simran mummy man me-- bhagwan buri nazar se bachaye, kitni sundar jodi ha.
sanvi-- ummmm jiju kitne handsome han. didi ke sath unki jodi kitni jhakkas dikh rahi ha. aise hi vichar sabke bhi the. sab raj ko hi nihar rahe the aur raj sab ko
simran bhi sabko dekh rahi thi. sab khush the toh dukh me simran bhi nahi thi. sabse pehle dadi aage badhi toh raj ne sanskar dikhate hue dadi ke pehle pair chhuwe. dadi khush hoke raj ko ashirwad dene lagi, fir raj ke mathe ko chum liya. gale se laga ke ghar ke jamai ko pyar dia. rakesh verma bhi raj se mile.
kishan aur ameeta bhi raj se mil ke bohut khush hue. saanvi aur manvi ka mannn toh bohut tha, raj ke upar pjol phenk ke raj ka ek asli jamai ke jaisa sawagat kiya jaye. par unme itni himmat nahi thi.
chacha chachi, fir simran ke sabhi bhai, aur behne bhi raj se mili. sabhi ko raj se milke bohut achha laga tha. aur raj haramipan se kuch der ke liye side rakh ke sabse mila. naye aur bade log the. soch samjh kar milna tha. haramipan toh uske andar se jaane wala tha nahi. kabhi na kabhi toh raj zarur haramipan karta.
simran ek ek ki khushi se chamak rahe chehre dekh rahi thi. jo kuch der ke liye simran ka dar ko bhul gaye the. bua family bhi sabse mili. kuch der baad sab andar parvesh karne lage.
simran ne ek baar firse raj ka hath pakad liya tha. simran kamal ki ladki thi, abhi tak wo apne expesssion apne control me rakhe hue thi.
sab drawing room me the. raj aur simran sabse alag ek sufe pe ek sath bethe hue the aur dono ne abhi bhi ek dusre ka hath thaam rakha tha. kuch pal ke liye sab khamosh ho gaye the. sab simran aur raj ko dekhne lage.
raj ka achhe se sawagat karne ke baad sabka dhayan firse simran ki or ho gaya tha. simran jiske honto par ab ek ajib si muskan nazar aane lagi thi. raj bhi simran ki is muskan ko dekh raha tha. raj ke andar bhi hulchal machi hui thi. raj harami thi, par simran ke dil ka haal nahi janta tha. nahi janta tha, simran aage kya karne wali ha. kuch karegi bhi ya nahi, kya wo abhi ke liye sab ko aise hi tension degi.
rakesh verma ya koi aur kuch nahi bol raha tha. saanvi aur manvi kitchen me thi. kuch der me wo ek tray me raj ke liye kuch pine ko le ai. saani ke sath hi manvi bhi thi.
saanvi ne bade samaania andaz me jhuk ke raj ke aage wo tray kar dia. raj ne saanvi ko thanks bol ke glass utha liya aur simran ko dekhte hue bola.
raj-- lo pehle tum pi lo. simran muskura padi.
simran-- patni pehle kabhi nahi peeti raj. tum pio kuch bacha ke mujhe apna jhuta pila dena. main bhi sabki nazron me ek sanskari panti expose ho jaongi. raj ne smile se simran ko dekhte hue adha glass khali karke simran ko thama dia.
simran ne bina koi expression apne face pe laaye adha bacha hua glass khali kar dia. sab raj aur simran ko hi dekh rahe the. raj sabki nazar me perfect sabat ho chuka tha.
sabne raj ko pure mann se accept kar liya tha. na bhi karte toh raj ne koi option bhi nahi chhoda tha. simran ki maang bhar ke simran ko apni patni bana liya tha. ab bas sab chahte the simran bhi raj ko mann se apna pati maan le.
par ye itna asan nahi tha. kai ki nazar me toh ab bhi ye ek namumkin baat thi, simran badal jaaye, raj ko accept kar le, ye ho nahi sakta tha. simran ke andar is type ka koi keeda nahi tha, ye baat bhi sab jante the.
simran ke badle roop ko dekh ke sab pehle se hi samjhe hue the, simran raj ko accept kare ya na kare, par raj ke sath wo kuch aisa ves zarur karne wali ha. jo bohut bhayankar hoga.
simran ki raj ke liye dikhai de rahi chahat bhi ek bhayankar toofan ke aane se pehle ka sound thi. aur ye sound raj samet sabko sunaai de raha tha. simran ne bde pyar se glass khali kiya aur saane table par rakh dia.
simran sab ko dekhne lagi. ab simran kuch bolne wali thi. simran kuch bolti usse pehle ke simran ke papa bol pade. wo bethe nahi rahe wo uth khade hue. sab unhe dekhne lage. simran ke honto ki muskan gehri ho gai. raj bhi unhe dekhne laga.
