• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Hawas aur Badla (completed)

doctorchodu

MILFLOVER
369
1,996
123
Update 2
Time nikalne lagta hai. Sameer aur Ritika ki dosti ekdum khash hogyi thi. Sameer Ritika se puche bina koi kaam nhi karta. Aur Ritika bhi Sameer ka pura khayal rakhti. Dono ek dusre ke bina ek pal nhi rehte. Ritika ko ek behen bhi hoti hai Ritu.

Ab yeh log high school mein the. Sameer aur Ritika ek hi school mein padhte jaha Sameer ka best friend bana Rishi wahi Ritika ki best friend bani Kajal.

Ekdin Sameer Ritika ke ghar se khel ke wapas aata hai toh dekhta hai uske dadaji ki tabiyat kharab hochuki hai.

Ranjit: Sameer meri ek baat manna. Maine tumhare naam yeh saari property kardi hai. Tum yeh kisi ke naam mat karna khash kar apne pita ke naam. Aur mere baad agar tumhe kahi bhi pyaar naa mile toh tum London chale jaana aur yaha kabhi bhi wapas mat aana jab tak bahot jaruri naa ho.

Sameer: Main aisa hi karunga dadaji.
Rajesh yeh baat sunn leta hai ke uske baap ne saari daulat uske bete ke naam kardi hai. Toh uska gussa saatve aasman mein pahonch jaata hai.

Kuch din baad Ranjit ki death hojaati hai jisse Sameer puri tarah se akela hojaata hai. Ab bas Ritika aur Rishi hi the uske apne.

Rajesh ne Sameer ko property ke liye aur torcher karna start kardiya tha. Ab usko roj maarta. Reshma bhi yehi karti. Sameer ne sab bardaash kiya par property nhi di.

Ab yeh log class 9 mein the. Sameer toh ab Ritika ko pyaar karne laga tha aur yeh baat Rishi bhi jaanta isiliye usne Sameer ko propose kardene ko bola.

Sameer thoda nervous tha. Par usne himmat karke ekdin sabke saamne Ritika ko propose kardiya.

Ritika ne usse ek thappad maardiya.

Ritika: Tumhari himmat kaise hui mujhe propose karne ki. Tum jaise ek looser se main pyaar karungi yeh tumne socha bhi kaise. Tumhare saath thoda time spend karliya, ek dost samaj kiya toh tum iss harqat pe aagaye.

Ritika ki yeh saari baate Sameer ke dil mein chubb rahi thi.

Ritika: Aree jiski maa ne usko janam dete hi chorr diya. Jiska baao usko apna beta nhi maanta yaha tak ki jo dadaji ko pyaar karte woh bhi chale gaye aise insaan se main pyaar karu. Abhi ke abhi meri nazro se durr hojao. Isse pahle main kuch galat kardu.

Sameer ko uske parents aur dadaji wali baat hadd se jyaada buri lagi. Ab uska yaha pe rukhna bahot mushkil horaha tha. Isiliye woh waha se chala gaya.

Ritika ki aankhe bhi nam the. Par woh sab se chupa ke waha se chali jaati hai.
Rishi bhi wahi khada yeh sab dekh raha tha uski aankho mein bhi aansu the.

Sameer waha se sidha ghar aaya. Jaha uske saath ekbaar phir property ko leke torcher hua. Par issbaar usko yeh torcher ka aihsaas nhi horaha tha. Usko Ritika ki saari baate yaad aarahi thi. Phir usko apne dadaji ki baate yaad aati hai. Usne property ke papers liye aur sign kardiya aur bola mujhe yaha nhi rehna mujhe London bhej de.

Rajesh bhi sochta hai agar yaha raha toh kal ko phir se property pe haq jamane ki soch sakta hai. Isse achha hai yeh yaha se kahi durr chala jaaye.

Rajesh ne turant Sameer ke london jaane ki taiyaari kardi. Raat ko Rishi ne Sameer ko call kiya.

Rishi: Sorry bhai meri wajah se yeh sab hogya.

Sameer: Nhi Rishi tune infact thik hi kiya. Aakhir mujhe yeh toh pata chala kaun mera apna hai aur kaun paraya. Maa baap toh hai hi nhi ek Ritika thi aur aaj uska asli roop bhi saamne aagaya.

Rishi: Ab tu school mein usse kaise face karega.

Sameer: Ab main school nhi aane wala. Main kal london jaa raha hu humesha ke liye. Aur ab wahi rahunga.

Rishi: Yaar aisa mat bol. Sab thik hojayega.

Sameer: Mujhe nhi lagta. Aur waise bhi yeh mere dadaji ki aakhri ichha thi. Yeh toh puri karni hi hai.

Rishi aage kuch nhi bolta phir yeh log call end kardete hai.

Sameer subah uth ke London ke liye nikal padhta hai.

Yaha subah school mein.

Kajal: Riti tune kal thik nhi kiya.

Ritika: Kajal usse aisa nhi karna chahiye tha. Woh sirf mera dost tha aur mujhe mere gusse pe control nhi raha.

Kajal: Tere uss behaviour ke baad usko bahot taqleef hui aur isiliye woh aaj school nhi aaya.

Rishi: Aur ab kabhi aayega bhi nhi.

Ritika: Kya matlab kabhi nhi aayega. Sameer mera bestest friend hai main usko samjhaungi.

