mashish
BHARAT
- 8,032
- 25,909
- 218
Update 15Phir jaise taise class khatam hota hai. Aise hi recess tak teachers aate intro lete padhate aur chale jaate Sam aur Natasha ka kaam chalu hi thaa aur Ritika ki aankho se ab aansu nikal rahe the. Woh yeh sab nhi dekh paa rahi thi.
Recess mein Sam aur Rishi canteen mein aate hai aur Natasha sidha washroom bhagti hai. Canteen mein jaha Mahi aur Deepak uska wait kar rahe the.
Mahi: Kaisa gaya.
Sam: Thik hi thaa. Tumlogo ka.
Dono: Same.
Sam: Baitho main coffee leke aata hu.
Rishi and Deepak: Hum bhi chalte hai.
Phir yeh teeno chale jaate hai coffee laane. Mahi wahi pe akeli baithi rehti hai.
Jab yeh wapas aate hai tab dekhte hai ek ladka Mahi ko cherrr raha hai.
Sam: Kya hua Mahi.
Mahi: Yeh mujhe date pe le jaana chahta hai.
Sam: Tune puch liya chal ab nikal.
Ladka: Ayee tu chup chap baitha reh maine isse pucha hai. Tu kaun hai bee
Sam: Tune jisse pucha hai main uska boyfriend hu.
Ladka: Ooo. Chal koi baat nhi. Ekdin ke liye mere saath date pe jayegi toh kuch nhi hoga. Sahi salamat wapas chorke jaunga.
Sam: Tujhe samaj nhi aati kya. Bola naa chal nikal.
Ladka ab gusse mein Sam ka coller pakad leta hai.
Ladka: Tujhe bola naa chup karke baith. Mujhe jo pasand aajati hai main usko apna banakar hi maanta hu agar maan jaaye toh thik warna ek raat ke liye leke baat khatam. Aur maine tujhe bola naa yeh sirf ek raat ke liyee.
Tabhi pichhe se awaaz aati hai.
Ayee Raghav kya horaha hai yeh.
Raghav: Aree Akash bhai aap. Kuch nhi main bas haal chaal puch raha tha aap jaante ho kya.
Akash: Haa. Meri hone wali bhabhi ka bhai hai. Chal ab nikal yaha se.
Raghav: Ji bhaii. Phir Sam ke kaan mein tu lucky hai jo Akash bhai ka ristedaar hai warna dikhata Raghav se muh lagne ka nateeza.
Sam ko gussa toh bahot aaraha tha. Usne coffee ko table pe rakha aur ek mukka uske muh pe maara. Jisse uske saamne ke daant toot gaye.
Yeh dekh kar Akash, Karan, Ritika, Rishi aur Kajal hairan hojaate hai.
Raghav: Teri itni himmat tune mujhe maara.
Raghav Sam ko maarne aata hai toh Sam ek laat uske seene mein maarta hai jisse woh durr jaa gira.
Ritika: Akash,Karan roko usse. Warna Raghav aur uske aadmi Sam ko maardenge.
Karan hero banne gaya.
Karan: Ayee bhai rukh jaa kyo panga leraha hai.
Sam ne Karan ko ek thappad maara aur uska daant toot kar kahi durr gira. Phir Sam uss Raghav ke paas jaata hai.
Sam: Tune kiske baare mein bola hai tujhe pata nhi hai. Aajke baad tu kabhi bhi uski taraf aankh nhi utha payega.
Akash uske kandhe mein haath rakh ke usse chorde woh aage se aisa nhi karega.
Sam Akash ko ek ek jordar dhakka marta hai jisse woh durr jaa giraa.
Phir Raghav ko utha ke maarne lagta hai.
Raghav: Ayee tumlog dekh kya rahe ho maar dalo saale ko.
Tab tak saare college staff waha aajata hai.
Principal: Yeh sab kya horaha hai. Band karo yeh sab.
Raghav: Principal iss ladke ne mujhpe haath uthaya hai ab iski arthi hi yaha se jayegi. Upar se Akash bhai aur Karan bhai ko bhi maara hai. Tu chup chap wahi khada rahe warna tere liye achha nhi hoga.
