- 2,258
- 6,772
- 144
103
***
baba raj ka ilaj karne me lage rahe toh manorma raj ki dekh rakh me. 4 din baad raj ke moh se maa shabd nikla. woh abhi bhi behosh tha.
baba wahan nahi the. manorma bhaag kar baba ko bula laai.
manorma-- baba isne maa kaha.
baba raj ki nabz dekhne lage. dekh kr wo khush ho gaye..
baba-- ab lagta ha, ye bach jayega.
manorma-- shukar ha bhagwan ka. zarur raj ki maa raj ke liye pararthana kar rahi hogi. baba mujhe lagta ha raj bohut acha ladka ha. bura hota toh bhagwan kyun ise zindagi dete.
baba ke honto par muskurahat aa gai-- manorma beti, jiski jitni saanse likhi hoti han. woh puri karke hi is dunya se jata ha. fir woh bura ho ya achha.
manorma-- nahi baba, mujhe raj achha ladka lagta ha. bhagwan ne ise bachana na hota toh hum wahan kyun jati. aur fir ise bhi wahin aa kar kyun atak jana tha. zarur bahgwan bhi chahta ha, raj zinda rahe.
baba manorma ki baton par muskura jate. woh raj ke ilaj me bhi lage rahe.
agla ek mahine baba aur manorma ne raj ke liye din raat ek kar dia tha. raj ki halat me sudhaar aane laga. kabhi kabhi uske moh se maa nikal jata. hosh me nahi a raha tha.
baba ko aas dikh rahi thi. par manorma preshan rehne lagi thi. 10 din baad raj ko hosh aa hi gaya.. woh karahte hue hosh me aaya tha. manorma raj ke paas hi thi. bhag kar baba ko bula laai.
uski saans bohut phuli hui thi. woh baba ko bhi bhaga kar lai thi.
manorma-- baba dekho raj hosh me aa gaya ha.
baba-- maine kaha tha na tumse.. raj jald hi hosh me aa jayega. dekho a gaya hosh me.
manorma khush ho ke raj ko dekhne lagi. raj ki ankhen sahi se nahi khul pa rahi thi. woh aise hi pada raha.
manorma-- raaajj raaajj tum meri awaz sun rahe ho
baba-- manorma beti raj ko samay lagega puri tarah se hosh me aane me.
manorma-- baba iske hath pair toh toote hue han. ise pata chala toh..??
baba-- bhagwan ne jahan itna achha kar dia ha ise. baaki ka bhi achha kar dega.
woh pura din raj hosh me aata, adh khuli ankhon se dekhta, fir behosh ho jata. baba raj ke sath lage rahe toh manorma tukar tukar raj ko dekhti rahi.
agle din raj ko sahi se hosh aa gaya. usne uthe ki koshish kari toh karahta hue sar gira gaya.
manorma paas hi thi. woh raj ke chehre par jhuk kar raj ko dekhne lagi.
manorma-- raaj.. ankhen kholo raj..
raj awaz sunkar ankhen bhenchne laga. kuchh der me ankhen khol kar dekha toh usay ek ladki ka chehra dikhai dia.
manorma khushi se chahakta hue-- shukar ha bhagwan ka tumhe hosh aa gaya. main baba ko bula kar laati hon.
raj karahte hue--mm...mujhe kya hua ha..
manorma raj ko ghor se dekhne lagi-- raj ha na tumhara naam.
raj ghor karne laga toh uska sar dard se phatne ko ho gaya.
raj-- aahh mera sar..
manorma firse bhaag kar baba ko bula laai.
baba ne ek kaadha raj ko pilaya. jisse raj ko kuchh shakti mili.
baba-- beta ab kaisa ha tumhare sar ka dard
raj-- abb bahtar ha baba. mm kahan hon baba
manorma-- tum hamari basti me ho raj..
raj-- raj...mera naam raj ha..??
manorma preshan hoke baba ko dekhne lagi toh baba bhi kuch chintit dikhai dene lage. manorma kuch bolna chahti thi. baba ne usay ishare se mana kar dia.
baba-- haan tumhara nam raj ha. tum nadi me gir pade the. bohut si choton ke sath tumhare sar par bhi chot aa gai thi. shayad us kaaran tum khud ko pehchan nahi pa rahe ho.
manorma ko bada dukh hua woh dupatte ka pallu apne moh me dabati hui bahar chali gai.. aur bahar ja kar ansu bahane lagi.
kuchh der me baba bhi bahar aaye. manorma baba ko dekh kar unke gale se lag gai.