Rishi: Jab woh yaha hoga tab na tum usse milogi. Woh aaj subah humesha ke liye london chala gaya hai aur ab wahi pe rahega.

Ritika ke aankh mein aansu aajate hai par woh chupa leti hai.

Ritika: Aise kaise chala gaya. Aur woh bhi mujhse bina mile.

Rishi: Tum hoti kaun ho. Jo woh tumhe batayega.

Ritika: Main uski bestest friend hu.

Rishi: Kaun ho jara phir se bolna but uske pahle kal jo bola tha woh yaad karlena.

Ritika ke aankho mein issbaar aansu sab dekh lete hai.

Rishi: Apne yeh jhoothe aansu dikhana band karo. Tumne jo kiya hai woh koi dushman bhi nhi karta.

Yeh bol Rishi waha se chala jaata hai. Ritika bhi waha se apne ghar aajati hai.
Idher london mein Sameer apne dadaji ke ek flat mein shift hota hai. Uska yaha pe ek school mein bhi addmission hochuka tha. Aur uske paas paise bhi de diye the.
Raat ko Sameer ke paas Rishi ka msg aata hai.

Rishi: Pahonch gaya.

Sameer: Haa. Bas saara samaan thik karke sone aaya hu.

Rishi: Maine school mein tere baare mein sabko bata diya hai.

Sameer puchna toh nhi chahta tha but phir puch leta hai.

Sameer: Ritika ne kuch kaha.

Rishi: Keh rahi thi tu usse bina mile chala gaya.

Sameer ki aankho mein thode aansu aajate hai.

Sameer: Chorr jaane de. Ab mujhe kisi se koi matlab nhi.

Phir chat end karke woh sone chala jaata hai. Raat ko baar baar usko Ritika ki yaad sata rahi thi. Par woh apne aap ko control karta hai. Aur India se apne saare rishte khatam karne ka sochta hai. Isiliye usne social media se sabko hataya aur apna social media account delete kardiya. Aur apna sim card bhi todd ke phek diyaa

Sameer: Abse sirf apne liye jiunga. Kisi se koi matlab nhi.

Idher India mein Sangeeta ek party mein jaati hai. Jaha kuch ladies baate kar rahi hoti hai.

L1: Aree aajkal ki maaye toh bachhe ko janam deke hi chorr deti hai.

L2: Haa jab sambhalna hi nhi aata toh janam kyo dete hai. Galti kare khud aur saza mile bachhe ko.

L3: Aur kuch kuch toh divorce leke bachhe ko pita ke paas chorr dete hai phir pita dusri shaadi karta hai aur uss bachhe ka jeena haram kardeta hai. Aisi maa se toh pura jivan baanjh rehna manjur ho.

Sangeeta jab yeh sab sunti hai toh aihsaas hota hai. Usne bhi toh aisa hi kiya hai apne bete ke saath. Bhale hi woh Sameer se durr thi. Par uski khabar milti rehti thi ke kaise Rajesh aur Reshma Sameer ko torcher karte usko maarte. Yeh sab sochte hi uske aankho mein aansu aajate hai aur usko apni galti ka aihsaas hota hai aur samaj aata hai uske saath jo hua usme Sameer ki kya galti jo usne usko aise chorr diya.

Woh fauran Rajesh ko call karke Sameer ka puchti hai toh usko London ka pata chalta hai. Jisse usko rahat milti hai ke woh filhal inn haiwaano se durr hai.

Nice plot building....
 
  • Like
Reactions: Jaguaar

doctorchodu

MILFLOVER
369
1,996
123
Update 3
Idher london mein Sameer subah apne naye school jaata hai. Toh waha ek ladki aati hai.

Ladki: Has Has ke. Abee bhadwe,kutte kamine, behenchod yaha kya karne aaya hai. Chal nikal yaha se warna abhi tujhe nanga karke teri gaand mein danda dalwa dungi

Sameer samaj jaata hai usko foreigner samaj ke yeh aisa bol rahi hai.

Sameer: Muskurata hua. Kya main aapko jaanta hu. Aur jo aapne abhi abhi kaha uska mujhe bura nhi laga.

Woh ladki shock mein thi. Aur uska sir sharm se nichhe jhuk gaya.

Ladki: Tum Indian ho. Aur abhi maine jo jo bola woh sab tumhe samaj aagaya.

Sameer: Ji haa.

Ladki: I am sorry. Mujhe laga tum yehi ke ho aur yaha school mein pahli baar dekha isiliye thodi masti karne ke liye woh sab...... I am sorry.

Sameer: Mujhe pata hai isiliye maine aapse kuch nhi kaha. By the I am Sameer.

Ladki: I am Mahi. Waise yaha Sameer naam nhi chalega. Thoda alag naam rakho.

Sameer: Alag naam. Toh tum hi rakh do.

Mahi: Okk. Toh Sameer ka alag naam aaj se hai Sam.

Sameer: Achha hai. Waise tum bhi meri class mein hai.

Mahi: Matlab. Tumhe kaise pata mera class.

Sameer: Tumhare I-Card se.

Mahi: Smart.

Tabhi Pichhe se ek ladka aata hai.

Ladka: Aree Mahi kya hua itna time kaha laga rahi hai chal class ka time horaha hai.

