- 17,679
- 60,575
- 244
Thank youBehtreen update dost
Thank youAwesome update
Thank youJabardast update mitr
Thank youFine update mitr
Update 17Natasha: Isse kya hua jo itni khush hogyi.
Akash: Aree chahe kuch bhi ho yeh khush hai yehi bahot badi baat hai.
Natasha: Haa bhai aap toh bolenge hi. Aur aapko inki har baat jo achhi lagti hai. 2 saal se inse pyaar karte hai ab toh boldijiye kahi aisa naa ho koi aur isse le jaaye.
Akash: jisne bhi iski taraf dekha usko jaan se maardunga.
Natasha: Toh jald se jald bol do bhai.
Akash: Thik hai aaj raat ghar mein jo party hai usme aaj propose kardunga.
Kajal: Bahot achha hai.
Akash: Haa but koi kuch nhi bolegaa. Surprise dunga.
Teeno: Sureee.
Ritika jab Class mein jaati hai tab Sam waha pahle se tha. Woh jaake uske bagal mein baith jaati hai aur pyaar bhari nazro se usse dekhne lagti hai aur usse thoda chipak ke baith jaati hai.
Par Sam usko ignore karne ki puri koshish karta hai.
Tabhi Natasha waha aajati hai.
Natasha: Ritika tumne kaha tha recess ke baad.
Ritika: Oo Sorry.
Sam waha se jhatt se uth jaata hai aur dusri bench pe jaake baith jaata hai par Natasha issbaar uske bagal mein jaake usse chipak ke baith jaati hai.
Ritika ko Sam ki harqat dekh hasi toh bahot aati hai par Natasha ki harqat dekh usko bahot gussa aata hai aur man mein bolti hai.
Ritika: Kamini meri pati se kaise chipak kar baithi hai aur yeh bhi mauke ka faiyda utha raha hai. Ekbaar iski narazgi durr hone do phir dikhati hu. Par abhi kya karu kaise durr karu iss kamini ko Sam se. Haa Mahi ko bolti hu ab wohi kuch karegi.
Ritika jhatt se Mahi ko call karti hai.
Mahi: Boliye Ritika ji.
Ritika: Mahi yeh kya london mein bhi ladkiyon se chipakta rehta tha.
Mahi: Nhi toh kyu.
Ritika: Toh yaha kyo chipak ke baitha hai uss kamini Natasha se.
Mahi: Kyaa uski itni himmat. Main abhi aati hu. Abhi toh class start hone mein time hai.
Ritika: Jaldi aao. Mujhse sehan nhi horaha hai. Kal hi pati bana aur aaj kisi dusre ke saath. Ek baar narazgi khatam hone do phir dikhati hu isko.
Mahi: Haa chorenge nhi.
Ritika call cut kardeti hai. Aur pichhe mudd ke Sam ko dekhti hai toh woh has has ke baate kar raha hota hai. Aur uska haath Natasha ki chut ke paas hota hai Jisse Ritika ko bahot gussa aata hai.
Tabhi Sam achanak uth khada hota hai aur dusre bench pe jaake baith jaata hai.
Natasha uske aise achanak uth jaana samaj nhi paati. Ritika ko bhi samaj nhi aata. Par jab woh Sam ki nazro ka pichha karti hai tab pata chalta hai ke kyo Sam achanak uth gaya.
Kyoki class ke andar Mahi enter kar rahi thi jisko dekhte hi Sam uth ke dusre taraf baith gaya. Mahi ko dekhte hi Ritika ke chehre mein muskurahat aajati hai.
Mahi: Kya kar rahe ho Sam.
Sam: Kuch nhi bas baitha hu. Tum yaha kaise.
Mahi: Main tumko dekhne aagayi kahi tum bhatak toh nhi rahe ho naa.
Sam: Main samjha nhi.
Mahi: Ghar mein sab samjha dungi chinta mat karo. Agar phir kabhi aisa karte dekha naa toh.
Sam: Samaj gaya. Main durr hi rahunga. Par woh mere paas aake baithi thi.
Mahi: Aur tumne mauke ka faiyda uthya rightt.
Sam ki bolti band hogyi.
