Sansein tez thi, dar ne buri tarah se kabza kar liya tha phir bhi mene apne chehre se hath hataya aur ankhein kholte hi paya ki ab mei kahin aur hi khada tha, kuch samjhta use pehle paun jab dayein aur ghume to wahan dekh ankhein jam gayi.
Nazar samne dur tak jati to sirf ek hi cheez dikhti lal roshni jo niche zameen se aa rahi thi. Napna mushkil tha ki kitni badi jagah hai kyun ki jitni dur tak ankhein dekh sakti thi wahan tak sirf zameen ke niche se atti lal roshni hi dikh rahi thi. Meri nazar jhuki hui thi aur mei niche dekh kar samajhne ki kosish kar raha tha aur use dekhte hue dhire-dhire ankhein uppar ki aaur uthi to ek jagah par jam kar reh gayi.
Samne sateh ke uppar koi laita hua tha karwat ke bal uska pura sharir aisa tha mano sharir se khal khinch li gayi ho aur sharir ko khoon mein chhod diya ho. Har jagah se uska yahi haal tha jis wajah se meri nazar us par pehli dafa mein nahi padi kyun ki niche se atti lal roshni mein vo bhi usi rang ka libas odhe laita tha. Janne ki ichukta mein kadam aage bade aur dhire-dhire samjhne laga ki iski khal nahi udhedi gayi balki iske sharir ka abhi puri tarah se vikas nahi hua hai. Sar se lekar paun tak vo sharir ko samete laite hua tha. Khoon nahi nikal raha tha lekin khoon se bana hua tha isliye aisa lag raha tha jaise khoon mein nehlaya gaya ho. Na hi chehra samajh aa raha tha aur na hi uska ansh malum ho raha tha. Phir ek jagah jakar nazar ruki, jab mei aage badhte hue uske pass pahuncha to dekha uski ungli mein anguthi chamak rahi thi. Anguthi dekhte hi mene ye jaan liya ki mere samne kiska sharir hai, kya ye sahi mauka tha? Kya mei uski kamjori mein pahunch gaya hun aur is mauke ka fayda utha kar iski ungli se uski shakti nikal sakta hun. Ye sochte hi mene do kadam tezi se badaye taki mei uski ungli se anguthi nikal sakun lekin jitni tezi se kadam badaye the use kahin jada teevrta se mein piche ki taraf udta hua zameen par jaa gira ' aarrgghhhhhhhh ' pehle pith ke bal gira ' thaaaapp ' awaz hui par itni teevrta thi ki pith ke bal girne ke baad uchla aur phir ghum kar pet ke bal jaa gira. Hua yun tha ki jaise hi mene uski taraf kadam badaye the achanak se kisi cheez ne mujhe roka jo uske sharir ke charon taraf adrishye takat ke roop mein thi aur usne mujhe utha kar piche patak diya. Kya shakti thi ye mujhe samajh nahi aya par girne ke baad sharir mein akdan bhara dard jarur hua.
" arrgghhhhhhh " mene dard mein mich rakhi ankhein kholi aur jaise hi ankhein khuli dard andar hi ghutt kar mar gaya. Thodi der pehle zameen ke niche jo sirf ek lal roshni dikhai de rahi thi vo itne kareeb se dekhne par samajh aa gayi ki vo koi lal roshni nahi thi balki jalte hue aag ke shole the jisme ek halchal thi. Us aag ke andar ajeeb se danav maujud the lambe lambe panv, badi bhadi si shakal jaise vo deform saksiyat dekhi thi kuch usi akar mein lekin bilkul lal rang jaise aag mein tapne ke baad loha ho jata hai bilkul usi tarah tape gaye the par sirf unke hone ke ehsas ne mujhe nahi daraya balki jo vo kar rahe the usne mera halak sukha diya tha. Usne chain se kisi ko bandha hua tha jaise jaise... ek insan ki ruh ho. Vo use aag ke sholon ke andar tapa raha tha jisme vo ruh cheekh rahi thi bilakh rahi thi lekin awaz jaise andar hi ghut rahi thi. Ye dekh meri sari himmat ek pal ke liye tut gayi kyun ki niche puri dunia isi cheez se bhari thi aur sabhi deform shaks ke pass usi tarah koi ruh thi jinhe chain se bandha hua tha aur aag mein tapaya jaa raha tha. Mei nazar hatana chahta tha par kaise vo wahin jami reh gayi ye mei samajh nahi paya aur fir agle hi pal jo mene dekha usne mujhe in sab ke dekhne ka matlab samjha diya.