Raghav ke aadmi Sam ko maarne aate hai. Sam sabse pahle wale ko ek laat maara jisse woh durr jaa gira. Phir dusre wale ka haath pakad ke uska woh haath todd deta hai. Aur uske sir pe apne haath se jor se maarta hai jisse woh wahi pe dherr hojaata hai. Yeh dekh kuch gunde wahi rukh jaate hai. Raghav bhi yeh dekh dar se apne kuch aur aadmi bula leta hai.
Sam uske saare aadmiyon ko maarta rehta hai. Tab tak uske aur aadmi aajate hai haatho mein hockey stick base ball bat iron rod yeh sab leke.
Raghav: Ab tujhe kaun bachayega. Ab toh tu marega.
Sam kuch bolta nhi bas waha khada rehta hai.
Ek aadmi haath mein hockey stick lekw Sam ko maarne aata hai Sam uss hockey stick ko pakad ke uske haath se hockey stick chin leta hai aur woh hockey stick se uss aadmi ke sir pe puri taqat se maarta tha jisse uska sir fatt jaata hai aur khoon nikalne lagta hai. Yeh dekh waha khade sabhi ke raungte khade hojaate hai.
Sangeeta: Sam chordo unhe.
Sam yeh sunke aur gusse mein aata hai aur woh hockey stick leke unke paas daud ke jaata hai aur ek ek ko maarna lagta hai.
Phir hockey stick ko phek ek ek pakad ke haatho se marne lagta hai. Sabkoi khoon se bhig chuke the. Tabhi ek aadmi aake chaku se Sam ko maarne chahta hai tabhi Ritika jor se chillake Sam ko bacha leti hai but chaku se Sam ki t-shirt cut jaati hai. Sam uss aadmi ke sirr ko pakad ke jameen mein jor se de maarta hai jisse uska sir phatt jaata hai.
Kuch aadmi himmat juta ke eksaath Sam ko pakad lete hai. Aur saamne se 2 aadmi aate hai. Tabhi Sam unko aise jhatak ta jisse woh durr jaa girte hai. But isse uski t-shirt puri fatt jaati hai. Sam uss t-shirt ko nikal fhekta hai jisse woh topless hojaata hai aur uski muscular body sabke saamne aajati hai. Sab uske body ko ghurne lagte hai. Ek pal ke liye toh Mahi aur Ritika bhi apne aap ko nhi rokh paati.
Idher jo 2 aadmi Sam ko maarne aate hai unme ek ko Sam duck karta hai aur dusre ko pakad ke lightpost mein de maarta hai aur pahle wale ko pakad kar usko dono haatho se utha ta hai
Sangeeta: Usse chorr do woh mar jayega usse kuch mat karna.
Sam gusse mein usko wahi pe jor se patak deta hai. Jisse uska sir fatt jata hai aur khoon nikalne lagta hai. Tabhi pichhe se Sam ke sir mein Raghav ne baseball bat se maardiya.
Sam ke sir se khoon nikalne lagta hai. Yeh dekh Mahi aur Ritika jorr se chillate hai aur unki aankho mein aansu aajate hai.
Sam ne paas pade chaku ko utha ke Raghav ke haath mein gusaa deta hai jisse uske haath se base ball bat chutt jata hai Sam woh bat pakad ke uske sir mein jor se maar deta hai. Phir uske muh pe apne mukke maarne lagta hai. Phir uske pichhe jaake uske spinal cord mein jor se maarta hai jisse woh toot jaata hai.
Sangeeta kuch bolne wali hoti hai tabhi waha khade ek teacher ne usse rokh diya kyoki jab jab jab Sangeeta ne bola Sam ne aur behrami se maara hai.
Phir Sam uske saamne aata hai aur usko maarne wala hi hota hai tabhi Ritika chillati hai.
Ritika: Sam usko chorr do tumko meri kasam.