Mahi: Ab chup chap jaake Rishi ke bagal mein baitho. Mujhe next time nhi dikhna chahiye.
Sam: Okkk.
Mahi waha se jaate waqat Ritika ko sabse chupake aankh maardeti hai.
Ritika ki toh hasi hi nhi rukh rahi thi. Natasha Sam ke paas aake.
Natasha: Kya hua achanak aise uth kyo gaye aur Mahi achanak kyo aayi.
Sam: Woh usse kuch kaam tha isiliye aayi thi. Achha main chalta hu Rishi ke paas class start hone wala hai. Yeh bol woh jaldi se uth ke Rishi ke paas jaake baith jaata hai.
Sam ki aisi ghabrahat dekh Ritika ki toh hasi rukh hi nhi rahi thi woh bahot mushkil se khud ko control kar rahi thi.
Phir class mein teacher aate hai aur padhane lagte hai. Par Ritika ka dhyaan toh padhai ki jagah apne pati par tha. Woh usko hi dekhe jaa rahi thi. Yeh chiz Akash, Karan aur Natasha bhi notice karte hai.
Class khatam hone ke baad Akash Ritika ke paas aata hai
Akash: Ritika agar bura naa mano toh ek baat puchu.
Ritika: Bina uski taraf dekhe. Haa pucho naa.
Akash: Tum tabse Sam ko hi kyo ghure jaa rahi ho.
Ritika thoda sa sakpaka jaati hai par confidence se answer deti hai.
Ritika: Aree nhi nhi. Main kuch soch rahi thi aur mera dhyan meri soch mein tha par meri gardan uski taraf hai isiliye tumhe aisa laga hoga. Aur waise bhi main usko kyo ghurne lagi. Woh kabhi mera achha dost hua karta tha par ab ek anjan hai.
Natasha: Achha tabhi ek anjan ki kasam pe usne Raghav ko maarna chor diya.
Ritika: Ab usne kyo chora yeh toh mujhe bhi nhi pata. Shayad kabhi humari dosti thi isiliye chor diya ho.
Akash: Choro iss baatko. Aaj mere ghar mein ek party hai aur tumko aana hai hai.
Ritika: Sorry Akash mujhe thoda kaam hai main nhi aapaungi.
Akash: Please aajana. 30 mins ke liye hi sahi but please aajana. Its a request. Mere saare dost aayenge aur tum nhi aaogi toh mujhe bura lagega.
Ritika: Okk. Main aajaungi. Ab khush.
Akash: Thank You.
Phir woh log apni seat pe aajate hai. Issbaar Ritika Sam ko ghurna band kardeti hai.
Classes ke baad Ritika Mahi se milti hai aur usse Sam ka haal batati hai. Dono bahot jor jor se hasne lagti hai Ritika jo itni der se control kiye hue thi woh control uska chutt jaata hai.
Phir yeh log ghar aate hai. Sham ko Sam thoda company ke liye akele hi nikalta hai.
Ritika bhi Akash ke ghar jaane ke nikalti hai.
Party raat ki taraf ki thi. Isiliye Ritika thoda late se nikli thi. Woh apni car se jaarahi thi tabhi jungle ke bich mein uski car kharab hogyi.
Aise car ke kharab hone se woh darr jaati hai woh apna mobile dekhti hai jisme network bhi nahi aaraha tha. Tabhi waha nashe mein dhutt kuch ladke aajate hai. Jinhe dekh Ritika aur dar jaati hai.
Woh ladke Ritika ko akela dekh kar uske paas aane lagte hai.
L1: Aree kya ladki hai hai. Ekdum doodh jaise safed.
L2: Kyaa baat hai madam. Iss waqat yaha kya kar rahi ho.
L3: Aree humara hi intezaar kar rahi hogi. Chalo le chalo isse aaj isse masti karenge. Bahot din hogye chut aur gaand maare hue.Aur isko dekh kar toh lagta hai abhi tak seal pack hai.
Woh ladke Ritika kaa haath pakad lete hai.
Ritika chillane lagti hai.
L1: Yaha pe koi nhi aane wal madam. Bekaar mein chilla rahi ho. Humare saath chalo puri raat masti karenge.
