Update 5
Vikram Uncle: Mujhe khushi hai ke meri beti ne jisko pasand kiya woh uske saath hai.
Sam: Uncle main aapse kuch kehna chahta hu. Hosakta hai aapko galat lage phir bhi main aapko andhere mein nhi rakhna chahta.
Vikram Uncle: Bolo kya bolna hai.
Phir Sam unko sab kuch batata hai jo Mahi ko bataya tha.
Vikram Uncle: Dekho tumhare saath jo hua woh bahot galat tha. Aur mujhe Ritika se koi problem nhi hai. Kyoki mujhe issbaat ki khushi hai tumne 1st day hi sabko sach bata diya. Tum chahte toh yeh chipa ke rakh sakte the. Par tumne aisa nhi kiya. Aur yeh saabit karta hai tum kabhi kisi ko dhokha nhi doge. Par kya Ritika meri beti ko accept karegi.
Sam: Agar usne accept nhi kiya toh main usko chorr dunga par Mahi ko kabhi bhi nhi chorunga I Promise.
Nandini Aunty: Phir humhe bhi koi problem nhi hai.
Mahi: Mom Dad mujhe bhi aapse kuch puchna hai.
Nandini Aunty: Humhe pata hai par abhi woh possible nhi hai. Kuch time rukh jao. Tumhari engagement kardenge phir chahe toh saath rehna. Par uske pahle nhi.
Mahi: Mujhe koi problem nhi hai. I am ready. Infact Sam ka bhi yehi kehna tha ke jab tak aaplog khud se permission naa de woh mujhe apne saath nhi rakhega.
Vikram Uncle: Par pahle apni padhai complete karo aur settle hojao. Phir aage ka kuch sochna humne tumhare relation ko accept kiya hai but tum dono ko apna future strong karna hoga.
Sam: Main puri koshish karunga. Aur engagement bhi settle hone ke baad hi hogi.
Mahi: Main Sam ki baat se sehmat hu.
Phir Yeh log wahi par lunch karte hai. Sam apne flat ki taraf nikal padhta hai.
Sam jab apne flat pe aata hai tab waha kuch der baad 1 aadmi 1 ladka aur 1 ladki aate hai.
Sam: Ji kahiye kisse milna hai.
Aadmi: Mujhe Sameer Sharma se milna hai.
Sam: Ji aap kaun.
Aadmi: Ji mera naam Ashok hai. Aur rishte mein main tumhara muh bola chacha lagta hu.
Sam hasne lagta hai. Dekhiye meri koi family hi nhi hai chacha toh durr ki baat hai. Ab aap jaa sakte hai.
Ashok: Mujhe tumhare dadaji Mr. Ranjit Sharma ne apna beta maana tha. Usi rishte se main tumhara chacha hu. Kya ab bhi vishwaas nhi hai.
Sam: Aap mere dadaji ko jaante the.
Ashok: Haa woh mere pitaji ke bahot hi achhe dost the unki maut ke baad unhone mujhe apna beta banaliya. Aur unhone tumhare liye kuch chora hai mere paas. Unhone kaha tha sahi time aane par tumhe de du.
Sam: Achha. Kya hai woh.
Ashok: Unhone tumhare liye property chori hai.
Sam: Maine yaha aane se pahle iss property naam ke kalesh ko uss Rajesh Sharma ke naam kar aaya tha.
Ashok: Jaanta hu. Par yeh woh property nhi hai yeh tumhare dadaji ki secret property hai. Jiske baare mein mere sivaa kisi ko nhi pata unhone bahot pahle hi mujhe bula kar yeh tumhare naam karne ko kaha tha aur mujhe tumse kuch batane ke liye bhi kaha tha par uska abhi sahi waqat nhi aaya hai. Filhal abhi property dene ka waqat hi aaya hai.
Sam: Secret Property. Aur yeh unke paas aayi kaise.
Ashok: Yeh unhone mujhe kabhi nhi bataya.
Sam: Thik hai. Waise kitni hai.
Ashok: Itni jitni pure India mein kisi ke paas nhi. Matlab tum India ke sabse ameer insaan ho.
