EPISODE : 02
-----------------
LOCATION : THE GOLDEN RESIDENCY
TIME : 12AM
DATE : 04 OCTOBER 2023
Uska baad woh ladka cab mai baith jata hai aur nikal jaata hai vishwajeet ka ghar ki tarf ki taraf .
[ dosto ab yaha sa kahani ka hero ko main voice over de rha hu , matlab ap kahani puri mera najariya sa chalegi ]
Karib raat ka 12 bhaje mai VISHWAJEET uncle ka Ghar jaha par hai waha par paunch jata hu .
[ Vishwajeet uncle jaha par rehta hai woh ek bahut bada area hai jo bahut dur tak fhali Hui hai , Ghar Bane hua hai , aur sare gharo ko cover karte hai ek common sa boundary wall bana hua hai . matlab ye residency ek main road ka karib bani thi toh main road sa just andar hate hi pura residency ka bahar security guards phaera de rha tha , iss residency ko sarkar na bahut Paisa deka banaya tha , high class families ka liye , aur aj yaha par bahut sare log apna ghar bana chuke tha . ]
Mai jis cab mai baitha tha woh cab residency ka bahar jo security guards mojud tha woh rok leta hai .
Security guard 1 : kise milna hai aapko ?
Aditya : mujhe vishwajeet Roy sa milna hai ?
Security guard 1 : sir ap unka kon lagte hai ?
Aditya : uncle mai yaha par naya rehna aaya hu , mujhe ritesh tiwari na bheja hai .
Security guard : ritesh tiwari ye wahi hai na jo army mai general tha aur retire hua tha bahut salo phela , jo yaha par rehta tha .
Aditya : hmm uncle .
Security guard : okk
Uska baad dusra security guard residency ka gate khol deta hai aur phela security guard jo abhi khidki ka pass kahara tha woh driver ko bishwajeet uncle ka Ghar ka rasta bata deta hai .
Uska baad cab andar jati hai aur mujhe thik vishwajeet uncle ka Ghar ka bahar drop karti hai .
Mai cab sa nikalta hu aur cab sa Sara saman nikal leta hu , uska baad woh cab chali jati hai , idhar mai sabsa phela Vishwajeet uncle ka Ghar ka doorbell bajata hu .
" DINGG...DONGGG "
Pheli baar toh koi gate nhi khola , phir maina ek do baar aur bell bajaai , fir mujhe ghar ka andar sa kisis ka aane ki awaaj sunai di ,
Fir thori der baad gate khulta hai , aur ab mera samne ek Sundar si mahila jo karib 30 saal ki hogi woh khari thi , uss mahila na ek white coloured ki loose shirt paheni hoti hai jo sirf unke ghutno Tak aa rha hota hai , ek baar toh mai uss mahile ka chera ko dekh ka koh sa gya tha , dikhane mai katai sundar .
Aurat : ji aap kon ?
Uss aurat ka puchna sa mai apna hosh Mai aata hu .
Aditya : mera naam Aditya sharma hai , mujhe vishwajeet uncle sa milna hai ?
Aurat : woh toh abhi apna kisi kaam ka silsila mai bahar Gaye hai , apko unsa kya kaam hai ?
Aditya : actually mai ritesh tiwari ka Bhai ka beta hu .
Aurat : ritesh tiwari hmm , ye naam toh kahi suna suna sa lagta hai
Kuch der sochne ka baad .
Aurat : ritesh tiwari matlab , woh retired army general ?
Aditya : hmm .
Aurat : lekin unka toh koi bhai hai hi nhi .
Aditya : nhi matlab mai unka dost ka beta hu , mera papa aur ritesh uncle dono bahut acha dost hai aur bhai bhai jaisa hai .
Aurat : tum ritesh tiwari ka dost yani Sanjay Sharma ka beta ho ?
Aditya : hmm .
Aurat : ohh tab aao andar aao ,
Aurat bolke mujhe andar aane ka jagah deti hai aur mai ghar ka andar chala aata hu , lekin mujhe thori saram aa rhi thi kyuki raat ka 12 bhaj rha hai aur upar sa ek ajawan ladka ek parayi aurat jo ghar mai akeli hai uska ghar mai aane .
Aurat dinning hall mai aati hai .
Aurat : aur bataao Sanjay bhaisahab aur usha ji kaisi hai ?
Apna mummy papa ka naam sun ke mai thora mayush ho jata hu , aur ye bata woh aurat bhi notice kar leti hai .
Aurat : kya hua beta tumhara chera kyu latak gya .
Aditya : kuch nhi aunty woh actually Mera mummy papa ab is duniya mai nhi rahe .
Aurat ( ye sun ke hayran ho gyi ) : kab hua ye .
Aditya : ho Gaye honga 17-18 saal .
Aurat : sorry beta mujhe pta nhi thi ye baat .
Aditya : koi baat nhi , waisa aap kon hai ?
Aurat : mai vishwajeet Roy ki biwi hu , sonakshi Roy .