Ritika: Choro mujhe.
L2: Aree tumhe kaise chorr de. Tumhe chor denge toh humare lund ko kaun shant karega.
Tabhi L2 ke sir mein bear ki bottle foot jaati hai.
Sab koi achanak hue iss humle se shock hojaate hai. Woh pichhe mudd ke dekhte hai waha Sam khada tha. Jo company se wapas ghar jaa raha tha.
Ritika: Sam. Mujhe bachao Sam.
Sam kuch nhi bolta bas unn ladko ko maarta rehta hai. Tab tak maarta hai jab tak behosh naa hojaaye.
Sam jab Ritika ke paas jaata hai toh Ritika uske seene se lag jaati hai.
Ritika: Thank you Sam. Thank You so much. Aaj agar tum time pe naa aate toh main kisi ko muh dikhane ke layak nhi rehti.
Sam: Chup karo. Aur ghar chalo.
Woh Ritika ko leke chup chaap apni car mein baith jaata hai. Pure Raaste woh koi baat nhi karte. Sam Ritika ko ghar drop kar deta hai. Aur waha se bina kuch bole chala jaata hai.
Ritika jab ghar mein enter karti hai tab uska phone bajta hai jisme Akash ka call tha.
Ritika: Hello.
Akash: Ritika kaha ho yaar. Kabse wait kar raha hu.
Ritika: Sorry Akash main nhi aa sakti. Meri car bich raaste mein kharab hogyi thi.
Akash: Kyaa. Abhi kaha ho tum bolo main aata hu tumhe lene.
Ritika: Nhi Tumhe aane ki jarurat nhi mera ek friend wahi se aaraha tha usne mujhe ghar drop kardiya hai. Isiliye abhi main ghar pe hi hu. Sorry.
Akash: Koi baat nhi. Kal college mein baat kar lenge.
Ritika: Haa okk byee.
Phir Call cut hojaata hai. Ritika apne kamre aake change karti hai aur Sam ke baare mein hi sochne lagti hai.
Ritika: Maine kabhi sapne mein bhi nahi socha tha mere uss behaviour ke baad bhi tum mujhe itna pyaar karoge. Pyaar toh main tumhe tab bhi karti thi par kya karu agar main uss waqat tumhara proposal accept karti toh tumhari jaan ko khatra hota. Ab main tumhe yeh kaise batau tumhare khud ke papa ne mujhe dhamki di thi ke agar maine tumhara proposal accept kiya toh woh tumko jaan se maar denge.
Main kaise apne pyaar ko aise marne deti. Isiliye maine ussdin woh sab kiyaa jisse tum bhale hi mujhe galat samjho par tumhari jaan bach jayegi. Maine socha tha tumse baad mein milke sab sach bataungi par tum toh apni Riti se naraj hoke yaha se chale gaye. Par ab mujhe koi majbur nhi kar sakta. Kyoki mujhe pata hai ab tumhe maarna koi aasan kaam nhi. Par main kaise tumhe yeh batau ke main bhi tumse utna hi pyaar karti hu jitna ke tum infact usse jyaada karti hu. Aur ab toh humhare bich ek aur rishta ban gaya hai. Pata nhi aur kitne din yeh duri sehni padegi.
Idher Sam apni powers se yeh sab kuch sunn leta hai jisse uski aankhe gusse se laal hojaati hai.
Sam: Rajesh Sharma tune mujhe dukh diya main kuch nhi bola mujhe rulaya main kuch nhi bola par tune meri Riti ko dukh diya usko rulaya. Ab teri zindagi ko main nark bana dunga. Tu maut ke liye tadpega par tujhe maut nhi milegi. I promise. Kaal uss MLA aur uske bete ki location kaha hai.
Kaal: Sir woh iss waqt apne ek godown mein hai jaha uska nakli medicine ka stock rakha hua hai.
Sam: Aaj usko uske kiye ki saza milegi.
Ritika Sam ke khayalo mein so jaati hai aur Sam nikal padhta hai apne kaam mein.
