Shreyas ne shehzad ke ghar se nikalte hi anshika ko phone milaya, ring jaa rahi thi, shreyas ke mathe par tanav tha, " hello " anshika ne do baar shreyas ka naam pukara tab use mehsus hua ki phone uth chuka hai.
" anshika "
" shreyas, tum theek ho ? " shreyas ne pause le rakha tha " mujhe ghabrahat ho rahi hai bolo kya hua "
" vo ring jo shehzad ki maa ne use di thi vo kisi dargah se nahi balki vo use shehzad ke saman se hi mili thi aur jab uski maa ne use pucha to usne bas itna batya ki uske aur uske pariwar ki tarikki ke liye laya hai. "
" to uski maa ne jhuth kyu bola tha ? "
" kyun ki police ki karwhai karne ke baad sab use chor kehne lage is dar se unhone mujhse is baat ko chupaya ki kahin mein bhi use chor na maan baithun "
" par vo anguthi chori kyun karega jab use bechni nahi thi to, shreyas mujhe abhi bhi ise kuch samajh nahi aa raha "
" kyun ki baat ye jaruri hai hi nahi, mene tumhe bataya tha ki hospital mein shehzad ko uski maa ne vo anguthi pehnai thi "
" han "
" vo uske marne ke baad kisi ko nahi mili, na uski ungli mein thi na hi uske ghar walon ko mili na police ko " badal asman mein ikhate hone lage the, bizli kadak rahi thi.
" to ab ? " anshika do pal baad boli.
" is kahani ka us ring se koi na koi connection hai anshika "
" tumhe aisa kyun lagta hai ? " anshika ko lagne laga tha ki shreyas ko kuch yaad aa gaya hai.
" kyun ki jin jin logon ki mautein hui hai unka aisi hi kisi ring se koi connection tha " bizli ek bar phir jor se kadki aur buna-bandi baarish shuru ho gayi. " baarish ho rahi hai, mujhe hotel pahunchna hoga "
Ek Ring ka kisi ki maut se kya taluk ho sakta hai ? ek-do nahi balki har baar vahi log mere sapne mein aye jinke pas koi aisi hi ring thi jisne unki takleef dur ki thi ye sirf ek itefak hai ya phir uska is kahani se vakai koi rishta hai? Shreyas khidki par khada baarish ko dekhte hue soch raha tha ki uska phone bajne laga.
" hello " usne ek pal suna " tumhe kahan mila ? "
" mujhe jada yaad nahi lekin ek do baar tumhare sapnon mein hi mene naam sune the, tumhari shehzad wali khabar paper mein ayi ye soch kar mene un namo se internet par khojna shuru kiya to mujhe ek aur case mila hai shreyas, iska naam shalini tha aur ek raat ye apne "
" ghar ki chat se gir kar mari thi " shreyas ne anshika ki baat puri ki. Naam sunte hi use apna pura sapna yaad aagaya tha.
" tumhe yaad hai shreyas, agar kahani tumse judi hai to tumhe use khojne ka rasta banana padega " anshika ki samjdhari ne shreyas ko ek rasta dikha dia.
" thank you anshika, mujhe lagta hai mere pas ek rasta hai is paheli ko hal karne ka, mei ab ek-ek kar un namo ki list banata hun jinhe mene sapne mein marte dekha "
" aur phir ? "
" phir hum unke bare mein pata karenge " shreyas paper par ek-ek kar naam likhta gaya, jitne usne dekhe sab aur jab vo naam likh kar hatta to uska hairani ka thikana nahi tha.
" 343 log anshika, sab ki mautein mene dekhi hai " vo ek pal shant hua, " ab to aisa lagne laga hai ki kahin meri vajah se hi "
" nahi shreyas isme tumhari koi galti nahi, trust me tumhari kabhi koi galti nahi thi, galti to mene ki thi tumhare pyar ko na dekh kar " anshika ki ankhein nam ho gayi thi, kai salon ki baatein uske dil mein aaj tak maujud thi par kudrat ka khel aisa tha ki uski galti ki saza use is tarah mil rahi thi, na vo apne pyar ke sath reh paa raha thi na hi do pal dil ki baat kar paa rahi thi. Do pal tak phone par khamoshi hi chai rahi.
" anshika mei... " jitna anshika ke liye mushkil tha utna hi shreyas ke liye bhi, vo is pal ko kab se jina chahta tha par jese waqt use khafa tha, ankhein uski bhi nam thi.
Anshika ne ankh se chalak aye ansu ko hataya " mei bhi baat ko kahan se kahan le ayi tum vese hi pareshan ho, ab kya karna hai ? " shreyas is kahani ko khud se dur karke ab bas anshika ke sath rehna chahta tha isliye usne is baat ko us pal ke liye chhod dia jab uske pas sirf anshika hogi aur waqt bhi.
" hume sabke bare mein ek ek karke pata karenge "
" hum khojna kya chahte hain shreyas ? "
" aisa kuch jise mujhe kuch yaad aa jaye " shreyas aur anshika dono ek-ek naam ko internet ki madad se khojne lage, kuch naam katte to kuch naamon par kuch na milne par use alag rakh dia. Jitna dono dekh rahe the uski kahani aur photo hairan kar dene wali thi. Anshika jada hairan thi shreyas to jese har naye naam par us sapne ko jee raha tha. Adhi raat beet chuki thi, shreyas ne anshika ko sone bhej dia tha ab vo akele hi is kaam mein laga tha. Coffe me mug se halka dhuain nikal raha tha, usne ubasi lete hue ek aur naam pen se cut kiya aur coffe ki chuski lete hue ek pal yun hi baith gaya aur ankhein band karke unhe aram dene laga. Dimag bilkul shant nahi tha har pal vo photos dimag mein, vo kahaniyan jo abhi mili jo padhi sab. Eka-ek uski ankh khuli, usne coffe cup table par rakha aur kagaz par katta apna akhri naam dekha aur phone utha kar phir usi naam se uski kahani search ki.
" Mohmmad jo ek local gunda tha jiski 21 tarikh ki raat ko behrami se kisi ne hatya kar di, mysore police abhi tak us khuni ko khojne mein nakamayab rahi hai, ye pehla aisa case nahi jisne mysore jese chote sheher mein dehshat faila rakhi hai. Police inspector Surjeet Sharma ke mutabik vo case ki chaan-bin kar rahe hain aur kuch pata chalne par jarur sabko suchit karenge. Inspctor Sharma ne kisi bhi janwar ke hamle ko nakrte hue kaha ki afwaon par dhayan na dein aur apne aap ko surakshit rakhe. Inspector sharma ne iske aage ye bhi bataya ki mohmmad ne kuch waqt se kafi pesa kama liya tha aur ye ek vajah ho sakti hai uske khoon hone ki. Inspector sharma se aur jankari leni chahi ... " shreyas ne aage padhna band kar dia aur vo baar-baar sharma ka naam lene laga jese uske naam se dimag ko kuch pata to hai par soch nahi paa raha. Vo kuch der usi ke naam ki rath lagaye rakha aur phir eka-ek uski ankh badhi ho gayi aur phir
Anshika gehri nind mein so rahi thi achanak uska phone baja to uski nind khul gayi, phone par shreyas ka naam aa raha tha, usne turant phone uthaya " shreyas.. ek minute kya hua hai ? mysore kab .... mein aa rahi hun " usne phone rakha aur apni jagah se uth kar chali gayi.