aaiye suru karte hai ek kahani jis kahani ka shirshak hai humara kabila.
sabse pahle kuch jaruri baate.
ye kahani hai ek aise grah ki jahan ka 70% bhaag sirf paani se bhara hua hai matlab samudra hi samudra aur dher sari nadiyan thik usi prakar jaise ki prithvi hai aur 30 % bhag me jamin hai. aur jamin aisi ki sirf ghane jungalon se bharpur pahadiya hi pahadiyan ho aur un pahadiyon ke bich chote chote kabile.
waise to chote chote 5-10 kabile in pahadio ke bich honge lekin do kabile jo sabse jada log jante the wo the pasha aur tashi. pasha aur tashi do bade kabile the aur in dono kabilo ke bich thi ek badi pahadiyon ki srinkhala. aur us pahadi ke dono taraf tej veg me dharaprawahit nadiya jiske chalte tashi kabile ke logon ko pasha me aane aur pasha ke logon ko tashi me jane ke liye kaafi mehnat karni padti thi. in kathinaiyon ke bawjood bhi ye dono kabile pichle 10 hazar salon se ek dusre ke dusman the. aur us dusmani ka karan tha darul jamjam.
darul jamjam ek prakar ka mani tha jo in kabile ke logon ko shakti deta tha. is mani ko dono kabile ke log apne kabile ke bicho bich ek gufa me rakhte the. jahan aam logon ka jana sakht mana tha. pasha kabile ke sardaar ka sapna tha ki wo tashi kabile ka mani apne kabje me le le aur unke log us mani ki shaktoyon ka istemaal kar paye wahi tashi kabile ke sardaar ka bhi yahi soch tha. aur isi soch ke karan humehsa in dono kabilon me ladayi hote rahta tha. kabhi pasha kabile ke kuch yodhhha tashi pe humla kar dete to kabhi tashi kabile ke yodhha pasha pe humla kar dete lekin aaj tak na to kabhi tashi kabile ke log apne manokamna ko pura kar paye aur na hi pasha kabile ke log.
lekin ek din sabkuch badal gaya. abhi tashi aur pasha kabile ko lagta tha ki pichle 10 hazar salon se sirf wo dono kabile hi sabse shaktishaali hai lekin in dono kabile se hi kuch door ek kabila tha jahan ke logon ko ek ajib si shakti mil chuki thi aur wo log bahut hi teji se aur bhi shaktiyan hasil karte jaa rahe the. is kabile ka naam tha ettapu. darasal hua ye tha ki ek baar ettapu kabile ka sardaar apne kabile se gujar rahe nadi me snan kar raha tha tabhi ek bade do mooh wale magarmachh ne uspe humla kar diya. ettapu kabile ka sardaar us magarmachh se ladne laga apni jaan bachane ke liye aur dono ladte hue paani me bahne lage. dono ek dusre se ladte ladte aur paani me bahte bahte samundar me chale gaye jahan wo sardaar ne magarmachh ko apne talwaar se maar to diya lekin khud bhi magarmachh ke dantoon se ghayal ho gaya aur wo behosh hokar samudra ke veg me bahte hue samudra ke ek kinare pahuch gaya. jab use hosh aaya tab use apne pass ke hi ek bade se patthar par kuch chamakta hua dikha aur us sardaar ko turant pata chal gaya ki ye ek pani ke jeev ka darul jamjam hai.
ettapu kabile ka sardaar ne kabile ke bujrgo se suna tha ki kai kai saalon me kabhi kabhi samundra ke bahut andar rahne wale jeev samudra ke kinare aate hai aur apni jamjam ko surya ke samne rakhte hai aur surya ki puja karte hai. ye jamjam bahut hi takatwar hota hai. ettapu kabile ka sardaar jaldi se wo jamjam mani ko wahan se uthaya aur lekar bhaag gaya aur fir bhagte hue ghane jungle se hote hue 15 din me apne kabile me pahuch gaya. aur fir kabile ke kuch gyani logon ke saath milkar us mani ki shakti ka prayog karna sikh gaya aur bahut teji se us kabile ke logon me bahut shaktiyan aa gayi. jaise jaise ettapu ke logo ki shaktiyan badhti jaa rahi thi unka ghamand unki krurta aur unka wahsipan bhi bahdta jaa raha tha. wo log apne aass pass ke chote kabilo pe humla karke wahan ke sabhi logon ko maar dete aur wahan ki khubsurat mahilao aur purusho ko bandi bana ke le aate. ab ettapu kabile ke sardaar ki ankhe do kabilo pe thi aur wo do kabile the pasha aur tashi.
ettapu kabile ka sardaar apni choti choti jeet se itna jada aswast ho gaya tha ki use lagne laga ab ettapu ke logon ko koi hara hi nahi sakta isliye usne apne yodhao ko do tukdo me bata aur ek saath pash aur tashi pe humla kar diya aur yahi ettapu kabile ke sardaar ki galti thi. ettapu kabile ke yodhha ek saath dono kabilo pe toot pade. ettapu kabile ke ek ek yodhha pasha aur tashi ke 4-5 yodhaao pe bhari pad rahe the lekin chuki ettapu ke yodhaa adha adha ho gaye the isliye pasha aur tashi kabile ke yodha kisi tarah bahut muskil se apna apna kabila bacha paye. lekin is yudhh me pasha aur tashi kabile ke adhe se jada yodhha mare jaa chuke the aur bahut se yodhha ghayal ho gaye. pasha aur tashi kabile ke sardaar bhi bahut buri tarike se ghayal ho chuke the. unhe to yakin hi nahi ho raha tha koi itna shaktishali kaise ho sakta hai. is baar to bahut muskil se wo log apne aap ko ettapu ke yodhhao se bacha paye lekin unhe pata tha aane wale samay me jab fir ettapu ke log humla karenge tab na to pasha bachega aur na hi tashi. pasha aur tashi kabile ke sardaar ko ye to pata tha ki abhi ke liye ettapu bhi kafi kamjor ho gaya hai kyunki uske bahut sare yodhha mare gaye hai lekin bhavisya me wo fir se shaktishali hokar ubhrenge. aur agar pasha aur tashi ko ettapu se bachana hai to unhe bhi ettapu jitna hi takatwar hona padega. aur uske liye sirf ek jamjam kafi nahi hai. unke yodhhao ko do jam jam ke shaktiyon ki jarurat padegi.
lekin dono kabilo ke pass sirf ek hi darul jamjam tha.
aur fir dono kabilo ke kuch gyani log jama hue aur ye upay diya ki agar pasha aur tashi ki shaktiyan ek ho jaye to chamatkaar ho sakta hai. kyunki unke hi sanskriti ke hazaro saal purane ek kitab me ek kahani ka varnan tha. jisme ek pasha kabile ke ladke ko tashi kabile ki ladki se pyaar ho gaya tha aur fir dono apne kabile se bhag kar ghane jungle me jakar ek ho gaye the. uske baad kaha jata hai ki un dono me bahut si adbhut shaktiyan aa gayi thi. dono ajey ho gaye the. un dono ko marne ke liye us samay ke pasha aur tashi ke sardaaro ne apne shresth yodhhao ko bheja tha lekin koi bhi un dono ko maar nahi paya tha. aur fir dheere dheere wo log unhi ghane junglon me rahte rahte apni jivan pura kiye the.
us ghatna ke baad se pasha aur tashi kabile ke rahan sahan aur riti riwajo me bahut badlaw aaya.