Sam: Kyaaaaa. Itni property. Par yeh dadaji ke paas kaha se aayi.
Ashok: Woh toh nhi pata par maine apne pitaji se sunna tha tumhare dadaji ke dadaji kisi ek jamane ke raja the. Phir jab desh azaad hua toh unhone woh saari daulat government se chupa li aur shayad yeh wohi property hai.
Sam: Ooo. Thik hai jab dadaji ne mere naam kiya hai toh main yeh accept karta hu. Par itne paiso ka main karunga kya.
Ashok: Yeh toh tumhe decide karna hai.
Sam: Waise yeh dono kaun hai.
Ashok: Yeh mera beta hai Vishal aur yeh meri beti Soniya. Vishal ek secret agent reh chuka hai aur isse achha computer knowledge kisi ke paas nhi hoga. Aur Soniya se achha business mind kisi ke paas nhi hoga. Tum keh sakte ho yeh inndono ke paas GOD gift hai.
Sam: Great. Isse mujhe inn paiso ka kya karna hai iska idea bhi aagaya.
Ashok: Kyaa karna hai.
Sam: Business. Soniya Ji aap ek company start kare aur uss company ko ek multi national company banaye.
Soniya: Par kis chiz ki company kholni hai.
Sam: Dekhiye mujhe innsab ka koi knowledge nhi hai. Woh sab aap dekh lijiye.
Soniya: Okkk. Main dekh lungi. Waise company kis naam se kholni hai.
Sam: SRM ke naam se.
Soniya: Okkk.
Ashok: Aaj se tumhe kabhi bhi koi bhi problem ho bas mujhe ek call karna. Mujhe yaha ke Senator se lekar India ke PM tak jaante hai.
Sam: Waise mujhe puchna toh nhi chahiye. Par aap karte kya hai.
Ashok: Main India ka secret foreign embassador hu. Jiske baare mein sirf India ke Prime Minister,President aur yaha ke Senator,Prime Minister aur Queen hi jaante hai.
Sam: Greattt.
Ashok: Toh ab humhe chalne chahiye. Kabhi bhi koi bhi problem ho toh hum teeno mein se kisi ko bhi call kar lena.
Aur humhare baare mein abhi kisi se naa kehna ke humhari real identity kya hai.
Sam: Okkk. Samaj gaya.
Phir Ashok and family waha se chale jaate hai.
Sam sochta hai kal tak jaha uske paas limit ke paise the wahi aaj uske paas itna hai ke kabhi khatam hi naa ho.
Phir Sam ke paas Mahi ka call aata hai. Woh log baate karte hai. Sam usse Ashok and family ki real identity chorke sab batata hai.
Mahi: Iska matlab ab tumhare paas behisaab paisa hai aur tum ab business kar rahe ho. Yaani tum settle hogye.
Sam: Ab tumhe apna banana hai toh kuch toh karna hi hoga naa aur abhi apne ghar mein kuch naa bolna. Ekbaar company ko speed lene do phir bolna.
Mahi: Okk. Jaisa tum kaho.
Phir aise hi 6 months guzar jaate hai. Inn 6 months mein company bhi start hogyi thi jo Soniya aur Vishal hi sambhalte the.
Idher yeh log ab school ke last year mein the.
Ek din Sam bike se ghar aaraha tha. Ek bus jiska breakfail hochuka tha woh bhi sam ke pichhe hi thi. Toh achanak uss bus se Sam ki bike ki takkar hojaati hai. Jisse uske sir mein bahot gehri chott aati hai.
Usko hospital le jaaya jaata hai. Police ko bhi inform kiya jaata hai. Police ne Sam ka mobile jo puri tarah se toot chuka tha usse uske jaan pehchan walo ka number nikalke call karke bata dete hai.
Police ne Harish Uncle aur Sanjana Aunty ko hi call kiya tha.
Harish Uncle yeh sunte hi Deepak aur Mahi ko call lagake bolte hai. Aur hospital aane ko bolte hai.
