Lovekillsyou
Active Member
- 653
- 2,717
- 124
Last edited:
THANKS MonsterboyBhai kahani bahut axi jaa rahi hai
Ab is platform me ye kahani mujhe sabse hatke lagi
Badhiya likhte ho as an observer mujhe ek kami lagi
Wo h bahut jada xoti update
Reader k taur pe mai yahi kahunga
Jo bhi likho Bhai thoda jada bada update do
Mast update h bhaiUPDATE 14
Us white colour ki sirf Kabir ke andar hi nahi balki vo uske bahar bhi dikh rahi thi aisa kuch bhi bakiyon ne kabhi bhi dekha nahi tha ke tabhi kabir ke body mein se ek energy wave nikal kar har jagah failti chali gayi wahi city lord aur vi VIP jo institute mein aaye hue the vo kisi baat par charcha kar rahe the ke unhe us wave ne halka sa hit kar diya par yeh halka hit bhi un dono ko andar tak hila diya tha vo dono hi is energy ko pehle bhi feel kar chuke the kuch din pehle.
Aaj jab Kabir dhyan mein baitha tab uske andar us white energy ne usko pura apne andar le liye. Wahi bahar sabhi us energy wave ke nikalte hi behosh ho gaye the unhe kya ho raha tha is baremein zara bhi pata nahi tha. Kyo ki wave har jagah failti hui gayi thi toh uski power kafi Kam Ho gai thi par jisne bhi usse feel kiya tha uski halat kafi kharab ho gayi thi unhone kabhi bhi iatni pure aur intensified energy feel nahi ki thi yahi wajah thi un sabki halat kharab hone ki.
Yaha kabir ko malum hi nahi tha ke kitna samay chala gaya hai. Vo hke halke hosh mein aa gaya aur jab usne apne aaspar dekha tab uske sabhi friends behosh the. Us e jhat se sabhi ko uthya aur sabhi se puchne laga.
Kabir-kya hua tha yaha tum sabhi behosh kaise ho gaye?
Sabhi hosh mein aate hi usse dur ho gaye the. Unke aankho mein dar sa dikh raha tha.
Kabir-kya hua tha yaha aur tum sabhi behosh kaise ho gaye the.?
Sabhi usse shock ho kar dekh rahe the lekin phir Varun aage aa aata hai aur Kabir se puchta hai.
Varun-Yeh sab kya tha Kabir..? Tumhare paas yeh white colour ka soul sea kaise hai aur abhi jo thodi der pehle ek energy wave tumhare andar se nikali thi jisse ham sabhi behosh ho gaye the vo kya tha.?
Kabir bhi ab thoda serious ho jata hai aur sabhi ko dekhte hue kehta hai.
Kabir-Yeh toh mujhe bhi nahi pata hai ke yeh kya hai aur yek kaisi powers hai par jo bhi hai bohot hi strong hai I na ke abhi koi powerful spiritist bhi mere samne aa jaye toh usse mein hara sakta hu bina apne body ka ek bhi part hilaye par is power par abhi Mera control nahi hai jiske chalte mein ne apne parchment paper par ek spell bol diya tha jiske chalte meri yeh baat chup gayi hai aur mein chahunga ke tum sabhi bhi is baat ko chupa do mein abhi kisi ko bhi nahi batana chahta hu.
Kabir ki yeh baat sunkar toh vo sab aur bhi shock ho gaye the ke agar vo apne powers par control paa leta hai toh vo kisi bhi powerful opponent ko hara sakta hai. Lekin jaisa usne kaha ke vo kisi ko bhi abhi is baremein batana nahi chahta vo uske liye ready ho gaye. Kabir agar unhe yeh kehta bhi nahi to bhi vo kisi ko bhi yeh baat nahi batane wale the. Unhe yeh pata tha ke aisi baat agar bahar kisi ko pata chal gayi toh Kabir ko kitne problem ho sakti hai.
Varun-Kabir ham koi bhi aaj jo hua hai yaha vo kisi ko bhi nahi batane wale hai. Yeh hamara wada hai tumhe.
Kabir Varun ki is baat par smile kar deta hai aur phir se niche baith kar dhyan lagane baith jata hai usse ab apne liye suitable technique practice karne ke liye dekhni thi. Waise bhi usne Divine Demon Spirit Book ke space mein centuries nikal di thi toh usse bohot se techniques ke baremein pata tha jo aaj ke time kahi kho gayi thi. Vo apne dhayan mein baith kar apne liye koun si technique suitable hai yeh dekhne lag jata hai.
Wahi city lord mansion mein city lord aur vo VIP ab apne aap ko thik kar chuke the.
