• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Hamara Gaon

Story kaisi lagti hai aapko apne vote se btaye?


  • Total voters
    38
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Kapala69

New Member
51
137
33
इतना अच्छा तो लिख रहे थे अकस्मात ये विराम क्यों लगा दिया बंधुवर
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
#UPDATE 16

Wo phir mujhe maarne aaya, iss baar maine uska hath pakad liya, or pakad ke mod diya, uski aaahhhh nikal gai,tabhi pichhe se......

AB AAGE..........................................

Tabhi pichhe se unka leader aake mere side me punch maara, mujhe bahut jyada dard hua or ladka2 mujhse chhut gaya, or uske sath jaa ke khada ho gaya, main apne pasliyon par hath rakh ke palat ke dekhne laga.

Ab wo dono ne apna position le liya tha mujhse ladne ka, unke hav bhav se aisa laga jaise wo dono boxing karne jaa rahe hon, maine bhi apna snace liya or ungliyo ke isare se ladne ke liye bulaya.

Wo dono mere samne aaye or aage pichhe se gher liya, maine aage wale ko ek laat maari usne block kar diya, ladka2 pichhe tha usko bhi ghum ke ke ek laat mari wo pichhe gira, or mere or us ladke me mukkebazi hone lagi, wo kafi had tak achha tha, hum lad hi rahe the ki waha par khel kud ke master ji aa gaye, or unhone hame khinch ke alag kar diya.

Master ji:- Ruk jao tum dono yaha padhne aate ho yaa ladai karne aate ho.

Ladka:- Nahi sir main ise nhi chhodunga, isne mere dosto ko mara hai.

Master ji:- Karan shant raho ye tumhara ring nhi hai, band karo ladai.

(Karan singh= boxing khiladi school champion hai, isi wajah se thoda ghamand hai or sport teacher ka support bhi hai.)
Karan:- Thik hai sir nhi ladunga chhodiye aap mujhe.

Master ji:- Kya dekh rahe ho yaha par chalo jao sab yaha se tamasha laga ke rakha hai, oye ladke tum bhi jao yaha se.

Main bhi apne dosto ko leke jane laga, tabhi karan pichhe se daud ke mujhe marne aaya, main satark tha, jaise hi mere paas aaya maine ghum ke ek zordar punch uske jabde par maara or wo wahi behosh ho gaya, wo knokout ho gaya tha ek hi punch se, master ji or jitne bache the wo sab ye dekh ke hairat me pad gaye.

Uske baad main class aa gaya apne dosto sang, phir chhutti ke baad apne chhatravas aa gaya, aaj jo kuchh hua uske bare me sochne laga.

Sham ko uth kar main pita ji ke paas mandir chala gaya, or wahi unke sath puja path me samay vyatit kiya, raat me khana kha ke sone chalo to maine socha apne sapne ke baare me pita ji se baat karu kya, lekin phir socha chhodo baba se hi pata karunga.

Subah me dhayan puja path karke main wahan se hi nasta kiya or apne chhatravas aake taiyar hoke school chala gaya, aaj school me kal wale baat ke hi charche the, jo bhi aata jata mujhe ghurta hua jaa rha tha, main class gaya bag rakh kar canteen gaya.

Main:- Jai shree raam baiya, kaise ho aap.

Dukandar:- Jai raam ji ki bhaiya, hum thik hai lekin kal aapke uss ladai me hamra hi nuksaan ho gaya, hamari kursi table toot gai.

Main:- Koi baat nhi ye lo ye paise rakh lo apne liye nayi table kursi le aana.

Dukardar:- Are naahi bhaiya, ab ek aaphi ki galti to naa thi jo akele aap hi bharo, aap rahne do.

Main:- Are aap rakh lo, koi baat nhi nuksan to hua hi hai n or chalo mera dudh bheejwa do 1 liter.

Dukandar:- Thik hai bhaiya g aap baitho hum bhijate hain.