Aditya : aunty woh ritesh uncle na kaha tha ki vishwajeet uncle ka Ghar sa house no 09 ka chabi le Lena , jo makan unka hai .
Sonakshi : hmm tumhare Vishwajeet uncle na kahi thi ye baat , ruko mai tumha abhi deti hu uss Ghar ki keys .
Ye bol sonakshi aunty jati hai aur ek drawer kholti hai aur ek chabi ka gunha lakar mujhe deti hai .
Sonakshi : ye lo beta ye hai ritesh bhaishab ka ghar ki chabi .
ADITYA : thank you aunty .
Sonakshi : are isma thank you ki kya bata hai , waisa tumsa ek baat puch sakti hu ?
Aditya : hmm aunty puchiye na ?
Sonakshi : tum yaha kis ka liya aaye ho matlab job ka liya ya study ka liya aaye ho ?
Aditya : aunty mai yaha par study ka liya aaya hu , jo college hai na EV UNIVERSITY waha par mera selection hua hai .
Sonakshi : waah ye toh bahut achi khabar hai .
Aditya : acha aunty ab mai chalta hu .
Sonakshi : thik hai beta .
Uska baad mai vishwajeet uncle ka Ghar sa bahar aa jata hj aur apna saman leka mai thori dur aage jata hu ki
Me : are maina toh ye pucha hi nhi ye house no 9 hai kidhar , yaha par toh do raste ja rha hai , kya ek baar phir sa jau , nhi nhi unhe lagega ki mai unhe pareshan kar rha hu ,kya karu ab koi hai bhi nhi jisa puch saku .
Mai abhi apna soch mai khoya hua tha ki ek Scorpio gaadi aati hai Mera piche sa .
Mujhe gaadi ka awaaj aate hi piche mudta hu toh dekhta hu ki ek car aa rhi hoti hai
Me : hmm ye sahi rahega isna puch leta hu .
Mai apna haath aage karke gaadi ko rokna ka ishara karta hu .
Gaadi ka andar jo koi bhi baitha tha usma gaadi roki aur idhar gaadi rukte hi mai uss gaadi ka khidki ka pass paucha .
Toh andar jo bhi shaks baitha tha unhone na apna gaadi ka sisha niche Kiya ,
Sisha niche karte hi mujhe andar ek mahila dikhi jo dikhane mai sawli thi , uss mahila na ek white colour ki tishirt paheni thi jo uss mahila ka looks par jach rha tha .
Idhae sisha niche hote hi gaadi ka andar ki mahila mujhe dekhti hai toh dekhti reh jati hai kyuki aj tak unhone itna khubsurat sa chera kahi nhi dekha tha , chera ko dekh ka hi samajh aa rha tha ki mera chera pa masumiyat kut kut ka bhair hai , brown colour ki eyes jo mera ankho ko aur aur aur face par match ho rha hota hai .
[ Ab kya kare aapka bhai hai hi itna Sundar , ki chaiye ladki ho yaa shadi sudha ya kuwari aurat sab fisal hi jaati hai ek baar to ]
Mai bhi dekhta hu ki woh mahila sirf mujhe dekh ja rhi hoti hai , toh mai apna khayalo sa bahar aata hu .
Me : madam .
Woh aurat awaaz sunte hi apna khayalo sa bahar aati hai , aur bolti hai
Aurat : kon ho tum aur yaha itni raat ko kya kar rha ho ?
Me : madam mai yaha par naya rehna aaya hu , mujhe house number 9 kaha hai ye bta sakti hai aap ?
Aurat : hmm
Bolke woh aurat apna gaadi sa niche utar ti hai .
Aurat : hmm yaha sa sidhe jao 3 Ghar chor ke right Lena fir aage Jake left Lena tumhe mil jayega house no 9 .
Me : thank you
Bolke waha sa nikal jaata hu toh wahi aurat mujhe jata hua dekh kuch bolna wali hoti hai ki tabhi uss aurat ka mobile baj uth ta hai .
Aurat apna mobile nikalti hai aur phone pick kar leti hai .
On call conversation :
------------------------------
Aurat : hello kon bol rha hai ?
Dusri taraf : didi mai Puja bol rhi hu .
Aurat : hmm bol meri gudiya .
Puja : kaha par ho didi aap ?
Aurat : bas Ghar ka bahar hi hu , gate khol .
Puja : okk ..
Call disconnect
---------------------
Ek baar woh aurat fir usi taraf dekhti hai jis taraf mai gya tha , uska baad woh aurat wapas sa apna gaadi mai baith ti hai aur apna ghar ka liya nikal jati hai .
-----------------------------
Idhar mai uss aurat ka bataye hua nakshe kadam par chalta hu aur sabsa phela right turn leta hu fir thori dur aage Jake sbasa phela left turn le leta hu , fir ek ghar aage Jake mujhe ek Ghar ka bahar house no 9 ka board laga hua dikhta hai .
Me : hmm ghar toh bhadiya hai , ekdam modern look , aur colour ki choice matlab ekdam lalantop . .
