Ghar ke andhere mein bas ek matr roshni jise kuch chamak thi to vo shalini ke phone se nikal rahi thi. Usne dheme se apna per utha kar sidi par rakha aur jese vo ek pedi niche utri, " kaun hai.. ? " vo ghabra gayi thi. Awaz kitchen ki taraf aa rahi thi isliye mobile ki roshni bhi usi taraf thi. Man ki bechaini, dimag ka dar uske chehre par bahut jada tha. Uski sansein is waqt bahut tez thi. Ek pal vo jakar kamre mein khud ko band kar lena chahti thi par vo apne per vapis nahi mod payi. Usne kadam niche ki taraf badaye aur vo sidiyan utarne lagi, shayad uske waqt ki ye sabse lambi sidi thi jo khatam nahi ho rahi thi.
Phir jese hi vo niche ayi ek baar phir vo ata shor band ho gaya. Use samajh nahi aya ki ye ho kya raha hai, use khud par shaq hua ki kahin phir se to nahi uske dimag mein pehle ki tarah batein chal rahi hai jiski wajah se use shor sunai de raha hai. Par itne dino baad aaj hi kyun ? vo sochte hue hall ki taraf badhi, hall mein andhera aur vahan lagi ghadi ki awaz ke alawa aur kuch nahi tha.
Awaz kitchen se ayi thi to vo kitchen ki aur badi, ek pal ko uski mobile ki torch bhi lup-jhup hui na jane kyun par vo phir theek ho gayi. Kitchen hall ke end mein tha usne deewar ke piche se phone ko aage karte hue jhank kar dekha, usne pehle sink ki aur dekha aur dhire-dhire hath modte hue nazre mobile ki roshni ke sath puri kitchen mein firayi lekin vahan koi bhi nahi tha. Kitchen mein kisi ko na dekh usne gehri sans chhodi aur mano use kisi baat ki tassali ho. Use pyas bahut lagi thi to usne mobile ko fridge ke uppar rakha aur fridge mein se bottle nikal kar pani pine lagi.
" aaaaaahhh.. " uske hath se bottle giri aur vo do kadam piche ki taraf chali gayi. Achanak se sink ke nal se pani girne laga jise sun vo ek dum se dar gayi. Uski sans bahut zor se chal rahi thi. " oh god.. " vo ghabrate hue aage padi to uske per pani par padh gaye. Usne bottle nahi uthai vo sink ke pas gayi, pehle nal ko ache se band kiya. " ye apne aap ? kal dikhana padega " mud kar usne bottle uthai aur phir vo vese hi khadi rahi bina hile.
Piche se ek-baar phir pani girne ki awaz aa rahi thi, uske hath jisne bottle ko pakda tha vo kampne lage. Vo mud kar dekhne ke liye himmat jutta rahi thi, bartan ki awaz us pani mein khann-khann karne lage. Usne bottle ko kaskar pakda aur vo usi pal ghum gayi. Samne koi tha, uski nazar ke samne theek use 2-3 feet ki duri par koi khada tha sink ke samne, shalini kuch kehti use pehle us aurat ke lambe baal hawa mein piche se udne lage.
" aaaaaaaaaaaaaaaaaahhhhhh " shalini cheekhte hue piche hui aur uska per fisal gayi, vo niche giri aur gir kar zor zor se chillane lagi. Andhere mein mobile ki chamak mein jo usne dekha usne uske dil ko puri tarah se jhanjhod dia tha. Vo zameen par gir kar dar ke mare chilla rahi thi ki eka-ek vo ruki aur usne samne dekha, kitchen mein koi tha hi nahi. Bottle zameen par idhar-udhar ho rahi thi pani floor par pada tha bas iske alawa vahan koi nahi tha. Uske chehre par dar aur pasina dono tha sansein bahut tez thi.
" koi tha abhi yahan par mene dekha use " vo khud se batein karne lagi. " i need to sleep, pata nahi kya ho raha hai aaj " vo apni jagah se khadi hui, jo usne dekha use vo veham man baithi isliye usne badi mushkil se phone to fridge ke uppar se le liya par bottle ko vahin chhod dia. Vo bas jald se jald apne kamre mein jana chahti thi. Vo hall mein ayi aur sidiyun ki taraf badhi aur tabhi use ehsas hua jese koi hai sofe par jo baitha usi ki taraf dekh raha hai. Ye andhera ka asar tha? ya phir uska dimag ? jo usne abhi dekha kya vo sach tha ? ya phir ye sab uska veham hai ? vo khud se sawal par sawal kar rahi thi. Usne ek bar mobile ki roshni se sofe ki taraf dekha par vahan koi nahi dikha. Iske baad usne rukna sahi nahi samjha vo bas kamre mein khud ko band kar lena chahti thi taki is raat ko kaat sake. Vo phir sidiyun ki taraf badhi aur abhi kuch sidiyan chadi hi thi ki achanak se use kisi chiz ke girne ki awaz ayi, mano uppar se kisi chiz ko giraya gaya ho, vo dar ke mare zor se cheekh padi.