City Lord-Yeh hai koun jis ham mein se koi bhi pata nahi kar paa raha hai. Itani pure energy toh kisi ke paas bhi nahi hai.
Wahi vo VIP kuch soch mein doobe hue the.
Yaha ab Kabir apne dhayan mein baitha tha.
Kabir apne man mein.
Kabir-agar mujhe apne soul sea ke baremein pata nahi hai aur aur mein koi aur bhi tactics ko use nahi karna chahta jo meri speed ko kam kar sake toh aise sirf 3 hi tactics hai jinhe mein use kar sakta hu.
1-HEAVENLY GOD TACTICS.
YEH SABHI TACTICS MEIN MOST COMPREHENSIVE AUR MOST DIFFICULT HAI PRACTICE KARNE MEIN LEKIN AGAR USSE THIK SE PRACTICE KIYA JAAYE TOH YEH SABSE POWERFUL BHI HAI.
2-BATTLE OF GODS TACTICS.
BATTLE OF GODS TACTICS MOST OVERBEARING HAI USSE BHI THIK SE MEIN NAHI KAR SAJTA HU.
3-VOID TACTICS.
VOIF TACTICS MOST SECRETIVE HAI.
Ab Kabir thik se choose nahi kar paa raha tha ke in 3 mein se kounse tactics ko chune. Aise hi thodi der sochne ke baad usne deside kar liya ke vo HEAVENLY GOD TACTICS jo use karega. Usse ab pata tha ke agar ab vo baki ke 2 mein se koi ek choose karta toh uska hi lose hota. Wahi yeh tactics use karne ke aur bhi bohot se benefits hai.
Kabir-abhi ke situation ko dekhte mujhe heavenly god tactics hi best hai. Agar achivements ko compare kare toh vo sabhi best hai. Heavenly God tactics kafi flexible hai non-attribute soul sea ki tarah. Agar mein successfully master kar lu toh mere abhi ke powers ke saath mein har taraf ke attributes ko practice kar sakta hu vo bhi immeasurable power ke saath. Mein apna khud ka PATH bana sakta hu.
Norman technique practice karne se soul sea sirf 1 hi spirit ko contain kar sakti hai jise baad mein powerful spirit se change kiya jaa sakta hai.
Heavenly God tactics practice karne se mein 7 different types ke spirits ko contain kar sakta hu. Har ek combination se powers bhi badhti jayegi.
Kabir-Toh kya hua agar meri speed bakiyon se kam rahi toh.
Yeh soch kar Kabir Heavenly God Tactics ke formula ko apne man mein bolta hai jisse uske aas paas ek energy cloak ban jata hai jo pura white tha.
Kabir ko dekh kar Varun Ravi se kehta hai.
Varun-Lagta hai kabir ne apni practice start kar di hai hame bhi ab apni apni practice start kar deni chahiye.
Wahi ka ir apne man mein.
Kabir-mujhe apne practice speed par abhi dhyan nahi dena chahiye abhi mujhe apni foundation strong kari hogi.
Sabhi ab aisa karne lage the. Har din sabhi class ke waqt library mein reh kar dhyan mein rehte the apne practice ko perfect karne ke liye. Aaj waisa hi ek din tha aaj bhi sabhi dhyan mein baithe the. Thodi der baad Kabir apni aankhe kholta hai aur ek crystal nikal kar usmein phir se apni energy ko inject karne lagta hai tabhi usse is crystal mein kuch dots dikhne lagte hai.
Yeh dekh kar Kabir khush ho jata hai.
Kabir-30 points hihihi pata nahi teacher Shital isse dekh kar kya kahegi.
Wahi same time par class bhi chal raha tha
Maithili ne yeh notice kiya tha ke pichle 3 din se kabir class nahi aaya hai.
Maithili-Aaj itne din ke liye yeh sabhi absent hai…aaj toh mere treatment ka din hai kahi kabir bhul toh nahi gaya.?
Abhi vo yahi sab soch rahi thi ke uske paas mein bathi Rati ki nazar us par girti hai.
Rati apne man mein.
Rati-Pata nahi aaj kal Maithili kis soch mein rehti hai uska class mein dhyan bhi nahi rehta. Kahi vo secretly Kabir ko pyaar toh nahi karti.
Wahi Shital bhi palat kar sabhi ko dekhti hai. Pichle kuch dino se usse Kabir aur uske friends nahi dikhe the.
Shital-Hmph! Lagta hai kahi jaa kar practice kar rahe honge. Kya Kabir ko lagta hai ke uske hard practice karne se 2 months mein uski powers 5 se 100 ho jayengi. Too bad tum ek useless trash ho kabir. Vo bhi red soul sea ke saath. Tumhe ab school quite karne ke baremein sochne chahiye. Yahi ek price hai tumhare liye mujhe ulta bolne ki.
