• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Hotel Royal Palace (Completed)

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,729
55,031
304
Ye Lamba kuch to gadbad hai pahle bola ki time punctual hai 5 ke baad nahi milega ajit ko aur phir khud hi drive pe nikal liya aur piche se itna bada kaand ho gaya.... Par sochne vali baat hai ki iss kand se bhi kuch bada hua hai jiska sambandh Irani naam ke vyakti se hai aur vo case bhi inspector bhave ke paas hi hai
Great writing bhai... Facial expressions ko detail mein bata ke aapne har sentence ke piche chupe emotions ko clear kar diya hai :applause:
Is waqt har koi shaq ke ghere main hai bhai sath bane rahe sare raaj khulenge :dost:
 
Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,729
55,031
304

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,729
55,031
304

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,729
55,031
304
Update 9

ajit jo unki bate dhayan se sun raha tha lekin irani is naam se use kuch samajh main nahi aa raha tha, yaha golibari aur khoon jaise gambhir gunah hua hai aur uske bare main sawaal chhod kar bhave jis hisab se irani ke bare main sawaal puch rahe the usse madhuri sen se bhi jyada irani ka case gambhir tha ye samajh ne main ajit ko jyada samay nahi laga ab to uski najre bas lamba par tiki thi..............

--------------------------------------------
Lamba ne apni jeb se cigarette ka packet bahar nikala aur usme se cigarette nikalne lage, waise cigarette jala kar uska dhua bhave ke muh par choda jaye aisa lamba ko man main lag raha hoga lekin asal main waisa hua nhai unhone cigarette nikali lekin ek sath do cigarette nikal gayi to lamba ne ek ander rakhi aur dusri cigarette jalayi

"minochar irani? uske bare main kya puchna hai ??" lamba ne ciragette ka dhua chhodte huye pucha

Ajit ko lamba ke bare main sahanubhuti wahi feeling aa rahi thi. Minochar irani kaun hai ye to chhodo ajit ne to ye naam bhi pehli baar suna tha, wo log kis bare main baat kar rahe the iska ajit ko halka sa bhi andaja nahi tha lekin bhave kis bare main baat kar rahe hai ye lamba achi tarah jante the aur ye baat ajit ne notice kar li thi aur irani ke sath jo kuch bhi hua hoga uska lamba ke sath kaafi kareebi sambandh hai aisa use lag raha tha kyuki lamba ke hath tharthara rahe the

"Minochar Irani!!" apne pehle wale saumya awaj main bhave ke bolna suru kiya..." Mr. lamba aap jis raste par gaye the waha ambetpada main minochar irani ki estate hai na?? aap jate huye ambetpada hote huye gaye fir narpad gao se hote huye chikhla se bordi road par aaye barabar?? bhave ki tikshna najar lamba par jami huyi thi

"bilkul. wo rasta ambetpada se hi jata hai ye sach hai lekin minochar ki estate road se dhai se teen kilometer ander hai aur main usse aaj dinbhar main na mila hu na use phone kiya hai" cigarette ke kash khichne ke liye lamba ek pal ruke fir bole

"inspector, aise bate ghumane ki bajay aap sidhe sidhe mudde par kyun nahi aate? minochar main itna interest lene ka kya karan hai???" lamba ne pucha

"kyuki aapus jagah the aisa hame pata chala hai!!" bhave ne kaha

"Inspector main aapko fir se ek baar warn karta hu" lamba ka awaj kafi kadak tha

lamba ke awaj ka raub dekh kar inspector bhave bhi chauk gaye lekin unhone jald hi khud ko sambhala fir kaha

"Mr. Lamba aap minochar irani kr estate ke aaspaas aap parisar main the ye aap manya karte hai??" bhave ne pucha

"wo road unki estate ke paas se hi jata hai, par isse kya farak padta hai?? inspector yaha ek nishpaap ladki ka khoon hua hai aur aap mujhe se minochar ke bare main puch rahe ho iska mya matlab hua??"lamba ne kaha

"kyuki minochar irani is waqt is duniya main nahi hai" bhave ne shant lahje main kaha

"waht!!!!!"

"wo mar chuke hai kisi ne goli maar kar unki hatya ki hai" bhave ne shanti se apni bat puri ki aur lamba na nirikshan karne lage, Lamba ko kafi jor ka jhatka laga tha mano unke sar mar kisi ne bomb fod diya ho unka chehra safed pad gaya tha aur wo sudh kho kar ajit bhave aur ingle ko dekh rahe the, unke hoth kuch bolne ke liye fadfada rahe the lekin unme se shabd h nahi nikal rahe the mano lamba gunge ho gaye ho, kuch pal shanti main bite

"Minochar!! my god!!, lekin ye kaise ho sakta hai aur aap keh rahe ho kisi ne use goli maar di" akhir kaar lamba bole

" MInochar Irani ka khoon hua hai ye aapko pata nahi tha??" bhave ne pucha

"bilkul nahi" lamba ne kaha, unhone fir ek baar shocked act karne ki koshish ki thi lekin wo unhe jami nahi. honest insan ke jaise apne ko ab bhi is baat par yakin nahi ho raha hai ye jatane ki lamba ne koshish ki thi. Ajit ko lamba ki life ke bare main jyada kuch nahi pata tha lekin wo jhooth bol rahe hai ye baat usne ek baar main hi notice kar li thi aur apne jaise hi hhave ne bhi ye baat notice kar li hai aisa use laga

" well Mr. Lamba is sthiti main aapko puri charcha karneke liye hamare sath police station chalna padega aur isme aapko koi dikkat nahi hogi aisa main manta hu" bhave ne kaha

"bilkul nahi aur aisa kuch hua hai ye agar mujhe pata hota to main pehle bhi mana nahi karta" unhone apni cigarette jamin par feki aur apne juto ki nok se use bujha diya aur fir ek baar bhave ki dekh kar bole" agar aapko koi takleef na ho to main Mr. Deshmukh se private main paanch minute kuch baat karna chahunga "

"arre paanch kya pandhra minute lijiye hamare paas samay ki kami nahi hai" bhave ne kaha aur lamba ne ajit ko apne sath aane ka ishara kiya aur wo kuch duri par chale gaye jaha koi unki baat na sun sake.......
 
Vikram Bhosle

...................
1,647
3,187
159
Nicee
 
Last edited:

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
43,719
114,128

:reading:
 
Top