kishan-- raj beta.. dar ki kai kismen hoti han. ek dar wo ha jo tumhe hum sab ke chehro par dikhai de raha ha. wo mard hi kya jo kisi se dar jaye. jo dar gaya wo mar gaya. bhagwan ki daya se hum bhi uske siva kise se nahi darte. is parivar me tumhe jitne bhi mard milenge sab ke sab asli mard han, kisi se na darne wale. hum kisi se ladai nahi karte, par ladne par peeth dikhana bhi hamari adat nahi ha. hamara asli dar hamara khud ka ek dusre se juda hona ha. raj beta jo rishto ki dor me, pyar ki dor me bandha hota ha, usay darte rehna chahiye. yahi dar hi toh rishto ki dor ko, pyar ki dor ko itna strong banata ha, fir wo dor kabhi toot nahi sakti. hum sab ka darr simran ke liye bhi aisa hi dar ha. hum sab jitna simran se darte han, usse kahin badh kar simran se pyar bhi karte han. simran se pehle aur simran ke baad bhi kai aisi han hamare khandan me, jo kaiyon ki ladli han. par simran sabse alag ha, sabki chaheti ha. meri beti hone par simran ko garv ho ke na ho, par mujhe hamesha garv rahega simran ke papa hone par.
(yahan kishan kuch imotional bhi ho gaye the. simran ki ankhon ne bhi pal shann ke liye rang badal liya tha. sab kishan ko aur simran ko ab pyar ki nazron se dekhne lage the. aisa hi tha ye parivar)
jitna pyar hum sab simran se karte han, utna hi pyar simran bhi hum sabse karti ha. tumhari pehli mulaqat simran se road par hui thi raj beta. simran ne ek rehdi wale ko thod dia tha. shayad tum aage ki bat nahi jante. us gaadi wala ka moka par hi nahi nuksan pura nahi hua tha, usay kahin badh kar bhi paise de diye the. ye sab hamari or se tha. aur simran ki or se..
kishan mobile nikal kar ek video play karne laga. video dekh ke raj dang reh gaya. simran ek jhopad patti me thi. simran usi rehdi wale ke sath maujud thi aur uske puri parivar ke sath thi.
kishan-- raj beta us rehdi wale ki hi nahi, uske pure parivar ki life simran ne set kar di ha. simran aise maamlon me humse bhi kahin badhkar ha. simran ke jaisa dil hamare pure khandan me kisi ke paas nahi ha. simran ka mukabla koi nahi kar sakta. main bhi nahi.
raj sab ko dekh raha tha. sabki ankhon me simran ke liye pyar aur samman ki inteha dekhne ko mil rahi thi. aisa raj ne socha bhi nahi tha. kaisa ajib parivar tha, kahan sab simran se darte the aur kahan inti shiddat ke sath simran ko pyar bhi karte the.
kishan-- raj beta humen chahiye tha apni simran beti ke liye ek aisa ladka jo hamari simran ke jaisa ho. kai rishte aaye kai gaye, simran ne sabko thukra diya to kai humen pasand nahi aaye the. simran ek brillaint brain girl bhi ha. state topper bhi hai. kaise fir simran kisi ko bhi accept kar sakti thi. simran ke is video me dikhaya gaya roop aur ab ke roop ke baad ek wo roop bhi ha jo tum pehli bar dekh chuke the. aise hi roop rangon se bhari ha meri beti simran.
raj beta hum is shehar ke 10 ten richest parivaron ke se ek han. is shehar ka steel king ho, ya cloth king, koi builder ho ya fir koi politician .. raj beta tum ne do hi mulaqon me sabko pichhad kar simran ko apni bana liya ha. aisa sab hum soch bhi nahi sakte the. par aisa ho chuka ha. tum khud ko hamari simran ke liye perfect sabat kar chuke ho. humen tumhe apni simran ke life partner ke roop me dekh ke bohut achha laga. ye sirf mere hi vichar nahi han ye sabke vichar han. mere pita pehle hi tumhe accept kar chuke han, mujhe samet mera pura parivar tumhe dil se accept kar chuka ha. aur fir tum simran ki maang bhar ke sabke moh par taala bhi laga chuke ho.
ab akhri baar keh ke main baith jaonga. simran ab se tumhari panti hi nahi tumhari zimmedari bhi ha. usay samjhna bhutagna tumhara kaam ha. humse jitna ho saka, tumhare liye karenge. tumne khud se simran ki life me entry maari ha aur ab tumhe hi simran ko handle karna padega.
kishan itna bol ke baith gaya. simran ki mummy ameeta uth khadi hui.
ameta-- sabse hosh samjhala ha raj beta, bhagwan ne kabhi mujhe dukh nahi diye. dheron khushiyon ke sath main parwan chadhi hon. is ghar me aane ke baad bhagwan ne mujhe wo khushiyan bhi de deen, to pehle meri zindagi me nahi aa saki thi. is ghar me mera ek ek pal khushiyo se bhara beeta ha raj beta. bhagwan ne mujhe 2 bete teen betiyan di han. ab tumhe bhi mujhe de ke bhagwan ne palda barabar kar dia ha. 3 bete aur 3 betiyan.