Thank youMast update mitr
Thank youNice update Bhai superb
Update 18Sam jab uss godown mein jaata hai toh waha kuch aadmi the jo uss godown ki rakhwali kar rahe the. Unme se ek aadmi ne Sam ko dekh liya.
A1: Ayee yaha kya kar raha hai nikal warna bemaut maara jaayega.
Sam kuch nhi bolta bas uski gardan ko kaat deta hai. Yeh harqat dekh baaki log sakte mein aajate hai. Wohlog kuch bol paate uske pahle hi Sam ne unko bhi chup karwa diya.
Phir Sam dheere se chupke se andar jaata hai jaha MLA aur uska beta jiske shareer mein jagah jagah pattiyan bandhi thi kuch aadmiyon ke saath waha khade the.
Sam chupke se jaake ek aadmi ko maar ke uski laash ko unke saamne fhekk deta hai. Achanak hue iss humle woh ekpal ko toh darr jaati hai. Par phir saare aadmi chaukane hojaate hai.
Tabhi woh Sam ko saamne se aate hue dekhte hai aur uske haatho mein khoon se sani talwar.
Sam ko dekhte hi woh aadmi goliyan chalane lagte hai. Par goliyan Sam ko chuu ke girne lagti hai jisse dekh woh thoda aur darr jaate hai. Sam aage badhta hai aur saare aadmiyon ko ek ek karke maar deta hai. Aur sidha jaake MLA aur Raghav ke saamne khada hai.
Raghav: Thoda darr ke. Kaun ho tum.
Sam charo taraf dekhte hai phir apna mask aur hoodie nikalta hai. Raghav aur MLA Sam ko dekh kar shock hojaate hai.
Raghav: Tu yaha.
Sam: DEVIL.
Yeh naam sunke Raghav aur MLA dono ke pairr kaanpne lagte hai kyoki woh jaante the DEVIL kya hai aur kaun hai.
MLA: Tum DEVIL ho.
Raghav: Mujhe maaf kardo. Mujhse galti hogyi. Main aajke baad aisa nhi karunga.
Sam: DEVIL ki paas maafi naamki koi chiz nhi hai. Yeh bol Sam uski gardan ko ek jhatke mein udaa deta hai.
MLA yeh dekh kar apni pant gili kardeta hai.
Sam: Nakli medicines ka dhanda karne ka bahot shock hai na. Bahot shock hai naa ladkiyon ko apne bistar ki randi banane ka.
MLA: Mujhse galti hogyi. Main aajke baad aisa nhi karunga. Main khud ko police ke hawale kardunga. Mujhe chorr do.
Sam: Aajke baad aisa karne ke liye tu zinda rahega tab na karega. Yeh bol MLA ko bhi ek jhatke mein khatam.
Phir apna mask aur hoodie pehen ke waha se nikal padhta hai.
Sam: Kaal police ko call karke yaha ki khabar do. Aur video mein dekh lena kahi bhi mera chehra naa dikhe.
Kaal: Okk Sir.
Phir Sam waha se ghar aata hai toh dekhta hai Mahi wahi baith ke uska wait kar rahi hai.
Sam: Tum soyi nhi.
Mahi: Tum bahar ho aur main so jau yeh kaise hosakta hai. Kaha gaye the.
Sam: MLA ke paas.
Mahi: Yaani MLA aur woh Raghav ko maar diya.
Sam: Meri biwi ke baare mein galat bolega aur main usko chorr du.
Mahi: Thik hai chalo ab so jao. Ka college bhi jaana hai.
Sam: Hmmm.
Phir yeh dono bhi so jaata hai.
Udher jab police waha pahonchi toh waha ki halat dekh kar shock hojaati hai. Woh jaldi se media ko bula leti hai. Phir media aake woh sab record karte hai.
Media aur police ne CCTV footage dekhi tab unhe pata chala MLA aur uska beta nakli medicines ka dhanda karta hai. Woh log investigation karte hai aur report banake waha se nikal jaate hai.
Agle din media ne raat ke cover kiye news ko telecast kardiya. Jisse pure sehar mein hungama hogya. Har jagah DEVIL ka naam tha.
