Lovekillsyou
Active Member
- 653
- 2,717
- 124
Last edited:
fantastic update bhai maza aa gya ab dekhte hai ki aage kya hota hai.... Sabhi ko kabir ki takat ka bhi pta chal gyaUPDATE 74
Kabir apne jagah se uth jata hai aur bahar jaane lagta hai. Tabhi Varun kehta hai.
Varun-Kabir Han 3-Star Gold Rank demon spiritualist hai. Mujhe pata hai tum kaafi strong ho par phir bhi agar tumhe zara bhi help chahiye ho toh aawaz de dena.
Varun ke baato se Kabir ke baki friends bhi agree kar rahe the. Unhe bas Kabir ki taraf se ek aawaz dena hi kaafi tha vo uske liye kisi bhi fight mein kudne ke liye ready the.
Kabir ne unke baato ko sunkar smile karta hai aur class ke bahar aa jata hai. Wahi Ravi, Varun, Maithili aur Kabir ke baki friends bhi bahar aa jaate hai. Aisi fight kabhi kabhi dekhne ko hi milti thi iske wajah se pura genius class bhi aa gaya tha bahar.
Holy Osian Institute Martial Field.
Dekhte hi dekhte yeh fight dekhne ke liye students har taraf se aane lag gaye the. Sirf Kabir aur Han ka naam hi kaafi tha sabhi ko attract karne ke liye.
Sabhi ne milkar ek circle bana diya tha aur usmein khade the Kabir aur Han. Han ke body se nikalne wala aura hi bata raha tha k evo normal 3-Star Gold Rank Demon Spiritualist se kaafi strong hai. Kisi kisi ko toh us aura ke wajah se saas tak lene mein taklif ho rahi thi.
Kabir-Well Han mein janta hu tumne mujhe yaha kyo bulaya hai par mein tumheye pehle hi keh du ke ham dono ki strength mein koi bhi equality nahi hai. Isliye behtar yahi hoga ke tum chale jaao.
Han-Nahi Kabir, tum mere dil mein kya chal raha hai yeh samajh nahi paa rahe ho. Mein last generation ka no.1 genius tha aur tum is generation ke no.1 genius ho. Mein ne father aur tumhari baat us raat suni thi. Tum mujhe City Lord ki position ke liye support karte ho yeh jaan kar mujhe achha laga lekin agar mein next City Lord bana aur yaha ke logo ne mujhe accept nahi kiya toh kya hoga. Mein aaj yaha par jitney bhi log hai unke samne tumhe challenge karta hu. Isliye nahi ke mein tumse jealous hu par is liye ke khud dekhna chahta hu ke mein khud kaha stand karta hu. Mujh mein us position ko sambhalne ki capabilities hai ya nahi. Isliye aaj tumhe mere saath fight karni hi hogi.
Apne past life mein Kabir kabhi bhi competitive person nahi raha tha. Par is life mein Kabir ne kuch sickh liya tha. Agar is world mein aap weak hai toh aap par koi bhi rehem naih karega. Agar aap ko kuch pana ha toh uske liye fight karni ho hogi. Agar aap fight nahi bhi karte hai toh aap ke paas jo hai jo aap ka hai usse bhi aap se chin liya jaayega.
Past life mein Kabir ka Han ke saath koi contact nahi hua tha is liye usse Han ke nature ke baremein kuch pata nahi tha. After all jab Osian City par uske past life mein attack hua tha tab waha Han tha hi nahi aur naa hi uske baremein kisi ko bhi kuch pata tha.
Par ab is timeline mein Han mein kuch changes zaroor aaye honge. Par phir bhi Kabir Han se fight nahi karna chahta tha. Uski strength ko dekh kar sabhi yahi kehte ke Kabir apne powers se apne se weak ko bully karta hai. Par Han ne bhi uske liye koi bhi raasta nahi choda tha.
Kabir-Agar tum aise sochte ho toh thik hai ab mein bhi dekhna chahta hu ke last generation ka no.1 genius kitna powerful hai.
Kabir ki baat ko sunakr Han ke face par ek smile aati hai aur vo apne soul force ko release kar deta hai. Uski body har pal badhti jaa rahi thi. Uske body ke upar ek goldern armour ka layer banata jaa raha tha. Wahi uske back se ek golden tail bhi nikal kar aa gayi thi. Uske dono haath transform ho kar claws ban gaye the.
A Golden Horned Land Dragon.
Kabir Han ke demon spirit ko dekh kar halka sa shock ho gaya tha. Usse yeh dekh kar hi pata chal gaya ke ab se pehle City Lord Han ki taraf kitna attention dete the. Unhone apne liye Black Scaled Earth Dragon aur Han ke liye Golden Horned Land Dragon diya hua tha.
Golden Horned Land Dragon ek fighting-type demon spirit tha. Sabhi demon spirits meni Golden Horned Land Dragon ki strength authentic dragon ke kaafi close thi. Sirf yeh hi nahi balki iski strength toh Black Scaled Earth Dragon se bhi kaafi zyada thi. Par yeh powers tabhi release ho sakti thi agar yeh spirit sahi person ke saath merge hui ho toh. City Lord toh Black Scaled Earth Dragon ki 120% tak ki strength ko release kar sakte the. Agar Han apne demon spirit ki 30% taki strength ko bhi release kar sake toh bhi uske liye is waqt ke liye kaafi hai.