" kaun hai, koi hai to samne aao " is bar vo rote hue chillai. Usne roshni se hall ki taraf dekha to zameen par ghadi giri hui thi. Shalini ne roshni se zameen par giri hui ghadi ke theek uppar dekha to use uski ankhon par yakeen nahi hua, " agar ghadi zameen par giri hai to phir .. " deewar pa abhi bhi vo ghadi tangi hui thi, usne phir zameen ki taraf dekha jahan par ghadi tuti hui padi thi, usne uppar dekha jahan ghadi lagi hui thi. Usne kai bar apne hath ko uppar niche kiya aur phir vo rone lagi, " ye kya ho raha hai mere sath, kya ho raha hai "
" Aaaaah " chillate hi uske hath se mobile chhut gaya aur vo sidiyun se ludkta hua niche jaa pahuncha. Use mehsus hua mano uske pairon ko kisi chiz ne chhua ho, vo ek sidi uppar ayi par phone niche ja chuka tha, uske hath ki ek matr roshni uske hath se fisal chuki thi. Uska dil nahi kar raha tha ki vo phone lekar aye lekin vo andhere se dar bhi rahi thi, phir bhi himmat karke usne phone lane ke liye ek per sidi ke niche rakha ki tabhi phone ki light band ho gayi aur uske per vahin ruk gaye.
Ab koi roshni nahi thi, uska khud ka ghar jiska vo har kona janti thi vahi ghar is andhere mein use ghur raha tha. Har kona use aisa lag raha tha jese use hi dekh raha ho, eka-ek use laga jese koi sidiyan chad raha ho. " kaun hai " vo uppar ki taarf ek pedi chadi par samne koi nahi dikha, use sirf mehsus ho raha tha ki koi hai uske samne aur vo uski taraf hi badh raha hai lekin dikh nahi raha tha. Isi ehsas ne uska dil jhanjod kar rakh dia, vo seham uthi dar ne jese ab uske har hisse mein kabza kar liya ho.
Vo tezi se mudi aur apne kamre ki aaur bhagi, vo ab kamre mein khud ko band karke is sab se azad hona chahti thi. Vo kamre ke pas pahunchi aur use dhakka dia lekin vo khula nahi. Usne darwaje ke door lock ko zor-zor se ghumaya par vo khul nahi raha tha, har badta pal use ehsas dila raha tha ki koi hai jo uski taarf badh raha hai par vo gate nahi khol paa rahi. " anybody, please help, help " vo zoroor se darwaje par marne lagi par jab vo nahi khula to vo vahan se bhagi. Bhagte hue vo giri, gir kar vo uthti use pehle use mehsus hua kisi ne uska per pakda hai. Vo chillai aur piche ki taraf hui aur khadi hokar phir bhagi. Bhagte hue vo terrace par ayi aur terrace par atte hi usne uska dawaja band kia aur uske aage khade hokar zor-zor se sans lene lagi.
" ye sab mere dimag mein hai kuch nahi hai, koi nahi hai " vo khud ko samjha rahi thi ki terrace ke gate par koi knock karne laga. " kaun hai, koi nahi hai mein sab janti hun koi nahi hai " darwaje par pad rahi dastak tez hone lagi aur tez hone lagi. Shalini chilla rahi thi par uske chillane ki awaz terrace ke darwaje par ho rahi awaz mein chup rahi thi. Shalini ki ankh se ansu nikle jaa raha tha vo khud ko samjha rahi thi lekin uske dimag ki nasein fatne lagi thi vo bardash nahi kar paa rahi thi.
" aaaaaaaah basss bassssssssss " usne apne kano par hath rakh lia tha. Vo darwaje se hat kar aage aa gayi thi. Shalini ro rahi thi vo knock karne ki awaz band ho gayi thi, usne apna sar utha kar samne dekha to terrace ka darwaja band tha. Vo palat gayi aur ghar ke samne is shanti ko dekhne lagi jo vo hamesha se chahti thi, vo abhi bhi bas wahi cha rahi thi, usne do kadam aage badaye, niche nahi jana chahti thi bas yahan asman ke niche baith kar is raat ko piche chhodna chahthi thi par usi samay use aisa laga jese koi piche uski taraf tezi se aa raha hai, vo palti par uska balance bigad gaya aur vo terrace se niche jaa giri. Ungli mein pehni anguthi jo khoon mein dub chuki thi vo eka-ek gayab ho gayi.