Update 4
malik- Jab tumne kallu ko khoja toh vo tumhe kahin kyun nahi mila”
Admi- nahi janta sahab , uski aur meri duri kuch fasle par hee thi , lekin mein usse dhund
Hee nahi paya sahab , nahi dhund paya usse mein , sirf 2 baar uski dardnak ,
Cheekh suni bas uske alwa kuch aur nahi ( uss admi ki awaz mein dar , kampan aur)
Ek gehra sawal jhalak raha tha
Malik- “ baht ajeeb baat hai ye , ek admi achanak aise kaise gayab ho sakta hai , jarur koi
Toh baat hogi”
Golu- “mein aapko bol raha hun sahab , vahn koi shaitan ka vaas hai , jo soh raha tha aur
Shayad , shayad humne usse jaga diya”( us admi ne atakte hue apni baat ko pura)
Kiya
Malik- aisa kaise ho sakta hai , ye sab batein bekar ki hai inka koi matlb nahi hai ye
Jarur kuch aur hai (kursi pe baithe admi ne samjhane ki kosish ki)
Golu- apko aisa lagta hai toh ye bataiye ki ye kaam kiska ho sakta hai bolte hue galu
Ke sath jo admi tha usne apne cehre ko bepardah kiya jisse dekh ke kursi pe
Baithe admi ki awaz band ho gayi
Uss admi ka adha cehra , ajeeb se chalon se bhara hua tha , jispe ajeeb ajeeb se
Chote chote kidde se dikhai de rhe the
Malik-ye , ye kya hai ( haklate huee uss admi ne pucha)
Admi- ye vo chiz hai sahab jo mujhe kal mili uss jagh pe aur iska ilaz kisi dawaikhane
Pe bhi nahi hai
( uss admi ne kaha aur apna cehra fir se dhak liya)
Golu- meri baat maniye sahab vahn kuch hai jo nahi hona cahie shayad koi bada
Admi- Tuffan anne vala hai ek aisa tuffan jiski asliyat sab ko khatam kar degi ( pehle
Valle admi ne iss baat ko ek aise lehze mein kaha ki ek pal ke liye sabki ruh mein
Ajeeb si kampan daud gayi)
hall mein shanti fail gayi ki tabhi
“ chataakkkkkkkkk “ ek baar fir hall mein awaz ayi jisse sabki dil ko ek jor ka dhaka
Laga lekin sabne paya ki hall mein laggi khidki khul gayi thi aur hawa andar aa
Rahi thi naukar utha usne khidki ko band kiya aur fir lakdiyan jalane mein lag
Gaya jo ki abhi tak nahi jalai gayi thi kyun ki vo khud ye sab batein sunne mein kho
Gaya tha vo lakdiyan jala hee raha tha ki itni der mein darwaje pe knock hua
Malik- lagta hai vo aa gaya chotu zara jaake darwaja khol (kursi pe baithe admi ne)
Fauran kaha chotu utha aur darwaje ke pass pahuch kar usse khola
Chotu- aiyee sahab
Apka hee intezar kar rhe the
chotu ne itna keha aur darwaje se ek shaks ko andar
Anne ki jagh de di
Aur wo aa Gaya
Andar ghuste hee uss admi ne apni chatri bandh ki aur chotu ko de di black coat
Mae chalta hua wo admi hall ke andar ghusa jisse dekh kar sab ek baar fir khade
Ho gaye sivai uss kursi pe baithe admi ke
aree malik aap yahn unme se ek admi ne kaha.
Uss admi ne kuch nahi kaha bas apni topi apne sar se hatai aur kursi pe baithe
Admi ki tarf badha
“aao , ahmed aao , tumhara hee intezar kiya jaa raha tha “
“ apke bulawe pe toh ana hee tha abdullah sahab kaise hain aap ahmed ne kursi
Pe baithte hue kaha jo abhi abhi chotu rakh ke gaya tha
“ bass kuch der pehle tak toh theek tha , par in sab ki batein sun ke “ abdullah ne
Bass itna hee kaha aur vo chup ho gaya .
“ toh aap sab ne inhe sab kuch bata diya “ ahmed ne sabhi ki tarf nazre karte hue
Kaha .
“ kya karte malik , ek ke baad ek hamare kuch admi in 2 dino mein gayab ho gaye ,
Isliye hume ana hee pada badde malik se milne “ uss admi ne hath jodte hue kaha.
“ hmm , mein tabhi samajh gaya tha , jab abdullah sahab ka phone aya tha sham ko
, ki kis vishay mein baat karni hai “ ahmed ne apne hath mein pehne gloves utarte
Hue kaha .
“ mene tumhe isiliye bulaya , ki jab mujhe in sab ne milne ke liye kaha toh mujhe
Laga koi baddi baat hogi , kyun ki agar koi choti , moti hoti toh tum usse khud suljha
Lete “ abdullah ne apne hath masalte hue kaha.
“ hmm sahi kaha apne , baat thodi baddi hee hai abdullah sahab “ ahmed ne ajeeb
Si nazron se abdullah ko dekha , dono ke bich kuch second ke liye ankhon mein
Ishare hue , fir dono samne majduron ko dekhne lagge.
“ samsya toh hai , par itni bhi baddi nahi ki , usse suljhaya na jaa sake “ ahmed apni
Jagh se khada hota hua bola.