Mahi: Bas apne naye dost se baate kar rahi thi. Isse milo yeh hai mera best friend Deepak.

Sameer: Hii! I am Sam. Waise yeh naam abhi rakha hai.

Deepak: Abhi rakha hai matlab.

Sameer: Yeh Mahi ne kaha yaha Sameer naam nhi chalega isiliye isne Sam rakh diya.

Deepak: Ooo. Waise yeh mazaak kar rahi hai. Sameer naam yaha chalega.

Mahi: Sorry but main just mazaak kar rahi thi.

Sameer: Nhi koi baat nhi. Waise Sam naam itna bhi bura nhi. Abse mujhe yehi naam pasand hai Sam.

Deepak: Okk then aajse hum tumhe Sam keh kar hi bulayenge.

Mahi: Chalo class mein chalte hai.

Phir yeh log class karte hai recess tak.
Recess mein yeh log canteen aate hai.

Deepak: Waise Sam tum yaha kaha rehte ho.

Sam: Main yaha ek flat mein rehta hu.
Mahi: Aur tumhari family.

Sam: Mera unse koi lena dena nhi hai. Main yaha akela rehta hu

Deepak: Koi nhi. Abse hum dost hai so humari family tumhari.

Mahi: Of course.

Sam: Waise tumhari family mein kaun kaun hai.

Deepak: Mere ghar mein mom dad aur mera pyaara pet RON.

Mahi: Mera bhi same but no pet. Deepak ke kandhe mein haath rakh. Yeh hai naa mera pyaara sa pet. Aur jorr jorr se hasne lagti hai.

Sam bhi hasne lagta hai.

Sam: Waise tumhare parents kya karte hai.

Deepak: Mere aur iske papa scientists hai. Aur saath mein kaam karte hai.

Sam: Great.

Phir recess khatam hota hai. Woh log class karne chale jaate hai. Phir apne apne ghar.

Ghar aakar Sam ko ab khana banana padha. Phir khaake woh rest karne lagta hai.

Ab roj Sam ka yahi routine bangaya subah school waha Deepak aur Mahi se masti phir ghar aakar khaana banake khaana.

Aise hi yeh log aise hi apna school aur friendship enjoy karne lagte hai. Mahi aur Deepak se Sam ki dosti bahot gehri hogyi shayad london mein Indian milne ki wajah se. Ab Sam inke saath hi apna time spend karta. Roj ghumne jaana. Late night parties karna sab karta hai. Ab London hai isiliye inpe koi roktok nhi.

Ekdin Deepak Sam aur Mahi ko uske ghar lunch pe invite karta hai.

Deepak ke Dad Mr. Harish Kumar bhi ghar pe hi the.

Harish Uncle: Deepak bahot baate karta hai tumhare baare mein.

Sam: Aaplog kaise hai.

Harish Uncle And Sanjana Aunty: Humlog achhe hai. Tum kaise ho.

Sam: Ekdum mast.

Mahi: Uncle aunty main bhi aayi hu.

Sanjana Aunty: Tumara toh roj ka aana jaana hai. Yeh first time aaya hai isse toh mile.

Mahi: Ha ha mil lijiye. Mujhe kya. Yeh bol woh sofa pe baith jaati hai.

Sanjana Aunty: Aree yeh toh naraz hogyi. Thik hai iske pasand ki pudding main RON ko de dungi.

Mahi: Koi jarurat nhi hai meri pudding kisi ko dene ki. Aur main koi naraz nhi hu.
Sab hasne lagte hai.

Sam: Waise Uncle Deepak ne bataya aap scientist hai. Toh abhi aap kaunsa research kar rahe hai.

Harish Uncle: Beta filhal toh main ek aise formula pe research kar raha hu jo human body aur brain and senses ko ek alag taqat dega. Aur yeh chiz mein army ke liye bana raha hu. Aur iska naam hai HDX.

( Sam jab yeh naam sunta hai toh usko kuch waqat pahle ki baat yaad aajati hai.

Jab Rajesh ne usko maara tha property ke liye aur woh sofe pe baitha tha. Tab Rajesh call pe baat kar raha tha.

Rajesh: Kya baat kar rahe ho. Aise bhi kahi hota hai kya.

Saamne: Haa hota hai. Tabhi toh Malhotra aur Singhaniya iske pichhe padhe hai.

Rajesh: Kya Malhotra aur Singhaniya.

Saamne: Haa. Aur ab woh log wapas India aarahe hai.

Rajesh: Yaani ab phir se India mein inka raaj chalna hai. Waise iss chiz ka naam kya hai.

Saamne: Kuch HDX karke hai.

Rajesh: HDX. Toh iske pichhe woh dono padhe hai.

Saamne: Malhotra nhi khash kar ke Singhaniya. )

Sam: Uncle issi chiz ke pichhe toh koi Singhaniya aur Malhotra padhe hai.

Harish Uncle: Thoda tension mein. Tumhe kaise pata.

Sam: Kuch waqat pahle maine sunna tha ke woh iske pichhe padhe hai.

Harish Uncle: Dekho beta maine tumhe Deepak aur Mahi ka khash dost samaj ke yeh bataya. Tum yeh kisi ko naa batana. Warna bahot bada khatra aajayega sabke upar. Woh log iss chiz ko leke terrorist ko bechne ka soch rahe hai jiske badle unhe besumar daulat milegi.

