Unki maa ne unhe lataada, " Tum log ab bade ho
gaye ho. Thodi maturity dikhao. Gaon me logo ke
saamne please aise behave mat karna." Fir Jay ko
sambodhit karte huye boli,"Mister, tumne abhi tak
mere sawaal ka jawaab nahi diya."
"Mummy packing ki baat? mere dhyaan se utar gayi
thi. Mai abhi kar leta hu." Jay ne apni maa ko
vishwaas karaate huye kaha.
"It's allright beta. Lekin jaldi karna."
Jay ne bol to diya tha lekin agle hi pal ye kaam
everest par ek pair se chadhne jaisa kathin lag raha
tha. Kaha se shuruwaat karni hai use samajh me
nahi aa raha tha.
Uske chehre par ki chinta ki lakeero ko Priya ne
padh liya tha." Jay chalo mai tumhaari madad karti hu."
Naashte ke baad Jay apne kamre me Priya ke
saamne kapdo ko almaari se nikaal raha tha.
" Pehle ye batao ki kitne kapde le jaaoge? Poore
hafte rahna hai na waha?" Priya ka ye sawaal sunkar
Jay soch me pad gaya.
"Ummm saat din yaani saat kapde. Thik rahega
na?"Jay ne sar khujaate huye kaha.
"Waise tumhaara maths kaafi achha hai, par tum do
teen kapde aur rakh loge to achha rahega. " Priya ne
muskuraate huye kaha.
"Tumhaari baat me dam hai." Jay ne apni rajamandi jatayi.
" Thik hai to ab tum batao kaun se kapde le jaoge to
hum packing start kare."
Jay ke chune huye kapdo me jyaadatar Jeans,
tshirts aur jackets the. Unhe sirf do shirs ke liye
ironing ki jarurat padi.