Main baitha hi tha ke wo dono group jinke sath mere pange the wahan aa gaye, or mere hi table pe baith gai.

Karan:- Beta bahut udh raha hai, kal to tujhe sir ne bacha liya, lekin har basr aisa nhi hoga.

Main:- Main bhi yahi kah raha hun har baar aisa nhi hoga, isliye sidhe raste par aa jao, apne se matlb rakhi mujhse nhi.

(Leader2= Rohan chauhan, class12th student)
Rohan:- Kyo be pandit kuchh jyada nhi bol raha tu hamare mamle me, beta abhi to main samjha raha hun, agli baar bhida n to bachega nhi tu, or naa koi master aayega bachane.

Main:- Brahman hun ek vachan ka aadmi " Dahsat Ho To Sher Jaisi, Warna Darate To Kutte Bhi Hain, Brahman Ho to Khunkhar Hona Chahiye, Shant To Ladkiyan Hoti hain" or tum log wahi kutte ho jo jhundd me aate hain, akele me dum bada ke bhagte hain, chal ab nikal, tum logo ka AUKAT nhi mujhse ladne ki.

Main uth ke dukandar ke paas gaya or ek sans me pura dudh khatam kiy as or wahan se nikal gaya.
( inko group1 or group2 likhenge, or ladko ko Karan groupG1=L1L2,L3,L4,L5, or Rohan groupG2=L1,L2,L3,L4)

G2L3:- Bhai ye kuchh jyada bol ke chala gaya.

G1L4:- Han bhai sale ne hame kutta bola hai, bhai iska kuchh karna padega.

Karan:- Sala do bhar bhida or dono baar bach gaya, huh.

Rohan:- Abki baar nhi bachega sale ke maar ke hath bair tod denge, aaj tak apne se panga koun liya hai, ise bhi dekh lenge.

Phir sab class me chale gaye, main bhi aa gaya tha, prity or prince bhi aage baithe the, tabhi madam gai. Madam ne path padhaya, lekin mujhe to kuchh samajh n aaya, unhone jo kaha tha wo ki tab le liya tha maine kal pita ji ke paas jate hue, madam class khatam karke chali gai, phir koi master ji nhi aaye.

Prince:- Thank you bhaiya, aapne hamari madad ki or un logo se ladai bhi kiya.

Main:- Are koi baat nhi, hum mitra hai n, isliye thanku kahne ki jarurat nhi hai.

Prity:- Nahi bhai itne bache the kii bhi help nhi kiya, sirf aap hi aage aaye, thank you so much.

Main:- Achha chhodo jane do, maine madad kiya to ab aap dono meri kar do.

Prity:- Aapko hamari madad chahiye? Hum aapki kya madad kare btaiye?

Prince:- Han bhaiya boliye, hum fight nhi kar sakte, lekin koi dusra kaam kar sakte hai.

Main:- wo... Wo mujhe naa English nhi aati to tum log mujhe sikhaoge kaise padhte hai, kaise bolte hain.

Prity:-kyaaaa?? Aapko sach me English nhi aati yaa aap aise hi bol rahe hain?

Main:- Tumko yakeen nhi to ye dekho main kitaben kharid kar laya hun shuru se sikhne ke liye.

Prince:- Thik hai bhaiya hum aapko sikhayege, isme koun si badi baat hai.

Main:-(khush ho ke) Bahut bahut Shukriya aap dono kaa.

Prity:-(Naak sikud ke) Agar Shukriya kahoge tab nhi sikhayege.

Prince:- han hum tab aapko nhi sikhayege.

Main:- Are chhutki, achha thik hai nhi bolunga, ab to sikhaogi n.

Dono:- Han ab hum sikha denge hihihihihi.

Main bhi unki baato paar muskura diya. Uske baad aise hi padhte teefin ho gaya, humne canteen me jaa ke khana khaya, uske baad phir class, main last ke do claas chhod diya or madam ke paas gaya.