Sam: Aap chinta naa kare uncle main yeh kisi ko nhi bataunga.

Tabhi waha Ron aata hai. Ron bahot hi alag kisam ka kutta hai. Uski aankhe neeli hai aur woh bahot hi jyaada active hai woh baakiyon se bilkul alag hai.

Phir yeh log aise hi thodi der baate karke waha se chale jaate hai.

Mast kahani hai yar , interest badhta ja raha hai
 
  • Like
Reactions: Jaguaar

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,915
244
Mast kahani hai yar , interest badhta ja raha hai
Thank you
 

doctorchodu

MILFLOVER
369
1,996
123
Update 4
Aise hi Sam ka time nikalne laga. Woh ab puri tarah se India ko bhul gaya tha aur london ke rang mein rang chuka thaa. Usne pub mein part time job bhi khoj li thi.

Aise hi Sam ko london mein 2 saal ho jaate hai. Aur ab woh puri tarah se badal chuka tha. Pahle jo Sameer tha woh bhola bhala tha. Par ab jo Sam hai woh uska bilkul ulat hai. Pahle Sameer thoda kamzor tha. Par sam bilkul alag.

Sam Deepak aur Mahi ki dosti bhi bahot achhi jaa rahi thi.

Ek raat yeh log pub mein enjoy kar rahe the. Ab Sam drink bhi karta tha.

Mahi: Full Nashe mein. Ayee Deepak tu mere Sam ko kya bola tha bewakoof ha. Woh bewakoof nhi hai. Woh hoshiyaar hai. Jisko Mahi pasand kare woh hosiyaar hi hoga samjha.

Deepak: Chup kar meri maa tujhe chadd gayi hai. Chup kar warna woh sunn lega.

Mahi: Areee kaun sunn lega. Saala jisko sunna chahiye woh toh sunta nhi. Pure 1 saal se sunane ki koshish kar rahi hu. Par saale ko sunayi hi nhi deta.

Deepak: Main wohi bol raha hu. Woh sunn lega.

Mahi: Achhaa mera baby sunlega. Toh sunne de naa. Hosh mein toh usse kuch keh nhi paati. Nashe mein hi kehne de. Kaha hai mera baby aaj usse sab bolungi. Baby baby kaha hai tu.

Tabhi sam bill pay karke aata hai.

Sam: Kya hua. Lagta hai aaj phir se jyaada hogyi.

Mahi: Ayee tu chup kar aur meri baat sunn. Tujhe mere dil ki baat sunayi nhi deti kya. Yaa tujhe dikhayi nhi deta main tujhse kitna pyaar karti hu. Mere mom dad ko bhi tere baare mein pata hai bas ek tujhe hi nhi pata. Pata nhi kab tujhe pata chalega. Yeh bolte bolte woh uske baahon mein behosh hojaati hai.

Sam Deepak ko dekhta hai toh woh apna sir pitt leta hai.

Sam: Deepak yeh sab kya hai.

Deepak: Kuch nhi bhai yeh nashe mein hai naa isiliye yeh sab bol gayi.

Sam: Insaan nashe mein hi sach bolta hai. Aur ab tu aadhe nashe mein pura sach bol.

Deepak: Pura sach toh isne hi pure nashe mein bol diya. Yeh tujhse pichle 1 saal se pyaar karti hai. Par kabhi bol naa saki.

Sam: Chal ghar chal. Iske Mom ko bolde aaj yeh mere ghar rukh rahi hai tension na le.

Deepak: Bhai naraz mat ho.

Sam: Main sabki tarah nahi jo naraz hojaaye. Tujhe jitna bola utna kar. Isse toh kal baat karunga jab yeh hosh mein aayegi.

Phir Sam Mahi ko apne god mein utha ke apne ghar le jaata hai. Deepak bhi wahi rukh gaya tha.

Subah jab Mahi ki aankh khuli toh uska sir bhaari tha. Usko raat ka kuch bhi yaad nhi tha.

Woh apne aap ko Sam ke flat mein dekhti hai. Aur bagal mein Sam ko soya hua paati hai.

Mahi: Waah shaadi se pahle hi Sasural mein raat guzar gayi aur bagal mein apne hone wale pati ke saath. Dekho toh kitna masoom lag raha hai sote hai. Abhi toh mere muh se sab nikal raha hai. Par jab nikalne ka sahi time hota hai tab kuch bol hi nhi paati.

Tabhi woh dekhti hai Sam ki neend toot rahi hai.

Mahi: Good Morning.

Sam usko dekhta hai par kuch bolta nhi aur waha se chala jata hai fresh hone.

Mahi: Aree isko kya hua. Mere wish ka reply nhi diya.

Thodi der baad jab yeh log fresh hoke nichhe breakfast karne lagte hai tab.

Mahi: Ayee Deepak isko kya hua. Aisa muh banake kyo baitha hua hai.

Deepak: Tujhe kal raat ka kuch yaad nhi. Ke tune kya kiya tha.

Mahi: Nhi. Kya kiya tha maine.

Sam: Main batata hu. Kal tumne nashe mein bahot saari baate ki thi.

Mahi: Ki hongi toh kya.

Deepak: Tune kal woh sab bhi bata diya tha nashe mein.