" shalini " meri nazar us ruh par ruki jiski maut mene apni ankhon ke samne se dekhi thi jo chatt se gir kar mari thi uski ruh hi thi jisne usne chain se bandha hua tha aur vo aag mein tapti hui chilla rahi thi. " mohmmad " meri nazar ne uski ruh ko pakda jo junwari tha " divya " us bachi ko dekh kar meri ruh kanp uthi jiske sath hi uski ruh bhasam ho gayi aur rakh ban kar ud gayi " naaahi.... " ek pal laga tha jaise vo mujhe hi bula rahi thi lekin agle pal uski ruh rakh ban gayi. Uski ruh ko rakh bana kar us deform shaitan ne taral pardart ke andar apna hath dala jiska rang bhi lal tha mano pani ko itna khaula diya ho ki uska rang hi badal gaya ho aur uske andar se ek aur ruh nikal li.
" shehzad " wahi chemical factory mein kaam karne wala use bhi usne chain se bandh diya aur aag mein tapane laga jise mehsus karte hi uski ruh chatapatne lagi lekin madad karne walla wahan koi bhi majud nahi tha. Abhi uspar se nazar hatti to shalini ki ruh bhasam ho gayi aur rakh ban gayi is baar mujhe aisa laga mano kuch chamkti hui chiz meri ankhon par padi hai jo shayad divya ke bhasam hone par bhi chamki thi par mera dhayan nahi gaya tha. Mene fauran apni nazar uppar uthai to dekha samne laite shaitan ki ungli mei anguthi chamak rahi thi aur phir vo ruh jo bhasam hui thi vo zameen ke niche se nikal kar bahar ayi aur usme ja samayi. Ye adhbhut par behad darwana nazara dekh meri galla sukh gaya aur ye samajh aa gaya ki vo apni takat aise ikhati kar raha tha. Dekhte hi dekhte ek sath kai ruh ki rakh zameen se nikli aur uske sharir mein samati gayi aur jab mene uske sharir mein badlav dekha tab mujhe mere rongte khade hote hue mehsus hone lage. Kuch pal pehle jo sharir sirf khoon mein saja hua tha uspar dhire-dhire mans ki parat chadti jaa rahi thi. Uspar nazar gadaye mei uth baitha jiske sath zameen ke niche se atti lal roshni kahin gayab ho gayi aur ek baar phir mei us ghup andhere mein pahunch gaya.
Andhera chaye hue kuch hi pal bitte honge ki dayine taraf se mere baal hawa mein udne lage aisa laga mano gurtuaakarshan hi khatam ho gya ho. Balon ke sath mene jab apne sharir par mehsus kiya to mene apna hath uthaya jiske sarre baal hawa mein sidhe khade the. Abhi itna hi hua tha ki kano ke pass ek thanda hawa ne sharir ko jhinjhod diya ' haaaaaaaaaaaaaaaaaa ' awaz itni thandi aur takatwar thi ki mera sharir baithe-baithe fisalta hua andhere mein ghumta hua kahin khota gaya.
Na jane kaisi maya thi jo mere sath is tarah ka khel khel rahi thi, dil zoron se dhadak raha tha. Mei ek jagah jakar ruka, nazar abhi bhi samne andhere par hi thi aisa laga mano koi abhi nikal kar ayega. Ek pal baad mein apni jagah se khada hua aur ek kadam piche hua. Piche hatte waqt nahi malum tha ki per ladkhda jayenge aur mei girte-girte bachunga, jaise hi per piche pade mera santulan bigad gaya aur shayad mei gir bhi jata par kisi tarah khud ko sambhalte hue mei ghum gaya aur sambhal kar khada ho gaya. Ankhon ke samne chaukor akar ka ek gadha aya jiski gehrai mein kuch usi tarah ka padarat tha jaisa mene thodi der pehle zameen ke niche dekha tha. Agar mei isme gir jata to shayad isi padarat mein tap kar jhulas jata. Use dekhte hue meri nazar samne ki aaur uthi to hairat mein ankhein khuli reh gayi. Ye koi ek aur nayi maya thi jisme ek lamba patla galiyara tha jiske dono taraf har thodi-thodi dur mein halka ujala tha. Galiyare ka ant vahan se dekh pana namumkin tha.
