" hum jaan chuke hain ki aap thakur sahab ki zameeno par kabza karke kheti ke jariya kya karte hain " vikrant ko shayad is baat ki umeed nahi thi isliye vo malini ko bas ghurta hi raha aur kuch bol na saka.
" to kya janti hai aap? " vikrant samne baitha malini ke jawab ka intezar karne laga
" utna to jaan chuke hain hum jitna jarui hai baki to apke samne hi rakha hai "
" kya hai isme "
" apke kartut ka chitta hai " malini ke kehte hi vikrant ke badhte hath ruk gaye " ghabra gaye? " malini ek pal chup hui " ranjit ko marte hue nahi kanpe the aur fir uski laash ko apne hi mehal ke angal mein dalte hue nahi kampe the. Itna hi nahi apne uski biwi shobha ko bhi nahi chhoda vo bhi kisliye bas isliye taki ek naam mita sake. Yani hume mita sake aur haweli ke akhri bache shaks se chutkara pakar apne kaam ko anjam de sake. Apko kya laga tha ki haweli ke kheton par apna kabza jama kar kanuni kagzon ko jala denge aur use un sehehri logon ko bech denge? " malini ke kehte hi vikrant ki ankhein badi hoti chali gayi " apke fike pade chehre ko dekh to yah samajh ata hai ki apne yahi socha tha jaisa humne samjha. Ek aap hi aise shaks hai jiska humare marne par faiyda ho raha tha. Bas farak itna tha ki apne hume marne ki kosish nahi ki balki is tarah fasane ki kosish kari taki hum haweli aur mandir se dur ho jayein aur kabhi vapis na aa sake. Iske baad uska fayda utha kar aap apne kaam ko anjam de sake. Isliye apne mandir ki shrapit kahani gaon mein failai aur uske chudail ki bhi taki hamare jane ke baad ye kahani sach ho jaye aur na hi kabhi koi haweli ke bare mein jane aur na hi us mandir ke bare mein. Apne hi thakur chandraprakash ka katal kiya aur hamare pati bikram ko gayab kiya isi tarah ek ek kare apne har haweli ke sadasye ko haweli se dur kar diya. Sirf hum bache the aur ab aap hume kisi wajah se maar nhi paa rahe the isliye apne hume fansane ke liye alag alag logon ka katal kiya taki humse jo chahte hain vo bhi pura ho jaye aur jo aap chahte hain vo apko mil jaye. Humse aap kya chahte the vo apke samne hi rakha hai jahan par kuch kagazat aise hain jo apko kabhi mile nahi aur apko use khojne ke liye haweli ke sadsye ki jarurat thi isliye apne hume nahi mara isliye iska jawab to hume mil gaya bas ek sawal ka jawab nahi mil paya ki ap mandir se kya chahte hain? Aisa kya hai us jagah par jo aap us jagah ko itni sidhat se chahte hain tabhi apne thakur sahab ko mandir ko band karne ke liye majbur kiya taki aap us band jagah ko apne hissab se chala sake aur ant mein thakur sahab ke marne ke baad puri tarah se uspar hak jama sake. Bas yahi sawal ka jawab hume apse chahie ki apne itna sab kiya sirf paison ke liye? ya fir iske piche apki koi ek kahani thi jiske bare mein sab anjan hai " malini ne itni baat kahi aur mehal mein ek sanata cha gaya. Ek taraf vikrant malini ko ghur raha tha to mira asmanjas mein kabhi vikrant ko dekhti to kabhi malini ko.
" ye aap kya keh rahi hai malini, vikrant " mira ne bolne ki kosish ki.
" hum apko sachet karna chahte hain miraji, kyun ki iske baad apki hi bari thi. Vikrantji ki agli shikar aap hi hai "
" kya? " mira chaunki aur vikrant bhi chaunk utha.
" jante hain ki apko hamari baat par vishwas nahi hoga par jis admi ko aap apna pati manti hai darasal vo to ek darinda hai " malini ne mira ki taraf dekha. " vo apki sundarta ke liye apko yahan le aya par uske andar ka darinda abhi tak apne dekha hi nahi hai. Ye sab kuch hassil karne ke baad vo apke jism ko aisi jagah chhod dega jahan se koi apko khoj nahi payega "
" maliniji bas iske baad hum vikrantji ke khilaf kuch aur nahi sunenge " mira ne malini ko chetavni di.
" agar hum jhooth keh rahe hain to puchiye inse, puchiye ki kaun hai shakuntala devi, kaun hai vo aurat jise inka sambhand hai aur vo bhi aaj se nahi balki kai salon se. Aur han agar ye iska jawab bhi na de paye to puchiye ki kamla bai ke kothe par ye kise milne jaya karte the? Hume vishwas hai ki inke pas is baat ka koi jawab nahi hoga " malini ne mira se ye baat kahi to mira wahin khadi ek pal use ghurti rahi aur fir vikrant ki taraf dekhne lagi.
" vikrant aap chup kyun hai jawab kyun nahi dete " mira ne pucha par vikrant ne kuch nahi kaha.