Mahi: Kyaaaaaa. Maine woh sab bhi ugal diya.

Sam: Ji haaa. Woh sab bhi ugal diya. Aur ab kya maine jaan sakta hu. Woh sab kya tha.

Mahi: Ab jab tumhe pata chal hi gaya hai toh achha hi hua. Haa main tumhe pichle 1 saal se pyaar karti hu. Kaise hua kyo hua kab hua pata nhi. Bas tumse pyaar hogya aur maine apne mom dad ko bhi bata diya hai aur woh bhi khush hai.

Sam: Kya tum pagal ho. Tum mere baare mein kuch bhi nhi jaanti ho. Main kaun hu. Mera past kya hai. Kuch bhi nhi.

Mahi: Mujhe kuch nhi janna. Mujhe tumhare past se matlab nhi. Mujhe toh humare future se matlab hai. Tum kaun ho yeh mujhe nhi janna. Tum jo ho mujhe usse matlab hai. Aur inn 2 saal mein mujhe itna toh pata hai tum kabhi mujhe dhokha nhi doge aur naahi kabhi chorke jaoge.

Sam: Tumhe pahle mere baare mein sab jaan lena chahiye. Mujhe bhi tum achhi lagi tumhare andar mujhe Ritika ki ek jhalak nazar aayi isiliye main bhi tumhari taraf attract hua.

Mahi: Sab baad mein pahle batao yeh Ritika kaun hai. Humari nazar mein toh aisa koi nhi. Ayee Deepak tu jaanta hai kyaa kisi Ritika ko.

Deepak: Nhii.

Sam: Isiliye bola tha pahle mere baare mein sab jaan lo.

Phir Sam apne baare mein sab unhe batata hai. Ritika ke apne maa baap dadaji sabke baare mein.

Sam: Ab bolo kya tum ab bhi ek aise insaan ke saath aage badhna chahti ho. Jisse uske pyaar ne thukra ke beizaat kiya. Maa baap ne kabhi pyaar nhi diya.

Mahi: Kya tum ab bhi usse pyaar karte ho. Jabki usne tumhe beizaat kiya.

Sam: Haaaa. Kyoki main usse bachpan se jaanta hu. Hum eksaath bade hue. Eksaath khelte thee. Uski saari achhi aur buri aadat ke baare mein jaanta hu. Woh kya kar sakti hai kya nhi kar sakti yeh mujhse achha koi nhi jaanta. Usne jab mujhe woh sab bola toh main sehan nhi kar paaya aur yaha aagaya. Par jab mera gussa shant hua tab mujhe aihsaas hua usne yeh jaanmuzz ke nhi kiya. Uski koi toh majburi thi.

Mahi: Kya mujhe mera pyaar kabhi nhi milegaa. Yeh bolte hue uske aankho mein aansu aajate hai.

Sam: Uske aansu pochte hue. Mahi tum mujhe achhi lagi par main Ritika ko dhokha nhi de sakta. Aur tumhare saath bhi toh yeh ek tarah se dhokha hi hogaa.

Mahi: Agar main kahu mujhe Ritika se koi problem nhi. Aur rahi tumhare maa baap ki baat toh mujhe tumhare saath rehna hai unke saath nhi. Bas mujhe mere hisse ka pyaar chahiye. Agar woh milgaya toh mujhe aur kuch nhi chahiye.

Sam: Tum pagal ho Mahi. Haa yeh sach hai main ab bhi Ritika ko bhula nhi paya hu. Aur shayad kabhi bhula bhi naa pau.

Mahi: Maine bola naa mujhe usse koi problem nhi. Agar future mein woh tumhara pyaar samaj ke wapas aati hai toh mujhe uske saath rehne mein koi problem nhi bas mujhe mere hisse ka pyaar chahiye. Aur agar mujhe tumne naa bola toh tum jaante ho mujhe tumhe khatam karne mein thoda bhi time nhi lagega. Kyoki main apni jaan toh dungi hi par pahle tumhari jaan lungi. Yeh bol woh hasnee lagti hai.

Sam aur Deepak bhi hasne lagte hai.

Mahi: Chalo aaj finally mujhe mera pyaar mil gaya hai toh hum ghumne chalte hai.

Sam: Par maine haa kaha bola hai.

Mahi: Achha tumne haa nhi bola naa abhi bulwati hu.

Yeh bol Mahi apne seat se uth ke Sam ke paas jaati hai.

Mahi: Toh tum haa nhi bologe rightt.

Sam: Koi shakk.

Mahi: Deepak jara bahar ka chakar laga kar aa tab tak tere jija ko ready karti hu.

Deepak bas muskura kar waha se chala jaata hai.

Mahi: Toh ab bhi haa nhi bologe.

Sam: Tum karna kya chahti ho.
Mahi uske aur kareeb jaake ab bhi haa nhi bologe.

Sam bas uski aankho mein dekh raha tha jisme bas pyaar hi pyaar tha aur abhi ke liye shararat bhari hui thi.

Sam: Mahi control karo. Mujhe sochne ka mauka toh do.

Mahi: Pichle 1 saal se control kar rahi hu aur ab tumko sochne ka mauka chahiye.

