi. Agar baat Kare Maithili ki toh dikhne ke maamle mein vo bhi Rati se Kam nahi thi lekin uska talent thoda Kam tha Rati se.
Great updateUPDATE 4
Aaj Kabir ne kuch soch rakha tha raat ko karne ke liye aur vo besabri se raat ka wait kar raha tha jab raat hui aur almost puri city shant ho gayi toh vo chupke se hostel se nikal kar bahar aaya aur ek jungle ki taraf chal pada Jo city ke pichle side mein tha jaha sabhi ko jaane ke liye mana kiya hua kyo ki waha mid level beasts ghumte the aur kisi bhi normal citizen ki jaan jaa sakti thi.
Wahi kabir ko pata tha ke usse us jungle mein kaha se jana hai. Jaldi hi vo apne tay kiye hue jagah par aa gaya.
Kabir apne aaspas dekh raha tha lekin usse abhi tak koi bhi beast nahi dikha tha. Kabir ke past life mein koi bhi kabhi is jungle mein nahi aaya tha kisi ne bhi yaha Kya hai yeh nahi dhunda tha. Kabir us jungle mein aage chalte hue jaa raha tha ke tabhi usse apne piche kuch feel hota hai. Usse aisa lag raha tha ke usse koi ghur raha hai. Kabir ek baar palat kar dekhta hai ke koi hai toh nahi par abhi waha koi nahi tha jiska bhi presence usne feel kiya tha vo ab waha nahi tha. Kabir phir se aage chalte hue jaane laga ke usse phir se kuch sunayi diya is baar yeh kisi ke guraane ki aawaz thi.
Kabir is aawaz ko sunkar jhat se palat gaya uske piche kuch wolfs 2-3 tigers aur un sabhi mein ek black Lion tha jinki aankhe red thi us lion se hi Kabir kafi power ke presence ko sense Kar sakta tha lekin yeh vo nahi tha jisse inse pehle usne sense Kiya tha par ab uske paas yeh sab sochne ka waqt nahi tha usse apni jaan bachani thi.
Kabir aage aage bhaag raha tha kyo ki yeh sabhi beasts catastrophic level wale beast the jinse vo abhi akela fight nahi kar sakta tha. Wahi bhagte hue bhi us par vo beasts attacks kar rahe the lekin apne instinct ke wajah se vo abhi attacks ko dodage karte jaa raha tha.
Kabir-yeh kaisi situation mein phas gaya mai aise hi bhagte raha toh mein is jungle ke bohot hi andar aa jaunga jo kisi bhi tarah mere liye achhi baat nahi hai.
Tabhi usse phir se wahi presence feel hota hai aur vo us taraf chala jata hai jaha se usse yeh sense ho raha tha aise hi bhagte hue vo thodi khuli jagah mein aa jata hai aur uske piche piche vo sabhi beasts bhi.
Lekin abhi ek aur problem aa gayi thi Kabir ke saamne kyo ki jaha vo bhagte hue aaya tha vo ek khuli jagah toh thi lekin uske aage kuch bhi nahi tha kyo ki us khuli jagah ke end par ek deep valley thi jismein agar vo gir jata toh shayad hi koi usse dhood pata.
Ab Kabir ko un sabhi beasts se fight karni hi hogi kyo ki agar vo yeh nahi kar saka toh aaj vo zinda nahi wapas jaa sakta tha. Kabir palat kar dekhta hai ke vo beasts usse kuch duri par khade hai aur usse ghur kar dekh rahe hai.
Kabir abhi soch hi raha tha ke bina weapons se in sabhi beasts se kaise fight kare tabhi usse upar aasaman mein ek shadow dikhati hai aur yeh wahi shadow thi jiske presence ko usne sense kiya tha.
Vo shadow abhi aasaman mein hi thi ke usne Kabir ke taraf kuch pheka jisse Kabir ne us cheez ko apne paas aate hi pakad liya. Jab Kabir ne us cheez ko dekh toh vo shock ho gaya kyo ki vo ek JET BALCK KNIFE tha aur aisa knife usne apne pure past life mein bhi nahi dekha tha aur nahi aise kisi knife ke baremein usne suna tha.