Sam ke haath wahi rukh jaate hai. Phir waha police aati hai kyoki waha pe kisi ne police ko call kardiya tha.
Inspector: Kisne maara hai isse.
Sam: Maine maara hai.
Inspector: Tujhe pata hai yeh MLA ka beta hai. Ab tujhe koi nhi bacha sakta. Tu toh ab lamba andar jayega. Hawaldar daalo isko andar.
Ritika daud ke aati hai.
Ritika: Sir pahle isko hospital le jaaye dekhiye kitna khoon beh raha hai.
Sam ka pura chehra khoon se bhigg chuka tha. Sam ne apne muh pe haath ghuma ke Ritika ke muh pe jhatak deta hai jisse khoon pura uske muh pe girta hai but kuch cheente uske maang mein sindoor ki jagah bhi gir jaate hai jiska aihsaas Ritika ko hota hai aur uska haath apne aap uss jagah chale jaate hai.
Sam: Mahi car leke pichhe pichhe aao.
Mahi: Okkk.
Inspector: Tu ab lamba andar jayega ladke. Tujhe ab koi nhi bacha sakta.
Sam: Dekhte hai.
Phir Sam ko police station le jaaya jaata hai. Mahi bhi pichhe pichhe chali jaati hai. Ritika toh ab bhi wahi pe shock mein khadi thi Sam ke abhi ke harqat ko leke. Woh waha se bhag ke sidha ghar chali jaati hai.
Idher Mahi ne raaste mein hi Ashok Uncle ko call karke sab bata diya tha.
Sam jab police station jaata hai tab waha pahle se hi MLA baitha hua tha.
MLA: Tune mere bete ko maara ab tu yaha se zinda wapas nhj jaayega. Isko aisi maut do ke isko 7 pushte bhi kaanp uthe.
Inspector: Hum dekh lenge aap Raghav Baba ko dekhiye.
Phir Inspector Sam ko jail mein band karne hi wala hota hai tabhi uska phone bajta gai.
Inspector: Hello.
Saamne se koi kuch bolta hai jisse sunke inspector ke paseense chutne lagte hai.
Inspector: Yesss sir main abhi chorr deta hu. Aap chinta naa kare.
Inspector: Aap kaun hai Sir. Aapke liye mujhe khud CM ne call kiya tha.
Sam: Yeh janna tumhara kaam nhi hai. Par aage se mere saamne nhi aana warna Raghav ki jagah tum hoge.
Inspector: Darr ke. Jiii ji Sir.
Phir Sam waha se nikal jaata hai Mahi pahle se hi car leke waha khadi thi.
Mahi: Kidher ghar ya hospital.
Sam: Ghar. Chott thik hochuki hai.
Phir Sam aur Mahi ghar wapas aate hai jaha Deepak pahle se hi baitha hua tha.
Deepak: Bhai late hogya aane mein.
Sam: Bas car dheere chala rahe the.
Idher College mein Sangeeta ko bahot tension hone lagti hai woh Rajesh ko call karke sab bata deti hai.
Rajesh yeh sunke ki woh jail mein hai usko khushi hoti hai.
Akash: Ab toh lamba andar gaya. Itni aasani se bahar nhi aane wala.
Karan: Haa bhai. Aur isse usne jo humari family ki beizaati ki thi uska bhi badla lena hogya.
Natasha: Chahe kuch bhi kaho. Fight badi mast ki hai usne. Main toh uski fan hogyi.
Ritika jab ghar pahonchti hai toh usko Sam ko leke bahot tension horahi hoti hai but jab uski nazar saamne rakhe mirror mein jaati hai toh waha Sam ka khoon uski maang mein sindoor ki tarah laga hua tha.
Ritika ko samaj nhi aaraha tha woh khush hoye ya dukhi hoye.
Kyoki khoon ke aise lagne hai ek tarah woh Sam ki patni ban chuki thi. Par woh iss baat ko maan nhi paa rahi thi.
Idher Rajesh MLA se milkar Sam ko jail mein rakhne ko bolta hai.