Mahi toh yeh sunte hi rone lagti hai. Uske mom dad usko shant karwa ke hospital leke aate hai. Jaha pahle se hi Deepak and family thi. Mahi sidha jaake Sanjana Aunty ke gale lag ke rone lagti hai.
Sanjana Aunty: Mahi chup hojao. Kuch nhi hoga usse. Woh bilkul thik hojayega. Aise mat ro. Woh thik hojayega. Andar doctor uska treatment kar rahe hai na.
Par uska rona kaha rukhne wala tha. Wahi kahi durr kisi ka dil bada bechain tha. Usko lag raha tha jaise uski aatma usse kahi durr jaa rahi hai. Usko kaise bhi chain nhi aaraha thaa.
Idher Doctor 3 ghante tak OT mein the phir bahar aate hai.
Doctor: Dekhiye main jhooti umeed nhi dunga. Par uska dimaag koi response nhi kar raha hai. Jisse uske treatment pe koi asar nhi hua aur ab uska bachna impossible hai. I am Sorry.
Harish Uncle: Doctor aisa naa boliye koi toh raasta hoga.
Doctor: Sir. Humne apni taraf se puri koshish ki hai. Patient ke sir mein bahot gehri chott aayi hai jisse uska dimaag response hi nhi kar raha hai aur uspe koi treatment kam nhi kar raha hai.
Yeh bol Doctor waha se chala jaata hai.
Mahi yeh sunke jor jor se rone lagti hai. Sanjana Aunty aur uski maa usko sambhal rahe the. Aankhe toh sabhi ke namm the.
Deepak: Dad aap uspe apna formula HDX use karke dekhiye shayad kuch kaam hojaaye.
Harish Uncle: Kaisi baate kar rahe ho Deepak. Abhi tak humne uss formula ko human ke upar test nhi kiya hai. Isse iski jaan ko khatra hosakta hai.
Deepak: Doctor ne toh waise bhi boldiya hai yeh bachne wala nhi hai. Toh kyo na iske upar hi kare.
Mahi: Please Uncle mere Sam ko bacha lijiye. Main uske bina nhi reh sakti. Please uncle kuch kijiye.
Harish Uncle: Beti tum ro mat main karta hu kuch.
Deepak: Dad aapne kaha abhi tak humans ke upar test nhi kiya hai toh kya aapne kisi aur ke upar test kiya hai.
Harish Uncle: Haa tumhare pet Ron ke upar. Aur woh successfull raha thaa.
Deepak: Toh aap Sam ke upar kare.
Harish Uncle: Toh thik hai isko jaldi se yaha se shift karke ghar ke basement mein bane lab mein le jaana hoga.
Vikram Uncle: Chalo hum doctor se baat karke isko le jaate hai.
Phir woh log Sam ko hospital se ghar ke niche bane lab mein le aate hai.
Waha uske upar Uss formula ko insert kiya jaata hai. Unko darr tha kahi iss formula se koi side effect naa ho isiliye woh pahle thoda sa hi dete hai. But kuch ghante baad jab formula kaam kiya tab unhone pura formula Sam ko de diya.
Vikram Uncle: Humhara HDX kamyaab raha. Sam ab khatre se bahar hai. 2-3 din baad usko hosh aajayega tab woh pura badal chuka hogaa. Aur tab hum aaplogo ko kuch baate batayenge HDX ke baare mein.
Mahi apne dad ke gale lagte hue. Thank you so much dad. Aapne meri zindagi mujhe wapas de di. Thank You so much.
Vikram Uncle: Aree woh humhari beti ki zindagi hai. Usse kuch kaise hone dete. Aur ab chinta mat karo. Woh bilkul thik hai.
Phir sab lab se ghar mein aate hai. Mahi ke mom dad toh apne ghar chale jaate hai par Mahi wahi rukhti hai Sam ke paas.
Mahi ne call karke Ashok ko bhi puri baat bata di. Jisse pahle toh woh bahot tension mein aaye but baad mein normal hue aur sochne lage Sam ko formula laga isse thik hi hua. Kyoki badla lene mein yeh uski achhi madad karega.