Teri toh yeh bol usne apne honth Sam ke hontho se chipka diye. Dono ekdum passionately liplock mein the. Sam pahle toh shock hua par jaldi hi khud ko sambhal ke uske saath dene lagta hai. 5 mins baad jab dono ki saanse ukhadne lagti hai tab jaake woh kiss todte hai. Par isbaar Sam ne usko jhakad liya aur phir se kiss start hogya. Yeh kiss thoda wild hogya thaa dono ek dusre ko aise kiss kar rahe the jaise ekdusre ko khaa jayenge. Thodi der baad kiss thodte hai.

Sam: I Love You Mahi. Par main akela shayad tumhara naa ho saku.

Mahi: I Love You Too Sam. Aur mujhe Ritika ko accept karne mein koi problem nhi hai. Bas Ritika aur koi nhi.

Sam: Aur kabhi koi nhi. I promise.
Phir dono ekdusre ke gale lag jaate hai. Aur aise hi lage rehte hai.

Deepak: Ab agar tumlogo ka hogya ho toh ghar chale.

Mahi: Tu jaa main apne ghar mein hu. Ab yehi mera ghar hai. Main apne baby ko chorke kahi nahi jaa rahi. Mere mom dad ko bhi koi aitraaz nhi hoga agar main iske saath rahu toh.

Sam: Par mujhe hoga. Jab tak woh mere saamne apni puri marzi se permission naa de hum eksaath nhi rahenge. Bhale hi hum London mein hai yaha live-in koi badi baat nhi. Par phir bhi.

Mahi: Maine tumhe apna life partner choose karke koi galti nhi ki. Yaha ladki ko ladka ya ladke ko ladki pasand aata hai aur agle hi pal usko bed pe lejaata hai. Agar tum chahte toh aisa kar sakte aur shayad main mana bhi nhi karti. Par pahle tumne mere mom dad ki permission ki baat ki .Ab jab tak mom dad apni puri marzi se nhi kehenge tab tak main tumhare saath nhi rahungi. I promise.

Phir woh log apna breakfast complete karke Mahi ke ghar jaate hai.

Awesome
 
  • Like
Reactions: Jaguaar

doctorchodu

MILFLOVER
369
1,996
123
Update 5
Vikram Uncle: Mujhe khushi hai ke meri beti ne jisko pasand kiya woh uske saath hai.

Sam: Uncle main aapse kuch kehna chahta hu. Hosakta hai aapko galat lage phir bhi main aapko andhere mein nhi rakhna chahta.

Vikram Uncle: Bolo kya bolna hai.
Phir Sam unko sab kuch batata hai jo Mahi ko bataya tha.

Vikram Uncle: Dekho tumhare saath jo hua woh bahot galat tha. Aur mujhe Ritika se koi problem nhi hai. Kyoki mujhe issbaat ki khushi hai tumne 1st day hi sabko sach bata diya. Tum chahte toh yeh chipa ke rakh sakte the. Par tumne aisa nhi kiya. Aur yeh saabit karta hai tum kabhi kisi ko dhokha nhi doge. Par kya Ritika meri beti ko accept karegi.

Sam: Agar usne accept nhi kiya toh main usko chorr dunga par Mahi ko kabhi bhi nhi chorunga I Promise.

Nandini Aunty: Phir humhe bhi koi problem nhi hai.

Mahi: Mom Dad mujhe bhi aapse kuch puchna hai.

Nandini Aunty: Humhe pata hai par abhi woh possible nhi hai. Kuch time rukh jao. Tumhari engagement kardenge phir chahe toh saath rehna. Par uske pahle nhi.

Mahi: Mujhe koi problem nhi hai. I am ready. Infact Sam ka bhi yehi kehna tha ke jab tak aaplog khud se permission naa de woh mujhe apne saath nhi rakhega.

Vikram Uncle: Par pahle apni padhai complete karo aur settle hojao. Phir aage ka kuch sochna humne tumhare relation ko accept kiya hai but tum dono ko apna future strong karna hoga.

Sam: Main puri koshish karunga. Aur engagement bhi settle hone ke baad hi hogi.

Mahi: Main Sam ki baat se sehmat hu.
Phir Yeh log wahi par lunch karte hai. Sam apne flat ki taraf nikal padhta hai.

Sam jab apne flat pe aata hai tab waha kuch der baad 1 aadmi 1 ladka aur 1 ladki aate hai.

Sam: Ji kahiye kisse milna hai.
Aadmi: Mujhe Sameer Sharma se milna hai.

Sam: Ji aap kaun.

Aadmi: Ji mera naam Ashok hai. Aur rishte mein main tumhara muh bola chacha lagta hu.

Sam hasne lagta hai. Dekhiye meri koi family hi nhi hai chacha toh durr ki baat hai. Ab aap jaa sakte hai.

Ashok: Mujhe tumhare dadaji Mr. Ranjit Sharma ne apna beta maana tha. Usi rishte se main tumhara chacha hu. Kya ab bhi vishwaas nhi hai.

Sam: Aap mere dadaji ko jaante the.
Ashok: Haa woh mere pitaji ke bahot hi achhe dost the unki maut ke baad unhone mujhe apna beta banaliya. Aur unhone tumhare liye kuch chora hai mere paas. Unhone kaha tha sahi time aane par tumhe de du.

Sam: Achha. Kya hai woh.
Ashok: Unhone tumhare liye property chori hai.