Tabhi waha us shadow ko aawaz gujh gayi.
Shadow-Iska use karo aur apne aap ko yaha se bacha lo tumhari kismet isbaar heavens ne puri tarah change kar di hai aur ha iske hi tarah ek sword bhi tumhe ab dhoondni hogi jiske help se tum us Sage Emperor ko khatam kar sakte ho. Jab tum khud sword ke karib phoch jaaoge tab tumhe apne aap hi sab kuch samajh aa jayega ke tumhare andar yeh kya changes aaye hai.
Yeh keh kar vo shadow gayab ho gayi. Wahi Kabir us knife ko dekh raha tha kyo ki raat ke chandani mein vo Jet black knife chamak raha tha.
Tabhi un beasts mein se ek wolf type beast ne Kabir par attack kar diya vo almost uske karib phoch gaya tha ke Kabir ne apni nazar ko uske taraf ghumaya aur uske face par ek smile aa gayi.
Us wolf ne Kabir par paas aa kar ek jump laga di lekin jaise hi vo uspar apne panje se war karne wala tha ke Kabir waha se gayab ho gayaaur vo wolf jab niche aaya tab uske do piece ho kar niche gir gaye the.
Yeh sab kuch bohot hi spees se hua tha. Apne ek saathi ko aise marta dekh un sabhi wolfs ne Kabir par attack kar diya par Kabir unke kiye hue har attack se bach raha tha aur saathmein unhe maar bhi raha tha. Jaldi hi waha par ab sirf un sabhi wolfs ki bodies padi hui thi.
In sabhi ko maarne ke wajah se yaha Kabir bhi unke blood se pura bheeg sa gaya tha. Usne apne knife ko ek jhatka diya aur uspar ko blood laga hua tha usse hata diya.
Ab uske saamne vo tigers aur vo black lion tha jo abhi bhi usse ghure jaa rahe the. Kabir ne apna stand liya aage ke fight ke liye yeh dekh kar us lion ne bhi ek baar zor se roar kiya aur vo bhi un tigers ke saath Kabir par attack karne aa gaya tha.
Un sabhi beasts ko apne taraf aate dekh kar Kabir bhi unke taraf badh gaya jaise hi vo unke paas aaya ek tiger ne uspar apne panje se war kiya lekin Kabir ki speed uske attack se jyada thi jiske wajah se hua yeh ke Kabir uske war se bach gaya lekin saath hi Kabir ne bhi uske panje par attack kiya jiske wajah se uska vo pair hi cut ho kar gir gaya par Kabir yahi nahi ruka usne us tiger ko sambhal ne ka chance tak nahi diya aur ghum kar uske sir ko bhi cur kar diya.
Kabir abhi bhi us knife ki sharpness se shock tha kyo ki aise kisi bhi knife ke baremein usne kahi bhi nahi suna tha par ab yeh sochne ka waqt nahi tha uske paas aise hi usne baki tigers ko bhi maar diya lekin uske attacks us black lions tak nahi pohoch paa rahe the jab bhi Kabir us par attack karta tab vo apne muu se us par ek fire ka attack kar deta jisse bachne ke liye Kabir ko apne attack ko rok dena pad raha tha par ab vo sirf dono hi waha bache the.
Kabir abhi thoda thaka hua feel kar raha tha lekin phir bhi vo fight kar sakta tha usse pata tha ke vo agar abhi ruka toh vo kabhi bhi apne is kismet ko nahi change kar sakta hai.
Kabir ne us knife par apni pakad aur bhi strong ki aur badh gaya us lion ki taraf jisse dekh kar vo black lion ne us par ek baar phir se apne muu se fire ka attack kiya jisse bachte hue Kabir uske paas aa gaya par us black lion ki moment bhi kafi speed thi usne bhi apne aap ko Kabir ke attack se bacha liya aur thoda piche ho kar us par apne panje se attack kiya.