Main:- pranam madam.

Madam:- Ohhh tum thik hai baiyho, tum wo kitaben laye ho jo boli thi.

Main:- G madam ye lijiye kitaben wahi hain n.

Madam:- Hmmm han wahi hai, chalo phir start karte hain.

Phir madam mujhe English padhane lagi, mujheshuru se padhna tha isliye ABC se shru kiya tha hahahaha, kya kare bhai ab jab English ka janam hi yaha se hua hai,
Madam ne mujhe ek ghanta padhaya, or chhutti ke samay main chhatravas aa gaya.

Uske baad kuchh khaas nhi hua, kha piikar main aaj jo madam ne padhaya tha usko padha phir main so gaya.

Aaj ke liye itna hi.
Thank You.
wah! Sahab lagta hai Kashinath se milne Katiya aaya hai. Gurde me dum hai bhaii jee.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
#UPDATE 17

Uske baad kuchh khaas nhi hua, kha piikar main aaj jo madam ne padhaya tha usko padha phir main so gaya.

AB AAGE..........................................

Shaam ka suraj dhal chuka tha or dheere dheere kali syah raat apna pair pararti jaa rahi thi, aaj amavasya ki raat thi, aaj to chand ka bhi iss kali raat me sahara nhi tha.

Ek vyakti jaldi jaldi kadam badhata chala jaa raha hai, uske sar par kuchh bore me hai, uske chehre ko dekh ke aisa lag raha hai jaise wo bahut ghabraya hai or dara hua bhi.
Vyakti:- (man me) hey ishawar meri raksha karna, uss chakki wale ne itni der n ki hoti to main kabhi iss time n aata.

Tabhi wo apne samne karib 500 miter par ek bahut hi purana or ghana bargad ka ped dekhta hai, uski ghabrahat or badh jati hai uske paseene chhut rahe the, wo uss ped ko n dekhne ki nakaam koshish kar raha tha lekin uski nazar ussi ped ki taraf jaa rahi thi.

Wo uss ped ke thodi doori se hi nikal jana chahta tha wo nhi chahta tha uss ped ke nikat jana, wo jaldi jaldi kadam badhata chalta hai, tabhi ek aawaz uske kadmo ko tham deti hai "" kilkilkilkillkilkilkil" .

Uske to pran hi sukh gaye iss awaz ho sun kar, ghabrahat or darr ke mare wo tharthar kanp raha tha,

Vyakti:- (man me) Naa Raghuaa pichhe naa dekhi ho, apna aage dekh, hey bajrang bali hamri raksha karo.

Wo man me yahi sab budbudate phir kadam badhaya, tabhi phir uske kano me aawaz aai, "" Raghuaa are o raghuaa are tanik khaini de to hamre paas nhi hai""

Uske phir pair ruk gaye aage hi nahi badh rahe the darr se, wo phir budbudaya " Nahi yaha hamar janne wala kaha se aa gaya, wo bhi itni raat me pichhe maat dekhna raghuaa" or phir aage badha.

Lekin phir se aawaz aai ek buddhe aadmi ki "" Are beta tanik hamri madad kari de, chalte chalte thak gaya hun, tani hamar ye gathri utha lo"" iss baar raghuaa apna badbad karta nhi dekha pichhe or aage hi badhta raha, lekin achanak hi uske kaan me aawaz padi jo ki jani pahchani si lagi.

"" Baapu hamke sath le chalo, dekho hamhu tumre pichhe pichhe aaye the, aur yaha baith ke intezaar karte rahe, baapu dekho naa ee hamke jaay naa det hai"" itna sunna tha ki wo phir ruk gaya or socha " ye to hamre bachwa ki aawaz hai.

Aur jaise hi palta to dekh ki pichhe to koi nhi hai door tak bas ped the aam, mahua, imali, or bargad ka wo ped.