Phir Shital sabhi ko aage batane lagti hai.
Shital-Sabhi 7 colour soul sea mein red soul sea sabse lowest grade ka hai Osia City mein. Kuch hi aise hai jinhone siver rank hasil kiya hai red soul sea ke saath. Agar koi miracle ho jaye toh bhi shayad hi red soul sea ki powers badhe. Red soul sea ki powers 600 taki hi limited hai. Uske satan aage aage difficulty badhte jaati hai aage
Yeh baat sunkar sabhi commoner students the vo shock ho gaye unhe kya bole kuch sujh nahi raha tha.
'kya sirf 600? Means maximum level mein sirf 5-start bronze rank tak ho jaa sakta hu.
Yeh baat apne aap se ek commoner student ne kahi thi. Wahi Shital aage kehti hai.'
Shital- sabhi humans ko samjhna chahiye ke vo naturally destined hote hai. Sabhi humans ko unke fate par se overcome hona hoga example….
Koi janam se hi kisi bade ghar mein aata hai aur koi commoner ke.
Shital ke is baat se sabhi commoner students ke dil ko hurts sa kiya.
Wahi Rati uske baate sunkar sochne lagi.
Rati-Osian City har waqt demon beast ke attacks ke danger mein rehti hai aur teacher Shital yaha sabhi nobility aur common students ke bich ek deewar si bana rahi hai. Lagta hai inhone abhi ke situation ko thik se nahi samjha hai.
Sabi commoner students shock mein the.
‘Agar abhi yaha Kabir hota toh isse sahi answer karta aur ham sabhi ke liye khada bhi hota.’
Yeh baat ek commoner student ne apne man mein kahi thi.
After class sabhi students class se nikal kar bahar aa gaye. Koi koi apne hostel room par gaye toh koi bahar city mein aa gaye. Har students mein Kabir aur Shital mein hue bet ki baat chal rahi thi.
Aise hi do students ek small hill par baith kar baate kar rahe the.
Student 1- Kabir keh raha tha ke vo 2 months mein apne soul power ko 5 se 100 kar dega.
Student 2-Par tumhe nahi lagta ke yeh kuch jyada hi arrogant sa ho gaya hai bolne ke liye.
Student 1- sahi kaha tumne shyad Green-Bronze soul sea wale bhi aisa kuch achieve na kar paaye. Par mein phir bhi yahi chahunga ke Kabir hi bet jeete. Mujhe vo teacher bilkul bhi pasand nahi hai.
Student 2- hai mein bhi yahi chahunga. Waise toh chances kafi slim hai lekin dekhte hai kya hota hai.
Sabhi students mein aisi hi baate ho rahi thi. Koi Kabir ke liye bolta toh koi uske khilaf. Yaha evening mein sabhi aone practice se utha gaye aur apne ghar/hostel jaane lag gaye the.
Ravi-Mein toh aaj bohot khush hu meri progress kafi achhi hui hai aaj.
Varun-Ha vo toh dikh hi raha hai waise bhi ab khuch khane chalte hai bohot bhook bhi lagi hai. Waise kabir meri soul power 89 tak aa gayi hai. Jaldi hi mein Green-Bronze level 1 mein breakthrough kar lunga.
Kabir- yeh toh achhi baat hai. Mujhe pata tha ke tumhari progress achhi hai. Tum 2 months ke andar hi Green-Bronze level 1 tak pohoch hi jaaoge. Par shayad ab hame kuch elixirs ki zaroorat hogi. Hamari practice ko Speed up karne ke liye.
Yeh sunkar sabse jyada khush toh Ravi ho gaya tha.
Ravi-Right! Har without elixirs ke hi kafi improve ho gaye hai. Agar ham elixirs bhi saath mein le lenge toh hamari practice speed aur bhi badh jaayegi.
‘Par ham elixirs kaha le sakte hai ? Hame at least 10,000 demon spirit coins lagenge elixirs buy karne ke liye. Itani badi price ham kaha se laa sakte hai.’
Yeh baat ek commoner student ne kahi thi jo unke saath tha. Uske is baat par Varun kehta hai.
Varun-ha although ham Goats ko hunt karke 16,000 plus demon spirit currency earn kar sakte hai. Par soul crystals buy karne se hamare paas sirf 10,000 demon spirit coins hi reh gaye hai.
Abhi yaha yeh sabhi baate kar rahe the ke Kabir ki nazar library mein ek jagah jaati hai. Vo un sabhi se kehta hai.
Kabir-Alright tum sabhi 3rd floor par jaao aur training karo mujeh aaj kuch kaam hai aur ha mein kuch sochta hu ham kaise aur demon spirit currency earn kar sakte hai.