Uske attack ko Kabir se apne knife se rok diya. Dekha jaye toh vo knife bolne ke liye thoda bada tha vo ek sword jitna long toh nahi lekin agar dekha jaaye toh knife bolne ke liye toh vo long tha. Saath hi vo bohot hi lightweight bhi tha jiske wajah se Kabir ko us knife ka use kanre mein koi bhi difficulties nahi ho rahi thi.
Us black lion ke attack ko rokne ke baad Kabir ne piche ki taraf jump laga di. Usse us knife se alag hi feelings aa rahi thi. Kabir ko aisa lag raha tha ke un sabhi beasts ko maarte hue yeh knife aur bhi powerful ho raha hai. Abhi ke liye usne apne dimag se in sabhi thoughts ko hata diya aur apne fight par concentrate karne laga.
Kabir phir se puri speed ke saath us black lion ki taraf badh gaya uske paas pohochte hi Kabir uske aaspas ussi speed se ghumne laga jisse waha uske after images banne lage. Yeh dekh kar vo black lion bhi shock ho gaya kyo ki uska har attack kisi na kisi after image par hi ho raha tha. Yeh hota dekh vo black lion bohot hi gussa ho gaya aur violently behave karne laga jisse Kabir ko ek opening mil gayi aur usne us knife ko ghuma diya jiske chalte us black lion ki left aankh cut ho gayi aur waha se blood nikalne laga.
Par is kiye hue attack se us black lion ko Kabir ke position ka pata chal gaya aur usse apne muu se us par fire attack kiya jisse bachne ke liye Kabir ne side mein jump laga di.
Kabir ab thak gaya tha aur ab is khel ko khatam kaise karna hai is baremein sochne laga. Us black lion ka apne upar aise hue attack ke wajah se gussa bohot hi badh gaya aur usne wahi se Kabir ke upar jump laga di jike liye Kabir ready nahi tha aur us jump se bachne ke chakkar mein vo piche gir gaya apr abhi bhi vo knife uske haath mein hi tha.
Thoda piche girne ke wajah se us lion ki jum us par nahi gir balki usse thoda piche h giri par is baar vi lion Kabir ko koi bhi chance dene wala nahi tha jiske chalte hue vo uske upar aane laga.
Uske paas aane se Kabir ko uske pet ka hissa dikha aur usse yaad aaya ke in jaise beasts ke pet ka hissa kafi weak rehta hai aur jaise hi vo black lion Kabir ke upar aaya Kabir ne apne knife ko uske pet mein ghusa diya jisse us jungle mein us black lion ki cheenkh gunjh gayi. Vo black Lion kabir par for gaya par kabir ne usse apne upar se hara hi diya. Jaise taise Kar ke vo khada hua aur apne aaspas dekhne laga usse Waha bas in beast ki bodies hi dikh rahi thi vo abhi bohot hi thak gaya tha aisi battle usne apne past life mein in six Deity rank beasts ke saath ki thi jiski usse yaad aa gayi.
Us battle ke baremein yaad aate hi uske face par ek smile aa gayi aur vo ab waha se nikalne laga jaise hi vo us jungle ke border par aaya usse phir se vo shadow dikhi jiske chalte usne us knife Jo uske taraf Kar diya.
Kabir-Koun ho tum aur mere reborn hone se lekar mujh mein Kya changes hue hai is baremein Kaise jaante ho.
Vo shadow abhi bhi shant thi lekin kuch der baad usne kaha.
Shadow-Mein koun hi yeh jananaa tumhare liye itna important nahi hai lekin mein tumhe yeh zarooy bata sakta hu ke tumhara andar Kya changes hue hai aur vo bhi kyo. Par uska waqt nahi aaya hai abhi jab tak tum issi knife ki tarah ek sword hai jisse tum hasil nahi Kar lete tum tab tak nahi jaan paoge ke tum ab Kya ban gaye ho. Waise mera tumhe yeh knife dena sahi raha tum us knife ke liye worthy ho par yeh mat samjhna ke us sword ke liye bho ho jaoge. Par agar tumne us sword ko paa liye toh tum zaroor Sage Emperor ko hara paoge.