Wo socha yaha se nikalna chahiye hame aana hi nhi chahiye tha iss time uss chakki wale ke paas hi ruk jate, itna soch ke wo phir jane ko muda to apne samne ka nazara dekh ke uski rooh kand gai, uski sanse tezz chalne lagi.

Samne koi 7" ft se bhi uncha koi pahad jaisa ek ped ke dali se apne pairon ko bachha ke latak raha tha or uske sar pe ek katora tha jo ki topi ki tarah pahan rakha tha, apne hath apne seene pe badh rakha tha, or uski ankhe abhi band thior wo biklul nanga tha kuchh bhi nhi tha uske sharir par.

Raghuaa aise hi patthar ki murti saa bana khada tha uski darr se itni halat kharab thi ki naa to bhag raha tha n hil raha tha, "" hahahahaha kya hua raghuaa kaha jaa raha tha""

Raghuaa ke muh se aawaz hi nhi nikal rahi thi wo bolta kya, darr se uske hath paie jam ho gaye the, usne himaat kar kuchh bolna chaha usse.

Raghuaa:- mmm...... Mu.... Mujhe jaay do... Ab hum yaha kabhi nhi aayege.

"" hahaha tu yaha se jaa hi nhi payega to dubara kaha se aayega, pret hun main pret naa hai sunarka, aaj tak yaha se gujarne wala koi nhi bacha to tu kaise jayega hahahahaha""

Raghuaa:- (rone laga) Humka jaay de sunarka, hum tumko chadhava denge humka jaay de, hamar chhota bacha hai jaay de humka.

"" hahahahaha murkh bacha ke wajah se to tu fans gaya yaha, tujhe jane dunga to meri bhukh ka kya hoga, teri rooh kha kar mujhe takat milega, badi mushkil se to tu hath laga hai hahahaha""

Itna kah kar wo ped se kud ke uske paas aaya or usko pakad liya ek hath se or utha ke le gaya ped ke upar or usko maar dala, uska aata ki bori wahi padi thi.

****************************************

Main subah utha or nitkriya kar main dhayan me baith gaya, aaj dhayan me aisa lag raha tha kahi kuchh hua hai, ek ghante ke baad main khada hua or baha garden me aaya tahalne ke liye, hath me meri lathi thi practice ke liye, lekin aisi jagah nhi mil raha tha jahan main apni practice kar saku, main sabko btana nhi chahta tha ki main kya janta hun kya nhi.

Main :- Pranam nirikshak mahoday, suprabhat kaise hain aap.

Ram saran ji:- Suprabhat chandra, main thik hun tum apna kaho.

Main:- Main bhi thik hun, aap kaha jaa rahe hain?

RS ji:- Kahi nhi subah ki shair ke liye, or tum ye lathi leke kaha jaa rahe ho?

Main :- Are ye wo kuchh nhi gurukul me thodi sikhi thi, to socha practice kar lu, lekin yaha koi ekant jagah nhi hai jaha main akele me ye kar saku, sab dekhte hai to ajib lagta hai.

RS ji:- hahahahaha Are aisa hai kya to tum, yaha se paas me hi ganga nadi ke kinare jaa kar kyo nhi karte, koi dekhne wala bhi nhi hoga.

Main :- Are han ye maine kyo nhi socha, dhanywad aapne madad kiya, main ab se wahi jaunga, chahiye thik hau baad me milta hun.

Ye kah kar main bhi nikal gaya, ganga nahi ke kinare pahuncha to bahut achha mahsus ho raha tha, ye wo kinara tha jidhar ghat nhi bane the, khula maidan tha nadi ka ret tha, main wahi par practice karne laga, 2 ghante practice ke baad main wahi ganga me naha bhi liya or waha se sidha chhatravas aaya, or taiyar hoke school chal diya.

Chandra ko school jane dete hai hum dusri jagah chalte hai thoda pichhe.