Ravi-okay par kya tum akele yeh sab manage kar paaoge ? Kya tumhe meri help chahiye ?
Kabir-Nahi mujhe abhi toh nahi chahiye kuch bhi.
Kabir apne man mein.
Kabir-Aaj raat ko mujhe Maithili ko treatment deni hai. Agar uska cold disease successfully cure kar diya mein ne toh mujhe bohot hi benefit ho sakta hai.
Ravi-Thik hai phir baad mein tum yeh mat kehna ke mein bohot piche hu tumse practice mein.
Kabir-spna dekho bas iska.
Varun-tum apne baremein socho. Tumhara practice attitude tumhe hi kahi piche na rakh de.
Ravi-tum itani baate kyo karte ho.
Baki sab in dono ki baato par has rahe the. Wahi Kabir dekh bhi raha tha.
Kabir jise dekh raha tha vo koi or nahi balki Rati thi jo kuch books ko dekh rahi thi. Usse dekh kar usse apne past life ke sabhi events yaad aate hai ke kaise vo sabhi bhaage the Osian City se. Sabhi ne mil kar har musibat ka samnaa kiya tha. Issi mein dono paas bhi aa gaye the. Par ek demon beast ke attack se usse bachane ke liye Rati bich mein aa gayi thi.
Kabir apne man mein.
Kabir-RATI YAHA PAR….
Kabir-calm down Kabir mujhe uske karib jaana hai usse daran nahi hai.
Kabir ne phir apne friends ko dekha aur kaha.
Kabir- tum Sabhi aage badhi mein ek kaam kar ke aata hu.
Sabi uske is baat ko sunkar aage badh gaye par Ravi nahi usne uske piche jakar dekha ke vo kya kar raha hai.
Ravi apne man mein.
Ravi- kaam hai bol raha tha aur dusri taraf jaa raha hai balki door toh uske opposite side hai.
Wahi ek commoner student jo unke saat tha usne Ravi ko dekha aur uske paas aa gaya usne pucha.
‘Yeh kya kar rahe ho ?’
Uske is baat par baki sab bhi waha aa gaye aur chup kar kabir ko dekhne lage. Tabhi unhe uske aage Rati dikhayi deti hai jo koi book ko apne haath mein le kar dekh rahi thi.
Kabir uske paas chalte hue pohoch gaya tha.
Ravi-mein bet lagata hu vo Kabir ki 15 minutes mein hi bhaga degi.
Varun-Mein toh bas yahi chahunga ke ke usse koi bada shock na lage.
Wahi kabir jab uske paas aa raha tha tab uski nazar Rati ke haath mein jo book thi us par gayi.
Kabir apne man mein.
Kabir-yeh toh lightning fire holy scriptures padh rahi hai.
Wahi Rati apne man mein.
Rati-Yeh sab…. Volume 2 ke baad ke sabhi contains ancient langy mein likhe gaye hai. Jo mujhe bilkul bhi samajh nahi aa rahe hai. Vo Kabir toh sab kuch yaad rakh sakta hai. Mein ham sab mein top mein se ek hu. Par phir bhi mujh mein aur Kabir mein jo gap hai vo bohot hi bada hai.
Kabir jaa kar uske paas khada ho gaya aur uske face par aane wale expression ko dekhne laga.
Kabir-uske lightning fire holy scriptures ko pakadne se aur uske face par abhi expression hai usse yahi pata chala raha hai ke vo ham dono ke gap ke baremein soch rahi hai. Mein isse achhe se janta hu.
Tabhi Kabir usse kehta hai.
Kabir-aaj classmate Rati yaha kaise aa gayi ? Kya tum bhi lightning fire holy scriptures mein intrested ho ?
Kabir ko apne itne paas dekh kar aur uske suddenly puche gaye sawal se Rati thoda piche ho gayi. Usne Kabir se kaha.
Rati- yeh book bohot hi profound hai mere liye. Mein ne iske pages ko palat kar dekha aur muje yeh pata chala ke mein isse nahi samjh sakti hu.
Wahi unki ho rahi baato ko uske friends sun bhi rahe the.
Ravi-dekh kar toh aisa lag raha hai ke Kabir ne apna chance kho diya hai usne sidhe sidhe admit kar liya ke vo lightning fire holy scriptures ko nahi read kar sakti wahi vo Kabir ke saath ek friendly gap bhi bana kar rakh rahi hai.
Kabir- lightning fire holy scriptures ancient empire language mein likhi gayi hai. Jais eke yeh ek ancient language hai isse samjhna kafi hard hai. Lekin agar tum uske kuch sayam baad ki language ke book ko read kar sako toh tumhe yeh bhi samajh mein aa jayegi.