" ye akele nahi hai miraji, bhanu singh naam ka insan inke sath mila hua hai jo thakur sahab ka bhi dushman raha hai. Itna hi nahi inhone apne pita madanlal ka katl bhi karwa diya kyun ki unhone bhanu singh ko inke sath hamare pati bikram ke sath dekh liya tha jinko in dono ne mil kar maar dala. Is baat ka shaq to usi din se ho gaya tha hume jab inhone madanlal ki mrityu ka wahi din bataya jis din bikram gayab hue the. Apne hi pita ke katal jaisa jurm kiya hai inhone "
" hume yakeen nahi ho raha hai, kuch bhi yakeen nahi ho raha hai " mira ki ankh se ansu nikla aur vo vikrant ki taraf dekh chillai " vikrant aap chup kyun hai bolte kyun nahi kuch. Kya ye sab sach hai? " mira ki baat ko ansuna kar vikrant apni jagah se khada hua aur tehalta hua mira ke kareb aa khada hua. Chehre par aye mira ke ansu ko usne apni ungli se hataya aur uski ankhon mein dekhta raha.
" boliye kya sach hai " mira ne dhime swar mein pucha.
" wahi jo apne suna " vikrant ne chupi todi aur jis jawab ki umeed mira ko nahi thi.
" bol dijeye ki ye jhooth hai "
" jhooth bolne ka ab koi fayda nahi hai mira " vikrant ne mira ko apne se alag kiya aur aage ki taraf chal diya. Malini apni jagah se khadi hoti use pehle vikrant ne bolna shuru kiya to malini uthi nahi vahin baithi sunti rahi.
" hume nahi malum tha ki itni jaldi samajh jayegi aap ki in sab ke piche hum hai. Bhanu hamesha kehta tha ki padi likhi hai use jald se jald haweli se dur kar dena chahie. Par hume lagta tha ki apko sahi mauke par hi us jagah bhejna chahie jahan se aap zindagi chhod dene ke liye tadapti rahe aur kabhi chhod bhi na paye. Ab aap humse puchegi ki apne hamara aisa kya kiya jo aapke sath hum yun bartav karna chahte hain jo shayad ab apko iska jawab janne ka hak hai. Aapke sasur yani ki thakur chandraprakash jise aap bhagwan samjhti hai, pati jise apna sab kuch manti hai, darasal un sab ne ek kavach pehna hua tha apke samne dunia walon ke samne. Vo insan nahi balki haiwan the jinhone hamari hi tarah na jane kitne hi logon ki behno ke sath haiwaniyat dikhai aur koi kuch nahi kar paya. Unhi mein se ek insan unhone vo chuna jo hamare behad karib tha Shakuntala devi jo hamari behen thi jiske sath sirf thakur chandraprakash ne hi nahi balki apke pati thakur bikram ne haweli ke tehkhane mein kai dino tak soshad kiya aur fir uske adhmare sharir ko mandir mein fenk diya. Jab vo nahi mari aur usne gaon wallon ko batane ki thani to use kamla bai ke kothe mein fenk diya aur wahan par uske sath... " vikrant bolta hua ruk gaya. Malini ne jaisi kahani suna kar vikrant ko chaunkaya tha usi tarah vikrant ne apni kahani se san kar diya tha. " behen ke sath hue is baat ko bapuji bhool gaye par hum nahi. Bapuji ko malum chala ki hamari behen jisko seher padne bheja tha uske sath ye sab hua to unhone thakur sahab se jhagda mol liya par kuch kiya nahi lekin hum nahi chup reh sakte the hume badla lena tha aur is tarah lena tha taki haweli ki har khushi ko barbad kar dein, un sb ko bhi wahi yatna de jo unhone hamari behen ko di thi " vikrant bol kar chup hua aur usne malini ko sawalon mein chhod diya. Vo samajh hi nahi paa rahi thi ki jis pariwar ko usne sab mana vo aisa nikal sakta hai. Kya yahi vo raaz hai jiski baat neelam didi karuna se karti ayi thi? Kya neelam didi bhi janti thi is baat ko? Kya aaj tak mene jo bhi apne pati ko khojne ke liye kiya vo ek aise insan ke liye kiya jo uske layak nahi tha? Malini gehri soch mein dubi hui kuch aur sawal kar pati use pehle vikrant ne piche se uska muh pakad liya aur sans rokne laga. Malini chatpatai lekin achanak se hue hamle ke chalte vo kuch kar na saki. Mira besudh khadi hokar un dono ki harkat ko dekhti rahi, usne ek kosish nahi ki vo malini ki madad kare.
Vikrant ne takat se malini ko baithak par se piche ki taraf khincha aur malini ka sharir piche ki taraf uth gaya. Vikrant ki takat ke aage malini ka bas nahi chal raha tha. Usne apni takat se malini ka chehra niche ki taraf kar diya jiske sath uski fatti hui ankhein vikrant ki ankhon se jaa mili. Malini ki ankh se pani nikal aya. Uski sansein ukhadne vali thi aur zindagi sath chhodne ke liye tayar thi. Malini ki takat kam hoti jaa rahi thi aur ab apne aap ko chhudane ki kosish bhi khatam si hoti ja rahi thi. Malini ko harta dekh vikrant ne malini ke muh par aise dabab diya ki uski gardan ki haddi chatak kar tut gayi aur malini ki bachi hui sansein khatam ho gayi. Vikrant malini se alag hua aur uski khuli hui ankhon ko dekhne laga jisme se pani ki jagah khoon nikalne laga tha aur dhire-dhire ankh ke sath naak se bhi khoon nikalte hue zameen par ikhata hone laga.
" ji aap kaun " darwaja khulne ke baad jab naukrani ne dubara awaz di tab malini hosh mein ayi. Usne abhi abhi samne khadi aurat ke piche shobha ka chehra dekha tha.
" hum malini, vikrantji se milna hai "