Mai isa aage kuch karta mera phone fir sa bajh utha maina dekha ki bade papa phone kar rha hota hai tab mujhe station wali baat yaad aati hai , mai fauran phone pick karta hu .
Me : hmm bade papa mai paunch gya hu aur Ghar bhi mil gya hai .
Bade papa ( ritesh ) : chalo achi baat hai ye , aur suno beta maina tumhare rehna ka Sara saman ka order de Diya hai jo kal saam Tak aa jayega .
Me : thik hai bade papa , aur aap log aa gaye candle light dinner kar ke ?
Bade papa : hmm beta mai tumhari badi maa abhi adha ghante phela ayae hai dinner karke .
Me : okk bade papa , good night .
Bade papa : good night beta .
Phone disconnect .
[ bade papa ka Ghar house no 9 , ek 2 story ki building hai , uss Ghar pa ek balcony hoti hai , ghar pa bahut hi sundar sa paint Kiya hua tha , chath thi aur chath ka upar bahar sa hi do tank dikh rha
hota hai , charo taraf ghar ka bahar andhera tha ]
Mai Jake Ghar ka gate kholta hu aur Ghar ka andar chala jata hu , aur Ghar ka andar aake sabsa phela lights on karta hu , lights on karte hi mai bahut hi hayraan ho jata hu , kyuki Ghar ekdam saf Sutra tha , ek bahut bada dinning hall tha , gorund floor pa dinning hall sa connected total 3 rooms hota hai , jisma sa ek kitchen toh dusra bathroom aur tisra puja karna ka room hota hai , toh wahi ek dinning table aur 4 chairs bhi Lage hua tha ]
Me : yaar kitna Sundar hai ye Ghar .
Uska baad mai apna saman niche jamin pa rakhta hu aur fir uska baad mai apna saath jo kahana laya tha usa bag sa bahar nikalta hu aur dinning table mai Jake baith ke khana akhane lagta hu ,
Waisa ghar toh ekdam saf Sutra tha lekin bade papa aur badi maa ko iss ghar sa odisha Gaye hua karib 20 saal ho chuke hai , toh isliya ghar mai jyada kuch nhi bas ek dinning table rakha hua tha , toh isliya mai sabsa phela khana khane lagta hu fir apna trolly mai sa ek kambal nikalta hu aur niche jamen mai bicha leta hu fir lights band karke so jata hu .
------------------------------
LOCATION : CHENNAI
Toh wahi chennai ka ek sunsan jagah pa ek band pare godown ka andar bahut sare aadmi apna hatho mai hatiyar liye khare hote hai , aur uss aadmi ka samne do shaks ka hath pair band ka Jamin mai baitha hua tha .
Aadmi ( vikash ) : salo tumha kya laga ki tum dono mera drugs lekar farar ho jaoge . Haa .
Dono mai sa ek shaks kharathe hua bolta hai : v... Vika... Vikasshhh. Bhaiya hame maaf kar do , hamesh galti ho gyi .
Vikash kusri sa khara hota hai aur apna hath aage karta hai fir vikash ka ek aadmi usa ek chaku deta hai .
Vikash apna hatho mai chaku ko bahut hi tightly pakad leta hai , aur unn dono shaks ka taraf bhadne lagta hai .
Shaks 1 ( vikash ka hatho mai chaku dekh ke , apni taraf aata dekh ke woh shaks ghabra jata hai ) : bhai hame maaf kar do aage sa hum aisa kabhi nhi karenga .
Vikash dono shaks ka ekdam pass paunch jata hai aur ek shaks ka Baal pakad leta hai aur usa utha ta hai .
Vikash : sale tujhe maaf kar du , pta hai na mujhe gadari karna ka matlab apni maut ko dawat dena hai .
" KHAAAACCCHHHHHH , KHHAAACCCCHHHH , SWOOOOSSHHHHH , AHHHHHHHH ,AHHHHHH "
vikash chaku uss aadmi ka pet ka andar ghusa deta hai , aur ye kaam aur do teen bar karta hai , jissa woh aadmi ek dard Hari chik nikalta hai aur kuch hi der mai wahi par mar jata hai .
Toh phela aadmi ko Marne ka baad vikash dusra aadmi ki taraf jata hai aur is baar woh chaku ko apna aadmi ko de deta hai. Fir uska aadmi usa ek gun deta hai aur vikash woh gun uss aadmi ki taraf point kar deta hai ur
" SWOOOSHSHHHH .... SWOOOSHSHHHH "
Do goliya chali , ek goli Jake aadmi ka dil ko chirte Hui nikli toh wahi dusri goli uss aadmi ka direct sir mai Jake lagi , aur woh dusra aadmi bhi wahi mar gya .
Dono aamdiyo ko khatam karna ka baad vikash apna sathiyo ka saath uss godown sa bahar nikalta hai aur godown ka bahar rakhe apna gadiyo mai baith ta hai aur nikal jata hai .
_______________________________