Sam: Maine yaha aane se pahle iss property naam ke kalesh ko uss Rajesh Sharma ke naam kar aaya tha.

Ashok: Jaanta hu. Par yeh woh property nhi hai yeh tumhare dadaji ki secret property hai. Jiske baare mein mere sivaa kisi ko nhi pata unhone bahot pahle hi mujhe bula kar yeh tumhare naam karne ko kaha tha aur mujhe tumse kuch batane ke liye bhi kaha tha par uska abhi sahi waqat nhi aaya hai. Filhal abhi property dene ka waqat hi aaya hai.

Sam: Secret Property. Aur yeh unke paas aayi kaise.

Ashok: Yeh unhone mujhe kabhi nhi bataya.

Sam: Thik hai. Waise kitni hai.

Ashok: Itni jitni pure India mein kisi ke paas nhi. Matlab tum India ke sabse ameer insaan ho.

Sam: Kyaaaaa. Itni property. Par yeh dadaji ke paas kaha se aayi.

Ashok: Woh toh nhi pata par maine apne pitaji se sunna tha tumhare dadaji ke dadaji kisi ek jamane ke raja the. Phir jab desh azaad hua toh unhone woh saari daulat government se chupa li aur shayad yeh wohi property hai.

Sam: Ooo. Thik hai jab dadaji ne mere naam kiya hai toh main yeh accept karta hu. Par itne paiso ka main karunga kya.

Ashok: Yeh toh tumhe decide karna hai.

Sam: Waise yeh dono kaun hai.

Ashok: Yeh mera beta hai Vishal aur yeh meri beti Soniya. Vishal ek secret agent reh chuka hai aur isse achha computer knowledge kisi ke paas nhi hoga. Aur Soniya se achha business mind kisi ke paas nhi hoga. Tum keh sakte ho yeh inndono ke paas GOD gift hai.

Sam: Great. Isse mujhe inn paiso ka kya karna hai iska idea bhi aagaya.

Ashok: Kyaa karna hai.

Sam: Business. Soniya Ji aap ek company start kare aur uss company ko ek multi national company banaye.

Soniya: Par kis chiz ki company kholni hai.

Sam: Dekhiye mujhe innsab ka koi knowledge nhi hai. Woh sab aap dekh lijiye.

Soniya: Okkk. Main dekh lungi. Waise company kis naam se kholni hai.

Sam: SRM ke naam se.

Soniya: Okkk.

Ashok: Aaj se tumhe kabhi bhi koi bhi problem ho bas mujhe ek call karna. Mujhe yaha ke Senator se lekar India ke PM tak jaante hai.

Sam: Waise mujhe puchna toh nhi chahiye. Par aap karte kya hai.

Ashok: Main India ka secret foreign embassador hu. Jiske baare mein sirf India ke Prime Minister,President aur yaha ke Senator,Prime Minister aur Queen hi jaante hai.

Sam: Greattt.

Ashok: Toh ab humhe chalne chahiye. Kabhi bhi koi bhi problem ho toh hum teeno mein se kisi ko bhi call kar lena.

Aur humhare baare mein abhi kisi se naa kehna ke humhari real identity kya hai.

Sam: Okkk. Samaj gaya.

Phir Ashok and family waha se chale jaate hai.

Sam sochta hai kal tak jaha uske paas limit ke paise the wahi aaj uske paas itna hai ke kabhi khatam hi naa ho.

Phir Sam ke paas Mahi ka call aata hai. Woh log baate karte hai. Sam usse Ashok and family ki real identity chorke sab batata hai.

Mahi: Iska matlab ab tumhare paas behisaab paisa hai aur tum ab business kar rahe ho. Yaani tum settle hogye.

Sam: Ab tumhe apna banana hai toh kuch toh karna hi hoga naa aur abhi apne ghar mein kuch naa bolna. Ekbaar company ko speed lene do phir bolna.

Mahi: Okk. Jaisa tum kaho.

Phir aise hi 6 months guzar jaate hai. Inn 6 months mein company bhi start hogyi thi jo Soniya aur Vishal hi sambhalte the.

Idher yeh log ab school ke last year mein the.

Ek din Sam bike se ghar aaraha tha. Ek bus jiska breakfail hochuka tha woh bhi sam ke pichhe hi thi. Toh achanak uss bus se Sam ki bike ki takkar hojaati hai. Jisse uske sir mein bahot gehri chott aati hai.

Usko hospital le jaaya jaata hai. Police ko bhi inform kiya jaata hai. Police ne Sam ka mobile jo puri tarah se toot chuka tha usse uske jaan pehchan walo ka number nikalke call karke bata dete hai.

Police ne Harish Uncle aur Sanjana Aunty ko hi call kiya tha.

Harish Uncle yeh sunte hi Deepak aur Mahi ko call lagake bolte hai. Aur hospital aane ko bolte hai.

Mahi toh yeh sunte hi rone lagti hai. Uske mom dad usko shant karwa ke hospital leke aate hai. Jaha pahle se hi Deepak and family thi. Mahi sidha jaake Sanjana Aunty ke gale lag ke rone lagti hai.

Sanjana Aunty: Mahi chup hojao. Kuch nhi hoga usse. Woh bilkul thik hojayega. Aise mat ro. Woh thik hojayega. Andar doctor uska treatment kar rahe hai na.