Par Kabir ke liye phir bhi vo ek play battle hi hogi agar vo apne pure strength ke saath bhi uske saath fight kare toh.
Kabir abhi bhi wahi khada ho kar smile kar raha tha aur Han ko dekh raha tha. Waha khada har koi bas yahi janna chahta tha ke Kabir kis demon spirit ke saath merge hua hai.
Par Kabir kisi ke saath hua hoga tab nav o dikhayega. Kabir ne ek gehri saas li aur suddenly apne powers ko release kar diya. Kabir ne kaafi had tak apne powers ko supress kar liya tha par phir bhi uske yeh powers waha khade har kisi ke liye kaafi zyada the. Koi toh thik se khada tak nahi reh paa raha tha. Sabhi ke face par pasina aa gaya tha. Koi itne strong powers ko bina transform hue kaise release kar sakta hai. Unke liye yeh kisi shock se kam nahi tha.
Han bhi kaafi shock tha. Usse bhi samajh nahi aa raha tha ke Kabir kaise itne strong powers ko release kar sakta hai. Usse toh bataya gaya tha ke vo sirf 5-Star Silver Rank Expert hai. Lekin ab baat change ho gayi thi. Han abhi samne dekh hi raha tha ke Kabir uske samne se suddenly gahayb ho gaya aur Han ko kuch samjahne se pehle hi uske thik samne aa kar khada ho gaya. Kabir ka yeh move koi bhi dekh yaha samajh tak nahi paya tha. Har koi bas yahi dekh kar shock tha ke Kabir apne jagah se move kab hua. Yaha Kabir Han ke thik samne aa kar usse halka sa push karta hai. Han jo abhi bhi ek shock mein tha Kabir ko apne samne aise aaya hua dekh kar vo Kabir ke is halke push ke wajahs se piche ki taraf gir jata hai.
Kabir-Han mein ne pehle hi kaha tha tumhare aur mere powers ke bich kisi bhi tarah ki equality nahi hai. Abhi mein ne sirf aur sirf apne 2% powers ko hi use kiya hua hai. Agar tumhari tab yeh halat hai toh tum samajhdar ho ke mein ne apne pure strength ke saath tum par attack kiya toh kya hoga.
Wahi Kabir yeh sab Han ko keh raha tha toh waha khade jitney bhi students the vo aise shock hue jaise unhone koi otherworldly person dekh liya ho. Agar unke liye Kabir jo keh raha hai vo sahi hai toh pure Osian City mein uske equal koi nahi hoga.
Yaha Kabir palat kar jane lag jata hai. Lekin Han phir se apne sense mein aa jata hai aur uth kar Kabir par attack kar deta hai. Kabir bhi palat kar dekhta hai lekin apni jagah se hilta nahi hai.
Han ke fist bana kar Kabir par attack kar deta hai. Jaise hi Han ki fist ground se touch hoti hai waise hi waha par ek bada sa gaddha ban jata hai. Har taraf dhool ud rahi thi. Kisi ko bhi kuch samajh nahi aaya ke hua kya. Sabhi ko yahi lag raha tha ke Han ka attack Kabir ko lag gaya hai. Par jaise hi dhool hati toh Han shock ho gaya kyo ki Kabir waha nahi tha. Uska punch niche ground ko laga hua tha. Tabhi ek taraf se Kabir chal kar Han ke samne aata hai. Yeh dekh kar Han sochta hai.
Han-Father ne sahi kaha tha Kabir kaafi formidable opponent hai. Uske movement kaafi fast hai. Agar Kabir ki jagah koi aur Silver Rank expert hota toh vo mere is attack ko dodge bhi nahi kar pata.
Kabir ke face par koi bhi expressions nahi tha. Han phir se speed se move hote hue Kabir par apne tail se attack kar deta hai. Kabir kuch step piche hota hai aur uske face ke samne se Han ki tail nikal jaati hai.
Han-Tumhare movements kaafi fast hai.
Han ne apne ab tak ke life mein kisi ke bhi itne fast movements nahi dekhe hue the. Jab bhi vo Kabir par attack karta tha vo uske afterimage par hi hota tha.
Boom! Boom! Boom!
Han ne Kabir par constantly kaafi fierce attacks kiye par har baar vo attack ground ko hi lagta tha. Kabir uske har attack ko dodge kar raha tha. Uske face ko hi dekh kar pata chal raha tha ke vo is fight ko seriously nahi le raha hai.
Ab Han apne tail ke saath Kabir par combo attacks ka use karne laga tha. Uske movements bhi fast ho gaye the. Sabhi ko yahi lag raha tha ke Han ab kisi bhi waqt jit jaayega. Kabir kuch der aise hi Han ke attacks dodge karta hai par vo ab bor ho gaya tha. Isliye Kabir ek normal fist ki shockwave se Han ko piche puch kar deta hai. Han bhi us shockwave se kaafi piche chala gaya tha. Han ne yeh achhe se feel kar liya tha ke Kabir ne abhi jo punch use kiya vo sirf ek normal punch tha.