Mei kuch kadam chalte hue aage aya aur bayein aur ati roshni ki taraf muda jahan pahunchne se pehle samajh gaya ki wahan bhi wahi chaukor akar ka gadha bana hua hai lekin ye nahi janta tha ki uske andar kya hai. Mei ek pal uske thoda dur ruka aur phir nazdeek akar uske andar jhanka. " papa.. " niche harshit papa ka adhmara jism ya ruh keh nahi sakta par dekhte hi meri ankhein hairat mein khul gayi. Vo kafi niche the lekin unka pura jism lal ho chuka tha aur vo chain se bandhe adhe us padart ke andar the aur adhe bahar. Unka chehra uppar ki taraf utha hua tha yani meri ankhein unki ankhon se takra rahi thi. " papa " mei ghutne ke bal baitha is umeed mein ki vo mujhe sun sakte hain lekin unhone koi jawab nahi diya to mene hath bada kar andar se unhe bahar nikalna cha lekin mere hath bahar hi ruk gaye. Koi ardishye deewar thi jiski wajah se mei apna hath andar nahi dal paa raha tha. " papa, papa aap sun sakte hai mujhe " bechain awaz mei mene pukarna chalu rakha lekin vo kuch nahi bole.
Ek pal mene dubara kosish ki lekin vo kuch nahi bole, meri ankhein unki halat dekh bhar ayi aur mein kuch pal yun hi baitha raha phir nazar wahan se hata kar us jagah ko dhang se dekha, aise chaukor akar ke gadhe bahut se the wahan par. Unhe dekh mei apni jagah se khada hua aur dayein aur jakar sabse pehle gadhe ki taraf nazar dal kar dekha " chintu uncle " phir dusra, phir tisra, chautha, panchva. Ek ek kar dekhne shuru kiye jisme mera pura pariwar tha, " maaa " dipz maa ko dekh kar to mere ansu bahar aa nikle. Ansu poch kar mei apni jagah se khada hua aur aage badha. Aur ab bari ayi mere doston ki jisme sab usi halat mein maujud the sabhi ko dekh kar bechain ho utha tha, socha tha ab kisi aur ko nahi dekhunga, himmat hi nahi thi aur tabhi nazar trishti par padi jise dekhne ke baad jo himmat tuti thi vo bikhar hi gayi aur mei ladkhdate hue wahin baith gaya uske pass. " trish.. " uska vo chehra jo meri aaur hi dekh raha tha. Kisi tarah chahta tha ki usko ek dafa chhu sakun lekin us fasle ne dur kar rakha tha. Achanak uska sharir dhire-dhire us padarat ke andar jane laga " no, no no.. trish " mei chillaya " noooo trish " chillate hue mei ardishye deewar par zor-zor se marne laga lekin uska koi fayda nahi hua aur akhir trish meri ankhon ke samne us padart ke andar ja samai. " aarrggghhhhhhhhhhhhhhhh " mei chillaya aur wahin sar rakh kar baith gaya, na jane kyun aaj ek baar phir wahi dard utha jo us waqt utha tha jab mene trish ko khoya tha. Ansu ankh chhod rahe the aur jazbat galla chhodh chuke the. Naak sikodte hue mene ankh se anso poche aur uth baitha.
Jo pehle hi jaa chuka tha use ab kya hi khounga mei, vaise bhi vo mere dil mein zinda hai aur hamesha rahegi. Mei apni jagah se khada hua aur ab kisi aur ko na dekhne ka faisla lete hue usi galiyare mein aage badh gaya. Nahi janta tha ki galiyara kitna bada hai aur isme hai kya lekin iske alawa koi aur rasta nahi tha mere piche sirf andhkar tha. Galiyara khatam ho raha tha ya phir koi naya modh ane wala tha ek safed roshni halki-halki ankhon par pratit hone lagi. Roshni ka abhas pakar mei thodi aur tez kadmo se aage badha lekin kuch hi kadam baad vo dhime ho gaye aur phir ruk hi gaye " anshika " samne anshika hawa mein laiti hui thi aur uske hath khule hue the.
