Haunted update 2
Previous
Ab age chalta hai
Admi – dekho muje kuch nhi pata hai tum ky bolna chahte ho
Saf saf bolo
( kursi par bete admi ne narami se bola)
Tabhi dusra admi- y golu chup ho ja
Are sahab se baat karne ki tameej nhi hai Tuje
( to jo bat bol raha tha uska nam golu tha, or ek admi ne uska hath pakad kar bola)
Dura admi- maf karna sahab jawan khun hai jis Mae toda ucha bol gya dhyan nahi raha ise ki madhur or malik Mae bahot fark hota hai
( usi admi ne fir hath jod kar kaha)
(Ab main golu or malik likhunga )
Malik – wo sab chodo or y batao ki ky bat hai
Or tum itne ghabra hue kyu lag raha ho mujhey
Golu- bat hi kuch esa hai sahab ki jise sun aur dheka kar ghabrahat ki Lahar hum sabhi ke sarir Mae dod rahi hai
( golu ne dhime Aawaj Mae kaha or jese jese uske age bolana suru kiya uske Sakal ke bhao badlane lage)
Golu- sahab jis jagha pe hum kam kar rhe hai
Malik- ha age bolo
Golu- waha par bahot kuch galt ho rha hai
Malik – ky galat ho raha hai golu
Golu- sahab koi hai jo hame kam nahi karne dena chahata hai
Koi bar bar hame chetwoni ( woring) de raha hai waha se chale jane ko
Malik- kon hai wo ( uski batao Mae ek chinta thi)
Golu- sayad koi shetan hai sahab kyu ki ek shetan hi esa kam kar kar sakta hai
Malik- kese kam ki bat kar rahe ho tum ky hua hai
Golu- mot mout hui hai waha
Wo koi am mout nahi sahab bahot hi drdnak mout
Mout ka nam sunte hi kursi par bet admi ki ankhe badi ho gai mano usko bahot bada jhatka diya ho abhi
Malik- mout shetan y ky bol rahe ho tum muje abhi tak kuch samjh nhi aya hai Akhir ky hua hai saf saf kyu nhi bata rahe ho tum log muje
( is bar usne todi jor se bat ki)
Ek pal ke liye waha shanti ho gai golu bhi kuch nhi bola
Jamin par beta hue sare log golu ki or dekh rahe thi golu ky bolega or Akhir usne bolna suru kiya
Golu- sahab kal ki bat hai jab hum sab waha kam karne ke liye phuche
Flashback
Subha ka samy acha khass din nikal raha tha suraj ni us jagha par achi chap chodo thi
Kuli jagha jagha ki halat kafi bigadi hui thi or sayad aur tabhi us badi si jagha par sor ho raha tha kam karne ka sur
Kafi sare admi lage hue the kam karne ke liye
Koi ped( tree) kat raha tha koi kudai kar raha tha koi mitti utha raha tha track Mae dal raha tha koi jungle Mae kam kar raha tha
Y sab karte karte kab subha se sham ho gai pata hi nhi chala
Ek ek karke us jagha se admi apne apne ghar jane lage jaha kam ka sour tha ab dhire dhire km ho raha tha
Lekin koi tha us jagha par ab bhi kam kar raha tha
Kache.. Kacg… mach… mach.. Kachhi.. Mach… kach…
Laga tar ek ke bad ek chot jamin par karta hua majdoor apne kam Mae laga hua tha mitti khod khod kar wo itna bada gada bana chuka tha ki uska adha sarir us fade Mae chup gya tha
Are kalu time ho geya hai chal
( to jo gadha kohd rha hai uska nam kalu hai)
Kalu- ha ha bas todi der or
Ise pura kar lu pahle
Or is bar fir usne mitti ko mara to is bar mitti ki nahi kisi aur chij ki Awaaj aai
Kalu ne us jagha par dubara hath mara to fir yahi Awaaj aai aur usne apne hatho se se dhire dhire mitti hatni suru ki aur uski ankho ke samne kuch chamkti chij nazar ane lagi
Suraj ki Roshni Mae wo chij or bhi chamkeli lag rahi thi kalu ke chahre par ek Muskan aa gai jab usne us chij ko dekha to
Aur usne apne hath dhire dhire us chij ki aur badna suru kiya
Tabhi dusre admi ne- are chal bhi sham ho gai ghar jate jate der ho jaygi
Kalu- tu chal main aa raha hu
Kalu ne us admi se kaha or us chamkdar chij ko dekhne laga aur apna hath us chij ki aur badna laga aur Akhir kar usne us chij ko pakda aur utha liya
Par sayad y kalu ki galti thi
Aur hawa Aawaj karte hue tehi se chalne lagi
Badal jor se kadia
Kad.. Kad… kad… kad… badlo ki Awaaj waha par jor se bijli kadkne lagi badlo ki wajah se jo andhera hua tha wo bijli ki wajah se Roshni
Y dekh dur admi ki halat buri ho gai
Admi- are kalu chal bhi dekh nahi raha hai lagta hai bahot bada Tufaan ane wala hai
Jaldi kar muje kuch acha nahi lag raha hai
Kalu- ha ha ho gya
Aur dur khade admi ko achanak laga ki thand kese lag rahi hai
Aur usne fir jo dheka sayad uska apni ankho par bharosa nahi raha
Usne apni ankho ko ek bar apne hath se mala
Ki y koi baram to nahi hai