“ lekin ye sab jo keh rahe hain , vo sab kya hai “ abdullah ne khade hote hue kaha .
“ koi hai abdullah sahab , jo shayad hamare sath khel kar raha hai , koi hai jo nahi
Cahata vahn kaam ho “ ahmed ne panni ka glass bharte hue kaha .
“ sahi kaha malik apne , vahn koi shaitani ruh hai , jo nahi cahati hum vahn kaam
Kare , nahi cahati vo , tabhi vo hum sab ko gayab kar rahi hai “
Ahmed ne panni ka glass khatam kiya aur piche mud ke sabhi ko dekhne laga , “
Aisa kuch nahi hai jaisa tum sab soch rahe ho , koi shaitan nahi hai , tum sab apne
Dimag se ye bhram nikal do” ahmed ne sabko samjhate hue kaha .
“ ye aap kaise keh sakte hain malik , aap toh the 2 din hamare sath , kitna dhunda
Kalu ko aur bakiyon ko , par koi nahi mila hume , vahn koi bhatakti ruh hai malik ,
Koi baht hee shaktishali aur khatrnak ruh , hum vahn kaam nahi karenge , koi nahi ,
Hum mein se koi bhi nahi karega “ unme se ek admi ne thodi tezz awaz
Mein kaha .
“ kaam nahi karoge , aise kaise nahi karoge tum sab kaam “ pehli baar abdullah
Thode gusse mein bole.
“ abdullah sahab aap shant rahie , dekho tum sab , kalu kahan gaya aur bakki sab
Kahan gaye unka pata police jaldi hee laga legi , uski fikar tum sab mat karo , rahi
Baat kisi bhatakti ruh ki toh vo sab tumhare man ka veham hai , mein bhi toh kal
Tumhare sath pura din tha , mujhe toh kuch aisa nahi dikha
“ kyun ki sahab aap dono din , jaldi chale gaye the , aur ye hadse sham ko
Takreeban 5 se 6 ke bich hue hain , humne apko aur badde malik ko apna faisla
Suna diya hai , hum mein se koi bhi kaam nahi karega “
“ kya karoge fir agar kaam nahi karoge toh , kya hoga tumhare biwi bachon ka ,
Jante ho na ki jitne paise tumhe yahn roz ke mil rahe hain , utne tum 5 dino mein
Bhi nahi kama paoge , vaise bhi yahn pe uss hadse ke baad kaam milne band ho
Gaye hain , jaldi tumhe koi kaam nahi milega “ ahmed ne majdurun ki kamjori ko
Pakdte hue unko ek dusra pehlu dikhaya .
Ahmed ki baat sun ki sabhi majdurun ka josh ek pal ke liye thanda padh gaya , hall
Mein shanti thi , bas kuch awaz thi toh un lakdiyun ke jalne ki .
“ par paison ke liye hume apni jaan jukhim mein nahi dalenge sahab” shanti ko
Todte hue raghu ne kaha .
“tumhe kya lagta hai , vahn kaam karne se tumhari maut ho jayegi “ ahmed ne
Raghu ki tarf badte hue kaha
“ maut ho nahi jayegi sahab , maut ho hee gayi thi , naa janne kaise bach gaya
Mein , vo jagh shrapit hai sahab , shrapit hai vo jagh , vahn koi insan kuch nahi kar
Sakta , usne mujhe kaan mein kaha tha , han kaha tha usne mujhe kaan mein , inhi
Kaan mein “ raghu thoda gurate huee bol raha tha , uski sansein tezz chal rahi thi ,
Uske cehre ki rangat kaffi badli hui nazar aa rahi thi .
“ kisne aur kya kaha tha tumse raghu “ iss baar ahmed ne thodi narmi se kaha .
“ uss behti hawa ne malik , maut , maut , uss behti hawa mein maut ka sandesh tha
“ raghu ne awaz bitha ke kaha , uski awaz mein ek aisi kanpan thi , jisse sun ke
Sabhi ke sharir mein kampan ho gayi .
“ vo sirf tumhara veham hai raghu , vahn aisa kuch nahi hai jaisa tum soch rahe ho ,
Agar fir bhi aap sab ko aisa lagta hai ki vahn koi shaitani ruh hai , koi pret , atma ya
Koi bhi adrishye shakti hai toh theek hai mein vahn jaunga aaj raat ko “ ahmed ne
Apna faisla sunaya
“ nahi…..Nahi malik , ye bhool mat krna , uss jagh pe koi zindagi jati toh apni marzi
Se hai , par usko maut uski marzi se milti hai “ raghu ne baht baddi baat ahmed ke
Liye gaye faisle pe keh dalli.
Ahmed , raghu ki baat sun ke kuch nahi bol paya , aur chalta hua hall ki khidki ke
Pass jaake khada ho gaya jahn abhi bhi halki halki barrish ho rahi thi par hawa ki
Vajh se zor zor se bahr badde badde piad hil rhe the , raghu ek pal ke liye ahmed ko
Dekhta raha aur fir vo hall se nikal gaya , uske jatte hee unme se ek ne kehna shuru
Kiya .
“ dekhie sahab , hum garrib admi hai , hamari zindagi aur hamara pariwar hee sab
Kuch hai , agar hume kuch ho gaya toh hamare pariwar ka kya hoga “ ek admi ne
Hath jod ke vinti karte hue kaha
( total words 1700+)