" ye nahi ho sakta, sab mayajaal hai " mene khud ko tassali di lekin man hi man aisa bhi lag raha tha ki yahi hakikat hai, akhir vo pana to use hi chahta hai lekin kaise? itni jaldi kaise ? kya mujhe bahut waqt ho gaya. Sawalon se bahar nikal kar mene anshika ke pas jane ka faisla kiya aur fir mei bhagta hua uske pas pahuncha aur achanak ek chiz se takra gaya. " nahi, nahi nahi nahi nahi nahi " mere aur anshika ke bich ek adrishye deewar thi. Ye dekhte hi mere hath per fulh gaye, sirf ek yahi kamjori thi meri jab bhi anshika ko dekhta tha to mere liye sab kuch badal sa jata tha " anshika " mene us deewar par marte hue awaz lagai aur agle hi pal uske sharir mein harkat hui aur dekhte-dekhte hue vo ek dum sidhi hawa mein khadi ho gayi aur uska chehra dekh mera ek kadam khud ba khud piche ho gaya.
Baal bikhre hue the, ankhon ke niche kalle gadde padh chuke the, chehra itna fatta hua tha mano kisi ne nocha ho ek pal laga ki ye anshika nahi sirf ek maya hai lekin jab usne mera naam pukara tab meri nazar uski ankhon par gayi jinhe mei kahin bhi hota to pehchan sakta tha " shreyas " uski ankhon mein dard aur taklef ter raha tha.
" anshika tum yahan kaise " mei vapis aage aya taki use pakad sakun lekin vo deewar mere pareshani bani hui thi.
" shreyas jo anshika tumhare sath hai vo anshika nahi hai, tumhari anshika yahan hai is halat mei " uski awaz bahut jada dard mein thi. Mei hairan tha ki aisa kaise ho sakta hai lekin vo ankhein juth nahi bol rahi thi.
" par tum yahan kaise ayi " dil reh reh kar ghabra raha tha.
" vo tumse bahut jada naraz hai shreyas " vo ek pal ke liye chup hui. Mei janta tha ki vo kiski baat kar rahi hai " tumne bahut badi galti kar di shreyas vo ab mujhe bhi nahi chhodega " itna sun kar mei kuch kehta use pehle uska sharir vapis hawa mein hi lait gayi. " anshika " mere muh se bas itna hi nikla aur vo chillai.
" aaaaaaaaaaaaaaarrrghhhhhhhhhhhhhhhhhh " pehle to usi ki awaz thi lekin phir vo awaz badalte hue ek bhari awaz mein badalne lagi " aarrghhhhhhhhhhhhhhhh " cheekhte hue anshika ka chehra kalla padne laga jiske sath hi dhire-dhire uski kamar uppar ki taraf uthne laga aur uski cheekh badti gayi.
" anshika, anshika " mei zor-zor se us adrishye deewar par marne laga par uski cheekh ke sath anshika ki awaz itni jada bhayanak roop mein badal gayi ki pehchan mein hi nahi aayi aur agle hi pal uska sharir fatt gaya jiske sath hi hawa mein mitti ke kan felh gaye aur mere liye jaise vo waqt wahin ruk gaya lekin uske sharir ke fat janne par jo teevr shakti usme se nikli usne mujhe uchal fenka aur mei hawa mein udta hua piche ja gira aur girte hi ankhein band ho gayi.
Andhere mein vapis laut aya tha mei, jo bhi mere sath ho raha tha vo shayad uske hi khel ka hissa tha. Ankhein abhi bhi band thi aur fir us bejaan sharir mein aisa laga jaise koi chiz andar hi andar ghumti hui uppar ki taraf aa rahi ho aur aisa hote hi sharir buri tarah se kanpne laga. Kanpna galat hoga, chatpatane laga aur phir zindagi ke liye chatpatane laga. Mei behoshi ki halat mein tha aur tab galle par dabab padte hi meri sans ukhadi aur hath galle par chale gaye. Sans ukahdne ke sath hi jism par lal lakerein khinchti gayi jaise kisi ne noch diya ho aur ek hi pal ke andar pure sharir par vo lakeer felh gayi.