raj beta mujhe tum bohut pasand aaye ho, tum bohut payare ho. tum meri, hum sab ki khaas simran ke raj ho. jitni special mere liye, hum sab ke liye simran ha, utne hi tum bhi ho.
raj beta meri simran phool si nazuk bhi ha aur patthar bhi. tum simran ke dono roop dekh chuke ho. (ameeta dono hath jodte hue) raj beta ab is parivar me shamil ho hi gaye ho to meri khushiyon bhari zindagi ko aur bhi khushiyon se bhar dena. mujhe apni simran ke liye badi preshani bhi ha. tumne jaise pehle khud ko sabat kiya ha, aage bhi sabat karke simran ke patthar dil ko apne liye bhi narm kar lena. bass meri itni hi vinti ha.
ameeta bhi beth gai. kishan ke baad ameeta ki baaton ne mahaul ko imotional bana dia tha.
raj ki life me imotions noreen ke behaviour ke baad se hi kuch strong hone lage the. deepika ke dard bhari baten, raj ke liye bure shabd, raj ki maa ka sach, fir nana nani se milna, dono ka pyar aur jazbati baten sunna raj ke andar bohut kuch change le aaya tha. harami pan toh uski rag rag me tha, wo toh jane wala nahi tha. par imotions raj ke andar kuch aur strong ho gaye the.
raj ki pyar is bhale parivar ke sath aur bhi badhne laga tha.
simran apni mummy ki baaton par kuch imotional hone lagi thi. par jo uske mann me tha, jo wo than chuki thi, wo to simran kar ke hi rehne wali thi.
bua uth khadi hui-- raj beta mera apna ek parivar ha. main apne pati aur apne bachhu ke sath bohut khush hon. simran ke liye jo dar tumne hamari ankhon me dekha tha, wo asal me simran ke liye hamara pyar hi tha.
naresh bhi uthe aur bole- raj beta main bhi ek mard hon aur hamesha khud par garv bhi raha ha ek mard hone par. ek sher jaisa beta surya bhi ha mera. wo bhi char char se akela lad sakta ha. par simran ke liye wo bhi apni jaan ek hi pal me de sakta ha.
ek ek karke sab khade hoke aisi hi baaten karne lage. simran ka bada bhai harish khada hua.
harish-- raj tum mujhse. meri behen se chhote ho. par main apni simran se itna pyar karta hon, uske liye kisi bhi had tak ja sakta hon. apne papa ke baad mujhe hi business king kaha jaane laga ha. 2 saal me hi maine apne parvarik business ko us oonchai par pohncha dia ha, jahan papa ya daddu nahi pohncha sake. par main apni simran ke liye tumhe hamesha apne barabar ya apne se bhi badhkar samjhta rahunga.
simran 2nd bhai ravi : aur main.. main student leader ravi verma hon raj bhai. mere ek ishare par pura ka pura shehar jam ho sakta ha. meri ek call pe pure city ke school, college aur universities band ho sakti han. sab mujhse darte nahi, mujhe respect dete han. study ke sath sath main apna business bhi dekh raha ha. tumhe apne jiju ke roop me dekh ke main bohut khush hua hon. humen tumhare jaisa hi chahiye tha apni simran ke liye. tumne samay se pehle hi simran ki maang bhar ke simran ko apna bana liya. tum hamari nazron me khud ko sabat kar chuke ho jiju. hath jodke... bas hamari simran ki nazron me bhi khud ko sabat kar dena.
saanvi ansu bahati hui uth khadi hui-- jiju.. mujhe mummy se bhi zayada didi se pyar ha jiju.. meri didi ko sada khush rakhna.
manvi bhi ansu bahati hui--- jiju didi itni achhi han, itni achi ha, pure sansar me meri didi ke jaisi koi nahi ha.. jiju aap bhi mujhe bohut pasand aaye jiju. didi ka dil jeet lena jiju.
raj sab ko baari baari sun raha tha. ek ek shabd par, ek ek expression par apna focus badha dia tha raj ne. aisa samay pehle kabhi raj ki zindagi me nahi aaya tha. raj ne simran ki life me entry mar kar kaiyon ki zindagi me hulchal macha di thi. raj ne simran ke jaisi ek bhi ladki aaj tak nahi dekhi thi.. khatarnak, ghamandi, ziddi aur darya dil, kitne hi roop the simran ke.
aur raj ke paas bhi kuch roop the, sabse strong haramipan, dusra apne ke liye jaan par khel jana, unhe beinteha mohabbat dena aur unke liye kuch bhi kase bhi kar jana.
simran parivar ke sabhi members ki baaton ne raj ko bohut kuch sochne par majbur kar dia tha.
sabki baaten khatam hui toh simran sab ko dekhti hui uth khadi hui. simran chalti hui sabke beech me khadi ho gai. aur bade pyar se mud ke raj ko dekhne lagi. raj aur baki sab bhi simran ko dekhne lage. simran ke honto ki muskan gehri hoti ja rahi thi aur raj samet sabke dilon ki dhadkan badhti ja rahi thi.