Idher Ritika iss baat se anjan ke usko ek bahot bada shock milega woh college jaati hai. Aaj Mahi Sam aur Deepak pahli college aajate hai.
Akash aaj Ritika ka wait kar raha tha kyoki woh kal ka adhura kaam aaj karne wala tha.
Ritika jaise hi college mein enter karti aur apni car park karke utarke canteen ki taraf aati hai tabhi Akash uske saamne aajata hai.
Sam durr se hi yeh dekh raha tha par usne kuch react nhi kiya.
Akash: Ritika main tumse kuch kehna chahta hu. Kehna toh kal tha par tum aa nhi paayi isiliye aaj kehna chahta hu.
Ritika: Bolo kya kehna hai.
Tabhi college mein Singhaniya,Malhotra aur Ritika ke dad aate hai Rajesh bhi unke saath thaa.
Ritika: Dad aap yaha.
Abhay: Haa mujhe Akash ne call karke yaha bulaya hai.
Ritika: Bolo Akash kya kehna hai.
Akash 2 kadam pichhe jaake apne ghutno pe baith jaata hai.
Akash: Ritika jisdin pahle baar tumko school mein dekha tha usi din mujhe tumse pyaar hogya tha. But kabhi bhi bol nhi paaya. Aur kal bhi isiliye tumko party mein bulaya tha taaki tumko apni puri family ke saamne propose kar saku. Par aaj karta hu.
Ritika kya tum meri zindagi banke mujhe pura karogi. I love You Ritika.
Ritika: Dad yeh sab kya hai. Aapko toh sab pata hai naa. Phir bhi aapne mujhe nhi bataya.
Akash: Unko kya kisi ko issbaare mein kuch nhi pata. Kya tum mujhse pyaar karti ho.
Ritika ek nazar Sam ko dekhti hai. Woh uski taraf toh nhi dekh raha tha par uska dhyaan uske upar hi tha aur uski aankho mein thodi nami bhi thi.
Ritika: Noooooo. Tumhari himmat kaise hui yeh sab karne ki. Maine tumhe sirf ek achha dost maana hai.
Akash: Par main toh tumse pyaar karta hu.
Ritika: Aur main kisi aur se pyaar karti hu. Infact woh bhi mujhse bahot pyaar karta hai. Dad aapko sab pata hai naa.
Akash: Gusse mein. Tum sirf meri ho. Agar kisi ne tumhari taraf dekha bhi toh usko jaan se maar dungaa.
Ritika jab Sam ko leke yeh sunti hai toh uska para high hojaata hai aur usne Akash ko ek thappad laga diya.
Ritika: Tumhari himmat kaise hui mere pyaar ke baare mein aisa bolne ki. Agar aaj ke baad kabhi bhi mere ya mere pyaar ke upar apni yeh nazar di toh main bhul jaungi tum kabhi mere achhe dost hua karte the.
Yeh bol Ritika waha se chali jaati hai.
Singhaniya: Abhay tumhari beti ko samjhao mera beta usko raani banake rakhega. Abhi bhi kuch nhi bigada hai.
Abhay: Meri beti ne jo kiya thik kiya hai. Aur main uske har faisle mein uske saath hu.
Rajesh: Abhay tum bewakoofi kar rahe ho. Ritika ko samjhao. Use Akash se achha ladka nhi milega.
Abhay: Tu mujhe samjhane mat aa. Mujhe pata hai meri beti ki bhalayi kisme hai aur kisme nhi. Main teri tarah nhi jo apni beti ka sauda karde.
Rajesh: Tum apni hadd paar kar rahe ho.
Singhaniya: Tum aur tumhari beti pachtayegi. Apni beti ko samjhao.
Akash: Agar woh meri nhi hui toh woh kisi ki nhi ho sakti.
Abhay: Go To Hell.
Yeh bol Abhay waha se nikal gaya.
Singhaniya: Tu chinta mat kar. Yeh ladki sirf teri hogi. By hook aur by crook.
Yeh bol woh log bhi waha se chale jaate hai.
Akash: Karan pata laga kis behenchod ne Ritika pe nazar di hai. Uske pure khaandan ko chod dunga.