" ye kya ho raha hai shreyas ko, shreyas " anshika ne jaise hi shreyas ke sharir ko chatapate dekha to apni jagah se khad ho gayi. Uski nazar to usi par thi jabse vo gaya tha. Ujale mein use ye bhi dikh gaya ki uske sharir par lal lakrein khinchti jaa rahi hai jo uske pure sharir ko gher rahi hai. " guruji " anshika ne uspar se nazar nahi hatai par sabko sachet kar diya ki use kuch ho raha hai.
Meri ankhein khul chuki thi par ruh to meri thi hi nahi. Mene apna galla pakda hua tha aur kosish kar raha tha ki kisi tarah us pakad se azad ho jaun jisne sans rok rakhi hai. Mere per aage piche fisal rahe the aur khud ko us pakad se chuddane ki kosish kar rahe the, agle hi pal jab mei azad hua to khasne laga aur uthne ki kosish karne laga lekin usi pal mere hath kisi ne pakad kar faila diye aur sharir ko is tarah jakad liya ki mei hil tak nahi paya aur cheekh pada kyun ki mujhe apne sharir par kisi ke hone ka dabab mehsus ho raha tha aur vo meri hadi mein chubta hua mehsus hone laga tha " aarrgghhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh " chillate chillate achanak meri awaz hi badal gayi. " aarrgghhhhhhhhhhhhhhhhhhh " bdalte hue pehle vo kisi bache ki awaz mein tabdeel hui aur uske baad dhire-dhire bhari hoti gayi. Itni bhari ki usme meri awaz kho gayi uske piche aur aisa laga jaise galla andar hi andar chillta ja raha hai.
Ankh se ansu nikal aya, ye behad dard aur takleef ke ansu the jinhe mei is waqt mehsus kar raha tha. Jab cheekh band hui to hathon ko bhi azadi mil gayi lekin usi pal chehre par ek ajeeb si halchal hone lagi aisa jalne laga mano kisi ne uspar aag laga di ho. Mei apna chehra malte hue chatpatane laga aur dard bhari cheekh bahar nikal gayi. Chehra kabhi mera to kabhi kisi aur mein badal jata phir ek pal to aisa aya jab adha chehra mera aur adha us shaitan ke chehre se badal gaya aur meri pith hawa mein uth gayi jaise koi uppar se mujhe khinch raha ho " aarrgghhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh " shayad meri fuli hui sanson ki ye akhri cheekh thi jiske baad mera sharir dhadam se niche aa gira aur ankhein bhari hone ke karran dhundli padh gayi lekin phir bhi mujhe halka halka dikh raha tha.
Sharir jaise hi zameen par vapis aya mitti ke kan sharir se nikalte hue theek uppar ikhate hone lage aur vo kan ek roop mein badlne lage. Dhire-dhire jab ankhon ke samne miti ke kan se ek chehra bana to use samjhne mein der nahi lagi " bhai " bas uske baad ankhein khud ba khud band ho gayi.
Ankhein khulte hi aisa laga mano lambe samay baad ankhein khuli ho, sar itna bhari tha ki keh nahi sakta ki uske andar kya chal raha hai. Khuli ankhon ke samne asman to tha par usme na to roshni thi aur na hi andhera bada hi ajeeb vatarvaran tha. Mei apni jagah se kahda hota use pehle meri nazar apne hathon par gayi jinpr lal lakrein aur nishan pade the, ye kab aye aur kaise aye mujhe malum nahi lekin chune par dard utha jiske baad dimag ne jo bhi kuch bhula tha vo sab ek jhatke mein yaad kara diya " anshika " mei fauran kahda hua aur samne ka pal dekh meri hairat dimag par havvi ho gayi, jo tha samne vo sach nahi ho sakta tha aur agar ye sach tha to kuch bahut bhayank ghat chuka tha aur mere pas samay behad kam tha.