Yeh dekh kar Han kaafi excited hota hai.
Han-Kabir lagta hai mein ne tumhe kaafi underestimate kiya hai. Par ab tum mere against fight kar rahe ho Kabir aur mere against fight ka matlab hai opponent ka lose hona.
Yeh kehne ke baad Han ke body red luster se chamakne lagti hai. Suddenly Han apne muu se ek thick fire pillar se Kabir par attack kar deta hai.
Raging Flames of Dragon.
Kabir Han ke fire pillar ke heat ko sense kar paa raha tha aur usse apne aate dekh kar Kabir apne ghutno ko halka se bend kar deta hai aur apne right haat se ek puch bana kar usse piche leta hai. Han ka fire pillar ab Kabir se kuch hi dur tha ke tabhi Kabir bhi apne fist se us pillar par attack kar deta hai.
King Kong Limitless.
Yeh kehte hi ek powerful energy fist Kabir ke haat se nikal kar Us fire pillar ko jaa lagti hai.
Boom!
Fist aur Fire Pillar ke aapas mein takarane se waha ek blast ho jata hai. Us blast se nikali shock wave se 10 meters tak ka area mein ek bada gaddha ban gaya tha. Jagah jagah cracks aa gaye the. Raging Flames of Dragon har jagah fail gayi thi.
Kitni terrifying power hai.
Han bhi us blast ke shockwave se piche ud gaya tha aur kaafi piche jaa kar gir gaya. Jab vo niche ground par gira tha tab uski saase kaafi messed up ho gayi thi. Vo kaafi gehri gehri aur badi saase le raha tha. Usne apne strong attack ka use kiya tha uske wajah se usse apne aap ko thik se sambhalne mein waqt lag raha tha. Uske body par jo golden scales bane hue the unpar bhi scratches aa gaye the.
Wahi Kabir jaha khada tha wahi tha. Us blast ki shockwave ne usse halka sab hi push nahi kiya hua tha. Par us fire pillar ki fire ne uske clothes ko halka sa burn kar diya tha.
King Kong Limitless ki might Kabir ko pata thi. Yeh technique usse Divine Temporal Book mein mili thi. Apne past life mein usne isse kabhi practice nahi kiya hua tha aur ab jab practice kar ke usse master kar liya tha toh usse iski might ka pata chal gaya tha. Agar Kabir apne punch mein halka sa bhi aur force lagata toh uski energy fist Han ke fire pillar ko destroy karte hue Han tak pohoch jaati aur uske lagne ke baad Han bhi kaafi injured ho jata.
Un dono attacks ke blast ke wajah se jo shockwave nikali uska kisi kisi par kaafi effect hua tha. Jab ki unke bade attack ko sense kar vo sabhi students kaafi piche chale aaye hue the. Us shockwave se kaafi students apne jagah se piche ki taraf ud gaye the. Sirf jinka cultivation kaafi strong tha wahi us shockwave ko jhel paaye the.
Jab un sabhi ne phir se battlefield ki taraf dekha toh vo kaafi surprise ho gaye the. Vo bas yahi soch rahe the ke yeh kis tarah ki powers hai. Unhe yahi lag raha tha ke sirf Black-Gold Rank experts hi aise powers ko release kar sakte hai.
Han apni saaso ko thik kar raha tha par uske aankho mein clear shock nazar aa raha tha. Even vo younger generation mein strongest genius tha. 20 years ki age mein hi 3-Star Gold Rank par pohoch gaya tha par uske samne jo khada tha vo usse bhi powerful tha aur vo bhi sirf 18 years mein. Yeh uske liye bhi kaafi bada shock tha.
Han ko sabhi admire karte the. Uski respect karte the. Par aaj usse ek junior se hara diya tha. Par Han ko is baat ka bilkul bhi bura nahi laga tha. Kyo ki Kabir ne usse pehle hi keh diya tha ke uske aur Kabir ke strength ke bich koi bhi equality nahi hai.
Kabir chalte hue Han ke samne aata hai aur usse uthne ke liye haat aage karta hai. Han bhi uske haat ko pakad ka ruth jata hai. Han usse dekhte hue kehta hai.
Han-Kabir aaj tak mujhe younger generation mein kisi ne bhi nahi haraya tha. Tum vo pehle person bane ho jisne mujhe haraya hai. Father ne sach hi kaha tha ke tum ek formidable opponent ho.
Kabir Han ki baat apne smile karte hue apne sir ko hilata hai. Waha khada har koi yeh dekh raha tha. Koi bhi yeh samajh nahi paa raha tha ke Kabir ne yeh sab kiya kaise. Kyo ki Han 3-Star Gold Rank expert hai yeh sabhi ko malum tha par Kabir, Kabir ki strength kiti hai. Uske strength ki limit kya hai yeh koi nahi janta tha.