Karan: Main pata lagata hu.
Idher Ritika waha se sidha class mein jaake baith jaati hai. Tabhi uske paas Natasha aati hai.
Natasha: Ritika yeh tumne thik nhi kiya. Abhi bhi time hai kuch nhi bigada hai. Mera bhai abb bhi tumse pyaar karta hai.
Ritika: Go to hell with your brother's love.
Natasha: Tum pachtaogi.
Ritika: I said go to hell.
Tabhi uske paas Kajal aati hai.
Kajal: Yeh sab kya hai Ritika. Woh tujhse itna pyaar karta hai aur tune uski iss tarah beizaati ki.
Ritika: Tune sunaa nhi maine kya kaha tha.
Kajal: Par woh tujhse pyaar karta hai. Aur yeh mat bhul woh Singhaniyas hai. Pure India mein inka raaj chalta hai. Tujhe raani banake rakhega woh.
Ritika: Tu mujhe uske liye itna force kyo kar rahi hai. Maine kaha naa main kisi aur se pyaar karti hu. Infact woh bhi mujhse bahot pyaar karta hai.
Kajal: Tu kisse pyaar karti hai. Main toh harwaqt tere saath rehti hu. Maine toh kabhi tujhe kisi ka propose aate yaa karte hue nhi dekha sivaay Sam ke. Aur tu toh kisi ladke se baat tak nhi karti.
Ritika: Tu usse nhi jaanti.
Kajal: Tu mujhe nhi bolegi kaun hai woh.
Ritika: Usne abhi kisi ko batane se mana kiya hai. Jab sahi time aayega tab woh khud sab ke saamne aajayega. Aur ab mujhe iss topic pe koi baat nhi karni.
Tabhi waha Sam aajata hai. Aur uske saamne wale table pe baith jaata hai.
Ritika pure class bas usko hi dekh rahi thi par chupke se.
Akash Karan aur Natasha Ritika ko hi ghurr rahe the.
Akash: Karan jald se jald usko khoj phir pure college ke saamne usko marunga.
Karan: Haa main puri koshish karta hu.
Recess tak sablog class karke canteen mein aate hai.
Canteen mein Mahi Deepak pahle se hi baithe hue the. Sam aur Rishi bhi unke paas jaake baith jaate hai. Tabhi waha Ritika aati hai.
Ritika: Kya main yaha baith sakti hu.
Mahi: Aree puchne ka kya hai. Aao naa baitho.
Ritika waha baith jaati hai. Tabhi waha Akash aata hai.
Akash: Ritika subah woh sab kya tha. Kya tum kisi ke pressure mein woh boli thi.
Ritika: Gusse mein. Tumhe ekbaat samaj nhi aati. Maine kaha naa main kisi aur se pyaar karti hu. Now get lost.
Akash: Kaun hai woh. Main usse jaan se maar dunga. Tum sirf meri ho.
Akash ki yeh baat sunke Mahi ko bhi gussa aata hai. Par uske pahle hi Ritika ne usko ek thappad mardiya.
Ritika: Tu usse marna toh durr chuu bhi nhi sakta.
Akash: Teri aankho ke saamne usse marungaa dekh lena.
Yeh bol Akash waha se nikal jaata hai.
Ritika Sam ke taraf dekhti hai aur bolti hai.
Ritika: Mujhe tumse baat karni hai. Aaj sham wahi aana jaha hum mila karte the.
Sam: I am Sorry. Mujhe koi matlab nhi hai. Aur mujhe aisi koi jagah yaad nhi.
Ritika: Thik college ke baad wahi intezaar karungi.
Yeh bol Ritika waha se chali jaati hai.
Rishi: Bhai yeh kya tha.
Sam: Mujhe kya pata.
Mahi: Hosakta hai tumse maafi maangne ke kiye bula rahi ho.
Sam: Mujhe koi fark nhi padhta.
Rishi: Chal chal natak band kar. Aaj bhi teri aankho uske liye pyaar saaf dikhta hai. Aur woh bhi tere se hi pyaar karti hai.
Sam bas halka sa has deta hai. Chalo class mein.
Phir sab apne apne class mein jaate hai.