Agle din MLA ke saath Rajesh bhi tha aur uske aadmi college mein aate hai. Ritika sang sab koi yeh dekhne lagte hai.
MLA: Ab woh ladka kabhi bhi college nhi aa payega. Isne mere bete ko maara hai ab yeh zinda nhi rahega.
Yeh sunke Ritika ki aankho mein aansu aajate hai.
Tabhi college mein ek car enter karti hai. Car ko dekh kar Ritika ke chehre mein achanak ek smile aajati hai. Aur jab Car se Sam ko bahar nikalte dekhti hai toh uski smile gehri hojaati hai.
MLA aur Rajesh Sam ko dekh kar shock hojaate hai.
MLA: Tu bahar kaise aaya.
Sam: Tujh jaise corrupt aur dalaal MLA mujhe andar nhi rakh sakte. Ab nikal yaha se.
Rajesh: Bado se baat karne ki tameez nhi hai tujhe yeh bol woh Sam ko maarne ke liye haath uthata hai.
Sam uska haath pakad leta hai.
Sam: Main Sameer Sharma nhi hu jisko tu bewajah maar lega. Main Sam hu. Agli baar agar yeh haath utha toh tere jism se yeh haath ukhad dunga. Aur tu(MLA) tere bete ne jiss ladki ke baare mein galat socha tha aur galat bola tha woh meri jaan hai. Yeh woh Ritika ki taraf dekh kar bolta hai. Jisne bhi uske baare mein galat socha wahi uski jaan le lunga. Aur yeh koi dhamki nhi hai mera wada hai. I promise.
MLA: Tune mere bete ko maara hai. Tujhe toh main chorunga nhi. Aur yeh ladki bhi nhi bachegi. Isko toh main apne bete ki aur apne aadmiyon ki randi banaungaa.
Sam jab yeh sunta hai toh uski aankhe laal hojaati hai woh MLA ko ek thappad laga deta hai jisse woh wahi girr jaata hai
MLA: Tu bahot pachtayega. Yeh bol MLA aur Rajesh waha se chale jaate hai. Sam waha se Mahi ka haath pakad ke Ritika ko dekhte hue waha se class ki aur chala jaata hai.
Class mein aake aaj Ritika dekhti hai Sam abhi akela hai woh bina kuch bole uske bagal mein jaake baith jaati hai. Sam naa uski taraf dekhta hai aur naa usko kuch bolta hai. Natasha jab aati hai toh aaj Ritika ko uske bagal mein baitha dekh.
Natasha: Ritika kya tum dusre bench mein baith sakti ho actually mujhe Sam ke saath baithna hai.
Ritika: Par main baith chuki hu. Tum recess ke baad baith jaana.
Natasha: Par. Woh aage kuch bolti tabhi class mein Sangeeta aajati hai.
Aaj bhi Sam idher udher hi dekhta rehta hai. Aur Ritika pura class sirf Sam ko dekhti rehti hai. Par Sam aise behave karta hai jaise uske paas koi hai hi nhi.
Ritika ko dukh toh bahot hota hai.
Recess tak classes hoti rehti hai par Sam Ritika ko ignore hi karta rehta hai.
Recess mein Ritika rote hue class se bahar chali jaati hai jisse Sam ko bhi bahot takleef hoti hai.
Canteen mein kal ki tarah aaj bhi Mahi aur Deepak wait kar rahe the. Par aaj pure canteen mein sab koi bas Sam ko ghurr rahe the.
Ritika jab aati hai tab uska chehra utra hua tha aur usko dekh kar lag raha tha woh bahot royi hai.
Sam: Mahi tum usse akele mein abhi baat karo naa.
Mahi: Koshish karti hu.
Mahi uth ke Ritika ke paas aati hai.
Mahi: Hii Ritika kya main thodi der tumse akele mein baat kar sakti hu.
Ritika: Mujhse par kyo. Main toh tumko jaanti bhi nhi.
Mahi: Jaruri hai please.
Ritika: Okk chalo. Phir Mahi Ritika ko leke ek khaali jagah aajati hai.
super action update