Raat ko sab raghuaa gaon wapas nhi aaya to uske ghar wale paresan ho gaye, uski patni apne sasur se pata lagane ko boli to wo gaon me dekh aaya lekin kuchh pata nhi laga.

Patni:- kaa hua babuji kuchh pata laga unka.

Sasur:- abhi kaha pata laga, hum soche the ki aata lave naa jake gaon me hoga to dekh aaye gaon me to naa hai, kahi chakki wale ke yaha to nhi ruk gaya.

Patni:- To pata kariye n babuji kaha rah gaye wo, hamra jiii bahut ghabra raha hai.

Sasur:- Bahu tumko to pata hai raat me uss raste koi nhi jata, abhi koun pata lagane jayega, subah tak Intezaar to karna hi padega, subah hoye hi hum jayege pata lagane.

Uss raat sab paresan hi rahe nind kise aani thi... Subah hote hi raghuaa ka pita apne ados pados ke logo ko le kar uska pata lagane chal diya, wo lig bhi usi raste se gaye lekin pata naa gala kuchh, jab chakki wale ke yaha pahunche to usne btaya ki wo to sham ko hi nikal gaya tha ghar ke liye.

Uski baar sun sab bade hi hairan hue ki raghuaa gaya kahan, sab khojte hue usi raste se wapas aaye, or wahi bargad ke ped se paas dundhne lage, tab waha kisi ko aata ki bori dikha jo wahi pada tha.

Adami:- Are kaka hiya aava dekha tani, ye hiya aata ki bori padi hai.

Sab uski taraf badhe to dekha ye raghuaa ka hi bori hai, uska pita pahchan gaya or rone laga.

R pita:- Are hamar bachwa kaha gaya, ee ta hamre bori hai, dhundho raghuaa ke dhundho.

Sab waha dhundhne lage, kafi khojne ke baad waha unko ek naar kankal mila jo abhi khoon se sana tha or taza khoon tha, sab ye dekh ke darr gaye or sabko pata lag gaya ki ab raghuaa jinda nahi bacha hai.

Sab uss nar kankal ko le kar ghar laut gaye, ye khabar gaon me aag ki tarah fail gai or sab iss hairan or darr ka mahaul ho gaya gaon me, raghuaa ke ghar ke log bilakh bilakh ke ro rahe the, sabke liye ye bahut hi bhayavah drishya tha, raghuaa ki patni to uske kankal ko dekhte hi behosh ho gai thi.

Kisi ko bhi ab dekhne nahi diya jaa raha tha or jald se jald uska antim sanskar karne ko bol rahe the log, sabhi ne mil ke g as on ke baar nadi kinare shamshan me uska antim sanskaar kiya or ghar laut aaye.

""Himmat rakh a bnde
ye raat gujar jayegi,
Ye gamo ka din thal jayega..
Himmat rakh a bnde..
Sukh ka suraj aayega
Sab kuch thik ho jayega..""


Aaj ke liye itna hi dosto.
Thank you.
Niyati ke aage kisi ki nahi chali.
Jo hona hai hokar rahega.
Sab brahmjaal hai...
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
#UPDATE 23

ab usko bhagne ke liye rasta bhi nhi bacha, aage khai thi to pichhe se wo charon ke roop me maut thi, ab kare to kya kare wah, usko kuchh nhi sujh raha tha........

AB AAGE.......................................

Wo charo uski taraf badhte hue aa rahe the, aisa pratit ho raha tha jaise uski mrityu samne se chalti hui aa rahi hai, wah bechari kuchh der sochti rahi, phir jaise usne kuchh nishchay kiya or uss pahadi se jharne me khood gai.

Wo charo usko pani me geerte hue dekh rahe the, ladki pani me geer kar behosh ho chuki thi, or wah bahti hui chali jaa rahi thi.