manorma rote hue-- baba raj khud ko bhul gya ha. raj ki maa ka fir kya hoga baba.
baba-- bhagwan bhali karega manorma beti. jitni choten raj ko aai thi. iska bach jana bhi ek chamatkar ha beti. jahan bhagwan ne usay nai zindagi di ha. zarur uski yaaddasht bhi lautega.
manorma-- kab baba.. kab tak.. tab tak kahin raj ki maa
baba-- aisa mat bol beti. bhagwan se achhhe ki aasha karni chahiye. sab theek ho jayeya. bhagwan apne payaro ko azmata bhi toh ha na. zarur behen ji bhi theek hongi.
raj khud ko bhul chuka tha. dhire dhire uske hosh thikane aane lage the. uske hathu pairon ke sath sath uske badan ki kai haddiyan bhi tooti thi. theek hone me samay lagne wala tha.
kuchh dino baad raj deewar ke sath tek laga kar bethne layak ho gaya..
baba aur sab junglee log the. jungle ki jadi butiyon se raj badi jaldi achha hone laga tha.
jab raj so gaya toh manorma ne baba se poochha-- baba suna ha, shahar me achhe se ilaj hota ha. wahan raj ko le jayen toh raj jaldi se achha ho sakta ha na.
baba -- nahi manorma beti. jaisi halat me humen raj mila tha. aisi halat me shahari marij ke sath sath tarah tarah ke tajurbe krke usay umar bhar ke liye apahij bana dete han. yahan jungle ki saaf suthri hawa aur jadibutiyon se raj jitna achha ho skta ha. utna shahr me reh kar nahi ho sakta.
manorma-- par baba yahan par toh raj ko bada smay lag jayega.
baba manorma ke sar par hath ferte hue-- samay lagta ha to kya hua. ek din dekhna raj pehle se bhi achha hoke yahan se lautega.. janti to ho na. jungle ki jindagi jeene wala zindagi ki kisi maidan me haarta nahi ha. raj jaldi thek bhi hoga aur pehle se kai guna taqatwar bhi.
manorna ke kaano me toh baba ki bas ek hi baat atak kar reh gai. raj ko achha hokar yahan se lautna bhi toh ha na.
manorma ko apne dil ki dhadkan upar niche hote hue mehsus hone lagi. woh samjh nahi saki uske sath aisa kyu ho raha ha. raj ke jaane ki baat par uske dil ki dhadkan kyu badh gai thi. kyu uska dil kehne laga tha. raj sada uske paas rahe.
baba bahar chale gaye toh manorma raj ke chehre ko dekhte hue apne andr aaye badlao par ghor karne lagi. woh aisi toh kabhi nahi thi. apni saheliyon ke sath masti karne wali ladki thi. kahan woh raj ke liye aisa sochne lagi thi.
sab sochte hue usay raj ke chehre ko dekh kar ek ajib sa sakun milne laga.
din guzarte chale gaye aur manorma ke andar ka mausam bhi puri tarah se badalta chala gaya. woh samjh gayi woh raj ke prem jaal me jakdi ja chuki ha.
sara din raj hota aur manorma hoti. dono khub sara din baaten karte. raj chalne layak nahi hua tha. manorma raj ko apni basti ki baaten sunati toh raj manorma ke man mohne mukhre aur hansi me kho jata. usay manorma ko sunna bohut achha lagta tha.
jab manorma ki saheliyan raj se milne aati toh manorma ko dhake chhupe shabdo me chhedti toh raj manorma ka laal laal chehra dekh kar khil uthta.. manorma ka aisa face raj ko bohut bhaaya karta tha.
raj ko basti me aaye 7 mahine ho chuke the. saatve mahine besakhi ke sahare jhonpdi se bahar nikalne laga tha. uske hathu ki haddiyan toh jaldi achhi ho gai thi. par pairon ki hone me deri thi. bohut buri tarah se uske pairon ki haddiya ka choora bana tha.
baba ne badi lagan se raj ki sharir ki sabhi haddiyon ko sahi kiya tha. sara sara din jungle me ghum fir kar raj ke liye jaane kya kya dhund laate the.
basti wale bhi raj ko zindagi ki or lautte dekh kar bohut khush hue the. woh bhi raj se khub baten karte the.