Par uska rona kaha rukhne wala tha. Wahi kahi durr kisi ka dil bada bechain tha. Usko lag raha tha jaise uski aatma usse kahi durr jaa rahi hai. Usko kaise bhi chain nhi aaraha thaa.

Idher Doctor 3 ghante tak OT mein the phir bahar aate hai.

Doctor: Dekhiye main jhooti umeed nhi dunga. Par uska dimaag koi response nhi kar raha hai. Jisse uske treatment pe koi asar nhi hua aur ab uska bachna impossible hai. I am Sorry.

Harish Uncle: Doctor aisa naa boliye koi toh raasta hoga.

Doctor: Sir. Humne apni taraf se puri koshish ki hai. Patient ke sir mein bahot gehri chott aayi hai jisse uska dimaag response hi nhi kar raha hai aur uspe koi treatment kam nhi kar raha hai.

Yeh bol Doctor waha se chala jaata hai.
Mahi yeh sunke jor jor se rone lagti hai. Sanjana Aunty aur uski maa usko sambhal rahe the. Aankhe toh sabhi ke namm the.

Deepak: Dad aap uspe apna formula HDX use karke dekhiye shayad kuch kaam hojaaye.

Harish Uncle: Kaisi baate kar rahe ho Deepak. Abhi tak humne uss formula ko human ke upar test nhi kiya hai. Isse iski jaan ko khatra hosakta hai.

Deepak: Doctor ne toh waise bhi boldiya hai yeh bachne wala nhi hai. Toh kyo na iske upar hi kare.

Mahi: Please Uncle mere Sam ko bacha lijiye. Main uske bina nhi reh sakti. Please uncle kuch kijiye.

Harish Uncle: Beti tum ro mat main karta hu kuch.

Deepak: Dad aapne kaha abhi tak humans ke upar test nhi kiya hai toh kya aapne kisi aur ke upar test kiya hai.

Harish Uncle: Haa tumhare pet Ron ke upar. Aur woh successfull raha thaa.

Deepak: Toh aap Sam ke upar kare.

Harish Uncle: Toh thik hai isko jaldi se yaha se shift karke ghar ke basement mein bane lab mein le jaana hoga.

Vikram Uncle: Chalo hum doctor se baat karke isko le jaate hai.

Phir woh log Sam ko hospital se ghar ke niche bane lab mein le aate hai.

Waha uske upar Uss formula ko insert kiya jaata hai. Unko darr tha kahi iss formula se koi side effect naa ho isiliye woh pahle thoda sa hi dete hai. But kuch ghante baad jab formula kaam kiya tab unhone pura formula Sam ko de diya.

Vikram Uncle: Humhara HDX kamyaab raha. Sam ab khatre se bahar hai. 2-3 din baad usko hosh aajayega tab woh pura badal chuka hogaa. Aur tab hum aaplogo ko kuch baate batayenge HDX ke baare mein.

Mahi apne dad ke gale lagte hue. Thank you so much dad. Aapne meri zindagi mujhe wapas de di. Thank You so much.

Vikram Uncle: Aree woh humhari beti ki zindagi hai. Usse kuch kaise hone dete. Aur ab chinta mat karo. Woh bilkul thik hai.

Phir sab lab se ghar mein aate hai. Mahi ke mom dad toh apne ghar chale jaate hai par Mahi wahi rukhti hai Sam ke paas.

Mahi ne call karke Ashok ko bhi puri baat bata di. Jisse pahle toh woh bahot tension mein aaye but baad mein normal hue aur sochne lage Sam ko formula laga isse thik hi hua. Kyoki badla lene mein yeh uski achhi madad karega.

Zabardast
 
  • Like
Reactions: Jaguaar

doctorchodu

MILFLOVER
369
1,996
123
Update 15 tak padha hai, story ka plot mast hai but action scene faltu hain , sci-Fi bhi mast hai , kuch dialogues bahut acchhe hain aur kuch bina baat ke likh diye gaye hain, jab hero thoda struggle kar raha tha tab maza aa raha tha khair struggle toh ab bhi kar raha hai but woh hdx chemical ki wajah se kuch zyada hi over powered ho gaya hai , jo story ka sabse best part hai woh hai suspense aur thriller, kuch jagah story bahut fast pace me chalti hai toh kuch jagah bahut slow ho jaati hai , bura mat maanna dost ye mera honest review hai
 
  • Like
Reactions: Jaguaar

Jaguaar

Well-Known Member
17,679
60,915
244
Update 15 tak padha hai, story ka plot mast hai but action scene faltu hain , sci-Fi bhi mast hai , kuch dialogues bahut acchhe hain aur kuch bina baat ke likh diye gaye hain, jab hero thoda struggle kar raha tha tab maza aa raha tha khair struggle toh ab bhi kar raha hai but woh hdx chemical ki wajah se kuch zyada hi over powered ho gaya hai , jo story ka sabse best part hai woh hai suspense aur thriller, kuch jagah story bahut fast pace me chalti hai toh kuch jagah bahut slow ho jaati hai , bura mat maanna dost ye mera honest review hai
Thank you

Aur bura manne jaisa kya hai. Aapne jo review diya woh mujhe meri galti kaha hai woh dikha raha hai jisse mein future mein baaki story mein thikk karsaku.
 
Top