Sevak:- Jao wo aage mod par atak jayegi jhadiyon me use wahi pakad lenge, bach kar nhi jani chahiye wo, khatam kiye bina koi wapas nhi jayega.

Sab pahadi se niche bhage or ek jharne me kud gaya, wo bhi bahta hua ladki ke pichhe chalne laga, or aage jhadi me kone pe pakad li gai, abhi wah behosh thi, ye sab usko hosh me lane ki koshish kar rahe the, kuchh der baad jab ladki ne apni aankhe kholi to samne apni maut ko dekh kar wah thar thar kanpne lagi.

Sevak:- Apne aap ko bahut hi chalak samajh rahi thi, hamse bach kar nikal jayegi, yaha ek baar jo aata uski yaa to bali chadhti hai yaa to maut milti hai to tujhe zindagi kaise mil sakti hai.

Sevak2:- Are phir se kya baate kar rahe ho bada bhagaya hai isne ise to pahle main maslunga.

Ladki:- Mujhe chhod do, bhagwan ke liye chhod do, main kisi ko kuchh nhi bataungi, mujhe jane do.

Sevak4:- Tujhe kaise chhod de tu chhodne ki nhi bhogne ke liye hai, hamare prabhu ka karya nhi hua to tujhe bhi jivit nhi chhod sakte.

Or un logo ne ladki ka anchal pakad kar khinchne lage, ek ne pichhe se usko pakad liya or dusre ne uski saree utar kar fenk di, wo sabke samne hath jodti rahi, vinti karti rahi usse chhodne ke liye, kintu un rakshaso ko tanik bhi daya nhi aai.

Uske baad uss ladki ke sang bari bari se un charo ne hi sambhog kiya, jiske karan
Un charo ne uski swas ko dekha to wah ab nhi chal rahi thi, wah darinde waha se attahas karte chale gaye or usko usi avastha me chhod gaye, uske sharir par ek kapda tak nhi dala tha.

लुटेरा है अगर आज़ाद तो अपमान सबका है
लुटी है एक बेटी, तो लुटा सम्मान सबका है.
बनो इंसान पहले छोड़ कर तुम बात मज़हब की
लड़ो मिलकर दरिंदो से ये हिन्दोस्तान सबका हैं
*************************************

Ins. Vijay ki gadi jaise hi chhotka bazaar thana pahunchi, thane me hadkanmp mach gaya kou idhar bhagta koi udhar bhagta, thana sirf thana chhod kar baki sab kuchh lag raha tha, police wale baniyan or toliya bandh kar ghum rahe the kuchh baith ke gappe mar rahe the, jaise kisi ko koi kaam hi n ho.

Ins. Vijay or pandey sidha andar pahunche jaha jayant singh table par pair rakh kar so raha tha, jise dekh kar vijay ki bhonhe chadh gai thi, usne gusse me apna hath table par de mara.

S.I jayant:- koun hai be, iski maaaaaaaa.... Sssssiiirrrr sir aap yahan ? Kya baat hai kaise aana hua sir?

Ins. Vijay:- Kuchh nhi idhar se guzar raha tha to socha yaha kya ho raha hai dekhta chalu, kaise hamari police kaam kar rahi hai.

S.I jayant:- aaiye.. Aaiye baithiye n sir khade kyo hain?

Ins. Vijay:- Pandey ji hamare jayant singh ji to bahut kaam kiye the, isliye to aaram farma rahe the, hum logon ne lagta hai inke vishram me khalal dal diya hai, aapka iss bare me kya kahna hai?

Pandey:- Ab hum kya kahen sir, dekh ke to aisa lagta hai sir inhone case solve kar diya hai.

Ins. Vijay:- Han thik kaha aapne aisa hi dekh ke lagta hai, to jayant ji koi khabar hai yaa koi waisi vardat to nhi hui hai?