________________________
delhi ke ek hospital me mele ka sa samaan tha. hospital me jahan bohut se log the. wahin simran ka pura parivar aur dinesh ka pura parivar bhi wahin tha..
hospital ke ek room me simran ek bed par leti hui thi. uske paas rakhe hue palne me do baby lete hue the.
simran ne do judwan bachu ko janam dia tha. simran bade pyar se apne dono babies ko dekh rahi thi.
door khula aur sabhi andar ghuste chale gaye..
sabke sab simran ko badhai dene lage. dinesh aage bada aur palne ke karib beth kar dono babies ke mathe par kiss kar dia.. dinesh ki ankhon se khushi ke ansu nikal pade..
dinesh ki mummy dinesh ke papa se-- suniye ji, aaj pure shahar ke mandiron me jitne bhi zarurat mand han. sabhi ko khana khilayen aur sabhi me kapde baanten. bhagwan ne mujhe dadi bana kar mujhe zamane bhar ki khushiyan de di han.
papa bhi khush hoke aage badhe aur simran ke forehead par kiss kar di.. badhai ho simran beti.. sada suhagan raho. bhagwan kabhi koi tumhare paas bhi na aane de.
papa-- is shahar me hi nahi. mera toh mann kar raha ha. aaj main apni sari daulat hi zarurat mandon me baant dun. mujhe kabhi daulat ki chah nahi rahi ha.
simran dada dadi kabhi unhe dekhte toh kabhi simran ke chahre ki chamak dekhte. aaj unhe bhi bade dino baad ek badi khusi mili thi..
kuchh aur bhi the room me.. sab baari baari simran ko badhai dene lage.. sab kuch na kuchh daan karne ke liye bol rahe the. daulat ki toh jaise kisi ko koi chah hi nahi rahi thi.
simran ki mummy, papa aur dusre sab bhi simran ko dheron pyar de rahe the. usay chum rahe the.
simran ke dono babies toh khaas sabki nigahun me the. kaiyo ki ankhon se khushi ke aanus beh kar babies ke chahro par gire the.. woh dono masoom gehri nind soye hue apne liye utne pyar se anjaan the.
________________________
manorma raj ke sath ek jagah par ja bethi. ek tinke se junglee zameen ko kuredte hue uske honto par badi payari muskan thi.
raj ko manorma ki yahi muskan ghayal kar dia karti thi. raj ke left hand ki halat sabse achhi thi. raj ne manorma ki chin ko pakad kar upar uthaya toh manorma sharma kar raj ko dekhne lagi.
raj-- bhagwan ne kitna sundr chahra banaya ha. man hi nahi bharta ise dekhne se.. mann karta ha, ise dekhta hi rahun.. ab toh sota bhi hon toh tumhara ye payara mukhra meri ankhon ke piche mujhe dikhai dene lagta ha.
manorma ke chahre ki laali badh gai. raj ki aisi baaten sunkar uske dil ki dhadkan jahan badh jaya karti thi. wahin woh bohut khil bhi jaya karti thi.
manorma-- raj tum bhi toh bohut sundr ho. puri basti me sabse sundr..
raj ek ungli se manorma ke honto ko chhedte hue-- sachh
manorma ne raj ki ankhon me dekha aur raj ki ungli ki gustakhi par sharam se laal hokar moh fer gayi.. aur dhime se boli-- muchhhh..
raj fir manorma ke pure chehre par hath ferne laga. manorma ko raj ka aisa karna bohut bhaya karta tha. dono pure nahi khule the. fir bhi ek dusre ke liye bohut aage badh chuke the.
kuchh doori par manorma ki ek saheli bhi ek ped ki aarh me khadi hui dekh rahi thi. usne ek patthar uthaya aur phenk dia.. patthar sahi nishane par nahi aaya aur raj ki zakhmi taang pr lag gaya. raj cheekha toh manorma ki tantra tooti.
manorma ne dekha toh uski saheli bhagti hui wahin aa gai.
saheli-- shama karna raj.. maine patthar toh is kamini ko maara tha. kitne maze se tere hath ko apne moh par fira rahi thi...
saheli raj ke liye dard toh manorma ke liye banawati jalan apne lehje me liye boli toh raj hasne laga. manorma uth kar uske piche bhaagne lagi.. saheli bhi bhaag khadi hui thi
manorma-- ruk.. tujhe batati hon main.. kamini kahin ki.. ruk.. ab bhaag kyu rahi ha. ruk na.
saheli-- haaye mujhse galti hui manorma-- tere rang me bhang mila di maine..
manorma wahin tham si gai. usay firse sharam aane lagi thi. uski saheli bhi ruk kr khilkhilane lagi..
raj dono ko dekh kar kar mand mand muskura raha tha.