Yeh keh kar vo shadow Waha se gayab ho jaati hai aur Kabir bhi apne hostel ki taraf chal deta hai. Abhi morning hone mein kafi waqt tha issi liye Kabir apne room mein aate hi so gaya. Abhi early morning ka waqt tha aur Kabir abhi bhi gehri neend mein tha ke uski body se light nikalne lagi. Kabir ne room mein aane me baad us knife ko uske table par raha tha par jaise hi kabir ke body se light nikalne lagi waise hi vo knife us table se gayab ho kar kabir ke upar hawa mein udne laga. Har badhte pal ke saath Kabir ke body se nikalne wali light badhti jaa rahi thi aur vo knife bhi slowly uske paas aane laga. Vo knife kabir ke dil ke paas aa Kar ruk gaya aur phir ek tezz roshni mein badal Kar kabir ke andar sama gaya. Jaise hi vo knife kabir ke andar samaye Kabir jhat se uth gaya uski puri body pasine se bheeg gayi thi usse kuch think feel nahi ho raha tha usne apne window se bahar dekha tab slowly Suraj upar aane laga tha usne apne aaspas dekha tab usse baki sab kuch thik laga. Abhi vo yaha waha dekh hi raha tha ke uski nazar table par gayi jaha vo knife ab waha nahi tha. Kabir apne bed se uth gaya aur us knife ko pure room mein dhundne laga. Sab jagah dhundne ke baad bhi usse vo knife kahi nahi mil raha tha. Usne apne haath ko zor se us table par maara. Yeh karte hi usse ek shock laga kyo ki uske aise karte hi vo knife uske haath mein aa gaya tha. Usne usse utha Kar dekha toh ab usse us knife ke handle ke paas uska naam dikh raha tha.
Kabir ne us knife ko thik se dekha jab un sabhi beasts se fight kar raha tha tab usne is knife par jyada dhyan nahi diya tha usse bas waha se jaldi se jaldi nikalna tha.
Is knife se usse ek alag hi energy feel ho rahi thi. Kabir ne kuch der us knife ko dekha aur phir apne classes ke liye ready ho gaya.
Jaldi hi Kabir class mein aa gaya aaj bhi Shital ka lecture tha toh vo already piche ja Kar khada hua saath mein uske sabhi friends bhi par aaj kabir kuch shant sa khada tha usne aane me baad se kisi bhi baat nahi ki thi vo apni aankhe band kar ke kal raat Jo hua uske baremein soch raha tha.
Ab tak Shital bhi class mein aa gayi thi usne aate he in sabhi ko piche khada dekha jaha Kabir khada tha Bas Aaj uski aankhe bad thi usse lag raha tha ke vo kaise apne is rank ko badhayega is baremein soch raha hai.
Yeh soch kar Shital ke face par ek smile aa gayi usse lag raha tha ke koi bhi itne Kam time mein itani progress nahi Kar sakta hai aur Kabir jaise red sea soul jaise ladke ke liye toh impossible hai. Usne phir apana lecture start kiya. Yaha kabir kuch soch hi raha tha ke usse phir morning wala incident yaad aaya ke vo knife suddenly uske haath mein appear hua tha aur phir uske sirf sochne ke baad hi vo gayab ho gaya tha.
Abhi vo is baremein soch hi raha tha ke uske mind mein ek aawaz gunkh gayi.
Aawaz-Kabir is baremein ab itna mat socho aur ha ab tum us knife ke saath jud gaye ho yeh toh tumhe bhi pata chal gaya.
Kabir-Koun ho tum aur tumne sirf mujhe hi kyo choose Kiya mujhse pehle bhi shayad kitne demon spiritualist the jo Sage Emperor ki khatam karna chahte the toh unhe kyo nahi choose kiya tumne.
Aawaz-Kyo ki is yeh mera faisla nahi tha tumhe usne choose Kiya hai jisne yeh pura world banaya hai. Abhi tumhare liye itna hi janna zaroori hai baki tumhe pata hai ke aage kya karna hai.
Thodi der baad vo aawaz aani band ho gayi aur Kabir ne apne aankho ko khol diya.
Meri taraf se sabhi readers bio 400 pages complete karne ke liye Congratulations.
Peace ✌?.