S.I jayant:- nnn... Nhi nhi sir aisi koi vardat nhi hui hai sir, agar hui hoti to hum aapko suchit avashya karte, are roshan laal sir ke liye chai thanda lao.

Ins. Vijay:- uski koi jarurat nhi hai, mujhe case ki file dikhao jaldi.

Jayant singh case ki file lata hai jisme koi case hi nhi tha, naa hi koi FIR darz tha, bilkul kori file thi, yah dekh kar vijay or gusse se bhar gaya.

Ins. Vijay:- Ye kya hai puri file khali hai, yaha ek bhi case nhi aata kya?

S.I jayant:- Sir aap to jante hain ye gaon dehat hai, to yaha kya koi vardat yaa gunda gardi hogi, isliye koi case bhi nhi hai, ab jab koi kuchh ho tab to case darz ho.

Ins. Vijay:- Suna pandey ji jayant singh ka kya kahna hai, yaha koi case nhi aata, to phir thik hai wo case jayant singh ko de do.

Pandey:- Han sir, ye lijiye case.

S.I jayant:- Ye kaisa case hai sir, kis ilake ka hai?

Ins. Vijay:- Khud dekh lo jayant singh kya case hai or kis ilake ka hai.

Jayant singh ne jaise hi FIR ki copy dekhi uske hosh udh gaye, or chehre se paseena chhutne laga, usko umeed nhi thi ki vijay ke samne ye case aa jayega, wah fati ankhon se FIR copy ko dekh raha tha to kabhi vijay ko jo baith hua muskura raha tha.....

Aaj itna hi dosto.
Thank you.
Hamare buzurgo ne desh azad karvaya angerjo se, Per hum sambhal na paye.
Aur bhaichara, pyar v sanskar khatam hote chale gai.
Sirf reh gaya paap, durachar, nafrat, fadebhav, ataychar, julm,lallach v krodh. Ab woqt aagya he ishe badlne ka, desh ko aage badhane ka, kadam se kadam milane ka, bhadbhav mitane ka v Bhartvarsh ko vishavguru banene ke path per agarsar ho har chunoti ko jeet kar.
Karmyogi bano badhayen to aayengi path me chalte raho.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
" शोर की इस भीड़ में .. ख़ामोश तन्हाई-सी तुम...
ज़िन्दगी है धूप तो .. मदमस्त पुरवाई-सी तुम ;
.
आज मैं बारिश में.. जब भीगा .. तो तुम ज़ाहिर हुईं...
जाने कब से रह रही थी .. मुझमें अंगड़ाई-सी तुम ;
.
चाहे महफ़िल में.. रहूं .. चाहे अकेले में.. रहूं ....
गूंजती रहती हो मुझमें .. शोख शहनाई-सी तुम ;
.
लाओ वो तस्वीर .. जिसमें .. प्यार से बैठे हैं हम ....
मैं हूं कुछ सहमा हुआ-सा .. और शरमाई-सी तुम ;
.
मैं अगर मोती नहीं बनता .. तो क्या बनता 'अनू'...
हो मेरे चारों तरफ .. सागर की गहराई-सी तुम ...."
Sunder atisunder anupam panktiyan.
Ek- ek akshar dil ki gahrai me samata ja raha hai.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
Ish sundar rachna ke liye aapka bahut-bahut shukriya.
Jab bhi aapko samay mile kripya ish rachna ke uper bhi drishti rakhyega, aur apne chahne walo per kbhi- kbhi najre-inayat kar lijiyega. Ish sunder rachna ne man moh liya hai. Ab lagan aishi lagi hai ki jab tak jab tak nayi parti nahi milti har pal aapki rachna ko dekhte rehte hai ki bhai jee aaye kya nahi.
Baki khuda se ek dua mangte hai aap ko wo mile jinhe aap dhundhe ho tanhaiyon me dard ki gahraiyon me, Khushi har pal aapke kadam chume.
 
Status
Not open for further replies.
Top